View Full Version : Yahi Hota hai piyar mein part 2


Pages : 1 2 [3]

Asif
02-14-2007, 11:26 PM
chaman mein jab bhi saba ko gulab poochte hein
tumhari aankh ka ahwal, khwab poochte hein

kahan kahan huye roshan humare baad chiragh?
sitare deeda-e-tar se hisaab poochte hein

woh tashna lab bhi ajab hein jo moj-e-sahra se
siragh-e-habs, mizaj-e-sarab poochte hein

kahan basi hein woh yaaden, ujarna hey jinhen?
dilon ki banjh zameen se azaab poochte hein

baras padee teri aankhen to phir yeh bhed khula
sawal khud se bhi apna jawab poochte hein

hawa ki humsafari se ab aur kya haasil?
bas apne shahr ko khana kharab poochte hein

jo be niyaz hein khud apne husn se Mohsin!
kahan woh mujh se mera intikhab poochte hein?

Asif
02-14-2007, 11:27 PM
Ankhoon may kayi sapnay saja kar roye bohot hai hum.
dil ko nayi dunya dikha kar kar roye bohot hai hum.

woh badal gaya to pher li hum nay bhi nazar apni.
par us kay khatoon ko jala kar kar roye bohot hai hum.

laut aye to ahin us ki mehfil say bacha kar ana apni.
par us ki bazm say a kar kar roye bohot hai hum.

jisay kia tha roshan tamanhaon say hum nay apni.
us shamy wafa ka bhuja kar kar roye bohot hai hum.

jin kay saye mai ki thin hum nay kayin batain.
un baghoon mai tanha ja kar kar roye bohot hai hum.

kis qadar khoshi say kia hum dum ko rukhsat hum nay.
magar sab say nazar bacha kay kar roye bohot hai hum.

hosla tutnay ka ho to wafa karna kisi say
yeh batain logon ko suna kar roye bohot hai hum.

phir yun hua kay ankhoon nay kayin rat jagay dekhay.
palkoon pay teri yaad bitha kar roye bohot hai hum.

wohi aj mujh say meray dard ki wajah chatha hai.
jis ki batain aoron ko suna kar roye bohot hai hum~!!

Asif
02-14-2007, 11:27 PM
Tujhay khabar hay ?
keh meri khushiyan he kho gaai hain
main kitni tanha see ho gaii hoon ...

Yoon lag raha hay
keh jesay sansen he thamm gai hain ...

Yaqeen kar lay ...
main thak gaii hoon ..!

Asif
02-14-2007, 11:27 PM
Batao kia likhain tum ko
ke lafzoon ka chunao bhi
bara dushwaar hota hai
jo tum ko jan likhtay hain
wafain khoob rooti hain
humain aa ker ye kehti hain
ke tum apnay hi katil ko
ab ke jaan likhtay hoo?
kabhi emaan likhtay hoo
ye tum acha nahi kertay

too phir ye sochtay hain hum
tumhain ab soog likhtay hain
koi mustaqil sa roog likhtay hain
soog ko mananay main,
roog ko bhulanay main
umeer beet jati hai
roog denay waloon ko loog bhool jatay hian
bhool janay waloon ka soog too nahi hota

chalo tumhhi batao ab
buut likhain tum ko ya ke Khuda likhain
ajnabi ya phir aashna likhain
apnay nakarda gunahoon ki
koi saza likhain
batao tum ko kia likhain

Asif
02-14-2007, 11:29 PM
khwaab ab Husn-e-tasavvur ke ufaq se haiN pare
dil ke ek jazbaa-e-ma’suum ne dekhe the jo khawaab
aur ta’beeroN ke tapte hue sehraaoN meN
tashnagii aabla-paa, sh’ola-bakaf mauj-e-saraab
ye tau mumkin nahiin bachpan ka ko’ii din mil jaaye
yaa palat aaye ko’ii sa’aat-e-naayaab-e-shabaab
phuuT nikle kisii afsurdah tabassum se kiran
yaa damak uTThe kisii dast-e-buriidah meN gulaab
aah ! patthar kii lakiireN haiN ke yaadoN ke nuquush
kaun likh saktaa hai phir umr-e-guzishtaa kii kitaab
beete lamHaat ke soye hue tuufaanoN meN
tairte phirte haiN phuuTii huii aaNkhoN ke Habaab
taabish rang-e-shafaq, aatish ruu-e-Khurshiid
mal ke cHehre pe saHar aayii hai KhuuN aHbaab
jaane kis moR pe, kis raaH meN kyaa beetii hai
kis se mumkin hai tamannaoN ke zakhmoN ka Hisaab
aastiinoN ko pukaareNge kahaaN tak aaNsuuN
ab tau daaman ko pakaRte haiN lahuu ke gardaab
dekhtii phirtii hai ek ek ka munh khaamoshii
jaane kyaa baat hai sharmindah hai andaaz-e-Khitaab
dar-ba-dar thokareN khaate huve phirte haiN savaal
aur mujrim ki tarah unse gurezaaN haiN javaab
sarkashii, phir maiN tujhe aaj sadaa detaa huN
maiN teraa shaa’iir-e-aawaaraa-o-be-baak-o-Kharaab
pheNk phir jazbaa-e-betaab ki aalam pe kamand
ek khwaab aur ai himmat-e-dushwaar pasand

Asif
02-14-2007, 11:29 PM
Kabhi kabhi dil yeh chaahata hai
Tumhari shaamoon ka haal poochoon
Sawaal poochoon
Ke fikar-e-farda mein kaisi guzri
Yunhi kabhi meri naam aaya tumhare hontoo pe ek pal ko
Meri muhabbat ki yaad mehki kabhi tumhare bhi rastoon mein
Kabhi kisi din tumhari subha ke dar per
Jaagi sadaay-e-dastak
Kabhi ibaadat ki kaifeyat mein
Tumhein mera bhi gumaan guzra
Tumhare sehan-e-dua se mera bhi dheyaan guzra
Kabhi kabhi dil yeh chaahata hai sawaal poochoon
Magar mein chup hoon
Hamare mabain yeh jo
Deewar-e-ajnabbeyyat hai yeh ganeemat hai
Issi mein tauqeer-e-harf-o-lab hai
Yaheen pe tark-o-talab ki had hai ...

Asif
02-14-2007, 11:29 PM
Bay khuloos logo se
Ijtinab karna hai.
mujhko apnay rishton ka
Ahtisab karna hai.

Kitni omer zeyan ki
usko yaad rakhnay mien
gham shuda asano mien
kuch hisaab karna hai.

yeh zameen hai mairii
uska qarz hai mujh per
us se ishq karna hai
Be hisaab karna hai.

usko bhool jana hai
usko yaad rakhna hai
Dukh tu aik jaisa hai
Intikhab karna hai.

woh tu aik aanso se
mujh ko maat de de ga
usko mien ne baat.on se
Lajawaab karna hai

KOI aam sa chera,
Koi shaam sii Aaankhien
mien ne apni gazlon ka
intisaab karna hai.

Asif
02-14-2007, 11:30 PM
Main zindagi ka saath nibhaata chala gaya
har fiqr ko dhuwain main uraata chala gaya

barbadioun ka saug manaana fazool tha
barbadioun ka jashn manaata chala gaya

jo mil gaya usi ko muqaddar samajh lia
jo kho gaya us ko bhulaata chala gaya

gham or khushi main farq naa mehsoos ho jahan
main Dil ko us maqaam par laata chala gayaa~!!

Asif
02-14-2007, 11:30 PM
zindagi ke chehre ka
naqsh jab bigarr jaye
doston ki aankhon main dushmani ubhar aaye
kanch ki sunehri baat
zair-e-lab bikhar jaye
lafz be-yakeeni ka
jungalon main ghir jaye
sakht be-sabati ho
baat baat zaati ho
is tareah ke mausam main aaina zaroori hai.....

Asif
02-14-2007, 11:30 PM
Woh nahi hai tu iss ki chahat
mein kiss liye
din raat sanwartey ho
khud se berabt baatien kartey ho
apna hi aks nochney k liye
khud ulajhtey ho, khud se dartey ho
hum na kehtey thay
hijr waloon se, aiena guftagu nahi karta...
_________________

Asif
02-14-2007, 11:31 PM
Aik din achanak he
phone aa gaya us ka
lehjay ki malamat se
ho raha tha sub zahir
ro rahi thi shidat say
larkharatay lafzon say
kar rahi thi batain wo
tum kahan thay itnay din?
roz phone kerti thi
baat tum se kerni hai
jo bohat zaroori hai

khush nahin hon main bhi kuch
pyar tera thukra ker
sara din tarrapti hon
chain he nahi milta
jagti hon shub bhar main
neend he nahi aati
jo nahi kaha kal tak
aaj tum se kehti hoon
pyar tum se kerti hon
main nay phir kaha us se
main na kehta tha tum se
aik din tou aana hai
lot ker tumhain wapis
kaisay tum bina mairay
zindagi guzaro gi
zinda tou raho gi par
zindagi na ho gi wo
aik aik lemhay mein
yaad meri aaya gi
doosri taraf se phir
qehqeha sa aaya ik
aur wo lagi kehnay
tum bhi kitnay pagal ho
jantay nahi itna
aaj 'first april' hai~!!

Asif
02-14-2007, 11:31 PM
Teray meray aabd ka kinara hai yeh
Isteaara hai yeh
Roop ka daaoo hai yeh
Piyaar ka ghaao hai
Jo bhe kuch hai mohabat ka phailao hai
Subh dam jis ghari, phool ki pankhari
Aaos ka aaienah jagmaganay laga,
Aik bhanwerao hain, daikh ker har kahen
Shaakh ki aounth se sar uthanay laga
Phool, bhanwera, talatum hai, thehraao hai
Jo bhe kuch hai mohabat ka phailao hai
Khuwaab kya kya chunay, jaal kya kya bunay
Mauj thamti nahen, rang ruktey nahen
Waqt ke farsh per, khak ke raks per
Naksh jamtey nahen, abr jhuktey nahen
Har musafat ki doori ka simtao hai
Jo bhe kuch hai mohabat ka phailao hai

Asif
02-14-2007, 11:31 PM
Baat Aadhurii Reh Jaane Do
Baat JO Purii Ho jaaye Gii
Baat Zarurii Reh jaaye Gii

Harf Mukammal Ho jayein To
Harf BeMaanii Ho jaate Hein
Harf Aadhure Reh jaane Do
Khamoshii Ko Bhi Kuch Kehne Do

Asif
02-14-2007, 11:31 PM
TumheiN maloom hai hum ney
Kisi k Hijer meiN
Yeh kesi zindagi guzari hai
Her ik khushboo ki aahut per
GumaaN us ka guzerta tha
Her ik saay'ut pey dil ankhouN meiN aaker
Beth jata tha
Kaii pehloo badalti khuwahisheiN
HathouN ko phelaye
DuwaieN mangti - or Haanpti
Dil sey guzerti theiN
Mager jo hijer laahuq hai
woh jism o jaaN ki dewareiN girata hai
Umed o Pehum ki ankhouN sey
Benayee k sarey manzarouN ko
Khak kerta hai or mitata hai
So hum bhi khak heiN
or khak ki taqdeer mein likha hai
Bey amaaN rehna !!!

Asif
02-14-2007, 11:32 PM
Kaha tHa Naa
Mujhay iss Tarah Sotay howay MAt chor KAr Jana
Mujhay BAyshak JAga Dena BAta DEna..
Mohabbat Kay sAfar Main sAth Meray ChaL Nahi Sakti
Judai Main .. Hijr Main .. Sath MEray JaL Nahi SAkti
tUmhain Rasta BaDalNa hai
Meri HaD Say NiKaLna hai
tUmhain Kiss Baat KA Dar tha
Tumhain Jaanay Nahi deta
Kahin Per Qaid KAr Laita
Aray PAGLi
MoHabbat Ki tabiyat Main Zabar10ti Nahi ho0ti
Jisay rasta BAdLna ho0
Usay RAstaBAdaLnay Say
Jisay HAd Say NiKalna ho0
Usay Had Say NiKalnay Say
Na koi Rok Paya hai NA koi Rok Payega..
tUmhain Kiss Baat ka dar Tha
Mujhay BayShaK Jaga DEti
Kamaz Kam yUn tU Na ho0ta
MEray sathi . !! HaQeeqat hai
tUmharay Baad Kho0nay Ko Kuch Nahi Baqi
MAgar Khonay Say DArta ho0n
Main Ab Sonay Say Darta ho0n

Asif
02-14-2007, 11:32 PM
Agar kisi manzil per pahaunch kar koi dard mil jaye
Aankh tumhari jo kabhi pur nam ho jaye
Kabhi kisi apnay ki kami mehsoos karo to
To tum mujhay pukar laina
Aur agar yeh bhi na kar pao to!

Dil ko apnay simayt laina
Aur bas yaad mujhay tum kar laina
Aankho kay duwaro ko band kar laina
Mehsoos mujhay tum kar laina
Aur phir yun karna kay!

Saray raaz apnay dil kay
Tum mujh say keh laina
Saray dard apnay dil kay
Tum mujh say baant laina
Bas meri ek aakhri khuwaish yaad rakhna!

Jab meri hayat ka safar tamam honay lagay
Meray qadam meri akhri manzil ki taraf rawan honay lagay
Mujhay lahayd tak lay janay walay chaar apnay kandho may
Ek kanhdha tumhara bhi ho!

Asif
02-14-2007, 11:32 PM
Aao k ab hum phool chunnain
Wo phool jo khaak alood hoeey
Wo jin ki mahak mitti main mili
Wo jink ko khizan nay roond dia
Aaoo k us ko aabad karain

Aao k ab hum us rah chalain
Wo rah k hay dushwaar bohat
Wo rah jahan hay khaar bohat
Wo rah jo ab hay ik Mattum kada
Aao k us ko aabad karain

Aao k ab hum seeraab karain
Jahan aansoo k samunder bahtay hain
Jahan log piyasay rahtay hain
Muhabbat say usay shadab karain
Aao k us ko aabad karain

Aao k ab hum un k saath milain
Jinhain zindgi ki tarap sulgati hay
Apnon pay kafan hay mitti ka
Aur yaad kisi ki aati hay
Aao k us ko aabad karain

Aao k ab hum faryaad karain
Kuen Rahmat-e-Elahi rooth gai?
Haathon main un k haath leeay
Damun ko phylain dua k leeay
Aao k us ko aabad karain
Aao k us ko aabad karain

Asif
02-14-2007, 11:33 PM
Hum kasay pagel hotay thay
Ek phool ko chonay ki khater
Kantoon say zakhmi hotay thay
Jo phool jholi main aa girta
Ussay choonay say dar jatay thay
Hum kasay pagel hotay thay
K dhondaly aaeinoon main apna
Hum aks sa dhoonda kertay thay
Aor kirchayan chatkhay aaeinoon ki
Muthi main daba ker rakhtay thay
Hum kasay pagel hotay thay
Jab sadak pay chalna hota tha
Hum kashti lay ker chaltay thay
Aor beech bhanwar janay k liyey
Hum padel nikla kertay thay
Hum kasay pagel hotay thay
Jab barish barsa karti thi
Hum chatri main chup jatay thay
Aor jalti dhoop main nangay sir
Hum chatt par uchla kertay thay
Hum kasay pagel hotay thay
Jab pass woh bohat hota tha
Hum uss ko dekh na saktay thay
Jab woh door chala jata tha
Hum aahat uss ki suntay thay
Hum kasay pagel hotay thay
Jab sari dunya soti thi
Hum chand say khela kertay thay
Jab sari dunya jag utthti thi
Hum thak ker so jatay thay
Hum kasay pagel hotay thay
Hum kasay pagel hotay thay
Hum aaj b wasay pagel hain
Hum aaj b wasay pagel hain~!!

Asif
02-14-2007, 11:33 PM
Kabhi kabhi dil ye chahta hay
Tumhare shamoun ka hal pochoun
Sawal pochoun
Kay fiker-e-ferda mein kase guzrein
Yun he kabhi mera naam aya tumhary hountoun pay ik pal ko
Mere muhabat ke yad mehki kabhi tumhare bhe rastoun mein
Kabhi kise din tumhary subha ke dur pay jagi sadaye dustak
Kabhi ebadat ke kafiyat mein tumhein mera bhe guman guzra
Tumhary sehan-e-dua say mera bhe dehaan guzra
Kabhi tumhary badan pay bhe shub aazab ban ker thehar gye thee
Kabhi kabhi dil ye chahta hay sawal pochoun
Mager mein chup hoon
Humary mabain yeh jo deewar ajnabyet hay yeh ghanimat
Iss mein touqeer-e-hurf-o-lub hay
Yahein pay turq-o-talab ki had hay

Asif
02-14-2007, 11:33 PM
MAIN OOS SAY KEH RAHA HOON, MUJH SAY THORHA FAASLA RAKHO
MAGAR WO MUJH SAY KEHTA HAY KEH KUCH TO RAABTA RAKHO

NA MUJH SAY SAARAY BUNDHAN, SAARAY RISHTAY TORH KER JAAO
KHUDA KAY WAASTAY KUCH DOSTI KA SILSILA RAKHO

TASSALLI DAY RAHA HAY AUR MUJH SAY KEH RAHA HAY WO
KEH SUB KUCH THEEK HOJAAEY GA BUS TUM HOSLA RAKHO

SUBOOT OON KO MUSAAFAT KAY KATHAN HONAY KA DAYNA HAY
BACHAA KER APNAY PAAOON KA KOI TO AABLA RAKHO

ZABAAn MAIN ITNI TALKHI SOCH LO ACHHI NAHI LAGTI
HALAAWAT KA, MALAAHAT KA ZARA SA ZAAIQA RAKHO

KISI SAY BHI NA MILNAY KI QASAM TO KHAA CHUKAY HO TUM
MAGAR AY DOAST APNI ZAAT SAY EK RAABTA RAKHO~!!

Asif
02-14-2007, 11:33 PM
Ajnabi doast mujhay aaj ye he kehna hai
Main nay socha hay kay ab tark-e-mohabbat kar loon
Aaj kay doar main daikhay hain mohabbat kay usool
Aaj kay doar main jazbaat bika kartay hain
Main nay jana yahan ehsaas ki wuqat hi nahin
Main nay daikha yahan her aik nazar sasti hai
Yeh kisi pyar ki rafat ko nahin pa sakti
Zehn-e-beemar ka yeh doar hay main kaisay kahoon
In ko maloom nahin hay keh taqaddus kiya hay
Meray hamdam
Meri dunya hi alag hay sab say
Main nay her pyar-o-mohabbat ko ibadat samjha
Muhtaram main nay her ik jazba-e-ulfat jana
Main nay ehsaas ki doalat ko bacha rakha hai
Main nay jazbaat kisi moal bhi baichay na kabhi
Ajnabi doast
Meri tujh say guzarish hai yehi
Meray pakeeza khayaloan ko na ruswa karna
Aaj dekhay hain badaltay hooay taiwar teray
Meri masoom aqeedat ko na dhoka daina

Asif
02-14-2007, 11:34 PM
Jab hum is duniya mein aate hai,
Toh kitne rishtey saath laatey hai.
Duniya mein aane ke baad hum,
Kitne naye rishtey baanthe hai.
Magar in rishto mein se sirf,
Woh pyaar ka pawitra rishta hai,
Jo hum marte dum tak nibhaate hain.

Koi aankhon aankhon se baat kar leta hai,
Koi aankhon aankhon mein mulakat kar leta hai,
Mushkil hota hai jawab dena,
Jab koi khamosh rehkar bhi sawal kar leta hai..

Asif
02-14-2007, 11:34 PM
Dil torna humari aadat nahi
Dil hum kissi ka dukhate nahi
Bharosa rakhna meri wafaon pe
Dil mein bas kar hum kissi ko bhulate nahi
kayi raaz aise hote hain jo dikhaye nahi jaate
kayi kisse aise hote hain jo sunaye nahi jaate
kayi dil aise hote hain jo tode nahi jaate
aur kuch aap jaise dost aise hote hain jo chore nahi jaate

Asif
02-14-2007, 11:34 PM
Main gira main bandh k haadsat,nikal pada tairee khoj main
Kahi'n tarkol ki thi sadak jahan aag bant-ti dhoop thi
Kabhi kachi rah ki dhool main jahan saans laina muhaal tha
Sir-e-rizm-e-jaa'n kabhi dil k dard say haar ker
Main to khanqaoo'n pay mangta phira man-ntain
Kabhi raat raat basar duaoo'n main ho gaee
Kabhi qaaflay mairee aas k kisi dasht-e-yaas main kho **
Mara pairhan tha phata howa kahi'n gard gard atta howa

Main adhooray pan k saraab main
Tujhay dhondta phira dar badar
Kisee ajnabi k diyaar main
Koi dukh mila kisee mod pay,koi gham mila kisi chok main
Kisi rah guzar k sakoot main koi dard aa k dara giya
Kabhi chal pada,kabhi ruk giya,kisi kashmakash k ghubar main

Mujhay kia mila tairay piyar main

Main gira main bandh k haadsat
Kahi'n gum howa tairee khoj main!!!!!

Asif
02-14-2007, 11:35 PM
woh khaloos tha ke khumar tha
woh janoon tha ke saraab tha
mujhey sochney mein zaman laga
mujhey munzilon ne bhoola diya
mujhey jis masiha pe maan tha
mujhey us ne sooli charha diya

kai humsafar kai rahguzr
mujhey rastey mein miley magar
meri tushnagi kuch aur hai
meri justajoo koi aur hai
woh jo roshni ki tarha barhey
magar ansuoon mein sama sakey

jo subha ki pehli kiran bane
mere dil ka aangan nikhaar de
jo muhabbaton ki ravaytein
laho ki bali se sanwaar de
mujhey us wafa ki talaash hai
mujhey us wafa ki talaash hai

magar is jahan-e-kharab mein
yahan khahishon ke saraab mein
mujhey kaun de aisy wafa
mein kahan se laoon woh wafa
inhi uljhanon mein ghira hua
yehi sochta mein chala gaya ~!!

Asif
02-14-2007, 11:35 PM
AakHri baar milOo aesay ke jaltay huwe diL
Raakh ho jaaiN, koi aur taQaza na karaiN
chaak-e-wa‘da na silay, zakhm-e-tammana na khilay
saans humwaar rahey, sham'a ki Lo tak na hilay
baateiN bass itni ke Lamhay inheiN aa kar gin jaaiN
aankh uthaye koi umeed to aankheiN chin jaaiN
iss mulaqat ka iss bar koi weham nahiN
jiss sey ek aur mulaqat ki surat niklay
ab na hejan-o-junooN ka, na hikayaat ka waqt
ab na tajdeed e wafa ka, na shikayaat ka waqt
lut gayi shehr-e-hawadas mein mata‘aey alfaaz
ab jo kehna hai to kaisay koi noha kahay
aaj tak tum se rag-e-jaaN ke kai rishtay thay
kal se jo ho ga issay kaun sa rishta kehay
phir na dehkaiN ** kabhi aariz-o-rukhsaar, milo
maatmi heiN dam-e-rukhsat dar-o-deewar, milo
phir na hum hoN **, na iQrar, na inKaar, milo
Aakhri baar milo!!

Asif
02-14-2007, 11:36 PM
AA apni zindagi kii har sham teray naam kar doun
teri hii ankhoun ka jam teray naam kar doun

main dhoubh jaoun teri ein jheel sii gahri ankhoun main
phir apni barbadi ka Eilzam teray nam kar doun

main apni Rouh koo teray Wajood mai bhar doun
phir apni zaat apna har payam teray naam kar doun

tou mojhay mouhubat ka aghaz day sanam
main apnay payar ka anjam teray naam kar doun

mouhobatoun kay qaseeday likhoun teri sana mai
hazaron payar kay paygham teray naam kar doun

hou jis ka zikar mouhubaat kii har kahani mai
eik aysa payar ka paygham teray naam kar doun

Asif
02-14-2007, 11:36 PM
Hui hai sham to ankkhon mai bas gaya phir tu
kahan gaya hai mere shahar ke musaafir tu

bahut udaas hai ik shakhs tere jane se
jo ho sake to chala aa usi ki Khatir tu

meri misal ki ik nakhl-e-Khushk-e-sahara hun
tera Khayal ki shakh-e-chaman ka tair tu

main janata hun ke duniya tujhe badal degi
main manata hun ke aisa nahin bazahir tu

hansi Khushi se bichar ja agar bicharna hai
ye har maqam pe kya sochata hai akhir tu

'Faraz' tune use mushkilon mn daal diya
zamana sahib-e-zar aur sirf shayar tu

Asif
02-14-2007, 11:36 PM
Hum khawabon kay beupari thay per iss main howa nuqsan bara
Kuch bakhat main dhairoon kalak thi kuch abb kay ghazab ka kal para
Hum rakh liay hain jholy main aur ser peh hay sahokar khara
Jab dhahrty sehra sehra thi, hum dariya dariya roiay thay
Jab haath ki rekhiyan chup thain ur sur sangeet main khoiay thay
Tab hum nay jeevan khaity main khawab kuch nokhay boiay thay
Kuch khawab sajal muskanoon kay
Kuch bol buhat dewanoon kay
Kuch lafz jinhain mani na millian
Kuch geet shkista janoon kay
Kuch neer wafa ki shama kay, kuch par pagal pervanoon kay
Phir apni ghiyal ankhon se khush ho keh laho chirkiya tha
Mati main mass ki khad bhari aur nas nas ko zakhmiya tha
Aur bhool giay peechali ruut main kia khoiya kia paiya tha
Her bar gagun nay wehum diya aab kay barkha jab ayiay gi
Phir beej se koonpal photay gi aur her koonpal phal liay gi
Ser peh saya chatri ho gi aur dhoop ghata bun jiay gi
Jab fasal kati to kia daikha, kuch dard kay tootay gajray
Kuch zakhmi khawab thay kantoon per,kuch khakister se gajray thay
Aur door ufaq kay sagar main kuch doolty doolty bajray thay
Aab paoon kharaoon dhool bhari aur jisam peh jog ka chola hay
Sab sangi saathi bahaid bharay! Koi masha hay koi tolla hay
Aab ghat na ghar, dehleez na dar
Aab pass raha hay kia baba
Bas tun ki gthry baqi hay ja yeh bhi tu lay ja baba
Hum basti choray jatay hain tu apna qarz chuka baba

Asif
02-14-2007, 11:36 PM
saat suroon ka behta darya tere naam
her sur mein ek rang dhanak ka tere naam

jungle jungle rone waley sab mausam
aur hawa ka sabz dupata tere naam

hijr ki shaam akheli raat k khalii der
subah firaq ka dard ujala tere naam

tere bina jo omer bitayii beet gayii
ab es omer ka baqi hissa tere naam

jitne khawab khuda ne mere naam likhey
en khawaboon ka raisha raisha tere naam

Asif
02-14-2007, 11:37 PM
Lakh zabt-e-khuwhish kay
bay shumar da'vay hoon
usko bhool janay kay
bay-panah iraday hoon
or us muhabbat ko tark kar kay jenay ka
fesla sun-nanay ko
kitnay lafz sochay hon
dil ko us ke aa'hat par
barmala dharaknay say kon rok sakta hay
phir vafa kay sahra main
uskay narm lehjay or sogavar aankhon ke
khushb'oon ko chonay ke
justajo main rahnay say
rooh tak pighalnay say
nangay pa'oon chalnay say
kon rok sakta hay
aanso'on ke barish main
chah'hay dil kay hathoon main
hijr kay musafir kay
pa'oon tak be choo aao
jis ko lot jana ho
usko door janay say
rasta badalnay say
door ja nikalnay say
kon rok sakta hay

Asif
02-14-2007, 11:37 PM
Mera dil roo raha hai tum bin
Mera sab kuch to tum hoo
Main to Kuch bhe Nahi Hun tum bin
Tum Bin guzar to jayee gi zindagi
par main ji Na paoon gi tum bin
Hazaroon sitaroon ki bheer main bhi dekhoo
Ye chand kitna tanha hai tum bin
Rahun kahin bhi kisi ke sath bhi
Par main hamaisha udaas hoon tum bin
Agar charagoon ki roshni main hoon main
Par meri zindagi main andhaira hai tum bin
Baharoon ka mousam to hai gulshanoon main
aer pholoon mai khushboo nahi hai tum bin
Is hansi ke kehkahoon main dekhoo
Mera dil roo raha hai tum bin
Mera sab kuch to tum hoo
Main to Kuch bhe Nahi Hun tum bin
_________________

Asif
02-14-2007, 11:37 PM
Dil ki daroo diwar pay kia daikha
bus tera naam likha daikha
teri ankhoon main hum nay kia daikha
kabhee qatil kabhee khoda daikha
apni sorat lagi parai se
jub kabhee hum nay aaina daikha
hai andaz tera roknay ka
waqat ko bhee rooka rooka daikha
teray janay main or aany main
hum nay sadioon ka fasla daikha
pher aaya na khiyal janat ka
jub teray ghar ka rasta daikha
dil ki daroo dewar pay kia daikha
kabhee qatil kabhee khoda daikha

Asif
02-14-2007, 11:38 PM
Kahee to milay ge muhabbat ki manzil
Yeh dil ka musaafir chalaa ja raha hay
Nazar main sajee hay khayaloo ki mehfil
Umeedoo ka sooraj dhalaa jaa raha hay,

Jal kay bujhay zindgee ki shama
Kho jaiay din kia pata kab kahan,

Hay yeh kaisee dagar, Hay yeh kaisaa safar
Na kisi ko pata, Na kisi ko khabar,

Hay toofan main kashtee baree door saahil
Yeh dil ka musaafir chalaa ja raha hay,

Pal na rukay eik pal kay liay
Jeeta rahay piyaar kal kay liay,

Karay koi sitam, Milay koi saza
Dil bhoolay nahee, Kabhee pehlee wafa,

Jo haaray na himmat karay sab wo haasil
Yeh dil ka musaafir chalaa ja raha hay

Kahee to milay ge muhabbat ki manzil
Yeh dil ka musaafir chalaa ja raha hay
Nazar main sajee hay khayaloo ki mehfil
Umeedoo ka sooraj dhalaa jaa raha hay.

Asif
02-14-2007, 11:38 PM
Musuam badal Gia hai..!!
Jasi Ristey Badalty Hain..!!
Kaash .!! insaan key zinadge sirf ek
musuam ya ek Ristay key Lia Bani
Hoti..!! yeh wo Musuam Badalta
Yah wo rista totta ..or insaan key
Zindage katam ho gati…
Likin ais akali zindage ko har badalty
Ristay ka samna karma parta hai
Ankhain dil key nahi sunti dil dimagh
Key nahi manta..or har hal main insaan
Ko jeena parta hai..

Asif
02-14-2007, 11:38 PM
Ajab dhang k lamhoo'n main rahay

Hum nay dakha k khushi roti hai

Aor iss aab-e-chamak dar k pass

Dukh hans rahay hain

Bahlay howay pagal ki tarah...!!!!!!!

Asif
02-14-2007, 11:39 PM
Kachhi mitti k woh khilonay
ik ik kar k toot gayey
aur kaghaz ki khashti bhi taiz hawa main doal gayi
or woh meri pyaari gurriya rakh kar maan kaheen bhool gayi
bahana tha bara acha so ro ro raat bitayi hay
Ab kia batlayain or kia kahain !
khilonay tootnay ka tha dukh
yaa
yaad kisi ki aayi hay~!!

Asif
02-14-2007, 11:39 PM
Mein b kisi khayal se kuch ruk gaya wahan..
Dekhi hui jaga thi kisi guzre daur ki..
Meri sada k saath sada ek aur thi..
Aghaz-e-ehad sard k pat jhar ki shaam thi..
Bas itni baat yaad rahi iss makam ki..

Asif
02-14-2007, 11:39 PM
Agar kuchh naam daina ho
Mujhay insaan matt kehna
Judaa chehray, judaa bay-shak sabhi k naam hotay hai'n
Magar insaaniyat k abb yaha'n per daam hotay hai'n
Mere tum daam matt dainaa
Mujhay ye naam matt dainaa
Agarr kuchh naam dainaa ho
Mujhay Ehsaas keh dainaa
Magarr Thehro!
Mujhay Ehsaas matt kehnaa
Mera buss naam reh jaay
Mujhay aisay nahi'n rehnaa
Mujhay Ehsaas matt kehnaa
Agarr kuch naam dainaa ho
Mujhay Saawan hee keh daina
Magarr thehro!
Mujhay Saawan nahi'n kehna
Barastaa hai magar
Rut kay badaltay, beet jaata hai
Mujhay Saawan nahi'n kehna
Agar kuchh naam dainaa ho
Mujhay Aansoo hee keh daina
Janam laina kisi ki ki aankh mai'n
Rukhsaar per mernaa
Yehi jis ki haqeeqat hai
Chalo aansso hee keh dainaa
Magarr daikho!
kisi ki aankh mai'n mujh ko kabhi
Aanay nahi'n dainaa
K qeemat aansoo'n ki abb adaa tum se nahi'n ho gee
Nahi'n tum yu'n nahi'n kehnaa
Mujhay aansoo nahi'n kehnaa
Mujhay aankho'n main'n bastaa ik hasee'n sapna he keh daina
Haqeeqat kuchh nahi'n jis ki
Chalo sapnaa hee keh daina
Ke sapnay aankh mai'n taaro'n ki tarhaa jhilmilaatay hai'n
Magarr thehro!
Mujhay sapnaa nahi'n kehnaa
Ke sapnay toot jaatay hai'n
Mujhay Apnaa Nahi'n Kehnaa
Ke Apnay Rooth jaatay hai'n

Asif
02-14-2007, 11:39 PM
akhiri baar jaane kyon maine
mud ke dekha tumhari aankhon men
ek lamha tha vo faqat lamha
bheed men doobkar jo tanha tha
sans bhi chup thi dhadkane bhi gum
ek sannata sa tha chaya hua
waqt ke belagam ghode ko
maine bebas sa ruka paya tha
kaash jo mere paas men hota
waqt ke ghode ka makhsoos chabook
main yaqeenan us ek lamhe ko
itna dushwar na banane deti
tez gaam zindagi ki rahon men
khushq patte sa hi uda deti

Asif
02-14-2007, 11:40 PM
Ab Kia Kahoon ke Tujh se Muhabat nahi Rahi

Teri Talab mein Pehli Si Shidat Nahi Rahi

Ya To Meri Wafaon ka Musam Guzar gaya

Ya ye ke mujh ko Teri Zaroorat Nahi Rahi

aaap ko bhi Wada kar ke bholane ka Shouq Hai

Hum ko bhi Intzaar ki Adat Nahi Rahi

aap ko Ae Dost Fursat Mili to Kia ?

Ab hum ko Arz Haal ki Hasrat Nahi Rahi

Asif
02-14-2007, 11:40 PM
jo mere dil ki haqeeqat thi likh gaya hoon main
shikasta haal si daali sa jhuk gaya hoon main

meri nazar main meri koi haisiyat he nahi
main kia kahoon ke bina mool bik gaya hoon main

na jaane kon si dhun mai tha aarzu kia thi
ke apne aap se khud he bhatak gaya hoon main

mere safar ka na rasta tha aur na manzil thi
isi liye ye khafas main he rukh gaya hoon main

sako_n se sone do ordhey kafana sataao mat
bauhat ye zindagi se aaj thak gaya hoon main

Asif
02-14-2007, 11:40 PM
bara zalim hai dil mera
sabhi baatain samajhta hai
isay main nai kaha kul shab
bhula dala hai sab kuch ab
howay ***** (1) baras ab tu
yeh qissa ab purana hai
kaha dil nai mujhay hans ker
"is sai hum nai jana hai"
kaha main nai kia jana
koi rishta nahi us sai
howay ***** (1) baras ab tu
"teri baaton ka mutlab tu
meri jaan yeh nikalta hai
k tu ***** baras sai hi
isi uljhan main baitha hai"
bara zalim hai dil mera
sabhi baatain samajhta hai

Asif
02-14-2007, 11:41 PM
koi jab saaz chairey ga koi jab geet gaye ga
yakayak tar koi tharthara ker to'ot jaye ga
tumhein ous waqt ek bhoola fasana yaad aaye ga
kabhi hangam e zeenat kuch kahe ga tum se aaina
nazar aaney lagey ga daftann jab aks dhondla sa
tumhe ous waqt ek bhoola fasana yaad aaye ga
baharoon ki hasee'n,nikheri hoi, sarshaar raatoon mein
mohabbat per kabhi jab behas aajaye gii baatoon mein
tumhe ous waqt ek bhoola fasana yaad aaye ga
agar bekaif lamhe ankhkariyoon ki neend lootein ge
fiza mein daftann jab do sitarey saath tootein ge
tumhe ous waqt ek bhoola fasana yaad aaye ga
kabhi gar koi mobham khuwab pechali shab jaga de ga
seher k dosh per jab chand aapna sir jhuka de ga
tumhe ous waqt ek bhoola fasana yaad aaye ga

Asif
02-14-2007, 11:41 PM
Kahaan Aa Kay Rukney Thay Raastey,
Kahaan Moor Tha, Ussay Bhool Jaa,
Joo Mil Gaya Ussay Yaad Rakh,
Joo Nahien Mila Ussay Bhool Jaa,

Woh Tere Naseeb Ki Baarishein,
Kisi Aur Chhat Pe Pe Baras Gayien,
Dil-e-Bekhabbar Meri Baat Sun,
Ussay Bhool Jaa, Ussay Bhool Jaa

Mein Too Gum Thaa Tere Hi Dehyaan Mein,
Teri Aass Tere Gumaan Mein,
Saba Keh Gayi Mere Kaan Mein,
Mere Paas Aa Ussay Bhool Jaa

Kisi Ki Aankh Mein Nahien Ashq-e-Gham,
Tere Baad Kuch Bhi Nahien Hai Kam,
Tujhe Zindagi Ney Bhulaa Diya,
Tu Bhi Muskuraa Ussay Bhool Jaa

Naa Woh Aankh Hi Teri Aankh Thi,
Naa Woh Khuaab Hi Tera Khuaab Thaa,
Dil-e-Muntazir Too Yeh Kis Liye Tera Jaagnaa,

Ussay Bhool Jaa ......

Yeh Joo Raat Din Ka Hai Khel Saa,
Ussay Dekh Iss Pe Yakeen Naa Kar
Nahien Aks Koi Bhi Mustaqil Sar-e-Aaena, Ussay Bhool Jaa

Joo Bisaat-e-Jaan Hi Ulatt Gaya,
Woh Joo Raastey Mein Palatt Gaya
Ussay Rookney Sey Husool Kya,
Ussay Matt Bulaa Ussay Bhool Ja...

Asif
02-14-2007, 11:42 PM
Ek daricha dile nashaad abhi wa rakhna
Woh aghar lot ke aaya to kidhar jae gaa
Zabt ka bandh to baanda tha magar toot gaya
Aaj yeh toofan mere ghar se guzar jae ga
Woh nasha jo tere pyar main chakha main ne
Kiya khabar thi ke rage jaan main utar jae gaa
Mujh ko ehsaas hai mai kuch bhi nahi tere bagair
Chor kar saath mera woh bhi bikhar jae gaa
Baiwafai kabhi chain na lane de gee
Dard mera hi sataye gaa jidhar bhi jae gaa
Tuj ko puhcha diya manzil pe teri ae batakte rahi
Dikha ke rasta ab jugnu kidhar jae gaa

Asif
02-14-2007, 11:42 PM
ab omer ki naqdi khatam hui
ab ham ko odhar ki hajat hai
hai koi jo sahookar bany
hai koi j devan har bny
kuch saal, maheeny din logo
per sood byaj k bin logo
jeeny ki hawas hi nirali ha
ha kon jo is se khali hai
jb omer ka akhir ata ha
her din sadian ban jata hai....
_________________

Asif
02-14-2007, 11:42 PM
Azal se hai mohabbat maavra lafzon ki maala se
Magar ye bhi haqeeqat hai
Mohabbat soch k aakaash par baadal ki soorat mein
Sada parvaaz karti hai
Kabhi baarish ki boondon mein simatt kar dil ki dharti par
Utarti hai bikharti hai
Ada le kar saba se ye, gulaabon se mehek le kar
Dhanak se rang le kar aur sitaaron se chamak le kar
Hasee(n) aanchal sajaati hai
Isi aanchal se phir khwaabon k kache ghar banaati hai
Mohabbat aazmaati hai
Kabhi ye she'r ban kar lafz ki hurmat barrhaati hai
Kabhi ye saaz ban kar dheere dheere gungunaati hai
Saraapa aankh ban jaati hai ye mehboob ko pa kar
Anokha lams ban jaati hai koo-e-yaar mein ja kar
Na jaane kaunsa mantar ye parrh kar haule haule se
Kisi ki band palkon mein bina dastak diye yak-dam
Utar kar ghar banaati hai
Mohabbat muskaraati hai
Ye khushbu hai, hamesha phool ki saanson mein hoti hai
Bana de chaand teerah shab ko jo, ye aaisa moti hai
Kasak hai daa'imi is mein, bohat be-naam lazzat hai
Mohabbat ki yehi ta'reef hai k
"Ye mohabbat hai".

Asif
02-14-2007, 11:43 PM
Sabha chale to meri har khushi mita ke chala
Mera jahaan mera aashiyaan jala ke chala

Ye zindagi meri barbadiyoun ke mausam se
Ghame hayaat ke gulshan koi khila ke chala

Main sochta hoon ke pathar to main nahi lakin
Najaane kiyoun mujhye wo bekasi dikha ka chala

Mera zameer mere dhoondh ta hai maazi ko
Ke yaad khaak main is haal ko mile ka chala

Youn gham sa meri nigahoon main chaagaya aaise
Har ik hasee mere chehrey ki munh chupa ka chala

Main thak gaye hoon ghame zindagi ko sehte hue
Ke har sadee meri bardashat aazma ka chala

Asif
02-14-2007, 11:43 PM
Kabhi tum humse bhi thora sa pyaar karlo
Mujh par hi tum apni zindagi jaanisaar karlo

Ae kaash ban jaaye aaina yeh dil kabhi mera
Tum bhi isme, apna chehra beshumaar karlo

Mohabbat ki hai is betaab jigar ne aisi tumhe
Khush ho jaaye ye gar nazar meray paar karlo

Sine se lagke tere, main so jaoun kabhi ik din
Jitna beqaraar ho sake dil, utna beqaraar karlo

Tere pyaare alfaaz ka hai “Warda” ko intezaar
Aitbaar karke, tum bhi pyaar ka khumaar karlo

Asif
02-14-2007, 11:43 PM
zin dagi ke har ek haseen khwaab mein dekha hai,
har raat maine tujhe maahtaab mein dekha hai.

padhne likhne ki kya zarurat hai mujhe,
maine tujhe mohabbat ki kitab mein dekha hai.

har roz sawaal uthte hai dil mein,
maine tujhe apni dhadkanon ke jawaab mein dekha hai.

tere liye dil ko haathon mein sajaye rehte hai,
maine tujhe apne dil-e-betaab mein dekha hai.

chaman ko mohabbat ke rang se range,
tujhe maine har ek gulaab mein dekha hai.

jo shayar ko milta hai apni shayri ke liye,
tujhe maine aise hi khitaab mein dekha hai.

badalon ko kesari syaahi se bharde,andhero ko mitate,
uss subah ke aftaab mein dekha hai.

dil ko pighla de jo, apne tej se,
maine tujhe us mohabbat ke tezaab mein dekha hai.

jhuki hui palkein jinse sharm chhalakti hai,
maine tujhe us hayaa k nakaab mein dekha hai.

mere dil-e-asma ki har ek jagah mein,
tujhe maine apni dhadkan-e-behisaab mein dekha hai.

Asif
02-14-2007, 11:45 PM
Zubaan Hi Sirf Ek Zariya Nahin
Jo Aap Shabdon Ko Samajh Paayein Gain
Kabhi Aankhon Main Jhaank Kar Dekhiey
Hazaroon Alfaaz Khud Ba Khud Bekhar Jayein Gain

Asif
02-14-2007, 11:45 PM
Aankhon men raha dil men utar kar nahi dekha
Kashti ke musafir ne samandar nahi dekha
Patthar mujhe kehta hai mera chahne wala
Main maum hun usne mujhe chhukar nahi dekha
_________________

Asif
02-14-2007, 11:45 PM
Ankhen apki ho, par ansu mere
Zindagi apki ho, par sanse meri
Dil apka ho, par dharkan meri
Zindagi ke akhri mor par dua hogi yahi
Kafan apka ho, aur maut meri
_________________

Asif
02-14-2007, 11:46 PM
Khushbuu hai vo to chhuu ke badan ko guzar na jaaye
jab tak mere vajuud ke andar utar na jaaye


Khud phuul ne bhii honTh kiye apane niim-vaa
chorii tamaam rang kii titalii ke sar na jaaye


is Khauf se vo saath nibhaane ke haq mein hai
khokar mujhe ye larakii kahiin dukh se mar na jaaye


palkon ko us kii apane dupaTTe se ponch duun
kal ke safar mein aaj kii gard-e-safar na jaaye


main kis ke haath bhejuun use aaj kii duaa
qaasid havaa sitaaraa koii us ke ghar na jaaye

Asif
02-14-2007, 11:46 PM
Hay agarchay shehar main apni shanasai bohat
phir bhi rehta hay humain ehsaas-e-tanhai bohat

ab yeh socha hay k apni zaat main simtay rahain
hum nay kar k daikh li sub say shanasai bohat

moun chupa kar aasteen main dair tak rotey rahey
raat dhalti chandni main uski yaad aayi bohat

qatra qatra ashk-e-gham aankhoun say aakhir beh gayey
hum nay palkoun ki unhain zanjeer pehnaai bohat

apna saaya bhi juda lagta hay apni zaat say
hum nay is dil say lagaaney ki saza paayi bohat

ab to sail-e-dard tham jayey, sukoon dil ko miley
zakhm-e-dil main aachali hay abgehraai bohat~!!

Asif
02-14-2007, 11:46 PM
Hamein Hanste Hanste Yun Rona Para Hai
K Kanton K Bister Per sona Para Hai

Jisay aina maan rakha tha dil ne
usay aaj beaks hona para hai

tumhein rezah rezah sameta hai lekin
Hatheli ko khoon mein dabona para hai

hari ho skae dard-e-kheti teri phir
hamein la taluq sa hona para hai

dhundla na dalein yeh waswas-e-badil
to kirno se suraj ko dhona para hai

Sar-e-aam jab le he aaye ho qisay
mujhe lab zehar mein bhigona para hai

jo aankh ka noor ban k raha tha
zamanay ki khatir woh khona para hai

Asif
02-14-2007, 11:46 PM
Barson ke baad dekha, Aik shakhs Dilruba saa
Ab zehen mein naheen hai , per naam tha bhala saa

Ubroo khichey khichey sey, Aankhain jhuki jhuki see
Baatein ruki ruki see , Lehja thaka thaka saa

Alfaaz thay ke Jugnoo, awaaz ke safar mein
Bun jaaey jungalon mein jaisey ke Raasta saa

Khawabon mein khawab Uss ke, Yaadon mein yaad uss ki
Neendon mein ghul gaya ho jaisey ke rat-jaga saa

Pehley bhi zindagi mein, kitney hee loug aaey
Woh her tarha sey lekin, auron sey tha juda saa

Agli muhabboton ne, woh na-muraadian deen
Taaza Rifaaqaton sey, Dil tha dara dara saa

Ab such kahein tou yaaro, Hum ko khaber naheen thi
Bun jaaey ga qayamat, Aik waaqaya zara saa

Taywer thay berukhi key, andaaz dosti ke
Woh ajnabi tha laikin, lagta tha Aashna saa

Asif
02-14-2007, 11:46 PM
Mar kay bhi wada apna na tudain **
Ik dujy ka saatha kabhi na chdain **
Apna tu sadion janmon ka nata hay
Jan ko jan say kon juda ker pata hay

Asif
02-14-2007, 11:47 PM
duaa karo ki ye paudhaa sadaa haraa hii lage
udaasiyo.n se bhii cheharaa khilaa-khilaa hii lage

ye chaa.Nd taaro.n kaa aa.Nchal usii kaa hissaa hai
ko_ii jo duusaraa o.De to duusaraa hii lage

ajiib shaKhs hai naaraaz hoke ha.nsataa hai
mai.n chaahataa huu.N Khafaa ho to vo Khafaa hii lage

nahii.n hai mere muqaddar me.n raushanii na sahii
ye khi.Dakii kholo zaraa subah kii havaa hii lage

Asif
02-14-2007, 11:47 PM
Kaantoun Ki Chuban Payee, Phooloun Ka Mazah Bhi
Dil Dard Ke Mausam Mein Roya Bhi Hassa Bhi...
Her Ek Se Manzil Ka Pata Pooch Raha Hay
GumRaaH Mere Saath Hua RahNuma Bhi

Asif
02-14-2007, 11:47 PM
vo gul_farosh kahaan ab gulaab kis se luun
nahiin rahaa meraa saaqii sharaab kis se luun


terii talaash mein is umr-e-mustu'ar ke saal
jo raayegaan gaye un kaa hisaab kis se luun


hayaat Khud hai savaal aur Khud javaab apanaa
savaal kis se karuun main javaab kis se luun

kisii ke naam jo mansuub abhii nahiin kii thii
main apanii khoii huii vo kitaab kis se luun


tumhaare baad na dekhuun tumhaare jaison ko
to ye shabiin ye umangen ye Khvaab kis se luun


nashaakashii se bii le luun 'Shaoor' aaj magar
vo roz-e-abr-o-shab-e-maahataab kis se luun

Asif
02-14-2007, 11:48 PM
udas logoon sa pyar karna ..koi tu seekhay
safaid lamhoon mai rang bharna koi tu seekhay


koi tu aye khizan mai pattay uganay wala
gullon ki khushboo ko qaid karna koi tu seekhay

koi dikhay mohabbatoon ka sarab muj ko
meri nighahoon sa baat karna koi tu seekhay


koi tu aye nai rutoon ka payam la kar
andhairy ratoon mai chand banna koi tu seekhay


koi paighumbar koi imam ay zaman hi aye
aseer zehnoon mai soch bharna koi tu seekhay

Asif
02-14-2007, 11:48 PM
Mouheetay ishiq mayin pahla kadam hay akree manzil
yahan her a-nay wala fareegay anjam ata hay
Na janay kia bijjle bharie hay chand hourfoo main
tarap jata hay dil jab lab pay on ka nam ata hay

Asif
02-14-2007, 11:48 PM
Jane kis dais se aayein hain parinde ab ke
Pichle mausam ki kisi fahrist mein
In parindon ka kahin nam pata derj nahin
Sahme sahme huyy
Dum sadhe huai baithe hain
Dabdabayee huyee aankhon mein
Ajab khauf sa hai
Danah chugtein hain
Na pani ki taraf kerte hain rukh
Be watan hone ka ehsas hai shayd un ko
Yaa bahut lambi musafat ke thake mande hain
Yaa kisi sadme se dil baith gaya hai unka
Yaa saza kat ke aayy hain
Bahut lambi saza
Yaa abhi aur lambi saza baqi hai
Or Safar Jaari Hay~!!

Asif
02-14-2007, 11:48 PM
Guzray Huay Taweel Zamanay Kay Baad Bhi
Dil Main Raha Woh Choor Kay Janay Kay Baad Bhi
Pehlu Main Reh Kay Dil Nay Dia Hai Bohat Faraib
Rakha Hai Us Ko Yaad Bhulanay Kay Baad Bhi

Asif
02-14-2007, 11:49 PM
Kuch kernay bathoon too nazar aati ho tum
Kuch likhnay bathoon too nazar aati ho tum
Yunhi rah chaltay chaltay ruck jata hon
Jab samnay dekhoon too nazar aati ho tum
Ye meri dewangi nahin too or kiya hai
Jab shisha dekhoon too nazar aati ho tum
Meri chahat ka ab too kero yaqeen Aamir
Mujh main tum, meri shairy main nazar aati ho tum

Asif
02-14-2007, 11:49 PM
yun hi hansi hansi main
hum dilon se khel jate hain
koi ****i si teekhi baat
koi chubhta hoa jumla
koi zehar aalod lehja
koi be zaraz domani baat
sunne wale ke dil par ghao laga jaati hai
phir kitene hi talafi ke marham lagao
qatrah qatrah khon
tapakta hi rehta hai
woh ansoo
jo aankh se girta hi nahin
andar hi andar jam jaata hai
barf par gire garam mom ke qatre ki tarah
aur woh barf toh shayed
waqt ki garmi se pighal jaati hai
magar woh qatra
jab bhi pighalne lagta hai phail jaata hai
badh jaata hai bas khatam nahin hota
aur
yun hi hansi hansi main
hum dilon se khel jaate hain

Asif
02-14-2007, 11:49 PM
Khud Ko Mujh Main Sama Kar To Dekho

meri shab-e-hijr main meri ankh ki nami main ho
kabhi mery angan main aa ker to dekho

mery khuwab-o-khayal main mery sapnon k jal main ho
kabi mery khuwabon main aa ker to dekho

mery dukh-o-dard main mery har tassavor main ho
kabhi meri soch main aa ker to dekho

meri tanhai sham-o-seher main mery din rat main ho
kabhi ak din guzar ker to dekho

mery jism-o-jan main meri her saans main ho
khud ko mujh main sama ker to dekho

mery rooh-o-jan main mery her andaz main ho
mery sang zindagi guzar ker to dekho

Asif
02-14-2007, 11:50 PM
us bevafaa kaa shahar hai aur ham hain doston
ashk-e-ravaan kii nahar hai aur ham hain doston


shaam-e-aalam Dhalii to chalii dard kii havaa
raaton kaa pichhalaa pahar hai aur ham hain doston


aankhon mein urr rahii hai luTii mahafilon kii dhuul
ibrat bara-e-dahar hai aur ham hain doston


ye ajanabii sii manzilen aur raftagaan kii yaad
tanha_iiyon kaa zahar hai aur ham hain doston

Asif
02-14-2007, 11:50 PM
Mujhey Be_rukhi uss ki yeh Tanhai maar dalay gi
kano main chubti hui yeh Sehnai maar dalay gi

Sab ko khabar hai mairay Jazbon ki shiddat ka
Phir bi uss ney mujhey thukraya yeh Ruswai maar dalay gi

Koi aks koi jhalak uss ki nazar aajaye
Rahon main bhatakti yeh Beenai maar dalay gi

Jo zakhmon sy choor hotey hain baray mashoor hotey hain
Nakami main mili mujhey yeh Pazeerai maar dalay gi

Kaya khabar thi ishq main yeh haal hoga maira Prince
Apni halat pe mujhey yeh Jag_hansai maar dalay gi

Asif
02-14-2007, 11:50 PM
Har khushi lagne lagi hai parai
Har gham se pyar hone laga
Jab se jana hai raz-e-zindagi hum ne
Bazm-e-jahan se aitbar uthne laga

Asif
02-14-2007, 11:50 PM
Tuu ne ye phuul jo zulfo.n me.n lagaa rakhaa hai
ik diyaa hai jo a.Ndhero.n me.n jalaa rakhaa hai


jiit le jaaye ko_ii mujh ko nasiibo.n vaalaa
zindagii ne mujhe daa o pe lagaa rakhaa hai


jaane kab aaye ko_ii dil me.n jhaa.Nkane vaalaa
is liye mai.n ne Girebaa.N ko khulaa rakhaa hai


imtehaa.N aur merii zabt kaa tum kyaa loge
mai.n ne dha.Dakan ko bhii siine me.n chhupaa rakhaa hai

Asif
02-14-2007, 11:51 PM
Kiya jo aap ne phir ijtanaab phooloon se
Uthe ga roz-e-hashar naya inqalaab phooloon se
sang-e-wehshat agar dostee ka haasil hain
ham ahl-e-zarf hain dain ge jawab phooloon se

Asif
02-14-2007, 11:51 PM
Chaand Taaron Se Sajee Raat Bhalaa Kya Maange
Jis Ko Mil Jaaye Tera Saath Bhalaa Kya Maange

Lab Pe Aayi Na Duaa Aur Qubool Ho Bhi Gayee
Ab Duaaon Mein Uthey Haath Bhalaa Kyaa Maange

Jis Ke Khwaabon Ki Ho Takmeel Usey Kya Gham Ho
Mil Gayee Jis Ko Kaainaat, Bhalaa Kya Maange

Manzil-e-Ishq Se Aage Bhi Qadam Kya Jaaye
Rang-e-Mehndi Se Saje Haath Bhalaa Kya Maange

Paa Liyaa Jis Ke Andheron Ne Roshni Ka Sabab
Us Ke Mehke Huve Jazbaat Bhalaa Kya Maange

Asif
02-14-2007, 11:51 PM
Har Ek SaWaL Ka MeiN UsKo JaWwAb KyA DeTa..........
MeIn Ek eK ZaKhM Ka UsKo HiSaB KyA DeTa.........
Jo0 Ek LaFz Ki KhuShBu Na RaKh SaKa MeHfo0zzzzz....
meIn UsKaY HaaTh Mein puRi Kitab kyA deTa..........

Asif
02-14-2007, 11:51 PM
Tum raaz agar hotay main dil main chupa leti
Muskati hui aankhein elaan na ban jayein
Jab naam tera aata palkoun ko jhuka leti

Tum meri taraf chal ker jis raah se b aatay
Har simt meri aankhein kadmou k talay paatay
Ek meethi hansi hans ker, so phool khila jaatay

Yeh phool uthaa leti, rangon main naha leti
Tum raaz agar hotay main dil main chupa leti

Tum meri umeedoun ki kashti k liye saahil
Mazil k liye rasta, aankhoun k liye kajal
Tum dhoop main jab aatay, ban jati waheen badal

Awaz agar hotay geeton main saja leti
Tum raaz agar hotay main dil main chupa leti

Asif
02-14-2007, 11:52 PM
aa k wabasta hain oos husan ki yaday tujh say
jis nay is dil ko pari khana bana rakha hay
jis ki ulfat main bhula rakhy thy duniya ham nay
dair ko dahar ka fasana bana rakha tha
ashna hain taray qadmoo sy wo rahain jin par
oos ki madhosh jawani ny unayat ki hay
karwan guzray hain jin say oos ranay k
jis ki oon aankhoo ny baysood abadat ki hay
tujh say kahaly hain wo mahboob hawain jin main
oos k malboos ki afsoorda mahak baqi hay
tujh par bhi barsa hy oos baam say mahtab ka noor
jis main beety hoy ratoo ki kasak baqi hay
tu ny dakhy hain wo payshany,wo rookhsar,wo hoant
zindigi jin k tasawar main ganwa di ham ny
tujh pay uthy hain wo kohy hoy sahar aankhay
tujh ko maloom hay kuen omar ganwa di ham nay
ham pay mushtarka hain ahsan ghuma ulfat k
itnay ahsan k ginwaoo to ginwa na sakoo
ham nay is ishq main kya khoya hay kya sikha hay
juz tary kisi aur ko samjaoo to samjha na sakoo

Asif
02-14-2007, 11:52 PM
Koi sath chalay ya na chalye
Rah chor bhi day ya chalta rahye
Zindagi Shart hai

Per'oon kay patoon ki tarhaan
Ek kooray kagaz ki tarhaan
Zindagi Shart hai

Woh patta jo hawa kay hi simth tha
Woh kagaz jo insaan khod hi jalata
Zindagi Shart hai

Zindagi aik aisa hai mela
Jahan haar insan hia doorta
Koi kisi kay liyea nahin tharta
Koi kisi ka nahin hai yahan
Zindagi Shart hai

Lekin koi sath chaley ya na chalye
Rah chor hi day ya chalta rahye
Insaan ko yea hi chaiyea
Kay woh khood akela sedha rahye
Iss zindagi ki rah par

Phir zidagi shart kahan
Hai khushiyan hi yahan
Haan zindagi aik aysi shart hai
Jahan khoshiyan dhondnay say milti hai
Yea aik aysi anmool sharat hai
Jisay insaan ko nibhana hai
Zindagi Shart hai

Asif
02-14-2007, 11:53 PM
ao ki ko_ii Khvaab bunen kal ke vaaste
varanaa ye raat aaj ke sangiin daur kii
Das legii jaan-o-dil ko kuchh aise ki jaan-o-dil
taa-umr phir na ko_ii hasiin Khvaab bun saken

go ham se bhaagatii rahii ye tez-gaam umr
Khvaabon ke aasare pe kaTii hai tamaam umr
zulfon ke Khvaab, honThon ke Khvaab, aur badan ke Khvaab
meraaj-e-fan ke Khvaab, kamaal-e-suKhan ke Khvaab
tahaziib-e-zindagii ke, faroG-e-vatan ke Khvaab
zindaaN ke Khvaab, kuuchaa-e-daar-o-rasan ke Khvaab

ye Khvaab hii to apanii javaanii ke paas the
ye Khvaab hii to apane amal ke asaas the
ye Khvaab mar gaye hain to berang hai hayaat
yuuN hai ki jaise dast-e-tah-e-sang hai hayaat

aao ki koii Khvaab bunen kal ke vaaste
varanaa ye raat aaj ke sangiin daur kii
Das legii jaan-o-dil ko kuchh aise ki jaan-o-dil
taa-umr phir na koii hasiin Khvaab bun saken

Asif
02-14-2007, 11:53 PM
Mere mehboob ki mehfil main
Jamah hai khush-aamdiyun ki fauj
Apna apna dawa-e-mohabbat le ker
Kisi ne kaha k main jaan luta dounga
Kisi ne kaha k ek taj mahal bana dounga
Kisi ne umr bhar wafa kerne ki kasam khayi
Kisi ne kadmoun main damm torne ki aarzoo ki
Meri taraf ishaara ker k sab ne mil ker
Mazak se kaha ...
Hazoor aap b kuch farmaiye
Main bass itna hi keh saka
"Sab jhoot bolte hain"

Asif
02-14-2007, 11:53 PM
bus kuch din or zindigi
is shehar mai baqi rahi

aanay lagi ab yaad teri
nazdek hai kia milan ki ghari

itna bata day tu mujhe
urnay lagi q nend meri

tujh say milnay ki tarap hai ye
ya gham-e-judai mai mubtala ho mai

Asif
02-14-2007, 11:53 PM
Jo uss k samanay mera ye khaal aajaye
to dukh say aur b aseer-e-jamaal aajaye

mera kheyaal b gongroo pehan ker nachay ga
Aghar kheyaal ko tera kheyaal aa jaye

her aik shaam naye aasper garay gee
hamaray haath aghar teri shaal aajaye

main apnay gham k hazanay kaha chapawo ga
aghar kahi say koye under maal aajaye

inhi dino wo meray saath chaaye peeta tha
kahin say kaash mera pichla saal aajaye

her aik baar naye dhang say sajaye tumhein
jo ekhteyaar main phoolo ki daal aajaye

Asif
02-14-2007, 11:54 PM
Pathar k Khuda wahan b paaye
Hum chand se aaj laut aaye

Deewarein to har taraf khari hain
Kya ho gya meherban saaye !

Jungli ki hawaein aa rahi hain
Kagaz ka yeh sheher urr na jaye

Laila ne naya janam liya hai
Hai QAIS koi jo dil lagaye

Asif
02-14-2007, 11:54 PM
Pooch Lo Tum Bhi Iss Zamaane Se,
Pyaar Chhupta Nahin Chhupane Se


Paas Aate Ho *****e Ho Baat Karte Ho,
Kabhi Matlab Se Kabhi Bahane Se.


Pyar Dil Mein Hai To Laao Zabaan Pe,
Aag Badhti Hai Ye Bujhane Se.


Tumhein Na Paana Shayad Behtar Hai,
Paa Ke Phir Se Tumhein Ganwane Se.


Chalo Ek Dua To Apni Poori Huye,
Mil Liye Apne Ek Deewane Se.


Roye Jaate Ho, Bas Roye Jate Ho,
Kya Hoga Ye Dhan Lutane Se.


"Prince"Karo Koshish Ki Kurbatein Hee Rahein,
Dooriyan Badh Jaati Hain Badhane Se.

Asif
02-14-2007, 11:54 PM
Kisi Din , Chahtey Hain
Chupkey se Ham Uss ke Zeeney Par
Koi Jalta Diya,
Kuch Phool
Rakh Aayein
ke Apney Bachpaney mein
Wo Andheroo'n se bhi Darta Tha
Ussey Phooloo'n ki Khushboo sebhi Raghbat Thi
Bohat Mumkin Hai, Ab Bhi
Shab ki Taareeki Se Uss ko Khaof Aata ho
Mehaktey Phool Shayed Baais-e-Taskeen Ab Bhi Ho'n
So Iss Imkaan par
Ik Shaam Uss ke Naam Kartey Hain
Chalo Yeh Kaam KArtey Hain !

Asif
02-14-2007, 11:54 PM
Kyun zindagi ki raah main majboor ho gaye
Itne hue kareeb k hum door ho gaye

Aisa nahee k hum ko koi b khushi nahee
Lekin yeh zindagi to koi zindagi nahee
Kyun is k faasle hamein manzoor ho gaye

Paya tumhein to hum ko laga tumko kho diya
Hum dil pe roye aur yeh dil hum pe ro diya
Palkoun se khuwab kyun gire kyun choor ho gaye

Asif
02-14-2007, 11:55 PM
Mujhay zindagi ki talash thi
So main !
Chal para andekhi rahon per
Jahan shocha tha !
Khushbhoo ka safar hoga
Mohabbaton ki barsat hogi
Ttitli..phool..kalyaan aur chandni
Mere saath hogi !
Khuabon ki takmeel hogi
Zinadagi !
Tujhay paanay aur jeenay k liye
Main chal para andekhi rahon per
Lekin !
Main yeh bhol hee gaya tha!
K !
Khain dorr chalay janay say
Qismat badal nahi jati
Taqder main hoon agar aanso to!
phir
Mohabbatain raas nahi atin!
so Aay zindagi...
Tujhay guzaar diya mainay!
TUJHAY PAANAY K LIYE!!!!!!!!!!

Asif
02-14-2007, 11:55 PM
Hum to yun apni zindagi se mile
Ajnabi jaise ajnabi se mile

Har Wafa ek jurm ho gya
Dost kuch aisi be-rukhi se mile

Phool hi phool hum ne maange thay
Daag hi daag zindagi se mile

Jis tarah aap hum se milte hain
Aadmi yun na aadmi se mile

Asif
02-14-2007, 11:55 PM
lou apna jahaan dunya walo, hum is dunya ko chorr chalay
jo rishtay naatay jorray they woh rishtay naatay torr chalay

kuch sukh kay sapnay dekh chalay, kuch dukh kay sapnay jhail chalay
taqdeer ki andhi gardish nay jo khail khilaaye, khail chalay

her cheez tumhari louta dii hum lay kay nahin kuch saath chalay
phir dosh na dena ay logo hum dekh lo khali haath chalay

yeh raah akailii kat-ti hai yaaan saath na koi yaar chalay
uss paar na-janay kya payen iss paar tou sub kuch haar chalay

Asif
02-14-2007, 11:56 PM
Suno Tum Lot Aao Na
Jahan tum ho wo dunia kab tumhari hai
K soraj dhal gaya ha
Aur Haseen ik sham utri hai
wo dekho chand nikla hai sitary jagmgaey hain
Humari Muntazir Ankhen Duaian mangti Ankhen
Tumhain hi sochti Ankhen
Tumhain hi Dhondti Ankhen
Tumhain Wapis bulati hain
Tumara Aks phir shaid
Meri palkon main utra hai
Koi Ansoo ager aya
Baha ker ab na le jaey
Ye Dil jab bhi dharkta hai tumara nam Leta ha
Ye Ansoo jab bhi behty hain Tumharay dukh main behty hain
K barish jab bi hoti ha tumhay hi yad karti ha
Khushi koi jo aaiea gi tumary bin adhoori ha

Suno Tum Lot Aao Na
Suno Tum Lot Aao Na !!!

Asif
02-14-2007, 11:56 PM
ajnabee cheharon ke phaile huai iss jangal mein
daurhte-bhaagte lamhon ke dareechon se kabhee
ittifaaqan teree maanoos shabaahat kee jhalak
pard-e-chashm-e-takhyyul pe ubhar kar ai dost
doob jaatee hai usee pal,usee saa'at, jaise
tez-rau rail kee khirhakee se,zaraa dooree par
kisee seharaa kee jhulastee huee veeraanee mein
naagahaan manzar-e-rangee koee dam bhar ke liye
ik musaafir ko nazar aaye aour ojhal ho jaaye

Asif
02-14-2007, 11:56 PM
Jo mujh se pocha hai aj tum ne
k main tumhara hoon kia, batao

tu khud hi socho....tum aik pal ko
bhala main kese tumhain bataon

hai tum se mera wohi taaluq
jo apnay saaye se hai shajar ka

wohi jo khursheed se Qamar ka
gulloon se hota hai jo mehak ka

kisi ki ankhon k mast dorroon se
us k mehboob ki jhalak ka

main hon badan tu tum is ki jaan ho
bahar mosam ki tarjuman ho

Lahoo ki soorat meri ragon main
her aik lamha rawan dawan ho

Namaz hon main tu tum azzaan ho
makeen hon main tu tum makaan ho
zameen hon main tum asman ho

wohi taaluq hai tum se mera
jo dill se hota hai dherkanon ka

khumaar se jo me-kashoon ka
jo shaiyeroon se hai me-washoon ka

jo husn walon se dil jalon ka
jo raston se hai manzilon ka

azal se dharti se perbaton ka
wohi jo sagar se sahiloon ka

jo rooh se hai kisi badan ka
wohi jo chanda se hai keran ka

jo baghban se kisi chaman ka
hai guftagoo se kisi dehan ka

jo barshon se zameen ka hai
ebadaton se jabeen ka hai

wohi taaluq....

azal se apnay bhi dermiyan hai
tumhi baharon ki dilkashi ho

tumhi tu ankhon ki roshni ho
jo such kahon tu meri khushi ho

tumhi ujala..tumhi saba ho
tumhi arzoo ho tumhi wafa ho

tamam jazbon ki inteha ho
tu kiun na tum per yeh dil fida ho?


batao janaan ! hai itna kafi?
k or kuch bhi tumhain bataon

jo ho sakay tu khayal rakhna
tumhara mujh se wohi hai rishta

mallaaika se jo bandagi ka
jo mernay walon se zindagi ka

samandron se jo seep ka hai
wohi jo ankhon se deep ka hai...

BHALA MAIN KAISEY TUMHAIN BATAOON~!!

Asif
02-14-2007, 11:57 PM
Teray faraq kay lamhay shumaar kartay howay
Bikhar gaey hain tera intazaar kartay howay
To main bhi ***h hoon koi us say ja kar keh dey
Ager wo ***h hay mujhay bay qaraar kartay howay
Main muskurati hoi aainay main ubhroon gee
Woh ro paray ga achanak singhar kartay howay
Tujhay khaber he nahi koe toot gaya hai
Mohabbatoon ko bohat paedaar kartay howay
Woh kah rahe the sumander nahi hai aankhoon main
Main un main doob gaya aitabaar kartay howay
Mujhay khaber thi kay ab loot kar na aao **
Tuj ko yaad kia dard paar kartay howay
_________________

Asif
02-14-2007, 11:59 PM
hai tum se mera wohi taaluq
jo apnay saaye se hai shajar ka

wohi jo khursheed se Qamar ka
gulloon se hota hai jo mehak ka

kisi ki ankhon k mast dorroon se
us k mehboob ki jhalak ka

main hon badan tu tum is ki jaan ho
bahar mosam ki tarjuman ho

Lahoo ki soorat meri ragon main
her aik lamha rawan dawan ho

Namaz hon main tu tum azzaan ho
makeen hon main tu tum makaan ho
zameen hon main tum asman ho

Asif
02-15-2007, 12:00 AM
cheharon kii dhuup aankhon kii geharaaii le gayaa
aaiinaa saare shahar kii biinaaii le gayaa

Dube huye jahaaz pe kyaa tabsaraa karen
ye haadasaa to soch kii geharaaii le gayaa

haalaanki bezubaan thaa lekin ajiib thaa
jo shaKhs mujh se chhiin ke goyaaii le gayaa

is vaqt to main ghar se nikalane na paauungaa
bas ek kamiiz thii jo meraa bhaaii le gayaa

jhuuTe qasiide likhe gaye us kii shaan mein
jo motiyon se chhiin ke sachchaaii le gayaa

yaadon kii ek bhiir mere saath chhor kar
kyaa jaane vo kahaaN merii tanhaaii le gayaa

ab asad tumhaare liye kuchh nahiin rahaa
galiyon ke saare sang to saudaaii le gayaa

ab to Khud apanii saansen bhii lagatii hain bojh sii
umron kaa dev saarii tavanaaii le gayaa

Asif
02-15-2007, 12:00 AM
DAastan-e-Gham-e-Dil un ko sunayi bhi na gayi
Baat bigree thee kuch aisi k banayi bhi na gayi

Sab ko hum bhool gaye josh-e-junoon main lekin
Ek teri yaad thee aisi k bhulayi bhi na gayi

Ishq per kuch na chala diida-e-tar ka jaadu
Us ne jo aag laga di woh bhujayi bhi na gayi

Kya uthaaye gi sabaa khaak meri us darr se
Yeh qayamat to khud un se bhi uthayi na gayi

Asif
02-15-2007, 12:00 AM
AANKHO MAI RAHA DIL MAI UTAR KER NAHI DEKHA
KASHTI K MUSAAFIR NE SAMANDER NAHI DEKHA

BEWAQT AGER JAOONGA SAB CHONK PERHENGE
ARSA HUA DIN MAI KABHI GHER NAHI DEKHA

JAB SE SAFER MAI HOO MERI MANZIL NAZAR MAI HAI
AANKHO NE KABHI MIL KA PATHAR NAHI DEKHA

PATHER MUJE KEHTA HAI MERA CHAAHNE WALA
MAI MOM HOO USNE KABHI CHOOKER NAHI DEKHA

Asif
02-15-2007, 12:01 AM
DOOR UFAAQ PE LAHRAEE KOWEE NOOR KEE LAHAR
KHAWAB HEE KHAWAB MAIN BAYDAAR HOWA DARD KAA SHAHAR
ADAM ABAAD-E-JUDAEE MAIN SAHER HONAY LAGEE
KASA-E-DIL MAIN BHAREE APNEE SABOOHEE MAINAY
GHOL KAR TALKHEE DAYROZ MAIN AMROZ KAA ZAHER
DOOR AFAAQ PAIH LAHRAEE KOWEE NOOR KEE LAHAR
ANKH SAY DOOR KISEE SUBH KEE TUMHEED LEAY
BAY KHABAR GUZREE PARAYSHANEE--E- UMEED KAY LEAY
GHOL KAR TALKHEE-E-DAYROZ MAIN AMROZ KAA ZAHER
HASRAT-E-ROZ-E-MULAKAAT RAKAM KEE MAYNAY
DAIS PER DAIS KAY YARAAN-E-KADAH KHAAR KAY NAAM
HUSSN-E-AFAAQ JAMAL-E-LAB-O-RUKHSAAR KAY NAAM

Asif
02-15-2007, 12:01 AM
Tumharay shehar ka musam bara suhana lagay
Main aik sham chora *** ageer bura na lagay

Tumharay bas main ager ho to bhol jaoo hamain
Tumhain bhulanay main shayad hamain zamana lagay

Jo dobna hay to itnay sakon say dobo
Kay aas pas ki lahron ko bhi pata na lagay

Hamaray piyar say jalnay lagi hay ab dunya
Dowa karo kisi doshman ki bad duwa na lagay

Najanay kai hay kisi ki udas ankhon main
Nazar bacha kay bhi guzray to be wafa na lagay

Asif
02-15-2007, 12:01 AM
Na milta Gham to barbaadi ke afsaanay kahaan jaatay
agar duniyaa chaman hoti, to viraanay kahaan jaatay

chalo achaa huaa apnon mein koi Ghair to niklaa
agar hotay sabhi apanay, to begaanay kahaan jaatay

duaaien do mohabbat ham ne mit kar tum ko sikhlaa di
na jalati shamaa mehfil mein to parvaanay kahaan jaatay

tumhin ne Gham ki daulat di baraa ehsaan farmaayaa
zamaanay bhar ke aagay haath phailaanay kahaan jaatay~!!

Asif
02-15-2007, 12:02 AM
ishq karna hai to ye ahad bhi karna hoga
ab na khushiyon ka guzar is tarah assan hoga

ham pukarenge tumhe tum pe hai aao ki nahi
ham ko bas ek yahi intezaar karna hoga

raat mahkegi jo kabhi jaise phool juhi ka
aur ham jaan lenge yaad aaj kiya hoga

aur jab koi darkht hamko yun saya dega
meri tasveer pe saya vahan tera hoga

hichkiyan hotin agar yaad ki to mar jaate
sara waqt yaad mujhe toone to kiya hoga

aur bhi jeena hai ye soch ke dar lagta hai
tere bin jeena to bas mout se badtar hoga

Asif
02-15-2007, 12:02 AM
Hum to woh log hain jo
Na kisi k dast-e-shumar main hain
Na kisi ki nigah k hisar main hain

Yoon jaisay koi ho sadyoon ka bay unt safar
Sahra sahra phirta koi khak-e-basar
Kiya poochtay ho k kon hain hum
Jaan lo humain to tumhain maloom ho
Hum to woh log hain jo jeevan day kar b
Kisi k dil main maskan na bana paey
Yoon jaisay koi madham c kiran
Kisi rozan say ubhray,aor doob jaey
Jaisay aik na-mahsoos c chubhan
Jo zindagi k seenay main,sada dair tak
Chubhti hi rahay,dil ki dhadkan say baghawat karay
Aor daar chadhay

Kiya batlaein hum kon thay aor kiya hain aab
K hum to kisi yaad main nahii hain yaar say
Kisi ki rouh main dhadkatayhoway dildar say
Hum to jugnoo bhi nahi hain
K kisi ki aankh main chamkatay
kisi ko sanwartay

Hum to aansoo ki tarah hain
Aankh say tapkay aor doob **
Ghar say niklay aor
bay simat musafat main
Mohabbat ki aas main
darbadar phirtay howay
Kisi bay naam shaam ki nazar howay

Ik masalsal aor dukh rah ka safar howay
Ik masalsal aor dukh rah ka safar!

Asif
02-15-2007, 12:03 AM
ye mumkin hai hamare darmiyan
galat fehmi bhi na rehti
jo apne dil mein ****i si
khalish hai khatam ho jati
bata deta ke mujh ko aaj bhi os ki zaroorat hai
jo iss jeewan ka hasil hai to bas os ki mohabbat hai
bata deta ke logon ki sabhi baten fasane hain
sabhi qisse purane hain
mein keh deta zara si baat par yon roothna acha nahen hota
mohabbat karne walon mein
galatfehmi to ho sakti hai par jhagra nahen hota
mein har aik baat keh deta
khalish bhi door hojati
mein os ka hath pakre yon hi os ka hum qadam rehta
wo agey hath to karta
wo mujh se baat to karta

Asif
02-15-2007, 12:03 AM
Kaun kehta hay k maut aayi to marjaoonga
main to darys hoon samandar main utar jaoonga

Tera darr chaurh k main aur kidhar jaoonga
ghar main gir jaoonga, sehra main bikhar jaoonga

Ab teray shehar main aaonga musaafir ki tarah
saya-e-abr ki maanind guzar jaoonga

Tera paimaan-e-wafa raah ki deewaar bana
warna socha tha k jub chahoonga mar jaoonga

Ab to khursheed ko doobey huay sadiyaan guzreen
ab usey dhoondney main taa ba sehar jaoon ga

Zindagi shamma ki tarah jalaata hoon Nadeem
bujh to jaoonga magar subh to kar jaoonga~!!

Asif
02-15-2007, 12:03 AM
Tootey huay beydard
khuwaboun ki kirchiyaan
samaitey samaitey
aik lamhey k liyey
mera dil chaha
kay
main bhi
inhi ki tarah
toot kar
hazaaroun tukrhoun main bikhar jaoon
Aur koi mujhay
taahayaat bhi
mukammal naa karsakey~!!
_________________

Asif
02-15-2007, 12:04 AM
Tujhay Khaber He Nahi....
Teray faraq kay lamhay shumaar kartay howay
Bikhar ** hain tera intazaar kartay howay
Tou main bhi khush hoon koi us say ja kar kah day
Ager wo khush hay mujhay bey qaraar kartay howay
Main muskurati hoi aainay main ubhroon gi
Woh ro paray ga achanak singhar kartay howay
Tujhay khaber he nahi koe toot gia hay
Mohabbatoon ko bohat paedaar kartay howay
Woh kah rahe the sumander nahi hai aankhoon main
Main un main doob gai ahtabaar kartay howay
Mujhay khaber thi kah ab loot kar na aaon **
Tuj ko yaad kia dard paar kartay howay

Asif
02-15-2007, 12:04 AM
be aitbaryon ka mosam
be ikhtyaryon ka mosam
be aitnayon ka mosam
mere dil ke band dareeche par
aa kar teher gaya hai
kabhi jo tum
in be aitbayon ko
be aitnayon ko
khatam karna chaho to
mere dil ke band dareeche par
hole se dastak de kar
dekh lena
shayad
mere dil ke band darwaze mein
tumhen koi rozan nazar aa jaye
is rozan ko bhi mein ne
kuch iss tarha se
bhar diya hai ke
ab
mere dil ki rozan mein bhi
koi rozan nahen hai

Asif
02-15-2007, 12:05 AM
Udasi tum usay kehna
Hawa key hath mein kuch bhi nahi hey
Aur
Sada weran phirtee hey
Tera bichra howa
Ujhrey howay shehroon mein akser bhagta phirta hey
Akser jagta phirta hey
So nahi paya hey
Aur udasi tum usay kehna
Tumhi dukh mein nahi ho
Hum bhi apni rakh
Hathoon mein liay aur siskiyaan leti howi Tanhayee key baal kholay bayn kerty hain

Udasi! Tum usay kehna
Tumhi dukh mein nahi tenha
Yahan bhi hawa key hath mein kuch bhi nahi hey
Khala jo zaat ki her char dewari key ander hey
Khabhi bhi bher na payee ga
Yahan bhi her sada Weeran phirty hey
Udasi tum usay kehna
Udasi tum usay kehna!

Asif
02-15-2007, 12:06 AM
Raat ki raani ki khushboo se koi ye keh de
aaj ki shab na mere paas aaye
aaj taskeen'e mashaam'e jaan ko dil ke zakhmon ki mehek kafi hai
ye mehek aaj sare shaam hi jaag uthi hai
ab yeh bheegi hui bojhal palkein
aur namnaak udaas ankhein liye
ratjaga aise manain gi ke khud bhi jage
aur pal bher ko main bhi na sone paon,
Deo'malai fasanon ki kisi muntazir'e mosam'e gul raajkumaari ki khizan bakht
dukhi rooh ki manind
bhatakne ke liye
koo ba koo abr'e pareshaan ki terha
jaye gi
door uftadah samander ke kinare bethi
pehron us simt takey gi jahan se aksar
us ke gum'gashtah jaziron ki hawa aati hai
gaye mosam ki shanasa khushboo
yoon rag'o pay main uterti hai
ke jaise koi chamkila rupehla sayyal
jism main aise saraiyet ker jai
jese sehraon ki sheryanon main
pehli barish
gher mehsoos sarosh'e nikhat
zehen ke haat main woh ism hai
jis ki dastak
yaad ke band darichon ko bari narmi se
aise khole gi ke aangan mera
har dariche ki alag khushboo se
rang dar rang chalak jaye ga,
yeh dil'aawaiz khazane mere
mere piyaron ki ataa bhi hain
mere dil ki kamaii bhi hain
in ke hote huey auron ki zaroorat kia hai
raat ki raani ki khushboo se koi yeh keh de
aaj ki shab na mere paas aaye.....

NonStopLeo
02-15-2007, 04:51 AM
Good Collection

Asif
02-15-2007, 08:19 AM
http://img403.imageshack.us/img403/8495/thayou14hm7.gif

Asif
02-15-2007, 08:24 AM
tum zamana ashna , tum sey zamana ashna
ore hum apney liye bhi ajnabi na ashna
rastey bher ki rafaqat bhi buhat hey jaan-e-haq
werna manzil per puhnch ker kon kis ka ashna

Asif
02-15-2007, 08:24 AM
Lahoo main rang kee surat basa hai taira khiyal
Main kis tarah tairi yadoo'n say faasla rakhoo'n

Kisi bhi shakhs say koi gharz nahi hai mujhay
Main sirf tairay liey sab say wasta rakhoo'n

Asif
02-15-2007, 08:25 AM
Andhairi raah-guzaaroN maiN
sitaarey ham ko mil jaatey
kinaarey ham ko mil jaatey
hazaaroN rang JeewaN maiN
mehektay khilkhilaa uth'tay
sabi shaa'maiN mehek uth'teeN
sabi subhai'n chamak jaateeN
meiN iss kam'zarf duniyaa say
kinaara kar kay chal parti
nina daikhay binaa samjhay
maiN uss kay saath chal parti
magar ye tab hi ho pataa
agar woo saath day daitaa..!!!

Asif
02-15-2007, 08:26 AM
phir aaj mujhe tum ko bas itanaa bataanaa hai
hansanaa hii jiivan hai hansate hii jaanaa hai

madhuban ho yaa gulshan ho patajhar ho yaa saavan ho
har haal mein insaan kaa ik phuul saa jiivan ho
kaanton mein ulajh ke bhii Khushbuu hii luTaanaa hai
hansanaa hii jiivan hai hansate hii jaanaa hai

har pal jo guzar jaaye daaman ko to bhar jaaye
ye soch ke jii len to taqdiir sanvar jaaye
is umr kii raahon se Khushiyon ko churaanaa hai
hansanaa hii jiivan hai hansate hii jaanaa hai

sab dard miTaa den ham, har Gam ko sazaa den ham
kahate hain jise jiinaa duniyaa ko sikhaa den ham
ye aaj to apanaa hai kal bhii apanaana hai
hansanaa hii jiivan hai hansate hii jaanaa hai

Asif
02-15-2007, 08:26 AM
bas ek waqt ka Khanjar meri talaash mein hai
jo roz bhes badal kar meri talaash mein hai

main qatra hon mera alag wajood to hai
hua kare jo samandar meri talaash mein hai

main dewata ki tarah qaid apne mandir mein
wo mere jism ke bahar meri talaash mein hai

main jis ke haath mein ik phool de ke aaya tha
usi ke haath ka patthar meri talaash mein hai

Asif
02-15-2007, 08:27 AM
aahat aahat intazar karkay dekhna
kabhie kisi say piyar karkay dekhna

tottay hain khon k rishtay bhi
ghalatiyan do char karkay dekhna

agar zindagi ka falsafa samajna ho
barrish main kachi deewar karkay dekhna

kayi janam beet jain ** ....
kabhie muhabat shumar kar k dekhna

Asif
02-15-2007, 08:27 AM
Aajeeb Shaam khadi hay Kahin Say Aajaoooo
Bari Uddas Ghari Hay Kahhin Say Aajao

Kissi Say Milna So Miltay Hi Pher BiChar Jana
Saza Yai Itni Bari Hay Kahin Say Aajao

Bohat Kathan Hay mEray Dost Hijer Ka MOsam
Judai Bol Pari Hay Kahin Say Aajao

Zamana Jiss Ko Samajhta Hay Motiyon ki Chamak
Wo Aasoon Ki Ladi Hay KAhin Say Aajaoo...

Asif
02-15-2007, 08:27 AM
vafaa ke shiish mahal mein sajaa liyaa main ne
vo ek dil jise patthar banaa liyaa main ne

ye soch kar ki na ho taak mein Khushii koii
Gamon ki oT mein Khud ko chhupaa liyaa main ne

kabhii na Khatm kiyaa main ne roshanii kaa muhaaz
agar chiraaG bujhaa, dil jalaa liyaa main ne


kamaal ye hai ki jo dushman pe chalaanaa thaa
vo tiir apane kaleje pe khaa liyaa main ne

'Qateel' jisakii adaavat mein ek pyaar bhii thaa
us aadamii ko gale se lagaa liyaa main ne

Asif
02-15-2007, 08:28 AM
Manzar badal gayey pasmanzar badal gayey
halaat apnay shehar k yaksar badal gayey
pehlay say khad-o-khaal naa pehlay say hain khayaal
Hum, kitnay aik saal k andar badal gayey ~!!

Asif
02-15-2007, 08:28 AM
ab aur kya kisi se marasim burha'ein hum
yeh bhi bohut hai, tujhe bhool ja'ein hum

sehra-e zindagi mein koyee dosra na tha
sunte rahe hein aap hi apni sada'ein hum

iss zindagi mein itni fraghat kise naseeb
itna na yaad aa ke tujhe bhool ja'ein hum

tu itni dil zada tau na thi ai shub-e firaq
aa tere raaste mein sitare lota'ein hum

woh log ab kahan hein jo kehte they kal faraz
heh heh khuda na karda tujhe bhi rula'ein hum

Asif
02-15-2007, 08:29 AM
mai na mil sakoon jo tum se meri justujo na karna
tumhai meri hi kasam hai meri aarzoo na karna,,

mujhe jis se hai mohabat usai hai ajab ye aadat
kabhi moon ko phair lena kabhi guftugoo na karna

ma ne chaha tha kisi ko mera haal kiya hai dekho
jo kiya kosoor mai ne wohi tum kabhi na karna

meri ho agar buraaee to na dena tum safaaee
mere saath khood ko ruswa kabhi koo ba koo na karna

Asif
02-15-2007, 08:29 AM
main lafzioon may kuch bhi izhaar nahi kartaa
is ka matlab ye nahi k main tujhay pyar nahi karta

chahta hoon main tujhay ajj bhi par
teri soch may apnaa waqt be-kar nahi karta

tamasha na ban jay kahin muhabat meri
is liay apnay dard ko namoudar nahi karta

jo kuch mila hai usi pay khush hoon main
teray liay khuda say taqrar nahi karta

par kuch too baat hai teri fitrat may meray dost
warna tujhay chahnay ki khata bar bar nahi karta

Asif
02-15-2007, 08:29 AM
Tum ko malom bhi shayed ye kabhi ho ke na ho..!!

Meri ratein….. teri yadon se sajee rehti hain
Meri sansen teri khushbo mein basi rehti hain

Meri ankhon mein tera sapna saja rehta hai
Haan…mere dil mein tera aks basa rehta hai

Iss tarah mere dil ke bohot paas ho tum
Jis tarah paas hi sheh-e-rag ke Khuda rehta hai

Tum ko malom bhi shayed ye kabhi ho ke na ho..!!

Mere angan mein lagay phool gawahi dein ge
Mein ne arse se kisi phool ko dekha bhi nahin

Tujh ko socha hai to phir tujh ko hi socha hai faqat
Terey siwa ……..kisi aur ko socha bhi nahin

Tum ko malom bhi shayed ye kabhi ho ke na ho..!!

Asif
02-15-2007, 08:30 AM
Main aiyna tha, woh maira khayal rakhti thi
main toot-ta tha to chun kar sambhal rakhti thi

har aik maslay ka hal nikal rakhti thi
zaheen thi, mujhay hairat main daal rakhti thi

main jab bhi tark-e-taluq ki baat karta tha
woh rokti thi mujhay, kal pay taal rakhti thi

bas aik woh thi jisay ghaow main dikhata tha
bas aik woh thi keh jo andmal rakhti thi

woh mairay dard ko chunnti thi apni pooron say
woh mairay wastay khud ko nidhal rakhti thi

woh dobnay nahi daiti thi dukh kay darya main
mairay wajood ki naow uchaal rakhti thi

duain us ki balaon ko rook laiti thin
woh mairay chaar soo hathon ki dhaal rakhti thi

ik aisi dhun kay nahi phir kabhi main nay suni
woh munfarid sa hansi main kamal rakhti thi

usay nadamatain mairi kahan gawara thin
woh mairay wastay asaan sawal rakhti thi

bichar kay uss say main dunya ki thokaron main hon
woh pass thi tau mujhay lazawaal rakhti thi

sahar tha naam , ujalay ghulam thay us kay
woh zindagi kay andhairay ujaal rakhti thi

woh muntazir mairi rehti thi dhoop main shaid
main laut-ta tha to chaon nikal rakhti thi !!

Asif
02-15-2007, 08:30 AM
Kitni Bay kaif si Lagti Yeh Zindagi hai
Aab to Khushi bi Kitni Ghamzada si Lagti hai

LOg atty hain Chaly jaty hain Na any k liyan
Phir Aik Umeed ki KIran si Bandhi lagti hai

Milla hai phir mujhy apni Chahaton ka Aissa Sila
Aab to Dosti bhi Dushmani si lagti hai

Zindagi se sabhi kuch to milla hai mujhy
Par kissi ko kiya Battaien kiya Kami se lagti hai

Asif
02-15-2007, 08:30 AM
"hum nay khushyoon ki tarha dukh bhi akhattay dhekay
safa-e-zeest ko palto gi to yaad aaon ga

esi andas main hotay they mukhateb mujh say
khat kesi our ko likho ** to yaad aaon ga

sard ratoon kay mahaktey howay sannatoon main
jab kesi phoool ko chomoon ** to yaad aaon ga

ab to yah ashk main hontoon say chura lata hoon
hath say khud enhay phochoon ** to yaad aaon ga.

shaal panayay ga ab khon december main tumhay
barishoon main khabhi bhego ** to yaad aaon ga

is main shamil hay meray bakht ki tariki bhi
tum seya rang jo phano ** to yaad aaon ga

Asif
02-15-2007, 08:32 AM
yeh meri ghazlein yeh meri nazmein, tamam teri hikayetein hien
yeh tazkeray teray lutf kay hien, yeh shair teri shikayetein hien
yeh sub teri nazar kar raha hoon, yeh un zamanon ki saa´tein hien

jo zindagi kay naye safar mien, tujhay kisi waqt yaad ayeennnn
to aik ik harf jee uthay gaa, pehan kay anfaas ki qabayeeennnn
udaas tanhaiyon kay lamhon mien naach uthein gi upsaraayennn

mujhay teray dard kay ilaawa, aur dukh they yeh maantaa hoon
hazar gham thay, jo zindagi ki talashh mein they yeh jantaa hoon
mujhay khabar thee,keh teray aanchal mein dard ki rait chaanta hoon

magar her ik baar tujh ko choo kar, yeh rait rang-e-hina bani hiee
yeh zakhm gulzaar ban gaye hien, yeh aah-e-sozaan ghata bani hie
yeh dard moj-e-saba howa hie, yeh aag dil ki sada bani hieee

woh tera shayer, tera mughanni, woh jis ki batein ajeeb si theen
jis kay andaaz khusrwana thay, aur adaa´en ghreeb si theeennn
woh jis kay jeenay ki khwahishein bhi khud uss kay apnay naseeb si theen

naa pooch uss ka keh woh deewana, bohat dinon ka ujarr chukaa hiee
woh koh-kan to nahin thaa lekin karri chatanon say larrr chukaa hiee
woh thak chuka hie, aur uss ka taisha uss kay seenay mien garr chuka hie

Asif
02-15-2007, 08:32 AM
Pyaar ka meetha "Ehsaas" dilane laga hai tu
Ab to mujh se mujhi ko churane laga hai tu

Teri chahtooN ka chaaya hai saroor is qadar
Har pal har jagah nazar aane laga hai tu

Veeraan thi yeh zindgi tere aane se pehle
Khushiyoon ke sapne mujhe dhikane laga hai tu

Har pal mujhe hota hai bas tera hi "Ehsaas"
Is qadar meri saansoN mein samaane laga hai tu

Ek pal ki bhi doori seh nahi paata hoon main
Hoke juda kyun mujhe azmaane laga hai tu

Raah chalte hue aksar hota hai yeh gumaan
Ke ban saaya saath mere aane laga hai tu

Naam koi bhi looN to naam aaye tera labooN pe
Ban ke jadu meri rooh mein samaane laga hai tu

Teri yadoon se hi aksar hota hai dil munawwar mera
Ghul ke saath lahoo ke nas nas mein samaane laga hai tu

Jaane kaun si dor hai teri aur kheench le jaati hai
Mujh ko apna deewana banaane laga hai tu

Tasvvur mein aksar hota hai yeh mehsoos mujhey
Chorr k duniya meri baNhooN mein samaane laga hai tu

Yeh to bata ke kya naam dooN iss deewangi ko
Bechain kar ke har lamha mujhey tadpaane laga hai tu

Tere khayalooN se mehekne lagti hai zindagi meri
Mere zehn-o-dil pe is qadar chhaane laga hai tu

Yeh masoomiyat yeh bholapan yeh saadgi teri
Mujh ko har adaa se ab satane laga hai tu

Zeest ke rahooN mein dhoop thi har taraf
Apney pyaar ki barish ko barsane laga hai tu

Kya is baat ka tujhey "Ehsaas" hai "Jaan"
Mere har sher mein har Gazal mein aane laga hai tu
_________________

Asif
02-15-2007, 08:33 AM
****a sa ik gaoon tha jis main
diyay thay kum aur bohut andhera
bohut shajar thay thoray ghar thay
jin ko tha duuri nay ghaira
itni bari pinhai thee jis main
jagta rehta tha dil maira
bohut qadeem firaq tha jis main
ik muqarar hud say agay
sooch na sakta tha dil maira
aisi soorat main phir dil ko
dihaan aata kisi khwab main taira
raaz jo hud say bahir main tha
apna aap dikhata kaisay
sapnay ki bhi hud thee akhir
sapna agay jata kaisay!!

Asif
02-15-2007, 08:33 AM
door ,sunsaan se saahil ke qareeb,
aik javaan pair(tree) ke paas,
u'mr ke dard liye,waqt ka matyaalaa dushaalaah Orhay
boorhaa saa paam kaa aik pair khara hai kab se,
sainkroon saalon ki tanhaai ke ba'd,
jhuk ke kahtaa hai javaan pair se.........."yaar !!

sard sannaaTaa hai !
tanhaai hai ! kuCH baat karO !"

Asif
02-15-2007, 08:33 AM
Aisi hi sard sham thi vo bhi
jab vo mahndi rachaye hathon main
apni ahat k khauf se larazan
surkh anchal main munh chipaye hue
apne khat mujh se lene ai thi
us ki sahmi hui nigahon main
kitni khamosh iltijayen thin
us k chehre ki zard rangat main
kitni majaburiyon k saye the
mere hathon se khat pakarte hi
jane kya soch kar achanak vo
mera shana pakar kar roi thi
us k yaqut rang honthon k
kapkapate hue kinaron par
saikaron ankahe fasane the
sard shamon main der tak aksar
jab ye manzar dikhai deta hai
ek lamha hinai hathon se
mujh ko apani taraf bulata hai
hamnashin ruth kar na ja mujh se
aisi hi sard sham thi vo bhi~!!

Asif
02-15-2007, 08:34 AM
Tum tou azmm walay hoo

Balaa ka zabtt rakhtay hoo

Tumhain kuch bhi nahin hoo ga

Magar Daikhoo ...

Jissay TUm choray jatay hoo

UsSay tou theak sey shayed

Bichrna bhi nahin Aaya ...............

Suno ...

Tum tou azmm walay hoo

UsSay mutt choor kay JaoO

Asif
02-15-2007, 08:35 AM
Ham chal tau paDe hai.n jazba-e-dil, jaana hai kidhar maaloom nahii.n
aagaaz-e-safar par naazaa.n hai, anjaam-e-safar maaloom nahii.n

kab jaam bhare, kab daur chale, kab aaye idhar, maaloom nahii.n
uTThii bhi agar, Thehregi kahaa.n, saaqii ki nazar maaloom nahii.n

mumkin ho tau ik lamhe ke liye , taqliif-e-tabassum kar leejay,
ham me.n se abhii tak, kitnau.n ko, mafhuum-e-sahar maaloom nahii.n

jazbaat ke sau aalam guzre, ehsaas ki sadiyaa.n beet gayii,
aa.nkhoN se abhi un aa.nkhoN tak, kitnaa hai safar, maaloom nahii.n

ham aql ki had se bhi guzre,sahraa-e-junooN bhi chhaan liyaa
ab aur kahaa.n le jaayegii, saaqii ki nazar maaloom nahii.n~!!

Asif
02-15-2007, 08:35 AM
shehr-e-azar ko khulti hui khirkee ki thakn
mere ankhoun ko bhighoti hui awara hawa
dosh-e-deewar pe baizaar ghari ki tak tak
meray anjam pe rota hua sanson ka sitaar
tooti almari pe bikray huay chahat ke nakoosh
raat ke husn pe phaila hua yadoon ka ghubar
raks karti hoi tanhai ke piasay saaye
main akeli hoon magar phir bhee akakeli to nahi

Asif
02-15-2007, 08:35 AM
Sari Duniya Main Faqt Tujh Sey Mohabbat Ki

Tu Kisi Or Ka Ho Jye Yeh Mumkin HI Nahi

Zindagi Ki Sabhi Yadain Hain Tujh Sey Wabista

Tu Meri Yaad Sey Ghafil Ho Jye Yeh Mumkin HI Nahi

Main Jo Raton Ko Jagti Hoon Teri Chahat Main

Tu Jo So Jye Sakoon Sey Yeh Mumkin HI Nahi

Naam Tera Hi Merey Naam Key Sath Aye Ga

Tu Kisi Or Kehlaye Yeh Mumkin HI Nahi

Asif
02-15-2007, 08:36 AM
Raat Uss Na Poocha Thah
Tum Ko Kaisi Lagti Hai
Chandni December Ki !

Main Nay Kehna Chaha Thah
Saal-O-Maah K Baray Main
Guftagu K Kiya Maani ?
Chahay Koi Manzer Ho
Dasht Ho , Samander Ho
June Ho , December Ho
Dharkano Ka Her Naghma
Manzaro Pay Bhaari Hai
Saath Jab Tumhara Ho
Dil Ko Ek Sahara Ho
Aisa Lagta Hai Jaisay
Ek Nasha Sa Taari Hai

Lakin Uss Ki Qurbat Main
Kuch Nahi Kaha Main Nay
Takti Reh Gayee Mujh Ko
Chandni December Ki

Asif
02-15-2007, 08:36 AM
Uss nay Khat main
Ishq ka Matlab Pooch liya hai
Mein nay Likha hai
Jab Koi Chehra
Dhiyaan Mein Akar
Maan Angan mein Phool Khila day
Jab Koi Naam Labon ko Choo kar
Dharkano ki Tarteeb Bhula day
Jab koi Jazba Kar-e-Junoon se
Atish ko Gulzar bana day
Laikin Itna Dhiyaan mein Rakhna
Koi Siraat-e-Ishq se Guzry Tab Khulta hai
ISHQ se Pehlle ISHQ ka Matlab kab Khulta hai?

Asif
02-15-2007, 08:37 AM
Jari Hai, Mager Anjaan Safer
Main Sochta Hoon Aik Din Yunhi
Woh Mujh Sey Juda Ho Jayega
Ya Pehlay Main Mar Jaon Ga
Ya Shaid Woh Mar Jayega
Phir Loug Kahin ** Inka
Yeh Rishta Kitna Sacha Tha
Per Kiss Ko Khaber, Sara Jeevan
Woh Tanha Thi.......
Main Tanha Tha...

Asif
02-15-2007, 08:37 AM
Charah gar har geya ho jese
Ab tu marna he dawa ho jese

Mujh say bechra tha woh pehle be magar
Ab kay yeh zakhum naya ho jese

Mere mathe pay tere pyar ka hath
Rooh par dast e saba ho jese

Yun buhat hanes kay mela tha lakin
Dil he dil main woh khafa ho jese

Sar chapain tu badan khulta hai
Zeesat e muflas ke rada ho jese

Asif
02-15-2007, 08:37 AM
Tujh Se Juda Howay Na Teri Zaat Main Rahay
Hum Yunhi Shaam E Gham Ki Hawalaat Main Rahay

Kis Arsa E Faraib Ki Wehshat Main Thay K Hum
Din Main Hi Reh Sakay Na kahin Raat Main Rahay

Ik Shehar E Khwab Hum Nay Basaaya Tha Aur Phir
us Main Rahay Na Us K Muzafaat Main Rahay

Main Jis K Roz O Shab Main Kahin Mudatton Se Hoon
Marr Jaaye Wo Agar Mere Halaat Main Rahay

Kuch Door Tak To Sath Rahi Boond Boond Pyaas
Kuch Dair Hum Bhi Dhoop Ki Barsaat Main Rahay ~!!
_________________

Asif
02-15-2007, 08:38 AM
Jatay huay wo muj say meri zaat lay gaya
dil main chupi wo apni her ik baat lay gaya
tanha zaroor tha main kisi chand ki tarha
day kay wo chandni bharay lamhaat lay gaya
ahsaas ki hudood pai mujay la khara keya
bechra kuch is ada say keh jezbaat lay gaya

Asif
02-15-2007, 08:38 AM
Ab kiya likhein hum kagaz per
Ab likhne ko kaya baki hai
Ik dil tha su wo toot gaya
Ab lo'tana ko kaya baki hai

Ik shaks ko hum ne chaha tha
Ik rait pe naqsh banaya tha
In rait ke zarun ko hum ne
Phir apne dil main sajaya tha
Wo rait tu kab ki bikhar gayee
Wo naqsh kahan ab baki hai
Ab kaya likhein hum kagaz per
Ab likne ko kaya baki hai

Hum jin ko apni nazmoon ka
Unwan banaya karte tha
Lafzun ka bana kar taj mehal
Kagaz par sajaya karte tha
Wo hum ko akela choor gaya
Sab rishtoon se mun moar gaya
Ab rishte sara suNa hain
Wo piyar kahan ab baki hai
Ab kaya likhein hum kagaz per
Ab likne ko kaya baki hai

Asif
02-15-2007, 08:38 AM
Woh ahad ahad hii kyaa jise nibhaao bhii
hamaare vaadaa-e-ulfat ko bhuul jaao bhii

bhalaa kahaan ke ham aise gumaan vaale hai.n
hazaar baar ham aayein hamein bulaao bhii

bigar chalaa hai bahut rasm-e-Khud-***hii kaa chalan
Daraane vaalo kisii roz kar dikhaao bhii

tumhaarii niind me.n Duubii huii aankhon kii qasam
hamein ye zid hai ki jaago bhii aur jagaao bhii~!!

Asif
02-15-2007, 08:38 AM
Itne din kay bahd. tu aya hai aj
Sochta houn, kes tarah tujh say meloun

Mere andhar jag uthi ek chandani
Main zameen say asmaan tak. ang houn

Aur ujala ho geya qurbat ka chand
Aur gehra ho geya tera fasoun

Aaa serapa rang o nagahat , tu bata
Kes dhanak say tera pairhan banoun

Sare gul bote tar o taza huway
Dur tak ponchi hai meri moj e khon

Kar rehe hain lamhe lamhe ka hisab
Mil kay phir bethe hain yaran e janoon

Dasht e ghum ke dhop main muj par khila
Main khud apna saya devar houn

Naz kar khud par k tu hai be shimar
Qadar kar meri k main buss aik houn

Asif
02-15-2007, 08:39 AM
Gar mujhay iss ka yaqeen ho meray humdam, meray dost
Gar mujhay iss ka yaqeen ho k
tery dil ki thakan
teri aankhon ki udasi
tery seenay ki jalan
meri diljoie, mery piyar say mitt jaye gi
gar mera hurf-e-tasalli woh dawa ho jis say
ji uthay phir tera ujrra howa bay noor dimagh
teri paishani say dhul jain yeh tazleel k dagh
teri beemar jawani ko shifa ho jaye
gar mujhy iss ka yaqeen ho meray humdam !
meray dost !
roz-o-shab, sham-o-sehar
main tujhay behlata rahon
main tujhay geet sunata rahon, halkay sheereen
aabsharon k, Baharon k, chaman zaron k
aamad-e-subha k, mahtab k, sitaron k geet
youn hi gata rahon, gata rahon teri khatir
geet bunta rahon, baitha rahon teri khatir

Asif
02-15-2007, 08:40 AM
Ek dil walon ki basti thi
jahan chand or suraj rehtay thay
kuch suraj man ka pagal tha
kuch chand bhi shoakh chanchal tha
basti basti phirtey thay
har pal hunstey rehtay thay
phir aik din donoun rooth gayey
or saarey sapney toot gayey
ab chand bhi us waqt ata hay
suraj jub sojata hay
badal sub say kehtay hain
suraj uljha sa rehta hay
chand k saath sitaarey hain
par suraj tanha rehta hay~!!

Asif
02-15-2007, 08:40 AM
Agar shidat e ghum ka izhar karnek ko
Aur zakhum bharne ko
Ansoo na hote tu shyd hum insan
Badan apna majrooh kar kay
Lehoo kay damekte huwe garam qatre
Zameen par girate

Kabhi apna sar
Sang o devar say phorte
Khud ko hum zinda kab chorte
Haan magar yeh bhi hai ek haqeeqat
Agar dosre jandroun ke surat
Humain bhi yeh nehmat yeh ansoo na melte
Tum mumkin hai ehsas e ghum bhi na melta

Asif
02-15-2007, 08:40 AM
Khuwaab toot jaatey hain
bheerh main zamaaney ki
haath *****h jaatey hain
durust daar lehjoun main silwaten see parti hain

Ik zara si ranjish say
shak ki zard tehni par phool badhumaani k
is tarah say khiltey hain
zindagi say pyaarey bhi
ajnabi say lagtey hain, ghair bun k miltey hain

Umar bhar ki chahat ko aasra nahin milta
dasht-e-be yaqeeni main raasta nahin milta
khamushi k waqfoun main
baat toot jaati hay or sira nahin milta
maazrat k lafzoun ko roshni nahin milti

Lazzat-e-pazeerai, phir kabhi nahin milti
khuwaab toot jaatey hain
wahmoun k saaye say umar bhar ki mehnat ko
pal main toot jaatey hain
ik zara si ranjish say

saath *****h jaatey hain bheerh main zamaney ki
haath *****h jaatey hain
Khuwaab Toot Jaatey Hain~!!

Asif
02-15-2007, 08:41 AM
Tum ne tu keh deya k muhabat nahin meli
Mujh ko tu yeh bhi kehne ke muhlat nahin meli

Neendoun kay des jate koi khawab dekhte
Lakin deeya jalane say fursat nahin meli

Tujh ko tu khair shaiher kay logoun ka khouf tha
Aur mujh ko apne ghar say ijazit nahin meli

Phir ekhtalaf e ray ke surat nekal pari
Apni yahan kesi say be adat nahin meli

Bay zar youn huwe k tere ahaad main humain
Sab kuch mela sakoon ke dolat nahin meli

Asif
02-15-2007, 08:41 AM
Chupana Raaz Is Dil Key
Ager Tum Chor Do Janan
Mujhe Tum Sey Muhabat Hai
Agar Tum Bol Do Janan
Too Jevan Key Safar Main
Rasta Aasaan Ho Jaye
Humaray Pass Bhi Jeenay Ka Kuch Samaan Ho Jaye
Werna Hum Tumharay Dil Key Darwazay Key Bahir
Aas Main Baithay Rahain **
Keh Kabhi To Bund Darwazay Ko Khoolo Gi
Merey Shanay Pey Sar Rakh Ker
Kabhi Dheeray Sey Bolo Gi
Mujhe Tum Sey Muhabat Hai

Asif
02-15-2007, 08:41 AM
Labe darya sare sehra use dhondha
najane wu khan gum tha
Wu mill jata tu acha tha
k us din hm ne kehne ku
buhut kuch soch rkha tha
wu mil jata tu ham kehte
tumhare bin bi aangan mein
gulabi phool khilte hein
mager jab tum nhin hote
tu un mein khushboo nhin hoti
Basa auqat dekha he
dhanak rangoon ki pati
Aur us k paar
aasman se zameen tak
noor ki barish barasti he
mager jab tum nhin hote
tu kuch acha nhin lagta..

Asif
02-15-2007, 08:41 AM
Tumhein maloom hai hum ne
kisi ke hijur mein yeh zindagi kaisey guzari hai
hur ik ***hbo ki aahut per
gumaan us ka guzarta tha
hur ik saa'aut per dil ankhoon mein aaker beath jata tha
kaayi pehloo badulti khwahishein hathon ko phelaey
dowaein maangti aur haanpti
dil se guzrti thein
mager ju hijr laahiq hai
wuh jism-o-jaan ki deewarein girata hai
umeed-o-baem ki ankhoon se beenaayi k sare munziroon ko
khaak kerta aur mitat'ta hai
tao hum bhi khaak hein
aur khaak ki taqdeer mein likha hai
bey amaa'n rehna~!!

Asif
02-15-2007, 08:42 AM
Hum koi jag sey niraley tu nahi hain
hum bhi is waqt main jeetey hain jahaa.n
titliyaa.n khwaab hain aur phool
shehr hum ko bhi muqaddar main mila hay jis main
dharkanain ghum hain aur shor sey ho ka alam
hum bhi is ghar k makeen hain k jaha.n
waqt ki kaat sey bujh jaati hay is um'r ki lo'
ik masroof-o gumnaam iradey ki tarha
hum bhi logoon ki tarha hain k humain
dukh chupana bhi hay hansna sar-e bazaar bhi hay
hum pe bhi eh'd_e jawani ka azaab utra hay
hum nay bhi door kisi shehr main
bastey howe hanstey howe
ik shakhs ko chaha hay bohat
in hawaoo.n ko sada jana hay
jaise us shehr sey paighaam_e wafa laai hain
dharkanain aankh ka aanso tu nahi hain lekin
hum nay gin gin k ganwaay hain usi shakhs k naam
hum niraley hi tu hain
hum nay is ghum ko gham_e jaa.n sey bana rakha hay
Um'r jis main na koi aas, na aanso, na hansi
Hum nay is umr ka afsaana bana rakha hay~!!

Asif
02-15-2007, 08:42 AM
Sardyoun Ke ratoun main
Jab same bhi jam jay
Aur dil ke batoun main
Arzoo tehar jay
Ajnabi musafir kay
Intezar ke shamain
Sard sard Jhonkoun se
Phar pharane lag jain
Apne sard shanuon par
Rekh k sar ko mat rona
Tum Udas mat hona

Asif
02-15-2007, 08:43 AM
Hum apne aap ko
Patthar ana ke khuaf se
Jitna bazaahir pur-sukoon rehne ki aadat daal lain
Per hijar ki bechain yakh-basta hawa se
Raakh mein dhalti tamannayain bhi
Aakhir kap'kapaati hain
Sadaayain larkhaarati hain
Tumhein maloom tu hoga
Ke kachchi umer ki chaahat
Hazaaroo saal bhi dil ke kisi
Ghehre Samundar mein rahe paband
Per
Phir bhi kabhi marti nahee
Main ne bahut arsa tumhein
Yaadoon, khayalon aur khwabon ki nigahon se kiya ojhal
Magar janaan !
Mein apne aap se ab larte larte thak gaya hoon
Aur
Akele pan ke weeraan shehar mein jab shaam dhalti hai
Tu muddat se thaki haari wafaayain
Sog mein dobay huwe kuch geet gaati hain
Tumhein waapas bulaati hain...!!

Asif
02-15-2007, 08:43 AM
Rat ke mahrban fiza ke tarah
Koi tu dhondta hawa ke tarah



Ab teri yad, yad ati hai
Mujh ko bhooli hoi Qiza ke tarah



Keya koi itna pyar karta hai
Koi hota hai keya Khuda Ke tarah



Shaiher main ap ke zaroorat thi
Gum huwe ap be wafa ke tarah



Gonjta hai kabhi kabhi Farhat
Mere andar koi kha-la ke tarah

Asif
02-15-2007, 08:43 AM
tum bhi koi pagal ho!!
khwahishon ko rotay ho
jab tumhe khabar thi k
kachay aanganon k ho
jin ki chat se roshni
bay-sabab tapakti hai
bay-sabab chalakti hai
habs mann k ander thi
or duaen krte thay
achay mosam anay ki
barishon k honay ki
ab jo chat tapakti hai
to badilon ko rotay ho
tum bhi koi pagal ho...

jab tumhain khabr thi k
ishq aik darya hai
her utrnay walay ka
doobna mukaddar hai
ab jo beech darya ho
saahilon ko rotay ho
tum bhi koi pagal ho!!
khwahishon ko rotay

Asif
02-15-2007, 08:44 AM
iss se pehley keh shaam ho jaey
aur tu bila wajeh badnaam ho jaey
Aoo wapis ghar jaein

aur gaon ke baher chorahe se
hum apne apne dagar jaein

phir itfaaq se kabhi zindagi ke sharah par
jab hum hoon apni apni rah par
humare raaste aik doojey se takar jaein
tu bina pehchane aik doosrey ke pass se
ban ke ajnabi hum guzar jaein

chahein tu door bhi hum jaa sakte hein
aur aik duniya nai hum basa saktey hein
lekun woh jo dekh ke hum ko jeete hein
aur jin ko **** ke hum chale hein
unhein bhi munh dikhana hey samaaj ko
waqt badle ga hey mujh ko yeh yaqeen
lekun be bas wa majboor hey piyar aaj tu
aao wapis ghar jaein

iss se pehley keh shaam ho jaey~!!

Asif
02-15-2007, 08:44 AM
Jab ankhain bolne lagti hian
Keya woh Sa-at aa ponchi hai?
Jab sare pul bah jate hain
Langar helte rah jate hain
Koi chupoo hath nahin ata
Koi kashti sath nahin deti
Keya woh sa-at aa ponchi hai?

Jab lafzoun ke sharyanoun main
Taseer e nawa so jati hai
Jab jhoot k kore danoun main
Har suchai kho jati hia
Jab hont larzane lagte hain
Tab ankhain bolne lagti hain

Jab ankhain bolne lagti hain
Tab roz e qayamat hota hai
Keya woh sa-at aa ponchi hai?

Asif
02-15-2007, 08:44 AM
Meri mohabat
ayaan nahi hay
na kuch kahoon to yeh mat samaghna
k tum ko main chahta nahi hoon
magar kisi se kaha nahi hay
kabhi kisi se nahi kahoon ga
khamosheoon ki zuban ka qayal
main chup rahoon ga
bas ek rasta
nazar ka rasta
khula rahe ga
agar nigahoon ki bat samjhoo
to yeh samajhna
k chahtoon ka muqaaan hay dil main
meri muhabat nihaan hay dil main

Asif
02-15-2007, 08:45 AM
tumhein itna batana hai
keh chaahaey kuch bhi ho jaey
bohat dushwaar rustaa ho
bohat gehra undhaira ho
hum apna dil jalaaein gey
tumhein khonay nahee dein gey
tumhein itna bataana hai
tumhaaree aankh me hilkorte
sab ashk chun lein gey
hum apni zaat mein jaanaN
tere sab gham ssambhaalein gey
tujhe khushiyo se bhar dein gey
dhanak rango me dhaalein gey
tumhein ronay nahee dein gey
tumhein itna bataaana hai
keh jab tak saans baaqee hai
tumhaara naam dharkan hai
nigaahoN me diya ban ker
tumhaaree yaad roshan hai
jahaaN ke is jhamelay me
tumhein khonay nahee dein gey
tumhein itna bataaana hai
kabhi tanhaai aur gehree udaasi gar sataaey
aur ghabra ker jo tum humko pukaaro gey
yaqeeN rakhna k sab kuch chhore tere paas aein gey
bharee dunya me hum tanha
tumhein honay nahee dein gey
tumhein itna bataana hai ~!!

Asif
02-15-2007, 08:45 AM
Abhi kuch dair pehle raat ne palkai'n jhukai hain
Meri muthi main ab tak
Raat ki palkon se tootay kuch sitaray hain
Dukho'n k ista'aray hain
Main un ko dekhta hoon to
Meri aankhon main dhairon khuwab
Tabeero'n k dukh main koi chehra sochte hain
Aur woh chehra shanasa se
Kai chehro'n main tabdeel hota hai
Phir un chehro'n se yaadon k kai manzar ubharte hain
Nazar main raqs kerte hain
Woh chehre jo meri tanhaiyo'n k ashk paaray hain
Mujhe har haal main khud se bhi pyaray hain
Sabhi chehre tumhare hain ..... !!!

Asif
02-15-2007, 08:45 AM
Rooth jane ke adatain na gain
Dil jalane ke adatain na gain


Zakhum kha kar bhi tujhse , Nam tera
Gunganane ke adatain na gain


Pyar se jo bhi mel gaya us ko
Dukh sunane ke adatain na gain


Chand ke, sharam se naqaboun main
Moun chupane ke adatain na gain


Do diloun ko ujar kay hanesta hai
Yeh zamane ke adatain na gain


Chand jesa har ek haseen chehra
Dil ko bhane ke adatain na gain


Beesoun bar azma kay humain
Azmane ke adatain na gain


Rat kay pechle pahar aaa Ayaz
Ghar ko aane ke adatain na gain

Asif
02-15-2007, 08:46 AM
nahin hota mohobat main mohobat ke siwa kahna
woh meri zindagi hay tum use meri dua kahna

main uss ki bewafai ki khatain maf kerta houn
mughe to begunahi ki saza hay katna kahna

chalo yun hi sahi pahli nazer ki dastaan apni
jise main ibtida samjhoun use tum inteha kahna

yun hi hota hay akser zindagi ki shahrahoun pe
qareeb e manzil e maqsood jise hadsa kahna

tumhen rah e mohobat main bechad jana mubarak ho
qarar e dil na ho phir bhi mughe tum bewafa kahna

Erum Zehra
02-15-2007, 11:20 AM
yaqinan afsurdagi liy hain sari hi poetrys or pata nahi me yhan kiya likhna cah rahi hon jo myb likh nahi pa rahi ......
thanx 4 sharing aps ji !

sheliza
02-18-2007, 08:08 AM
NICE ADMIN SIR:thumbsup1[1]:

MBA
07-31-2007, 07:06 AM
wah aps ji zabardast

DecentSoul
08-12-2007, 10:56 AM
Achi hai aps brother

gumnam
08-14-2007, 07:33 AM
goog

gumnam
08-14-2007, 07:35 AM
good