View Full Version : Yahi Hota hai piyar mein part 2


Pages : 1 [2] 3

Asif
01-26-2007, 12:12 PM
Tumhe kya pata kis tarah main jee raha hun
Har pal har ghadi tumhari yaad me jalta rehta hun

Tum kehte ho waqt sare gum ko mita deta hai
Par waqt ki intezar me waqt ke sath sath bikhar ta rehta hun..

noor
01-26-2007, 12:12 PM
meri sansoN mein teri khushboo to basee aaj bhi hai
dil ki khwahish hai ke tumhay choo ker phir se dekhooN

faaslay itney bhi ho jaaiN gai sochha hi na tha
teray ehsas mein teri tasweer mein kab tak dekhooN

kaisey dorahey per kharee hooN ke aqal sakit hai
der hai pyaroN se judai ka, khud ko tarapta dekhooN

tera ehsase janoon mujh ko bhi pyara hai mager
ishq ke anjam mein apney liye azziat dekhooN

dil diwana tha kabhi tera so aaj bhi hai
teri aankhoN mein wohi pyar mein phir se dekhooN

mein ne her lamha khuda se mangee hai dua
mein teray pyar ka mausam sada hi dekhooN
********
wwooww Apppss jii great choice...
Excellent poetry realllyy.. nice...kittni tareef karroon......:love3[1]:

Asif
01-26-2007, 12:12 PM
Shama-e-tamanna jawaan aaj bhi hai
Har hasrat lekin bezuban aaj bhi hai
Manzilon ko nahi naseeb mere kaafile to kya
Rahon pe mere kadmon ke nishaan aaj bhi hain

Asif
01-26-2007, 12:13 PM
shukria noor ji:biggrin

Asif
01-26-2007, 12:13 PM
Raat ki tanhayon main awaz diya karte hai
chand or sitaron se tumhari baat kiya karte hai
mujhe nahi pata mere ghar wale kahte hai
hum raat main bhi tumhara naam liya karte hai

Asif
01-26-2007, 12:13 PM
Kabhi unki palko se unka izhaar hoga
Dil ke kisi kone mein unke hamare liye pyar hoga
Guzar rahi hai raat unki yaad mein
Kabhi unko hamara bhi intezaar hoga.

Asif
01-26-2007, 12:13 PM
Toote Hue Khawabon Mein Haqiqat Dhundta Hoon
Pathar Ke Dilon Mein Mohabbat Dhundta Hoon

Naadan Hoon Mein Abb Tak Yeh Bhi Nahin Samjhe
Bejaan Buton Mein Ibaadat Dhundta Hoon

Mere Jazbaaton Ki Keemat Yahan Kuch Bhi Nahin
Beimaani Ke Baazaron Mein Sharafat Dhundta Hoon

Is Ajnabi Dunia Mein Koi Bhi Apna Nahin
Gairon Ki Aankhon Mein Apni Surat Dhundta Hoon

Umeed Ki Thi Pyar Ki Bas Yehi Bhool Thi Meri
Girte Hue Ashkon Mein Apni Hasrat Dhundta Hoon

Asif
01-26-2007, 12:14 PM
apno ne zeher ka jaam de diya,
gairon ne bewafa ka naam de diya,

jis ne di thi kabhi na juda hone ki kasam,
usne hi bhool ne ka paigham de diya

Asif
01-26-2007, 12:14 PM
jab sawan mein tanha bheego **
jab aangan khali pao **

jab sahil say takrati lehron mein
apni tanhayee mein kho jao **

jab raat ko tanha daman mein
tum chand ko aadha paogay

jab khud say bateen kartay kartay
tum door kahiin kho jao **

jab dil ki baat chopanay ko
tum hum say nazar chorao **

"Mein tum say muhabbat karta hoon"
har bar yeh sunna chaho **

In sab lamhoon mein jaan laynaa kay
tum nahi "HUM" ban jao **

Asif
01-26-2007, 12:14 PM
Kahein tum apni qismat ka likha tabdeel kar layte
To shayad hum bhi apna rasta tabdel kar layte …

Agar hum waqae kam hosla hotay mohabat mein
Marz bharne se pehlay dawa tabdel kar layte …

Tumharay sath chalne per jo dil razi nahi hota
Bohat pehlay hum apna faisla tabdel kar layte…

Tumhari tarah jeenay ka hunar ata to phir shayad
Makan apna wohi rakhtay pata tabdel kar layte…

Judai bhi na hoti zindagi bhi sahal ho jati
Jo ek dusray se masla tabdel kar layte…

Bohat dhundla gaya hai yaadoon ki rim jhim mein dil sada
Woh mil jata to hum bhi aaina tabdel kar layte

Asif
01-26-2007, 12:15 PM
Wohi GarDeSheN Wohi Pache-O-Khum Teray Baad Bhi
Wohi Hoslay Maray Dam Ba Dam Teray Baad Bhi

Taray Saath Bhi Teri Her Jafa Mujhay Motaber
Taray Saray Ghum Mujhay Mohtaram Teray Baad Bhi

Taray Gham Se Hai Meri Har Khusi Main Waqar Sa
Maray Haal Pay Hain Taray Karam Teray Baad Bhi

Barhay Muztarib Maray Rastay Teray Baad Bhi
Barhay Pur Sukoon Hain Maray Qadam Teray Baad Bhi

Teray Saath Bhi Mari Her Khusi Teri Muntazir
Teri Muntazir Meri Chasam-E-Ghum Teray Baad Bhi

Teray Saath Thi Mari Dastrus Main Jo Roshani
Fakat Ek Pal Kabi Subha-A-Dum Teray Baad Bhi

Tujhay Jaan-E-Ghum Jo Kaha Kabhi To Ghalat Kaha
Meri Zindgaii Ka Jawan Hain Ghum Teray Baad Bhi

Tujhe Pass Ahad-e-Wafa Raha Maray Saath Kub?
MujhaY Jaan Se Bhad K Tera Bharam Teray Baad Bhi

Meray Baad Kitnay Hee Roop Tu Na Badal Liye
Main Wohi Hoon Abb Bhi Tari Kasam Teray Baad Bhi

Tu Kisi K Qalib-e-Aarzoo Main To Dhal Gaya !
Main Na Ho Saka Kabi Khud Main Zum Teray Baad Bhi

Tari Aahatoon Ka Ghudaaz Tha Mera Hum Safar
Yehi Ek Gumaan Mera Hum Qadam Teray Baad Bhi

Tu Chala Gaya Sabhi Qhiqahoon Ko Samait Ker
Meray Pass Hai Mera Zurf-e-Ghum Teray Baad Bhi

Asif
01-26-2007, 12:15 PM
Itna hi yaad rakh mujhe
Jaise kisi kitaab mein
Beetey dinon ke dost ka
Khat ik para huwa miley

Lafz mitey mitey se hon
Rang uraa uraa sahi
Lekin woh ajnabi na ho
Uth kar tere galey lage
Bhoole huwe tamaam dukh
Guzrey huwe tamaam sukh
Beetey dinon ki kathaa
Tujh se kahe aur ro pare

Itna hi yaad rakh mujhe
Beetey dinon ke dost ka
Jaise koi khat hoon main
Rakha huwa kitaab mein..!!!

Asif
01-26-2007, 12:16 PM
Dukh anmol hotey hain
qudrat ki wadeeat hain
kabhi kuch dey k jaatey hain
kabhi sub cheen laitey hain
kabhi beychain kartey hain
kabhi jeena sikhaatey hain
kabhi bantey hain jub aansoo
umar bhar lahoo rulaatey hain
kabhi lub ki hunsi bun kar
nayi dunya sajaatey hain
kabhi meethi kasak ban kar
anjaani khalish bun kar
makeen-e-dil yeh bantey hain
kisi soorat nahin mit'tey
jo in say door bhaago tou
kaheen jaaney nahin detay
naa zinda rehnay detay hain
naa yeh aazaad kartey hain
nahin jiski dawa koi
yeh aisa dard hotey hain
magar yeh bhi ik haqeeqat hay
hur aik ko to nahin miltey
barey nayaab hotey hain
Dukh anmol hotey hain!!

Asif
01-26-2007, 12:16 PM
Kaha tha milo gi har khirki har darwazaye kay pechay
Mere har andaz kay andaz kay pichay
Aye!!!bewafa magaer tum ayee nahi?
Mere janazay kay pichay???????

Asif
01-26-2007, 12:16 PM
Shabe furqat angan mein tum bhi jaagtey hogay
meri treh raat bahr jaag kar chand ko tum bhi dekhtey hogay

yeh soch kar keh mein bhi dekh rah hoonga chand ko
dil hi dil mein apne,tum yunhi sharmaatey hogay

guman kar ke keh chand tumhari batein mujh se karta hoga
dil ki har baat usse tum bhi batatey hogay

aasman jo ro ro kar shabnam ki soorat ansoo bhata hey
meri yad mein rote hoe usse bhi shaed tum hi rulatey hogay.

jiss raat chand der se nikle ya jald hojaey gharoob
usse nah paa kar akher tum bhi ghabraatey hogay

aur jab aa jati hoongi andheri raatien
yaadon ke deep tum bhi jalaatey hogay.

Asif
01-26-2007, 12:17 PM
kiyon udas bethey ho is andhere mai

dukh to kem nahi hote roshni bhujaney se

kuch samjh nahi ati sher key makeeno ki

log roth jate hain ayina dekhaney se

Asif
01-26-2007, 12:17 PM
Aaj uski yaad ne
Aaj Uski Yaad Ne Hamein Tarpaya Bohat
Aaj Na Chahte Hue Bhi Woh Yaada Aayee Bohat...>>>!!!
Uske Baad To Jaise Hehsaton Se Dosti Ho Gayee
Phir Kyon Aaj Tanhaiyon Ne Daraya Bohat?
Woh Mera Tha,Mera Ha,Mera Rahega
Hum Ne Is Khayal Se Khud Ko Behlaya Bohat....
Shama ke Jalne Par Hum Afsos Kare Kyon
Hamein Bhi Manind Shama Ke Khud Ko Jalaya Hoe Bohat...
Hum Ne Jis Kisi Ko Bhi Humdard Samjha
WOh Hamre Dukh Par Najane Kyon Mushkuray Bohat

Asif
01-26-2007, 12:17 PM
Ghum Mila Toh RoO Na Sakhe..
khushi Mili ToO Hans Na Sakhe..
Yeh kaisa Raaz Hey Zindegi Ka..
Ham Samaj Na Sakhe...
Jis KoO Chaha, Apna Na Bana Sakhe....

Aap Chale Gayen..
Phir Bhi Dilse Nikhaal Na Sakhe..
Par Jab Aap Thy..
Pass Bhi Na Aa Sakhe..
Ab Aapki Yaadon koO..
Seene Se Lagaake Phirthey Hai..
Saamne Aap koO Paa kar Bhi ..
Gale Na Lagaa Sakhey..
Yeh kaisa Raaz Hai Zindagi ka..
Ham na Samaj Sakhe..
Jis KoO Chaha Aapna Na Bana Sakhe..

Ab PalkoO KoO Band Karke..
Pal Mein Apke Pass Hothe Hai..
Magar Jab AnkhoOn ke Samne Thy..
Jee Bher Ke Dekh Bi Na Sakhe..
Dil Dard Se Bharaa Huaa Tha..
Lekin RoO Na Sakhe..
Yeh kaise Raaz Zindegi ka..
Ham Na Samaj Sakhe..
Na Chup Rah Sakhe Na Pyar Jataa Sakhe..

Ab Aap Ke Saath Ke Liye..
Har Pal Tarapte Hai..
Magar Jab Hum Tarap Rahe thy..
ToO Saath Na Desakhe..
Dil ToO Rotaa Rahe Per..
Ankhon Se AnsoO Na Bahein..
Pyaar Ke is Riwaj KoO Na Samaj Sakhey...

Dil Itni *** Khaker Bi..
Aap Hee koO Chahta Kyu Hai..
Hum Samaj Na Sakhe..
Aap ke Laakh InkaaroOn Ke Baad Bhi...
Aap Hamare Nahii HaoO..
Ye, Dil koO Samjha Na Sakhe..
Laakh Chaaha Humne..
Phir Bhi AapkoO Bhula Na Sakhey...

Aap Humein BhoOl Gaye..
Magar Hum Na BhoOla Sakhe..
Jaise Khuwaab Zindagi..
Aur Zindagi khuwaab Na HoO Sakhey..
Waise Aap Hamare Na HoO Sakthey..

Asif
01-26-2007, 12:18 PM
Suna hey shehar walon sey mera Tanha nahi badla...
key wo AANKHAIN nahi badleen key wo PAIKAR nahi badla...

HASEEN AANKHON ko parhney key abhi tak shoq hain mujhko
mohabat main ujar kar bhi mera andar nahi badla....

main PATHAR sey hoa HEERA mujhey aisa TARASHA hey
badal dala mujhey lekin mera AAZAR nahi badla....

main pehron sochta hon ye jo mujhko bhool bethi wo
sabab najaney kia hoga , wo kuch keh kar nahi badla....

bhatakti sham sey kehna puraney dar dareechey hain
akeli raat sey keh do hamara ghar nahi badla.....

meri qismat ney jo likha zakham aakhir nahi badla..
faqat bazoo hi badley hain magar nashtar nahi badla...

ussey kehna shikasta zaat honey sey mohabat mar nahi jati
aaiyney toot janey sey kabhi manzar nahi badla....

tumharey daieron main ik umrr sey mehv-e-gardish hon
mera markaz nahi badla mera mehver nahi badla.....

meri jaan doob key ubhri hey meri sans bhi jeysey
mera matam nahi badla mera mehshar nahi badla.....

suna hey aaj bhi sab log ussey hi sajdah kartey hain
jabeenain hi badlati hain magar wo darr nahi badla....

abhi tak apney lafzon sey wo baazi jeeta jata hey
wohi andaz hain usskey .... mera shatir nahi badla......
_________________
Tujh ko pa lene ki khwahish
chand ko choone jaisi lagti hai...

Asif
01-26-2007, 12:18 PM
seeney main jalan aankhonmain tofaan saa kiun hai
is shehar main har shakhas preshan saa kiun hai

dil hai tu dharakney ka bahana koi dhonday
pathar ki tarha bey his o bey jaan saa kiun hai

tanhai ki ye kon see manzil hai rafeqoo!
taa hadey nazar aik beyabaan saa kiun hai

hum ney tu koi baat nikali nahi ghum ki
wo zoad pasheymaan, pasheymaan saa kiun hai

kya koi nai baat nazar aai hai hum main
aaina humain dekh kar heyraan sa kiun hai

Asif
01-26-2007, 12:19 PM
Mere saamne bhi unse parda uthaya na gaya,
faasla kam tha magar mitaya na gaya,
Unki aankhon se na tapakne lage mere aansu
Is darr se unko haale dil sunaya na gaya..!!

Asif
01-26-2007, 12:19 PM
Fasle darmiya ke kuch
is kadar bhad **
chah kar bhi hum
waqt par na pahunch sake
jab tum aaye to zindigi
ki shaam ho chuki thi
tum humko aur hum
khudko bhul chuke the

Asif
01-26-2007, 12:20 PM
Ya ansoo be bohat ajeeb hotay hai

Apnay hoo kay be kis ki yaad ker nikal atay hai

Kubhi khushi kubhi gham ban ker atay hai ya

Aur Dard aur kubhi sakon ban ker atay hai ya

Kya hota hai ya pyar na samja na samj pay ** hum

Per jub be dhaktay hai usko ya uskay ataram may bahar ajata hai

Har koi khata hai ya kya hai bus per bool data hoo

Per bool data may sub ko ya chahat hai kisi ki

Ansoo kahnay KO tu Pani Hota hai

Per ya pani be bohat ajeeb hota hai

Khushi ban ker aye tu zindage khush rang ker data hai

Gham ban ker aye tu zindage waran ker data hai ya

Ansoo ko dhakanay may tu bohat ****a say hota hai

Per kya pata is may kiss ka kitna Dard chupa hota hai

Ankhon may rahay tu Dard ban ker rahta hai ya ansoo

Ankhon say nilkal jay tu sawal ban jata hai ya ansoo

Ya ansoo be bohat ajeeb hotay hai

Apnay hoo kay be kis ki yaad ker nikal atay hai

Asif
01-26-2007, 12:21 PM
Her Terha K Jazbaat Ka ILaan Hain Aankhain
Shabnam Kabhi Shoola Kabhi Tufaan Hain Aankhain

Aankho se Bari Koi Tarazu Nahy Hoty
Tulta Hai Bashar Jiss Main Wo Mezaan Hain Aankhain

Aankhain Hi Milaty Hain Zamanay Main Dilo Ko
Unjaan Hain Hm Tum Ager Unjaan Hain Aankhain

Lab Kuch Bhi Kahain Is Se haqeeqat Nahy Khulty
Insaan K such Jhoot Ki Pehchaan Hain Aankhain

Aankhain Na Jhukain Tere Kisi Gair K Aagay
Duniya Main Bari Cheez Mere JAAN Hain Aankahin

Asif
01-26-2007, 12:21 PM
Ishq ne kya kya ranj sahe tum kya jano
Aag main kitne phool khile tum kya jano

Hijr ki kaali raat main kaise kaise log
khaak main milke khak hue tum kya jano

Humne ik tumhare naam ki khushboo se
Kitne dasht bahar kiyeh tum kya jano

Apni kitab-e-umr ki sari sattron main
Humne kiske khuwab likhe tum kya jano

Tum bichre tou humne apni palkon per
Kitne darya rok liyeh tum kya jano

Sur ki chaooon main lafz ki kaliyan khilne tak
Hum tou sab kucch bhool gaye tum kya jano

Asif
01-26-2007, 12:21 PM
Usey Apni Farda Ki Fikar Thi, Woh Jo Mera Waqif-e-hal Tha,
Woh Jo Us Ki Subh-e Urooj Thi, Woh Hi Mera Waqt-e-zawal Tha.

Kahan Jao ** Mujhay Chor Kay, Ye Mein Pooch Pooch Kay Thak Gaya,
Woh Jawab Na Mujh ko Dey Saka, Woh To Khud Sarapa Sawal Tha.

Meri Baat Kaisay Woh Manta, Meray Dard Ko Woh Kaisay Janta,
Woh To Khud Fana Kay Safar Mein Tha, Usey Rokna Bhi Mahal Tha.

Woh Jo Us Kay Samnay Aa Gaya, Woh Hi Roshni Mein Naha Gaya,
Ajab Us Ki Hayat-e-ishq Thi, Aajab Us Ka Rang-e- Jamal Tha.

Damay Wapsi Aray Kia Howa, Na Woh Roshni Na Woh Tazgi,
Woh Sitara Kaisay Bikhar Gaya, Woh To Aap Apni Misal Tha.

Woh Mila To Sadyoon Kay Baad Bhi, Meray Lub Pay Koi Gila Na Tha,
Usay Meri Chup Nay Rula Diya, Jisay Guftago Mein Kamal Tha.

Meray Saath Lag Kay Woh Ro Diya, Mujhay Bus woh Itna Hi Keh Saka,
Jisay Janta Tha Mein Zindagi, Woh Mehaz Wahm-o-khiyal Tha.

Asif
01-26-2007, 12:21 PM
Baatein Teri Uttarti Hain Dil Main Qaraar Ban Ke
Pyaar Tera Barasta Hai Mujh Par Phuwaar Ban Ke

Duniya Sitam Kare Mujh Par Parwaah Nahi Mujhe
Pyaar Tera Rehta Hai Mere Gird Hisaar Ban Ke

Jazbe Sache The Jo Mil Gaye Hum Dono
Duniya Laakh Aayi Darmiyaan Dewaar Ban Ke

Zor Koi Dil Per Apna Ab Chalta Nahi Hai
Pyaar Main Tere Reh Gaye Be Ikhteyaar Ban Ke

Asif
01-26-2007, 12:22 PM
kuch dur to meray sath chalo phir beshak rah badal lena
kuch pal tum meray sath raho, phir beshak rah badal lena

kuch dair to thamo mera hath, kuch dair raho tum meray pas
yeh yadain mujh ko tum day do, phir beshak rah badal laina

auron kay sath to rehtay ho, auron ki suntay, kahtay ho
do batain mujh say bhi karlo,phir beshak rah badal laina..

kandhay pay teray sar rekh ****, ankhon ko apni band kar ****
palkon ki chilman girnay do, phir beshak rah badal laina..

kyo mujh say chup kay rehtay ho?kyo dil ki bat na kehtay ho?
jo dil may hay woh keh dalo phir beshak rah badal laina..

jo tum kehtay na kehti hain, kyo ankhein sath na daiti hai?
yeh anso bhi apnay chun lo phir behsak rah badal laina..

bin teray jee na paon gi..may matti may mil jao gi
meri mayat ko kandha daina phir beshak rah badal laina..

Asif
01-26-2007, 12:22 PM
Raat mein khayaalon mein aati ho tum
Kabhi saamne aakar bhi dekho
Hum se baatein to roz karte ho tum
Kabhi humaari taraf muskuraakar bhi dekho
Humaari nazar bohat kuch keh deti hai
Kabhi hamein nazaron se samajh kar to dekho
Humse dosti ka rishta hai tumhara
Kabhi hum say dil laga kar to dekho
Humari baton ne tumhaara dil kahi baar behlaya hai
Kabhi apni baton se hamein hasaa kar to dekho
Mujhse milkar anjaane mein dil mein basne lagti ho
Kabhi hamein bhi apne dil mein basaa kar to dekho
Har mushkil rah be aasaan ho jaayegi bus
Hum par ik baar aitbaar kar ke to dekho
Hum tumhein zindagi mein har khushi denge
Bus ek baar humse pyaar kar ke to dekho
Tumhein paane ke liye har imtihaan denge hum
Humein kabhi aazmaa kar to dekho
Tum kehte ho ke bohat mushkil hai mujhe apnana
Ek baar hamein apna banaa kar to dekho

Asif
01-26-2007, 12:22 PM
Batoon batoon main bicharnay ka ishara kar k
Khud b roya woh bohat hum se kinara kar k

Sochta rehta hoon tanhai main anjam-e-khulus
Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobara kar k

Jagmagadi hain tere shehair ki galiyan main nai
Apnay har ashk ko palkon pay sitara kar k

Dekh laitay hain chalo honsla apnay dil ka
Aur kuch roz tere saath guzara kar k

Aik hi shehair main rehna hai magar milna nahi
Dekhtay hain yai aziyat bhi gawara kar k
_________________

Asif
01-26-2007, 12:23 PM
Kaash hum tum Ajnabi hote
Jis tarha aur log hua karte hain
Be-talluq se be-tarruf se
Kaash hum tum ajnabi hote
Beqarari na bekali hoti
Na-mukammal na zindagi hoti
Yun na hoti azziaten dil mai
Zindagi bhi na hoti mushkil mai
Aanso`on se na dosti karte
Apne dil se na dushmani karte
Dosron ki tarah hum bhi khush rehte
Kaash hum tum Ajnabi hote..~.!!!

Asif
01-26-2007, 12:23 PM
Yeh zindgi bari ajeeb si
kabhi gulzar si kabhi bezar si
kabhi khushi hamaray sath sath
kabhi gamoon ki barsat si
ye zindgi bari ajeeb si

kabhi tofanoon main bhi hain rastay
kabh manzaloon ka pata nahi
kabhi do qadam pe zindgi
kabhi sadioon tuk intezar si
ye zindgi bari ajeeb si

kabhi har pal imtehan hai
kabhi bin managy eman hai
kabhi kuch nahi kabhi sab kuch si
ye zindgi bari ajeeb si
kabhi gulzar si kabhi bezar si

Asif
01-26-2007, 12:23 PM
Tum JO Aao Gi To Khoya Huwa Pao Gi Mujhe
Meri Tanhayi Main Khawabon Ke Siwa Kuch Bhi Nahin

Mere Kamrey Ko Sajaaney Ki Tamnna Hai Tumhein
Mere Kamrey Main Kitabon Ke Siwa Kuchh Bhi Nahin

In Kitabon ne Barha Zulm Kiya hai Mujh per
In Main Ek Ramz hai Jis Ramz ka Mara huwa Zehn

Aish-e-Ahsaas ka Paigham Nahin Pa Sakta
Zindgi Bhar Kabhi Aaraam Nahin Pa Sakta

Tum JO Aao Gi To Khoya Huwa Pao Gi Mujhe
Meri Tanhayi Main Khawabon Ke Siwa Kuch Bhi Nahin
_________________

Asif
01-26-2007, 12:24 PM
mohabbat ik waqia hai jo
waqt k saath roonuma hua
aur waqt k saath hi
yeh dhundla ho jay ga
na yaad rakhney ko koi
baat ho gi!
na shay na koi maat ho gi
haan phansi hai ik phaans si dil main!
magar.......!
mohabbat ik waqia hi to hai....!
waqt k saath yeh gard ho jay ga to
yaad bhi na rahey ga keh....
mohabbat khuaab mosam main
dilon ki sar-zamin par kuch
khuaab lai thi.......!

Asif
01-26-2007, 12:24 PM
bohat saja'ye thay ankhoo men khwaab main nay bhi
sahay hain iss k liye ye aza'ab mai nay bhi

judaiyo ke khalish is ne bhi na zahir ke
chupaye apne gham-o-iztarab main nay bhi

diye bhuja ke sare sham sogya tha woh
bitaayi ro ke shabay mahtaab main nay bhi

yehi nahi ke mujhay iss ne dard e hijar diya
judaiyon ka diya hai jawaab main nay bhi

kisi ne khoon se tarr choriya jo bheji hain
likhi hai khon e jigar se kitaab main nay bhi

khizaa'n ka waar bohat kargar tha dil pay magar
bohat bach'a ke rakha ye gulaab main nay bhi

Asif
01-26-2007, 12:24 PM
Tere sabhi ghamon ko smait ***
Mein Tujhe itna pyar don
Teri udaasiyu ko mita k
Teri har shaam Nikhar don


Teri ankhon mein chupi kheezan
Mere dil pe asar kar gai
Tere wajood ko mehka dey jo
Tere labon ko wo Bahar don


Teri ek mukurahat ka badal
Kuch ho nahi sakta magar
Jo miley tujhe khushi agar
Main jaan bhi apni waar don


Aa gaya hai jo hijer ka dour
Tere mere darmiyaan,
Jo miley mujhe fursatein
Ye waqt ka Qarz utaar don


Tere dil ki ronkein murjha gai
Hain jo es tarha,
Laga k apne seeney se
Teri dharkano ko qarar don


Tanhaiyo k Tofaan sey
Jo bikhar gain hain sabhi
Jo kahe tu agar
Teri har zulf sanwaar don


Meri nigha bhi hai
Teri ek nazer ki muntazir
Jo kare tu nazer idher
Tujhe duayein beshumar don


Na Dhan se, Na Doulat se
Na Dunia se koi mera wasta
Miley jo bas tu agar
Tere sang zindagi guzar don

Asif
01-26-2007, 12:24 PM
Chand tanha hai aasman tanha..
Dil milta hai kahan kahan tanha..

Bujh gai aas chup gaye taare..
Thar thara ta raha dhuan tanha..

Zindagi kya esi ko kahte hain..
Jism tanha hai aur jaan tanha..

Hum safar koi gar mile bhi kahin..
Dono hi chalte rahe tanha tanha..

Jalti bujhti si raushni ke pare..
Simta simta sa ek makaan tanha..

Asif
01-26-2007, 12:25 PM
Muhabbat Ka Meri Mujh Say Hisab Mangta Hai
Tamam Umer Ka Mujh Say Nisab Mangta Hai

in Logoon Ko Main Jantii Nahin
Un Logoon Kay Mujh Say Alqaab Mangta Hai


Us Kay Qadmoon Main Khushioon Ko Dhair Ker Diya
Pagal Un Cheezon Ka Jawaz Mangta Hai

Hazar Bar Kaha Sirf Tum Say Pyar Hai
Meray Pyar Ka Mujh Say Iqrar Mangta Hai

Asif
01-26-2007, 12:25 PM
SUNA HAI PYAAR KE KISSEY AJIB HOTE HAIN,
KHUSHI KE BADLE GAM NASEEB HOTE HAIN,
MERE DOST MOHABBAT NA KARNA KABHI,
PYAAR KARNEWALE BADE BADNASEEB HOTE HAI

Asif
01-26-2007, 12:25 PM
aik din tanhai main bethay
mujh say kisi nay pooch lia tha
chup chup kion tum rehtay ho
kuch ukhray say kuch badlay say
kuch uljhay uljhay lagtay ho
itnay sawal hue to main nay
bas aik hath utha ker apna
dil per rakha aur ye bola
aur to koi baat nahi hai
koi apna roth gya ha
dil tha khilona toot gya ha.....

Asif
01-26-2007, 12:26 PM
Gamo k bina zindagi adhuri hai..
Ae musafir phir bhi tera jeena jaruri hai....
Mat ho apni zindagi se khafa...
Kyuki teri zindagi ke bina bhi ek zindagi adhuri hai...
_________________

Asif
01-26-2007, 12:26 PM
Har dil Fariyad nahi karta
Har koi kisi ko Yaad nahi karta
Woh bhule Tumhe ek pal ke liye
Is baat pe Dil aetibar nahi karta

Asif
01-26-2007, 12:26 PM
Hasi ki rah mey Gham mile toh kya kare,
wafa ki rah mey bewafa mile toh kya kare,
kaise bachaye zindagi ko dhoke bazo se,
koi muskura ke dhoka de jaye toh kya kare…

Asif
01-26-2007, 12:26 PM
Hum se na pucho wo kaise dikhte hain
Hamein wo apno se barh ker lagte hain
Un ke liye Dil to kya Jaan bhi Hazir hai
Mushkil yeh hai ke wo Hamein Auron mai Ginte hain

Asif
01-26-2007, 12:27 PM
aasman k taray akser yeh pochtay hain mujh se!
kiya tumhin aaj bhi intezar hai UN k aane ka!!
aur yeh dil muskera k kehta hai!
MUJhi tou abb tak yakeen nahi aaya un k jane ka!

Asif
01-26-2007, 12:27 PM
Phir Khafa Ho Gaye Hai Zindagi Humse,
Kab Haath Tera Chhoota Mere Daaman Se,
Ab Nahi Kuch Bhi Haasil Na Hi Koi Manzil,
Hum Ko Tanhayi Mili Hai Is Mohabbat Se,

Ab Bhi Yaad Aate Hai Hame Guzre Wo Lamhe,
Ashq Rukte Nahi Hai Meri Aankhon Se,
Dhadkane Tham Jati Hai Rukti Hai Saansein,
Yaad Jaati Nahi Kyon Teri Is Dil Se,

Socha Tha Humne Kya Aur Humko Mila Kya,
Gila Kismat Se Hai Humko Tumse Gila Kya,
Ab To Tanha Guzar Rahe Hai Hum Is Dagar Se,
Phir Khafa Ho Gaye Hai Zindagi Humse...

Asif
01-26-2007, 12:28 PM
Yeh dekha hai humne aazmakar,
dhoka dete hai log aksar kareeb aakar,
kehti hai duniya par yeh dil nahi maanta
ki **** jayenge sab ek din apna banakar!

Asif
01-26-2007, 12:28 PM
Raat si tanha khamoshi hai mere dil mein..

Shayad kuch jazbaat ki kami hai iss dil mein..

Pehle to hum harr baat par haste ya rote the..

Par ab shayad koi ehsaas hi nahi hai mere dil mein!!

Asif
01-26-2007, 12:29 PM
sabhi udaas moasam hain kabhi milnay chalay aao
dukhon main ham tu gum sum hain kabhi milnay chalay aao

tumharay baad kesi roanaqain is dil ki nagri main
sabhi charagh madham hain kabhi milnay chalay aao

tumharay paas to hon gi zamanay bher ki sab khushian
hamaray paas to gham hain kabhi milnay chalay aao

tumhari yaad ab dil ko bohat taklif deti hai
nigahain bhi to purnam hain kabhi milnay chalay aao

lagay hain zakham kitnay bay baha dil pay mohabbat main
tumharay lafz merham hain kabhi milnay chalay aao

bohat hamderd hain yun to hamaray bhi zamanay main
mager phir bhi bohat kam hain kabhi milnay chalay aao

yeh pather hi na ho jaain nigahain dekhtay rasta
k khushian bhi to berham hain kabhi milnay chalay aao

na janay kab yeh larkii haar day saanson ki bazi ko
isay lahaq tere gham hain kabhi milnay chlay aao

Asif
01-26-2007, 12:29 PM
a jayen ham nazar jo koi dam bahut hai yan
mohlat basan-e-barq-o-sharar kam bahut hai yan


yak lahza sina kobi se fursat hamein nahin
yani ki dil ke jane ka matam bahut hai yan

ham rah rawan-e-rah-e-fana der rah chuke
waqfa basan-e-subh koi dam bahut hai yan


hasil hai kya siwaye tarai ke dahar mein
uth asman tale se ke shabnam bahut hai yan

is butkade mein mani ka kis se karen sawal
adam nahin surat-e-adam bahur hai yan


ajaz-e-isawi se nahin bahs ishq mein
teri hi bat jan-e-mujassim bahut hai yan

mere hilak karne ka gam hai abas tumhen
tum shad zindagani karo gam bahut hai yan


shayad ke kam subh tak apana khinchena 'Mir'
ahawal aj sham se darham bahut hai yan

Asif
01-26-2007, 12:29 PM
Hijar mein khun rulatye ho kahaan hotye ho ?
loot kar kyun nehi atye kahaan hotye ho ?

jab bhi milta hae kio shakhass baharoon jeysa
mujh ko tum kesye bhulatye ho kahaan hotye ho ?

yaad aatii hain akylye mein tumhari neendain
kis tarha khud ko sulatye ho kahaan hotye ho ?

mujh se bhichrye ho toh mehbub-e-nazar ho kis k ?
ajh kal kis ko maanatye ho kahaan hotye ho ?

shab ki tanhaai mein aksar yeh khiyal aata hae
apne dukh kis ko sunatye ho kahaan hotye ho ?

mosam-e-gul mein hijar ka nasha bhar jata hae
mere sab hosh churatye ho kahaan hotye ho ?

sard ratoon mein tumhain kesye bhula sakti hun ?
aag si dil mein lagatye ho kahaan hotye ho ?

tum toh khushiyoon ki rafaqt k liye bhichrye thye
ab agar aashq bahatye ho kahaan hotye ho ?

shehar k log bhi ab yehi sawal kartye hain
ab bohat kaam nazar atye ho kahaan hotye ho

Asif
01-26-2007, 12:30 PM
jo kuch bhi mila hai usi mein khush hu
mein tere liye khuda se taqrar nahi karta,
par kuch to baat hai teri fitrat mein
zalim warna tujhe chahne ki khata baar baar nahi karta

Asif
01-26-2007, 12:30 PM
Ruk Jao Mujhe Kuch Kehna Hai
Tumhien Pyaar Bhi Thora Dena Hai
Phir Apna Rasta chalna Hai
Jis Raste Per Chaya Bhi Nahin
Aur Tum Bhi Nahin
Bus Yaad Tumhare Saath rahe
Yun Jaise Dil Pe Haath Rahe
Kuch Dard Ka Bhi Ahesaas Rahe
Ruk Jao Ye Tuhfa Lena Hai
Bus Pal Do Pal Tum Saath Raho
Phir Beshaak Dur Chale Jaana
Phir Laut Ke Bhi Tum Na Aana
Bus Yaad Amar Ho jane Do
Aik Lambi Umer Judai Ki
Us Saath Se Pehle Katee Hai
Is Pyaaar Ke Baad Guzarein Ge
Bus Is Pal Mere Saath Raho
Aur Ye Pal Kash Teher Jae!!!...

Asif
01-26-2007, 12:30 PM
Tumhe dil main basaye rakhta hoon
Aur duniya ko bhoolaye rakhta hoon
Tumhe meri nazar na lag jaye
Iss liye nazarein jukaye rakhta hoon

Asif
01-26-2007, 12:30 PM
chalo jab apnay kia pay dil pachtay to aajana
chari bahr ko bhi gar mayra khayal aay to aajana

guzray howay lamhay khalish ban jayan seenay ki
or aysay may kisi soorat chayn na aay to aa jana

mujhay thukra k tum nay hath thama hay zamanay ka
chalo jab yah zamana tum ko thukra day to aa jana

tum oljhay ho farybay husan dunya k nazaroon may
chalo jab dil tumhara in say bhar jaahay toa aa jana

tumahara husan lasanai hay yah zinda haqeeqat hay
haqeeqat ko jab aa-e-na bhi jhutlay to aa jana

Asif
01-26-2007, 12:31 PM
Surkh Aankhon se jab woh dekhte hain,
hum ghabrakar aankhen jhuka lete hain..
Kaun milaye un Aankhon se aankhen,
suna hai woh aankhon se apna bana lete hain..

Asif
01-26-2007, 12:31 PM
Yeh Rat Bi Tery Nam hoi !

Jab din doba,Jab sham dhali

Najany yeh kab teri yad ai

Aor dil ki ungli tham chali

Jab din tha khud se kehty thy

Tab kam buhat se rehty thy

Yeh rat talal nimtayn **

Jab thakyn ** hum so jayn **

Hum aaj nahi ro payn **

Teri yad hamyn ayy gi

Koi bat nahi dohraay gi

Hum aaj ki shab nahi jagyn **

Nahin soch ke peechy bhagyn **

Hai buhat jo thun sanbhali

Jo mehnat kar ke Pali hai

Yahi thun hamyn bachay gi

Lay neend ki wadi jay gi

Na bechani lahak ho gi,Yeh betabi hi satay gi

Har rat yeh rona kia rona

Ashkon se ghamon ko kia dhona

Kyon dard ke hathon Jaan khona

Ilam nahi kab sham hoi,Kyon har koshish nakaam hoi

Yeh Rat Bi Tery Nam hoi..............

Asif
01-26-2007, 12:31 PM
Mujhe Mohabbat Ho Jaayengi... Yeh Socha Na Tha
Tujh Se Aashique Ho Jaayengi.. Yeh Socha Na Tha.....

Is Kadar Dil Tarpega.. Tujhse Bichar Jaane Pe.
ankein Deedar Ko Taras Jayengi...Yeh Socha Na Tha

Asif
01-26-2007, 12:32 PM
Aankhon say mairi eis liye laali nahi jaati
Yaado'n say koi raat jo khali nahi jaati

Ab umar na mosam na wo rastay k wo paltay
Eis dil ki magar khaam khayali nahi jaati

Mangay tu agar jaan bhi,hans k tujay day dain
Tairi to koi baat bhi taali nahi jaati

Maloom humain bhi howay bohat say tairay qissay
Her baat tairi hum say uchaali nahi jaati

Hum jaan say ja'ain ** tabhi baat banay gi
Tum say to koi raa'h nikali nahi jaati

Asif
01-26-2007, 12:32 PM
ABI KUCH AUR DEKHO TUM
ABI KUCH AUR JANO TUM
ABI MOSUM BADALNA HAI
ABI SORAJ NIKALNA HAI
ABI BARAF KAY TODON KO
PAHARON SAY PIGALNA HAI
BADALNA HAI ABI CHANDI KO PANI MEIN
UTERNA HAI ABI SONA KIRNO KI RAWANI MEIN
ABI TU JEEL KAY OPER KAWAL KAY POUL KHILNA HAI
ABI US KAY KINARON PER
GUZRAY HEIN KAI JHOUNKAY HAWAON KAY
ABI KUCH POUL KHILNAY HEIN
ABI KUCH ZAKHUM SILNAY HEIN
MERI BAAT MANO TUM
JANAY KI MAT TANO TUM
ABI KUCH AUR TEHRO TUM
ABI KUCH AUR TEHRO TUM

Asif
01-26-2007, 12:32 PM
Din kuch aisay guzaarta hai koi
Jaisay ehsaan utaarta hai koi

Dil mai kuch yun sambhaalta hun gham
Jaisay zevar sambhaalta hai koi

Aaina daikh kar tassali hui
Hum ko is ghar mai jaanta hai koi

Pakk gaya hai shajar pay phal shayad
Phir say pathar uchaalta hai koi

Der say goonjtay hain sanaatey
Jaisay hum ko pukaarta hai koi

Asif
01-26-2007, 12:32 PM
Tu ne dekha hai kabhi ek nazar sham k bad
kitne chup chap se lagtey hain shajar sham k bad

itne chup chap k rastey bhi rahen ge la illm
chor jayenge kisi roz nagar sham k bad

main ne aise hi gunah teri judai main kiye
jaise toofan main koi chor de gher sham k bad

sham se pehle wo mast apni uranon main raha
jis k hathon main the tootey hue par sham k bad

raat biti to giney aabley or phir socha!!
kon tha bais-e-aaghaz-e-safar sham k bad

tu hai sooraj tujhe maloom kahan raat ka dukh
tu kisi roz mere gher main utar sham k bad

lot aaye na kisi roz wo aawara mizaj
khol rakhte hain isi aas pey dar sham k bad....

Asif
01-26-2007, 12:33 PM
Dukh fasan nahin k tujh say kahain
Dil bhi mana nahin k tujh say kahain

Aaj tak apni bay kali ka sabab
Khud bhi jana nahin k tujh say kahain

Eik tu harfashana tha magar
Ab zamana nahin k tujh say kahain

Be-tarhan dil hai aur tujh say
Dostana nahin k tujh say kahain

Aay khuda dard-e-dil hai bakhshish-e-dost
Ab-o-dana nahin k tujh se kahain

Asif
01-26-2007, 12:33 PM
jeeyo itna ki marna muskil ho jaae
hanso itna ki rona muskil ho jae
kisi ko chahna acchi baat hai
magar na caho itna ki bhulana muskil ho jae

Asif
01-26-2007, 12:33 PM
jo na mil sakey wahi bewafa , yeh badi ajeeb si baat hai

jo chala gaya mujhe ****h kar, wahi aaj tak mere saath hai


jo kissi nazar se ataa hui, wahi roshni hai hayaal mein

woh na aa saka main hoon muntazir, yeh khalish kahan thee visaal mein

meri justuju ko khabar nahi, na woh din rahe na woh raat hai

jo chala gaya mujhe ****h kar wahi aaj tak mere saath hai


tere pyare lab pe gila na ho, yeh kissi-kissi ka naseeb hai

yeh karam hai uska jafa nahi, woh juda bhee rahke qareeb hai

wohi aankh hai mere ru-baru, ussi haath mein mera haath hai

jo chala gaya mujhe chor kar wahi aaj tak mere saath hai


mera naam tak jo na le saka, jo mujhe qaraar na de saka

jisse ikhtiyaar to thaa magar, mujhe apna pyar na de saka

wohi shakhs meri talaash hai, wohi gard meri hayaat hai

jo chala gaya mujhe chor kar wahi aaj tak mere saath hai

Asif
01-26-2007, 12:34 PM
Na shikaitain kare na gillah kare



koi aisa shakhs howa kare



jo mere liye hi saja kare



mujh hi se baatain kiya kare



kabhi roai jaai who bepanah



kabhi betahasha uddas ho



kabhi chupke chupke dabe qadam



mere pichai aakar hansa kare



meri qurbatain meri chahatain



koi yaad rakhai qadam qadam



mai taviel safar me hoon agar



meri wapsi ki duaa kare



na shikaitain kare na gillah kare


koi aisa shakhs howa kare

Asif
01-26-2007, 12:34 PM
Siyaahiyon Ke Bane Harf Harf Dhote Hai,
Ye Log Raat Mein Kaagaz Kahan Bhigote Hai,

Kisiki Shah Mein Dehliz Par Diya Na Rakho,
Kivaar Sukhi Hui Lakdiyon Ke Hote Hai,

Charaag Paani Mein Maujon Se Puchhte Honge,
Wo Kaun Log Hai Jo Kashtiyan Dubote Hai,

Qadeem Qasbon Mein Kya Sukun Hota Hai,
Thake Thakaye Hamare Buzurg Sote Hai,

Chamakti Hai Kahin Sadiyon Mein Aansuon Ki Zameen,
Gazal Ke Sher Kahan Roz Roz Hote Hai...

Asif
01-26-2007, 12:35 PM
koi manaaney wala hi nahin
rooth key khud hi man jata hoon main
koi nahin jo samjhaey mujhey
bus apney dil ko khud hi samjha leta hoon main

yeh dil bhi ajeeb cheez hai
jo issey toar detey hain unhey dil main basa leta hoon main
loog bekhaer detey hain is dil ko
jab chaley jaatey hain to khud hi saja leta hoon main

deney waley dard dey ke chale jaatey hain
woh haseen yadain seeney sey laga leta hoon main
ab to aadat hogayee hai aisi key
roona chahoon bhi to na jaaney kion muskura deta hoon main

yeh kaisa tanhae ka alam hai
har taraf shor hokar bhi apney aap ko tanha paata hoon main
tum kaisey suno gey meri dastaan ae Tanhae

Asif
01-26-2007, 12:35 PM
wafa k waday woo saray bhula gaiya chup chap
woo mairay dil ki dewarein hila gaiya chup chap

gham e hiyaat kay taptay howay biyanban main
wo tanha choor kay mujh ko chala giya chup chap

na jannay kon sa wo badnaseeb lamha tha
jo gum ki aag mai mujh ko jala gaiya chup chap
_________________

Asif
01-26-2007, 12:35 PM
Mujhe naaz hai ke too mera pyar hai,
Tum ho to mujhe jine ka armaan hai,

Tumhe milne se dil khil uthta hai,
Meri zindagi ki ek toohi pahechaan hai,

Tere siwa mujhe kisi se kya kaam hai,
Tere bina mera jina bhi bekaar hai,

Mujhe naaz hai ki toohi mera pyar hai.

Asif
01-26-2007, 12:36 PM
jab sawan mein tanha bheego **
jab aangan khali pao **

jab sahil say takrati lehron mein
apni tanhayee mein kho jao **

jab raat ko tanha daman mein
tum chand ko aadha paogay

jab khud say bateen kartay kartay
tum door kahiin kho jao **

jab dil ki baat chopanay ko
tum hum say nazar chorao **

"Mein tum say muhabbat karta hoon"
har bar yeh sunna chaho **

In sab lamhoon mein jaan laynaa kay
tum nahi "HUM" ban jao **

Asif
01-26-2007, 12:36 PM
Ek dil mere dil ko zakham de gaya,
Zindagi bhar jeenay ki kasam de gaya,
Lakhon mein se ek phool chuna hamne,
Jo kaanton se bhi gehri chubhan de gaya
_________________

Asif
01-26-2007, 12:36 PM
Kyon koi chah kar mohobbat nibha nhi pata,
Kyon koi chah kar rishta bana nahi pata,
Kyon leti hai zindagi aisi karwat,
Ke koi chah kar bi pyar jata nahi pata....

Asif
01-26-2007, 12:36 PM
Zindgi rukh badal gaee hotee
kaash tu mujhko mil gaee hoti
Zindgi ko galley laga laita
Her tamanna pighal gaee hoti

Kaash tu mujhko mil gaee hoti


Khaab palkon pe saja laita
Tujh ko seeney se laga laita
Apne dil main tujhe basa laita
Merii qismat badal gaee hotee

Kaash tu mujhko mil gaee hoti


Aah nikle gi hont see loon ga
Jis tarah ho sake ga jee loon ga
Zeher bhi hanste hanste pee loon ga
Gham ki yeh dhoop dhal gaee hotee

Kaash tu mujhko mil gaee hotee


Ab tere gham ko dil main paalun ga
Haan judai ka zakham khaa *** ga
Maut ko bhi galley laga loon ga
Maut bhii aa ke tall gaee hotee

Kaash tu mujhko mil gaee hotee

Asif
01-26-2007, 12:37 PM
kon bataye kon samjaye,kon say des sudhar geay

in ka rsta taktay taktay nean hamray haar geay

ik lagan ki baat hai jeewen aek lagan hi jeewen hai

pochh na kiya khoya kiya paya,kia jeetay kya haar geay...

Asif
01-26-2007, 12:37 PM
Zindagi kabi tu yun bhi kare gi
Hum ne tu ye socha bi na tha
Hum kabi bicher jain ge yun tum se
shayad ye tu takdeer main huna hi tha

Asif
01-26-2007, 12:54 PM
Suraj ki rosni se apne ko dur kar nahi sakte
Dil ka dard hum kisi ko dikhaya nahi karte
ankhon ki aansoo lakh kosish kar chupa nahi sakte
Dil etni aasani se kisi ko diya ya liya nahi karte

Asif
01-26-2007, 12:55 PM
dil ki ****oon nai kabhi chain sai rehnay na diya...
jab jali sard hawa main nai tujhy yaad kiya....
is ka rona nai Q tum nai kiya dil barbad...
is ka gham hai ki bhut dair main barbad kiya

Asif
01-26-2007, 12:55 PM
Hamain ranj nahin ke tere ishq main ruswa na hue
They tanha magaar phir bhi kabhi tanha na hue

Kehte they hum se karte hain nafrat who buhat
Najana kyun yeh sun kar hum khafa na hue

Rakhtey hain jo hisab is pyar ke rishtey main
Phir to tere kayee karz wafa ke ada na hue

Asif
01-26-2007, 12:55 PM
Dil jo tuta to yeh khayal aaya
Ishq me hum ne kiya sila paaya

Waqt apna ho to hote hein sabhi apne
Chhorr jata hai bure waqt mein apna saaya

Baste the kabhi aankh mein khwabon ki tarah jo
Mein aaj un lamhon ko aanswon meN baha aaya

Aaj mujh ko who udaas buhut maaloom huwa
Aaj mein mushkil se shear keh paaya

Meri sanson meN basa tHa khushboo ki tarha
Woh, jise mein chah ke bhi na bhula paaya

Zindagi khatm huwi jaati hai JAVAID
Hi tujhe kis waqt khuda yaad aaya

Asif
01-26-2007, 12:55 PM
Taarikh ke duniya mein kabhi aisa bhi dor aayi hai...
Lamhon ne khata ke hai, Sadiyon ne sazaa paayi hai...
Zindagi mein do he lamhe bari mushkil se guzaary ,
Ek tery aane se pehlay.... or ek tee jaane k baad..

Asif
01-26-2007, 12:56 PM
Mujhey naseeb hoa uskey dheyaan men rehna
Zameen pey hotey hoey aasmaan men rehna

men janti hoon key wo mera ho nahiN sakta
mujhey pasand hey lekin gumaan men rehna

muhobatoon men jo dil beyqaraar hojaen
unhen naseeb kahan itmenaan men rehna

kisi kisi ko dia mertaba khuda ney ye
kisi ka hona kisi ki amaan men rehna

Mujhey naseeb hoa uskey dheyaan men rehna
Zameen pey hotey hoey aasmaan men rehna

Asif
01-26-2007, 12:56 PM
Kal fursat na mili to kya hoga,
Itni mohabbat na mili to kya hoga,
Roz kehte ho kal milege..kal milege,
Kal ankhen na khuli to kya hoga.....

Asif
01-26-2007, 12:56 PM
Tohfa kya aaj tumhe main yaar dun,
Bachhi chandd khushiya bhi tumhe apni vaar dun,

maanga tha joh uss khuda se tumhare liye,
un sabhi duaon ka tujhe main uphaar dun…

eyes
01-26-2007, 01:27 PM
Un Ko Bhi Hum Say Waisi Hi Mohabbat Hoo Zaroori Tu Naheen
Aik Si Donoon Ki Halat Ho Zaroori Tu Naheen

Dil ki Chathat To Kai Khawab Jaga Daiti Hay
Haan Mager Saath Main Qismat Bhi Ho Zaroori To Naheen

Meri Tanhayan Karti Hain Jinhain Yaad sada
Un Ko Bhi Meri Zaroort Ho zaroori To Naheen

Musakaranay Say Bhi Hota Hay Bayan Qham-e-dil
Mujh Ko Ronay ki Bhi Aadat Ho Zaroori To Naheen



Ya be achi hai :creature2[1]:






----------------------------------------------------------------------
http://www.geocities.com/mashkoor1/img/sign.jpg

eyes
01-26-2007, 01:28 PM
Ateemad Hai Mugh Ko
Dil Say Bedgumani Ki Berf Nay Pighal Na Hai
Nefratoo K Sooraj Nay Dekh Lena Dhelna Hai
Ham Nay Phir Say Milna Hai
Piyar K Gulaboo Nay Dil May Aaj Khilna Hai
......
Inteezar Kertay Hian
Who Anag Gazeeda Hai
Ab Anah Ki Choooti Say Who Zaroor Otraygi
Saray Dukh Bhula Deagi
Renjishey Mita Deagi
Mugh Ko Deagi Awazain, Han Mughay Bolayeg
........
Inteezar Kertay Hain
Zebth Azmatay Hain
Yeh Kamal Tu Hoga
Dil Nidhal Tu Hoga
Piyar Ka Yehe Lemha Lazawal Tu Hoga
Raat Nay Guzerna Hai
Nefratoo Nay Merna Hai
Is Nay Lot Ana Hai
Barqarar Kiya Hona
Ateemad Zinda Hai



Ya be achi hai :creature2[1]:






----------------------------------------------------------------------
http://www.geocities.com/mashkoor1/img/sign.jpg

Asif
01-29-2007, 02:01 PM
thnx eyes

noor
02-05-2007, 05:04 AM
Mujhey naseeb hoa uskey dheyaan men rehna
Zameen pey hotey hoey aasmaan men rehna

men janti hoon key wo mera ho nahiN sakta
mujhey pasand hey lekin gumaan men rehna

muhobatoon men jo dil beyqaraar hojaen
unhen naseeb kahan itmenaan men rehna

kisi kisi ko dia mertaba khuda ney ye
kisi ka hona kisi ki amaan men rehna

Mujhey naseeb hoa uskey dheyaan men rehna
Zameen pey hotey hoey aasmaan men rehna

hmmmmm wah very excellent poetry.:thumbsup1[1]:
Aps ji really nice...maan hi gaye hum bhi aapko.....i sure u have any magnate.type thing.jo attracte kar raha hai apki side ..frown

noor
02-05-2007, 05:07 AM
Kal fursat na mili to kya hoga,
Itni mohabbat na mili to kya hoga,
Roz kehte ho kal milege..kal milege,
Kal ankhen na khuli to kya hoga.....

to alrm kaab kaam aaye ga wakeup ho hi jaao gy inshaAllah....:fest20[1]:
nice sharing ..:thumbsup1[1]:

Asif
02-05-2007, 09:04 PM
magnetfrown

Erum Zehra
02-13-2007, 02:29 PM
Ateemad Hai Mugh Ko
Dil Say Bedgumani Ki Berf Nay Pighal Na Hai
Nefratoo K Sooraj Nay Dekh Lena Dhelna Hai
Ham Nay Phir Say Milna Hai
Piyar K Gulaboo Nay Dil May Aaj Khilna Hai
......
Inteezar Kertay Hian
Who Anag Gazeeda Hai
Ab Anah Ki Choooti Say Who Zaroor Otraygi
Saray Dukh Bhula Deagi
Renjishey Mita Deagi
Mugh Ko Deagi Awazain, Han Mughay Bolayeg
........
Inteezar Kertay Hain
Zebth Azmatay Hain
Yeh Kamal Tu Hoga
Dil Nidhal Tu Hoga
Piyar Ka Yehe Lemha Lazawal Tu Hoga
Raat Nay Guzerna Hai
Nefratoo Nay Merna Hai
Is Nay Lot Ana Hai
Barqarar Kiya Hona
Ateemad Zinda Hai

very nice aps ji

eyes
02-13-2007, 02:42 PM
Nice aps ji :piano:

(shuker hai main nay side per dekh leya warrna main tu lekh nay laga tha nice Erum :biggrin )

Asif
02-14-2007, 09:19 PM
Nice aps ji :piano:

(shuker hai main nay side per dekh leya warrna main tu lekh nay laga tha nice Erum :biggrin )



:rofl1[1]:

Asif
02-14-2007, 09:22 PM
Wo Dilnawaz hai lakin nazar shanas nahi
Mera ilaj mery charah gar k pass nahi

tarap rahy hn zban per kai swal magar
mery liey koi shan.e.iltimas nahi

tery jalo mn bi dil kanp kanp oth ta hai
mery mizaj ko asodgi bi ras nahi

kabi kabi jo tery qurb mn guzary thy
ab on dino ka tasawur bi mery pass nahi

guzr rahy han ajeeb marhalon se deeda.o.dil
sahar ki aas to hai zindgi ki aas nahi

mjy ye Dar hai teri aarzoo na mit jay
bohat dino se tbiat meri udas nahi

Asif
02-14-2007, 09:23 PM
Tuhmaten to lagti hn
Roshni ki kahish mn
Ghar se bahir any ki kuch saza to milti ha

Log Log hoty hn
onko kia khabar jana!
Apky iradon ki khoobsorat ankhon mn
Basny waly khaboon k rang kesy hoty hn
Dil ki Goad angan mn palny wali batton k
Zakham kesy hoty hn
Kitny gehry hoty hn
kab ye soch sakty hn
aesi be gunah ankhen
ghar ke kony khudron mn chup k kitna rooti hn

phir b ye kahan se
apni kaj byani se
is qadar rawani se dastan sunaty hn
or yaqeen ki ankhen
sach k gam zada dil se lag k rony lagti hain

Asif
02-14-2007, 09:23 PM
Tum ne to keh dia k Muhabat nahi mili
Muj ko to ye bhi kehny ki Mohlat nahi mili

Neendon k des jaty koi khab dekhty
Lakin dia jalany se Fursat nahi mili

Tuj ko to khair shehar k logon ka khof tha
or muj ko apny ghar se ijazat nahi mili

Phir ikhtilaf.e.rai ki sorat nikal pari
apni yahan kisi se bhi adat nahi mili

Bezar yun huy k tery ehad mn hamen
sab kuch mila sakon ki dolat nahi mili

Asif
02-14-2007, 09:23 PM
kia hai pyar jisy ham ne zindgi ki tera
wo ashna bhi mila ham se ajnabi ki terha

barha k pyas meri os ne hath chor dia
wo ker rha tha murrawat bhi dil lagi ki terha

kisy khabr thi barhy gi or tareeki
chupy ga wo kisi badli mn chandni ki terha

kabi na socha tha ham ne qateel is k liey
kary ga ham p sitam wo bi her kisi ki terha

Asif
02-14-2007, 09:24 PM
vo ke har ahad-e-muhabbat se mukarataa jaaye
dil vo zaalim ke usii shaKhs pe marataa jaaye


mere pahaluu me.n vo aayaa bhii to Khushbuu kii tarah
mai.n use jitanaa sameTuu.N vo bikharataa jaaye


kyo.n na hum usako dil-o-jaa.N se chaahe.n "Tashna"
vo jo ek dushman-e-jaa.N pyaar bhii karataa jaaye

Asif
02-14-2007, 09:24 PM
har bezaban ko shola_nava kah liya karo
yaro sukuut hi ko sada kah liya karo

Khud ko fareb do ki na ho talKh zindagii
har sangdil ko jane-e-wafa kah liya karo

gar chahate ho Khush rahen kuch bandagan-e-Khas
jitane sanam hain un ko Khuda kah liya karo

insan ka agar qad-o-qamat na barh sake
tum is ko nuqs-e-ab-o-hava kah liya karo

apane liye ab ek hi rah-e-nijat hai
har zulm ko raza-e-Khuda kah liya karo

le de ke ab yahi hai nishan-e-ziya "Qateel"
jab dil jale to us ko diyaa kah liya karo

Asif
02-14-2007, 09:26 PM
ujaar lamhon ki daastanain ager kaho tou sunaain tum ko
bohat sa hum jagtey rahey hain chalo zara sa jagaain tum ko

tumhi hi jo rashni si ban ker humari aankhon mein aa basey ho
jab apni aankhain hi keh dya hai tou phir bhala kyun rulain tum ko

tum aaj kyun muztarib ho janan,tumharey lehjay mein toot kesi
kaha na tha k waqt dai ga kadooraton ki sazaain tum ko

tum aisa kerna k aik lamhay ko apni dharkan peh haath rakhna
meri wafaain merey ye jazbay ager kabhi yaad aain tum ko

ghubaar aalud raaston mein talaash ker ker k thak gaye hain
kahan peh jaa k basay huye ho kahan se dhoond lain tum ko

tumhain tou sukh aagay muyaser tumhain to hum yaad bhi nahi hain
magr batao k hum jo chahain tou kis tarah se bhulaain tum ko

tum apni baaton peh mutmain ho hamein bhi shermindagi nahi hai
anaa ki diwaar ko gira ker nahi ye mumkin manaain tum ko

kaho ae jazib ye jhoot hai naa k tum ne us ko bhula dya hai
abhi talak jis ki shokh yaadein her aik lamha sataain tum ko

Asif
02-14-2007, 09:26 PM
koi phool dhoop ki pattieon mein harey ribbon se bandha hua
wo ghazal ka lehja naya naya na kaha hua na suna hua

jise lay gai abhi hawa woh warq tha dil ki kitab ka
kaheen aansoon se mita hua kaheen aansoon se likha hua

kai meel rait ko kat ker koi mauj phool khila gai
koi pairr piyas se mer raha he nadi kay pas khara hua

wohi khat k jis pe jagah jagah do mehakte hontoon k chand thay
kisi bhooley basrey se taaq per tah-e-gard ho ga daba hua

mujhe hadsoon ne saja saja k buhat haseen bana dia
mera dil bhi jaisay dulhan ka haath ho mehndion se racha hua

wohi shehar he wohi raastey wohi ghar he aur wohi lawn bhi
magr is dareechay se poochna woh darakht anar ka kia hua?

meray sath jugno he humsafar magr is sharar ki bisat kia
yeh charagh koi charagh he na jala hua na bujha hua

Asif
02-14-2007, 09:27 PM
kab kaun kisi ka hota hai
sab jhootay rishtay naatay hain
sab dil rakhnay ki baatain hain
sab aslee roop chupatay hain
ikhlaaq say khali log yahan
lafzon key teer chalatey hain
ik baar nigaahon mein aa ker
phir saari umer rulatay hain
lo jis nay humain hain ashk dye
ab us ko bhool hi jaatay hain!!!

Asif
02-14-2007, 09:27 PM
Kal raat janay kia hua,
Kuch dair pehlay neend say
Kuch ashk milnay aa gai
Kuch khwab bhee tootay huay
Kuch loog bhee bhoolay huay
Kuch rasta bhatki hueeN
Kuch gerd main liptee hueeN
Kuch bay-tarah phaili hueeN
Kuch khaul main simti hueeN
Bairabt se soochain kai
Bhooli huee batain kai
Ik shaks kee yadain kai
Phir dair tak jaga raha
Sochoon main gum baitha raha
Ungli se thanday farsh per
Ik naam hee likhta raha
Kal raat bhee woh raat thee
Kuch dair pehlay neend say
Main dair tak rota raha.

Asif
02-14-2007, 09:27 PM
Raat Uss ne Poocha tha
Tum ko Kaisi Lagti Hai
Chandni December ki !

Main ne Kehna Chaha Tha
Saal-o-Maah ke Baarey mein
Guftagu ke Kya Maani ?
Chahey koi Manzar ho
Dasht ho , Sumandar ho
June ho , December ho
Dharkanoo'n ka Har Naghma
Manzaroo'n pe Bhaari hai
Saath Jab Tumhara Ho
Dil ko Ik Sahara ho
Aisa Lagta hai, jaise
Ik Nasha sa Taari hai

Lakin Uss ki Qurbat mein
Kuch Nahi Kaha Main ne
Takti Reh gayi Mujh ko
Chandni December ki

Asif
02-14-2007, 09:28 PM
Muhabbat rog hoti hai kaha bhi tha
rula ker khud bhi roti hai kaha bhi tha

kinaarey k qareeb lay jaa ker
ye kashti ko daboti hai kaha bhi tha

isay tum dil ki dharti ka pata mat dou
ye is mein dard boti hai kaha bhi tha

muhabbat mein khushi k baad gham ki rut
bohat nazdeek hoti hai kaha bhi tha

luta ker dil ko roney sey bhi kya haasil
bohat naa'yaab moti hai kaha bhi tha

azal sey is ki fitrat hai zamaaney ko
jaga ker khud ye soti hai kaha bhi tha

ye ser sey paa'on tak bus raakh ker dey gi
bohat bey dard hoti hai kaha bhi tha

Asif
02-14-2007, 09:28 PM
DIL KI CHOKHAT PE JO EK DEEP JLA RKHA HAI
TERE LOT ANE KA AMKAAN SJA RKHA HAI

SANS TAK BHI NAHIN LETE HAIN TUJHE SOCHTE WAQT
HUM NEY IS KAAM KO BHI KAL PE UTHA RKHA HAI

ROOTH JATE HO TU KUCH AUR HASEEN LAGTAY HO
HUM NEY YEH SOCH K HI TUM KO KHFA RKHA HAI

TUM JISE ROOTA HUWA CHOOR GAYE THAY AIK DIN
HUM NEY US SHAAM KO SENE S LGA RKHA HAI

CHAIN LENE NAHIN DETA YEH KISI TOR MUJHAY
TERI YADOON NEY JO TOOFAN UTHA RKHA HAI

JANE WALE NEY KHA THA WOH LOTEY GA ZROR
EK ISI AAS PE DRWAZA KHULA RKHA HAI

TERE JANE S EK DHOOL UTHTI THI GHUM KI
HUM NEY US DHOOL KO ANKHOON MEIN BSA RKHA HAI

MUJH KO KAL SHAAM S WOH BUHAT YAAD ANE LAGA
DIL NEY MUDAT S JO AIK SHKHS BHULA RKHA HAI

AKHRI BAAR JO AYA THA MERE NAAM "NAZ"
MEIN NEY US KHAT KO KLEJE S LGA RKHA HAI

Asif
02-14-2007, 09:28 PM
jo meri aankhon se khuab dekho
to aik shab phi na so sako **

ke laakh chaho na huns sako **
hazaar chaho na ro sako **

ke khuab kia hain azaab hai ye
mere dukhon ki kitab hain ye

rafaaqatain in mein ***'ti hain
muhabbatain in mein rooth'ti hain

panapti hain in mein wehshatain si
azziyatain in mein phoot'ti hain

inhi k der se khizaan hain jazbay
inhi mein shaakhain si toot'ti hain

ghamon ki bandish hain khuab mere
dukhon ki baarish hain khuab mere

ubal raha hay dukhon ka lawa
raheen-e-aatish hain khuab mere

khayal saarey jhulas gaye hain
sulagti khuahish hain khuab mere

ukharti saansain hain zindagi ki
lahu ki saazish hain khuab mere

jo meri aankhon se khuab dekho
to aik shab bhi na so sako **

Asif
02-14-2007, 09:29 PM
Piyaar Ke Deep Jalane wale kuch Kuch Pagal Hotey Hein
Apni Jaan Se Janey Wale Kuch Kuch Pagal Hotey Hein.

Hijar Ke Gehrey Zakham Milley Tu Mujh Ko Kuch Ehsaas Hua
Pagal Ko Samjhaane Wale Kuch Kuch Pagal Hotey Hein

Jaan Se Piyare Loogon Se Bhi Kuch Kuch Perda Lazim Hai
Sari Baat Bataney Wale Kuch Kuch Pagal Hotey Hein.

Khawboon Mein Bhi AnMoL Milan Ke Sapney Deikhtey Rehtey Hein
Neendoon Mein Muskane Waley Kuch Kuch Pagal Hotey Hein.

Iss Johti Nagri Mein Hum Ne Yehi Hamesha Deikha Hai
Sachi Baat Bataney Wale Kuch Kuch Pagal Hotey Hein.

Piyaar Jinhein Ho Jaye Un Ko Chain Bhala Keb Mill Pata Hai
Shab bhar Ashk Bahaney Wale Kuch Kuch Pagal Hotey Hein.

Apni Zaat Ke Ujrey Gulshan Se Wo Piyaar Kahan Kertey Hein
Auroon Ko Mehkaney Waley Kuch Kuch Pagal Hotey Hein.

Asif
02-14-2007, 09:29 PM
Dil ki chokhat pe ek deep jala rakha hai
Dil ki chokhat pe ek deep jala rakha hai
Tere laut aane ka imkaan saja rakha hai
Rooth jaate ho to kuch aur haseen lagte ho
Hum ne yah soch ke hi tum ko khafa rakha hai
Tum jise rota hua chhorr gaey the ek din
Hum ne us shaam ko seeney se laga rakha hai
Chein lene nahin deta yeh kisi tor mujhe
Teri yaadon ne jo toofaan utha rakha hai
Jaane waale ne kaha tha ke woh laut aaey ga zaroor
Ek isi aas pe darwaaza khula rakha hai
Tere jaane se jo ek dhool uthi thi ghum ki
Hum ne us dhool ko aankhon mein bassa rakha hai
Mujh ko kal shaam se woh bohat yaad aane laga
Dil ne muddat se jo ek shaks bhula rakha hai
Aakhri baar jo aaya tha mere naam
Mein ne is khat ko kalejey se laga rakha hai

Asif
02-14-2007, 09:29 PM
BAT MOHABAT KI CHALTI HE JAB TUMAHRI YAD AATI HE

RAT AANKHON MEIN KATTI HE JAB TUMHARI YAD AATI HE

DAMN-E-DIL MEIN CHINGARI-E-MOHABAT SE JO KABHI

HIJAR KI AAG JALTI HE JAB TUMAHRI YAD AATI HE

SIMAT AAYEIN JO BEETAY LAMHAY AANKHON ME TO DIL MEIN

BAZAM YAADON KI JAMTI HE JAB TUMHARI YAD AATI HE

SARD DHOOP KI MUNDAIRON SE NIKLE KAR UDAS SHAM

MERE ANGAN MEIN UTARTI HE JAB TUMHARI YAD AATI HE

KATHAY-E-DIL JO ASHKON KI SIAHI SE NIKLE KAR

SOORAT-E-SHEIR DHALTI HE JAB TUMHARI YAD AATI HE

TAA HAD-E-NIGAH UFFAQ KE US PAR SHAZ JAHAN

ASMAN SE ZAMEEN MILTI HE JAB TUMAHRI YAD AATI HE-

Asif
02-14-2007, 09:30 PM
Hum par tumharee chaah ka ilzaam hee to hai
Dush-naam to nahiN hai, yeh ikraam hee to hai

Kartay haiN jis peh ta'an, koi jurm to nahiN
Shauq-e-fuzool-o-ulfat-e-nakaam hee to hai

Dil na-umeed to nahiN, na-kaam hee to hai
Lambee hai GHam ki shaam, magar shaam hee to hai

Dast-e-falak maiN, gardish-e-taqdeer to nahiN
Dast-e-falak maiN, gardish-e-ayaam hee to hai

Asif
02-14-2007, 09:30 PM
ek din
tum ne mujhe se kaha tha
samay ki bheti nadee mein
lamhay ki bhi phechan rakhna
meray dil mein jhank kar dheko
dheko satoon rung ka phool khila hai
woo lamha jo mera tha woo mera hai
wakt k pekan bayshak tun per aan lagay hain
khushboo bund dareechay khool rahi hai
chandni ratoon sa mausam bhi
kalyaan bhi hain,shabnum bhi
yeh sub meray ainay hain
aur her ainay mein tum ho......

Asif
02-14-2007, 09:30 PM
ye jo zeest ka safer hai,
yeh jo rasta hai mera.
tum agar na saath doon ge,
to ye kistarha katay ga?
meri soch ki hado tak,
yeh guman bhi kaisey aey?
koi pal
bina tumharay........
bhala kaisey beet jaey?
mere paas tum nahi ho?
mere paas kab nahi ho?
meri har dua ka mehvar,
bas
arzo tumhari!
is arzo se agey,
koi rasta nahi hai.
tumhein kisqadar hai chaha......
yeh tumhein.........
pata nahi hai..........

Asif
02-14-2007, 09:31 PM
Jo dil main baat hai kehdo..
hum muntazir hai kab sai tumhare chand lafzon k!
Ajeeb ik kashmukash main hain..
ya humko qaid ker dalo, ya phir tum azaad kerdo..
Jo dil main baat hai kehdo!
K jazba koi b ho izhaar ka muhtaaj rehta hai..
Suno!
Ab bol bhi dalo!
wagarna waqt, lamha, ye mauqa..
jab haathoon sai kho baithey to pachtao gai tum bhi!
Chalo ab keh do hum sai!
Lo humne aankhen band ker lin...
Kar lo ab to humen sairaab..apne lafzoon ki baarish sai..
Suno!
hum muntazir hain.........

Asif
02-14-2007, 09:31 PM
Hazaron dukh pare suhna mohabat mar nahi sakti
Hai tumse bas yehi kehna mohabat mar nahi sakti

Tera har bar mere khat ko parna aur ro deyna
Mera har bar lekh deyna mohabat mar nahi sakti

Kya tha humne campas ki neend per ek haseen wada
Bhale hum ko pare marna mohabat mar nahi sakti

Jahan mein jab talak panchi chehakte urte pehrte hein
Hai jab tak phool ka khelna mohabat mar nahi sakti

Purane ehad ko jab zinda karne ka khayal aaye
Mujhe sab itna lekh deyna mohabat mar nahi sakti

Wo tera hijar ki shab phone rakhne se zara phele
Bohot rote hoy kehna mohabat mar nahi sakti

Aagar hum hasraton ki kabar meinhi dafan ho jaein
To yeh kitabon pe lekh deyna mohabat mar nahi sakti

Purane rabton ko phir naye wadon ki kwashih ha
Zara ek bar to kehna muhabat mar nahi sakti

Asif
02-14-2007, 09:31 PM
Teray faraq kay lamhay shumaar kartay howay
Bikhar ** hain tera intazaar kartay howay
Tou main bhi khush hoon koi us say ja kar kah day
Ager wo khush hay mujhay bey qaraar kartay howay
Main muskurata howa aainay main ubhroon ga
Woh ro paray ge achanak singhar kartay howay
Tujhay khaber he nahi koe toot gia hay
Mohabbatoon ko bohat paedaar kartay howay
Woh kah rahe the sumander nahi hai aankhoon main
Main un main doob gia ahtabaar kartay howay
Mujhay khaber thi kah ab loot kar na aaonga
Tuj ko yaad kia dard paar kartay howay...!!!

Asif
02-14-2007, 09:33 PM
tera dard tha, teri aas thi, main jahan gaya, main jidhar gaya
mera din to yunhi guzar gaya, junhi sham hui main bikher gaya

is abar ka merey yaar se kitna milta jiulta mizaj tha
kabhi toot ker bikhar gaya, kabhi bey'rukhi sey guzar gaya

koi baat bhi na keh saka , bus thori dair ka sath tha
tu mila tha raat khuab main, junhi subah hui bicharr gaya

jab chorr dun ga woh gali, tujhay yaad aaye gi tab meri
mujhay dhunday ga tu gali gali, aur khabar miley gi main mar gaya !

Asif
02-14-2007, 09:33 PM
kuch door humarey sath chalo
hum dil ki kahani keh dain **

samjhay na jisey tum aankhon se
woh baat zabani keh dain **

phulon ki tarah jab honton sey
ik shaukh tabassum bikhrey ga

dheerey se tumharey kanon main
ik baat purani keh dain **

Izhar-e-wafa tum kia jano
Iqrar-e-wafa tum kia jano

hum zikr kerain ** auron ka
aur apni kahani keh dain **
_________________

Asif
02-14-2007, 09:33 PM
MUJEE DIWANA BANA RAHII HAI AAKHAIN MERE MEHBOOB KII
MUJE HAR PAL SATA RAHII HAI AAKHAIN MERE MEHBOOB KII

WO CHANCHALTAA,, WOO SHOKHIYAA,, WOO NAZAR KATILAANA
AANDAAJ KAYA DIKHAA RAHII HAI,, AAKHAIN MERE MEHBOOB KI

AANDAAJE BAYAA NILARLAA HAI,, INHONE MUJEE SAMBHALA HAI
MUJE JEENA SIKHAA RAHII HAI, AAKHAIN MERE MEHBOOB KI

NOOR USKAA CHOOKANE WALA,, JESE MADIRAA KAA BHRAA PYAALAA
MUJEE MADHOSHIYAA PILAA RAHII HAII,, AANKHAIN MERE MEHBOOB KI

HAI JAANE KYAA SAKOON IINKOO,, MAIN KAHU BHII TO KAYA KAHU IINKOO
MUJEE BAS TAK.TII JAA RAHII HAI,,AAKHAIN MERE MEHBOOB KI

HAI MUSHKIL USKAA BACHNAA,, JISKOO WO NISHANA BANA DEE
BIZALIYAA BAS GIRAA RAHII HAI,, AAKHAIN MERE MEHBOOB KII

POOCHE NAA KOI MERAA HAAL AAB, KESE BITEGAA YEE [NAYA SAAL] AAB
MUJE HAR PAL ULJHAA RAHII HAI AAKHAIN MERE MEHBOOB KI

AACHAA BHALAA THAA MAIN, PHIR MUJKOO BANAKEE SHAYER
GAZAL LIKHWAA RAHII HAI,, AAKHAIN MERE MEHBOOB KII

Asif
02-14-2007, 09:33 PM
Wo Chahata Hai Mager Rabtay Nahi Rakhta
Kah Lout Aanay Kay Bhi Rastay Nahi Rakhta


Yah Main Hoon Jo Kah Tarapta Hoon Us Say Milnay Ko
Wo Hai Kah Easay Koee Silsalay Nahi Rakhta


Koee Baat Tu Hoee Hai Yah Maan Lay Ay Dil
Bila Sabab Koee Shikway Gelay Nahi Rakhta


Bdal Tu Doon Main Mezaaj Unka Ak Dam Ham Dam
Mufarqat Kay Mager Hosalay Nahi Rakhta


Main Ho Tu Jaoon Kese Tarah Shariyaa Dakhil
Mager Wo Dar Bhi Tu Dil Kay Khulay Nahi Rakhta
_________________

Asif
02-14-2007, 09:34 PM
mere us ke darmyaan jo faasla rakha gaya
us ke tae karne ko bhi ik raasta rakha gaya


aks kho jaayen agar halka sa kankar bhi gire
paanyon mai aik aisa aayena rakha gaya


sab taqaaze waise poore ho gaye insaaf ke
bas faqat mehfooz mera faisla rakha gaya


na rasaaye ki azeeyat hi rahi apna naseeb
mil gayeen roohen to jismon ko juda rakha gayaa


bhar ke aankhon mai sulagte khuaab us ki yaad ke
mujh ko soote mai bhi haider jaagta rakha gaya

Asif
02-14-2007, 09:36 PM
dil mein ab dard-e-muhabbat ke sivaa kuchh bhii nahiin
zindagii merii ibaadat ke sivaa kuchh bhii nahiin


mai.n terii barah-gah-e-naaz me.n kyaa pesh karuuN
merii jholii mein muhabbat ke sivaa kuchh bhii nahiin


ae Khudaa mujhase naa le mere gunaaho.n kaa hisaab
mere paas ashq-e-nadaamat ke sivaa kuchh bhii nahiin


vo to miT kar mujh ko mil hii gayii raahat varanaa
zindagii ranj-o-musiibat ke sivaa kuchh bhii nahiin

Asif
02-14-2007, 09:37 PM
Diya Hoga Jo Us Nay Dil Ksi Ko, So Diya Hoga
Magar Humko Tu Hay Ye Fikar Ab Kisko Diya Hoga
Main Daway Say Bta Sakta Hon Ye Tum Ko
Wo Mera Naam Suntay Hi Bilak Kar Ro Diya Hoga
Paseena Meray Chehray Ka Wo Jis Say Saaf Karti Thi
Mujhe Lagta Hay Us Nay Wo Dopatta Dho Diya Hoga
Hamara Dil Hi Tu Tha Tum Parayshan Hogay You¢n Aik Dum
Aray Chhoro Miyan! Tum Nay Kahi¢n Par Kho Diya Hoga
Wahi Qissay, Wahi Jhaghray, Wahi Manzar Yahan Bahi
Kesi Nay Beej Nafrat Kay Yahan Bhi Bo Diya Hoga
Tumhai Bhi Dost Asani Say Wo Dil Day Nahi Sakta
Najanay Kitna Socha Hoga Us Nay, Tu Diya Hoga

Asif
02-14-2007, 09:37 PM
Bichertay waqt jab tum choraa rhay thay apna hath
wo aik raat muj pay zindgai say bharii thi

wo aik lerkii jo jeeti zamnay bher say mager
tumharay pyar main aik faqt tum say hari thi

tumahry ilzam-jafa bhi day tu kyun day hum
muhabato main thi jo khata humari thi

tum hum ko khoo kre bhi shaad rahoo
bichrtay waqt yahi aik dua humari thi......

Asif
02-14-2007, 09:37 PM
Bohat hi yaad aata hai mere Dil ko tarpaata hai

woh tera paas na hona bohat mujh ko rulaata hai


woh mera teri aankhon ke samandar main uttar jaana

aur teri muskurahat ke bhanwar main doobte jaana


teri awaaz ke saher se na nikal paana

tujh ko dekhna aur be-khudi se dekhte jaana


bohat chaha in guzre hue lamhon ko na sochoon

na teri yaad main reh ke tere saath ka sochoon


bhoola doon saari yaadon ko ke jin se Dil tarapta hai

ke jin se tais utth ti hai ke jin se dard hota hai


magar jab raat aati hai to teri yaad aati hai

tere hi khuwaab hote hain teri hi baat hoti hai


to tay paaya ab mumkin nahi tujh ko bhoola dena

teri yaad main rehna tujhe hi sochte rehna


tujhe jab yaad karte hain to Dil apna tarapta hai

woh tera paas na hona bohat mehsoos hota hai

Asif
02-14-2007, 09:38 PM
Wo apnay ghar chala gya afsos mat karo
itna hi us ka sath tha afsos mat karo

insan apnay aap mein majboor hay bohat
koi nahi hay bewafa afsos mat karo

is baar tum ko aanay mein kuch dair ho gaee
thak haar kay wo sogya afsos mat karo

dunya mein aur chahnay walay bhi hein bohat
jo hona tha so hogya afsos mat karo

is zindagi kay mujh pay kaee qarz hein magar
mein jald lot aoon ga afsos mat karo

ye dekho phir se aagaein phoolon pay titliyan
ik roz wo bhi aiga afsos mat karo

wo tum se aaj door hay kal paas aiga
phir se khuda milaiga afsos mat karo

bekar gee pay bojh liye phir rahay ho tum
dil hay tumhara phool sa afsos mat karo...........

Asif
02-14-2007, 09:38 PM
Ajab Apanaa Haal Hotaa Jo Visaal-e-Yaar Hotaa
Kabhi Jaan Sadaqe Hotii Kabhi Dil Nisaar Hotaa

Na Mazaa Hai Dushmani Mein Naa Hai Lutf Dosti Mein
Koi Gair Gair Hotaa Koi Yaar Yaar Hotaa

Ye Mazaa Thaa Dillagi Kaa Ke Baraabar Aag Lagatii
Na Tumhe Qaraar Hotaa Na Hamein Qarrar Hotaa

Tere Waade Par Sitamagar Abhi Aur Sabr Karate
Agar Apani Zindagi Kaa Humein Aitebaar Hotaa

Asif
02-14-2007, 09:38 PM
Tera hijr mera naseeb hai
Tera GHam hee meri hayaat hai
Mujhay teri duuri kaa GHam ho kyuN
Tu kaheeN bhi ho meray saath hai

Meray Waastay teray naam par
Koi harf aaye naheeN naheeN
Mujhay KHauf e duniya naheeN
Magar meray rubaru teri zaat hai

Tera Wasl ay meri dilruba
NaheeN meri Qismat to kia hua
Meri maHjuubi yahi kam hai kia
Teri hasaratoN ka tu saath hai

Tera ishq mujh pay hai meharbaaN
Meray dil ko haasil hai do jahaaN
Meri jaan-e-jaaN isi baat par
Meri jaan jaye tu baat hai

Asif
02-14-2007, 09:39 PM
merey jism sai meri rooh tak
ye jo dard ki hai khalij si
issay koi chah na bhar sakki
teri chahatoon ko pukartey
meri umar sari guzar gayi
mai azal sai hi raha narsa
tu kay mudatton say thi bewafa
so ye waqt palat bhi gya to kya!

Asif
02-14-2007, 09:41 PM
Tera Yon Rothna ...!!!

is musam E Gull main kia batlaain ...
k hum say dill figaron ko bari takleef deta hay
Tera Yoon Rothna Humdum ..!!

kahan tak thek hay ???
abhi to ishq pe apnay
bas ik bahar guzri hay
abhi say rooth jana yoon tera ...
kia maa'ni rakhta hay ??

abhi to kitaab E zeest ke
bohat awraaq khaali hain ...
inhein rangon say bharna hay ...
yeh saari khuwahishein dill ki
khudara jaan bhe jao !! )

chalo .. ab maan bhee jaao !!

Asif
02-14-2007, 09:41 PM
raqs main jugnoo, duaon ka safar
neem shabb ki khamshi or chasham-e-tarr
phir teri yaadon ki qandeelain jaleen
jagmaga utha mera phir khuwaab ghar
har taraf hain barzakhon ke munh khulay
zindagi hai ya koi andhi qabar
din dhalay yeh kanpti chiryon ka shor
kat gira hoga koi boorha shajar
main bhatakti rooh hoon or chaar soo
raat, tanhaai, hawa, anjaan nagar
kiya huwa jo dukh zamanay nay diye
jaan-e-janaan hum tere hain, gham na kar !!

Asif
02-14-2007, 09:41 PM
MANA KE AB KE SHAYAD TABIYET BADAL GAYEE

"Mana Ke Ab Ke Shayad Tabiyet Badal Gayee
Kaisay Kahien Ke Uss Ki Mohabbat Badal Gayee

Bay Sakhta Charagh Ko Mainay Bujha Diya!!!
Tareekiyoon Se Meri Adawat Badal Gayee

Aayee Bahaar Tou Sab Chehray Uter Gaye
Lagta Hai Meray Shehar Ki Aadat Badal Gayee

Mausam Ki Dil Kashi Ka Shayad Sabab Tha Woh
Woh Kia Badla Kay Harr Rutt Badal Gayee

Kab Khatam Huaa Hai Yahan Imtahan Mera
Itna Zaroor Hai Ke Wehshat Badal Gayee

Palkoon Mein Chupalay Ashkoon Ko Sikander Ab
Kay Barish Main Bheegnay Ki Riwayat Badal Gayee !!

Asif
02-14-2007, 09:41 PM
Saal kaa Aakhri Din Hai
Abhi Kuch Dhoop Hai Leikin
Zara See Dair ko Tay Hai Kay Akhir Shaam Hona Hai
Haqiqat Ya Kahani Jo Bhee Hai Anjam Hona Hai
Chaloo Mil Baith Kay Apnay Khasaray Bant Letay Hain
Sab He Rang Aur jugnoo Aur Sitaray Bant Letay Hain
Zara See Dair Ko Tay Hai key Akhir Shaam Hona Hai
Haqiqat Ya Kahani Jo Bhee Hai Anjam Hona Hai

Too kyon Naa Kuch Shaam Say Pehlay
Jo Kuch Ghariyan Muyasir Hain
Unhee Mein Zindagi Kar Lain,
Kisi Ahsaas Kee Shama Jala Kar
Inn Andheron Main
Koyee Daam Roshi Kar Lain
Chaloo Hum Dosti Kar Lain
Zara See Dair ko Tay Hai Kay Akhir Shaam Hona Hai
Haqiqat Ya Kahani Jo Bhee Hai Anjam Hona Hai !!

Asif
02-14-2007, 09:42 PM
hum dasht e junuun k sodae
hum gird e safar hum naqsh e kadam
hum soz e talab hum tarz e fugaa'n
hum ranj e chaman hum fasl e khizaa'n
hum heirat o hasrat yaas o alam
hum dasht e junuun k sodae

ye dasht e junuun ye pagal pan
ye pecha kerti ruswae
ye ranj o alam ye hisn o malaal
ye nala e shab ye soz e kamaal
dil mein kahein benaam chuban
aur hadd e nazar tak tanhai
hum dasht e junuun k sodae

ab jaan humari ****ay bhi
ya dasht e junuun hi thak jaye
jo roh o badan ka rishta tha
kae saal hoye wo toot gya
ab dil ka dharakna ruk jaye
ab saans ki dori tootay bhi
hum dasht e junuun k sodae !!

Asif
02-14-2007, 09:42 PM
Hum main aur tum mein
kab yeh teh howa tha
kay phir milien zindagi k kisi mor par
kab yeh kaha tha k bin tumharey
na jee sakien ** hum
bahut tarpaye ga yeh hijr ka mousam
yeh sawan aur pat jhar ka mousam
kab yeh teh howa tha
kay sar-e-sham hi
tumhari yaad utar aye gi
iss dil k angan mein
agar yeh sab teh nahi howa tha tu
barsoon guzar janey k baad bhi
meri wehshatoon, meri yaadon, meri tanhayion
mein
sirf tum hi tum kiyon ho?

Asif
02-14-2007, 09:42 PM
Mausam ke khushbo mein aksar gham ke khushbo mill jati hai
amoon kay baagh mein kaisay sawan sawan barsa aansoo

apnay bachpan ka qissa hai aik tasveer banaye uss nay
mehandi wallay haath rachay thai, beech hathailee tapka ansoo

aik gaoon mein do barattain shaid dulha badal gaya
mairi ankh mein taira ansoo tairi ankh mein maira aansoo

pas say daikho jugnoo ansoo, door say daikhoo tara ansoo
mein pholon ke saij pay baitha adhi raat ka tunha ansoo

mairi in ankhoon mein aksar gham kay dono pehloo daikhay
thehar gaya tu pathar ansoo, beh nikla tu darya ansoo

payaar ajeeb talvar hai jis pay hum dono kay naam likhay hain
tehni tehni kaliyaan ansoo, pathar jharna ansoo !!

Asif
02-14-2007, 09:43 PM
Siyahiyon kay banay harf harf dhootay hain
yeah loug raat mein kaghaz kahan bhigotay hain

kis ke rah mein dehleez par diyeah na rakho
kawaar sokhi hoi lakriyon kay hotay hain

charagh pani mein moujoon say pochtay hon gai
woh koun loug hain jo kashtiyaan dabootay hain

qadeem qasboon mein kaysa sakoon hoota hai
thakay thakaye humaray buzurg sootay hain

chamakati hai kaheen sadiyoon mein ansoon say zameen
ghazal kay shair kahaan roz roz hotay hain~!!

Asif
02-14-2007, 09:43 PM
Khuwab ke wadiyoon say nikalta howa
chaand soo kar utha ankh malta howa

hath par dhoop ke batiyaan rakh gaya
koi phooloon ke chadar badalta howa

sheesh mehaloon kay sheeshoon say takra gaya
pathroon say utarta sambhalta howa

shaam tuk hoo ga souraj humari taraf
koi sookha howa pair jalta howa

aik ahat see nazdeek aati hoiyee
lawn mein sham ka phol khilta howa

mein bhi aa hee gaya tairay bazar tuk
rooz chehray pay chahra badalta howa~!!

Asif
02-14-2007, 09:43 PM
Kab talak shab kay andhairay mein sehar ko tarsay
Woh musafir jo bharay shehar mein ghar ko tarsay

Aankh thehray howay paani say bhi katraati hai
Dil woh reh'roo keh samandar kay safar ko tarsay

Mujh ko uss qehat kay mosam say bacha rub e sukhan
Jab koi ehal e hunar, arz e hunar o tarsay

aab kay iss toor musalat howa andhaira har soo
Hijar ke raat mairay deeda e tar ko tarsay

Umar itni tu ataa kar mairay fun ko khaliq...
Maira dushman mairay marnay ke khabar ko tarsay

Uss ko paa kar bhi ussay dhoond rahi hain ankhain
Jaisay paani mein koie seep gohar ko tarsay

na'shana'saye kay mousam ka asar tu daikho!
Aaina khaal o khad e aania gar ko tarsay

Aik dunia hai kay basti hai tairi ankhoon mein
Woh tu hum thay jo tairi ik nazar ko tarsay

Shoor e sur'sar mein jo sar sabaz rahi hai mohsin
Mousam e gul mein wohi shaakh samar ko tarsay~!!
_________________

Asif
02-14-2007, 09:44 PM
MUHABAT MER NAHEEN SAKTI
Sitarey toot bhi ja'aein
Samander sookh bhi ja'aein
Zameen ki kokh kay sab ista'arey
Rooth bhi ja'aein
Saba , Gul or baharon say kinara ker naheen sakti
Muhabatt mer naheen sakti

Zamana beet ja'ey ga
Zamaney beet jatain hain
Fana ki wadeeon main,roz meray geet jatain hain
Dilon ki khateeon ko zaher dey ker barha
Zalim k lashker jeet jatain hain
Mager nafret ki tund-o-taiz zalim aandhion main bhi
Faza main aik nanhee prait koel
Dar naheen sakti
Muhabat mer naheen sakti

Asif
02-14-2007, 09:44 PM
jisay tum zindagi jano
tumein wo roog kehta ho
kay jis nay khud hi chahat say tumhara hath thama ho
wo apnay dil k derwazay
tumhi per band ker day to
mohabbat mar b sakti hai
tumein sangsar karnay ko jo sang bantay logon mein
saba ko roknay ko kufl dalay dareechon mein
kar k band ghar k
tumhari sans per pehray lagayay tu
mohabbat mar b sakti hai
ye kis nay keh diya tum say
mohabbat mar nahin sakti
k jab koi tumein jan say guzar janay ko kehta ho
adee rah mein khud hi mud janay ko kehta ho
wo apni bay wafai ka khud hi aetraf ker lay tu
mohabbat mr b sakti hai
mohabbat mar b sakti ha

Asif
02-14-2007, 09:44 PM
Dil apne aap dharakta hai, dharkaya nahi jata
Ye raaz-E-mohabbat har ek ko bataya nahi jata

Agar ehsaas ho to, mohabat ko kar lo mehsoos
Ye wo jazba hai jo lafzon mein samjhaya nahi jata

Dosti k liye mohabat or khuloos hai lazim
Har haath milane walay ko dost samjha nahi jata


Bohat kam hain log jo dil mein utar jhate hain
Har rah chaltey ko apna banaya nahi jata

Koshish se badal jaati hai TaQdeerein
De kar ilzaam Qismat ko or dil ko behlaya nahi jata

Asif
02-14-2007, 09:45 PM
December kay jaroon main
tera wo shaal aurhana mujhay
meray dhukhoon per ghuntoon maray saath
wo mil kar rona tara
main jo kabhi udaas hoon
haath pakar kay mera wo samjana mujhay
maray saath ghuntoon batain kerna
wo phir khilkhalna tera
bay subab he mujhay dairr tak dakhna
aur phir muskarna
tujhay kho ker
ehsaas howa hai mujhay
kay maray daman main kuch bhe nahi hai
taray yadoon kay siwa

Asif
02-14-2007, 09:45 PM
ess saal ki aakhri dhalti shaam key saath
teri yaddon key sooraj ko bhi alwida ker doon ga

ab key baad rat-jagoon ka yeh safar
chaand ko tanha hi taye kerna ho ga.

mein terey jhootey sachey lafzoon sey banney
kachey pakkey rishtun ki kamzoor doori ko
key jissey joortey joortey khud toot gya hoon
ussey khud hi toor daloon ga
key bohat jheel lia dard
teri majboorion key hijaboon ka
kissi kitab mein rakh key
bhooley hovey murjhaye gulaboon ka

yaqeee'N aur bey yaqeeni ki
aankh machooli sey bantey
taptey hovey siraboon ka

teri wapsi ki rah takti
pathrayee hoi aankhoon ki palkoon per
bikhrey hovey chand khawaboon ka
na khatam hooney waley azaaboon ka

ab ki baar khushion ki pehli kirn
merey dil mein phootey gi
aur naye saal ki pehli sehar
merey ander key sab aansoo nikaal ker
dharti ki goud shabnam sey bher dey gi

Asif
02-14-2007, 09:45 PM
Woh hi galiyan,woh hi koochey,woh hi sardi ka mosum hai
issy andaaz se Apna nazam-e-zeest barham hai
yeh husen-e-itfaaq aisa keh nikhry chandani bhi hai
Woh hi har simat veerani,udasi,tashangi se hai
Woh hi hai bheer soochoon ki,wohi tanhayan pher se
mujhey sab yaad hai kuch saal pehlay ka yh qissa hai
wohi lamha tu veranain ka ik abaad hisa hai
Mere ankhoon main woh ik lamha mojod aaj bhi hai
Woh zinda raat mere saat lakhoon baar jagi hai
kisi nay raat ki tanhayi main sargoshiyan ki thien
kisi ki naram guftari nay dil ko looriyan diyen thien
kisi nay tanhai ka sara karab banta tha
kisi nay raat ki chunri main rooshan chaand tanka tha
chamaktey jugnuoon ka seel ik bakhsha tha ratoon ko
dharakta sa unwaan diya tha mere khawaboon ko
mere shairoon main woh ilhaam ki soorat utra tha
mani ban jo lafzoon main pehli baar darka tha
woh jis ke honey se zindgi i nagma sarai hai
Ussey kehna ke Bheegi January pher Loat Ayi hai!!!!!!!!!

Asif
02-14-2007, 09:46 PM
hum dasht e junuun k sodae
hum gird e safar hum naqsh e kadam
hum soz e talab hum tarz e fugaa'n
hum ranj e chaman hum fasl e khizaa'n
hum heirat o hasrat yaas o alam
hum dasht e junuun k sodae

ye dasht e junuun ye pagal pan
ye pecha kerti ruswae
ye ranj o alam ye hisn o malaal
ye nala e shab ye soz e kamaal
dil mein kahein benaam chuban
aur hadd e nazar tak tanhai
hum dasht e junuun k sodae

ab jaan humari ****ay bhi
ya dasht e junuun hi thak jaye
jo roh o badan ka rishta tha
kae saal hoye wo toot gya
ab dil ka dharakna ruk jaye
ab saans ki dori tootay bhi
hum dasht e junuun k sodae...!

Asif
02-14-2007, 09:46 PM
Aziyaton Ke Tamaam Nashtar...
Meri Ragon Me Utaar Kar Wo...
Bari Mohabbat Se Poochtay Hein...
Tumhari Aankhon Ko Kiya Huwa Hai...
Kisi Ne To, Kuch Nahi Kaha Hai...
Agar Kaha Hai, Mujhay Bata Do...
Qasam Tumhari Me Pooch Loon Ga...
Kiyun Uss Ne Tum Ko Dukhi Kiya Hai...
Tamaam Batein, Wo Iss Tarah Se...
Mujhay Suna Kar Chal Diya ke..
Tamaam Baton Ka Jaisay Uss Ko...
Zara Barabar Bhi Il`m Nahi Hay...
Mujhay Kahan Se Yeh Dukh Mila Hai...
Ussay To Jaisay, Khabar Nahi Hai...
Wo Saari Baton Ko Jaan Kar Bhi...
Na Janay Kiyun Jaanta Hi Nahi Hay...
Jo Sach Kahoon To Suno Zara Tum...
Mujhay Ussi Se, Yeh Dukh Mila Hai...
Ussi Ke Nashtar Chubhay Hein Dil Me...
Ussi Ki Baton Se Dil Dukha Hai...
Wo Saari Baton Ko Jaan Kar Bhi...
Mujhi Se Yeh kiyun, Poochta Hai...
"Kisi Ne To Kuch Nahi Kaha Hai"
"Agar Kaha Hai, Mujhay Batado..."
Ussi Ki Baton Ne Aaj Mujh Ko...
Jo Sach Kahoon To Rula Diya Hai...
Mujhay, Wafaon Ka Uss Ne Meri...
Bohat Hi Acha Sila Diya Hai...
Kisi Ke Dukh Ka Hisaab Rakha...
Par Apna Nashtar Bhula Diya Hai..!!

Asif
02-14-2007, 09:46 PM
Dil howa jab say sharamsaar e shakast
Ban gai dost pursa dar e shakast

Har koye sar nagoon hai lashkar mein
Har kissi ko hai intazaar e shakast

Keh rahi hai thakan dalairoon kee
Aab kay Chamkay Ga karoobar e shakast

Aainay ke faza tu ujleee hai
Mairay chehray pay hai ghubaar e shakast

Kamrani ka Gur sikha mujh ko!
Ya ata kar mujhay waqar e shakast

Moat fatah o zafar ke manzil hai
Zindagani hai rahguzaar e shakast

uss kay chehray pay fatah ruqsaan thee
Uss kay shaanay thai zair e bar e shakast

kaisay qatal ke shakal pehchaanain
Apni ankhoon mein hai khumar e shakast

Hein fizain dhowaan dhuwaan mohsin
Daikh rung e rukh e bahar e shakast~!!

Asif
02-14-2007, 09:47 PM
apni marzi sey kahan apney safar k hum hain
rukh hawaoo.n ka jidher ka hai udher k hum hain

pehley har cheez thi apni magar ab lagta hay
apney hi ghar main kisi dosrey ghar k hum hain

waqt k saath hai mitti ka safar sadiyoo.n ka
kis ko maloom kahan k hain, kidher k hum hain

chaltey rehtey hain k chalna hay musafir ka naseeb
sochtey rehtey hain k kis rah_guzar k hum hain

gintiyoo.n main hi giney jaatey hain har dour main hum
har qalam_kaar kii be-naam khabar k hum hain!!

Asif
02-14-2007, 09:47 PM
Meri aankhoun main chupi ik kami see reh gayi
main nay jub bhi baat ki ik kami see reh gayi

kia suna or kia kaha ? kia paha or kia likha ?
kuch kahi, kuch ankahi ik kami see reh gayi

main to kuch aisa hee tha , jo kaha beyrabt tha
lakin us k saath bhi ik kami see reh gayi

us k meray darmiyaan aik talluq ka gumaan
bun gaya jub dillagi ik kami see reh gayi~!!

Asif
02-14-2007, 09:47 PM
Muqaddar ke sitaron per

zamanon ke isharon per

udasi ke kenaron per

kabi veran sharon main

kabi sunsan raston per

kabi heran aankon main

kabi anjaan lahmhon per

mujy tum yaad aty ho~!!

Asif
02-14-2007, 09:48 PM
Teray ikhlaas say mohabbat ki hay
teray ehsaas say mohabbat ki hay
tu meray paas nahin phir bhi
teri yaad say mohabbat ki hay
main tumko kis tarah bhool sakta hoon
main nay teray oasaaf say mohabbat ki hay
kabhi tu nay bhi mujhey yaad kia hoga
main nay un lamhaat say mohabbat ki hay
jin main houn sirf teri or meri baatain
main nay un oaqaat say mohabbat ki hay~!!

Asif
02-14-2007, 09:48 PM
Adhoorey khuwaab k andar
kabhi palkain bichaana mat
adhoorey khuwaab aankhoun ko bohat takleef detay hain
adhoori yaad ko dil ki zameen main tum nahin bona
adhoori yaad dharkan main bohat chubti, sisakti hay
khalish bun kar khatakti hay
lahu main bijliyaan ban kar bhatakti hay
adhoorey piyaar ko...lakin chalo jaaney do isko tum
Mohabbat, pyaar ,chahat, ishq hotey hee adhoorey hain~!!

Asif
02-14-2007, 09:48 PM
Dheeray dheeray raat nay palkain mound leen apni
or sitaaroun ki waadi main
khoya khoya sa sannata,
khuwaab nagar main gum lagta hay
chaand k chehray par raqsaan hay
thakan, wichorha or tanhai
beykal sa, maddham lagta hay
lakin janaan!
daikh lo aa kar
koi ab tuk jaag raha hay~!!

Asif
02-14-2007, 09:49 PM
Agar tum nay bhula daala
lakeeroun k ghaneray jaal main kismat nahin milti
bohat dhoonda
bohat dhoonda, to tub jaa kar tumhain paaya
tumhain paaya to ab dil ko yeh andesha satata hay
karain gain kai agar janaan!
humain tum nay bhula daala ??

Asif
02-14-2007, 09:49 PM
Kabhi tum ney yeh bhi souchaa
Ke tumhaarey dil-giriftaa
Tumhein kitnaa chahtey hei'n
Tumhein zindagee sey barh ker
Joo aziz ham ney jaana
Safar koi sabab tou ho gaa
Kabhi tum ney yeh bhi souchaa
Ke tumhaarey dil-giriftaa
Pas-e-Baam-o-dar akailey
Kisi shamma-soukhtaa sey
Yeh joo ker rahey hein baatei'n
Tumhein kitnaa chahtey hei'n
Tumhein rouz-o-shab kay dukhh mei'n
Kabhi bhoolna bhi chaahei'n
Tou kabhi na bhool paai'n
Ke yeh aihd-e-zindagee hai
Jissey tourna bhi chahein
Tou kabhi na tour paai'n..!!!

Asif
02-14-2007, 09:49 PM
Tumhay bhi yaad to hoga....?
kisi k pyar ko thukra k tumnay bayniazi say,
kaha tha jab
kisi bhi khawab ki taabeer muthi may nahi hoti
koi bhi hijr palkoon per,
sadda atka nahi rehta
hamesha dard wabasta nahi rehta kisi dil say
kabhi tumnay kaha tha ye.......!
tumhay bhi yaad to hoga.........??

Asif
02-14-2007, 09:49 PM
Kuch Roz Bohat Dil Tarpey Ga
Kuch Roz Rahein Gi Nam Aankhein
Kuch Roz rahey Gi Bechaini
Kuch Roz Yeh Seena Sulgey Ga
Pani Mein Safeena Sulgey Ga
Rafta Rafta .........
Dheerey Dheerey .......
Phir Haalat Hij'r Gazeeda ki
Ik Roz Sanbhal hi Jaye gi
Ik Zakh'm Bharey ka Chahat ka
Ik Dard Thamey Ga Shiddat ka
Ik Diya Bujhey Ga Qurbat ka
Lakin Kya Aisa Mumkin Hai ?
Tum Khud Socho
Kya Yeh Namumkin, Mumkin Hai ?
Tum Khud Socho !

Asif
02-14-2007, 09:50 PM
Merey Ander Sans Lena Chor Dey
Aye Udaasi ! Mera Peecha Chor Dey
Chand Kya Angan Main Utra Hey Kabhi
Sun Mery Jan Yeh Tamana Chor Dey
Tu Kabhi Sookhey Huwey Paton Peh Likh
Sabz Shakhon Ka Qaseeda Chor Dey

Asif
02-14-2007, 09:50 PM
Kaha Dil, ney zara tehro
key aise he koi sa'aat, hamarey dar per tehri thee
to hum ney bheer sey ik qaaafley ka roop dhara tha
chalo phir laut ker deikhein
woh khushbo sey bhara raasta
jo manzil ki nishane tha
yeh jo uljhan bharey manzer hamarey saath chaltey hein
kahan key hein ... ?
woh kaisa mour tha jis per
hamare rehguzer key hashiyoon per dhund utri thee!
yeh jo charoon taraf pag-dandiyoon ka jaal pheila hey
kahan bunyaad hey is ki?
woh jo nisf safer mein khawaab key tukrey huey, is mein
hamare kaj rawe kia thee, aadoo ka haath kitna tha?
safer ki ibtiidaa mein qatel they
jinhoon ney adel key tukrey kiye aur aashtee ka khoon bahaya tha!
aur un key baad jo aye woh kitney bad iradah they!!
mein jab is khooj mein nikla
key merat muhsinoon key khuwaab ka khushbo bhara raasta
kahan khooya!
to aisa tha key rastey mein, mein jis bhe mour per tehra
wahan ik dard ka darya muqabil tha
nidamet ke ghutan her ik qadem per saath thee meray
so, mein is khuwaab key senay sey lag ker
deir tak rooya,
bohat rooya.

Asif
02-14-2007, 09:50 PM
Raat Uss ne Poocha tha
Tum ko Kaisi Lagti Hai
Chandni December ki !

Main ne Kehna Chaha Tha
Saal-o-Maah ke Baarey mein
Guftagu ke Kya Maani ?
Chahey koi Manzir ho
Dasht ho , Sumnadar ho
June ho , December ho
Dharkanoo'n ka Har Naghma
Manzaroo'n pe Bhaari hai
Saath Jab Tumhara Ho
Dil ko Ik Sahara ho
Aisa Lagta hai, jaise
Ik Nasha sa Taari hai

Lakin Uss ki Qurbat mein
Kuch Nahi Kaha Main ne
Takti Reh gayi Mujh ko
Chandni December ki !!

Asif
02-14-2007, 09:52 PM
shair mairay kahaan thai kissi kay liyeah
mein nay sab kuch likha hai tumharay liyeah

apnay dukh sukh bohat khoobsourat rahay
hum jiyeah bhi tu ik dosray kay liyeah

humsafar nay maira saath choora naheen
apnay ansoo diyeah rastay kay liyeah

iss havaili mein ab koye rehtaa nahi
chand nikla kissay diakhnay kay liyeah

shehar mein aab maira koi dushman nahi
saab ko apna liya mein nay tairay liyeah

zehan mein titliyaan urr rahe hain bohat
koi dhaga nahi bandnay kay liyeah

aik tasveer ghazloon mein aaisee banee
aglay pichlay zamanay kay charay liyeah ~!!

Asif
02-14-2007, 09:55 PM
Aao hum bhi ijazat talb kar k uthain
ijazat lain dareena khwaboo.n k dar-o dewar sey
jin ki thandak sey muddat tak aankhain gulsitaa.n rahi hain
aaj in k khandar itney weeran hain
jin main ik dosrey ko pukaro tu aawaz tak bhi palat'ti nahi
ijazat lain
wadoo.n ki in konploo.n sey
jo ab tak rag-e jaa.n main pewast hain
jo jigar ki tarawash sey pholain barhain
aur darakhtoo.n ki sourat main saya kye apney hum-rah theen
aaj yoon kirm khurda hain
parindey bhi ghabra k ruktey nahi hain
ijazat lain
in rishtoo.n natoo.n ki zanjeer sey
jisey paoo.n main bandh kar, baazoo.n main somo kar
hamesha barey fakhar sey hum nay duniya ko dekha
ab ye hum sey guraizaa.n hai aur apney halqey
kisi aur ko sonpna chahti hain
aao hum bhi ijazat talb kar k uthain......
ijazat lain us sey
jisey hum nay chaha
aur itna k khud sey, khudaai sey, apney Khuda sey zayada
k ye rishta-e jaa.n zaman-o makaa.n k bhanwar main
apni zaat aur apni ana ko sanbhaley raha hai
magar ab ye thak sa gaya hai
ijazat lain us sey
jisey hum nay chaha..............

Asif
02-14-2007, 09:55 PM
Aansu Nahi Thamtey Hain Ankhon Main Abhi Tak
Jatey Huwey Rota Woh Mujhey Chor Gaya Tha

Armanon Ki Duniya Key Anmol Sey Sapney
Pal Main Woh Merey Samney Tor Gaya Tha

Jaan Deta Tha Meri Her Baat Pey Lekin Yun Hi
Beysabab Duniya Sey Meri Rukh More Gaya Tha

Din Ki Tanhai Ka Gham Raaton Ki Udasi Hamrah
Sarey Ghamon Sey Rishta Mera Jor Gaya Tha

Aye Kash Koi Ja Key Us Sey Poochey
Yahan Kis Key Saharey Pey Mujhey Chor Gaya Tha
_________________

Asif
02-14-2007, 09:55 PM
Hum bhi khud dushman-e jaaN thay pehle
tum magar dost kahaN thay pehle
ab wahaN khaak ooratee hai khizaaN
phool hi phool jahaaN thay pehle
ab jo deewar bunay baithay hain
soorat-e mooj rawaaN thay pehle
kuch sharabee keh hein ab rah nasheeN
ronaq-e buzm-e maghaaN thay pehle
hum keh hein aaj ghobaar puss-e ro
munzil hum sufraaN thay pehle
ab kise waza-e mohabbat ka khayal
aur hi loag yahaan thay pehle
ab to khudh per bhi nahin zaam-e wafa
tujh se hum shikwa kinaaN thay pehle
bun gya kafla chaltay chaltay
wurna tunha hi rawaan thay pehle
dolat-e ghum tau moyashar thi Faraz
itne muflis bhi kahaan thay pehle..!!

Asif
02-14-2007, 09:56 PM
Her Kisi Ke Chehry Mai
Ik Zia Si Hoti Hai
Rukh Ke Aik Hisey Mai
Husan Ke Eilaqy Mai
Aik Udasi Hoti Hai
Us Ko Mai Ne Dekha Tha
Germ Khu Maheenoon Mai
Ik Khushi Ki Mehfil Mai
Sheher Ke Makeenoon Mai
Ik Taraf Kharey Tanha
Jis Taraf Ko Rasty Thy
Jin Ke Sath Galieyan Thien
Jin Mai Log Basty Thy
Be Kashish Makanoo Mai
Jaisey Chand Ratien Thien
Us Ke Sard Chahrey Mai
Khushgawar Aankhien Thien

Asif
02-14-2007, 09:56 PM
liya tha aik wadaa tum ne mujh se
hamesha khush he rehna hai
to dekho.....
dekh lo aa ker ...
meri aankhon ko dekho tum
yeh kitni shokh lagti hain ....
mere honton ko dekho tum,,
hamesha muskuratey hain .......
koi bhi ghum agar aayaa,,,
usse hans kar saha main ne...
mere chehre ko dekho tum ,,
hamesha pursakon hoga,,,,
to socho ge,,,
kia tha main ne jo tum se
wo wadaah kar diya pora........
magar ik baat phir bie hai
kabhi jo waqt mil jaye
to meri shaairi parhna
tumhen mehsoos to hoga
kaheen talkhi bhara jumla
kaheen pe sard sa lehja....
kaheen pe dard ki jheelein....
kehen lehjey ki karwahat.....
Suno.... Main Khush To Hon ,
Lekin.......
Lahoo Har Lafz Rota Hai..

Asif
02-14-2007, 09:56 PM
Tum kis soch mein doob gaEee ho
Hath ka pathar
Pani kay seenay par maro
*** to pani kay Aaye gee
Pani *** ki taab na lakar
Mojon ki sorat mein behta
Sahil sahil sar patke ga
Phir khud hee
Aslii halaat par aajaye ga
Tum kis soch mein doob gaEe ho
Hath ka pathar
pani kay seeney par maro
Main Pani Hoon!!

Asif
02-14-2007, 09:57 PM
Kis Tarhaan Sajaatay Ho
Maslehat Ki Shaamon Main
Mehfilain Muhabat Ki
Aur Mohabatain Bhi Wo
Saal Bhar Mehak JinKi
Dil Ki Saari Galiyoon Main
Raqs Karti Phirti Hain

Kis Tarhaan Sajaatay Ho
Andhion Kay Mausam Main
Tum Deeyay Rafaqat Kay
TumJo Payaar Ki Dolat
Apnay Dil Kay Haatoon Say
KhushBoowon Ki Baaton Say
IsTarhaan Lutaatay Ho
JisTarhaan Koi Jugnoo
Shab Kay RaigZaaroon Par
Roshni Lutaata Hai
TumJo Habs Mausam Main
Ik Hawaa Ka Jhonka Ho
Kis Taraah Sajaatay Ho
Maslehat Ki Shaamoon Main
Mehfilain Muhabat Ki

Kuchh Humain Bhi Batlaao
Kuchh Humain Bhi Sikhlao
Hum To Apnay Sehraa Kay
Be-Nawaa Musaafir Hain
Hum Tumhaaray Jazboon Ki
Naik Si Fizaaoon Main
Phool Jaisay Geetoon Ki
Raqs Karti Khushboo Kay
Be-Qaraar Shaayar Hain

Asif
02-14-2007, 09:57 PM
mai sochta hoon kuch uss se kahoon
koyee baat mohabat ulfat ki
koyee baat sunehrey khabon ki
koyee baat ke jiss ki rag rag se
bay naam si khushbu poot'thi ho
pir sochta hoon kya hasil hai
gar uss ko sab kuch keh be diya
ye lafz akarat jayengey
mai sochta hoon aik geet likoon
unn komal payarey hathon par
uss phoolon waley anchal par
jisey oor ke wo ik pari lagey
kabi sochta hoon koyee nazm kahoon
bas jiss mai uss ki baten hon
unn gehri gehri ankon par
jin ankon mai kayee sadiyon ke
kayi qisey hain afsaney hain
pir aksar yooun be sochta hoon
mai kuch na kahoon ye behtar hai
har zakham chupa kar seeney mai
bas dukh he sahoon ye behtar hai
jahan lafz yaqeen se khali hon
wahan chup he rahoon ye behter hai

Asif
02-14-2007, 09:57 PM
Aaj Baad Muddat Key
Main Ney Is Ko Dekha Hey
Woh Zara Nahi Badli
Ab Bhi Ankhon Main
100 Sawal Rakhti Hey
****i ****i Baaton Per
Ab Bhi Khul Key Hansti Hey
Ab Bhi Is Key Lehjey Main
Wohi Khankhnahat Hey
Woh Zara Nahi Badli
Ab Bhi Is Ki Palkon Key
Saye Geeley Rehtey Hain
Ab Bhi Is Ki Sochon Main
Mera Naam Rehta Hey
Ab Bhi Meri Khatir Woh
Is Tarah Hi Pagal Hey
Who Zara Nahi Badli
Aaj Baad Muddat Key
Main Ney Is Ko Dekha Hey
To Mujhey Bhi Lagta Hey
Main Bhi Is Ki Chahat Main
Is Tarah Hi Pagal Hoon
Baad Itni Muddat Key
Or Kuch Nahi Badla
Juz Hamarey Raston Key
Or Kuch Nahi Badla

Asif
02-14-2007, 09:57 PM
rait par likh ke meraa naam miTaayaa na karo
aa.Nkhe.n sach bolatii hai.n pyaar chupaayaa na karo

log har baat kaa afsaana banaa lete hai.n
sab ko haalaat kii rudaad sunaayaa na karo

ye zaruurii nahii.n har shaKhs masiihaa hii ho
pyaar ke zaKhm amaanat hai.n dikhaayaa na karo

shahar-e-ehasaas me.n pattharaav bahut hai.n 'Mohsin'
dil ko shiishe ke jharo.nkho.n me.n sajaayaa na karo ~!!
_________________

Asif
02-14-2007, 09:58 PM
Hum woh k gila bhi na kar sakain,
tum woh k zara si baat bhi keh do.
hum woh k khwab haqeeqat karain,
tum woh k khwab hi na dikha sako.
hum woh k dhalti shaam k sooraj ko chahain,
tum woh k ubhartay huay sooraj ko poojo.
hum woh k ghum k ansoon ko piain,
tum woh k hansi bhi khanakti chaho.
hum woh k khwabon main tumhain sochain,
tum woh k hamara naam tak na laina chaho.
hum woh k sab kuch luta k bhi hansain,
tum woh k dil bhi na lutana chaho.
hum woh k tumse milnay k bahanay dhoondain,
tum woh k nazar tak churana chaho.
hum woh k jis ki zindagi tumharay naam hay,
tum woh k humain maout bhi na dena chaho.
hum woh k jis k seharo shaam tumharay,
tum woh k ik pal bhi na dena chaho.
hum woh k dil khol k samnay rakh dain,
tumwoh k nazar tak churana chaho.
hum woh k umeed ki shamain jalain...
tum woh k yeh chiraagh bhi bujhana chaho.
laikin
aik baat hay jo hum main milti hay...
na hum badalna chahain........na tum badalna chaho.....!!
_________________

Asif
02-14-2007, 09:58 PM
Mohabbat main najaaney faasloun ki Rait kaisi hay
kaheen lafzoun k anbaar hain par likh nahin aktey
kaheen jazboun ki yorish hay
magar kuch keh nahin saktey
kaheen kuch bhi nahin hay
magar phir bhi kuch kehna likhna parta hay


Kabhi ahsaas poroun k kinaaroun par uga hay
phir bhi usko choo nahin saktey
kabhi khud lams itna door hay k khuwab sa mehsoos hota hay
kabhi khush hain to palkoun ki nami say phoot'ti larzish nahin jaati
kabhi dil qarb ki shiddat say phat raha hota hay
magar hunsna parta hay


Mohabbat main najaaney faasloun ki Rait kaisi hay
isay beychaargi ka dukh kahoon k beybasi ka dukh
usay wapas palatna parh raha hay
or mujhay kehna parh raha hay
Raastey lauta nahin kartay....

Asif
02-14-2007, 09:58 PM
Bikher rahi hay meri zaat ... usay keh dena ...
Kahein milay wo to ye baat..
usay keh dena!


usay kehna k bina us k din nahi kat'ta
Sisak k kat'ti hay her raat ...
usay keh dena!


Woh saath tha to zamana tha humsfar mera..
Mgr ab koi nahi saath
usay keh dena !



Woh jis ko sun k palat aaye meri duniya mein,
Hawaao'n.... aisi koi baat
usay keh dena!

agr woh phir bhe naa loutay ,to mehrbaa'n Qasid ...
Hamaari zeest k halaat ..
usay keh dena!

Her aik jeet us k naam kar rahi hoon main
main manti hoon apni maat...
usay keh dena!

usay pukaaro'n yaa khud puhunch jaaon us k paas..
rahay hain bas mein kab halaat
usay keh dena!

Baras baras k nigahein bhe ho gayein pathar,
Pari hay gham ki ajab raat ..
usay keh dena!


wo sath tha to ..zamana tha humsafar mera
hain ab tu khaali mere haath ...
usay keh dena !

Asif
02-14-2007, 09:58 PM
Iss Sei Pehley Kei Meri Ankhoon Mein
Thaier Jayee Intezar Ka Mousam
Keh Do Aab Sath Sath Rehna Hai
Iss Sei Pehley Kei Dil Ki Yeh Doniya
Aik Weeran Dasht Ban Jayee
Keh Do Aab Dil Mei Meerey Rehna Hai
Iss Sei Pehley Kei Sansoon Ki Yeh Lari
Lamha Lamha Bikharney Si Lagey
Jitney Iqrar Hain Saab Keh Do Mujhey
Keh Do,Haan Tum Sei Mohabbat Hai Mujhey

Asif
02-14-2007, 09:59 PM
aye dil unn aankhon par na jaa .....
jin main wafoor_e_ranj say ...
kuch dair ko teray liye ....
aansoo ager lehraa gaye ...
ye chand lamhon ki chamak ...
tujh ko jo paagal kar gayi ...
inn jugnoou'n kay noor say ...
chamki hay kab wo zindagi ...
jiss kay muqaddar main rahi ...
subh_e_talab say teeragi ...
kiss soch main gumsum hay tu ...
aye bay_khabar naadaa'n na ban ...
teri fasurdaa rooh ko ...
chaahat kay kaanton ki talab ...
aur uss kay daaman main faqat ...
HAMDARDIYON KAY PHOOL HAIN .

Asif
02-14-2007, 09:59 PM
bikher rahi hay meri zaat ... usay keh dena ...
Kahein milay wo to ye baat..
usay keh dena!


usay kehna k bina us k din nahi kat'ta
Sisak k kat'ti hay her raat ...
usay keh dena!


Woh saath tha to zamana tha humsfar mera..
Mgr ab koi nahi saath
usay keh dena !



Woh jis ko sun k palat aaye meri duniya mein,
Hawaao'n.... aisi koi baat
usay keh dena!

agr woh phir bhe naa loutay ,to mehrbaa'n Qasid ...
Hamaari zeest k halaat ..
usay keh dena!

Her aik jeet us k naam kar rahi hoon main
main manti hoon apni maat...
usay keh dena!

usay pukaaro'n yaa khud puhunch jaaon us k paas..
rahay hain bas mein kab halaat
usay keh dena!

Baras baras k nigahein bhe ho gayein pathar,
Pari hay gham ki ajab raat ..
usay keh dena!


wo sath tha to ..zamana tha humsafar mera
hain ab tu khaali mere haath ...
usay keh dena !

Asif
02-14-2007, 09:59 PM
jab main ****a bacha tha
chand ko dekh ke roo deta tha
apni ami se kehta tha
chanda pass bula doo ami
mere sath sula doo ami
lakin ab main soch raha hoon
aur too ARSHAD sab hota hia
chand kisi ka kab hota hai ?
_________________

Asif
02-14-2007, 09:59 PM
zindagi ke mele meiN
KhwaahishoN ke rele meiN
tum se kya kaheiN jaanaaN
is qadar jhamele meiN
Waqt ki rawaani hai
baKht ki giraani hai
saKht be~zameeni hai
saKht laa~makaani hai
hijr ke samandar meiN
taKht aur taKhte ki
eik hi kahani hai
tum ko jo sunani hai
baat go zara si hai
baat umr bhar ki hai
umr bhar ki baateiN kab
do ghaRi meiN hoti haiN
dard ke samandar meiN
an~ginat jazeere haiN
be~shumaar moti haiN
aaNkh ke dareeche meiN
tum ne jo sajaya tha
baat us diye ki hai
baat us gile ki hai
jo lahu ki Khilwat meiN
chore ban ke aata hai
lafz ki faseeloN par
TooT TooT jaata hai
zindagi se lambi hai
baat rat~jage ki hai
raaste meiN kaise ho
baat taKhliye ki hai
taKhliye ki baatoN meiN
guftagu izaafi hai
piyaar karne waaloN ko
ik nigaah kaafi hai
ho sake to sun jaao
eik din akele meiN
tum se kya kaheiN jaanaaN
is qadar jhamele meiN~!!

Asif
02-14-2007, 10:00 PM
abhi tu ik dojjey key khyaloon mein khooye hovey
ik dojjey ki talash mein
ik dojjey key qadmoon key nishahn dhoondhtey
sirab musafitoon key safar mein
zindgi key un-deikhey rastoon per
achey waqat ki talash mein nidhaal umeed ki
himat bandhani hay

abhi tu ik dojjey key saamney beithey
ik dojjey ki ankhoon mein jhaank ker
ik dojjey key aqas mein bantey
ghilmilatey sitaroon ki tamtamaati zue mein
jaagtey samey meethey sapnoon ki
khush aayend tabeer ki madhoshi mein
apni raqs kerti roohun ki khushi ko
apni rag rag mein behtey khun ki rwanni mein shamil ker key
kasht-e-dil key her her arman ko seirab kerna hay
gaye rutton ki talkh tanhayoon ka hisab kerna hay
abhi tu miley bhi nahien, judda hovey beithey ho
abhi tu doori key her lamhey ko khawab kerna hay

Asif
02-14-2007, 10:00 PM
Aik wahma tha dil main
Shayad kabhi milo tum

kuch dair ruk ker poocho
beetay dinoon ka moosam

aawaz main ho larzish
aankhoon main ho tajassus

Mazay ka koi lamha
shayad atak gaya ho

sab bhool ker bhi shayad
kuch yaad agaya ho

phir main tumhain bataoon
apni khushi ki baatain

har dukh ko chupa ker dil main
aasoodgi ki baatain

wo chand ****hween ka
taroon bhari wo aankhain

dilkash haseen shamain
maasoom wardatain

wo piyaar ka tasawwor
wo bandagi ki batain

Wo rooz rooz marna
Aur zindagi ki baatain

Tum dukh say muskurao
Dheeray say muskurao

Dheeray say paas aao
Sar ko jhuka kay apnay

Chup chaap loot jao
Phir main bhi muskuraon

Man kay diyay jalaon
Duhraon apnay dil main

Taa'luq say haqeeqat
Aik khuwab zindagi ka

Haan umer bhar jo daikha
Kabhi ho saka na pora

Younhi rah gaya adhoora
Aik khuwab zindagi tha

Asif
02-14-2007, 10:00 PM
waqt ke tund-o-taiz hawa ke
zad main a ker
beet chukay raston per
laut k anay walay
tu kia janay
raston k mausam hote hain
yeh bhi apni apni rut main
apni apni simt badalte rehte hain

Asif
02-14-2007, 10:01 PM
Kiyoon Na Hum Uss Ko Ussi Ka Aaina Ho Kar Milein
Bewaffa Hey Woh To Uss Ko Bewaffa Ho Kar Milein

Talakhiyon Mein Na Dhal Jayein Wasl Ki Uktahatein
Thakk Gaye Ho To Chalo Phir Se Juda Ho Kar Milein

Pehli Pehli Qurbaton Ki Phir Uthayein Lazzatein...
Aashna Aa Phir Zara Hum Na Aashna Ho Kar Milein

Aik Tu Hey, Sar Se Paa Tak Hey Saraapa E Inkisaar.....
Log Woh Bhi Hein Jo Bandon Se Khuda Ho Kar Milein

Maazrat Ban Kar Bhi Uss Ko Mil Hi Saktay Hein Adeem
Yeh Zaroori To Nhi Uss Ko Sazaa Ho Kar Milein..........
Adeem hashmi

Asif
02-14-2007, 10:01 PM
samay samay kii Khalish mein teraa malaal rahe
judaaiiyon mein bhii yun aalam-e-visaal rahe

anaa kii jang mein ham jiit to gaye lekin
phir us ke baad bahut der tak nidhaal rahe

raah-e junun mein yahii zaad-e-raah hotaa hai
ke justajuu bare divaanagii bahaal rahe

hasiin raaten bhii mahaken tumhaarii yaadon se
kare dinon mein bhii pal pal teraa Khayaal rahe

tuu ek baar zaraa kishtiyan jalaa to sahii
hai kyaa majaal ke ek lamhaa bhii zavaal rahe

Asif
02-14-2007, 10:01 PM
Waqt-e-rukhsat woh ro diyey hain jub
main nay mushkil say ashk rokey thay
muskura kar kaha tha ---- gham na karo
tum bohat jald laut aaogey
lakin ab jub k ro raha hoon main
aa kay dhaaras meri bandhayey koan
woh mujhay chaurh jayain, naamumkin
woh chaley bhi gayey---Batayey kaun??

Asif
02-14-2007, 10:02 PM
Jab seenay andar
saans k darya doaltey hain
jab mausam sard hawa main chup see ghoaltey hain
jab aansoo palkain roaltey hain
jab sub aawazain apney apney bistar par so jaati hain
tub aahista aahista aankhain kholtey hain
DUKH BOLTEY HAIN~!!

Asif
02-14-2007, 10:02 PM
Bohat see shaamain aayeen
aa kar beet gayeen
dil nay koi aahat, koi dastak
bhi mehsoos na ki,
lakin har baras ki hur shaam main
na jaaney kiyoon qamar
aankh bheeg jaati hay~!!

Asif
02-14-2007, 10:02 PM
koii chaara nahin duaa ke sivaa
koii sunataa nahiin Khudaa ke sivaa

mujh se kyaa ho sakaa vafaa ke sivaa
mujh ko milataa bhii kyaa sazaa ke sivaa

barasar-e-saahil-e-muqaam yahan
kaun ubharaa hai naaKhudaa ke sivaa

dil sabhii kuchh zuban par laayaa
ik faqat arz-e-muddaa ke sivaa

Asif
02-14-2007, 10:02 PM
barishoon kay mosam main
tum ko yad kartay hain
dill buhat tarapta hay
aik tairi chahat main
dill ka kiya karain jana
dill to tehra man moji
barishoon kay mosam ab
dill kay khali kamray ko
ansoo'oo say bhartay hain
taira naam likhtay hain
likh kay phir mitatay hain
ik fareeb khatay hain
bholtay nahin tujh ko

khud ko bhool jatay hain
barishain to ani hain
khud ko kaisay samjhooon
tujh ko kaisay batlaoon
barishoon kay mosam yoon
ab kay dill jalatay hain
ashk behtay rehtay hain

khwab toot jatay hain
ab kay main ne socha hay
ab kay kar kay daikhon ga
barishoon kay mosam main
dil se main ne dhonay hain
saray rang yadoon kay

ab kay bhool jana hai
tujh ko teri batoon ko
ab kay phir say socha hay
barishoon kay mosam main

Asif
02-14-2007, 10:03 PM
justajuu khoye huon kii umr bhar karate rahe
chand ke hamraah ham har shab safar karate rahe

raaston kaa ilm thaa ham ko na simton kii Khabar
shahar-e-naamaaluum kii chaahat magar karate rahe

ham ne Khud se bhii chhupaayaa aur saare shahar se
tere jaane kii Khabar dar-o-divaar karate rahe

vo na aayegaa hamen maaluum thaa us shaam bhii
intazaar us ka magar kuchh soch kar karate rahe

aaj aayaa hai hamen bhii un udaanon kaa Khayaal
jin ko tere zaum mein be-baal-o-par karate rahe

Asif
02-14-2007, 10:03 PM
ghamoon ki jou faseel hai
woh is qadar taweel hai
ghazab tou hai, yeh ek nahi
faseel darr faseel hai
tum is ki her mundair per
arzo'on k tail sai
charag-e-dil jalaoo na
zara sa muskarao na
zara sa muskarao na

woh phir sai yaad aa gia
jou rooth kar chala gia
isay khayal bhi nahi
kisi ka dil dukha gia
aab us ki meethi yad main
shaboon ko jag jag kar
yeh rat jagay manaoo na
zara sa muskarao na
zara sa muskarao na

yeh gham hameesha aain gaiy
yeh dil yuhi jalain gaiy
magar khushi k aatay hi
yeh gham bhi bhool jain gaiy
zara palkoon pai yunhi
sitaray jhilmilao na
yeh anso bhi pi jao na
zara sa muskarao na
zara sa muskarao na...!!!

Asif
02-14-2007, 10:04 PM
yeh barish khoobsoorat hai
ek arsay baad
meri rooh main
sairaab honay ki tamanna jaag uthi hai
magar badal kay rustay main
bohat say pai'rh aatay hain
main pal bhar kay liye shadaab hoon
aur apni baki umar
phir sehra main kaatoo'n
main apni pyaas par raazi rahoon ga
meray aansoo meray dil ki kafalat kay liye kaafi rahain **.

Asif
02-14-2007, 10:04 PM
Ab teray meray beech zara fasla bhi ho
Hum log jab milain to koi dusra bhi ho

Tu janta nahin meri chahat ajeeb hay
Mujh ko mana raha hay kabhi kudh khafa bhi ho

Tu bewafa nahin magar bewafai ker
Us ki nazar main rehnay ka kuch silsila bhi ho

Pat jhar main toot tay hoay patton kay sath sath
Mousam kabhi to badle ga ye asra bhi ho

Chup chap us ko beth ke dekhon tamam raat
Jaga hoa bhi hoon kuch soya hoa bhi hoon

Us ke lye to may nay yahan tak doain ki
Meri terha se usay koi chahta bhi ho.

Asif
02-14-2007, 10:04 PM
Aay ishq humain itna tu bata unjaam humara kya ho ga
taqdeer bata abb is sey bura unjaam humara kya ho ga

nadaan chaman main kaliyoon nay lub kholey nahi hansne k leye
wo poch raheen hain shabnum sey unjaam humara kya ho ga

kashti na rahi sahil na raha sahil ki tamanna bhi na rahi
aay pochne wale zahir hay unjaam humara kya ho ga~!!

Asif
02-14-2007, 10:04 PM
Hontoon Pey Mohobbat K Fasany Nahi Aaty
Sahil Pe Samnder K Khaznay Nahi Aaty

Pluk Bhi Chamak Uthi Hain Soone Main Humari
Aankhoon Ko Abhi Khowab Chupane Nahi Aaty

Dil Ujri Hoi Ek Sehera Ki Terha Hay
Ab Log Yahan Raat Jaagney Nahi Aatey

Is Sheher K Badal Teri Zulfoon Ki Terha Hain
Yeh Aag Lagaty Hain Bhujany Nahi Aaty

Asif
02-14-2007, 10:04 PM
Mout ki haqeeqat aur
Zindagi ke sapnae ki
Behas go purani hai
Phir bhi ik kahani hai
Aur kahaneyan bhi tu
Wakt say ibarat hain
Lakh rokna chahain
Wakt ko guzerna hai
Hasnte hanste chehroon ko
Ik din ujarna hai
Rahatain hawayein hain
Chahtain sadayain hain
Kia kabhie hawayein bhi
Dastras main rehti hain
Kia kabhie sadayein bhi
Kuch palut ke kehte hain
Pyaar bhi nahi rehna
Aur pyar ka dukh bhi
Ansoyun ke darya ko
Ik din utarna hai
Khwaishoon ko marna hai
Wakt ko guzerna hai..!!!

Asif
02-14-2007, 10:05 PM
Bikhar rahi hai meri zaat ause keh dena,
Kahein mile woh tu yeh baat ause keh dena,

Ause kehna ke bin aus ke din kat taa nahi,
Sisak ke kat ti hai har raat ause keh dena,

Woh saath tha tu zamana tha hamsfar mera,
Magar ab koi nahi saath ause keh dena,

Ganwa ke pyaar mein ham tu khud ko hi betha gaye,
Kare hain ishq ke lamhaat ause keh dena,

Woh jis ko sun ke palat aaye meri duniya mein,
Hawaao aise koi baat ause keh dena,

Agar woh phir bhi naa loute tu mehrbaan kasid,
Hamaari zeest ke halaat ause keh dena,

Har aik jeet os ke naam kar raha hoon main,
Main mantaa hoon apni maat ause keh dena,

Osey pukaaron yaa khud puhanch jaaon os ke paas,
Rahe bas mein kab yeh halaat ause keh dena,

Baras baras ke nigahein bhi ho gayein hain pathar,
Pari hai gham ki ajab raat ause keh dena,

Woh din kaha k zamaane ki khushbein hoon meri sob
Hain ab tu khaali mere haath ause keh dena~!!

Asif
02-14-2007, 10:05 PM
Khushhaal se tum bhi lagty ho
Yun afsurda to hum bhi nahi
per jany waly janty hain
khush tum bhi nahi,khush hum bhi nahi

Tum apni khudi k pehry main
Aur dam-e-garoor main jakry huye
hum apne zum k nerghy main
AnA haath humare pakrye huye

Ik mudat se ghalta'n pecha'n
Tum rub-to-garaiz k dharo'n main
Hum apne app se uljhe huye
puchtawo'n k ungaro'n main

mehsoor-e talatum ajj bhi ho
go tumne kinare dhoondh liye
Tufaan se sumbhly hum bhi nahi
kehny ko sahary dhoond liye

Khamosh se tum meher ba lub
Jug beet gye tuk baat kiye
so khail adhora chorty hain
bina chaal chuly bina maat kiye

jo bhagty bhagty thak jyein
woh saye ruk bhi sakty hain
chulo toro kasam ikrar kerin
hum dono jhuk bhi sakty hain

Asif
02-14-2007, 10:05 PM
Ik bar phir kaho zara, kay meri sari kainaat
Teri ik nigah per nisar hay

Meri teera zindagi ka noor too
Jannat-e-arzi, maiN rashk-e-hoor too
Lazzat-e-jaan, rahat-e-qalb-e-hazeen
Ishrat-e-nazzara, mehvesh, mehjabeen

Ik bar phir kaho zara,
kay too bohat haseen hay
Nigah main shabab ka khumar hay

Sharm kay parday main pinhaan shokhiyan
Muskurahat main nihaan hon bijliyan
Her ada teri mujhay merghoob hay
Dehr ki her cheese say mehboob hay

Ik bar phir kaho zara ,
kay paiker-e-fani hay kya
Kay dil to teri rooh per nisar hay

Jism fani, husn bhi fani mera
Jazb-e-dil lekin hay lafani mera
Mard herjai hay her gul per nisar
Dil magar deti hay aurat aik bar
Ik bar phir kaho zara ,
kay mujh ko ghair ka khayal
Tauba tauba sakht nagavar hay

Man vohi hoon, man badal sakti nahin
Doosray saanchay main dhal sakti nahin
Ab teri taiver, teray qaul aur hain
Man kahan ab qabil-e-ghaur aur hain
Ik bar phir kaho zara ,
kay mera ishq Mehr aur maah
say ziyada paidar hay

Meray sir ki jhooti qasmain kya hooin
Zahiri ulfat ki rasmain kya hooin
Girya-e-paihem vo uljhan kya hui
Aanch ki tezi vo dharkan kya hui
Ik bar phir kaho zara,
kay mera ishq Ustuvar
rooh say ziyada ustuvar hay

Baandh ker ehd-e-vafa torra to kya
Sheesha-e-dil torr ker jorra to kya
Sub samajhto hoon magar maazoor hoon
Dil ki iss feryaad say majboor hoon
Ik bar phir kaho zara,
kay meri sari kainaat
Teri ik nigah per nisar hay ~!!

Asif
02-14-2007, 10:06 PM
Udaas mausam k rutjagon mein
har ik lamha bikhar gaya

har ik raasta badal gaya
phir aisey mossam mein kon aaye?
koi to jaaye

tere nagar ki musafiton ko sameet laaye
teri gali mein humari sochain bikhair aaye

tujhe bataye k kon kaisey
uchalta hai wafa k moti

tumhari janib
koi to jaaye

meri zuban mein tujhe bulaaye
tujhe manaaye

meri haalat tujhe bataye
tujhe rulaaye
to apney dil ko bhi cheen aaye~!!

Asif
02-14-2007, 10:06 PM
Ankhon ko intizar ka de ker hunar chala gaya
chaha tha aik shaks ko jane kidher chala gaya

din ki wo Mehflain gaye raaton ke rut-jage gaye
koi samait kar mere shaam-o-sahar chala gaya

jhonka hai aik bahar ka rung-e-khayal yaar bhi
her-soo bikher bikher gaye khushbo jidher chala gaya

is ke he dum se dil main aaj dhoop bhi chandni bhi hia
de ke wo apni yaad ke shams-o-qamar chala gaya

kocha ba kocha dar-badar kab se bhatuk raha hai dil
hum ko bhula ke rah wo apni dagar chala gaya

Asif
02-14-2007, 10:06 PM
Khwahishain Na'tamaam
Mujhay roshni k jazeeron say ... Is tarhaan mili ho tum ...
Jaisay taareek rahoon main ...
Koi diya ho mad’dham sa ...
Jis ki roshni main khud ko daikh to sakta hoon magar ...
Yeh roshni ka safar shayad mera hamsafar na ho ...
Shayad k tera milna kabhi bhi meri zindagi ka muqaddar na ho ...
So aaj inhi lamhoon main ...
Lota dain jitni chahatain hain ...
Mere dil k nehaan khanoon main ...

Jitni un kahi batain hain ...
Phir kal fursat milay na milay ...
Jis tarhaan saji hai aaj apni mehfil ...
Phir yeh bazam sajay na sajay ...
Kyon k main janta hoon ...
Kay meri natamaam khuahishoon main ab ...
Tumhain bhi shamil hona hai ...
Aaj paya hai tumhain muqaddar say ...

Kal isi tarhaan ...
Tumhain bhi khona hai ...

Asif
02-14-2007, 10:07 PM
Na Ch.hero Khilti Kaliyoun, Hanste Pholo0n Ko
Inn Uadti Titliyoun, Awara Bhanwro0n Ko
Tasalsul To0t Jaye Ga

Fiza Maho0-E-Samat Hai
Haseen Honto0n Naghma Raiz Rehne Do
Nigahain Neechi Rakho Aur Mujassam Go0sh Ban Jao
Agar Jubish Labbo0n Ko Di
Tasalsul To0t Jaye Ga

Hawa Se Pattiyan Sargoshyoun Main Maho Hain
Aur Jho0mti Shakho0n Ke Jholo0n Main
Parindo0n Ki Chehak Se Sara Sahil
Sarmadi Ehsas Se Doba Huwa
Sar Shar-0-Shadaan Hai
Agar Kankar Bhi Satha-E-Aab Par
Taslsul To0t Jaye Ga

Ufaq Main Dobte Suraj Ka Manzar
Iss Bulandi Se Zara Dekho0
Issi Rangeen Kinare Par
Shafaq Sona Lutaey Gi
Youn Hi Tum Be Hiss-0-Sakat Raho
Aise Main Palkain Bhi Jhapkiin
Tasalsul To0t Jaye Ga

Who Khuwabeeda Hai, Khuwabeeda Hi Rehne Do
Jane Khuwab Main Kinn Wadiyoun Ki Sair Karti Ho
Bulandi Se Phisalte Aabsharo0n Main Kahiin Gum Ho
Falak Aasar ****i Par Kahiin Maho-E-Taranum Ho
Agar awaz Di Tum Ne
Tasalsul To0t Jaye Ga

Main Shaiir Ho0n
Meri Fikar Rasa, Ehsas Ki Satah Par Hai
Jiss Min Khushbu Rang Banti Hai
Sada Ko Shakal Milti Hai
Taawar Bo0l Uthta Hai
Khamoshi Gungunati Hai
Yeh Waqfa Hai………..Aise Main
Agar Daad-E-Sukhan Bhi Di
Tasalsul To0t Jaye Ga

Asif
02-14-2007, 10:07 PM
Koi yaad hi rakht-e safar thehrey, koi raah-guzar unjaani ho
jab tak meri um'r jawaan rahey, aur ye tasweer puraani ho

koi naao kahee.n manjhdhaar main dobey, chand sey uljhey aur udher
moujoo.n ki wo hi halqa-bandi, darya ki wo hi tughiyaani ho

is raat aur din k mailey main, tera haath ****ey merey haathoo.n sey
terey saath teri tanhaai ho, merey saath meri weeraani ho

kiya dhondhtey hain? kiya kho bethey? kis ujlat main hai log yahan?
sar-e raah kuch aise miltey hain, jaise koi rasn nibh'haani ho

hum kab tak apney haathoo.n sey khud apney leye dewaar chunain
kabhi tujh sey hukum udoli ho, kabhi hum sey na-farmaani ho

kuch yaadain aur kitabain hoon, mera ishq ho aur yaaraney hoon
isi aab-o hawa main rehna ho aur saari um'r beetani ho~!!

Asif
02-14-2007, 10:07 PM
Chahat Mein Kiya Duniya Dari Ishq Mein Kaisi Majbori
Logo Ka Kiya, Samjha'ne Do In Ki Apni Majbori,

Mein Ney Dil Ki Baat Rakhi Aur Tu Ney Duniya Walon Ki
Meri Garz Bhi Majboori Thee Un Ka Huqam Bhi Majboori,

Rokh Sakho To Pahli Barish Ki Bondo Ko Tum Rokho
Kachi Mitti To Mehkey Ge, Hai Mitti Ki Majboori,

Jab Tak Hunsta Gata Mausam Apna Hai,Sab Apney Hain
Wakht Parey To Yaad Ajati Hai Masnovi Majboori,

Aik Awara Badal Sey Kyun Mein Ney Saya Manga Thaa
Meri Bhi Ye Nadani Thee, Us Ki Bhi Thee Majboori,

Muddat Guzri Aek Wadey Per Ajj Bhi Qayam Hai Mohsin
Hum Ney Sari Omer Nibhaye, Apni Pehli Majboori ~!!

Asif
02-14-2007, 10:07 PM
zahan pe chhaaii huii gam kii ghataa ho jaise
dard mein duubii huii saarii fizaa ho jaise

ab dil-e-zaar kisii taur bahalataa hii nahiin
is kaa paimaan-e-vafaa tuut gayaa ho jaise

pursish-e-gam kii bhii rasm uthaa dii us ne
haal-e-dil sun ke vo sharmindaa huaa ho jaise

ab to har saans kii aamad pe gumaan hotaa hai
zindagii ek fasurdaa saa diyaa ho jaise

Asif
02-14-2007, 10:08 PM
Teri Ankhoon se hi khultay hain Sawairoon ke Ufaq
Teri Ankhoon se hi bund hoti hai yeh Seep ki Raat
Teri Ankhain hain ya Sajday main hai masoom Namazi
Palkain Uthti hain to Youn Goonj ke Uthti hai nazar
Jaisay Masjid se guzar kar chalay Namnaak Hawa
Aur jhukti hain to bus jaisay Azaan khatm hui ho
Teri Ankhain, teri thehri hui ghamgeen si Ankhain
Teri Ankhoon hi se takhleeq hui hai Sacchaii
Teri Ankhoon hi se takhleeq hui hai yeh Hayaat

Asif
02-14-2007, 10:09 PM
pal pal tarsa is pal ke liye
yeh pal aaya bhi to kuch pal ke liye
sochta tha ise zindagi ka haseen pal bana loon
par yeh pal tehra bhi to kuch pal ke liye

Asif
02-14-2007, 10:27 PM
Chupana raaz is dil ke
ager tum choor do janan
mujhe tum se muhabat hai
agar tum bool do janan
too jevan ke safar main
rasta aasan ho jaye
humaray pass bhi jeenay ka kuch samaan ho jaye
werna hum tumharay dil ke darwazay ke bahir
aas main baithay rahain **
ke kabhi too bund darwazay ko khoolo gi
mere shanay pe sar rakh ker
kabhi dheeray se bolo gi
mujhe tum se muhabat hai

Asif
02-14-2007, 10:27 PM
Tum aisi mohabbat mat karna
Mairay khaboon mein chahra daikhoo..!!
Aur mairay qayail hoo jaoo..!!
Tum aisi mohabbat mat karna...!!

Mairay lafzoon mein woh baat sunoo..!!
Jo baat lahoo ke chahat hoo..!!
Phir uss chahaat mein khoo jaoo..!!
Tum aisee mohabbat mat karna..!!

Yeh lafaz mairay, yeh khawb mairay..!!
har chund yeh jisam o jaan tharay..!
Par aisay jisam o jaam tu naheeen..!!
Jo aur kissi kay passs na hoon..!!
Phir yeh bhi tu mumkin hai, sochoo..!!

Yeh lafaz mairay, yeh khawb mairay..!!
Saab jhoootay hoon...!!
Tum aisi mohabbat mat karna..!!
Gar karoo mohabbat tu aisii..!!

Jiss tarhaan koi sachayeee kee roo...!!
Har Jhoot ko Sach kar jaati hai...!!

Asif
02-14-2007, 10:27 PM
Wahi takraar lafzoun ki
Wahi andaishey furqat kay'
Wahi anjaan see dastak
Wahi her baat pey ranjish
Wahi her baat pey larnaa
Wahi likhna hamaarey naamoun ko bey-rehem maujoun per
Hamaarey saamney kachchey gharoundey tour ker hansnaa
Wahi bey-maani baatoun mein hamaara zikr ley aana
Hamein perdey sey chhup ker daikhna aur muskuraana
Wahi muskaan dheemi see
Wahi kuch boulti aankhein
Wahi chup chaap sa lehjaa
Wahi bey-chain see halchal
Wahi sakhiyoun sey katraana
Wahi saaey sey ghabraana
Wahi kehney sey kuch darnaa
Wahi bey-wahja ithhlaana
Sab hi aasaar kehtay hein..
Ussey mujh sey Muhabbat hai..!!!
Ussey mujh sey Muhabbat hai..!!!

Asif
02-14-2007, 10:28 PM
main jism o jaan ke tamaam rishtoon se chahata hoon
nahi samjhta ke aisa kyon hai
na khaal-o-khud ka jamal us main
na zindgi ka kamal koi
jo us main koi hunar bhi ho ga
too mujh ko is ki khabar nahi hia
najanay phir kyon main waqt ke dairoon se bahr
kisi tasawar main urr raha hoon
khial main,khawab-o-khalwat-e-zaat-o-jalwaat-e-bazm main shab-o-rooz
mera lahu apni gardishoon main usi ke tasweer perh raha hia
jo meri chahat se bekhabar hai
kabhi kabhi wo nazar chura ker qareeb se meray yoon bhi guzra
jaise wo ba-khabar hai mujh se
dil-o-nazar ki hakayatain sun rakhi hian us nay
meri hi soorat wo waqt ke dairoon se bahir kisi tasawar main urr raha hai
khial main,khawab-o-khalwat-e-zaat-o-jalwaat-e-bazm main shab-o-rooz
wo jism-o-jaan ke tamaam rishtoon se chahata hai
mager nahi janta ye wo bhi ke aisa kyon hai
main sochta hoon, wo sochta hai
kabhi milain hum too aainoon kay batin aayan karain **
haqiqatoon ka safar karain **

Asif
02-14-2007, 10:28 PM
mein nai kaha tha tum say
abhi bicharnay ka mausam nahi aya hai
abhi to patjhar mein sukhay patoon ko jharna hai
abhi to khiza ki rut ko har soo chana hai
abhi to muhabbat kay diyay ko
tez andhi ki zad mein ana hai
abhi to wafa kay phool ko murjhana hai
mein nay kaha tha tum say
abhi bicharnay ka mausam nahi aya hai
abhi to mere dil ko veeran hona hai
abhi to ankhoon mein sawan rut ko basna hai
abhi to khushi par gham ki gard ko chana hai
abhi to roonay ko hansi mein chupana hai
mein nai kaha tha tum sai
abhi bicharnay ka mausam nahi aya hai

Asif
02-14-2007, 10:28 PM
main ne dil se kahaa
ai diivaane bataa
jab se koii milaa
tuu hai khoyaa huaa
ye kahaanii hai kyaa
hai ye kyaa silasilaa
ai diivaane bataa

main ne dil se kahaa
ai diivaane bataa
dharakanon mein chhupii
kaisii aavaaz hai
kaisaa ye giit hai
kaisaa ye saaz hai
kaisii ye baat hai
kaisaa ye raaz hai
ai diivaane bataa

mere dil ne kahaa
jab se koii milaa
chaand taare fizaa
phuul bhaunre havaa
ye hasiin vaadiyaan
niilaa ye aasamaan
sab hai jaise nayaa
mere dil ne kahaa

Asif
02-14-2007, 10:29 PM
Titlion si ik larki
dhiray say meray dil mein
aa kay jab woh utri
uss say jab kaha main nay
dil mein meray bas jaa'o
urtay huway woh yeh boli
yahan main na bas paoo'n gi
baasi hoon ik aur nagar ki
usay yeh kaun batlaa'ay
apnay mehaktay paron kay
saaray kay saaray rang
chor gai hay meray mun mein

Asif
02-14-2007, 10:29 PM
Jis mumtaaz ne kabhi ful bhi uthaya natha aapne hatho se
Us mumtaaz ko shahjaha ne tajmahal bana diya

Jeena agar chaho to dur hi rehna
Tum mom se bane ho ham aag se bane hain

Gul se honsla sikho gam me muskurane ka
Kaid he woh katon main fir bhi muskurata hain

Chaman ko chaman ki baharon ne loota
Shama ko shama ke pervano ne loota
Tuje ek ne loota to ghabhra gayi
Teri kasam tune to hazaro ko loota

Asif
02-14-2007, 10:30 PM
Dar tha tujhey khoney ka, issi kouf sey ik raat
main ney sisak key tujhko pukara tha aur bass

Ik shakhs mujh ko jeet k haara hai aur bass
Itna hee zindagi ka khassara hai aur bass ...!

Kaisay kahooN k uss ka irrada badal gaya
Sach tu yehi hai uss ne pukara hai aur bass..

Duniya ko iss main derd kee shiddat kahan millay
AankhooN se tootta hua tara hai aur bass

Ab inn main koi khawaab sajanay nahin mujhay
AankhooN ko intezaar tumhara hai aur bass

Poocha k main ne khawaab main daikhi haiN barishain
Uss ne kaha k aik ishara hai aur bass

LafzooN main derd-i-hijr ko mehsoos ker k daikh
Kehnay ko main ne waqt guzara hai aur bass

palkon pe uske aik sitara tha aur bas
zad-e-safar yahi to hamara tha aur bas

banjar sama’aton ki zamin kaisay khil uthi
tum ne to mera naam pukara tha aur bas

ik umr meri zaat pe sayafagan raha
kuch waqt hum ne saath guzara tha aur bas ~!!

NonStopLeo
02-14-2007, 10:32 PM
Zabardast collection

Asif
02-14-2007, 10:52 PM
Ek tu teri aawaaz yaad aayegi,
teri kahi hui har baat yaad aayegi,

Din dhal jaayega raat yaad aayegi,
har lamha pehli mulaqaat yaad aayegi..

Kabhi hasti kabhi roti kabhi muskurati..
ye zindgi tere bin bhi kat jaayegi..


Par kuch kami isme bhi to reh jayegi.
dil ko tadpayegi kabhi tarsayegi.
har lamha teri yaad aa jayegi..
Bilkul g her lamha teri yaad aaye ghi

Asif
02-14-2007, 10:52 PM
Nehi haasil to kya roun .. teri mohhobat ko
teri hasin ke badle.. kai baar mar marke ji chuka

tumhe naa yaad ho saayad .. apni wafa ke silsily
Teri wafa me barbaad.. main kai raat roo chukaa
Ab bhi sakoon nehi aaya jinhe.. teri khwahisoun ka kya kehna
Meri mout ko bhi de di shikast.. Teri baduaoun ka kya kehna

Chelo phir maar hi daalo.. yoon naa tum mujhko dua do
mere jhakmo ko to choro.. en askhokoun ko mita doo

Hum tuhme bhool bhi jayain magr tum... bhoolne denaa
mujhe apni wafaooun ka.. mere marne per na sila dena

Ab pyar nehi kerna .. bahut dard seh chukaa..
mere Moujoun ke sahil per..bahut ab khoon beh chukaa.

Asif
02-14-2007, 10:52 PM
gulab chehray pa muskraht
chmukti aankho mein shookh jzbay
wo jab bhi college ki sirheeiun se
sehailieun ko liay uterti
to aisa lgta k jaisay dil mein uter rhi ho
kuch aisay taiqun se bat kerti
k jaisay dunia ussi ki aankho se daikhti ho
wo apnay rustay mein dil bichati hove nighahoon se huns ke kehti
tmuharay jaisay bohut se lrkoon se mein ya batain
bohut se bursoon se sun rhi hoon
mein sahiloon ki hwa hoon
nilay smundron ke liay buni hoon
wo sahiloon ki hwa se lrki
jo rah chulti to aisa lgta
ke jaisay dil mein uter rhi ho
wo kal mili to ussi trah thi
gulab chehray pa muskraht
chmukti aankho mein shookh jzbay
ke jaisay chaandi pighal rhi ho
mger jo booli....
to us ke lhjay mein wo thkan thi
ke jaisay suddieun se dusht.e.zulmat mein
chal rhi hoo!!!!!!!!!!!!!!!!

Asif
02-14-2007, 10:53 PM
Main aiyna tha, woh maira khayal rakhti thi
main toot-ta tha to chun kar sambhal rakhti thi

har aik maslay ka hal nikal rakhti thi
zaheen thi, mujhay hairat main daal rakhti thi

main jab bhi tark-e-taluq ki baat karta tha
woh rokti thi mujhay, kal pay taal rakhti thi

bas aik woh thi jisay ghaow main dikhata tha
bas aik woh thi keh jo andmal rakhti thi

woh mairay dard ko chunnti thi apni pooron say
woh mairay wastay khud ko nidhal rakhti thi

woh dobnay nahi daiti thi dukh kay darya main
mairay wajood ki naow uchaal rakhti thi

duain us ki balaon ko rook laiti thin
woh mairay chaar soo hathon ki dhaal rakhti thi

ik aisi dhun kay nahi phir kabhi main nay suni
woh munfarid sa hansi main kamal rakhti thi

usay nadamatain mairi kahan gawara thin
woh mairay wastay asaan sawal rakhti thi

bichar kay uss say main dunya ki thokaron main hon
woh pass thi tau mujhay lazawaal rakhti thi

sahar tha naam , ujalay ghulam thay us kay
woh zindagi kay andhairay ujaal rakhti thi

woh muntazir mairi rehti thi dhoop main shaid
main laut-ta tha to chaon nikal rakhti thi

Asif
02-14-2007, 10:53 PM
Tujhe Kiya Gharaz
mujhe chore de mere haal per
tujhe kiya gharaz us karab se
meri jaa,n per jo guzarta hay
meri rooh mein jo uterta hay
har khawab jis mein sisakta hay
mera chehra jis mein bikherta hay
mera saans jis mein ukherta hay
tujhe kiya gharaz us karab se...!!!

Asif
02-14-2007, 10:53 PM
Mubarak Tujhay Teri Saalgirah Ho
Anay Wala Her Saal Khushion Say Bhara Ho
Tere Ird Gird Baharon Ka Raks Ho
Aaina Teri Khoobsurti Ka Aks Ho
Manzilain Khud Tere Qadmon Main Aain
Haseen Parriaan Tere Sapno Main Aain
Tujhay Kabhi Koi Na Museebat Milay
Milay To Her Lamha Achi Kismat Milay
Sub Log Tere Gun Ganain Lagain
Tu Ghar Sub Kay Dilon Main Bananay Lagay
Bulandiaan Teri Qadam Choomain
Mussarratain Tere Chaar Soo Ghoomain
Teri Puri Her Koi Khwaish Ho
Jannat Teri Uglee Rihaaish Ho
Mubarak Tujhay Teri Saalgirah Ho
Aanay Wala Her Saal Khushion Say Bhara Ho

Asif
02-14-2007, 10:54 PM
Ham Ney To Khear Tujh Sey Shikayat Kabhi Na Ki
Aesa Nahin Key Dil Ney Bagawat Kabhi Na Ki
Kis Hal Mein Hain Tery Satay Hovy Gareib
Tou Ney To Ye Pouchny Ki Zhmat Kabhi Na Ki
Mhsoos Kiya Kary Ga Woh Auroon Key Dard Ko
JIs Ney Aapny Aap Sey Aulfat Kabhi Na Ki
Har Dastan Teri Bouhat Goor Sey Suni
Lekin Bayan Aapni Hikayat Kabhi Na Ki
Chaha Hai Mein Ney Jis Ko Bari Shiddatoon Key Sath
us Tarhan Aus Ney Mujh Sey Mohabbat Kabhi Na Ki
Aik Aag Thi Key Jalty Rahy Jis Mein Omer Bhar
Aik Dard Tha Key JIs Mein Khayanat Kabhi Na Ki!!!

Asif
02-14-2007, 10:58 PM
Mhsoos Kiya Kary Ga Woh Auroon Key Dard Ko
JIs Ney Aapny Aap Sey Aulfat Kabhi Na Ki
nice sharing GUL-E-LALA
also bohat khoob poems jia & nikss

utariin ajiib roshaniyaan raat Khvaab mein
kyaa kyaa na aks tair rahe the saraab mein


kab se hain ek harf pe nazaren jamiin huiin
vo parh rahaa huun jo nahiin likkhaa kitaab mein


phir tiragii ke Khvaab se chaunkaa hai raastaa
phir raushanii-sii daur gaii hai sahaab mein


paanii nahiin ki apane hii chehare ko dekh luun
manzar zamiin ke Dhuundhataa huuN maahataab mein


kab tak rahegaa ruuh pe pairaahan-e-badan
kab tak havaa asiir rahegii hubaab mein


jiine ke saath maut kaa Dar hai lagaa huaa
Khushkii dikhaaii dii hai samandar ko Khvaab mein


ek yaad hai ki chhiin rahii hai labon se jaam
ek aks hai ki kaanp rahaa hai sharaab mein

Asif
02-14-2007, 10:58 PM
Teray faraq kay lamhay shumaar kartay howay
Bikhar ** hain tera intazaar kartay howay

Tou main bhi khush hoon koi us say ja kar kah day
Ager wo khush hay mujhay bey qaraar kartay howay

Main muskurata howa aainay main ubhroon ga
Woh ro paray ge achanak singhar kartay howay

Tujhay khaber he nahi koe toot gia hay
Mohabbatoon ko bohat paedaar kartay howay

Woh kah rahe the sumander nahi hai aankhoon main
Main un main doob gia ahtabaar kartay howay

Mujhay khaber thi kah ab loot kar na aaonga
Tuj ko yaad kia dard paar kartay howay

Asif
02-14-2007, 10:59 PM
Dil ye kehta hai zabt Lazim hai
HIJAR k din ki dhoop dhalny tak

Aitraf-e-shikast kia krna
Fesly ki ghari badalny tak

Ab chiragan karen ham ashkon se
ya manazir bujhy bujhy dekhen

ik traf too hai, ik taraf dil hai
dil ki manen k ab tujhy dekhen

tuj ko paya to chak sii lein ge
gham bhi amrit smajh k pii lein ge

Werna Yun hai k Daman-e-dill main
Chand sansen hain gin k jii lein ge

Asif
02-14-2007, 10:59 PM
pareshaa.N raat saarii hai sitaaro.n tum to so jaao
sukuut-e-marg taarii hai sitaaro.n tum to so jaao


ha.Nso.n aur ha.Nsate-ha.Nsate Duubate jaao Khalaao.n me.n
hame.n ye raat bhaarii hai sitaaro.n tum to so jaao


tumhe.n kyaa aaj bhii koii agar milane nahii.n aayaa
ye baazii ham ne haarii hai sitaaro.n tum to so jaao


kahe jaate ho ro-roke hamaaraa haal duniyaa se
ye kaisii raazadaarii hai sitaaro.n tum to so jaa


hame.n to aaj kii shab pau phaTe tak jaaganaa hogaa
yahii qismat hamaarii hai sitaaro.n tum to so jaao


hame.n bhii nii.nd aa jaayegii ham bhii so hii jaaye.nge
abhii kuchh beqaraarii hai sitaaro.n tum to so jaao

Asif
02-14-2007, 10:59 PM
KABHI DUKH KI ANCH KISI PAY NA ANAY DAINA
AYA HAY MEHMAN KOI TO NA JANAY DAINA

HER GHARI KHUD SAY ULHUJ JATA HOON MAIN
AGAR KOI MANAI TO MANANAY DAINA

MAY JO AKSAR TANHAI MAY RO PERTA HOON
QISA E GHUM SUNAOON TO SUNANAY DAINA

US NAY BHAIJA HAY YE PEGHAM BAZOOR
HAWA ZULF TUMHARI LEHRAIY TO LEHRANAY DAINA

HER BAT KA MUTLAB GALAT NA NIKALA KARO
JUB MAY SAMJHAOON TO SUMJHANAY DAINA

Asif
02-14-2007, 11:00 PM
Usay anjan raston se guzar jane ki khwahish thi
Mohabbat mein amar ho jane mar jane ki khwahish thi
Wo kehta tha jeewaan teeragi hai
Aur hamein is teergi mein rung bharne hain roshni ke
Aur ye humko mukhtasir se chund lamhe jo mayasser hain
Ye lamhe hamein mohabbat se abad karne hain,
Kisi ko door se dekhna hai aur kisi se baat karni hai
Jahan ye din guzar jain waheen pe rat karni hai
Wo kehta tha mohabbat ka koi mausam nahi hota
Ye har mausam ka jazba hai jo kabhi kum nahi hota
Mohabbat ko naye dhub se basar karne ki khwahish
usay shab bhar jagati hai
Najane kaunsi chahat usay har pal rulati hai
Shanasa tha par har aik se bahut anjan rehta tha
Bahut abaad tha lekin bahut weeran rehta tha
Usay har shakhs ko hairan kar jane ki khwahish thi
Mohabbt mein amar hojane mar jane ki khwahish thi.

Asif
02-14-2007, 11:00 PM
yaaro kisii qaatil se kabhii pyaar na maa.Ngo
apane hii gale ke liye talavaar na maa.Ngo

gir jaaoge tum apane masiihaa kii nazar se
mar kar bhii ilaaj-e-dil-e-biimaar na maa.Ngo

khul jaayegaa is tarah nigaaho.n kaa bharam bii
kaa.NTo.n se kabhii phuul kii mahakaar na maa.Ngo

sach baat pe milataa hai sadaa zahar kaa pyaalaa
jiinaa hai to phir jiine ke izahaar na maa.Ngo

us chiiz kaa kyaa zikr jo mumkin hii nahii.n hai
seharaa me.n kabhii saayaa-e-diivaar naa maa.Ngo

Asif
02-14-2007, 11:01 PM
jab sawan main tanha bheego **
jab angan khalee pao **

jab sahil say takrati lehroun mein
apni tanhae mein kho jao **

jab raat kay tanha daman main
tum chaand ko adha pao **

jab khud say batain kertay kertay
tum door kahein kho jao **

jab dil ki baat chupanay ko
ham say nazar tum churao **

main tum say mohabat karta hoon
har baar yeh sunna chaho **

in sab lamhoun mein jaan lena kay
tum tum nahi "HUM" ban jao **...

tab shayad lamhay na smit payain
tab shayad na moasam ruk payain

tum yahi soachtay reh jao **...
tum tum nahi "HUM" ban jao **...

Asif
02-14-2007, 11:01 PM
Buhut mumkin hay sehra maiN abhi kuchh phool khhilnay hooN
buhut mumkin hay aaNkhhoN ko abhi kuchh khuwab bannay hooN
buhut mumkin hay darwazay pay dastak day abhi soraj
buhut mumkin hay keh shab ka andhera khatam hojaey
buhut mumkin hay achhay din hamari raah taktay hooN
buhut mumkin hay rahooN maiN kai dalkash nazaray hooN
abhi shayad khizaaN rut par baharaiN chhanay wali hooN
ghhataooN nay dilooN ki khhetiyooN par phir barasna hoo
buhut mumkin hay darya ko dubara rukh badalna hoo
abhi behkay hoey qadmooN ko dubara saNbhalna hoo
abhi ham nay chhupi khushyooN ka aik aik raaz pana hoo
abhi kuchh der ruk jao abhi us din ko aana hay~!!

Asif
02-14-2007, 11:01 PM
tera mera rishta kuch aisa uljha hay
is ko suljhatay suljhatay ...
apnay dil ki poren
zakhmi kar betha hoon ...

rishta shayed suljh na paaye ..
lekin ....
is ko suljhanay ki dhun main janaa'n ...
saaray khuwab bhula betha hoon ...
apna aap ga'nwa betha hoon !

Asif
02-14-2007, 11:01 PM
Yoon be sabab kisi ko rulaya naheen kartey
Ho jayey muhabbat to chupaya naheen kartey

Jab rabt-e-musalsal ho toa aye jaan-e-tamanna
Yaklakht saray rabitay tora naheen kartey

Jin say ho zindagi main baharain mairay aziz
Aisay haseen lamhay bhulaya naheen kartay

Lay ja ke apnay saath muhabbat ke safar main
Tanha kisi ko chorh key aaya naheen kartay

Jo ahl-e-farasat hoan woh nafrat kay bhanwar main
Yoon naaw muhabbat ki daboya naheen kartay

Jin ko ho apni ghairat-o-zarf-o-anaa ka paas
Woh cheer kay dil apna dikhaya naheen kartay

Hoan jis kay muqaddar main zamanay kay masaaib
Kia lab pay tabassam woh sajaya naheen kartay?

Ikhlas parakhtay hain samajhtay hain takalluf
Ham yoonhi kabhi haath milaya naheen kartay

Hangama-e-jeewan main bapa kar kay qayamat
Betaab kar kay chupkay sey jaya naheen kartay

Roothay jo aur, tairay mananey say SANOBER
Ham aisay khafaa dost manaya naheen kartay~!!

Asif
02-14-2007, 11:02 PM
aao koi baat karen
aankh ki seep main jo band hey
us khawab ki baat
hijr ke khuf se sehmi hey jo
us raat ki baat
lab pe aa ke jo ruk jati hey
us baat ki baat
aao koi baat karen
is se pehlay ke ghuttan barh jaye
hont khamosh rahen aur
thakan barh jaye
lamha-e-iqrar guzar jaye
harf mar jayen
kiun zamaney se daren
aao koi baat Karen

Asif
02-14-2007, 11:02 PM
Humaari nazar bohat kuch keh deti hai
Kabhi hamein nazaron se samjh kar to dekho
Humse dosti ka rishta hai tumhara
Kabhi hum say dil laga kar to dekho

Har mushkil rah be aasaan ho jaayegi bus
Hum par ik baar aitbaar kar ke to dekho
Hum tumhein zindagi mein har khushi denge
Bus ek baar humse pyaar kar ke to dekho

Asif
02-14-2007, 11:23 PM
Dil ye kehta hai zabt Lazim hai
HIJAR k din ki dhoop dhalny tak

Aitraf-e-shikast kia krna
Fesly ki ghari badalny tak

Ab chiragan karen ham ashkon se
ya manazir bujhy bujhy dekhen

ik traf too hai, ik taraf dil hai
dil ki manen k ab tujhy dekhen

tuj ko paya to chak sii lein ge
gham bhi amrit smajh k pii lein ge

Werna Yun hai k Daman-e-dill main
Chand sansen hain gin k jii lein ge

Asif
02-14-2007, 11:24 PM
pareshaa.N raat saarii hai sitaaro.n tum to so jaao
sukuut-e-marg taarii hai sitaaro.n tum to so jaao


ha.Nso.n aur ha.Nsate-ha.Nsate Duubate jaao Khalaao.n me.n
hame.n ye raat bhaarii hai sitaaro.n tum to so jaao


tumhe.n kyaa aaj bhii koii agar milane nahii.n aayaa
ye baazii ham ne haarii hai sitaaro.n tum to so jaao


kahe jaate ho ro-roke hamaaraa haal duniyaa se
ye kaisii raazadaarii hai sitaaro.n tum to so jaa


hame.n to aaj kii shab pau phaTe tak jaaganaa hogaa
yahii qismat hamaarii hai sitaaro.n tum to so jaao


hame.n bhii nii.nd aa jaayegii ham bhii so hii jaaye.nge
abhii kuchh beqaraarii hai sitaaro.n tum to so jaao

Asif
02-14-2007, 11:24 PM
KABHI DUKH KI ANCH KISI PAY NA ANAY DAINA
AYA HAY MEHMAN KOI TO NA JANAY DAINA

HER GHARI KHUD SAY ULHUJ JATA HOON MAIN
AGAR KOI MANAI TO MANANAY DAINA

MAY JO AKSAR TANHAI MAY RO PERTA HOON
QISA E GHUM SUNAOON TO SUNANAY DAINA

US NAY BHAIJA HAY YE PEGHAM BAZOOR
HAWA ZULF TUMHARI LEHRAIY TO LEHRANAY DAINA

HER BAT KA MUTLAB GALAT NA NIKALA KARO
JUB MAY SAMJHAOON TO SUMJHANAY DAINA

Asif
02-14-2007, 11:24 PM
Usay anjan raston se guzar jane ki khwahish thi
Mohabbat mein amar ho jane mar jane ki khwahish thi
Wo kehta tha jeewaan teeragi hai
Aur hamein is teergi mein rung bharne hain roshni ke
Aur ye humko mukhtasir se chund lamhe jo mayasser hain
Ye lamhe hamein mohabbat se abad karne hain,
Kisi ko door se dekhna hai aur kisi se baat karni hai
Jahan ye din guzar jain waheen pe rat karni hai
Wo kehta tha mohabbat ka koi mausam nahi hota
Ye har mausam ka jazba hai jo kabhi kum nahi hota
Mohabbat ko naye dhub se basar karne ki khwahish
usay shab bhar jagati hai
Najane kaunsi chahat usay har pal rulati hai
Shanasa tha par har aik se bahut anjan rehta tha
Bahut abaad tha lekin bahut weeran rehta tha
Usay har shakhs ko hairan kar jane ki khwahish thi
Mohabbt mein amar hojane mar jane ki khwahish thi.

Asif
02-14-2007, 11:24 PM
yaaro kisii qaatil se kabhii pyaar na maa.Ngo
apane hii gale ke liye talavaar na maa.Ngo

gir jaaoge tum apane masiihaa kii nazar se
mar kar bhii ilaaj-e-dil-e-biimaar na maa.Ngo

khul jaayegaa is tarah nigaaho.n kaa bharam bii
kaa.NTo.n se kabhii phuul kii mahakaar na maa.Ngo

sach baat pe milataa hai sadaa zahar kaa pyaalaa
jiinaa hai to phir jiine ke izahaar na maa.Ngo

us chiiz kaa kyaa zikr jo mumkin hii nahii.n hai
seharaa me.n kabhii saayaa-e-diivaar naa maa.Ngo

Asif
02-14-2007, 11:25 PM
jab sawan main tanha bheego **
jab angan khalee pao **

jab sahil say takrati lehroun mein
apni tanhae mein kho jao **

jab raat kay tanha daman main
tum chaand ko adha pao **

jab khud say batain kertay kertay
tum door kahein kho jao **

jab dil ki baat chupanay ko
ham say nazar tum churao **

main tum say mohabat karta hoon
har baar yeh sunna chaho **

in sab lamhoun mein jaan lena kay
tum tum nahi "HUM" ban jao **...

tab shayad lamhay na smit payain
tab shayad na moasam ruk payain

tum yahi soachtay reh jao **...
tum tum nahi "HUM" ban jao **...

Asif
02-14-2007, 11:25 PM
Buhut mumkin hay sehra maiN abhi kuchh phool khhilnay hooN
buhut mumkin hay aaNkhhoN ko abhi kuchh khuwab bannay hooN
buhut mumkin hay darwazay pay dastak day abhi soraj
buhut mumkin hay keh shab ka andhera khatam hojaey
buhut mumkin hay achhay din hamari raah taktay hooN
buhut mumkin hay rahooN maiN kai dalkash nazaray hooN
abhi shayad khizaaN rut par baharaiN chhanay wali hooN
ghhataooN nay dilooN ki khhetiyooN par phir barasna hoo
buhut mumkin hay darya ko dubara rukh badalna hoo
abhi behkay hoey qadmooN ko dubara saNbhalna hoo
abhi ham nay chhupi khushyooN ka aik aik raaz pana hoo
abhi kuchh der ruk jao abhi us din ko aana hay~!!

Asif
02-14-2007, 11:26 PM
tera mera rishta kuch aisa uljha hay
is ko suljhatay suljhatay ...
apnay dil ki poren
zakhmi kar betha hoon ...

rishta shayed suljh na paaye ..
lekin ....
is ko suljhanay ki dhun main janaa'n ...
saaray khuwab bhula betha hoon ...
apna aap ga'nwa betha hoon !

Asif
02-14-2007, 11:26 PM
Yoon be sabab kisi ko rulaya naheen kartey
Ho jayey muhabbat to chupaya naheen kartey

Jab rabt-e-musalsal ho toa aye jaan-e-tamanna
Yaklakht saray rabitay tora naheen kartey

Jin say ho zindagi main baharain mairay aziz
Aisay haseen lamhay bhulaya naheen kartay

Lay ja ke apnay saath muhabbat ke safar main
Tanha kisi ko chorh key aaya naheen kartay

Jo ahl-e-farasat hoan woh nafrat kay bhanwar main
Yoon naaw muhabbat ki daboya naheen kartay

Jin ko ho apni ghairat-o-zarf-o-anaa ka paas
Woh cheer kay dil apna dikhaya naheen kartay

Hoan jis kay muqaddar main zamanay kay masaaib
Kia lab pay tabassam woh sajaya naheen kartay?

Ikhlas parakhtay hain samajhtay hain takalluf
Ham yoonhi kabhi haath milaya naheen kartay

Hangama-e-jeewan main bapa kar kay qayamat
Betaab kar kay chupkay sey jaya naheen kartay

Roothay jo aur, tairay mananey say SANOBER
Ham aisay khafaa dost manaya naheen kartay~!!

Asif
02-14-2007, 11:26 PM
aao koi baat karen
aankh ki seep main jo band hey
us khawab ki baat
hijr ke khuf se sehmi hey jo
us raat ki baat
lab pe aa ke jo ruk jati hey
us baat ki baat
aao koi baat karen
is se pehlay ke ghuttan barh jaye
hont khamosh rahen aur
thakan barh jaye
lamha-e-iqrar guzar jaye
harf mar jayen
kiun zamaney se daren
aao koi baat Karen

Asif
02-14-2007, 11:26 PM
Humaari nazar bohat kuch keh deti hai
Kabhi hamein nazaron se samjh kar to dekho
Humse dosti ka rishta hai tumhara
Kabhi hum say dil laga kar to dekho

Har mushkil rah be aasaan ho jaayegi bus
Hum par ik baar aitbaar kar ke to dekho
Hum tumhein zindagi mein har khushi denge
Bus ek baar humse pyaar kar ke to dekho