View Full Version : Kuch Nazmein
Apnay sard kamray main
Main udaas bethi hon
Neem wa dereechon se
Num hawayen atee hain
Meray jism ko choo ker
Aag se lagatee hain
Tera naam lay lay ker
Mujh ko gudgudatee hain
Kaash meray per hotay
Tera pas main urh k ate
Kash main hawa hote
Tujh ko cho keh laut jati
Main nahi magar kuch bhi
Sung dil rawajon k
Ahne hasaron main
Umer qaid ki mulzim
Sirf aik larki hon!
main arey trichey khayal sochoon
koi hai irada kitab likhoon
koi shanasa ghazal tarashoon
koi ajnabi intesab likhoon
ganwa doon ik umer kai zamaney
k aik pal ka hisab likhoon
mire ta'biat per munhasir hai
main jis tarah ka nisab likhoon
ye merai apne mizaj per hai
azab sochoon,sawab likhoon
taweel ter hai safar tumhain kia
magar main ji raha hoon tumhain kia
mire irade ganea chuke ho
jala k sare huroof apne
mire dua'n bhuja chukey ho
main rat o'roon k subha pahnoon
tum apni rasmain utha chuke ho
suna hai sab kuch bhula chukey ho
to phir merai dil pe jabar kaisa
ye dil to had se guzar chuka hai
guzar chuka hai magar tumhain kia
khizan ka maosam thehar chuka hai
thehar chuka hai magar tumhain kia
magar tumhain kia k is khizan main
main jis tarah k bhi khawab likhoon
WAAPSI
us nay kaha
sun ahad nibhanay ki khatir mat aana
ahad nibhanay walay aksar
majboori ya mehjoori ki thekan se lota kertay hain
tum jao
aur darya darya peyaas bujhao
jin aankhon mein doobo
jis dil mein bhi utro
meri jelan awaz na de gi
lakin jab meri chahat
aur meri khawahish ki lo
itni taiz aur itni unchi ho jay
jab dil ro de
tab lot aana.
wo chand say chehray wali ladki
ik din ham say pooch rahi thi
kal shab tum nay chand ko daikha....?
kitna sundar roop tha uska
sonay jesa
bikul aadha
phir dheeray dheeray zard hoa wo
SHAM kyoon kar sard hoa wo....?
wo ladki kachi ladki hy
us ladki say ab kasay kahain ham
yeh batain chand sitaroon ki
yeh batain phool baharoon ki
ye batain jhooti batain hain
ye batain kab k **** chukay ham
wo pagal aankhoon wali ladki
kia janay....?
yah aadhay chehray walay log
aksar dhoka day jatay hain!!!!!!!!
Koi to Hota
Main jis kay dil ki kitab banta
Main jis ki chahat ka khawab banta
Main hijar mosam ki lambi raaton main yaad
Ban kar azaab banta
Koi to hota?
Jo meri khwaish main uth kar raaton ko khoob rota
Dukhon ki chadar lapait kar hajoom duniya say door hota
Main rooth jaata manata mujh ko kay chahe mera kasoor hota
Koi to hota?
Jo mujh ko dil ka karar kehta
Ragoo ka apni fishar kehta
Udaas mosam main tazgi ki biyar ban kar
Jo meri bahoon ko arzoo ka diyar kehta
Koi to hota?
Dua say apni jo dukh bhi meray samait leta
Woh iss jahan say ghamon ka meray hisab leta
Woh sari duniya ki rafaqaton kay tamam rishtay
Koi to hota?
Main jis kay itna kareeb hota
Na paas koi rakeeb hota
Main tanha uss ka habbib hota
Yeh silsila bhi ajeeb hota
Koi to hota? KÄħH
Koi to hota?
Hum kya kartay kis raah chaltay
har raah main kantay bikhray thay
unn rishtoon k jou chout gaye
unn sadyoon k yaranoon k
jou aik aik kar k toot gaye
jis raah chalay,jis simet gaye
yoon paoon laho luhaan huway
sub dhaikhnay walay khaitay thay
yeh reit kiasi rachai hay
yeh mahendi kyoon lagai hay
woh kahitay thay,kyoon qhait-e-wafa
ka na huq charcha kartay hou
paoon say laho kou dho dalo
yeh rahain jub utt jain gi
Sau rastay inn say phoutain gay
Tum dil kou sanbhalo jis main abhi
SAY TARAH K NASHTAR TOTAIN GAY
Hawa ja kar usay kahna
ju uss ne phool bahjay thay
inhi phoolooN se ab khushboo nahi aati
bus us ki yaad aati hai
isii ki yaad main ab hum
na jeety haiN na martey haiN
bus iss ki aag maiN har waqat jaltey hian
badan se jo lipat kar
rooh tak ko jalati hai
magar us ko khabar hai kia
jis ki yaad main
tanha sulagtey haiN
ye jo khud ko jalatey haiN
usay kia yaad atey haiN
bata kuch tu
hamein wo yaad kartey hain
ke jis ka naam hum aksar
sar-e-sahil likhtey haiN
jis k vasal ki khatiR
samandaR ki hawaoN ke sabhi dukh jhela kartey haiN
iss say kahna
hum uss ko yaad kartey haiN
ye ankheiN uss ki furqat maiN
hamin ab khon rulati haiN
stati haiN
hum us ki yaad se dil ko bohat abadd rakhtey haiN
hum us ke loat anaY ka
yaqeen rakhtey haiN
uss ko yaad kartey haiN
usay kahna !
hum uss se pyar kartey haiN
Us ne kahaa sun
Ahed nibhaane kii Khaatir mat aanaa
Ahed nibhaanewaale aksar majabuurii yaa
Mahajuurii kii thakan se lautaa karate hain
Tum jaao aur daryaa daryaa pyaas bujhaao
Jin aankhon mein Doobo
Jis dil mein bhii utaro
Merii talab aawaaz na degii
Lekin jab merii chaahat aur merii Khwaahish kii lau
Itanii teiz aur itanii uunchii ho jaaye
Jab dil roude
Tab laut aanaa
kahin ik masoom nazuk sii larki
bohat khubsoorat magar sanwali sii
mujhe apnay khawaboN ki baahoN mein paa kar
kabhi neend mein muskurati to ho ghi
ussi neend mein kasmasa kasmasa kar
sarhanay sey takiya girati to ho ghi
wohi khawab din ki mundairroN par aa kar
ussey man hi man lubhatay to hoN ghay
kai saaz seenay ko khamoshiyoN mein
meri yaad sey jhunjhunatay to hoN ghay
woh bey sakhta dheemay dheemay suroN mein
meri dhun mein kuch gungunati to ho ghi
chalo khat likhaiN jee mein aata to ho gha
magar ungaliyaN kapkapaati to hoN ghi
qalam haath sey chhoot jata to ho gha
umangaiN qalam phir uthati to hoN ghi
mera naam apni kitaboN par likh kar
woh daantoN mein ungali dabati to hi ghi
zuban sey kabhi uff nikalti to ho ghi
badan dheemay dheemay sulagta to ho gha
kahin k kahin pair parrtay to hoN ghay
zameen pay duppatta latakta to ho gha
kabhi subha ko shaam kehti to ho ghi
kabhi raat ko din batati to ho ghi
kahin ik masoom nazuk sii larki
bohat khubsoorat magar sanwali sii...!!!
aa jao...
k...
abhi hai waqt mutthi mein...!!!
tumhari khushbuayiN zinda hain
phooloN k badan mein
magar aisa naa ho k khushbuayiN bey cheharghi pehnaiN
kahin aisa naa ho k phool jal jayaiN
tumhara lams mar jaye
ghulaboN k badan mein zang lag jaye
kahin aisa naa ho jaanaN!
tumharay aur meray darmiyaN bhi deewar ug aaye
abhi to aankhoN ki mishal mein rasta dikhaaii deyta hai
abhi to aaina chehra dikhata hai
abhi hai waqt mutthi mein...
abhi hai waqt mutthi mein...aa jao...!!!
Jis Din Se Tum Ko Dekha Hai
Main Aksar Socha Karta Hoon
Tum Kesi Ho Tum Kesi Ho
Tum Phool Ho Ya Qos -O- Qazah
Tum Chaand Sitaron Jesi Ho
Tum Ujli Dhoop Ho Sarma Ki
Ya Rim Jhim Ka Mausam Ho
Tum Kesi Ho Tum Kesi Ho
Kal Raat Main Bilkul Tanha Tha
Kal Raat Yeh Mujh Per Bhaid Khula
Main Jaan Gya Main Maan Gya
Tum Kesi Ho Tum Kesi Ho
Tum Mere Dil Main Rehti Ho
Tum Bilkullllll Mere Jesi Ho...
Hum bhi akelay thay Kabhi hum bhi akelay thay
akela dakh kay tum ko humain ahsas hota hai
kabhi hum bhi akelay thay
kabhi hum bhi akelay thay
agarchay shaher main dil k liye lakhon jhamelay thay
hazaroon rang malay thay
magar itni bohat si rounaqon main hum akelay thay
phir ik din hum nay tunhaiyoon say dosti karli
akelay rahnay ka kareena agaya hum ko
magar phir bhi kabhi tanha nazar ata hai jab koi
phir yeh ehsas hota hai
kabhi hum bhi akele thay
MeiN tumeiN yaad bhii aaya keh naheiN
shehar sey door safar kartey hoey
rah chaltey ya kaheeN beth key sastaatey hoey
aatey jaatey hoey, bey wajah kaheiN ruktey hoey
seeRiiyaan chaRtey hoey, zulf ko suljhaatey hoey
ghar mein aaey kissi mehmaaN ki tawaazoh kartey
chaaey deytey hoey, haathoN sey piyaalii girtey
meiN tumheiN yaad bhii aaya keh naheiN
ghoomtey phirtey hoey, long driving kartey
chooRiiyaan leytey hoey, eid ki shopping kartey
ghar sey jaatey hoey ya shaam ko ghar aatey hoey
beykhiyaalii mein kissi khiyaal mein khho jaatey hoey
duniya daarii sey bohat duur nikal jaatey hoey
meiN tumheiN yaad bhii aaya keh naheiN
pichhley do chaar jo din guzrey heiN
kia kahooN kitney kaThin guzrey heiN
intezaar itna kiya hai keh saddii ho jaisey
beybasii apney moqadar mein likhhii ho jaisey…
Bohot kuch badal jata hai
Tere aane ke baad,
Bohot kuch bichar jata hai
Tere jaane ke baad,
Wo samandar ki leherey,
Wo rait ke mehal,
Bohot kuch beh jata hai
Saahil se takra jaane ke baad,
Wo baarish ke moti,
Wo taaro ki khuwahish,
Bohot kuch bikhar jata hai
Khuwaab toot jaane ke baad,
Wo teri parchaiyon se takrana,
Wo saayon ka lehrana
Bohot kuch mit jata hai andhera chhaa jaane ke baad
Wo aa kar apni Mohabbat jatata hay
Apnay banaye sanchon main
Mujhe ko dhaalna chahta hay
Kabhi Pyar karta hay
Kabhi rooth jaata hay
Apni hi sunta hay
Apni hi sunata hay
Meray ang ang main
Apna akas dekhna chahta hay
Main Moam ki Gurya to nahin
K wo is tarhan mujhe per apna Haq Jatata hay.....????
Ek beqarari main doob ker
Ek masti main jhoom ker
Mohabbat ne apna Izhaar chaha!
Zindgi main pehli baar
Dil ne kisi ko Dil say chaha!
Khuwaab bane Aarzoo ki tarhan
Umeed bani Zindgi ki tarhan
Her Ehsaas ne Iqraar chaha!
Zindgi main pehli baar
Dil ne kisi ko Dil se chaha!
Atebaar ka haath thaam ker
Yaadon ko hamraah le ker
Is Masoom ne be-ikhtiyaar chaha!
Zindgi main pehli baar
Dil ne kisi ko Dil se chaha!
Ek khoobsurat Etminaan ki tarhan
Tum hue hamari DUA ki tarhan
Hum ne tumhain Toot ker chaha!
Zindgi main pehli baar
Dil ne kisi ko Dil se chaha!
Wafa jab maslehat ki shaal orhay
Sard rut ka roop dhary
Dil k anghan main utharti hai tu
palkoon pay sitaroon ki dhanak lahrany lagti hai
Kisi k sang bitay unn gint lamhoon ki yaadayn
Achank zehan main jab jhilmilatin hain
Nafas k taar main sanata yakdam cheekh uthta hai
Hawaayn aak sargoshe see krti hai
Mohabbat ka tumhayn adrak ab tu ho gaya ho ga?
Yhe jo bhi zakham dayti hai kabhi bharny nahi dayti
Mohabbat roth jay tu.....
Kabhi jeeny nahi dayti
AB AGAR AAO TO...
Ab Agar Aao To Janay Ke Liye Mat Aana
Sirf Ehsaan Jatane Ke Liye Mat Aana
Maine Palko Pe Tamannaye Saja Rakhe Hai
Dil Mai Umeed Ki Soo Shama Jala Rakhi Hai
Yeh Hasi Bujhane Ke Liye Mat Aana
Pyar Ki Aag Me zanjeer Pighal Sakti Hai
Chahne Walo Ki Takdeer Badal Sakti Hai
Tum Ho Bebas Yah Batane Ke Liye Mat Aana
Ab Tum Aana Jo Tumhe Mujhse Mohabat Hai Koi
Mujhse Milne Ki Aagar Tumko Bhi Chahat Hai Koi
Tum Koi Rasam Nibhane Ke Liye Mat Aana?.
Kiyun banatey hoo aisi tasveerein tum
jin mein tum rang nahi bhar saktey
Kiyun dekhtey hoo woh sapney tum
Jin ki taabeer tumharey bass mein nahi
Kiyun bhagtey hoo sarrab key peechey
Key tumhein pata hai kuch nahi milney wala
Kiyun banatey hoo woh mehal tum
Jo tumharii kismat mein hi nahi likha huwa
Khuda ra ! Laut Aaooo
Naa chunnoo aisi rahein tum
Kuch nahi milta in rahoon mein
Bass chaltey hi jana hai
paoon mein chaley parr jatey hain
Zindagi ajnabi ho jatii hai
Waqt bewafa ho jata hai
Dil khoon key Aansoo rulata hai
Apney beganey ho jatey hain
Rishtey parayeey ho jatey hain
Sab kuch *****t jata hai
Bass reh jati hai tanhaii
Be kinar jazbon ko kab kinar milta hai
be qarar sochon ko kab qarar milta hai
be diyar logon ko kab diyar milta hai
aj kis liey tum ne yeh sawal pochey hain
aik pal ko so****o
be khaber parindon ko
kab hawayin deti hain
khushboon ka sandesa
ajnabi jazeeron ka kab pata batati hain
un ko un ke honey ka kab yaqeen dilati hain
tum ne jo bhi pocha hai
hum jawab dene ka
hoosla ager rakhtey
muztarib hi kiyun hotey
Hum Bhi Uss Waqat Mein Jeetey Hain Jahan
Titliyaan Khawab Hain Aur Phool Bareeda Sar Hain
Sheher Hum Ko Bhi Muqqader Mein Milla Hai Jis Mein
Dharkanein Gumm Hain Aur Shor Se Hoo Ka Aalam
Hum Bhi Us Ghar Ke Makeen Hain Ke Jahan
Waqat Ke Kaat-Tey Bujh Jaati Hai Is Umer Ki Lo
Ek Be-Masruf- o- Be-Naam Irradey Ki Tarha
Hum Bhi Auroon Ki Tarha Hain Ke Hummein
Dukh Chhupana Bhi Hai Hussna Sar-e-Baazaar Bhi Hai
Hum Pe Bhi Ehd-e- Javaani Ka Azaab Utra Hai
Hum Ne Bhi Dour Kisi Sheher Mein
Bastey Hovey Hustey Hovey
Ek Shakhas KO Chaha Hai Bohut
Dharkanein Aankh Ka Aanso Tu Nahi Hain Lakin
Hum Ne Gin Gin Ke Ganvaai Hain Kisi Shakhas Ke Naam
Ye Irradey Hi Tu Hain Jis Ne Hummein
Kissi Gum Ko Gam-e-Janan Sa Bana Rakha Hai
Umer Jis Mein Na Koi Aas, Na Aansoo, Na Hassi
Hum Ne Us Umer Ko Afsanaa Bana Rakha Hai
Agr ho sakey to jaa k , koi haal us say keh day
meray kat rahey hein kesay... mah-o-saal us say keh day ...
Wo jo Bakht main likha tha meray dard... mil gaya hay
Na gila karon ga koi... na malaal us say keh day ...
Wo jo rah main shajer tha, wo bohat badal gaya hay...
Na wo Aashiyaa'n kahen hay ...na wo daal , us say keh day ...!!
Raat ka galiban ,aakhiri pehar tha ...
mujh say tanha sitara yoon gooya hoa
Hamnasheen ... Alwida !!
aey meray hamnasheen . .mujh ko nend aa gai
tum bhi so jaao ja ker kahen
kal milen gay yahen..!!
ye sun kar main halka sa muska dia
us ko batla dia
janay walay yahan lout'tay he nahi
tum na ao gay kal
mujh ko hay ye yaqeen
baat sun kar meri
wo ruk sa gia ...
or kehnay laga ..
*Tum Say Wadah Karon ,
Phir Na Pora Karon ?
Aisa Mumkin Nahi ...
Sun meray Hamnashen ...main to insaa'n nahi
Ab Agar Aao To Jaane ke Liye Mat Aana
Sirf Ahsaan Jataane ke Liye Mat Mana
Maine Palkon Pe Tamannaen Saja Rakhi Hain
Dil Par Umeed ki 100 Rasmen Jala Rakhi Hain
Ye Hanseen Shamen Bujhaane ke Liye Mat Aana
Pyar ki Aag Main Zanjeer Pighal Sakti Hai
Chahne Walon ki Takdeer Badal Sakti Hai
Hoon Bebas Ye Batane ke Liye Mat Aana
Mujhse Milne ki Agar Tumko Nahi Chahat koi
Tum Sirf Rasmen Nibhane ke Liye Mat Aana
Aapse kitni Umeeden thi
Bhoolne waale se koyi keh de zara
is tarah yaad aane se kya faaida,
Jab mere dil ki duniya basaati nahin
phir khayaalon mein aane se kya faaida
Kya kahoon aapse kitni umeeden thi
Aap kya badle duniya badal si gayi,
Aasra de ke dil tod te hain mera
Is tarah sataane se kya faaida,
Chaar tinke jala ke kya mil gaya
Mit sakana zamane se mera nishaan,
Mujhpe bijli girao to jaanu sahi
Aashiaan par girane se kya faaida
Mujhey lagta hai aisa kabhi kabhi
Jaisy woh ajnabi larki
Mujh sey pyar karti hai
Mujhey chahti hai
Akser yunhi chup chup ker
Dekhti hai, janey kiya sooch ker
Nazrein chura jati hai
Kuch ghabra si jati hai
Apney aanchal ko hawaoon k zoor
per lehrati hai
Mehsoos mujhey yeh hota hai k
Shayad mujhey woh bohat chahti hai
Mujhey aisa ehsas dilati hai jesay
Woh mujh sey kuch kehna chahti hai
Meray pochnay per kuch sharma si jati hai
Kuch ghabra si jati hai
Suniyey" keh kar bhaag jati hai
Ajnabi larki shayad pyaar karti hai MIR sey
Aesa mehsoos hota hai janey kiyon mujhey
Dil bhi kitna pagal hai
Kiya kiya sochta rehta hai
Kuch masoom sey jazbey hain
Kuch undekhey sapney hain
Mager woh nahin janti .!!!
Meri Zindagi Hai Wo
Abi kuch nehi badla
Darakhtoon pe wohi mosam
abi tak muskuratey hain
Abi tak surmaii shamain
humarey sath roti hain
Abi tak mere hontoon pe
Tumharey Ehmarii hontoon ki
Khushbu raqass karti hae
abi tak meri aankhoon mein
Tumharey khab bastey hain
Abi tak mere hathoon pe
tumhari naram ungliyuon k
naram poroon se likhey sab haraf baqi hain
Abi tak mere seney mein tumhari saanas chalti hae
Abi toh rastoon par
dhudhyaa pehroon se parney waley sarey naqsh qayam hain
Abi almariyoon mein sarey tohfey ghungunatey hain
Tumharey khat abi bi raat ki tanhaai mein
Mujh se baatian kartey hain
Bohat se saal guzrey hain
Bohat sa wqat bita hae
Meri chahat nehi beeti
meri himat nehi guzrii
abi bi kuch nehi badlaa
Abi bi kuch nehi badla
Agar chahoo
Agar samjhoo
Meri maanoo toh
Loot aao
Abi kuch nehi badla
Bahar aaie hay mujh say kehnay
ke bhar lay muthhi mein saari khushboo
yehi tau lamha hay tera lamha
jo tu nay iss ko ganwa diya tau
kharri rahay gi hamesha tanha
ye kya zuroori hay
tu jo chaahay na paa sakay wo?
ye laazmi hay
ke naamuraadi teray liye ho?
kahaan likha hay
ke haar teray naseeb mein ho?
ke uss ki nazrein
teray hi undar na jhaank payein?
jo khauf khaaya
zara bhi socha
tau aaj kal mein badal na jaaey
jo dil ki dharrkan mein aa bassa hay
wo aks maazi mein kho na jaaey
ye ek lamhay ka faisla hay
na kal tera tha
na aanay wala tera hi hoga
teray liay tau hay bus ye lamha
iss ek lamhay mein chaahay gar tu
bahaar aanchal mein bhar lay apnay
ke phool apna libaas kar lay
ke titliyon ke saja lay gajray
faza mein shehnaa'i goonj ut-thay
magar tu lamhay ko qaid tau kar
ye darr jhatak sub
tu faisla kar!!
Aadmi, pair aur makan
Saaf neela aasmaan
Sangrezay aur Gulab
Sab k sab acchay lagay
Us k ghar jaatay hoye....!!!
Ye jhuki jhuki nazrain
ye ruka ruka sa lehja
woh lab pe baar baar aake
tootta howa fiqra
gurd me auti palkain
dhoop se tapa cherah
sar jhukai aaya hai
ik umer ka bhoola
dil hazaar kehta hai
haath thaam loon os ka
choom loon ye peshaani
lotne na doon tanha
koi dil se kehta hai
saare harf jhoote hain
aaitbaar mat karna
aaitbaar mat karna
Abhi wo dard baqi hai
Agarchay waqt marham hai
magar kuch waqta lagta hai
kisi ko bhol janay main
dobara dil basanay main
abhi kuch waqt lagna hai
abhi wo dard baqi hai
main kaisay naee ulfat main
apni zaat ko gum karlon
k mairay jism-o-wajdaan main
abhi wo fard baqi hai
abhi us shaks ki mujh per
nigha-e-sard baqi hai
abhi to ishq k rastoo ki
mujh per gard baqi hai
Abhi wo dard baqiiiiiii haiiiiiiiiii
Kare Jab Tazkara Koi
Kare Jab Tabsara Koi
Tumhari Zaat Ko Khoojay
Tumhari Baat Ko Soochay
Mujhay Acha Nahin Lagta
Suno Acha Nahin Lagta
Tumhari Muskurahat Per
Hazaroon Loag Martay Hoon
Tumhari Aik Aahat Par
Hazaroon Dil Dharaktay Hoon
Kise Ka Tum Pe Yuun Marna
Mujhay Acha Nahin Lagta
Suno Acha Nahin Lagta
Hawa Guzray Tumhain Choo Kar
Na Hoga Zabt Yeh Mujhse
Karey Gustakhi Tumse
Tumhari Zulfein Bikhar Jayen
Tumharay Lams Pe Jayen
Mujhay Acha Nahin Lagta
Suno Acha Nahin Lagta
Ke Tum Ko Phool Bhi Dekhain
Tumhare Paas Se Mehkein
Ya Chanda Ki Guzarish Hoo
Ke Apni Roshni Bakhshoon
Rukh-e-Jana Koi Dekhay
Mujhay Acha Nahin Lagta
lakh zabat khawaish k
beshumaar daway hon
uss ko bhool janay k
be-panah iraday hon
oor iss muhabbat ko tarak kar k jeenay ka
faisla sunanay ko
kitnay lafaz sochay hon
dil ko uss ki aahat par
barmala dharkanay se kon rook sakta hai
Bohot sooni padi thi dil ki mahfil ek muddat se
Mujhe viraniya ras AA gayee thi ek muddat se
Unhe dekha to phir se jagmagane ka man hai
Aaj phir gungunane ka man hai...!
Hamari simt maikhana chala aata hai apane aap
Bharam saki ka rakhna hai piyunga aaj apne aap
Kisi ki jheel si aankho me utar Jane ka man hai
Aaj phir gungunane ka man hai...!
Ham nahi rind Jo pyaloon me piya karte hai
Ham unhe Le ke khayalon me piya karte hai
Bin piye aaj phir se ladkhadane ka man hai
Aaj phir gungunane ka man hai...!
Fiza me aaj kisne fir se shehnayee bajayee hai
Hawa me khusboo leke kaun is firdosh aayee hai
Bina badal malhar gane ka man hai
Aaj phir gungunane ka man hai...!
Koi mazloom ro ro kar hame kyon yad karta hai
Hai dhadkan badh gayee phir kya koi fariyad karta hai
Kisi ke waste phir tadfadane ka man hai
Aaj phir gungunane ka man hai...!
Tapati dopahar me chhaon jaise tum chali aayee
Mere soye hue arman ki kaliyan chatak aayee
Kisi ki khatir mit Jane ka man hai
Aaj phir gungunane ka man hai...!
Kyon usay to nay bas ek Phool kaha hay mere dost
To nay shayed mere Mehboob ko dekha hi nahin
To jisay itni haseen cheez samjhta hay wo Phool
Sokh jaye to nigahon ko bura lagta hay
Phool ka apna koye rang koye roop nahin
Us k jooray main saja ho to bhala lagta hay
Mera mehboob to her waqt naya hay mere dost
To nay shayed mere Mehboob ko dekha hi nahin
Mere Mehbob ki aankhen hain wo gehri jheelen
Jin main khiltay hain mere wastay chahat k kanwal
Us ko dekhon to mujhe Shairi karni aa jaye
Aur man us k liyen gaon Mohabbat ki ghazal
Wo mere Dil k Dharknay ki sada hay mere dost
Mere Mehboob k jalwon ka nahin koye jawab
Dhop sa rang hay aur khud hay wo Chaon jaisa
Us ki Pazaib main Barsat ka mosam chankay
Sir per Resham ka Dupatta hay Ghataon jaisa
Wo jahan bhar k Haseenon say juda hay mere dost
To nay shayed mere Mehboob ko dekha hi nahin
chupke chupke jal jate hain
log mohabat karne wale!
purwa sang nikal jate hain
log mohabat karne wale!
ankhon ankhon chal parte hain taron ki qandil lye
chand k sath hi dhal jate hain
log mohabat karne wale!
dil main phool khila date hain
log mohabat karne wale!
aag main rag jaga date hain
log mohabat karne wale!
pani beech batasha surat khud to ghulte rehte hain
sim ko shaher bana date hain
log mohabat karne wale!
khawab khushi k bo jate hain
log mohabat karne wale!
zakham dilon k dho jate hain
log mohabat karne wale!
titly titly lehrate hain phoolon ki umeed lye
aik din khushboo ho jate hain
log mohabat karne wale!
ban jate hain naqsh wafa ka
log mohabat karne wale!
jhaonka bechain hawa ka
log mohabat karne wale!
jali hui dharti pe jaise badal ghir ain
basti par hain fazal khuda ka
log mohabat karne wale!
Tumhin Janaa Ijazat Hai....!!!
Keh In Tareek Rahoon Per
Thakan Si Khud Main Pao To...
Andheron sey Kabhi Dil Dol Jaey
Thak Say Jao To...!!!
Meray Jaltey Hoey Lamhon
Meray Kangaal Hathon Se
Chhura K Apny Hathoon Ko
Fazza Ki Naghmagi se
Tum Naey Geeton Ko Chun Lena
Haseen Palkon Ki Nokon Per
Naey Khaab Tum Bun Lena
Koi Ger Pochey Mera To
Is Sey Mera Ziker Mat Karna
Meray Jeevan Ki Jalti Dopehr Se
Begharz Ho Kar
Tum Apni Chandni Ratoon Main
Jugnu Paltey Rehna
Meri Tanhaion Ki Vehshatoon Ki
Fiker Mat Karna
Tumhen Is Ki Ijazat Hai
Meray Sab Khat Jala Dena
Meri Her Yaad Ko Dil Se
Khurachna Aur Mitta Dena
Tumhin Bilkul Ijazat HAi...
K Jab Chaho Bhulla Dena
Mager Itni Guzarish Hai....
Ager Aesa Na Ho Janaa
To Acha Hai....!!!
vo din bhii aane vaalaa hai
jab terii in kaalii aa.Nkho.n me.n
har jazbaa miT jaayegaa
tere baal ji.nhe.n dekhe.n to
saavaan kii ghanaghor ghaTaaye.n
aa.Nkho.n me.n laharaatii hai.n
ho.nTh rasiile
dhyaan me.n laakho.n phuulo.n kii
mahakaar jagaaye.n
vo din duur nahii.n jab in par
patajhar kii rut chhaa jaayegii
aur us patajhar ke mausam kii
kisii akelii shaam kii chup me.n
gaye dino.n kii yaad aayegii
jaise ko_ii kisii ja.ngal me.n
giit suhaane gaataa hai
- tujh ko paas bulaataa hai
mai.n ne dil se kahaa
ai diivaane bataa
jab se ko_ii milaa
tuu hai khoyaa huaa
ye kahaanii hai kyaa
hai ye kyaa silasilaa
ai diivaane bataa
mai.n ne dil se kahaa
ai diivaane bataa
dha.Dakano.n me.n chhupii
kaisii aavaaz hai
kaisaa ye giit hai
kaisaa ye saaz hai
kaisii ye baat hai
kaisaa ye raaz hai
ai diivaane bataa
mere dil ne kahaa
jab se ko_ii milaa
chaa.Nd taare fizaa
phuul bhau.nre havaa
ye hasii.n vaadiyaa.N
niilaa ye aasamaa.N
sab hai jaise nayaa
mere dil ne kahaa
Jo Dil Mein Baat Hay Keh Do
k Kab Se Muntazir Hain Hum
Tumhary Chand Lafzoon k
Ajab Ik KashMakash Mein Hain
Ya To Tum Hum Ko Qaid Kar Do
Ya Phir Azad Kar Do
Jo Dil Mein Baat Hay Keh Do
k Jazba Koi b Ho
Izhaar Ka Muhtaaj Hota Hay
Suno...
Ab Bol b Do
Wagarna Yeh Moka
Hathoon Se Kho Baithy
To Pachtao Ge
Chalo Ab Keh b Do Hum Se
Karo Ab Tum Humy Saraab
Apny Lafzoon Ki Barish Se
Suno...
Hum Muntazir Hain...!!!
Main sun k us ki sab batain
Faqat itna he kehta hon
Khafa hona
Mana leyna
yeh sadiyon se riwayat hey
Muhabbat ki alamat hey
Gilay shikway kero mujh sey
Tumhain yaara ijazat hey
Magar ik bat mere bhe
Zara tum yaad rakh leyna
Kabhe aisa bhe hota hey
Hawain rukh badalte hain
Khizain loat ate hain
Khatain ho he jate hain
Khata hona bhe mumkin hey
Khafa hona bhe mumkin hey
Hamesha yaad rakhna tum
Ta'aluq rooth jane sey kabhe toota nahe kerte
Khaak Main Mila Giya
Woh Khawab Sarey!!
Bacha nahi kuch pass humerey
Phir Pochta hai kia zulam kia
Mainey Sath Tumharey??
us nay gerden taan k jhumkay lehraye
chand nay jhuk ker kaan mein sergoshi ki
choo leta hoon khushboo ko asaani say
phoolon ki awazein sunta rehta hoon
her ik shakh pe khunk hawa ki pazebein
chan chan chana chan chanan chanti rehti hain
sawan mein jab mosam nay angraai li
badal barsay hum nay tum ko yaad kia
hamain sulagti ankhon k sehlanay ko
titli k per aur tumhara lams bohat hai
tuta dil jo pyaar mai nazar aye,
to apnasa lagta hai
koi bager baat ke muskuraye,
to apnasa lagta hai.
yu to sab humare hi hai jahan mai,
mehfil mai jo khali paimana nazar aye,
yo apnsa lagta hai.
ussey kehna kitaboN mein rakhay sookhay huay kuch phool
uss k lout aanay ka ab tak yaqeen dilatay hain
ussey kehna k uss ki jheel sii aankhaiN kissi manzir pay chha jayaiN
to sab manzir yunhi phir bheeg jaatey hain
ussey kehna k thandi barf par koi kissi k saath chalta hai
to qadmoN k nishaaN phir sey ussi k lout aanay k nishaaN
dil par banatay hain
ussey kehna k uss ki bheegti aankhoN ka woh aansoo
sitaray ki tarah ab bhi hamaiN shab bhar jagata hai
ussey kehna k baarish khirrkiyoN pay uss k aansoo
paint karti hai
ussi ka naam likhti hai
ussey hi gungunati hai
ussey kehna k khushboo,chandni,taray,saba,raastay,ghata,kajal
mohabbat,shabnam,hawaiiN,raat,din,baadil
sabhi naraaz hain hum sey
ussey kehna
k darakhtoN par jo sookhi tehniyaN hain
woh saati barf ki chaadar mein kab ki dhak chuki hain
aur unn shaakhoN pay yaadoN k
jo pat-tay thay sunehri ho gaye hain
ussey kehna December ho gaya hai
aur yakh basta woh bheegi January phir lout aayi hai
ussey kehna
k lout aaye...!!!
Poet: Arshad Malik
yeh tumhaiN main bata dooN
k chahtoN k rishtoN mein
girah nahin lagti
lag bhi jaaye to uss mein
woh kashish nahin rehti
ik pheeka pheeka saa raabta to hota hai
taazgi nahin rehti
rooh k taaluq mein zindagi nahin rehti
baat woh nahin rehti
laakh baar mil kar bhi dil nahin miltay
zehan k jharokoN mein
yaad k dareechoN mein
titliyoN k rangoN mein
phool nahin khiltay
iss liye mein kehti hoon iss tarah ki baatoN mein
ehtiyat kartay hain
iss tarah ki baatoN sey
ijtinab kartay hain...!!!
suno ! Tum Laut aao !
Jaha Tum ho Wo Duniya kub Tumhari hai..
Ke Suraj dhal gaya hai,,
Hasseen Shaam Utri hai ..
Wo Dekho Chand Nikhal hai ,, Sitaray jagmagaty hai,
Humri Muntazir Ankhien,,
Duaen Mangti Aankhein ,
Tumhay Socthi Aankhein,,
Tumhe Dhondti Aankhein ,,,
Tumhe Wapis Bulati hein,
ye Dil Jab Bhi Dharakta hai .. Tumhare Naam leta hai ,
ye Ansu jab bhi behte hai ,
tumhara Dukh mein behte hai
ke barish jab bhi hoti hai
Tumhe hi yaad yaad karti hai ,
khoshi koe bhi jo aey.
.. Tumhary Bin Adhuri hai,
Suno Tum Laut aao
sham kay ujaloon par
upnay narm hathoon say
koi baat achi see
koi khoab sacha sa
koi bolti khushboo
jab bhi likhna chahoon ga
soch kay darichon say
yad kay hawalooon say
mera namm chup chup kar
tum ko yad aaye ga
hath kanp jaain **
sham thahar jaye gee
mera nam chup chup karr
tum ko yad aaye ga
sham thahar jaye ge
sham thahar jaye ge.....
Sardeyoon kee sard raat may
garmiyoon kee taptee dophar may
jab, may tera intazar kartee thee
Oor mein intazaar kartee hoon...!
per
may intazar kartee nahi rahoon gee
kiyoon kay
mujhay loot jana hai
us kee taraf
jo mera intazar karta hai
bohot masrof ho shayad ... !
hamrai yaad bhi tum ko nahin aksar satati ab
becharnay tak se milnay ka
koi wada nahin kartay
koi khat bhi nahin likhtay
gila karna to chahtay hain
tumhari berukhi ka hum
magar us ka liya kuch waqat bhi darkar hota ha
jo tum ko mil nahin sakta
kiyon ka
bohat masroof ho shayad...!
Main Yeh Nahin Kahta
K Koi Dil Main na Samaye
main yeh nahin kahta
K koi Aarzoo na Ban Paye
Per..! Itna Zaroor kahna hai
Ager samjh Sakoo
K dil Main Kabhi kisi ko
Itni Jaga Na do
K Dil k liye Dharkna he
Mushkal Hojaye.....
kahe main hosLa na haar DoN...T
umhare Intizar ke Lamhe DiN ba DiN burhte jarahe hian...
kahe Main NaumeedMi ke duLduL Main dhus Na jaoN...
khuhsiou ki beshuMar ghariyaN tu kab ki guzar chuki...
Aaa bhi jao ke iNtizar ki agg main jalte jalte waqt hai ke bhot he lamba hogaya hai...
katey nahi kat`ta...
Agar yeh Saza hai tu kis jurm ki ?
Main MujriM hon tu Mera jurM kiya hai ?
ShaYaD yeh Mera jurM hai ke Maine TuMhara iNtizar kiya hai ?
TuMhe Apna Mana hai ?
TuM se Mohabbat ki hai ?
haa itNe sare jurM hain Mere tu...
Ab inki Saza bhi tu bhugatne hai...
ShaYaD ke kuch waqt ?
ShaYaD ke Ta Umer...!
Yeh aa rahi kahaaN say lahu main risti aawazaiN
Yeh kahaan say uth rahay haiN nafratoN kay sholay
Kaun day raha hai taal golioN ki
Yeh maut ka TaaNdav kahaaN ho raha hai?
HaaN jung ho rahi hai
Ab us taraf hai kal is taraf hai
Kisi ka ahud dagmagya to jung hai
Kisi ko mazhab yaad aayaa to jung hai
Har aur uth raha hai wehshat ka dhooNaN sa
InsaaN bhatak raha hai ki jaisay ho bika sa
Qeemat aadmiyut ki lapata hi ho gayi hai
Yaad-e-masrrat bhi shayad ashqoN main kho gayi hai
PaanioN pay tairti laashoN ki kulbulahut
Nangi chation pay zulm ki chaapaiN
Kuch na dekhti hui aaNkhoN kay samNdar
Kiso bulaty haiN……………………?
Kisko bulaata hai tutay jismoN ka shor
Kisko bulaata hai wehshat ka yeh daur?
Kub bun paya Adam aadmi
Azal say liyay hai qatl ki tashnghi
Sadion say fitrat-e-insaN ka yeh rung
Kahani-e-Adam rahi
Bus nafrat ki jung
Kab tak rehayga aakhir daur-e-wehshat-e-insaaN
Kab tak rahayga aakhir insaaN say juda insaaN
Gulshan-e-ahsaas aabaad hoga aakhir kub?
Kub………..?……………………….?
Bachpun k dukh b kitne achay thay
Tab tu sirf khelonay tuta kertay thay
Bachpun ki khushyaan b kaisi khushyaan theen
Titli k pechay bagah kertay thay
****ay thay tu
Makro faraib b ****ay thay
Dana dal ker chirioon ko pakra kertay thay
Ab tu aik ansoo b ruswaa ker jata hai
Bachpun mein hum ghabra ker royaa kerthay thay
Bachpun k dukh b kitne achay thay.
Dil zod-e-ranj hai
Aankh hairaan hai
Ye kaisa malaal hai
Kaisee dil-shikastagii hai
Baat tu sirf itnii sii hai
Usse khoya hai
Jo kabhii mera na tha
Nahii hai rutt yeh milney ki wo mosam aur hi ho gaa
Tere aaney ki ghariyoun ka wo alaam aur hi ho gaa
Koi madham mehak aaker galey ka haar bantii hai
Udassi hijar ki jaisey wasaal e yaar bantii hai
Tere phoolon se honton per tabassum aur hi ho gaa
Jahan jis mein rifaqaat ki khushi mehsoos hotii hai
Muhabbat jis mein har cheez daymii mehsoos hotii hai
Hamarey haal ke razoon ka muharam aur hi ho gaa
Ek hasrat thi ke aanchal ka mujhe pyaar mile
Maine manzil ko talasah mujhe bazar mile
Zindagi aor bata tera iraada kya hai.
Mujh ko paida kiya sansaar main do lashone
Aor ruswa kiya kom ke ayashone
Tere daaman main bata mot se ziyada kya hai
Zindagi aor bata tera iraada kya hai.
Jo bhi tasveer banata hun, bigad jaati hai
Deakhte deakhte duniya hi ujad jaati hai
Meri kashti tera toofan se wada kya hai
Zindagi aor bata tera iraada kya hai.
Tune jo dard diya, us ki kasam khata hoon
Itna ziyada hai ke, ehsaasn se daba jaata hoon
Meri takdeer bata, aor takaaza kya hai
Zindagi aor bat tera iraada kya hai
Maine jazbaat ke sang khelte daulat dekhi
Apni aankhon se mohabbat ki tijarat dekhi
Aisi duniya main mere waaste rakha kya hai
Zindagi aor bata tera iraada kya hai
Aadmi chahe to taqudeer badal sakta hai
poori duniya ki woh tasveer badal sakta hai
Aadmi soch to le us ka iraada kya hai
Zindagi aor bata tera iraada kya hai.
Tayri Soorat Hee Mairii Aankh Ka Sarmaya Hay
Tayray Chahray Say Nigahoo'n Ko Hatta'oon Kaisay
Tou Hee Batlaa Mairii Yadoo'n Ko Bhaulanay Walay
Main Tayri Yaad Ko Is Dil Say Bhula'oon Kaysay
Pooch un Say Jo Bicharr Jaatay Hain
TToott Parrti Hay Qayamat Kaysay
Tayri Khaatir tou Yeh AANKHAIN Paa'een
Main Bhula Doon Tayri Sorat Kaysay
Kaash Hum Ko Bhi Bata Day Koi
LoG KartaY HaiN MohabbaT Kaysay
Milay Baghair Ussay,Dil Ko Itminaa'n Kaysa
Baghair Daykhay Ussay Bhar Ga'ee Nazar Kaysay
~AdeeM~ Tou Nay Ussay Kya Kaha Tha Yaad Tou Kar
Tou Utt'h Gaya Tayary Pahlo Say Rott'h Kar Kaysay
kaaghaz ki kashtiyan
Aksar bhool jaata hoon
ke koi bhi
jo do alfaaz hans ke bol de
us se apni khushiyan
munsalik nahi kar letay
Mohabbaton ke samandar
yunhi nahi bahaa detay
do gaam saath chalnay wala
humsafar to hota hay
hum-nafas nahi hota
har waqt paas rehnay walay
meethi baatein karne walay
laazim nahi dost hi hon
kuch apnay bhi ghair hotay hain
phoolon se bhi haseen
kaheen khaar hotay hain
Aksar bhool jaata hoon
ke kaaghaz ki kashtiyan
samander mein nahi rakhtay
baarish ke paani mein hi
achi lagti hain !!!
Adhori baatain hi zindagi hain
woh guzri baatain hi zindagi hain
agarcha dil ki ujri hovi rutoon mei
bikhar gai hain
kai zamanoon se saari baatain
woh guzri baatain
sulagti shamoon ke jaltay bujhtay alao hi mei
pigal gai hain
adhori baatain...
zarrori baatain...
yeh khushk hoti howi ragoon ki siya qabroon mei neem murda
dasi howi khwahishoon ke hamra
gundhi hovi hain
yeh aankh ki putliyoon mei thak ke
khatakti palkoon par soo gaeen hain
tamaam baatain durast hain
tamaam khadshay baja hain lekin
har ik imkaan-e-zindagi mei
ragoon mei or roh ki zameen mei
unhi ki yaadain bhatak rahi hain
unhi ke dum se zaeef jazboon,thithartay lafzoon
bujhi tamanaoon mei ramaq ha
adhori baatain hi zindagi hain
woh guzri baatain hi zindagi hain
khayal rakhna....!
adhori baatain bhula na dena
woh guzri baatain bhula na dena
zarrori baatain....
wo guzri baatain bhula na dena
khayal rakhna.....
khayal rakhna...!!!!
jo na mil sakey wahi bewafa , yeh badi ajeeb si baat hai
jo chala gaya mujhe ****h kar, wahi aaj tak mere saath hai
jo kissi nazar se ataa hui, wahi roshni hai hayaal mein
woh na aa saka main hoon muntazir, yeh khalish kahan thee visaal mein
meri justuju ko khabar nahi, na woh din rahe na woh raat hai
jo chala gaya mujhe ****h kar wahi aaj tak mere saath hai
tere pyare lab pe gila na ho, yeh kissi-kissi ka naseeb hai
yeh karam hai uska jafa nahi, woh juda bhee rahke qareeb hai
wohi aankh hai mere ru-baru, ussi haath mein mera haath hai
jo chala gaya mujhe chor kar wahi aaj tak mere saath hai
mera naam tak jo na le saka, jo mujhe qaraar na de saka
jisse ikhtiyaar to thaa magar, mujhe apna pyar na de saka
wohi shakhs meri talaash hai, wohi gard meri hayaat hai
jo chala gaya mujhe chor kar wahi aaj tak mere saath hai
RAAT KE WAQAT,MERE DIL PE, TERI YAAD KA HATH
ITTNI NARMI SE UTARTA HAI JESE SHABNAM
AIK CHATAKTTI HOI NOOR RASTA KALI PE UTTRE.
dukh boltee hai
jab sene andar
sanas key darya doltee hai
jab musam sard hawa main chup si gholtte hai
jab ansoo palkee roltee hai
jab sab awazee apne apne bistar par soo jatti hai
tab ahista ahista ankhee kholtee hai
dukh bolttee hai
Hamare darmiya-n aisa koi rishta nahi-n tha
tere shano-n pe koi chhat nahin thi
mere zimme koi angan nahin tha
koi wada teri zanjir-e pa banne nahi-n paya
kisi iqrar ne meri kalai ko nahi-n thama
hava-e dasht ki manind
tu azad tha
raaste teri manzil ke taab-e the
mujhe bhi apni tanhaai pe
dekha jae to
poora tasarruf tha
magar jab aaj tune
raasta badlaa
to kuchh aisa laga mujh ko
ke jaise tune mujh se bewafaii ki
Kal Sochon Kay samandar main Gum Tha
tumhari Yad aaye Ik Jhonkay ki tarah
main soch raha tha
zakham kharonch raha tha
khon rista raha meraay zakmon say
dard be be hisab hoa Laiken
phir mujh ko hosh aaya
jab khon aasham gidh
achanak mujh par lapka
mujh ko noch dala tu
mujhay lagay kay
tum aaye hoo
tum aaye Hoo
Ab ki bar main soch raha tha
jeenay ka kaya maksad hai
kioon na ab main ab mar jaoon
khud ko main dai doon un koo
jo meray Khon kay payasay hain
jin ko Bhok Mitani Hai
tum Mujh ko Gidh Lagtay thay
Tum nay bhi tu payar ko meray
ankhon kay izhar ko meray
pagal dil kay payar ko meray
be jan rooh aur jism ko meray
issi tarah tu nocha tha
Main Kar bhi kia sakta tha
May phir bhi khush tha sath teray
lo aaj usi khayal main aa kar
Khud ko murda kar dala
han usi khayal main Shahid
Khud ko murda kar dala
Wo jo shehre dil tha ojar gaya..
Wo jo khawab tha wo bwkhar gaya..
Kabhi raasto ki nazar lagi..
Kabhi manzelo ne dagha diya..
Kabhi zindagi ki kitaab se..
humein jis ne chaha mita diya..
Bass is liye wo jo jaa raha tha door takk..
Roka nahin ose is liye..
Ose rokte bhi to kis liye...?
Bezameen logo ko..
Beqarar ankho ko..
Badnaseeb qadmo ko..
Jis taraf bhi lejaaye..
Raasto ki marzi hai.........
Beneshan jazeero per..
Badguma shehro main..
Bezoba mosaafro ko..
Jis taraf bhi bhatka de...
Raasto ki marzi hai.........
Rok le yaa barhne de..
Thaam le ya girne de..
Wasl ki lakeero ko..
Tor de yaa milne de...
Raasto ki marzi hai...
Ajnabi koi laa kar ....
Humsafar bana daale..
Saath chalne walo ki..
Raakh bhi ora daale..
Yaa mosaafate saari..
Khaak main mila dale..
Raasto ki marzi hai...........
Meri soch ki hadain hain jahan talak,
Wahan tum hi tum ho,
Meri nazar ki had hai jahan talak,
Wahan tum hi tum ho,
Mera sehra hai jahan talak,
Barsaat tum hi tum ho,
Meri barsaat hai jahan talak,
Ghata tum hi tum ho,
Mere khawabon ka mehal hai jahaan talak,
Har qadam pe tum hi tum ho,
Mere dil ki waadi hai jahan talak,
Har chehraa tum hi tum ho,
Mere chehre pe muskurahat hai jab talak,
Muskurahat tum hi tum ho,
Meri aankhon ki shararat hai jab talak,
Woh sharart tum hi tum ho,
Mere pyaar ka sehar hai jahan talak
Us sehar mein tum hi tum ho,
Mere pyaar ka jaadoo hai jahan talak,
Wahan tum hi tum ho,
Meri aarzoein bikhrein hai jahan talak,
Woh umeed tum hi tum ho,
Mujhe sahara hai jahan talak,
Woh saheban tum hi tum ho,
Mere dil ki khusiyan hai jahan talak,
Woh sapne tum hi tum ho,
Meri nazar mein chandni hai jahan talak,
Woh roshn i tum hi tum ho,
Meri umeed ki kirne hai jahan talak,
Sab roshniyan tum hi tum ho.
Tum nay kaha tha agar kabhi hum
Bichar gaye to.....
Aaisa Karna
Dil main pyar k jugnu bhar k
Mujhe ko kuch pal dhondtay rehna
Dekhna main phir lout aaon gi
Tum ye keh kar chali gaye thin
Lekin teri khoj main abhi tak
Main aur Jugnu bhatak rahay hain....!!!
Kise larki se mat khyna
K us se piyar kartay ho
Aagar baydehani main bhi yeh iqrar kar baethay
Kise se piyar kar baethay
Tu phir wadoon ki doron main ulajh kar toot jao gay
Tumhare piyar ka gar us ko aagar ahysas ho jae
To ho sakta hay k tum us ka rang-o-roop ban jao
Mohabbat k safar main shayad aisa moor aa jae
K tum narazge ka barmala izhar kar baythae
To yeh samjho’koi shesha’ koi dil toot jae ga
K un k dil bohat nazuk’bohat kamzoor hotay hain
Kise larki k dil ka tootna bhi mot hoti hay
Kise larki se mat khyna
Kise larki se mat khyna
Koi Aisa shakhs Howa karey
Jo Mare liye He saja karey
Mujh He sey Baatein kiya karey
Kabhi royey jaaey woh Bey-panaah
Kabhi Bey-tahaasha udaas Ho
Kabhi royey Kabhi chupkey chupkey Babey qadam
Merey peechay Aa kar hansa karey
Meri Qurbatein, Mari chahatein
Koi yaad kare qadam qadam
Main Taveel safar Main hoon agar
Mari Waapsi ki Dua karey
Na shikayatein Na Gila karey
Koi Aisa shakhs Howa karey
Jo Mare liye He saja karey
Wah ji Wah :creature2[1]:
----------------------------------------------------------------------
http://www.geocities.com/mashkoor1/img/sign.jpg
Ajab pagal sa larka hay
meri nazmon main, gazlon main
Wo apna app dhondhey hay
meri ankhon main jhankey hay
meri baaton ko janchey hay
ajab pagal sa larka hay !
ajab pagal sa larka hay
Wo mujh ko chahta tu hay
magar kuch keh nahi pata
Juda mujh say ghari bhar bhi
magar wo reh nahi pata
ajab pagal sa larka hay !
Ajab pagal sa larka hay
Wo kaghaz aur Qalam thamay
merey khakey banata hay
meri ankhon main aksar jhank kar
Kuch gungunata hay !
ajab pagal sa larka hay !
ajab pagal sa larka hay
ajab pagal si main bhi hon
usey misron main, sheron main to
main yoon yaad karti hon …
khwabon k jazeeron per
usay abad rakhti hon …
Barah-e rast kahne say
mgr haan ..
main bhi darti hon !
ajab Pagal Sa Larka Hay
ajab Pagal Si Main Bhi Hoon !
Mere liye Meri Duniya Ho Tum
Chhu kar Jo Guzri woh Hawa Ho Tum...
Maine Jo Maangi woh Dua Ho Tum
Kare Mujh ko Jo Roshan woh Diya Ho Tum
Dil Yeh kahe Mera Jiya Ho Yum...
Kiya Maine Mehsoos, woh Ehsaas Ho Tum
Mere Honto ki Pyaas Ho Tum
Mere baanhon ki Aas ho tum..
. Meri Nazar ki Talaash Ho Tum
Meri Zameen ka Akaash Ho Tum
Mere Chehre ki Kashish Ho Tum.
.. Mere Sitaron Ki Gardish Ho Tum
Meri Zindagi ka Karaar Ho Tum
Maine Jo Chaaha woh Pyaar Ho Tum.
.. Mera Intezar ki Raahat Ho Tum
Mere dil ki chaahat Ho Tum
Tum ho To yeh Duniya hai Meri
Shaam dhale nam-naak sarak pe
barf si rangat wali larki
kis ka rasta daikh rahi hai
khirki khol k main kya daikhoN
keh de gi woh nain chura k
dunya kitna shak kerti hai
kaan ka baal-la dhoond rahi hooN
.........................................
Na Sawal Ban Kar Mila Karo
Na JawaB Ban Kar Mila Karo
Mari Zindagi Mare KhawaB Hian
Mujhe KhawaB Ban Kar Mila Karo
Mujhe Ache Log To Buhat Mile
Main To Un K Qarz Se Bhar Gia
Jo Ho Sake To Kabhi Kabhi
Mujhe KHaraB Ban Kar Mila Karo
Abhi Sochna Hia To Soch Lo
Abhi CHhoor Na Hia To CHhor Do
Nayi BaHaar Main Mujhe GulaaB Ban Kar Mila Karoo
Teri soch ki wadi itni ujhri hui kiun hae !
Mere khiyaloon k sarey silsaley
Itney bikhrey huwey kiun hain !
Tum jo har waqt khooi rehti ho
Khiyaloon mein !
Khaboon ki dunia mein !
Koi gulab kiun nehi hain ?
Aamawas ki raat dair talak
.... khuley aasman taley bethey rehna
Tumhain kiun acha lagta hae ?
Khizaan k mosam mein pattoon se khailtey rehna
Kiun paasand hae ?
SUUNH KAR KAHA UDAS LARKI NE
Soch ki wadi mein MAIN ne
phuloon ko Murjhatey dekhaa !
KHIYALOON ki Dunia mein AANSOON ki naqdari dekhi
Main ne KHABOON ko tuottey
KHIYALOON pe pehrey lagatey dekha !
CHAAND k dhokey mein aa kar
KHUD ko zamaney ki nighahoon mein dekha
MUJHE bar bar TUOT kar BIKHARNA nehi
Ess se kehain behtar jaana hae main
K
MAIN BIKHRI HUI HE ACHI HUN
wo dekho chand nikla ha
sitare jagmagaey han
hamari muntazir ankhain
duain mangti ankhain
tumhain hi sochti ankhain
tumhain hi dhondti ankhain
tumhain wapis bulati han
ye dil jab bhi dharakta ha
tumhara name leta ha
ye aansu jab bhi behte han
tumhare dukh mein behte han
k barish jab bhi hoti ha
tumhain hi yaad kerti ha
khushi koi jo aaey bhi
tumhare bin adhuri ha
suno tum lot aao na
suno tum lot aao na....
hansti hoon to girr aate hain aansoo.. naa royun to sataate hain aansoo..
ab tumse kya chupaana tumhaari yaad mein aate hain aansoo..
door reh nahi sakti.. tumko paa nahi sakti.. issi majboori mein aate hain aansoo..
chaahat hai tumhaari.. agar tum mil jayo tu ban jaaye khushi ke ye aansoo..
magar raasta na jaane kahan kho gaya hai.. manzil ke door jaane ke darr se aa jaate hain aansoo..
kadam barhaane se darta hai dil.. na barhao tu jalta hai dil.. ab tum hi batao.. tumhe paaun kaise.. kahin jaan na meri le jaaye ye aansoo..
tanhayii mein roti hain ye aankhen.. tumhe har jaga dhoondati hain.. tumhaari judaayii mein aate hain ye aansoo..
ab to har raah mushqil lagti hai.. tumhaara saath mil jaaye.. tu tham jaaye ye aansoo..
na kuch keh paate hain ye lab.. na chup reh paate hain ye lab.. dil ke inn zakhmon par beh aate hain aansoo..
ab ye haath jab bhi fariyaad karte hain.. tu labon se tumhaara hi naam nikalta hai.. tumhe Khuda se maangte hain ye aansoo..
tumhe paane ki har kaushish hoti hai nakaam.. phir bhi chaahat hai tumhaari din raat.. kismat ki nakaami par aate hain aansoo...
ab tumhaari hi chaahat hai.. tum hi se hai pyaar.. tumhaari hi khawahish hai.. tum hi ke liye fariyaad..
inn chaahat ki fariyaadon mein Khuda ke aage nikal aate hain ye aansoo..
na dard samajhta hai koyi.. na tum aaye paas.. sabhi ki bewafaayii pe aate hain ye aansoo..
har aahat tumhaara ehsaas de jaati hai.. jo ke meri saansein le jaati hai.. aur ye fizaayen de jaati hain aansoo..
aye aansoo.. ab tham bhi jaa! .. aye gham.. ab ruk bhi jaa!
kahin ye na ho ke ban jaaye meri maut ka paighaam ye aansoo...!!
Ab Kiya Lekhen Ham Kagaz Per?
Ab Likhnay Ko Kiya Baki Hai?
Aik Dil Tha So Ab Toot Gaya
Lutnay Ko Ab Kiya Baki Hai ?
Aik Shaks Ko Hum Nay Chaha Tha
Kuch Ret Per Naksh Banaya Tha
In Ret Kay Razon Ko Hum
Nay Dil Main Sajaya Tha
Woh Ret To Kabh Ke Bikhar Gaee
Woh Naksh Ab Kahan Baki Hain?
Abh Kiya Lekhay Ham Kagaz Per ?
Ab Likhnay Ko Kiya Baki Hai ?
Woh Jin Ko Hum Apni Nazmo Ka
Unwan Banaya kartay thay
Woh Lafzon Ka Bana Kay Taj Mahal
Kagaz Per Sajaya kertay thay
Woh Hum Ko Akela Chor Gaya
Sab Rishto Say Mooh Mor Gaya
Ab Rishtay Saray Sunnay Hain
Woh payar Abh Kahan Baki Hai
Ab Kiya Lekhen ham Kagaz Per??
Ab Likhnay Ko Kiya Baki Hai.....
main ne to us say wafaa hi ki thi,
us ki hi khaatir burai bhi jee thi,
main ne to us ki ibadat hi ki thi,
apney khuda sey ijaazat yeh li thi,
par usne nazren kiun churaye.
aise kaise dil ko gaali daar kiya,
jeete jee mujh ko tune maar diya,
aise kise tune mujh pay waar kiya,
zalaalat say mujh ko zaar zaar kiya.
main ne to dhoke ka tasavur na liya,
dar dar un phir ke bas thokar hi khaye,
main ne to chahat ko manzr pey paaya,
pass naa paa ke bhi usey pass paaya,
phir us ne ki kyoun be-wafaai.
kaise main dil ko mohabbat sey haar dun,
kaise hakikat ko wafaon ka dar dun,
kaise umidon ko chahat ke par dun,
kaise main dil se usey muaaf kardun,
jub *****i hain aas saari.
aise kise dil ko gaali daar kiya,
jeete jee tune mujhe maar diya,
aise kise tune mujh pay waar kiya,
zalaalat say mujh ko zaar zaar kiya.................
Kuch Roz Bohat Dil Tarpey Ga
Kuch Roz Rahein Gi Nam Aankhein
Kuch Roz rahey Gi Bechaini
Kuch Roz Yeh Seena Sulgey Ga
Pani Mein Safeena Sulgey Ga
Rafta Rafta .........
Dheerey Dheerey .......
Phir Haalat Hij'r Gazeeda ki
Ik Roz Sanbhal hi Jaye gi
Ik Zakh'm Bharey ka Chahat ka
Ik Dard Thamey Ga Shiddat ka
Ik Diya Bujhey Ga Qurbat ka
Lakin Kya Aisa Mumkin Hai ?
Tum Khud Socho
Kya Yeh Namumkin, Mumkin Hai ?
Tum Khud Socho !
main apni
zaat se tujh ko
zarb deti hoon
tu
iss ka jawab
aata hai
ik
"ziro"
main apni zindgani
se
tumain taqseem karti hoon
tu phir bhi
aik hi
"ziro"
magar jab
main
tumhari zaat se
khud ko kabhi tafreeq
kar dalon
ya tujh ko
jaan main apni
"jamah"kar loon
tu phir
tu
"aik"
rehta hai
mujhe apne nah hone ka
koi sadma nahi'n
lekin
tumhare
"aik"
aur bas
"aik"
hone par
pareshan hoon.....
Kisi Kamzoor Lamhey Main,
Agar Main Tum Say Ye Keh Doon,
Mujhey Tum Say Muhabbat Hai
Tum Ye Mat Samaj Lena
Kay
Mein Nay Sach Kaha Ho Ga
Aisi Dil-Nasheen Baatoon Ko
Aise dilbar Aadaoon Main Kehna
Mujhey Bachpan Say Aata Hai
Meri Aankhein Mera Chehra
Mera Ye Bey Sakhtaa Lehja
Ye Sab Kuch Jhoot Kehta Hai
Mager
Iss Jhoot Main Bhi Ek Sach Bhi Hai
Kay
Mujhey Tum Say Muhabbat Hai
kuch kaho
kuch to kaho
koi taiz sii baat
koi hanjar saa lehja
meray naam kar do
koi toota huaa taara
koi sookha huaa phool
bhijwa do mujh ko
koi jhoot aansoo
koi boda jazba
k yaaro kai din beetay
kai raatein gruzri'n
mujhe kuch naa mila
main khaali bohat hoon
main aaj tanha bohat hoon...!!!
wafa ruwa nahin karna
kabhi aisa nahin karna
main pehlay hi akeli hoon
mujhe tanha nahin karna
meri inn jheel aankhon mein
kabhi sehra nahin karna
judaai bhi jo aaye to
dil maila nahin karna
bohat masfoor ho jaana
mujhe socha nahin karna
bharosa bhi zaroori hai
magar seb ka nahin karna
muqadar phir muqadar hai
koi duaa nahin karna
jo likha hai wohi ho gha
kabhi shikwa nahin karna
haqeeqat hai milan apna
ussey sapna nahin karna
wafa ruswa nahin karna
suno! aisa nahin karna
Agar kuchh naam daina ho
Mujhay insaan matt kehna
Judaa chehray, judaa bay-shak sabhi k naam hotay hai'n
Magar insaaniyat k abb yaha'n per daam hotay hai'n
Mere tum daam matt dainaa
Mujhay ye naam matt dainaa!
Agarr kuchh naam dainaa ho
Mujhay Ehsaas keh dainaa
Magarr Thehro!
Mujhay Ehsaas matt kehnaa
Mera buss naam reh jaay
Mujhay aisay nahi'n rehnaa
Mujhay Ehsaas matt kehnaa!
Agarr kuch naam dainaa ho
Mujhay Saawan hee keh daina
Magarr thehro!
Mujhay Saawan nahi'n kehna
Barastaa hai magar
Rut kay badaltay, beet jaata hai
Mujhay Saawan nahi'n kehna!
Agar kuchh naam dainaa ho
Mujhay Aansoo hee keh daina
Janam laina kisi ki ki aankh mai'n
Rukhsaar per mernaa
Yehi jis ki haqeeqat hai
Chalo aansso hee keh dainaa
Magarr daikho!
kisi ki aankh mai'n mujh ko kabhi
Aanay nahi'n dainaa
K qeemat aansoo'n ki abb adaa tum se nahi'n ho gee!
Nahi'n tum yu'n nahi'n kehnaa
Mujhay aansoo nahi'n kehnaa
Mujhay aankho'n main'n bastaa ik hasee'n sapna he keh daina
Haqeeqat kuchh nahi'n jis ki
Chalo sapnaa hee keh daina
Ke sapnay aankh mai'n taaro'n ki tarhaa jhilmilaatay hai'n
Magarr thehro!
Mujhay sapnaa nahi'n kehnaa
Ke sapnay toot jaatay hai'n
Mujhay Apnaa Nahi'n Kehnaa
Ke Apnay Rooth jaatay hai'n!
munzil ka rasta tha......... so ab bholta nahi...
woh shaks ashna tha ........so ab bholta nahi...
kehnay ko to kuch din hi guzaray thay os k saath..
sedioN ka wasta tha......... ..so ab bholta nahi...
chend pel refaqatoon k beetaey thay os k seng.....
pur-lutf, dil-ruba tha......... so ab bholta nahi...
manoos ajnabi tha ,yah dil ka woh chor tha.....
jo bhi tha bes bhala tha.....so ab bholta nahi...
baton main saat reng thay,lehjay main tha waqar..
humdum tha, humnawa tha......so ab bholta nahi...
kaali, tareek raatoN kaa roshaan chiraag thaa.....
mundair ka dia tha........so ab bholta nahi....
kuch reng apnay seng woh laya tha ghair ker....
kuch hum ko day gaya tha....so ab bholta nahi...
kuch din khushi k hum ko osi say hoey naseeb....
kuch din maira reha tha....so ab bholta nahi....
tha yoon to ajnabi mager kitna ajeeb tha....
mujh main hi bolta tha...so ab bholta nahi....
woh kehkahay,woh shokhian,woh bankpen, HAYA*...
kehnay ko ik bala tha........so ab bholta nahi....
Hijr ki dukaan per
subha se le kr shaam tak
lamhoN ki kharid-o farokht k shumaar main
dil thak ker jab sone lagga to
aitmaad ki chadar se apne aap ko uss ne
sir se le ker paoN tak dhaanp liya
faqt iss liye..........
daikh ker uss ki halat koi ajnabi
usse muhabbat ki khairat na de de
Mohabbat aik shajr hey.........
Aur shajr ko iss se kia matlab
k iss ki chhaon mein koi...............
Thaka hara musafer aa k betha hey
Ab iss ka rang kia hey?
Nassl kaisee hey?........
Kahan se aaya hey?.....
Issay kis simt jana hey?.....
Shajer ka kaam to bass........
Chhaon dena aur dhoop sehna hey
Na shikaitain kare na gillah kare
koi aisa shakhs howa kare
jo mere liye hi saja kare
mujh hi se baatain kiya kare
kabhi roai jaai who bepanah
kabhi betahasha uddas ho
kabhi chupke chupke dabe qadam
mere pichai aakar hansa kare
meri qurbatain meri chahatain
koi yaad rakhai qadam qadam
mai taviel safar me hoon agar
meri wapsi ki duaa kare
na shikaitain kare na gillah kare
koi aisa shakhs howa kare
shajar ke aqab se jhankta
ik adura chand
kissi ki yaad main tarapta hai
ik balakta chand
kabhi ye bhi tha chamakta
aik muskata chand
par jab se aaya hai aage narsaii ka badal
tab se ban giya yeh bhi
ik sissakta chand
bewafaii ki dhundh main lipta
aik sulagta chand
yaad hai tumko?
tum ne jaate hoe
halke se dheemay se andaaz main
ye kaha tha
"bohat yaad aao gay tum"
maine ik umar
is jumlay ko
apne dil ki gehraion main
chupa kar rakh liya
ab kabhi main sochta hoon
ke shahid!
ussay ye kehne ki aadat thi.
mera daaman khushi se jhoom utha
mere armaan saare machal gae
meri ankhon mein ek rang chamak gia
mera daaman phulon se mehak gaya
dharkanon mein ek halchal see machi
"jab"
mere dil ki khuli kitab pe
chupke se us ne likh diya
"tum meri ho"
"tum meri ho"
Main sataon lakh tum ko
Na manaon lakh tum ko
Meri eltija hai tum se
Gar
Main jo rooth jaon
Mujhy roothny na dena
Jaab bhi Shaam ati hai
Aur is k saye
Phailnay lagtay hain
Tab mera dil yahi Soochta hai
Keh ye shaam
Itni khamoosh kiun hai
Shayad ye bhi mere trha
Kisi k intayzaar may dhal rahi hai.......
Ussey Main Bhool Jana Chahti Hoon
Suno ! Main Muskurana Chahti Hoon
Dukhi Rehnay Ki Aadat Ho Gai Hai
Mager Ab Gungunana chahti Hoon
Puraney Sab Taluq Toor Ker Ab
Nai Duniya Basana Chahti Hoon
Woh Nazmen Paaon Se Lipti Hain Lakin
Main Un sey Jaan Churana Chahti Hoon
Woh Sab Tohfey Woh sookhey Phool Sarey
Main Ab Un Ko Jalana Chahti Hoon
Main Utna Pass Aati Hoon Tumharey
Main Jitna Door Jana Chahti Hoon
Maery Hamdam, Haqeeqat Hai Yeh Meri
Main Teray Pass Aana Chahti Hoon
Ubhrney Ki Koi Khahish Nahin Hai
K Ab Main Doob Jana Chahti Hoon
Meri Zindagi ka Hasil
Meri Soch ka Nazarya
Meray Ehsaas ki Shiddat
MerayJazbaat ki Zillat
Meri un-likhi Tehreerain
Meray Dil ki rukti Dharkan
Meri Aankhon ka Khushk Pani
Meray Alfaaz jo Be-mayni
Meri Unikhi Tehreerain
Meri na mukammal Khuahishain
Meri door hoti Manzilain
Meri un-kahi si Chahatain
Meri Zindagi ka Hasil
Hain yahi Mere liye bas
MERI UN-KAHI TEHREERAIN
Koi to hota
main jis k dil ki kitab banta,
main jis ki chat ka khwab banta,
main hijar ka musam ki lambi ratoon main
yaad ban kar azab banta,
koi to hota jo meri khawaish main
uth kar ratoon ko khoob rota
dukhoon ki chadar lapait kar
hajoom duniya sa door hota
main roth jata manata mujh ko,
chahay mera kasoor hota,
koi to hota main jiss kay itna qareeb hota,
na pass koi raqeeb hota,
main tanah us ka habib hota,
ya silsila bhi ajeeb hota
koi to hota
Yeh Adhoora PaN
Jaisay Adhi kaali raat
Jaisay Aadha chand
Jaisay bin sooraj kiran
Jaisay bin badal barsaat
Jaisay jungal mein tanha hiran
Jaisay be Aawaz koiyal
Jaisay Sookhi Kali
Jaisay Theh'ra hoa paani
Jaisay bin paani machhali
Jaisay Andha Raahi
Jaisay bikhari zulfein
Aisay hi tum bin main
Aur mera yeh Adhora PaN
Tum ne poch hai k
Dukh kia hot hai
Tu Suno...
Aisa kerna
Kabi kesi ko chahna
Aur chahte hee rehna
Din ber us ko hee sochte rehna
Apne hathon ki lakiroon mein us ko talash kerte rehna
Aur jab kabi wo
En riazaton ka hisaab mang ne ko
Samne aea tou
Tum Anna ka hath thaam layna
Ager wo kuch kahai tu
Muskera ker anajan ban jana
Aur jab wo mayoos ho ker lut jaea tu
Apne ander jhannkna aur
Khud say pochna
Tab tumhara dil tumhain bataea ga k
Dukh kesay kehtay hain aur
Dukh kia hota hai....
NonStopLeo
01-26-2007, 07:17 AM
Good
http://img403.imageshack.us/img403/8495/thayou14hm7.gif
Rat Jagon say tang aa kar
Tanhayon say ghabra kar
Main nay ek raat
Apnay saray gham
Apnay kamray ki deevaron say keh daalay
Aur ab main sota hon
Deevaren Roti hain........!!!!
raat ka ghaliban aakhri peher tha
achanak mere is tarah dekhne se
sitara mujhse youn go'ya hoa
humnasheen alvida
mujhko neend aa gai
tum bhi so jao ja kar
ye sun kar main halka sa muskuraya
usko batla diya......... k
jaane wale phir kabhi nahin aate
tum na aao gay kal
mujhko hai ye yaqeen
meri baat sun kar wo ruk sa gia
aur kehne laga..................!
ae insaan.....
tum se wada karun
phir poora na karoon
aisa mumkin nahin
sun mere humnaseen
MAIN INSAAN TO NAHIN.
Hum doNo ajnabi they
zindghi bhar ajnabi he rahay
na us ne kabhi mujhay dekha na maiN he kbhi us se mil paa'ee
magar phir bhi.....
wo hamesha meray dukhooN per dil se kuur'ta
hawa k doosh per wo apna her dukh
meray dil k patay per arsaal karta
maiN shifaaf kazooN maiN apni khushi'aaN chupa kar
us ki basaa'rtooN k sapurd karti rehi
aik roz bohat ajeeb huwa
janay kis roo maiN bah kar us ajnabi ne muj se poocha
suno.....kia tum muj se mohabat karti ho .....?
dekho jhoot mut bolna jo dil maiN ho wo kahna
aur main ne aik ajnabi larki ne
kis qadar sachaa'ee se usay likh dee'aa "nahiN"
meray is karway such per wo toot kar bikhra
aur shanasaa'ee k har taa'luq ko ajnabi'aat se toor gay'aa
aur phir umer bhar k leay
meri har tahreer maiN apna he akas chor gay'aa
koi tum say pochay
kon hoo'n mai?
tum keh dayna koi khaas nahi
ik dost hai kacha pakka sa
ik jhoot hai adhaa sacha sa
jazbaat ko dhanpey ik parda
bus ik bahana acha sa
jeevan ka aysa sathi hai
jo door na ho ker pass nahi
koi tum say pochay kon hoon mai?
tum keh dayna koi khaas nahi,,,,,,
Iss se pehley keh shaam ho jaey
iss se pehley keh shaam ho jaey
aur tu bila wajeh badnaam ho jaey
Aoo wapis ghar jaein
aur gaon ke baher chorahe se
hum apne apne dagar jaein
phir itfaaq se kabhi zindagi ke sharah par
jab hum hoon apni apni rah par
humare raaste aik doojey se takar jaein
tu bina pehchane aik doosrey ke pass se
ban ke ajnabi hum gujar jaein
chahein tu door bhi hum jaa sakte hein
aur aik duniya nai hum basa saktey hein
lekun woh jo dekh ke hum ko jeete hein
aur jin ko **** ke hum chale hein
unhein bhi munh dikhana hey samaaj ko
waqt badle ga hey mujh ko yeh yaqeen
lekun be bas wa majboor hey piyar aaj tu
aao wapis ghar jaein
iss se pehley keh shaam ho jaey
Aziyat k woh safar
Dukh k woh bhanwar
Jo teri chah mein katey thay
Bhuol na jana
Oun Kasmoon ko
Darakhtoon pe likhey oun naamoon ko
Stah Guzri shaamon ko
Jab kisi aur se Iqrar karo
JO meri Chah mein Guzrey thay
Kisi
Aur ki chah mein
Bhuol Na JAANA
kabhi jo door jao jaana
to apne qadmoo ki aahtoo ko
meri tehleel mien chorh jana
ke har ik pal dil yahi kahe ga
tum aa rahe ho...
tum aa rahe ho
Pheela kajal
Qasam to kaha lii hai tum nee
Muje kabi na yaad karne ki
Magar main jantta hoon
Tum muje kabi bhulla nahi sakoo gi
Din bhar hanee kheelne main shaied
Meri yaad na aye tumhee
Mgar sunoooo!!!!!
Subha jab ankh khulee tumharrii
To takyee par
Pheelee howe apne kajal ko
Chuppa leena
Key koi jan na sake
Tum raat dair tak rotti rahi hoo
Meri yaad main
mein nein tumare yadoon ko
shehr ke gali kochoon mein taqseem ker dea hai
ta ke ane jane wale logoon ke dohl
unheen dondhala ker de
mein nein tumare mohabbat ko
boht sare logoon mein banth dea hai
ta ke reza reza ho kar kamzor per jae
or mein nein kudh ko boht sare ankhoon ke lea
alag alag hisoon mein taqseem ker dea hai
ta ke judae ka dukh
mughe talash karta rehe
or kabhi kamiab na ho sake
Dekh December Ab Mat Aana
Dekh December Ab Mat Aana
Dekh December Mere Ander
Kitnay Sehra Phail Chukay Hain
Tanhayi Ki Rait Ne Mere
Saaray Darya Paat Diye Hain
Ab Main Hoon
Aur Mere Banjar Pun Ki Bojhalta Hay
Dekh December
Teri BarFaab Shaboon Mein
Teri BeKhuwab Shaboon Mein
Khuwab Sweater Kon Bunay Ga
Rooh k Ander Girti Barfein Kon Chunay Ga
Dekh December Ab Mat Aana
Aur Agar Tu Aye b To
Apnay Dukh Ki Baraf Pehan Kar
Dhoop Diyaroon Tak Mat Jana
Mere Pyaroon Tak Mat Jana
Dekh December Ab Mat Aana...!!!
Udaasiyon ka sabab jo likhna,
Tau yeh bhi likhna,
Ke chand taray, shahaab aankhain badal gayen hain,
Wo zinda lamhe jo teri raahon main,
Teray aanay ke muntazir thay,
Wo thak ke saayon main dhal gaye hain,
Wo teri yaadain, khayaal teray, wo ranj teray, malaal teray,
Wo teri aankhain sawaal teray,
Wo tum se meray tamaam rishtay bichar gaye hain ujar gaye hain,
Udaasiyon ka sabab jo likhna,
Tau yeh bhi likhna,
Laraztay honton pe larkharaati dua ke sooraj,
Tamaam sapnay hee jal gaye hain.
ik yahii soz-e-nihaa.N kul meraa sarmaayaa hai
dosto mai.n kise ye soz-e-nihaa.N nazr karuu.N
ko_ii qaatil sar-e-maqtal nazar aataa hii nahii.n
kis ko dil nazr karuu.N aur kise jaa.N nazr karuu.N?
tum bhii mahaboob mere tum bhii ho dil_daar mere
aashnaa mujh se magar tum bhii nahii.n tum bhii nahii.n
Khatm hai tum pe masiihaa_nafasii chaaraagarii
meharam-e-dard-e-jigar tum bhii nahii.n tum bhii nahii.n
apanii laash aap uThaanaa ko_ii aasaan nahii.n
dast-o-baazuu mere naakaaraa hue jaate hai.n
jin se har daur me.n chamakii hai tumhaarii dahaliiz
aaj sajde vohii aavaaraa hue jaate hai.N
duur manzil thii magar aisii bhii kuchh duur na thii
leke phiratii rahii raste hii me.n vahashat mujh ko
ek zaKhm aisaa na khaayaa ke bahaar aa jaatii
daar tak leke gayaa shauq-e-shahaadat mujh ko
raah me.n TuuT gaye paa.Nv to maaluum huaa
juz mere aur meraa rah_numaa ko_ii nahii.n
ek ke baad Khudaa ek chalaa aataa thaa
kah diyaa aql ne tang aake 'Khudaa ko_ii nahii.n'
Main kab tak Tujh ko yaad karun
Yeh Dukh yeh Kaliyaan aabad karaun ?
Koi aas ho tere milney ki
Kuch Phuol aur kaliyaan khilney kien
Jab kuch bi mere hath nehi
Koi sapna mere sath nehi
Toh
zakham ko sina kis k liey
Yeh Zehar ko Pina kis k liey
Jab toh he sab Kuch bhuol gaya
Jaaa
Ajh se hum bi bhuol gaey
Zindgi kiya hai apni
Ek toota aina hai
Maut kiya hai apni
Ek *****a ashiyan hai
Zuban kiya hai apni
Ek roota biyan hai
Mohabbat kiya hai apni
Ek jalta gulistan hai
Taqdeer kiya hai apni
Ek soya jahan hai
Shanakht kiya hai apni
Ek khoya insaan hai
tumhi ko dekhtay rahna,
tumhi ko chahtay rahna,
tumhi ko sochtay rahna,
tumhi ko suntay rahna,
buhat gahray khialon main
jawabo main,,
saawalon main,,
muhabat k hawalon main
tumhara nam ajana,,
kabhie kabhie
jaare ki kuhar bhari shaam mein
jaane kyoun
yunhi udaas hone ko jee chahta hai
kissi bichrey huey ki yaad mein
rone ko jee chahta hai
dard ke dhaagoa'n mein lafzoa'n ke moti parone
ko jee chahta hai
jhat pate ke iss mausam mein sirf
parrt parrt mujhe kholte hain
mere ander dukh hi dukh bolte hain
kabhie kabhie
jaare ki kuhar bhari shaam mei...
Sitare ju dekhtey hain
Kisi ki chasm heraan mein
Mulakatein ju hotii hain
Jamal abrubaran mein
Yeh na abaad waqton mein
Dil nashad mein ho gii
Muhabbat aab nahi ho gii
Yeh kuch din baad mein ho gii
Guzar jayeinge jub yeh din
Yeh iin ki yaad mein ho gii
tum ne poocha k,
dukh kia hota hai,
too sunoo,
aisa kerna,
kabhee kisi ko chahna,
orr chahtey hee rehna,
din bher iss ko sochtey hee rehna,
jagtee ankhoon se iss k sapne
deekhte hee rehna,
apne hathoon ki lakeroon mein iss ka
naam tarashte hee rehna,
orr jaab kabhee wo,
inn riazatoon ka hisab mangne ko,
samne aay too,
tum ana ka hath tham lena,
agar wo kuch kahay too,
muskura ker anjan ban jana,
orr jaab wo mayoos ho ker loot jay too
apne ander jhankna,
orr khud se poochna,
tub tumhara dil
tumhain bata day ga k,
dukh kise kehte hain,
dukh kia hota hai...
jub kabhi......
mausamo'n mein khushboo bikhar jaaye
jub kabhi......
chandni mein raat nikhar jaaye
jub kabhi.....
bey waja hi dharkan machal jaaye
to samajhna......k
hum ney...aap ko....yaad kiya hai...!!!
woh jo door nagar ko jaatey hain
phir kab woh lout k aatey hain
bilkul tanha ker deytay hain
saari khushiyan ley jaatey hain
nahin rakhtay phir koi khair khabar
aisay kyun rooth k jaatey hain?
kabhi yaadon mein kabhi sapno'n mein
aansoo ban k bes jaatey hain
milnay ki bhi koi aas nahin
jaaney kis dais ko jaatey hain
"woh jo door nagar ko jaatey hain"
Dehleez-e-sama'aT pe kisi waaday ki Aahat
Utray keh na Utray
Aey Ranj bharii Shaam
dukhtay huey diL paR
koi Aahista say Aa kaR
ik Harf-e-TassaLi tou rakhay phooL ki Maanind...!
Aisa kyun hota hai
pass aate aate dil toot jata hai,
yaar rooth jata hai, haat ***** jata hai
aisa kyun hota hai
hum pyaar hi ki khatir ji rahe the
duniya ka har ghum pi rahe the
har rah par tumhe doond rahe the
aisa kyun hota hai
pyaar rooth jaa hai, yaar ***** jata hai
dil toot jata hai,
aisa kyun hota hai
har ghadi yad aati hai, tumhe pass lati
sapne dikhati hai, neend udha jati hai,
aisa kyun hota hai
pass aate aate dil toot jata hai,
yaar rooth jata hai, haat ***** jata hai
aisa kyun hota hai
Mehak uthi hay aey charah-gar
Meray dard ki tujhay kya khabar.
Tu mere safar ka shareek hay?
Nahi humsafar. . .
Mere chara-gar, mere chara-gar
Tere haath say mere haath tak. . .
Who jo haath bhar ka tha faasla,
Kayi mosamon main badal gaya
Usay naaptay, usey kat'tay,
Mera sara waqt nikal gaya !
Nahi jis pay koi nishan-e-paa
Mere saamnay hay who raah guzar
Mere chara-gar...
Mere dard ki tujhay kya khabar !
Yeh jo rag-e-dasht- e-firaq hay
Mere raaston main bichhi huyi,
Kisi morr par rukay kahi,
Yeh jo raat hay mere chaar so
Magar is ki koi sehar nahi.
Na hi chhaaon hay, na samar koi !
Main nay chhaan dekha shajar shajar,
Mere chara-gar
Mere dard ki tujhay kya khabar !!!
Woh log bohat khush kismat thay
Ju Ishq ko kaam samajtey thay
Ya kaam se Aashiqi kartey thay
Hum jeetey jee masroof rahey
Kuch Ishq kiya,kuch kaam kiya
Kaam Ishq ke aarey aata rahaa
Aur Ishq se kaam uljhta rahaa
Phir tang aaker humne
Dono ko addhoraa chorr diyaa
sham kay ujaloon par
upnay narm hathoon say
koi baat achi see
koi khoab sacha sa
koi bolti khushboo
jab bhi likhna chahoon ga
soch kay darichon say
yad kay hawalooon say
mera namm chup chup kar
tum ko yad aaye ga
hath kanp jaain gay
sham thahar jaye gee
mera nam chup chup karr
tum ko yad aaye ga
sham thahar jaye ge
sham thahar jaye ge
Ek phool ki tamanna mein,
Raaste ke saare kaante apnaane laga,
Mere haath itne ghayal thay ke,
Jab wo phool haath mein aaya,
To wo bhi chubnay laga.
ek rangiin jhijhak ek saadaa payaam
kaise bhuuluu.N kisii kaa vo pahalaa salaam
phuul ruKhsaar ke ras_masaane lage
haath uThaa qadam Dag_magaane lage
rang-saa Khaal-o-Khad se chhalakane lagaa
sar se rangiin aa.Nchal Dhalakane lagaa
ajanabiyat nigaahe.n churaane lagii
din dha.Dakane lagaa lahar aane lagii
saa.Ns me.n ik gulaabii girah pa.D ga_ii
ho.nTh tharraaye simaTe nazar ga.D ga_ii
rah gayaa umr bhar ke liye ye hijaab
kyo.n na sambhalaa huaa de sakaa mai.n javaab
kyo.n mai.n be-qasd be-azm be-vaastaa
duusarii samt ghabaraa ke takane lagaa
chand kangan tera, tarey perahan
too zameen ki paree, aasmaan ki dulhan
roshnee se bana tera mehka badan
roop jaisay baharon ka ho baankpan
hont teray kanwal ka koi phool hain
per nahi yeh kanwal to tairee dhool hain
aankh jazbon ko jaisey zaban mil gayee
husn shero.n ko terz-e- bayan mil gayee
aashiqo.n ko nayee daastan mil gayee
baat niklee kahan se kahan mil gayee
tairi tareef lafzon main mumkin nahin
husn tera to sheron ki had main nahin
main mukammal karoon yeh nazm kis terah
mairay buss men nahi haan yeh bas men nahin
so adhoree nazm yeh teray naam ki
dil jalo.n kay liyay hai barey kaam ki
derd kay qaaflay raat berhtay rahay
or chup chaap hum tujh ko perhtay rahay
hai koi jo nazm yeh mukammal karay
woh jo mumkin nahi uss ko mumkin keray
Tere Naksh Naksh Ne
Zindagi Ki Kitab Se
Mera Harf Harf Mitta Dia
Main Keh Musafir-e Ishq Tha
Mughe Khaak Khaak Saja Dia
kuch dair hamaray saath raho ......
is zehr bujhi tanhai main.....
ik ummar guzari hai hum nay.....
din raat udasi sansoo main....
chupkay say uttari hai hum nay....
kuch baat humaray dil ki suno....
kuch baat apnay dil ki kaho....
kuch dair hamaray saath raho.....
hum piyasay hai sehra ke tarha....
tum behtay ho darya ki tarha....
hum khushk jazeero ke tarha....
tum ghangor ghata ke tarha....
kuch dair humaray tun mun main....
khushboo ke tarha chup chap baho....
kuch dair hamaray saath raho..
Hamain Tu Saath Chalna Tha' Hamain Tu Saath Rayhna Tha
Tumhain Ek Ghar Banana Tha' Mujay Us Ko Sajana Tha
Sonayhri Jaleyon Say Lag Kar Tayra Intizar Karna Tha
Agar Tum Deyr Say Aatay
Tu Muj Ko Rooth Jana Tha
Tumhain Muj Ko Manana Tha
Paharon Par Barasti Barf Ke Manid
Mujay Deyray Say Hansana Tha
Bohot Se Ankahi Baton Ko Ham Nay Lafz Daynay Thay
Kabhi Barish K Mousam Main' Yonhi Sheshon Par Bajtay Jaltarang Son Kar
Kitne Nazmain Tumhain apni Mujay Mansob Karni the
Abe Tu Tum Nay Mujay Bansri K Sur Sekhanay Thay
Abe Tu Zinda Rayhnay K Bohot Say Gur Sekhanay Thay
Hamain Tu Saath Chalna Tha' Hamain Tu Saath Rayhna Tha
Tumhain Ek Ghar Banana Tha' Mujay Us Ko Sajana Tha
main ney wada nibhaya hai
liya thaaik wada tum ney mujh sey
hamaysha khush hi rehna hai to dekho
dekh lo aa kar!!!
meri aankhon ko dekho tum
yeh kitni shokh lagti hai
meray honto ko dekho tum
hamesha muskuratay hain
koi bhi ghum agar aaya
ussey hans ker saha main ney
meray chahray ko dekho tum
hamesha pur sakoon ho gha
to phir socho ghay...!!!
kiya tha jo wada maine tum sey woh kar diya poora
magar ik baat phir bhi hai!!!
kabhi jo waqt mil jaaye
to meri shayri perhna
tumhain mehsoos to ho gha
kahin talkhi bhara jumla
kahin pay sard sa lehja
kahin pay dard ki jheelai'n
klahin lehjay ki karwahat
suno...!!!
main khush to hoon lekin
"laho har lafz rota hai...!!!
laho har lafz rota hai...!!!"
khiza'n ki udaas subha mein
sardion ki shaamon mein...
Aas barhnay lagti hai
un-kahay say jazbon ki
piyaas barhanay lagti hai
baykali udaasi si
baychain kiyey rakhti hai
kissi kay sath ki, Dil ko
tamanna honay lagti hai
yoonhi qadam say qadam mila kar...
kissi kay sath chalnay ko
kissi ka hath thamay...
dheeray say,
Dil ki baat karnay ko,
apna yaqeen dilanay ko
kissi ka yaqeen karnay ko
kissi kay garam hathon ka...
haseen sa lamas panay ko
kissi ki mohabbat bhari ankhoon mein
khud ko khoj laynay ko
kissi ki narm muskurahat mein
khud ko bhool janay koo...
kissi ki mehekti khushboo mein
yoon masroor honay ko
kisi kay Dil mein khud ko
dhondnay ko... jhaank laynay ko
kisi ki ankhoon ki gehri jheel mein,
Dil kay samander mein...
yaqeen ki lahar pay
aahista say... dheeray, dheeray say
tamaam gahraaiyo'n ko...
jaan laynay ko
Mohabbat ki seep mein Apna...
Ghar banaanay ko
Wafa kay noor say roshan
aik sacha mooti paanay ko
kissi kay naam pay sadiyaa'n bitaanay ko
kissi ki aas ka bin-baas lainay koo
kissi kay saarey jazbay jaan laynay ko
kissi ko saray jazbay soonp daynay ko
kissi kay gird apna hisaar
baandh daynay ko
kissi kay saath ka paband honay ko...
khawaahish honay lagti hai
Tamanna barhnay lagti hai
Sardiyo'n ki shaamon mein
narm garm jazbon ki
talab barhnay lagti hai
aas barhnay lagti hai
un-kahay jazbon ki
piyaas barhanay lagtti hai
Wah ji Wah :piano:
----------------------------------------------------------------------
http://www.geocities.com/mashkoor1/img/sign.jpg
kis qadar siyaah hain din
aur safed raaten hain
maut ki khamoshy mein
zindagy ki baaten hain
waqt ruk gya hai aur
chaand taaray chaltay hain
bujh gya hai yeh sooraj
jissm saaray jaltay hain
dekhtay hain haath aur paer
aankh sochty hai ab
lub silay huay hain aur
soch bolty hai ab
saaanss ab dharakty hai
dil lahoo mein behta hai
jissm hai mera laikin
koi aur rehta hai
dard hain meray laikin
koi aur sehta hai
dushmani hai yaaron say
bolty hain tasweeren
raaz saary dunya kay
kholty hain tasweeren
khaar mein hai khushbu aur
phool khooN rulaatay hain
daen sakoon angaaray
hontt ab jalaatay hain
raastay bhi seedhay hain
manzilen bhi aassaaN hain
na koi musaafir hai
naa hi koi saamaaN hai
khaawhishen nahin hain aur
naa hi hai koi maqsood
jissm-o-rooh ka rishta
ab kahin nahin mojood
NAZAM ULJHI HOWAY HAI SEENE MAIN,
SHEIR ATKE HOWAY HAIN HONTOON MAIN,
LAFZ KAGHAZ PE BAITH'TE HE NAHIN,
UDH'TE PHIRTE HAIN TITLIOON KI TARHA,
KAB SE BAITHA HOA HOON MAIN JANAM,
SADA KAGHAZ PE LIKH KE NAAM TERA,
BAS TERA NAAM HE MUKKAMMAL HAI,
IS SE BEHTAR BHI NAZAM KAI HOGI!
Wah ji Wah :creature2[1]:
----------------------------------------------------------------------
http://www.geocities.com/mashkoor1/img/sign.jpg
Ye husn tera ye ishq mera
Rangiin to hai badnaam sahii
Mujh par to kaii ilzaam lage
Tujh par bhii koii ilzaam sahii
Is raat kii nikharii rangat ko
Kuchh aur nikhar jaane de zaraa
Nazaroon ko bahak jaane de zaraa
Zulfoon ko bikhar jaane de zaraa
Kuchh der kii hii taskiin sahii
Kuchh der kaa hii aaraam sahii
Jazbaat kii kaliyaaN chunanaa hai
Aur pyaar kaa tohfaa denaa hai
Logoon kii nigaahein kuchh bhii kahein
Logoon se hamein kyaa lenaa hai
Ye Khaas ta'alluq aapas kaa
Duniyaa kii nazar mein aam sahii
Rusavaii ke Dar se ghabaraa kar
Ham tark-e-vafaa kab karate hain
Jis dil ko basaa lein pahaluu mein
Us dil ko judaa kab karate hain
Jo hashr huaa hai laakhon kaa
Apanaa bhii vahii anjaam sahii
Ye husn teraa ye ishq meraa
Rangiin to hai badnaam sahii
Mujh par to kaii ilzaam lage
Tujh par bhii koii ilzaam sahii
http://img403.imageshack.us/img403/8495/thayou14hm7.gif
Judaii denay walay tumsay Umeed-e-wafa kaisii
Ta'aluQ tuuT jaye jab
Muhabbat Rooth jaye jab
Tou phir Rasm-e- Dua kaisi
Milan kii iltejaa kaisi
Bhanwar meiN dolti kashti pe sahil ki tamanna kya
UkhaDtay Saans hoN tou zindagi ki Aarzoo bhi kya
Jo manzil khoh chuki ho uss ki phir say justuju bhi kyuN
Magar dil nay tumhaiN kis waastay say yaad rakha hay
Tumhain kyuN Shaayeri meiN aaj tak Aabad rakha hay
Abhi tak maiN nay kyuN khud ko buhat barbaad rakha hay
Hawa key dosh par kyuN naghma-e- faryaad rakha hay
Judaai denay walay Aashnaai ki Qasam tum ko
Tumhari be-wafai, kaj adaai ki Qasam tum ko
Mujhey itnaa bataa denaa
Wafa ki chaahatoun ki mash'alaiN kaisay bhujaatay haiN
NishaaN kaisay mitaatay haiN
Bhulana ho jinhaiN unko bhala kaisay bhulatay haiN....!!
bahaar aa_ii to jaise ek baar
lauT aaye hai.n phir adam se
vo Khvaab saare, shabaab saare
jo tere ho.nTho.n pe mar miTe the
jo miT ke har baar phir jiiye the
nikhar gaye hai.n gulaab saare
jo terii yaado.n se mushk_buu hai.n
jo tere ushshaaq kaa lahuu hai.n
ubal pa.De hai.n azaab saare
malaal-e-ahavaal-e-dostaa.N bhii
Khumaar-e-aaGosh-e-mahavashaa.N bhii
Gubaar-e-Khaatir ke baab saare
tere hamaare
savaal saare, javaab saare
bahaar aa_ii to khul gaye hai.n
naye sire se hisaab saare
Kal raat achanak...
aik baychaynii nay Dil pay
dastak dii
Aur Mein...
harbara kar uth baithi
Ghabra kar sochna chaha kay
yeh baychayni damangeer kiyon hai?
Kiyon Mera sukoon khafa ho raha hai?
Mein nay socha aur sochti chali gai...
khayaalon ko bikhera,
yaadon ko samaita
zehan kay niha'n khanon ko tatola
mager koi nishan nazar na aaya
koi sira na haath aaya
Yahan tak kay...
iss talaash main
soch kay paoon thak gay
khayaal saaray bhatak gay
yadain bhi khamosh raheen
aur hairaani say Mujhey taknay lageen
Kay!
Sirf aik jawaaz ki talaash nay
Merey andar kaisa toofaan barpa kar dia
phir main khud bhi thaknay lagi
magar habs tha kay barhta hi chala gya
Aankhoon mein jalan honay lagi
aur jab kuch samajh na aya too
Aik be-naam Aansoo
palkoon say sitaaray ki tarha toota
aur...
gaaloon pay bikhar gia
Khwab martay nahi
Khwab dil hayn na aankhayn na shamayn k jo
Raiza raiza hoay tu bikhar jaayn gay
Jism ki maut say yeh bhi mar jaayn gay
Khwab martay nahi
Khwab tu roshni hayn nawa hayn hawa hayn
Jo kaalay paharon say ruktay nahi
Zulm k dozakhun say bhi phuktay nahi
Roshni or nawa or hawa k alam
Maqtalun mein bhi pohonch kar bhi jhuktay nahi
Khwab tu harf hayn
Khwab tu noor hayn
Khwab Suqraat hayn
Khwab Mansoor hayn
Tumhare hathon...
Tumhari baatoon...
Tumhare khawabo...
Tumhare jazboon ki chandni Mere liye ho...
Main sare khushiyan khared longa...
sirf Tumhari khatir...
Yeh ankhain...
Yeh chahtain...
Yeh khawaishi...
yeh hikayatain...
Tum tu jante ho ke sirf Tumhare liye he tu hain.
Magar !
Meri khushbo...
Meri chahat...
Meri DuaiN...
Meri Tamanaye...
Aur Meri Arzooain...
Yeh Fasley bhot jald kum kardai gai...
bus zara kuch Dair iNtizar karLoOo
Main saahil pey likhee hoee ibaarat nahee
Jo lehron se mit jaati hay
Main baarish ki barasti boond nahee
Jo baras ker tham jaati hay
Main khwab nahee
Jisey dekha aur bhula dya
Main shama nahee
Jisey phoonka aur bujha dya
Main hawa ka jhonka nahee
Jo aaya aur guzar gaya
Main chand bhi nahee
Jo raat k baad dhal jaye
Main to woh ahsaas hoon
Jo tujh main lahoo ban ker gardish karay
Main to woh rang hoon
Jo teray dil pay charay to kabhi na mitay
Main woh geet hoon
Jo teray labon se juda na hoga
Main to woh parwaana hoon
Jo jalta rahayga magar fana na hoga
Khwab, ibaarat, hawa ki tarah
Chand, boond, shama ki tarah
Meray mitnay ka sawaal nahee
Kyunkay Main To Mohabbat Hoon
Aur Mohabbat ko Koi Zawaal Nahee
Aaj Bhi Yeh Dil Tujhe Chahta Hai
Tujh Ko Hee Pukarta Hai
Naadan Hai Yeh Aik Bewafa Ko Apna Maanta Hai
Rifat-e-Kohsar Se Buland Tha Ishq Mera
Par Khokla Nikla Yeh Dil Tera
Ke Neend Ab Aati Nahi
Akhtar-Shumarii Mein Raat Kat Jaati Hai
Hijr Ki Shab Dil Mein Aatish Lagati Hai
Har Yom Teri Bewafai Ki Dastaan Mujh Ko Rulaati Hai
Bewafai Asaan Nahi Ke
Chashm-e-Gunagaar Se Chund Ashq Toh Bahey Honge
Dard-e-Judai Par Kayi Lafz Tunne Bhi Kahe Hoonge
Meri Yaad Mein Tunne Naajane Kitne Ranjh Sahe Honge
Tadap Raha Hoo
Ke Ehsaas-e-Fanaa Toh Hai Par Jaan Jaati Nahi
Zindagi Mein Kuch Raha Nahi
Par Kismet Hai Keh Maanti Nahi
Malak-ul-Maut Hee Aa Jaye
Agar Teri Yaad Ne Jaana Nahi
Muhabbat jeet hoti hai…
Muhabbat maat hoti hai…
Muhabbat zaat hoti hai…
Takmeel-é-zaat hoti hai…
Koi jungal méin ja théhré…
Kisi basti méin bus jayé…
Muhabbat saath hoti hai…
Chahat Kay Is Dharay Per,
Darya Or Kenaray Per
DIL Ko Aaj Azaad Kia ,
Main Nay Tum Ko Yaad Kia,
Tanhaee Ke Ratoon Main,
Khud He Batoon Batoon Main
Is DIL Ko Yoon Shaad Kia,
Main Nay Tum Ko Yaad Kia,
Jab Say Tum Ko Dekha Hay,
Jab Say Tum Ko Chaha Hay,
Har Ak Pal Faryaad Kia,
Main Nay Tum Ko Yaad Kia,
Is Jewan Kay Nesaaboon Main,
Or Ratoon Kay Khawaboon Main,
Jaag Kay Bhi DIL Shaad Kia,
Main Nay Tum Ko Yaad Kia,
Phool Ka Khilnay Say Phelay,
Tum Ko Milnay Say Phelay,
Khud Ko Tu Barbadd Kia,
Main Nay Tum Ko Yaad Kia.
Her Ummeed her Aass say
Her Khayaal Her baat say
Teri soch teri yaad say
MaiN Aazaad hooN
Apni hi qaid say
Apnay hi jurm
Apnay hi insaaf say
Abb rateiN meri hoNgi
Abb din bhi meray hoNgay
Per chand aaNsoo teri yaad meiN
Niklay hoNgay!
main aadatan tumhain guria nahi kehta
main iradatan tumhain guria nahi kehta
haan magar baat sirf itni si hai
kehta to hoon
kay tum main aae meri guria
hain wo sari khubiyan
bhola pan
sadgee
bachpana, dil-lagi
har khushi tum say hai
roshani tum say hai
tou jan lo aee jan-e-man
main qasman tumhain guria nahi kehta
main rasman tumhain guria nahi kehta
haan magar baat sirf itni si hai
kehta to hoon
kay tum main aae meri guria
hain wo sari aadatain
na hoshayari
na chalaki
masoom sharartain
har hansi tum say hai
zindagee tum say hai
tou jan lo aae jan-e-man
main ikhlaqan tumhain guria nahi kehta
main murawatan tumhain guria nahi kehta
haan magar baat sirf itni si hai
kehta to hoon
tuu aae meri masoon pari
tu khud say bhi munfarid
khoobsoorat, haseen
phoolon ki lari
tu na meray lafzoon ko samajh
na meray andaz pay ja, na lehjay pay
kay lafz tu aakhir lafz hi hain
orr mujhay pasand nahi qaol-o-fail ka tazad
tou jan lo aae jan-e-man
main majbooran tumhain guria nahi kehta
main aadatan tumhain guria nahi kehta
haan magar baat sirf itni si hai
kehta to hoon
or iss baat ka mujah ko aetaraf hai....
Ham Ko Tum Pe Aietebaar Hai..
Jazba hai mohabbat ka..
ehsaas hai dil ka dharrkanon ke dharakney ka ...
ke muskurahaton ki waja koi hai ..
jis pe dil ko aitebaar hai..
chalo mana ..
ke tum itni door ho ke roz mil nahen saktey..
lekin ..
ehsas hai ..
aitebaar ki hadon ko *****a huaa ..
ke tum merey ho ..
aur dil kitna mut-ma-in hai ke tum har pal merey saath ho ..
chahey..
kabhi baat ho na ho..
ham milen na milen ..
phir bhi ehsas mut-ma-in hai ..
dharrkanon mein sakoon hai ..
honton pe muskurahat ho tum
Main tum se dor hon...
magar tumhari Mohabbat ki ranaye aur Roshni~ ka saya...
mere is nazuk se dil per aik dil***h aks..
muratab karta hai...
ke mian her waqt tumhare sath rahon...
leken jab bhi yaad ate hai...
ankhon mian ansoo liye ...
tumhare chehre ka aks...
apne dil ke dhudle se aiane per...
muratab karta hoon...
tu mere dil ka dhudla sa aiana ...
shafaf hoker jagmaga uthta hai...
tum wo Roshni~ hoo jo mere dil main hamesha rahe gai.
Yunhi dosh par sanbhale
ghani zulf ke doshale
wahi saanwli si rangat
wahi nain neend waale
wahi manpasand qaamat
wahi khushnuma sarapa
jo badan men neem khwabi
to lahu men ratjaga sa
kisi aur hi safar men
sar-e-raah mil gayi thi
tujhe aur kya bataun
wo teri tarah koi thi....
mujhe dil se us ne pooja
use jaan se maine chaaaha
usi hamraahi me kahin
aagaya dorahaa
phir ik aisi shaam aayi
ke wo shaam akhree thi
koi zalzala sa aaya
koi barq si giri thi
ajab aandhiyan chalin phir
ke bikhar gaye dil-o-jaan
na kahin gul-e-wafa tha
na chiraag ahad-o-pemaan
wo jahaaz utar gaya tha
ye jahaaz utar raha hai
teri aankh men hain aansoo
mera dil bikhar raha hai
tu jahan mujhe mili hai
wo yahin judaa hui thi
tujhe aur kya bataun
wo teri tarah koi thi....
Zindagii ke mele mein
Khvaahishon ke rele mein
Tum se kyaa kahein jaanaa
Iis qadar jhamele mein
Vaqt kii ravaanii hai
BaKht kii giraanii hai
SaKht bezamiinii hai
SaKht laamakaanii hai
Hijr ke samandar mein
TaKht aur taKhte kii
Ek hii kahaanii hai
Tum ko jo sunaanii hai
Baat go zaraa sii hai
Baat umr bhar kii hai
Umr bhar kii baatein kab
Do ghaDii mein hotii hain
Dard ke samandar mein
Anginat jaziiren hain
Beshumaar motii hain
AaNkh ke dariiche mein
Tum ne jo sajaayaa thaa
Baat us diye kii hai
Baat us gile kii hai
Jo lahuu kii Khilvat mein
Chor ban ke aataa hai
Lafz ke fasiilon par
TuuT TuuT jaataa hai
Zindagii se lambii hai
Baat rat_jage kii hai
Raaste mein kaise ho
Baat taKhaliye kii hai
TaKhaliye kii baaton mein
Guftaguu izaafii hai
Pyaar karane vaalon ko
Ik nigaah kaafii hai
Ho sake to sun jaao
Ek din akele mein
Tum se kyaa kahein jaanaaN
Iis qadar jhamele mein
Dariya k beich aik naao Hae
Ik Dariya hae Dariya k beich aik naoo hae
Aakash pe surajh ka Jazboon ka taiz bhaaoo hae
Bachpan ki yaad k panchi ne dil nagrii Pankh bichaey hain
Ik shok samandar lehroon mein kirnoon ka kehian paraao hae
Ik Naoo hae
Dariya k beich aik naao hae
AIk dunia hae
Dunia k pheiley meley mein jivan k sakhat jhameley hain
Naao tufaan ki zaad mein hae Aur Mojh bi rasta bhuol gai
Titlee kantoon pe jhuol gaii Mazi ki yaad ki khanak
Hawa ab bi sahil rokti hae
Dil ka jiss simt jhukaoo hae
Ik naoo hae
Dariya k beich aik naoo hae
Ik titlee hae
Titlee ki narmm si khuwahish hae
Khuwahish k bagh ki shakhioon mein chupkey se daira daala hae
Bachpan ki yaad k panchi ko waqt ne piyaar se pala hae
AIk aaan dekhi manzil har pal ous raang ko chuoney niklii hae
Jisey lehroon ne dohya hae sab Mad-oJazar hae lamhoon ka
Sab waqt ka pach aur daao hae
Aik naao hae
Beaab Dariya k beich aaik naoo hae
Aik lamha hae
Aik lamha hae Jisey waqt uraey jata hae
ik lamha khuwahish ka lamha hae
aik Lamha Zakham hae Ghaoo hae
Aik lamha Palak kinarey par aik lamha waqt k dharey par
lamhoon k inhii jaziroon mein gardaab kehian kataoo hain
Aik naoo hae
Khaliq MAALIK mere KHUDA yeh dundh hawa
YEh waqt k dharey
Yeh Bhatakti Titlee kis ki hae ?
Daria k beich aik naoo jo hae
Kis ki hae ?
Kabhi yun bhi to ho!
Darya ka sahil ho
pooray chand ki raat ho ,
or tum aao.
Kabhi yun bhi to ho!
Soi her manzil ho
koi na meray sath ho
or tum aao.
Kabhi yun bhi to ho!
Paryon ki mahfil ho
koi tumhari baat ho
or tum aao.
Kabhi yun bhi to ho!
ye badal aisa toot k barsay
meray dil ki tarah milnay ko
tumhara dil bhi tarsay
tum niklo ghar say.
Kabhi yun bhi to ho!
Tanhai ho, dil ho,
boondain ho barsat ho,
or tum aaoo !
kabhi yun bhi to ho .
Apne dil se itna to poocho
Ik baar nahi baar baar poocho
Dard Judai ka kaise seh pao gi
Kya is pyar ko bhool tum jao gi
Itna chahne wala kaha se aaye ga
Jo tumhe apni rooh mei samayega
Ye tum bhi janti ho aur mein bhi
Mushkilon se Rab Nikaal lejayega
Ik Mauqa to do apne pyar ko
Jo gaya to phir wapas na aayega
Himmat se kaam lo, mera haath thaam lo
Aankhein band karke mera, ik baar naam lo
Mein abhi mara kahan hun
Jo tum ****e ja rahe ho
Itna bura to hun nahi mein
Muh Mod.e ja rahe ho
Ik mauqa to dil se zara khud ko dedo
Ik haan karo aur mujhe khud ko dedo
Bhala tum pyar se itna darti kyun ho
Jo chahti nahi ho karna, wo karti kyun ho
Kya yehi mere pyar ne hei sikhaya tujhko
Jab waqt aajaye nibhane ka, **** jana mujhko
Tum janti ho ke sache dil se
Humne pyar ik duje ko kya hei
Har lamha ik dujhe ki yadon mein
Humne mar mar ke aise jiya hei
Ke kabhi mein roothon to tum manao
Mujhe yunhi bahane bahane se
Ye Dunya haseen ho jayegi
Hum dono ke yu mil jane se
Meine muaf kya tune jo bhi kya
Tum bhi pyar se zara kaam lo
Apni zindagi se aise mat khelo
Ye pyar bhara dil thaam lo
Tum kehti ho tumhe dard bhi hei
Mujhse mil nahi paane ka
To Phir khudh se poocho kya dar nahi
Mujhse itna door tumhe kya jane ka
Meri zindagi ke har mod pe
Tera hi likha hua naam hei
Tere naam se shuru din hei hota
Hatam meri hoti har shaam hei
Phir soch lo issi gham mein tum
Kya khud ko muaf kar pao gi
Mein janta hun mere ilawa tum
Kisi aur ko paas nahi lao gi
Mein intezaar karunga kuch aur din
Phir wapas kabhi nahi aaonga
Tumne himmat haar ke acha na kya
Sada yehi mein kehta jaonga
Kia tum mujh se piyaar karo gaey ?
AAndah aur aan dekha piyaar
Janam janam ka sangi sathi Saya Piyaar
Hath ki lakeeron mein rachta piyaar
Reit rawayat shartoon se bebehra piyaar
Kia Tum Mujh Se Piyaar karoo gaey ?
Neend se Bojhal palkain , Sundar sundar piyaar
Halkey Phulkey Khab sa Dhima Dhima piyaar
Chand ki tareekhon ko Charta Bharta piyaar
Piyasii Ruh ka Sehara aur barasta piyaar
Kia tum mujh se piyaar karoo gaey ?
Matti ki khushbu Mein bhiga sunda piyaar
Patti patti raang Nihata piyaar
Teiz hawa ka Jhonka Dastak deta piyaar
Barish k raangoon sey bi Ujhla Nikhra Piyaar
Kia tum mujh se piyaar karoo gaey ?
Heerey Soney chandi se bi Mennga piyaar
Saat sitaroon se Ouncha chamkila piyaar
Dhuop bharey din se bi Sunehra piyaar
Ghehrey saagar k bhaeidon se Ghehra piyaar
Kia tum Mujh se piyaar karo gaey ?
Basti Basti Kariya Kariya Khoja Piyaar
Bhuoley Bisrey Bachpan ka Ik khoya Piyaar
Kuch Umar k bhoolPaney ka Pehla piyaar
Sanjida socha samjha piyaar
Kia tum mujh se piyaar karoo gaey
Sacha sacha Piyaar
..tum raah ho, tum hi manzil bhi
mera aur koi humraaz nahi
Mai tum pe yeh zaahir to kar doon
Mere paas magar alfaaz nahi
Tumhaare Ghar par jhoomti ghataaon mein
meri aarzoo hai ghuli hui
Mere iqraar ki khushboo
tumhaari saari fizaa mei hai ghuli hui
Yeh hawaa, yeh fizaa, yeh ghataa, sabko hai pataa
Tum ko bhi yaqienan ilm hai, mera tumse chhupaa koi raaz nahi
Mai tum pe yeh zaahir to kar doon
Mere paas magar alfaaz nahi
Muur kar aana chahun muur kar bi na aa paaun
Damaan bachana chahun Damaan chura na paun . .
Woh khab sa zamana woh ruop ka khazana
Sab kuch luta chakey hain Yeh Jism-o-Jaan JAANA
Kis mor par miley ho ?
Inn dil ki vadiyoon k jughun bi soh chukey hain
Khaboon k sab jazirey viraan ho chukey hain
Kis mor par miley ho ?
Rach kar gulab sungey - Hontoon mein ras nehi hain
Toh kia huwa mere apne bass mein nehi hae
Kis mor par miley ho ?
Ab shaam dhal rehi hae dil ruut badal rehi hae
Ik shamma jaan si roshan woh bi pighal rehi hae
Kis mor par miley ho ?
Pichey bhara samanadr aagey Muheet khaaii
Dono he gir parain gaey thokar zara jo khai
Kis mor par miley ho ?
Lamhey jin ka hasil yeh beImaan judaii
Woh shab jo sath guzri phir kab palat k aai
Kis mor par miley ho ?
Zalim hae yeh judaii Muqasim hae yeh Judaii
Sirhaney beth kar yun har shab na doh duhaai
Kis mor par miley ho ?
Darwaza keisey kholun ? Dastak na doh KHUDA raa
Yeh Qufl Qaid-e-Hassti Qismat pe kis ko yaara
Kis mor par miley ho ?
Kia Naam hae tumhara Kis naam se Pukarun ?
Kis tarha tujh ko jeetun kis tarha tujh ko haarun ?
Kis mor par miley ho ?
Tha woh ik ajab sitara
Kisi aur kehkashan ka
Kisi aur kehkashan main
Keh ho jaisay koi manzar
Kisi aur daastan ka
Kisi aur daastan main !
Usay main ne jab bhi dekha
Kisi aur dhun main paya
Woh talash kar raha tha
Rah-e- waadi-e- sukhan main
Kisi roshni ki jhilmil
Kisi wahmay ka saya !
Woh tha ik ajab sitara
Sar-e- Asmaan tanha
Kabhi dhondta tha khud ko
Kabhi waqt ka kinaara !
Woh tha shayari main zinda
Usay zindagi ne maara
Thi talaash,jiski uss ko
Usii aagahi ne maara !!
Haath ki lakeeroun mein
Kia talash kertaay ho
Inn fazool baatoun mein
Kis liyay oolujhtaay ho
Jin ko saath chulnaa ho
Baghair haath daaykhay hi
Zindagi kay rasstoun pay
Wo saath saath chaltaay hein
Jo nahin muqadder mein
Kub humein wo miltaay hein
Kub wo sath chaltaay hein
Zindagi Kay Raastoun pay
Suno Acha Nahi Lagta
Ke Koi Dosra Dekhe
Tumhari Sharbati Aankhoin ko
Lab-o-Rukhsaar Aur Palkain ko dekhe
Mujhe Acha Nahi Lagta
Siyaa Lambi Ghanee Zulfein
Sahara de koi Doosra
Mujhe Acha Nahi Lagta
Suno Acha Nahi Lagta
Kare Jab Tazkara Koi
Kare Jab Tabsara Koi
Tumhari Zaat Ko Khoojey
Tumhari Baat Ko Sooche
Mujhe Acha Nahi Lagta
Suno Acha Nahi Lagta
Tumhari Muskurahat Par
Hazaroon Log Marte Hoon
Tumhari Aik Aahat Par
Hazaroon Dil Dharakte Hoon
Kise Ka Tum Pe You Marna
Mujhe Acha Nahi Lagta
Suno Acha Nahi Lagta
Hawa Guzre Tumhein Choo Kar
Na Hoga Zabt Yeh Mujhse
Kare Koi Tumse Gustakhi
Tumhari Zulfein Bikhar jaye koi
Mujhe Acha Nahi Lagta
Suno Acha Nahi Lagta
Ke Tum Ko Phool Bhi Dekhe
Tumhare Paas Se Meheke
Yeh Chanda Ki Guzarish Hoo
Ke Apni Roshni Bakhshoon
Rukh-e-Jana Koi Dekhe
Mujhe Acha Nahi Lagta
pyaar mujhase jo kiyaa tumane to kyaa paaogii
mere haalat kii aa.ndhii me.n bikhar jaogii
ra.nj aur dard kii bastii kaa mai.n baashindaa huu.n
ye to bas mai.n huu.n ke is haal me.n bhii zindaa huu.n
khvaab kyuu.n dekhuu.n vo kal jisape mai.n sharmindaa huu.n
mai.n jo sharmindaa huaa tum bhii to sharamaaogii
kyU.n mere saath koi aur pareshaan rahe
merii duniyaa hai jo vIraan to vIraan rahe
zindagii kaa ye safar tumako to aasaan rahe
hamasafar mujhako banaogii to pachhataaogii
ek mai.n kyaa abhii aaye.nge dIvaane kitane
abhii gU.njege muhabbat ke taraane kitane
zindagii tumako sunaayegii fasaane kitane
kyU.n samajhatii ho mujhe bhuul nahii paaogii
Kabhi kabhi dil yeh chahta hai
tumhari shamon ka haal poochon
sawaal poochon
ke fiker e farda main kaisi guzri
younhi kabhi mera naam aaya tumhare honton pe ek pal ko
mrri muhabbat ki yaad mehki kabhi tumhare bi raston main
kabhi kisi din tumhari subha ke dar pe jagi sadaye dastak
kabhi ibbadat ki kayfiat main tumhein mera bi gumaan guzra
tumhare sehan e dua se mera bi dheyaan guzra
kabhi tumhare badan pe bi shab e azaab ban ker thehr gayi thi
kabhi kabhi dil yeh chahta hai'sawal pochon
mager main chup hoon
hamarey dermiyaan yeh ju deewar e ajnabeeyat hai yeh gannimet
iisi main tukeere hurf o lub hai
yehin pe tarq o talb ki hadd hai
Har morr pe nayi kahani
zara sumbhalna raat hai tufani
doob jao na is nashye mein
ye ishq hai sharabi
kehne ko dost hai hazaro
morr k dekho to rooh bhi anjani
mela hai ye khushion ka
magar gham mera saathi
wafaye nibhana mushqil nahi
bus insaan bol de sachai
mere ansoon pe hassne wale
INTEZAAR KAR!!!!
teri barri bhi hai annii
Khamoshi sai….
Dheeray……dheeray..
Phool kai gaaloN per jub shabnam…
Piyar sai bosay daity hai….
To piyar kee shiddat sai gul kai..
Rukhsaar dahaknay lagtay haiN…
Aor laaly phail jaaty hai….
Muhabat rung laaty hai…….!
Husn sai muhabat ka….
Jub bhee visaal hota hai….
gulshan ka kona kona phir…..
Mushkbaar hota hai……
Tayoor vajd maiN aaker……
Khushi kai geet gaatay haiN….
Muhabat muskuraaty hai
kittne din ho gaee hai tum se rothee howe
kuch yaad bi nahi
abb hum se rotha nahi jatta
aik tum ho k tum se manaya nahi jatta
sach kaheein thora dheere se sunooo
hum khafa to huwee nahi
hum to abb bi tumharee hai
anna parast hoo tum bohat
ye tasleem magar!
anna ki baat na karo to achha hai
ye to azzal se muhabbat ki dushman hai
aik baar iss diwar ko toro to sahi
aa kar aik baar hum ko manaoo to sahii
phir dekhna hum rothna chor dayee ge!!!!!!!!!!
Hum ne soch rakha hai
tum se kuch nahin kehna.....
chahy dil ki har khuwahish
zindagi ki aankhon se ashk
ban kar bah jaye.....
chahy ab makeenon per
ghar ki sari deewarain
chat sameet gir jain
aur
baymoqaddar hum
es malby main hi q na dab jain
tum se kuch nahin kehna....
kaisee neend thi apni
kaisay khuwab thy apny
aur ab gulabon per
neend wali ankhon per
narm khu say khuwabon per
q aazab tooty hain
tum se kuch nahin kehna....
ghar gaye hain raaton main
baylibas baton main
kab chiragh jalty hain
kab aazab talty hain
ab tou en aazabon se
bach kar nicalny ka bhi
rasta nahin jana
jis tarhan tumhain
sach k lazawal lamhon se wasta
nahin jana.....
tou hum ne soch rakha hai
tum se kuch nahin kehna...!!!
tum se kuch nahin kehna...!!!
Unki Aankhon ki bat kia kerni
unki aankhon se kai nahi seekha
besabab muskura dena kabhi
phir kabhi yoon hi udas ho jana
khushnuma sitaroon sa
Apney khuwabon pe chamktey rehna
ya kabhi dil ki aarzoo'on ki
maut pe
aik pal main tarap ke roo dena,,
meri aankhon ke motiyon ko phir
apni aankhon se chun lena....
besabab phir wo muskura dena,,,,,,,,,,
Unki aankhon se kia nahi seekha,,
Bohat Mumkin tha
Merey Paoo'n , Meri Zeest ke
Kaantey Nikal Jaatey
Bohat Mumkin tha
Meri Raah ke Pathar Pighal Jaatey
Jo Deewaarein Merey Raste mein Haayel Thein
Merey Aagey Se Hatt Jaatein
Agar Tum Aankh Utha Kar Dekh Letey
Kohsaaroo'n ki taraf Aik Pal
Chataanein Ik Tumhari Junbash-e-Abroo se Katt Jatein
Bohat Munkin tha Angaaroo'n Bhari
Iss Zindegaani mein
Tumhaarey Paaoo'n ke Ujley Kanwal Khiltey
Rafaaqat ki Sunehri Jheel Mein
Dono ke Aks-e-Zofishaa'n Hiltey
Bus Ik Khaab-e-Musalsal ki Faza Rehti
Hamari Rooh kab Ham se Khafa Rehti ?
Yeh Sab Kuch Ain Mumkin Tha
Agar Tum Mujh Ko Mil Jaatey !
Ajj barish mujhey afsurda kar gayi
iski hawa saari ***hi uraha ley gayi
kuin! pata nahi
meara dil dukha gayi
ajj barish mujhey afsurda kar gayi
laga easey,jeasey
roya ho aasman meari tarhan
nahi samajh ayaa,howa kia
bas meri aankh num kar gayi
mera dil tarpa gayi
ajj barish mujhey afsurda kar gayi
ajj barish ko choowa bhi nahi
phir bhi !!
mujhey yaadon sey bheego gayi
ajj barish mujhey afsurda kar gayi
kar gayi mujhey gum sum
kyon howa easa,nahi maloom
har aahat par chonkti hoon
kaheen na kaheen hoo tum
par !!
nahi thae kaheen tum
yah baat afsurda kar gayi
ajj barish mujhey afsurda kar gayi
Mujhey lagta hai aesa kabhi kabhi
Jaisy woh ajnabi larki
Mujh sey piyar karti hai
Mujhey chahti hai
Akser yunhi chup chup ker
Dekhti hai, janey kiya soch ker
Nazren chura jati hai
Kuch ghabra si jati hai
Apney aanchal ko hawaoon k zoor per lehrati hai
Mehsoos mujhey yeh hota hai k
Shaid mujhey woh bohat chahti hai
Mujhey aesa ehsas dilati hai jesay
Woh mujh sey kuch kehna chahti hai
Meray pochnay per kuch sharma si jati hai
Kuch ghabra si jati hai
"Suniyey" keh kar bhaag jati hai
Ajnabi larki shaid piyar karti hai mujh sey
Aesa mehsoos hota hai janey kiyon mujhey
Dil bhi kitna pagal hai
Kiya kiya sochta rehta hain
Kuch masoom sey jazbey hain
Kuch undekhey sapney hain
Mager woh nahin janti shaied...!!!
Meri Zindagi To wo hee hay.
Main ne socha tha teri aankh ki gahrayee men
bhool kar gardish - e - aiyaam ko kho jaoon ga
jab satayegi mujhe dhoop ghamon ki aa kar
teri zulfon ki ghani hasee chhaon men kho jaoonga
Main ne socha tha haseen reshmi aanchal pe tere
ashk mere chamak utthen ge sitare ban kar
bahr - e - gham men jo kabhi doobne lag jaoonga
dast - e - rangeen chale ayen ge kinare ban kar
Main ne socha tha takhaiul pe tu hi tu ho gi
tu hi afsane ka unwan, tu hi mazmoon-e-ghazal
saya-e-zulf jahan par bhi parega tera
main banaoon ga wahan ek haseen Taj Mahal
Main ne socha tha ki ajayenge jab tere qadam
mere aangan mein utar aayega khud jaise qamar
bhool jaoonga koi shai hai shab-e-furqat bhi
tere jalwon se rahegi hama auqat sahar
Main ne socha tha tere qurb ki daulat pa kar
apne ghar, apne muqaddar pe main itraoonga
kya khabar thi tu kisi aur ki ho jaye gi
aur main khwab sajata hua rah jaoon ga
Ab yeh socha hai na dekhen ge kabhi khwab kabhi
kyunki har khwab ki taabeer kahan hoti hai
jis ko chaha hai dil - o - jaan se wohi mil jaye
aisi har shakhs ki taqdeer kahan hoti hai
Mujhey lagta hai aesa kabhi kabhi
Jaisy woh ajnabi larki
Mujh sey piyar karti hai
Mujhey chahti hai
Akser yunhi chup chup ker
Dekhti hai, janey kiya soch ker
Nazren chura jati hai
Kuch ghabra si jati hai
Apney aanchal ko hawaoon k zoor per lehrati hai
Mehsoos mujhey yeh hota hai k
Shaid mujhey woh bohat chahti hai
Mujhey aesa ehsas dilati hai jesay
Woh mujh sey kuch kehna chahti hai
Meray pochnay per kuch sharma si jati hai
Kuch ghabra si jati hai
"Suniyey" keh kar bhaag jati hai
Ajnabi larki shaid piyar karti hai mujh sey
Aesa mehsoos hota hai janey kiyon mujhey
Dil bhi kitna pagal hai
Kiya kiya sochta rehta hain
Kuch masoom sey jazbey hain
Kuch undekhey sapney hain
Mager woh nahin janti shaied...!!!
Meri Zindagi To wo hee hay.
HMMM very nice..thnx GOD sun hi li dil ki baat aapny bhii......:fest20[1]:
Main ne socha tha teri aankh ki gahrayee men
bhool kar gardish - e - aiyaam ko kho jaoon ga
jab satayegi mujhe dhoop ghamon ki aa kar
teri zulfon ki ghani hasee chhaon men kho jaoonga
Main ne socha tha haseen reshmi aanchal pe tere
ashk mere chamak utthen ge sitare ban kar
bahr - e - gham men jo kabhi doobne lag jaoonga
dast - e - rangeen chale ayen ge kinare ban kar
Main ne socha tha takhaiul pe tu hi tu ho gi
tu hi afsane ka unwan, tu hi mazmoon-e-ghazal
saya-e-zulf jahan par bhi parega tera
main banaoon ga wahan ek haseen Taj Mahal
Main ne socha tha ki ajayenge jab tere qadam
mere aangan mein utar aayega khud jaise qamar
bhool jaoonga koi shai hai shab-e-furqat bhi
tere jalwon se rahegi hama auqat sahar
Main ne socha tha tere qurb ki daulat pa kar
apne ghar, apne muqaddar pe main itraoonga
kya khabar thi tu kisi aur ki ho jaye gi
aur main khwab sajata hua rah jaoon ga
Ab yeh socha hai na dekhen ge kabhi khwab kabhi
kyunki har khwab ki taabeer kahan hoti hai
jis ko chaha hai dil - o - jaan se wohi mil jaye
aisi har shakhs ki taqdeer kahan hoti hai
wwoww super ...hm and i know that...aesa hi kuch hai....:love3[1]: keep it up bacha my aashward hai hi na alwayz with u....dont u worry..
Bohat Mumkin tha
Merey Paoo'n , Meri Zeest ke
Kaantey Nikal Jaatey
Bohat Mumkin tha
Meri Raah ke Pathar Pighal Jaatey
Jo Deewaarein Merey Raste mein Haayel Thein
Merey Aagey Se Hatt Jaatein
Agar Tum Aankh Utha Kar Dekh Letey
Kohsaaroo'n ki taraf Aik Pal
Chataanein Ik Tumhari Junbash-e-Abroo se Katt Jatein
Bohat Munkin tha Angaaroo'n Bhari
Iss Zindegaani mein
Tumhaarey Paaoo'n ke Ujley Kanwal Khiltey
Rafaaqat ki Sunehri Jheel Mein
Dono ke Aks-e-Zofishaa'n Hiltey
Bus Ik Khaab-e-Musalsal ki Faza Rehti
Hamari Rooh kab Ham se Khafa Rehti ?
Yeh Sab Kuch Ain Mumkin Tha
Agar Tum Mujh Ko Mil Jaatey !
wwoww ye nice poetries bhi kitni great hoti han dil k sab hi secrets open kar deeti han....sab hi ko apny hi heart ki voice feel hootti hai.....thnx for nice sharing Aps jii....:piano:
head phone laga ker suni hai:biggrin
head ph se bhi super thing se sunii hai....:fest20[1]:
bohat hi muddat ke bad kal jab
kitab e mazi ko main ne khola
bohat se chehray nazar main utray
bohat se namon pe dil paseeja
ik aisa safha bhi us main aya
likha hua tha jo aansuon se
keh jis ka unwaan Hamsafar tha
yeh safha sab se hi moatbar tha
kuch or ansoo phir us pe tapke
phir us se agay main perh na paya
kitab e mazi ko band ker ke
use ki yadon main kho gia main
ager wo milta to kaisa hota
inhi khiyalon main so gia main
mujhe gale se lagaalo
buhut udaas hon mai
gham e jahan se churalo
buhut udaas hon mai
yeh intizaar ka dukh
ab saha nahi jata
tadap rahi hai muhabbat
ab raha nahi jata
tum apne pass bulalo
buhut udaas hon mai
har ek saans mai
milne ki piyas palti hai
sulag raha hai badan
aur rooh jalti hai
bacha sako to bachalo
buhut udaas hon mai
bhatak chuka hon buhut
zindagi ki raahon mai
mijhe ab aake chupalo
apni baanhoon mai
mera sawaal na taalo
buhut udaas ho mai
"aay muhabbat!teri qismat k tujhay muft milay
hamse danaa jo kamalaat kiya krtay thay
khushk matti ko bhi eemaraat kiya krtay thay
aay muhabbat!ye tera bakht k be-mol milay
hamse anmol jo heeron main tula krtay thay
hamse mun zor jo bhonchaal utha rakhtay thay
aay muhabbat meri!ham tairay mujrim thehray
ham jaisay jo logon se sawalaat kiya krtay thay
ham jo so bat ki ik bat kiya krtay thay
teri tehveel main aanay se zara pehlay tak
ham bhi is shehr main izzat se raha krtay thay!!!
ham bigartay to kai kam bana krtay thay
aur ab teri sakhawat k ghanay saaye main
khalqat e shehr ko ham zinda tamasha thehray
aay muhabbat!!zara andaaz badal lay apna!!!
tujhko aaindah bhi ishaak ka khun pina hai
ham to mar jain gay tujhko to mager jeena hai!!!!"
Wo pal tanhai ke wo mithi mithi yaadain,
Kuch nami sazi ashqo ke wo sadiyo lambi raatain;
Saanso se uljhi sard hawa jaane kya baat sunaye,
Tute patto pe chalte kadam tere aane ki chaah jagaye;
Maddham sa lagta suraj jab mausam bhina ho jaye,
Halka sa ujla dhuaan khwaab sa kyun ban jaye;
Milker bhule na kuch thi aesi natkhat wo shaitaan,
Ab to chehre per padhta hai harkoi uska naam;
Har shakhs mai tera aks dikha tu es'se anjaan,
Dil ki dharkan mai chup ja jaise patthar me bhagwan;
Kiski nazroon main dekhun khud ko bhuli bisri yaadain,
Tum bin kaise jite hain gar mar jaate to samjhaate;
Wo pal tanhai ke wo mithi mithi yaadain;
Kuch nami sazi ashqo ke wo sadiyo lambi raatain
main sahil ore neela pani
teeno achay sathi ha
ek din thandi rayt per tanha
dekh k mugh ko lahrain bolien
iss neelay pani k ander
jitnay moti ha sab chun lo
maan ko khushio say tum bher lo
yeh pagli lahrain kya janain
seep ore moti,sona chandi
MERAY SAJAN JAISAY
KAB HAIN
Rahoon key andheray
Dhaltey sooraj
Doobtey sawairay
Aankhoon key damen mein
Khauf key baseyray
In soochoon pey ik pehra
Ik anjana sa chehrah
Is lamha e tanhai mein
Yeh lamha kitna gehra
Key doobi in rahoon mein
Ab doobey man mera
Tu jo boley chahey
Mangley mujh sey
jeeta hoon is khauf mein
ab chalney laga hoon
jalney laga hoon
marney laga hoon teray khauf mein
WOHI TAKRAR LAFZOON KI
WOHI ANDASHAY FURKAT KAY
WOHI ANJAAN SI DASTAK
WOHI HAR BAAT PAY RANJISH
WOHI HAR BAAT PAY LARNA
WOHI BEMANI BATOON MAIN HUMARA ZIKAR LAY ANA
HUMAIN PARDE SAY CHUP KAR DEYKHNA AUR MUSKARANA
WOHI MUSKAAN DHEMI SI
WOHI KUCH BOLTI ANKHAIN
WOHI CHUP CHAP SA LEHJA
WOHI BECHAIN SI HULCHUL
WOHI SAKHIYOON SAY KATRANA
WOHI SAYE SAY GABRANA
WOHI KEHNAY SAY KUCH DARNA
WOHI BEWAJA ITHLANA
SABHI AASAR YEH KEHTE HAIN
USAY MUJ SAY MOHABAT HAI
USAY MUJ SAY MOHABAT HAI
koi pooch ley tou mein kia kahoon
ussey kia bataaoun
yeh roz-o-shab tou janam janam per muheet hai
meray zakhm zakhm dil-o-nazar
mujhey iss janam mein nahin miley
meray rat-jagey meray ham-safar
meray saath aaj nahin chaley
yeh maheeb wehshat-e-fiker joo
meray naqsh nqash ki rooh hai
koi bey-sabaat bayaa'n nahin
yeh aasmaaoun ka aks hai
yeh tou dewtaaoun ka dhiyaan hai
yeh tuu jeeney kaisee
sadi sadi ki aziiyatoun ka bayaan hai
yeh ajeeb meray gham-o-alam
yeh naseeb sang-e-siyaah per
yeh warq warq pey garhey qalam
yeh qaraa hisaar nayaa nahin
mera intizaar qadeem hai
mera uss sey piyaar qadeem hai
yeh ajeeb meri muhabbbatin ...!!
us nay kaha aao
us nay kaha thehro
muskao kaha us nay
marr jao kaha us nay
mein aaya
mein theher gya
muskaya
aur marr bhi gya
Meray baykhabar tujhay kya pata ...
teri arzuoon kay dosh par..
teri kayfiyaat kay jaam main ...
main jo kitni sadiyoon say qeid hoon ...
teray naqsh main .. teray naam main ...
meray khowaab meri kahaniyaan ...
meray zaiechay .. meray rastay ...
Meray laikh ki yeh nishaniyaan ...
teri chah main hain ruki hoi ...
kabhi ansuoon ki qatar main ...
kabhi patharoon kay hisaar main ...
Kabhi dasht e hijr ki raat main ...
kabhi badnaseebi ki ghaat main ...
kaie rang dhooop say jal gaey ...
kaie chaand shakh say dhal gaey ...
kaie ta'n sulag kay pighal gaey ...
teri ulfatoon kay qeyaam main ...
teray dard kay dar o baam main ...
koi kab say sabt e saleeb hai
teri kaienaat ki raat main ...
Teray asdahaam ki shaam main ...
Tujhay kya khabar tujhay kya pata ...
Ager keh do
yeh bujhti shammayein aur yeh deep'
phir se jugmaagaeingey
andheeron ke yeh saaey rooshni mein ghum hojaeingey
ager keh do
yeh kaliyaan' yeh bahaarien muskuraayeingi
tumhare pyar ki ***hboo hawaa'on mein basaaiyeingi
Mohabbat mein humein saawun ke jhooley yeh jhulaayingi
tao phir in baadloon ke sang humein os paar aana hai
jahaan tum aur tumhari khwaahishon ka ik khazana hai
mujeh maloom hai tum ko jahaan pe laut jana hai
ager keh do
tao sari xumur mein raste sajaoongi
tumhari yaad k ansoo aankhoon mein basaoongi
tumhari waapsi aur milun ke geet gaaongi
AGER KEH DO
TUMHE MUJH SE MOHABBAT HAI
tao pulkoon k kinaaron pe haseen kuch khwaab tik jaaein
humari rooti ankhoon pe yeh saare ashuk ruk jaaein
ghataayein runj-o-ghum ki dil ke angun se saaruk jaein
AGER KEH DO
AGER KEH DO...............
Mujhay aur kahin le chal sanwal
jahan raat kabhi b soi na ho
jahan subah kissi pe roi na ho
jahan hijer ne wehshat boi na ho
jahan koi kissi ki khoi na ho
Mujhay aur kahin le chal sanwal
jahan nafrat dil mein bus na sake
jahan koi kissi ko dus na sake
jahan koi kissi pe huss na sake
jahan koi b gunjal kass na sake
Mujhay aur kahin le chal sanwal
jahan dard kissi ko raas na ho
jahan koi b uddas na ho
jahan zulmat ki boo bass na ho
jahan too b ziada pass na ho
Mujhay aur kahin le chal sanwal
Tuhmatai'n tou lagtee hai'n
Roshni ki khwahish mei'n
Ghar sai baher anay ki
Kuch saza tou milti hai
Loag, loag hotay hai'n
Oon ko kia khabar jana'n
Aap k irado'n ki
Khoobsoorat aankho'n mei'n
Basnay walay khwabo'n kai
Rang kaisay hotay hai'n
Dil ki goad aangan mei'n
Palnay wali bato'n kai
Zakhm kaisay hotay hai'n
Kitnay gehray hotay hai'n
Kab yeh soch saktay hai'n
Aisi bai gunah aankhai'n
Ghar k konay khudro'n mei'n
Chup k kitna roti hai'n
Phir bhi yeh kahani sai
Apni kaj bayani sai
Is qadar rawani sai
Dastaa'n sunatay hai'n
Or yaqeen ki aankhai'n
Sach kai gham zada'h dil sai
Lag kai ronay lagtee hain
Tum ko kia khabar jana'n
Tuhmatain tou lagtee hai'n
Mohabbat roog hoti hai kaha bhi tha
rula ker khud bhi rooti hai kaha bhi tha
kinaarey k qareeb ley jaa ker
yeh kashti ko daboti hai kaha bhi tha
isey tum dil ki dhurti ka pata mut do
yeh is mein dard booti hai kaha bhi tha
mohabbat k baad ***hi mein ghum ki rut
buhat nazdeek hoti hai kaha bhi tha
luta ker dil ko roone se bhi kya hasil
buhat nayaab mooti hai kaha bhi tha
azul se is ki fitrut hai zamane ko
jaga ker khud sooti hai kaha bhi tha
yeh sir se paaon tuk bas raakh kerdeygi
BUHAT BEY DARD HOTI HAI KAHA BHI THA !!!!
Bohat dino ki baat thi
shabab per bahar thi
fiza bhi khushgawar thi
na jaane kioun machal para
main apne ghar se chal para
kisi ne mujh ko rok ker
bari aada se tok ker
kaha ke laut ayyee
meri qasam na jayyee
meri qasam na jayyee
magar mujhe khabar na thi
mahaul per nazar na thi
na janey kioun machal para
main apney ghar se chal para
phir shehar se main aa gaya
khayal tha ke paa gaya
usey jo mujh se durr thi
magar meri zaroor thi
phir ik haseen shaam ko
main chal para salam ko
gali ka rang dekh ker
naye tarang dekh ker
mujhe bari khushi hui
mujhe bari khushi hui
main kuch isi khushi main tha
kisi ne bahir jhank ker kaha
paraye ghar se jayyee
meri qasam na ayyee
meri qasam na ayyee
wohi haseen shaam hai
bahar jis ka naam hai
chala hoon ghar ko chor ker
na janey jaoon ga kidhar
koi nahin jo rok ker
koi nahin jo tok ker
kahay ke laut ayyee
meri qasam na jayyee
meri qasam na jayyee
Erum Zehra
02-13-2007, 02:02 PM
wah aps ji zabardast !
Mohabbat roog hoti hai kaha bhi tha
rula ker khud bhi rooti hai kaha bhi tha
kinaarey k qareeb ley jaa ker
yeh kashti ko daboti hai kaha bhi tha
isey tum dil ki dhurti ka pata mut do
yeh is mein dard booti hai kaha bhi tha
mohabbat k baad ***hi mein ghum ki rut
buhat nazdeek hoti hai kaha bhi tha
luta ker dil ko roone se bhi kya hasil
buhat nayaab mooti hai kaha bhi tha
azul se is ki fitrut hai zamane ko
jaga ker khud sooti hai kaha bhi tha
yeh sir se paaon tuk bas raakh kerdeygi
BUHAT BEY DARD HOTI HAI KAHA BHI THA !!!!
:shandar[1]: :piano:
Mujhe aksar woh kehti thi
k itni baar kehte ho
"mujhe tum se mohabbat hai"
k ab dil pe yeh kehne se
asar koi nahi hota
magar jab aaj daanista
nahi bola ussay main ne
"mujhe tum se mohabbat hai"
to uss ki aankh bharr aai...
farz karo tum chat per baithe
apne baal sukhatey hoo.
farz karo ke dhoop
ka us din kuch kuch rang gulaabi hooo.
farz karo tum baithe
baithe gehri souch main kho jao.
baal sukhana choord ke sar
ghutnoon pe rakh kar so jao.
farz karo us neend main
tum ne dekha asai sapna hooo.
bekal hokar man ye chahey
kaash ye sapna apna hooooo.
farz karo tum khat likhne ko
kaghaz qalam uthatey hoo.
khat likhne se pehle kaghaz
ko khushboo khoob lagatey hooo.
farz karo alqaab pe aakar
qalam tumhara ruk jaey.
nazar tumhai dhak dhak
karke dil ki janib jhuk jaey.
farz karo aik naam likho
aur likh kar kato phir likho.
farz karo sapne afsane khat
ka naam muhabbat ho.
farz karo hum donon ke dil aik
hi saath dhardakte hooon.
farz karo ye saari baatain
FARZ na karni pardti hoon
sitaray jo damaktay hain
kisi ki chashm e hairaan mein
mulaqatein jo hoti hain
jamal e abr o baran mein
ye na`abad waqton mein
dil e nashad mein hogi
mohabbet ab nahin hogi
ye kuch din bad mein hogi
guzar jaein gay jab ye din
ye un ki yaad mein hogi
aana,
jab mere achhe din hon...
jab dil mein yaad ho tumhari
jalte diye ki tarah
aur man ke kisi kone mein
chubhti hon ichhayein...
soch phaili hui ho
door tak phaile neele samandar ki tarah
mujh par vishwas ho
adig khade parwat ki tarah
aana,
jab mere achhe din hon.........
jab tumhari yaadon par
dhool ki part na chadhi ho
aana,
tez bahti nadee ki tarah
bahane ke liye
jaise badal aate hain
roothi dharti ko
manane ke liye
jab main hatash rahoon
bahut hi nirash rahoon
toot chuka ho mera khud se vishwas
apni daya se labalab bhara rahoon
ghanghor andhere mein bas yun hi pada rahoon
tab mat aana......
daya ya upkaar ki tarah
aana..
agar aa sako,
thode se pyar ki tarah...
chhoona mujhe
aur dekhna
baaki hai abhi bhi sihran
us jagah
jahan chhua tha pahli baar tumne
aana..
jab mere achhe din hon....
TUM CHHAHO TO
ABHI BHI AA SAKTI HO
HO SAKTA HAI
TUMHARE AANE SE
MERE ACHHE DIN AA JAAYEIN
woh Nhi Hey.............
To Uss Ki Chahat Mein
Kis Liye................
Din Raat Sanwartay Ho?
Khud Se Be Rabt Batein Kartay Ho?
Apna Hi Aks Nochnay K Liye!
Khud Se.............ulajhtay Ho, Daraty Ho!
Hum Nah Kehtay Thay.............!
Hijer Walon Se..........
Aaina Guftagu Nhi Karta.
peyar ke fasaney mein
bab ye judai ka
kis ke meherbani hey
asl kia kahani hey
us ko bhi sunani hey
kash wo nazar aye
or merey dil se ye
bojh bhi utar jay
woh jo bare sukh mein hai
ussay kehna
k raat ka pichla pehr hai
aor abhi hum jaagtay hain
hamari aankhon se neend koson door hai
hamare lub abhi takk uss ke nagme gungunate hain
hamara zehn abhi takk uss ki baatein sochta hai
kabi hum hans dete hain
kabi jee bhar k rotay hain
shab-e-tanhai ki yakh-basta hawao !!!!
ussay kehna hum ab bhi ba-wazu ho ker tumhara naam lete hain
ussay kehna, ya apna naqsh dho jaye
ya phir se apna ho jaye !!!
Kisi larki se matt kehna
k uss se pyar kerte ho
agar be-dheyani mein yeh iqrar ker bethay
kisi se pyar ker bethay
to waadon ki dorr mein uljh ker toot jao gey
tumhare pyar ka agar uss ko ehsaas ho jaye
to ho sakta hai tum uss ka rang roop bann jao
mohabbat k safar mein shayed aisa maurr aa jaye
k tum narazgi ka barmala izhaar ker betho
koi inkaar ker betho
to yeh samjho, koi sheesha, koi dil toot jaye ga
k unn k dil buhut naazuk buhut kamzor hote hain
kisi larki k dil ka tootna bhi maut hoti hai
kisi larki se matt kehna
k uss se pyar kerte ho...
Haatheli par jise likhti mitati ho,
Woh naam mera he to hai.
Mehndi jiske naam ki rachai hai tune,
Woh naam mera he to hai.
Sunke jisko palke teri zhukh jaati hai,
Woh naam mera he to hai.
Dil pe tere jo naam likha hai,
Woh naam mera he to hai.
Tere hooton pe jo kaanp raha hai,
Woh naam mera he to hai.
Dhadkan main jo teri gunj raha hai,
Woh naam mera he to hai.
Apna naam jisse joda hai tune,
Woh naam mera he to hai.
Tere naam ke bina jo adhura hai,
Woh naam mera he to hai.
Meray aangan mein aao
toot'tay huye pattay to dekho
meri sab khirkiyoon per hijr ka kuhra jama hai
meray darwaazay ke baazoo
tumharay loutnay ki chah mein shal ho gaye hein
meray ghar ke chiraaghon ki her aik lou
dard mein doobi huii hai
woh dekho aatishdaan kis tarah soona para hai
woh dekho raat ka khana para hai
yeh dekho chai thandi ho rahi hai
tuharay khat, kitaabein, card, tohfay
mujhay milnay ki khawahish mein meray chaaron taraf bikhray hein
tumharay lams ki hiddat nahin to
meri pouron mein sardi jam gaii hai
tumhara hijr had se barh gaya hai
mujhay tanhaii chubhnay lagi hai
yeh barhti huii shave, yeh gadlay sleeper
meray baalon mein furqat jam gaii hai
main khud se raabta na tour baithon
kahein main hosla na chour baithon
kahein main hosla na chour baithon...........
Ab k saal kuch aisa karna
Apney pichley guzray saal k
Dukh sukh ka andaza karna
Bichrii yaadein taza karna
khuwaobon sa ik kagaz ley kar
Bhooley bichray pal likh lena
Phir iss beetey ik ik pal ka
Apney guzrey ik ik kal ka
Ik Ik mour ka ehata karna
Sarey dost akhata karna
Saree subhein hazir rakhna
Saree shamein paas bulana
Aur alawa in k dekhoo
sarey mausam dheyaan mein rakhna
Ik ik yaad gumaan mein rakhna
Phir mohtaat qiyaas lagana
Ger to khushiyaan barh jati hain
Tu phir tum ko meri taraf se yeh saal mubarak
Aur agar gham barh jaye to
To hum ko ik pal k liye zaroor yaad kerna
Dekho phir tum aisa karna
Meri khushiyaan tum ley lena
Mujh ko apney ghum dey dena
Ab k saal kuch! aisa karna
main Kya Kahoon Keh Meri Zindagi Kya Hai?
Ik Lamha Hai Jo Guzarta Hi Nahi
Ik Anso Hai Jo Girta Hi Nahi
Ik Khawab Hai Jo Tootta Hi Nahi
Ik Kisa Hai Jo Koi Sunta Hi Nahi
Ik Jam Hai Jo Chalakta Hi Nahi
Ik Waqiah Hai Jo Ghata Hi Nahi
Ik Saz Hai Jo Chirta Hi Nahi
Ik Gulab Hai Jo Khilta Hi Nahi
Ik Pahar Hai Jo Hatta Hi Nahi
Ik Badal Hai Jo Barasta Hi Nahi
Or
Ik Putla E Khak Hai Jo Mitta Hi Nahi
abr-e-bahaar ne
phuul kaa cheharaa
apane banafshii haath main lekar
aise chuumaa
phuul ke saare dukh
Khushbuu ban kar bah nikale hain
GER TUM HAMARE HOTE TO HUM
MOHABBAT KI INTEHA KERDETE
TUMHAIN PALKON ME SAJATE
TUMHAIN DIL ME JAGAH DETE
GER JO ROTH JATE TUM HUMSE
TUMHIAN BARE PYAR SE HUM MANATE
JO KHO JATI TUM KAHIN TO
KHOJ ME TERI ZAMEEN AASMAN AIK KERDETE
KABHI JO TUM KOI KHATA KERTE
TO WOH HUM APNE SIR LE LETE
GER JO HOTI APNI KHATA TO "Faraz"
TERE SAAMNE HUM APNA SIR JHUKA DETE
Ye "Aaj" jo kal main zinda tha
Ye "kal" jo aaj main zinda hai
Woh "kal" jo "kal" ke sath gia
Woh "kal" jo abhi aainda hai
Guzar chukay or aanay walay, jitnay "kal" hain, jitnay "kal" the!
Un ka koii wajood na hota
Hum or tum bay isam hi rehtay
"aaj" agar mojood na hota
Mumkin hai "aainda" sirf ik khuwaab ho jiss ki taabeeron main
Jeenay waali saari aankhain doob chuki hon!
( Lakin woh khud bujh kar bhi rukhshanda ho )
Ho sakta hai rafta ki dehleez pe tahri
Bhaid bhari is aankh ke ander
Chupa huva aainda ho!
Aainda ke moun pe padi ye ghaib ki chaadar
Uth jai to ho sakta hai
Iss main hamara or tumhara
( Ik ik lamha zinda ho )
( Roshan or taabinda ho!)
Lakin yeh bhi dhiyan main rakhna
Ho sakta hai aanay walay kal main hamara "aaj" na ho
or uss ki jaga
Ek asay waqt ka saaya sa raqsanda ho , jo
Maazii , haal , or mustaqbil ,
Teen kinaron waalay is darya ke andar
Apni apni mojain maartay chaltay hain
Phir us lehar main dhaltay hain
Jo subha-e-azal ko uchli or ab tuk kahin mualliq hai !
Uci mualliq lehar ke baykhud qatre hain hum ,
Hum or hum se arbon , kharbon
( Guzar chukay or aanay waalay )
So ay waqt ki hairat main kho janay waali aankh tehar !
"Aaj" ke pul per ruk kar aagay peechay daikh
Roshni or taareeqi shayad , ak daal ke patte hain !
Lamhon ke yeh farq nazar ka dhoka hai ,
Waqt ki is "nawaqti" ke saylaab main ___shayad !
"Aaj" hi waahid lamha hai !!
Umre rawan ki dasht main kho janay waali aankh tehar !!!!!
aainai kai
kitnai rang hain
woh dekhai to
kirnain phootain
kaus-e-kaza si banti jai
rangoon ki barish si ho
aainai kai samnai bethi
apnai aap sai woh sharmai
mein dekhoon to
rang koi na ai
aainai kai
kitnai rang hain
jeisey pooja tha khuda se ziyada..
jeisey samjha tha hur khushi se ziyada..
jeisey chaha tha khud se ziyada..
...Ajj ushi ne yeh sath churaa...
...Ajj ushi ne yeh hath churaa...
jeisey piyaar kiya tha upni jaan se ziyada..
jeisey mana tha is jahan se ziyada...
jeisey pokara tha upni zindagi se ziyada..
...Ajj ushi ne hur naata toura..
...hum ko beech safar mein akeila chura...
jeisey yaad kiya tha hur dharkun se ziyada..
jeisey soucha tha is kiynat se ziyada..
jeisey manga tha hur dua se ziyada..
...Ajj ushi ne yeh kaha...
... usse nafrat hai mujhse.. nafrat se ziyada..!!
"Gum kay sholo main jalnay ke siva
Tere isq main mila kia mujhko dard ke siva
Daali say phoolo ko girnay na diya
Aur khushboo ko hawaaon main bikhrnay N diya
Tujhko ruswai say bachane kay liye
Maine aansoo bhi aankho say nikal ne na diya
Phir bhi mujhko mila kia tanhayee kai siva
Tere isq main mila kia mujhko dard ke siva
Paid say toote hui patto ki tarah
Main hava main uda hoon khaak ki tarah
Maine her pal teri khishi ki duva mangi hai
Main kyon N bikhar jaaon bujhi raakh ki tarah
Zindagi kucch nahi ab pereshani ke siva
Tere isq main mila kia mujhko dard ke siva
Maine dil ki dharkan say tujhko sadayein di hai
Teri har baat ko zindagi ki vafaein di hai
Tune tarap kay siva aur kuchh na diya
Teri yaadon ka huzum aakay rulane kay siva
Tere isq main mila kia mujhko dard ke siva
Ab na dil lagaounga kasam khata hoon
Itna khauff hai ki apnay saye say bhi ghabrata hoon
Kiss khubsurti say tabah kiya hai tune
Main muhbbat kay khiyaal say bhi dar jata hoon
Tereay waade ,teri tasveer kay tukdo kay siva
Tere isq main mila kia mujhko dard ke siva
Is ke nazdeek gham-e tark-e wafa kuch bhi nahin
Mutmain aisa hay ke jaisay huwa kuch bhi nahin
Mein to is wastay chup hoon ke tamasha na banay
woh samajhta hay ke mujhey is se gila kuch bhi nahin
Ab to mere hathon ki lakeerein bhi miti jati hain
usey kho kar to mere pass bacha kuch bhi nahin
kal bicharna hai to wada-e-nibah soch kar bandh
yeh aaghaz-e-muhabbat hai gaya kuch bhi nahin
Ek Tum hi say hay mansoob khushi
ek tumharay rooth janay say
kissi ko kuch nahi hota
pholl bhi mehaktay hain
rang bhi damaktay hain
suraj bhi bikalta hay
taray bhi chamaktay hain
lakin ithna zaroor hota hay
aik tumharay rooth janay say
*Main hansna bhool jati hoon*
""Maine to tumse pyar kiya tha,
dil jaan apna tum pe nissar kiya tha,
chorhogay na saath mera saari zindagi,
wafa ka tumne bhi ikraar kiya tha,
hamne to tumhari rahon par phool bichaye the,
un rahon ke kaante apne haathon se uthaye the,
magar ey-bewafa tune meri wafa ka kya sila diya,
gair ki khatir mujhko dil se bhula diya,
main koun hoon tumhari jo mujhe yaad karo tum,
apne do aansoo bhi mujh par barbaad karo tum,
is dil main jo basa tha pyar tera,
maine bhi us dil ko hi tor diya,
jo gali tere ghar tak jaati thi,
us gali se hi maine mooh morh liya,
badnaam na ho jaaye tu dunia main kaheen ,
isliye tera naam lena hi **** diya,
jab kabhi bhi yaad aayegi tumhari,
samjhain ge kabhi tumhe chaha hi nahi,
jab bhi tum rahon main nazar aayogay,
sochainge tumhe dekha hi nahi
tu jahaan bhi rahe sada khush rahe,
tujhe dil se main bhula rahi hoon,
tere pyar ki jo haseen yaadain hain dil main,
un yaadon ko louta rahi hoon,
tumhari bewafai ka kya charcha karoon,
apni wafa pe sharma rahi hoon,
mujhe tumhari bewafai se koi shikwa nahi,
main tumhari zindagi se ja rahi hoon"
Mahobat he duia mahobat he talab
Mahobat he arzoo mahobat he jistajo
Mahobat he wo hesas kise ko panee ka
Mahobat he wo beqarare kise se milne ke
Mahobat he wo peyass jis ki koye had nahi
Mahobat he wo mhetash jis ka koye peman nahi
Mahobat he duia mahobat he talab
Mahobat he arzoo mahobat he jistajo
Mahobat he ek wafa umer bher ki sath ka
Mahobat he ek haya peyar ki jhalak ki
Mahobat he ek nigha kise ke intazar ki
Mahobat he ek ada kise ki dewange ki
Mahobat he duia mahobat he talab
Mahobat he arzoo mahobat he jistajo
Mahobat he wo ***hboo kise ki ***huo ki
Mahobat he wo khomaree kise ki chahat ki
Mahobat he wo gazal kise shayer ki
Mahobat he wo sadge tere mere peyar ki
Mahobat he duia mahobat he talab
Mahobat he arzoo mahobat he jistajo
tu Aik Ooncha Pair Hai
Main Nanhi Si Bail
Mujhe Sahara De Ga To Uth Jaaoo'n Gi
Yaad Rahe
Main Iss Ehsaan Ka Badla Doo'n Gi
Teri Shakhoo'n Ke Daaman Ko
Phooloo'n Se Bhar Doo'n Gi
Ye Pyar Main Kyun Hota Hay?
Kyun Kise Ko Wafa K Badle Wafa Nahi Melte?
Kyun Kese Ko Dua K Badle Dua Nahi Melte ?
Kyun Kese Ko Khushi K Badle Khushi Nahi Melte?
Ye Pyar Main Kyun Hota Hay ?
Ye Pyar Main Kyun Hota Hay?
Kyun Kese Ko Wafa K Badle Wafa Nahi Melte?
Log Ishq Main Kia Se Kia Hoye
Meel Gay Kabhi Pher Joda Hoye
Bas Kheza Mele Is Bahar Main
Umer Kat Rahee Intezar Main
Kyun Kise Ko Hanse K Badle Hanse Nahi Melte ?
Kyun Kese Ko Wafa K Badle Wafa Nahi Melte ?
Ye Pal Kahien Thehra Nahi Yadon Pe To Pehra Nahi Jab Dawa Se Bhi Zakham Na bhare
Aesy Hal Main Socho Koe Kia Kary ?
Kyun Kese Ko Khushi K Badle Khushi Nahi Melte ?
Kyun Kese Ko Wafa K Badle Wafa Nahi Melte?
Ye Pyar Main Kyun Hota Hay?
Kyun Kese Ko Wafa K badle Wafa Nahi Melte
Ye Pyar Main Kyun Hota Hay
Tumhain udaas pata hoon main kai din sey
Na-jane koun sey sadmey utha rahi ho tum!
Wo shokhiyaa.n, wo tabas'sum, wo qehqahe na rahey
Har aik cheez ko hasrat sey deekhti ho tum
Chupa chupa k khamoshi main apni be-chaini
Khud apney raaz ki tash-heer ban gai ho tum
Meri umeed agar mit gai tu mitne do
Umeed kya hay? bas ik paish-o pass hay, kutch bhi nahi
meri hayaat ki ghamgeeniyoo.n ka gham na karo
gham-e hayaat gham-e yak-nafas hay, kutch bhi nahi!
tum apney husn ki ra'anaiyoo.n pe rehm karo
Wafa fareeb hay, tool-e hawis hay, kutch bhi nahi!
mujhe tumharey takhaful sey kyu shikayat ho
meri fana mere ahsaas ka taaza hay
main janta hoon duniya ka khouf hay tum ko
mujhe khabar hay ye duniya ajeeb duniya hay
Yahan hayaat k pardey main mout palti hay
shikast-e saaz ki aawaz roh- e- naghma hay!
mujhe tumhaari judaai ka koi ranj nahi
merey khayyal ki duniya main merey paas ho tum
ye tum nay theek kaha hay tumhain mila na karoon
magar mujhe ye bata do k kyu udaas ho tum?
khafa na hona meri jur'rat-e takhaatub per
tumhain khaber hay meri zindagi ki aas ho tum!!
magar Khuda k liye tum aseer-e gham na raho!
yahan pe koun howa hay kisi ka socho tu
mujhe kasam hay meri dukh bhari jawaani ki
main khush hoon, meri mohabbat kk phool thukra do!
main apni roh ki har ik khushi mita loon ga
magar tumhaari musar'rat mita nahi sakta
main khud ko mout k haathoon main sonp sakta hon
magar ye baar-e masaib utha nahi sakta!
tumhaarey gham k siwa aur bhi tu gham hain mujhe
nijaat jin sey maini lehza bhi paa nahi sakta!!
ye oonchey oonchey makanoo ki devriyoo.n k tale
har aik gaam pe bhoke bhikaariyoo.n ki sada
har aik ghar main hay iflaas aur bhook ka shor
har aik simt pe insaniyat ki aah-o baka
ye kaar-khaanoo.n main lohey ka shor-o ghul jin main
hay dafn laakhoo.n ghareeboo.n ki roh ka naghma
ye shah-rah'oo.n pe rang'geen saariyoo.n ki chamak
ye jhonproo.n main ghareeboo.n k be-kafan laashe
ye patriyoo.n pe ghareeboo.n k zard ro bachey
gali gali main ye bikte howe jawaa.n chehrey
Haseen aankhoo.n main afsurdagi si chaaii hoi
ye jang aur ye merey watan k shokh jawaa.n
khareedi jaati hain uth-ti jawaniyaa.n jin ki
ye baat baat pe qanoon -o- zabtey ki girift
ye zilatai.n, ye ghulaami, ye dour-e majboori
YE gham bohat hain meri zindagi mitane ko
UDAAS REH K MEREY DILL KO AUR RANg NA DO!!!!!!
Khoshi bhi zindagi ka kissa hai
Gham bhi zindagi ka hissa hai
Kyon mayoos ho bethe ho zindagi se
Zindagi khojna bhi zindagi ka hissa hai
Ye hasna ye rona to chalta hi rahe ga
Jo koi mile ga to koi cichadta bhi rahe ga
Kyon darte ho tum kisi ko pyar karne se
Dilbar ban kar zindagi dilke paas woh rahe ga
Soraj bhi dhalta hai nai soboh ki aas main
Main bhi bhatakta hoon tumhare pyar ki pyas main
Kyon nahi milti tum mujhe omar bhar ke lye
Dhondhta hoon tumhe yahan wahan zindagi ke lye...
itnay bars ki doori aur mehjori k
afsoon e safr may lipta hua
ik shaks achanak aan milla
may osko daykh ker shushder tha
woh bhi mujh say heyran milla
ye waqt bhi kitna zalim hay!
is hijr may kia kia roye thay hum
is yaad may kia kia khoye thay hum!
kuch dayre to dono chupp say rahay,
phir osnay kaha__"tum kaisay ho?"
phir maynay kaha__"bas acha hoon?"
phir osnay kaha,
"ye itnay dino ka baad ka milna khawab raha....!
koi puraana dost millay to dil ko bhalla sa lagta hay....
ye shaher to bilkul badal gaya.....ab chalti hoon.....!"
phir maynay kaha,
"may shaam samy her rooz yehan per aata hoon.....
jab waqt milay tum aajana...
is waqt mujhay bhi jaldi hay.....ab chalta hoon!"
ye waqt bhi kitna zalim hay!!!!!!!!!
Mein Janti Hoon Meri Zindagi k Din Kum Hein
K Merey Pass Ab Khushi K Din Kum Hein
Magar Chahati Hoon Kuch Aisa Kam Kar Jaon
Khuda Ki Nazar Mein Makam Kar Jaon
Magar Jo Chahati Hoon Kuch Bhi Aisa Nahi
Jo Sochati Hoon Kuch Bhi Waisa NAhi
Kash Merey Dil Ki Ahaein Asman TAk JAein
Jo Merey Dil Ki hain Duwaein Khuda Tak Jaein
A Khuda Sunley Tu Is Bande Ki Pukar
Na Rakh Tu Apni Nazar Mein Qehro-Inqar
Mayos Nahi Ye Bande Teri, Teri Rehmat Say
Na KAr Issay Mehroom Apni Haseen Jannat Sey
Mera Wada Hey Tujhsey Teri RAh Mein Jan Donge
Apni Bakhshish Sey Logon Ko Teri Pehchan Donge
Tu Ye Kehta Hey Mangogey Tu Sela Donga
Mein Apni Faryad Sey Sara Arsh Hiladonge
Tu Qabol Kerney Wala Hey Qabol Kar Meri Duwaein
Merey Angan Bhi Bhej Musarraton Ki Hawaein
Kab Tak Doon Akhir Tujhko Sadayein
Teri Rehmat Key Intezar Mein Sans Ruk Jaye
Tu Mera Ghum Sey Bhara Dil Beqarar Azma
Mera Sabar Aur Mera Intezar Azma
Bande Khata Kar Hey Yeh Bhol Karte hey
Magar Tu Bhi Tu Touba Qabol Karta Hey
Jo Mein Mangoon Tu RAat Sehar Ho Jaye
Meri Dua Mein Itna Usar Ho Jayee
Tu Mujhey Woh Sub Dey Jo Mein Chahati Hoon
Phir Dekh Teri Rah Mein Kaisey ATai Hoon
Tu Khaliq Mera Mein Sharminda Teri Hoon
Chaheay Kasi Bhi Sahi ,Bande Teri Hoon
MArney K Bad Bhi Aur Zinda Teri Hoon
os nay poocha tha wafa ki babatt
derd berhta gaya berhta he gaya
kuch kaha shama nay aur perwana
rakz kerta gaya kerta he gaya....
os nay pocha k meray DIL may hay kiya?
DIL jo dharka to dharakta he gaya
cheen ker neend WO bola, KIO KER?
khawab merta gaya merta he gaya
meray ashkoon ka sababb mat pocho
jaam chalka to chalakta he gaya
tumhari justaju mujhey kahan kahan liye phiri
mujhey woh din bhi yaad hai
bichri sa'atoon ne siskiyaan bhareen
rifaqateen sadaayein deti reh gaein
yeh nik'hatoon ke qaflay palat ke phir na ayein ge
ye ik nai sehr tolou phir kabhi na ho sakay gi
soch lo
is ik din, is ik shab
tumhari hukmeraniyoon main arzoo mehr'o maah hain
sitarey gird'e rah hain
naya ufaaq nazar ki inteha hai, ibteda nahi
yeh lala go shaafaq tilism'e rang ke siwa nahi
harey bharey shajar ki mehrbaan udas chaoon
door tak mujhey batane aai thi, kahaan chaleen
ke rah main faqat ghanay darakht hi nahi
badalte moasaam ki sakhtiyaan bhi hain
dasht'e be amaaN bhi hai
mayre naheef bazo ko choom kar
mayre qadam pe shaaq shaaq jhuk gai thi piyar se
dehaakte rah'guzar main sarab bhi faraat bhi
faraat ke sabou main tishnagi bhi hai
libaas zaat main hai poori kainaat bhi
tou kainaat'e zaat ki shikast'o barhami bhi hai
bikhar gai agar to kiya karoo gi tum ?
tamam kirchiyaan na chun sakoogi tum
kali kali ki chashm'e tar main ansoo ko poonch kar
duayein deti reh gai
najanay kiun mujhe ye aitbaar tha
Makeen'e dil
subh'e jaan!
tumhain bhi mayra intezar tha
taveel rah ke paich'o kham mayre figaar'e jism'e na tawaaN se sharam'sar hain
musafatoon ki gard se mayri jabeen ka rang aur bhi nikhar gaya
sau'batoon ki dhoop main mayre gharoor ka jamal aur bhi sanwaar gaya
tumahrey samnay kahri hui
main daad khawah bhi nahi
kuch ishtabaah bhi nahi
tum aaj bhi mayre her aik khawb se haseen ho
ke aaj bhi mayri nigaah'e shouq ka yaqeen ho
tumhari arzoo mujhey jahaan se jahut main zamaaN zamaaN liye phiri
mayri talab ka naaz aaj shikaasht'e ashnaa na tha
woh koon sa fasana tha jo main ne mushafat'e niyaaz main likha na tha
tum is qadar khamoosh ho ke kiya kahoon
khud! na karda kis ghubar'e muzmahil main khoo gai
tum aaj mayre samne ho mayre apne ajnabi
na janay aaina shikasta hai
ke main thak gai hoon
Tum Ko Daikhoon To Zahn Mai Ik Swal Aata Hai...
Zahn K Her Goshy Mai Ik Swal Aata HAi...
Per Meri Baat Ko Mzaq Mai Tall Doo Gey..
Tum KO Buss Yahi Too IK Kmaal Aata Hai!!!!
Ye Sach Kaha Tha Kisi Ne
Na Karo Ishq Kisi Se
Bohut Karha Ye Safar Hai
Magar Ye Bhool To Kar Li
Tan Ko Sehra Kar Diya Aur
Mann Ko Dariya Kar Diya
Magar Ab Sochta Hoon Ye
Ke Wo Sab Log Sachey They
Isey To Paa Na Sakey Hum
Aur Khud Ko Bhi Ganwaa Dala
"us nai phool bhaijai hain
phir meri ayadat ko
aik aik patti mein
un laboon ki narmi hai
un jameel hathoon ki
khushgawar hiddat hai
un lateef sansoon ki
dilnawaz khushboo hai
phir bhi dil ye kehta hai
baat kuch bana laita
waqt kai khazanai sai
aik pal chura laita
kash woh khud ajata "
Zaroori tu nahi ke jin ke liey sahara ho Zaroori tu nahi ke hum jin ke hain woh bhi humara ho
kuch kashtiyan doob bhi jaya karti hain
zaroori tu nahi ke har kashti ke liye kinara ho
Hume zaroorat hi nahi ke jin ke liye sahara ho
hum un ke hain woh bhi bohaut hai,woh kion humara ho
ye such hai ke kuch kashtian doob bhi jaya karti hain
par sahil tu wahi rehta hai, kinara ho ya na ho
mana ke jin ke liey humain koi sahara nahi
par sahara hota tu kuch aur baat hoti
koi shaq nahi ke hum un ke hain
par woh bhi humarey hotey tu kuch aur baat hoti
doob gai kashti koi gham nahi,par kinara mila hota tu koi aur baat hoti
Mahobat he duia mahobat he talab
Mahobat he arzoo mahobat he jistajo
Mahobat he wo hesas kise ko panee ka
Mahobat he wo beqarare kise se milne ke
Mahobat he wo peyass jis ki koye had nahi
Mahobat he wo mhetash jis ka koye peman nahi
Mahobat he duia mahobat he talab
Mahobat he arzoo mahobat he jistajo
Mahobat he ek wafa umer bher ki sath ka
Mahobat he ek haya peyar ki jhalak ki
Mahobat he ek nigha kise ke intazar ki
Mahobat he ek ada kise ki dewange ki
Mahobat he duia mahobat he talab
Mahobat he arzoo mahobat he jistajo
Mahobat he wo ***hboo kise ki ***huo ki
Mahobat he wo khomaree kise ki chahat ki
Mahobat he wo gazal kise shayer ki
Mahobat he wo sadge tere mere peyar ki
Mahobat he duia mahobat he talab
Mahobat he arzoo mahobat he jistajo
mere khawab mere apni he
mere zindage ki sapni he
jinhe pani ki khawahish ni
mujhe jo zindage de he
jise apnani ki mujhe
jo takat mile he
dil kerta he unhi paloo
zindage me wo sab kuch apna lo
per mere khawab kabhi haqeqakt bani ge
zindage ki kise mor per mujhe milee ge /why1
ya soch ker me akser udas oh rahtte oh
apni khamoshi ko apni sahtte bana litte oh
mere khawab jo mujhe sonee nahi dette :-s
mere khawab jo mere hee
mager mere nahi ohtte
mere khawab i-)
Is Se Pehley Ke Teri Chashm-e-Karam
Maazarat Ki Nigaah Ban Jaye
Piyaar Dhal Jaaye Merey AshkoN Mein
Aarzoo Ek Aah Ban Jaye
Mujh Pe Aa Jaaye Ishq Kaa Ilzaam
Aur Too Begunaah Ban Jaye
Mein Tera Shehr Chorh Jayun Ga
Is Se Pehley Ke Saadgi Teri
Lab-e-Khaamosh Ko Gilaa Keh De
Teri MajbooriyaaN Na Dekh Sakey
Aur Dil Tujh Ko Be wafa Keh De
Jaaney mein Be Khudi Mein Kiya PoochooN
Jaaney Too Be RuKhi Se Kiya Keh De
Mein Tera Shehr Chorh Jayun Ga
Is Se Pehley Ke Terey HotoN Se
Ghair HotoN Ke Jaam Takraayein
Is Se Pehley Ke Zulf Ke Baadal
Ajanabi BaazuyoN Pe Lehraayein
Aur Teri Be Basi Ke Nazaarey
Meri AankhoN Pe Aag Barsaayein
Mein Tera Shehr Chorh Jayun Ga
Chorh Kar Saahil-e-Hayaat Chalaa
Ab Safeena Mera Kaheen Thehrey
Zehar Peenaa Mera Muqaddar Hai
Aur Terey HonT Dil Nasheen Thehrey
Kis Tarah Terey AastaaN Pe RukooN
Jab Na PaayoN Taley ZameeN Thehrey
Mein Tera Shehr Chorh Jayun Ga
Mujh Ko Itna Zaroor Kehna Hai
waqt-e-RuKhsat Salaam Se Pehley
Torh LooN Rishtaa-e-Nazar Mein Bhi
Too Utar Aaye Baam Se Pehley
Ye Meri Jaan Mera Wadaa Hai
Kal Kisi Waqt Shaam Se Pehley
Mein Tera Shehr Chorh Jayun Ga
kio udass phirtay ho serdiyoon ki shamon may...?
is terha to hota hay is terha kay kamoo may....!
sara din akylay may, raat bhar khayalon may...!
is terha to hota hay is terha kay kamo may....!
chupp say ho gay ho kio baat kio nahi kertay...?
****i ****i batoon may jeetay jee nahi mertay....!
haath kaalay kertay ho naam likh kay haton may..!
is terha to hota hay is terha k kamoon may........!
sara din akylay may, raat bhar khayalon may...!
is terha to hota hay is terha kay kamo may....!
nazm jo sunani thi nazm woh suna di hay....!
baat samjhani thi baat samjha di hay...!
waqt hogaya apna phir milayngay khawaboo may...!
is terha to hota hay is terha ka kammo may......!
kio udass phirtay ho serdiyoon ki shamon may...?
is terha to hota is terha kay kamoo may....!
Merey Mehboob
Ab Dil Nahee Lagta
Tumhaarey Is JahaN Mein
Tumhari Nawazishaat Ka
Mein Ehsaan Mand Hoon
Lekin Suno
Ab Apni Muhabbat Waapis Le Lo
Ke Mein Is Manzil Per Hoon
Jahan Se Ab Mujhey
Tahi Dast Hi Jana Hai
Tum Ko Maloom Bhi Shayad Yeh Kabhi Ho K Na Ho
Mairi Raatain Tairi Yaadon Sey Saji Rehti Hain
Mairi Sansain Tairi Khushboo Main Bassi Rehti Hain
Mairi Aankoon Main Taira Sapna Saja Rehta Hai
Han Mairay Dil Main Taira Aks Basa Rehta Hai
Is Tarhan Mairay Dil K Bohat Pass Ho Tum
Jis Tarhan Pass Sheh Rag K Khuda Rehta hai
Tum Ko Maloom Bhi Shayad Yeh Kabhi Ho K Na Ho
Mairay Aangan Main Lagay Phool Gawahi Daingay
Main nay Arsay Say Kisi Phool Ko Dekha Bhi Nahi Hai
Tujh Ko Socha Tu Phir Tujh Ko Hi Socha Hai Faqat
main Nay Teray Siwa Kisi Or Ko Socha Bhi Nahi
Tum Ko Maloom Bhi Shayad Yeh Kabhi Ho K Na Ho!
Yeh dard merey... chaley jayegey merey sath hi,
Mera gum aur merey dil key yeh Jazbaat bhi...
Jayengey sang merey yeh merey haalaat bhi....
Phir bhi terey hothon par meri kahaani reh jayegi,
yaad karogey dekh key tasveer meri,
aur padh kar meri nazm baar baar...
Dekhna tanhaii meri.... teri zubaani ban jayegi...
Yeh sard raat, akelepan ki, tujh par noor barsayegi,
Ashk hongey teri palkon par...
Aur hothon par mera hi naam...
Meri wafa phir bhi rahegi terey sath..
Terey ghayal dil ko yeh marham lagayegi.....
Aaj tum bhool chukey ho jisey,
baar baar yehi bhool tujhko yaad aayegi..
Mita dii hai tumney apni muhabbat lekin,
Ishq mey merey woh dum hai sathiya...
Dekhna dil par terey merey ishq ki nishaani reh jayegi.....
Erum Zehra
02-22-2007, 01:47 PM
wah aare kiya khob sharing ki hai aap ne
Erum Zehra
02-22-2007, 01:52 PM
""Maine to tumse pyar kiya tha,
dil jaan apna tum pe nissar kiya tha,
chorhogay na saath mera saari zindagi,
wafa ka tumne bhi ikraar kiya tha,
hamne to tumhari rahon par phool bichaye the,
un rahon ke kaante apne haathon se uthaye the,
magar ey-bewafa tune meri wafa ka kya sila diya,
gair ki khatir mujhko dil se bhula diya,
main koun hoon tumhari jo mujhe yaad karo tum,
apne do aansoo bhi mujh par barbaad karo tum,
is dil main jo basa tha pyar tera,
maine bhi us dil ko hi tor diya,
jo gali tere ghar tak jaati thi,
us gali se hi maine mooh morh liya,
badnaam na ho jaaye tu dunia main kaheen ,
isliye tera naam lena hi **** diya,
jab kabhi bhi yaad aayegi tumhari,
samjhain ge kabhi tumhe chaha hi nahi,
jab bhi tum rahon main nazar aayogay,
sochainge tumhe dekha hi nahi
tu jahaan bhi rahe sada khush rahe,
tujhe dil se main bhula rahi hoon,
tere pyar ki jo haseen yaadain hain dil main,
un yaadon ko louta rahi hoon,
tumhari bewafai ka kya charcha karoon,
apni wafa pe sharma rahi hoon,
mujhe tumhari bewafai se koi shikwa nahi,
main tumhari zindagi se ja rahi hoon"
bohat acche ji:love3[1]:
Erum Zehra
02-22-2007, 01:59 PM
"us nai phool bhaijai hain
phir meri ayadat ko
aik aik patti mein
un laboon ki narmi hai
un jameel hathoon ki
khushgawar hiddat hai
un lateef sansoon ki
dilnawaz khushboo hai
phir bhi dil ye kehta hai
baat kuch bana laita
waqt kai khazanai sai
aik pal chura laita
kash woh khud ajata "
ji jaanab bohat hi acche, but ye font size lagta hai chasmish banna pare ga mujhe ab :thumbsup1[1]:
achi tu hai bhai mager tora sa font bara ker day tha tu kaya he baat thi :sofa:
Aankhon ki rim jhim ka
Kahin palkon ki shabnam ka
Parha hoga bohat tum ne
Kahin lehje ki barish ka
Kahin saagar k aansoo ka
Magar tum ne kabhi humdam
Kahin dekhey? Kahin parkhey?
Kisi Tehreer K Aansoo...!
Mujhe teri judaai ne
Yehi mairaaj bakhshi hai
K main jo lafz likhta hoon
Wo sarey lafz rotey hain
K main jo harf bunta hoon
Wo sarey bain karte hain
Mere sang is judaai main
Mere alfaz marte hain
Sabhi tareef kartay hain
Meri tehreer ki lekin
Kabhi koi nahi sunta
Mere alfaz ki siski
Falak bhi jo hila daaley
Mere lafzon main hain shamil
Usi taaseer k aansoo
Kabhi dekho mere humdam
Meri tehreer ke aansoo!
jo dil tumko diya ab tak tumhare pas hi hai
main tumse khat vapas le ke bolo kya karungi
jo tum louta sako vo pyare lamhe
tumhare saath jo kaate the maine
to mujhko chahiye vo sab ke sab hi
mere khat leke bolo kya karungi
jo hansna tha tumhari shokhiyon par
jo baaten tumne jab mujh se kahi thin
agar louta sako louta do mujhko
ki tanha main to ab ghut si gai hun
mujhe tum ek baar phir se pukaro
teri aawaz mujhko phir hai sun'ni
ke kya kah ke the tum mujhko bulate
zara aawaz do to yaad aae........
main phir khush ho ke tere paas aaun
vo bhula waqt phir se main dohraaun
kahan kagaz ke vo tukda kahan tum
bhala unko main leke kya karoongi.
us Ne Poocha !!!
Haath Ki Rekha'on Per Hai Wishwas Tumhara
Main Ne Kaha !!!
Bas Thora Thora
Wo Bola !!!
Dikhlana To Tehrer Hai Kya Haathon Per Tumhare
Main Ne Kaha!choro Jane Do
Kya Rakha Hai In Baaton Main
Us Ne Jab Israr Kiya To
Main Ne Mutthi Khol Dikhai
Us Ne Haathon Ko Thama,dekha Aur Ye Bola!
Cross Boht Hain Zyada Is Per
Waise Kismat Buri Nahi Hai
Haath Chura Ker Main Ye Boli !!!
Such Kehte Ho,yon Hi Ho Ga
Tab Wo Aahista Se Bola !!!
Such Poocho To,main Ne Ye Sab Jhoot Kaha Hai
Kismat K Is Ilam Se Main B Na Waqif Hon
Main Ne To Bas
Haath Tumhara Chona Chaha
Ab kiya likhein kagaz per?
ab likhne ko kya baki hai?
ek dil tha so ab toot gya
lutne ko ab kya baki hai?
ek shakhs ko hum ne chah atha
kuch ret per naksh banaya tha
inn ret k zaroon ko hum ne
apne dil per sajaya tha
woh ret to kab ki bikhar gai
woh naksh kahan ab baki hai?
woh jin ko hum apni nazmon ka
unwaan banaya kerte thay
woh lafzon ka bana k taj-mahal
kagiz per sajaya kerte thay
woh hum ko akela chhor gya
sab rishton se mu mor gya
ab rishtay saare soonay hain
woh pyara kahan ab baki hai?
ab kya likhein kagaz per...
ab likhne ko kya baki hai?
vBulletin® v3.8.4, Copyright ©2000-2013, Jelsoft Enterprises Ltd.