View Full Version : Meri Pasand
Dil main phir dard howa dair talak
Na mili iss ko dawa dair talak
Mein nay khoshboo ki haqeqat poochi
Phool khamosh raha dair talak
Tum nay to sirf suna hee ho ga
Mein nay jo dard saha dair talak
Shab ko phir mein nay sulgata paya
Mun ka khamosh diya dair talak
Uss nay kuch aur kaha tha shayed
Mein nay kuch aor suna dair talak
Uss nay poocha k mujhe yaad kiya?
Mein nay tab hans k kaha dair talak
Janay wala nahi ek pal bhi ruka
Aks aankhoon main raha dair talak
Maslahat reh gaee hontoon pay Batool
Rooh main shor macha dair talak
Yoon dil ko her ek shakhs pay wara nahi kertay
Aankhoon may her ek aks uttara nahi kertay
Honi hai to ek bar hee ho jaey mohabbat
Yeh bhool hai aisee k dobara nahi kertay
Aacha howa mein nay hee faqat dekha mager yoon
Mehfil main kisi ko bhi ishara nahi kertay
Mil jaey sir-e-rah jo bhichra howa koi
Chup chap hee taktay hain pukara nahi kertay
Kion payar ki bazi say ho iss darja gurezan
Kehtay hain k dil har k hara nahi kertay
Kajal say bhi aab kaam koi lay na saheli !
Yoon dard say aankhoon ko sanwara nahi kertay
Teri yaad main gum rehtay hain, badel,geet,hawa aor mein
Taroon say batein kertay hain,badel,geet,hawa aor mein
Jab bhi aoos k thanday qatray phooloon main gum hotay hain
Janay kion gum sum rehtay hain,badel,geet,hawa aor mein
Aik samunder aankh main behta ek qadmoon k neechay hai
Pehroon sahil pay behtay hain,badel,geet,hawa aor mein
Aksir pehroon sham dhalay mein khul k roya kerti hoon
Aur kabhi khul k hanstay hain,badel,geet,hawa aor mein
Dil ka dareecha aaj khula to aankhoon nay yeh dekha hai
Kitnay sunder yeh lagtay hain, badel,geet,hawa aor mein
Qadmoon ki zangeer banay hain teray aansoo aor muskan
Sukh ki aas main dukh sehtay hain,badel,geet,hawa aor mein
Wah Ji Wah :creature2[1]:
----------------------------------------------------------------------
http://www.geocities.com/mashkoor1/img/sign.jpg
http://img403.imageshack.us/img403/8495/thayou14hm7.gif
zulmat-e-shab mein ujaaloun kii tamannaa na karo
Khvaab dekhaa hai to ab Khvaab ko rusvaa na karo
bojh suuraj kaa padegaa to lachak jaayeingii
raat kii surmaii shaakhoun pe baseraa na karo
Khvaab ummiid nashaa saans tabasuum aansuu
tuutane vaalii kisii shay pe bharosaa na karo
ham ne aankhoun ko jalaayaa thaa ki kuchh dhundh chhate
tum naii nasl ke suuraj ho tum aisaa na karo
ashk piine kaa hunar siikh lo ham se aakar
jazbaa-e-dil ko nigaahoun se havedaa na karo
mausamii barf hain kuchh der mein bah jayeinge
in badalate hue rishtoun pe bharosaa na karo
ye fazaa raas na aayegii tumhein ai "Najmi"
yaad guzare hue lamhaat kii taazaa na karo
Azal say hai mohabbat mavara lafzoon ki mala say
Mager yeh bhi haqeeqat hai
Mohabbat soch k akash per badel ki sorat main ,
Sada parwaz kerti hai
Kabhi barish ki bondoon main simatt ker dil ki dharti per,
Utarti hai............Bikharti hai
Ada lay ker saba say yeh , gulaboon say mehak lay ker
Dhanak say rang lay ker aor sitaroon say chamak lay ker
Haseen aanchal banatee hai
Issi anchal say phir khawaboon kay kachay ghar sajatii hai
Mohabbat aazmati hai
Kabhi yeh shair ban ker lafzoon ki hurmat badhati hai
Kabhi yeh saz ban ker dheeray dheeray gungunati hai
Sarapa aankh ban jati hai yeh mehboob ko pa ker
Anokha lams ban jati hai koay yar main ja ker
Na janay kon sa manter yeh padh ker holay holay say
Kisi ki band palkoon main bina dastak diyey yaqdam
Uttar ker ghar banati hai...............Mohabbat muskurati hai,
Yeh khushboo hai hamesha phool ki sansoon main hoti hai
Bana day chand, teera shab ko jo yeh aisa motii hai
Kasak hai daiieme iss main bohat baynaam lazat hai
Mohabbat ki yahi tareef hai k yeh Mohabbat hai
Gatein jhoom k sehra ki simat aa niklein
Gulab cheer k seena chattan ka mehkeein
Lagein jo rait k zaray bhi kehkashan jaisay
Falak k chand ko dharti pay rashk aanay lagay
Aor aabsharoon say naghma koi ubharnay lagay
Yeh tar dil ka kisi naam per larzanay lagay
Jo soti aankhoon main yakbar khawab jaag utthein
Fasso'n khazan ka baharoon say hamkalam lagay
Uttarnay palkoon main ek surmaei si sham lagay
Kisi k hontoon ki khamoshi ek payam lagay
Rafaqtoon ka bhi mosam thehar thehar jaey
To soch laina, Mohabbat tumhain howe k howe
Bandh lain hath pay seenay pay saja lain tum ko
G main aata hai k taweez bana lain tum ko
Phir tumhain roz sanwarain tumhain bharta dakhain
Kion na aangan main chambali sa laga lain tum ko
Jasay baloon main koi phool chuna kerta hai
Ghar k guldan main phoolon sa saja lain tum ko
Kia ajab khawahish utthti hain hamarey dil main
Ker k muna sa hawaoon main uchalein tum ko
Kabhi khawaboon ki tarha aankh k parday main raho
Kabhi khawahish ki tarha dil main bala lein tum ko
Jan dainay ki ijazat bhi nahi daitay ho
Werna mar jaein abhi mar k mana lain tum ko
Aab to bas aik hee khawahish hai kisi mod per tum
Hum ko bhikhray howay mil jao sanbhalein tum ko
Zaban-o-lafz ki sari kee sari
Un kahi batein
Tumhari nazer kernay ko
Meri baytab see aankhein
Bohat himat to kerti hain
Mager phir har jati hain !
Tumhari bolti aankhoon say takra ker
Her ek koshish ko thukra ker
Kisi roothay howay, Sehmay howay say
Tifal ki manand
Meray ehsas k jhoolay main aa ker lait jati hain
Meray sachay say ek jazbay ki aangasht-e-shahadat thaam ker
Phir so bhi jati hai............
Meri bay khawab see aankhein !
MOHABBAT hai.......
Thatharti aabsharoon main bichi thandi hawa sehna
Shaboon k gunbadoon main goonjati baychainyoon k darmayan rehna
Her ek mosam ko apnay androoni mosamoon ki zad main lay aana
Kabhi mil k kisi say
Bay khabir , aadhay samunder tak safer kerna
Kabhi tanha kisi sahil pay aa k dair tak lehroon ko ginana
Aor khala main dekhtay rehna Muhabbat hai
Kisi khoay howay ko ghair iradi toor per
Her aajnabi chehray main akser dhoondatay rehna.
Hamesha bay khayali main
Kitaboon , chand taroon , badloon per.
Uss k barey jhilmilati baat likh daina.
Ya phir likh k mita daina
Kabhi rangoon ki lehroon per
Ussay bay soot hontoon say sada daina
Sada ko bazgasht aor gonj main dhal ker
Khalaoon say tahi damin paltay dekhna
Aor phir sada daina
MOHABBAT hai.......
Mein kia likhoon
Kabhi aisa bhi hota hai
Bohat hee rooth ker
Naraz ho ker
Napasandeeda khayaloon
Nafratoon ki aoot say
Ya mukhtalif heeloon bahanoon say
Kisi ko jhankatay rehna
Kisi ko sochatay rehna
Woh manay ya na manay bas ussay likhna ussay kehna
MOHABBAT hai.......
Aaj phir uss ka phone aaya hai.......
Aaj phir poocha kasay ho..........
Kia kertay rehtay ho...........
Kiya aab bhi awara phirtay ho..........
Ya chain say ghar main rehtay ho........
Kia aab bhi kisi ki yaad main khoay........
Kaghaz kalay kertay ho.......
Kia aab bhi kisi ko Insha g ki......
Nazmein aor geet sunaya kertay ho..........
Aaj phir uss ka phone aaya hai.........
Aaj phir poocha kasay ho.........
Aab hum uss ko yeh kasay batein kion ker batein..........
K Insha g k mananay walay.......
Chand nager k sodai........
Dil wehshi,thamay donoo hathoon main............
Jungle jungle, sehra sehra..............
Shehroon shehroon, wadi wadi........
Kabhi iss nagri , kabhi uss qaryey main...........
Kabhi iss basti k ek kochay main........
Jis chand ko apnay mun main basa lien..............
Bus uss ko hee talasha kertay hain.........
Chahay apnay ghar k aangen main............
Pora chand hee uttra ho...........
Aab hum uss ko yeh kaisay batein...........
ahal-e-ulfat ke havaalo.n pe ha.Nsii aatii hai
lailaa majanuu.N ke misaalo.n pe ha.Nsii aatii hai
jab bhii taqamiil-e-mohabbat kaa Khayaal aataa hai
mujhako apane Khayaalo.n pe ha.Nsii aati hai
log apane liye auro.n me.n wafaa Dhuu.NDhate hai.n
un vafaa Dhuu.NDhanewaalo.n pe ha.Nsii aatii hai
dekhanevaalo.n tabassum ko karam mat samajho
u.nhe.n to dekhanevaalo.n pe ha.Nsii aatii hai
chaa.Ndanii raat mohabbat me.n hasiin thii ‘Faakir’
ab to biimaar ujaalo.n pe ha.Nsii aatii hai
Ahsaan hai tera dil par , ke ishq toone sikhaaya,
Doondha kayi baar dil ko , dariya -e- gum hi paaya
Lutaaya kayi baar is dilko , humne teri khaatir,
Rang teri wafa ka mere , ashko mein nazar aaya
Hoti hai band saanse , na hoga shikva kisiko
Samjhenge wo ke unko, koi khwaab bura aaya
Milay kab thay hum kisi mod per na ussay khaber na mujhe khaber
K khayal-o-khawab ka tha safer,na ussay khaber na mujhe khaber
Na woh saan main na guman main , na salam tha na payam tha
Kisay kis nay dekha tha chonk ker,na ussay khaber na mujhe khaber
Dar-e-dil pay naram see dastakein , kisay roktay kisay tokatay
Woh mehak thi jan main gai utar,na ussay khaber na mujhe khaber
Kabhi uss kay seenay main mera dil , bada natawan , bada mazmahal
Meray rukh pay uss ki hai chashm-e-ter,na ussay khaber na mujhe khaber
Dil muztarab, rahin kab talak kisi bay khaber kay khayal main
Kisay dhoondatay rahin umer bhar,na ussay khaber na mujhe khaber
Kabhi kho ** sabhi rastay kabhi rastoon say palat **
Kahan uss ka ghar,kahan mera ghar,na ussay khaber na mujhe khaber
Thay nazer main ajnabi rastay to yeh kasay aa gaya yak baik
Ser-e-rah chahtoon ka nager,na ussay khaber na mujhe khaber
_________________
Uss nay phool bejhay hain
Phir meri ayaadat ko
Aik aik pati main
Unn laboon ki narmi hai
Unn jamil hathoon ki
Khushgawar hidat hai
Unn lateef sansoon ki
Dil nawaz khushboo hai
Dil main phool khiltay hain
Rooh main chiraghan hai
Zindagi muatar hai !
Phir bhi dil yeh kehta hai
Baat kuch bana laita
Waqt k khazanay say
Aik pal chura laita
Kash woh khod aa jata !
Woh bohat door say aaya tha ,
Kisi anjan nager say...........
Uss k pass kuch sunahray alfaz thay uss ki kul kayinat , kul assasa
Rang barangay,badloon jaisay, titli k paroon jaisay alfaz
Her lafz apnay ander maani ka jahan liyey howay tha,
Mafaheem ki lughat seenay main chupaey
Lekin , uss k lafzoon main lahoo ki mehak sab say namaya thi
Mager yeh laho uss ka apna nahi kisi aor ka tha
Woh mujh say mila to chonk uttha
Lagta hai tum say pehlay bhi mulaqat kahin ho chuki hai
Uss ki aankhein goya thein
Maree aankhoon ki zuban khushk patay jaisi ho gaee
Tab uss nay apnay lafzoon k khazanay main say aik lafz bahir nikala
Aor mujh ko sonap diya
Mein nay jaldee say palkoon ki jhalar main uss lafz ka sitara atka liya
Woh lafz khoob soorat, chup chap bolta howa tha
Jantay ho, woh lafz kia tha ?
Woh lafz tha Mohabbat
Mujhay woh lafz day ker apni dunya main loat gaya,
Palat ker dekha bhi nahi
Aor mein rastay main thak ker so gaee
dharkan k zero bum ko sunwara tha aor bus
kaghaz pay dil ka bojh utaraa tha aor bus
Bus itna janti hoon kay aawaz uss ki thi !
Itna pata hai , uss nay pukara tha , aor bus
Dunya ki fiqar kia thi , zamanay ka khoaf kia ?
Hum ko faqat khayal tumhara tha , aor bus
Logoon nay ussko mairee mohabbat samajh liya
Woh mujh ko jaan say payara tha , aor bus
yay haseen shaam apni
abhi jiss meiN ghul rahi hai
teray parahan kee khushboo
abhi jiss meiN khil rahay heiN
meray khawab kay shagoofay
zera dair ka hai manzar
zera dair meiN ufq par
khilay ga koi sitaara
teri simt daik kar woh
karay ga koi ishara
teray dil ko aayay ga phir
kissi yaad ka bullawa
koi qissa-ay judaaee, koi kaar-ay naamukamal
koi khawab-ay naa shagufta, koi baat kehnay wali
humeiN chaahiyay tha milna
kissi ahad-ay mehrbaaN meiN
kissi khawab kay yaqeeN meiN
kissi aur aasmaaN par
kissi aur sarzameeN meiN
humeiN chahiyay tha milna...
Kaho,woh chand kaisa tha?
Kaho woh dasht kaisa tha?
Jidher sab kuch luta aaey
Jidher aankhein gunwa aaey
Kaha, sailab jaisa tha, bohat chaha k bach nikalein mager sab kuch baha aaey
Kaho, woh hijar kaisa tha?
Kabhi choo ker ussay dekha
To tum nay kia bhula paya
Kaha, bas aag jaisa tha, ussay choo ker tu apni roh yeh tan mun jala aaey
Kaho, woh wasal kaisa tha
Tumhain jab choo liya uss nay
To kia ehsaas jaga tha?
Kaha, ek rastay jaisa, jidher say bus guzarna tha, maka'n lekin bana aaey
Kaho, woh chand kaisa tha?
Falak say jo utter aaya !
Tumhari aankh main basnay
Kaha,woh khawab jaisa tha,nahi tabeer thi uss ki, ussay ek shab sula aaey
Kaho,woh ishq kaisa tha?
Bina perkhay kia tum nay
Kaha titli k rang jaisa, bohat kacha anokha sa, jabhi uss ko bhula aaey
Kaho woh naam kaisa tha?
Jisaay sehraoon aor chanchil,
Hawaoon per likha tum nay
Kaha, bus mosamoon jaisa, na janay kis tarha kis pal kisi ro main mita aaey
Suno, khawahish ki lehroon per sanbhalna kion howa mushkil ?
Bataya paneyoon per khawab ki rakhi banyad jaisay
Bhala tum rooh ki inn kirchayoon main dhoondatay kia ho ?
Kaha, yeh itni roshan hain k sooraj hai diya jaisay
Suno aankhoon he aankhoon ka biyaa'n kaisay laga tum ko
Laga, pholoon say sargoshi sii kerti hai saba jaisay
Aay maray khuda..........
Mein kia karoon.........
Ussay dekhtay hee......
Dil ko laga k yahi usska khawab hai
Dil ko laga k yahi iss ki shanakht hai
Dil ko laga k yahin say uss ko aik naya aitbar mayasir aaey ga
Dil nay usski manzil k liyey bhi duaein kein
Aor ussay aankhoon aor palkoon per khawaboon kee tarha saja lia
Jo acha shair dekha..........Uss k qadmoon main rakh diya
Jo acha rang dekha...........Uss k liyey dekha
Jo dua padhi.............Uss k liyey padhi
Jab khuda ko yaad kia..............Uss k liyey kiya
Dil nay uss ki kamrani aor qad-o-qamet ki salamti ki
Duaein mangatay mangatay intazar k sahil per
Khod ko rait ker liya.
Mein Ne Poocha Kesey Ho
Badley Ho Ya Wesey Ho
Roop Wohi, Andaaz Wohi
Ya Phir Is Mein Koi Kami
Hijr Ka Kuch Ahsaas To Hoga
Koi Tumharey Pass To Hoga
Mein Bichra Ye Majboori Thi
Kab Manzoor Mujhey Doori Thi
Saath Humara Kab *****a Hai
Rooh Ka Rishta Kab Toota Hai
Aankh Se Jo Aansu Behtey Hain
Tum Ko Khabar Hai Kia Kehtey Hain
Mein Ne Kaha Aawaz Tumhari
Aaj Bhi Hai Humraaz Humari
Phool Wafa K Khil Jaain Ge
Ik Din Phir Hum Mil Jaain Ge
Kisi bhi lamhay,koi bhi dhayan main aa sakta hai
Kisi ki batein , kisi ka chehra
Kisi ka dheema lehja
Koi bhi apna ya baygana
Sochay bina , bas baydhayani main ,
Na danista ......................................
Idher udher ki batein kertay , yakdam dil ko bha sakta hai
Hoon kitnay mazboot iraday ,
Chahat say bach ker chalnay k
Lakh yeh khahish mun main jagay ,
Lakh yeh khahish mun main jagay ,
Dil k der per jo dastak dain, unn khathoon ko,
Mayoosi ki deemak chatay
Phir bhi aaisa ho sakta hai
Bheead main bhaithay bhaithay koi ,
Khod ko yak dam kho sakta hai
Lekin jana !
Phoolon jaisay tum lagtay ho
Kantoon say bauopar na kerna
Dekho mujh say payar na kerna
Muqader say kaho phir say sitam aijad mat kerna
Koi aabad hai dil main, ussay barbad mat kerna
Woh ek shab khawab sa ban ker utter aaey ga aankhoon main
Yeh palkein mond laina aor uss ko yaad mat kerna
Hansi main hee udda day ga zamana dil ki batoon ko
Kisi k samnay bhi paish tum rodaad mat kerna
Raha ho ker guhar palkoon say mil jatay hain matti main
Mujhay qaid-e-mohabbat say kabhi aazad mat kerna
Issi mosam main dil k qaflay lut-tay howay dekhay
Inn aankhoon main gulaboon ko kabhi aabad mat kerna
Kabhi mujh ko sath lay ker, kabhi meray saath chal ker
Woh badel gaya achanak, meree zindagi badel ker
Tu mujhay azeez ter hai kisi dewata ki soorat
Mujay day k roop apna , mairee zindagi sehal ker
Mujhay dekh iss tarah say k mein nazam ban k machloo'n
Koi baat sun k jhoom'n, mujhay iss tarha ghazal ker
Woh khayal hai k khushboo, woh dhanak k wahma hai
Ussay sochna hai lekin , meray dil zara sanbhal ker
Ussay mujh say cheen lo per, ussay bad-dua na deina
Kahin kho na jaey aab woh issi aag main pighal ker
Ussay chahnay lago ** tumhi na sapas logo
Ussay dekho nashanasi k sirab say nikal ker
Jo baney rafiq teray koi khush naseeb hoon **
Meri aarzoo to nikli meree hasratoon main dhal ker
Zara tharo
K tum say ek zaroori baat kerni hai
Idher aao
K rustay main khada hona humain acha nahi lagta
Yahan betho
K batein to hamesha hum tasali say hi kertay hain
Humain is tarah mut dekhoo!
Nahi to hum tumharay samnay kuch keh na paein **
To han baat itni hai
Chalo ****o!
Kabhi moqa mila to phir bataein **..
Yeh dil uski Mohabbat say juda ho ker
Dharakna seekh jaeay to
Najanay kitnay jugnoo muthyoon main jagmaga uthain
Andhairay door ho jaein
Tumhari rah say bathkain to manzil per pohanch jaein
YounHe Doosh Par Sumbalay
Ghani Zulf kay Do-Shanay
Wo-he SanwLe si Rangat
Wo-he Nain Neend Walay
Wo-he ManPasand Qamat
Wo-he KhushNama Sa-Rapa
Jo badan main neem KhaBi
Tu Lah-ho main RutJagaSa
Kabi Payaas ka Samundar
Kabi Aas ka Jazeera
Wo-he Mehrban LahJa
Wo-he Meezban WateeRa
Tujay Shairi Say Raghbat
Usay Shair Yaad Mairay
Wo-he Us kay be QaReenay
Jo Hain Khas Wasaf Tairay
Kisi aur he Safar Main
SirRay-Rah Mil Gai thi
Tujay aur kiya BataOon
Wo Tairi Terah Koi Thi
Kisi Shair-e-BayAman Main
Main Watan Badar Akaila
Kabi Moot ka Safar Tha
Kabi Zindgi say Khaila
Maira JisSam Jhal Raha Tha
Wo Ghat ka Sa-ayBan Thi
Main Rafaqatoon ka Mara
Wo Mairi MizajDan Thi
Mujay Dil say UsNay Poja
Usay Jan say main nay Chaha
Isi HamRahi main Aakhar
Kaheen Aa-gaya Do-Rah-ha
Yahan GumRahi kay Amkan
Usay Rang O Boo Ka Lapka
Yahan LaghRashoon kay Saman
Usay Kha-aishoon nay Thapaka
Yahan Daam thay Hazaroon
Yahan har taraf Nafas Thay
Kaheen Zer-Zameen Ka Dal-Dal
Kaheen Jaal thay Hiwas kay
Wo Faza ki Fakhta Thi
Wo Hawa ki Raj-Putri
Kisi Ghaat ko na Daikha
Kisi Jheel par na Utri
Phir aik Shaam aisi aai
kay wo Shaam Akhri Thi
Koi Zalzala sa aaya
Koi Barq si Ghri thi
Aajab AandheeYan Chaleen phir
Kay Bikhar ** Dil-O-Jan
Na Kaheen Gul Wafa tha
Na Churagh Aaid-O-Paiman
Wo Jahaz Utar gaya tha
Ya Jahaz Utar raha hay
Tairi Ankhoon main Hain Aansoo
Maria Dil Bikhar Raha hay
Tu Jahan Mujay Mili hay
Wo Whoheen Juda hoi thi
Tujay aur kiya Bataoon
Wo Tairi Terah Koi Thi
1) Us nay kaha mujh say tumhay kitna pyaar hai
main nay kaha setaroon ka bhi koee shumaaar hai
2) us nay kaha koon tumhay hai bohat aziz
main nay kaha dil pay jis ka ikhtiyaar hai
3) us nay kaha koon sa tohfa hai tumhay pasand
main nay kaha wo shaam jo ab tak udhaar hai
4) us nay kaha khezaan main mulaqat ka jawaz
main nay kaha qurb ka matlab bahaar hai
5) us nay kaha sankroon ghum hai zindagi main
main nay kaha ghum nahi jab ghum gusaar hai
6) us nay kaha sath kab tak nebhao **
main nay kaha jitni yah saansoo ke taar hai
7) us nay kaha mujh ko yaqeen aayey kis
tarah
main nay kaha naam mera ahtabaar hai
Yonhi bay sabab na phira karo,koi shaam ghar bhi raha karo
Woh ghazal ki sachi kitab hai usay chupkay chupkay pada karo
Koi hath bhi naa millaey gaa jo galay milo ** tappak say
Yah nay mizaj ka shaher hai zara fasalay say mila karo
Abhi rah main kai mod hain koi aaey gaa koi jaey gaa
Tumhain jis nay dil say bhula diya usay bholnay ki dua karo
Mujhay ishtehar si lagti hain yeh Mohabtoon ki kahanian
Jo kaha nahi woh suna karo , so suna nahi woh kaha karo
Kabhi husan parda nasheen bhi ho zara aashqana libas main
Jo main bun-sanwar k kahin chaloon,maray sath tum bhi chala karo
Nahi bay hijab woh chand sa k nazar ka koi asar na ho
Usay itni gamii-e-shok say badi dair tak naa takaa karo
Yeh khizan ki zaard si shaal main jo udas paid k paas hai
Yeh tumharay ghar ki bahar hai issay aanso-on say hara karo
Ho sakta hai mujh say bichad ker
Woh bhi kuch kuch pachtata ho
Sang sang beeta her ek lamha
Uss ko bhi to yaad aata ho
Lekin beech khaleej ana ki
Rok rahi ho rasta uss ka
Logoon ki batoon ka darr ho
Sehma sehma soch nager ho
Ho sakta hai---------------------
Woh bhi khat likhta ho, likh ker purzay purzay ker daita ho
Number dial phone ka ker k, choonga jhat say dhar daita ho
Ho sakta hai------------------
tum puuchho aur mai.n na bataauu.N aise to haalaat nahii.n
ek zaraa saa dil TuuTaa hai aur to ko_ii baat nahii.n
kis ko Khabar thii sa.Nvale baadal bin barase u.D jaate hai.n
saavan aayaa lekin apanii qismat me.n barasaat nahii.n
maanaa jiivan me.n aurat ek baar mohabbat karatii hai
lekin mujhako ye to bataa de kyaa tuu aurat zaat nahii.n
Khatm huaa meraa afasaanaa ab ye aa.Nsuu po.Nchh bhii lo
jis me.n ko_ii taaraa chamake aaj kii raat vo raat nahii.n
mere Gam-gii.n hone par ahabaab hai.n yo.n hairaan "Qateel"
jaise mai.n patthar huu.N mere siine me.n jazbaat nahii.n
vo dil hii kyaa tere milane kii jo duaa na kare
mai.n tujh ko bhuul ke zi.ndaa rahuu.N Khudaa na kare
rahegaa saath teraa pyaar zindagii banakar
ye aur baat merii zindagii vafaa na kare
ye Thiik hai nahii.n marataa koii judaaii me.n
Khudaa kisii se kisii ko magar judaa na kare
sunaa hai usako mohabbat duuaaye.N detii hai
jo dil pe *** to khaaye magar gilaa na kare
zamaanaa dekh chukaa hai parakh chukaa hai use
"Qateel" jaan se jaaye par iltajaa na kare
Koi to ho jo maree tunhaeeon ka sathi ho
Main sooch main doboon woh gahraeoon ka sathi ho
Main jahan jaoon woh saath hoo maray
Maray dil ki sab bay-eimaneoon ka sathi ho
Is qader jald bhadhay marasim mujh say
Na ho aawara lakin maree aawargeoon ka sathi ho
Main likhoon naam sahil per to hawa lay uday
Na ho churcha kahin woh maree gumnameoon ka sathi ho
Jaan lay woh maree bay-taab dudkhanoon ki sada
Maray hijar-o-wisal ki bay-tabeoon ka sathi ho
Zara socho to milay ga aaisa bhi mujh ko
Jo ho abad lakin maree burbadeoon ka sathi ho
chaa.Nd maddham hai aasmaa.N chup hai
nii.nd kii god me.n jahaa.N chup hai
duur vaadii me.n duudhiyaa baadaal
jhuk ke parbatko pyaar karate hai.n
dil me.n naakaam hasarate.n lekar
ham teraa i.ntazaar karate hai.n
in bahaaro.n ke saaye me.n aa jaa
phir mohabbat javaa.N rahe na rahe
zindagii tere naa-muraado.n par
kal talak meharabaa.N rahe na rahe
roz kii tarah aaj bhii taare
subah kii gard me.n na kho jaaye.N
aa tere Gam me.n jaagatii aa.Nkhe.n
kam se kam ek raat so jaaye.N
chaa.Nd maddham hai aasmaa.N chup hai
nii.nd kii god me.n jahaa.N chup hai
Us nay poocha
Saray supnay toot ** kia?
Main nay kaha
Kuch kuch baqi hain
Us nay poocha
Khud say batain kernay ki aadat hai kab say?
Tohfa diya hai main nay bataya tunhaee nay
Nain kutoray,gaal gulabi,roop sunhaira kia ker dala?
Main nay kaha dil k aangan main
Hijar ka mousam thaher giya..
Holay holay koi jhonka
Gul ka sara rung churaey
Khushboo muthi beech samaey
Hontoon pay muskan sajaey
***** k is thaal main lakhoon taaray bhar ker
Aa k teray dil per
Yakdum dustak day sakta hai
Sochoon main bay-kaar na pedna
Dekho aab inkar na kerna
Yeh hadain na tod daina
Meray dairay main rehna
Mujhay apnay dil main rakhna
Meray hafizay main rehna
Mera bojh khod utthana
Mera karab aap sehna
Mera hukam khod sunana
Meree mohar khod lagana
Meray mashwaroon main hona
Meray faisaly main hona
Meri nazroon main rehna
Meri guftago main hona
Meray lams main samana
Meray zaiqay main rehna
Meray haath ki lakirain
Tera naam ben ker chamkain
Meri khahishoon ki khushboo
Meray zaichay main rehna
Phele Mere khat ke is ne
Aik anjane khouf se durr kar
tukrey tukrey kar daley
Ab
Aih haseen ehsas ke tabey
Jis ka koi naam nahi hia
pichle kitne ghanto se
Darwazo ki ott se chupp ker
tukrey jor rahe hai...PagaL
Dil kaa soona shaher basana acha tha
kuhna rasmoon say takrana acha tha
Her ek bat main us ka man marzi kerna
Mujh ko wadoon say bahlana acha tha
Doodh ubalta chulhay per girtay rehna
Jagtee aankhoon say so jana acha tha
Us ko shoq basant ka,mara chupkay say
Chatt per ja ker haath hilana acha tha
Mujh say rooth k hans hans milna logon say
Piyar ka woh aandaz purana acha tha
Tod k lana button qameez ka maray pas
Milnay kaa tha ek bahana acha tha
Sardee ki pehlee barish main dil ki bat
Ankhoon ankhoon main batlana acha tha
Hona hee tha chahat kaa ekraar Batool
Uss ka ghar main aana jana acha tha
Kon Aya Rastey Aaina Khaney Ho Gye
Raat Roshan Ho Gye Din Bhi Suhaney Ho Gye
Kyon Hawaili Key Ujerney Ka Mujhey Afsos Hey
Sainkron Bey-Gher Parindon Key Thikaney Ho Gye
Jao Un Kamron Aainey Utha Ker Phaink Do
Bey-Adab Yeh Keh Rahey Hain Hum Puraney Ho Gye
Yeh Bhi Mumkin Hey Keh Main Ney Us Ko Pehchana Na Ho
Ab Usey Dekhey Huwey Kitney Zamaney Ho Gye
Meri Palkon Per Yeh Aansoo Pyar Ki Toheen They
Us Ki Ankhon Sey Girey Moti Key Daney Ho Gye
Dua k liyey haath jab bhi uthay hain
Tamana'oon ki bheed main sab say aagay
Wohi aik chahra
Niga'oon main aata hai
Main bhool jata hoon
Kia mangna tha
Bicharnay kay dukh main kami
Ya
Milan kee dua
Teri Chahat Main Hum es Tarhan Tarap Rahai Hain
Khoon Ban K Ansoon Mosalsal Barass Rahai Hain
Mohabbat Ban karnay Walon Ka Yon Uraoo Na Mazak
Piyar K Roog Laga Kar Abb daman Jhatak Rahai Hain
Wo Lamha Judaiee ka kasi Azziyat Dey Gaya Mujhko
Zakham Hai Gahra Jab, Hi Tou Sisak Rahai Hain
Kia bigara Tha Jo Yon Roswwa Kia Zamaney Main
Mari wafaoon Ka Kia Khoob sila Dey Rahai Hain
Mout se Pahlay Koiee Jata nahi Duniya Se dost
Zinda tou Hian Lakin Mar Mar K Gee Rahai Hian
Purani Katab mane rakhi Tasveer sa patane
aaj barsoune k bad dakha ha
Ab b ankhoune ka rung ghra ha
or matha ke sawali se lakeer
Dil mane katna diaa jalati ha
Tari qamat k saya ke khoushbou
Guftgoo mane bahar ka mousam
ba subab atbiar ka mousam
kaune muja saraa dungh Yad raha
katni khrane ho gaya khoud par
mane tuj ko aaj take nahi Boulha
pachla mousam ke Yad baki ha .
Hum waha hain jahan tu koi wafa hi nahi
Zakhm khay boht phir b koi shikwa hi nahi
kut gai sari omer tery khayalon mein
phir bhi kehty hain k tu mila hi mahi
ly ** hum sy dilon jaan woh aik pal mein
jinhoon ny aik pal bhi hamin diya hi nahi
ho gia ishq unn sy bekhayali mein
jinhoon ny payar kabhi kia hi nahi
jafaaen seh leen boht qk baqool IQBAAL
JAFA JO ISHQ MEIN HOTI HAI WOH JAFA HI NAHI
oor
aisy merz mein mubtala ho ** HAFIZ
na mily duwa jis ki oor phir qaza b nahi
Yeh jan ker bhi kay donoo'n k rastay thay alag
Ajeeb haal tha jab uss say ho rahay thay alag
Yeh harf-o-lafz hain dunya say guftago k liyey
kisi say hum sukhni kay maqalmay thay alag
Khiyal un kaa bhi aaya kabhi tumhain jana'n
Jo tum say door bohat door g rahay thay alag
Humhi nahi hain,humaree tarah kay aor bhi log
Azab main thay jo aoroon say sochtay thay alag
Akailay pun kee aze'et kaa aab gila kaisaa
Faraz khud hi to apnoo'n say ho ** thay alag
woh khizan ki rut main woh bahar-e-sham woh nay gulab ki dastakein
woh tu khuab thye jo bhichar gaye woh naseeb sare kidher gaye
woh bachpane ki thein sharatein woh rait jaise thein khuahishain
woh sharatien wohi wohi khuahishain mah =o= saal din main badal gaye
woh taweel raton ko jagna woh kahania naye nam ki masoom dil ki hasratein
woh umeed-e-milan woh umeed-e-sham woh maousam sare kidher gaye
woh barishon main bheegna woh dhond laine ki khuahish
woh hathon main hath dalna woh sapney sare kidher gaye
kabhi chupna pair ki aar main woh kisi k dhond laine ki khushish
na palat ayein ** kabhi jo karwaann bichar gaye
Chahat aor wafa k
Saray paidoo'n per
Abhi puranay hi mousam hain
Iss say pehlay
K yeh mousam
Apni apni mujboori ki zad main aa ker
Apna apna app luta ker
Rukhsat hoon
Tum lout aao!
Unka aashiyana dil me basa rakha hai,
Unki yaadon ko seene me cchupa rakha hai
Pata nahi yaad woh hee kyon aata hai
Dost to humne auron ko bhi bana rakha hai
Muja Acha lagta ha wo
Tara ****i ****i batoune per Khoush hona
wo Muskarti
Sharart bari Ankhoune k Sath
Muja Dakhna
Phir Bila waja ****i se Bat pa Bahas karna
muj sa Joth Moth he larna
jub mane Routh Jawone muja manna
na mano to
Bachoune ke Tarha Zid karna
Mara mane jana par Khoush hona Ba tahasha
asa jasa kasi ko sari kainat mil jaya
Phir Ba intha payar sa Muja Dakhna
Ankhoune he Ankhoune mane bohat se un kahi batane kah jana
Muja Acha lugta ha Bohat acha lugta ha
Us ke Adoune per us ke wafahoune per
Bohat payar aata ha.
Nazar ki taizee main halki hansee ki aamaizash
Zara c dhoop main kuch chandani ki aamaizash
yahi to waja-e-shikast-e-wafa howee maree
Khaloos-e-ishq main saada dilee ki aamaizash
Maray liyey taray eltaaf kee woh ujlee rutt
Aazab-e-marg main thi zindagee ki aamaizash
Woh chaand ban k maray jism main pighalta raha
Lahoo main hotee gaee roshnee ki aamaizash
Zameen k chahray pay barish k pehlay piyar k baad
Khushi kay saath thi hairangee ki aamaizash
samoondaroo'n ki tarah maree aankh saakat hai
Magar sakoot main kis bay kalee ki aamaizash
Koai Hum nufs nahi
Koai Hum nufs nahi ha Koai Razdan nahi ha
Faqat Ek dil tha aapna so wo marhban nahi ha
marna ka tara Gum mane Erada b nahi ha
ha Ishq muger itna zayada b nahi ha
Anhi pathroune pa chal kar ager ah sako to ayo
mara ger k rasta mane kahine kahkashan nahi ha
koune dakhta rahta hane Stroune k taraf
Jub un sa Mulqat ka Wada b nahi ha
Yad ke Doop sac Guzrata houne
kabi Bujta kabi Nakhrta houne
Ishq ka Roog pal rakha ha
Rooz jeta houne rooz marta houne
Tuj ko apna khyal mane la kar
Apni husti mane Rung barta houne
kal b tara intazr tha muja
Aaj b tara intazr karta houne
Naaz muj ko nahi kasi sha per
Asman mane nahihoune Dahrti houne
Dakhta ha to Muskra kar jub
Katna he Rung sa Guzrta houne
Shayad us nay mujh ko tanha dekh liya hai
Dukh nay maray ghar ka rasta dekh liya hai
Apnay ap say ankh churaey phirti hoon main
Aaenay main kis ka chahra dekh liya hai
Aab bhi sapnay boey to eman hai uss ka
Us nay in aankhoo'n main sahra dekh liya hai
Us nay mujhay darasal kabhi chaha hi nahi tha
Khud ko day ker yah bhi dhoka,dekh liya hai
Uss say miltay waqt ka rona kuch fitree sa tha
Uss say bichad janay ka nateeja dekh liya hai
Rukhsat kernay kay aadab nibhanay hee thay
Band aankhoo'n say uss ko jata dekh liya hai
Kah do jo B Mun Mane Aya
asa na ho k! Khamoshi mane
Sunana wala he Kho jaya
Mun Jungel mane aag laga to
mun he nahi Tun b jul jaya
katna Zamna batha raho
Pher
Sawan ke aas Lagya
Sawan ka kaya Aya na aya
Kah do jo B Mun Mane Aya
Asa na ho Hum Jayne to Tun Sulgtya or mun Turpya
Mun Ke Kah da na sa Chan aya ga Neend aya g
Routhy houa mun jayne ga
Khoushoune barha Den ayne ga
Raat aya G
Raat Aya G
ek pal mein ek sadee kaa mazaa ham se poochhiye
do din kee zindagee kaa mazaa ham se poochhiye
bhoole hain unhein raftaa raftaa mudatton mein ham
qishton mein Khud-***hee kaa mazaa ham se poochhiye
aagaaz-e-aashiqee kaa mazaa aap jaaniye
anjaam-e-aashiqee kaa mazaa ham se poochhiye
jalate diyon mein jalate gharon jaise zau kahaan
sarakar raushnee kaa mazaa ham se poochhiye
vo jaan hee gaye ke hamein un se pyaar hai
aankhon kee muKhbaree kaa mazaa ham se poochhiye
hansane kaa shauq ham ko bhee thaa aap kee tarah
hansiye magar hansee kaa mazaa ham se poochhiye
ham taubaa kar ke mar gaye bemaut ai 'Khumar'
tauheen-e-maikashee kaa mazaa ham se poochhiye
Woh kahta hai udasee per kuch likh ker dikhlaoo
Main kahti hoon maray agay karo aaena main likhti hoon
Woh kahta hai bataoo barshoon ki kia haqeeqat hai
Main kahti hoon yah to barshoo'n ki aankh roti hai
Woh kahta hai tumharay saray khawab Q adhoray hain
Main kahti hoon maree jan tum unhain taqmeel do na
Woh kahta hai shaam main khunki hai kion itni
Main kahti hoon judaee main kisee ki aankh roti hai
Woh kahta hai kay itni bay yaqeeni kis liyey aakhar
Main kahti hoon hamasha bay yaqini sakoon main rakhti hai
Woh kahta hai bataoo tumhain main kion bha giya aakhar
Main kahti hoon maree jan hadsay to ho hi jatay hain
Woh kahta hai k aachanak main tumhain rula doon to?
Main kahti hoon mujhay dar hai kay tu bhi bheeg jaey ga
Woh kahta hai kay mara dil tum say aakhar Q nahi bharta?
Main kahti hoon kay Mohabbat kee koi had hee nahi
Woh kahta hai naseeboon main hamaray kion judee hai?
Main kahti hoon hum aksar dua main dair kertay hain
Woh kahta hai taree yah kaj- adaee jaan laywa hai
Main kahti hoon Mohabbat ko aadaein aa hi jati hain
Woh kahta hai karoon jab fone sunnay kion nahi aati?
Main kahti hoon mujhay sun ker zabt rota hai
Woh kahta hai bataoo choodei'n kasee lagee tum ko?
Main kahti hoon mujhay yah toot ker takleef daiti hain
Woh kahta hai kisi din tum galay main haar bhi pahno
Main kahti hoon aab galay main faqat jeet pahnoon gi
Woh kahta hai tumharay rastay main paid aatay hain
Main kahti hoon mujh ko saey main sastana nahi aata
Woh kahta hai gham-e-doraan gham-e-janan say zalim hai
Main kahti hoon donoon ko ek doosaray say nisbat hai
Woh kahta hai aadab-e-Mohabbat bhi ajab shay hai
Main kahti hoon nibhao ** to dunya tum ko chaey gi
Woh kahta hai yah logoon say mujhay ratain rulati hain
Main kahti hoon usay kahna maray taqyah b geelay hain
Woh kahta hai ghadee bhar ko koi umeed to bandho
Main kahti hoon yah bandhan toot ker takleef daitay hain!!!
Na g bar k Dakha na kouh bat ke
Bari Arzoo the Mulaqat ke
ujloune ke Paryane nunhna Lagine
nudi gungunani khylat ke
Mane chup tha to chalti huwa ruch gaye
zabane sub sumjta hane Juzbat ke
muqder mari Chsam pur aab ka
bursti hoai raat barsat ke
kai sal sa kouch khber he nahi
kahane din guzra kahne raat ke
mujhay bas itna khena hay
kabhi main yaad aaoon to
kabhi tanhai ke lamhay
tumhayn ziyada sataein to
kabhi koyal na bolay to
aur jugnoo lot jayn to
kabhi jab dil bhi bher jaye
koi jab sun na paye to
ager sab dost sathi bhi
jo tum say roth jaein to
kabhi jab khud se lar lar kar
thakan sachoor ho jao
kabhi chahte hue bhi khud akele
ro na pao to
apni ankhon ko bund karna
mujhay awaz de dena
aur phir mera tasawur se
jo chaho batein keh dena
meray kaandhe pe sar rakh kar
tum jitna chaho ro lena
phir khud main jab lot jao to
ussi duniya chale jana
mager bus itna khena hay
ke jab bhi dukh ya khushion main
humain dil say pukaro ge
humain tum sath pao ge.............
Ab is mien jhoot shaamiL ha
Mohabbat mut kaho is ko
imaarut diL ki girney do
taaluq toot jaaney do
keh ju deewaar apney boojh se girney pe aajaey
diiey ki lao se is deewaar ko phir thaamna kaisa
hawa ka saamna kaisa
buhat kumzoor sa such hai
isey ub bujh hi jaaney do
mohabbat mut kaho is ko
samjh lo surdiyoon ki dhoop jaisa such mohabbat hai
panaah zaat ki aagoosh mien simtey howe such mien
ajub si surd mehri hai
keh
ju thathray howe lufzoon ko hidut nahi dey sakti
sulagti raakh ko aatish ki shidut dey nahi sakti
mager such boLna tao hai
andheira phaiLna tao hai
ub is se paishtur keh munjamid taareekiyaan utrien
aur apne neelgoo'n honton ko si ker dhoop surma ki
kisi ki bolti ankhoon mein chumkey aur mur jaey
rutien weeraan kerjaey
osey ub laut jaaney do
mohabbat mut kaho is ko
mohabbat mut kaho is ko
ghaneeray jungloon ke raaste ka such m ohabbat hai
sunehri ghaas pe soti howi pugdandiyoon ka such
mujsm baankpun ashjaar se lipti howi badlien
keh ju apni namo ki gungunaahut hi se durti hai
dabey paaon guzarti hien
inhi ki aajzi ka such mohabbat hai
mager tehro zara soocho !
ager yeh raaste pugdadiyaan
muhz harf-e-tasali hoon
kisi ki muskuraahut hoon
kisi k door jaate bhaagte qudmoon ki aahut hoon
hawa ki sursuraahut hoon
ya aisa khwaab jis ko aakhrish aankhien bhula daalien
ya aisa khut jisey likhien mager likh ker jala daalien
tao phir aey hum nufs ! yeh maan lo yeh such nahi kyunkeh
Ab is mein jhoot shaamil hai
MOHABBAT MUT KAHO IS KO~!!
Tum ne
mujh se mujhe juda ker k
sheesha-e-dil ko aaina ker k
aks is mien utaar ker apna
rukh diya bhooli basrii cheezo`N mien
waQt ki adh-khulii darazo`N mien
kissi be-naam se guma`N k pas
ik adhoorii see dasta`N k pas
jis jaga
gum-shuda khato`N mien chupay
aansou`N ki tarah chamaktay hoay
yaad k be-shumaar jugno` hien
durd k be-hisaab pehlu hien
khush pholo`N ki patiyo`N mien kahiin
kissi barsaat ki namii hai jahan
zindagii ki boht kamii hai jahan
tootii chorii k saath rakhii hoii
ik december ki shaam k hamrah
kuch khiza`N k bhee din paray hien kahiin
khwaab ki dhajeeyo`N se liptay hoay
chaand raato`N k silsilay hien kahiin
aur kuch ehed wafa na hoay
Qarz sanso`N k
jo ada na hoay
itnii cheezo`N k beechh rakha howa hai
aaina toot bhee tu sakta hai
bach bhee jaye tu
aainay pe parii
sainkaro`N dil-zada kharasho`N mien
koii soorat kahan ubhartii hai
sans ka kia hai
chaltii hii rehtii hai...
Mughay aab lot Jana hay
Achanak Toot Jana hay
K meray Dey-es se agay Koi Perdays Mera Muntizer hay
Aur meray Doston nay meray Hathoon main
Safer Ka Zaad Bhi Pakera Dia hay
Guzishta Kal Ki Sab batain Bhulay Ja raha HoOn
Per who Batain Jo Teeray Hasas Chehray per Numaiyan Thien
Who saray Lafaz Jo Askhoon Ki Surat Aankh main Uteray
Teray Khamosh payker main Chupay Ghumnaak Afsanay
Teri Guftaar ki Rim Jhim
Teri Riftaar K Mausaam
Teray Kirdaar Ka Moti
Teray Dil se Ubltay Khoon K bey-awaaz Se Naghmay
Teray Chehray K Khaal-o-Khad, Nigahoon main Chupay Deriya
Teray Ahsas Ki Shiddat
Teray Jazbaat Ki Hiddat
Main Sab Kuch yaad rakhoon Gaa.
Teri Khamosh awazain
Meray Mazi K hisa Ban Ker Ubheran Gee
Mugahy aab Loot Janay Dey
Achanak Toot Janay Dey
Kuch to hawa b sard thi,kuch tha tara khiyal b
Dil ko khushi k saath saath hota raha maalal b
Baat woh aadhi rat ki,rat woh pooray chaand ki
Chaand bhi ain cheet kaa uss pay taraa jamal b
Sab say nazar bacha k vo mujhko kuch aisay dekta
Aik dafha to ruk gaee gardash-e-maa-o-saal b
Dil to chamak sakay ga kia,Phir b tarsh k dekh lay
Sheesha garan-e-shaher k haath ka yeh kamal b
Us ko na paa sakay thay jab dil ka ajeeb haal tha
Aab jo palat k dekhe'ey,baat thi kuch muhal b
Mari talab tha aik shakhs woh jo nahi mila to phir
Haath dua say yoon gira ,bhool giya sawal b
Us ki sakhan taraziea'n maray liyey b dhal thein
Uski hunsi main chup gya apnay ghamoon ka hal b
Ga qareeb-e-sha'rag,ga bahid-e-wa'am-o-khawab
Us ki rafaqatoo'n main raat,hijer bhi wasal b
Us k bazoo'on main aor us hi ko sochtay rahay
Jism ki khawaeshoon pay thay rooh k aor jaal b
Shaam ki na samjh hawa pooch rahi hai ek pata
Moj-e-hawaey koo'ey yaar,kuch to mara khiyal b
kabhi bin mange bhi logoon ko bohat kuch hai mila
kiyon yeh kehtey hain duaoon main aser nahi hota
dil ki gehrayion se kisi ki cha tou ker
kiyon k muqader ka likha dhekha howa nahi hota
tazb bazb ki siya raatoon mein dhekha maine
chand khamosh tha saath mein jab sitara nahi hota
Yah sila mila hai mujh ko tairee dostee kay peechay
K hazaroon gham lagay hain mari zindagi k peechay
Naa to dil kaa koi bharosa,naa to maree koi manzil
Main chala hoon kion na janay kisi ajnabi k peechay
Tairay aasta'n say sir ko main uthaoon ga na her giz
Main kahan kahan na bhatka tairy bandagee k peechay
Mujhay kah k tum sharabi na karo jaha'n main ruswa
Koi raz bhi to ho ga mairee mah kashi kay peechay
Koi unn say jaa kay itna zara aay Shakeel kah day
main howa jaha'n main ruswa tairee aashqee k peechay
Yah sila mila hai mujh ko tairee dostee kay peechay
K hazaroon gham lagay hain mari zindagi k peechay
Khyal shyad k tuja raazdan bana layta
Mager ya loge nai dastan bana layta
to ek bar Mohbat sa dakh lata ager
zameen khoud ko Asman Tuj ko bana layta
Khuda hum ko aaisee Khudaee na day
Kay apnay siwa, kuch dekhaee na day
Khata war samjhay gee dunya tujhay
Aab itnee ziyada safaee na day
Hanso ajj itna kay iss shor main
Sada siskiyoo'n kee sunaee na day
Mujhay apni chadar main yoon dhanp lo
K zamee'n aasma'n kuch dekhaee na day
Khuda aaisay ahsaas kaa naam hai!!!!
Rahay saamnay aor dekhaee na day
Kuch din pehle mohabbat ko sapna samjha hum ne
Muhabbat hue mohabbat ko apna samjha hum ne
Mohabbat main iskadar madhosh ho Gaye
Is ki bewafai ko wafa samjha hum ne?
Zakham iskadar mohabbat ne diye
Hum ne in zakhmo ko phool samjha
Mohabbat ki chik o pukaar iskadar thi
Ke *** pass ke logo ki roone ko asna samjha hum ne
Mohabbat ki shidat main aankhen iskadar chandiya Gaye
Har chamakti chiz ko sona samjha hum ne
Dewaana iskadar mohabbat ne bannaya humko
Ke apno ko begana samjha hum ne
Mohabbat ki yaadein dil par kuch you naksh kar Gaye.
Ke on ko bhulane ki khoshish main
Khod ko bhula diya hum ne..???
wo meri aik ruutt bhi amar kar naih saka .!!!
jadOo to jantaa tha magar kar naih saka.
taqder ky likhay badalny chala tha wO
ik hauroff bhi idher sy udher na kar saka.
mein bhi na rook saka kise manzil pe dard ki .
aur' mery sath koi safar kar naih saka .!!!
Mann ke samandar me-
Hilore maarta
Ufanta/simatta
Paav pasarta tumhara pyar...............
Kabhi band kitaab sa
Dheere-dheere
Khulta hua.
Kabhi mitti ki sondhi mahek sa
Sanso me
Ghulta hua.
Kabhi chalakti sharaab sa
Chadte khumaar sa
Nikalte gubaar sa
Tmhara pyar.
Main mook tat par
Raiteeli dharti par
Tumhari tasveer banata.
Niharta tumhe
Sawaarta tumhe
Swikaarta tumhe
Aate-jaate lamhon me
Pukaarta tumhe
Chahta tumhe.
Aur chahta.....................
SIRF TUMHARA PYAR!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
Koi mousam ho dil main hai tairee yaad ka mousam
K badla hee nahi jana'n,tumharay baad ka mousam
Nahi to aazma ker dekh lay kaisay badalta hai
Tumharay muskuranay say dil-e-nashad ka mousam
Rutoo'n kaa qaeeda hai waqt per aati jaati hain
Hamaray shahar main kion ruk giya faryad ka mousam
kahi'n say ik haseen aawaz ki khushboo pukaray gee
To us kay saath badlay ga dil-e-barbad ka mousam
Mairay shahar pareshan main tairi bay chand ratoon main
Bohat yaad kerti hoon tairee bunyad ka mousam
Na koi gham khiza'n ka na khawaesh hai baharoo'n ki
Hamaray saath hai ........kisee ki yaad ka mousam
Tumhe deekhen ghe,
to sirate bhi zia maanghe ghen.
Pyaasi teri zulfon seh,
gatah maanghe ghen.
Apne maathe seh,
yeh dupatta nah lehra dehna,
warna budhe bhi,
jawani ki dua maandhe ghen
aa bhii jaao kii zindagii kam hai
tum nahii.n ho to har Khushii kam hai
vaadaa kar ke ye kaun aayaa nahii.n
shahar me.n aaj raushanii kam hai
jaane kyaa ho gayaa hai mausam ko
dhuup ziyaadaa hai chaa.Ndanii kam hai
aa_iinaa dekh kar Khayaal aayaa
aaj kal un kii dostii kam hai
tere dam se hii mai.n mukammal huu.N
bin tere terii 'Yamini' kam hai
Main bhi kitni pagal hoon na
Sang hawa k urna chahoo.n
Titli ban kar nagri nagri
Gulshan Gulshan phirna chahoo.n
Phooloo.n k sab rang chura kar
Chunri apni rangna chahoo.n
Main bhi kitni pagal hoon na!
Chandni shab ko khunak hawa main
Chand nagar ko jana chahoo.n
Amber k ik ik taarey ko
Daman main bhar lena chahoo.n
Bhaag k sarey nanhey jugno
Muthi main band karna chahoo.n
Main bhi kitni pagal hoon na!
Kabhi kabhi un nazroo.n k main
Gongey sapney parhna chahoo.n
Uss ki sochoo.n k zeney per
Nangey pa'oo.n main charhna chahoo.n
Janti hoon na-mumkin hay ye
Phir bhi kitni pagal hoon main
Janey kya kya karna chahoo.n
Titli, khushbo, badal ban ker
sang hawa k urna chahoo.n
jab merii yaad sataaye to mujhe Khat likhanaa
tum ko jab niind na aaye to mujhe Khat likhanaa
niile peron kii ghanii chaanv mein hansataa saavan
pyaasii dhartii mein samaane ko tarasataa saavan
raat bhar chhat pe lagaataar barasataa saavan
dil mein jab aag lagaaye to mujhe Khat likhanaa
jab pharak uThe kisii shaaKh pe pattaa koii
gud_gudaaye tumhen biitaa huaa lamhaa koii
jab merii yaad kaa bechain safiinaa koii
jii ko rah rah ke jalaaye to mujhe Khat likhanaa
jab nigaahon ke liye koii nazaaraa na rahe
chaand chhip jaaye gagan par koii sahaaraa na rahe
log ho jaayen paraaye to mujhe Khat likhanaa
Taray karam nay mujhay ker liya qabool magar
Maray janoo'n say Mohabbat ka haq ada na howa
Taray ghamoo'n nay maray her nishat ko samjha
Mara nishat taray gham say aashna naa howa
Kahan kahan na maray paoo'n ladkhiraey magar
Taraa sabat ajab tha kay hadsaa naa howa
Tara karam jo ghata bhi to bay pinah raha
Mara salook badha bhi to munsifana howa
Taray dukhoo'n nay pukara to main qareeb na tha
Maray ghamoo'n nay sada dee to fasala naa howa
Hazar dashna-o-khanjar thay mairay lahjay main
Taree zuba'n pay kabhi harf naarwa naa howa
Hazar shamhoo'n ka banta raha main parwana
Kisee ka ghar,taray dil main maray sawa na howa
Maree siyaee-e-daaman ko dekhnay per bhi
Taray safaid dopatoo'n ka dil bura naa howa
Taray majaz main uss kay liyey parsatish thee
Khuda ka naam liyey jis ko ek zaamana howa
Yeh tumharee umr aisee hai
Jab aasmaan se taray tor ke le aana bhee
Sach much mumkin lagta hai
Shehar ka har aabaad ilaqa
Youn lagta hai jaisay har din
Har ik manzar
Tum se ijazat le kar apnee shakal muayyan karta hai
Jo chaho woh ho jata hai, jo socho, woh ho sakta hai
Laikin ay iss kachee umar kee barish mein mastana phirtee chanchal
larkee
Yeh baadal jo aaj tumharee chat pe ruk kar tum se baatain karta hai
Ik saaya hai
Tum se pehlay or tumharay baad har ik mosam mein yeh
Har ik chat pe aisay hee or isee tarha se
Dhokay baant-ta phirta hai
Subh e azal se shaam e abad tak aik hee khail or aik hee manzar
Dekhnay walee aankhon ko har baar dikhaya jata hai
Ae sapnon kee saij pe sonay jaagnay walee pyaree larkee
Teray khwab jabeen
Laikin itna dehan rakhna jeevan kee iss khwab sara ke saray manzar
Waqt ke qaidee hotay hain jo apnee ro mein
Unn ko saath le jata hai or mehmeez kiay jata hai
Dekhnay walee aankhain peechay reh jatee hain
Dekho..... jaisay..... meree aankhain
Wo yadain
Jo tumne di
Usme maire sathi
Tum hi to ho........................
Wo ****a sa safar,
Har pal ke sathi,
Tum hi to ho........................
Wo itne sare din
Magar tumhare saath
jare se lamhe.
Hote rahe waqt ke saath
Chinn-bhinn....
Jo kuch bhule
Kuch yaad rahe!
Yadon ke kaarwaan me
Wahi lamhe
Kabhi rukte,thithakte
Reh jate hai-
Khuli palko ke saamne
Aur phir saanse tej ho jati hai
Aur rulai si aa jati hai.
Zindagi oos pal ka ehsaas
Ki bahut kuch tumhare bin
Adhura reh gaya.
Janta nahi ki
Aaj tumne bhi
MERE BIN
AISA HI EHSAAS KIYA.
Ghamzah nahiN hota ke ishara nahiN hota
Ankh un say joe miltee hay toe kya kya nahiN hota
Jalvah na hoe ma'ani ka toe surat ka asar kya
Bulbul gul-e-tasveer ka shaeda nahiN hota
Allah bacha'ay marz-e-ishq say dil koe!
Suntay haiN ke ye aarzah acha nahiN hota
Tashbeeh terey chehray koe kya daur gul-e-tar say
Hota hay shagufta, magar itna nahiN hota
Hum aah bhee kartay haiN toe hoe jaatay haiN badnaam
Voh qatal bhee kartay haiN to charcha nahiN hota
Hawaoo!Uski galee say guzro to uss ko mara salam kahna
Mujhay khabar hai k mairay ghar say guzarnay wali hawa ka rasta
Tumharay ghar tak nahi giya hai
Salam maira tumharay kanoo'n say naarsa hai
Main janta hoon yah bachpana hai
Magar haqeeqat ko jaan kar bhi na jannay main ajab maza hai
Hawa say main nay yah phir kaha hai
Guzar rahay hain tumhari yadoo'n k dam say hi subah shaam kahna
Hawa!Uski galee say guzro to uss ko mara salam kahna
Tumharay ghar ka kisay pata hai,Hawa k rukh kee kisay khabar hai!!!
kisi ki aankh jo purnum nahi hay
na sumjho ye keh usko ghum nahi hay
savaad-e-derd mein tunha khara hon
palat jaon magar muasom nahi hay
sumjh kuch nahi aata kisi ki
agarche gufatagu mubaham nahi hay
sulagta kyoun nahi tareek jungle
talab ki llau agar mudham nahi hay
ye basi hay sitaam paravar digaan gi
yehan koi kisi sey kam nahi hay
kinaara dusara deriya ka kay jasey
wu saathi hay magar maharam nahi hay
dilon ki roshni bujhnay na deyna
vajud-e-tiiragi mahakam nahi hay
mein tum ko chah ker pachta raha hon
koi iss zakham ka merham nahi hay
jo koi sun skay 'Amjad' tu sunaa deyna
ba juz ek baaz ghast-e-gum nahi hay
dard jab terii ataa hai to gilaa kis se karen
hijr jab tuune diyaa hai to gilaa kis se karen
aqs bikharaa hai teraa TuuT ke aa_iine mein
ho gayii nam nazar aqs liyaa kis se karen
main safar mein huun mere saath judaaii terii
ham-safar Gam hai to phir teraa pataa kis se karen
khil uThe gul yaa khile dast-e-hinaaii tere
har taraf tuu hai to phir teraa pataa kis se karen
tere lab, terii nigaahen tere aariz terii zulf
itane zindaan hain to is dil ko rihaa kis ke karen
Aaraesh-e-khiyal bhi ho dil ***ha b ho
Woh dard aab kahan jisay g chahata b ho
Yeh kia kay roz aik sa gham aik see umeed
Iss ranj-e-bay khumar ki aab intaha b ho
Yeh kia kay aik tor say guzray tamaam umer
Jee chahata hai aab koi taray siwa b ho
Tootay kabhi to khawab-e-shab-o-roz ka tilism
Itnay hajoom main koi chahra niya bhi ho
Deewangi-e-shoq ko yeh dhun hai inn dinoon
Ghar bhi ho aor bay dar-o-deewar sa bhi ho
Juz dil koi makaan nahi dehar main jaha'n !
Rahzan ka khof bhi na rahay dar khula b ho
Her zarra aik mahmal-e-hibrat hai dasht main
Lakin kisay dikhaoo'n koi dekhta bhi ho
Her shay pukarti hai pas-e-parda-e-sukoot
Lakin kisay sunaoo'n koi hum nawa bhi ho
Fursat main sun shaguftagi-e-ghuncha ki sada
Yeh woh sukhan nahi jo kisi nay kaha bhi ho
Betha hai aik shakhs maray pass dair say
Koi bhala sa ho to humain dekhta bhi ho
Kahin gam ke saaye hain
kahin mayousiyon ki parchhai
zakhm ban chuke hain daag
zindagi ban gayi hai tanhaai
kal shaam ka woh sooraj
mere armaan le ke dooba tha
aaj subah ki ye roshni
mere vaaste hai aansu laayi
kaun gair kaun apna hai..?
kaun jhootha kaun saccha hai..?
akal waalon ki bheerr mein
masoom jaan bahot ghabraai
mera palrra that itnaa bhaari
duniya waale jhukaa na paaye
ik taraf mera gam-e-dil tha
ik taraf thi saari khudaai
Hosla dobtay mousam ka barrha deta hai
phool shakhon pay wo bar'waqt khila deta hai
aik manzil hai kay suuraj say bhi khoo jaati hai
aik rasta hai kay jugnoo bhi dikha deta hai
dard seenay main jo damm lay to ghaneemat warna
yeh wo sholaa hai jisay habss hawa deta hai
wo jo suuraj ko ubharnay nahin deta shabb bhar
subha hotay hi wo mehtaab bujha deta hai
wus'att-e-dast bata, kon meray rastay main
rooz diwaar bagolon ki uthha deta hai
gunbadd-e-shabb main laraztee hai eri tanhaai
jiss main rah'roo koi apno ko sada deta hai
jis ko tufaaN say ulajhnay ki ho aadat Mohsin.!
aisi kishtee ko samandar bhi dua deta hai
Kis basti main aan basa hoon
Jis basti ki har shay pathar
Koochay pathar,qareenay pathar
Ghar pathar k,dar pathar k
Iss basti main chaltay phirtay
Kaisay kaisay pathar dakhay
Adnah pathar,aalah pathar
achay pathar,ochay pathar
Sachaee say ojhal pathar
Hirs-o-hawas say bojhal pathar
Cheeda cheeda aabid pathar
Cheeda cheeda zahid pathar
Aajaz pathar,tajar pathar
Iss basti main jis ki khatir
Main aaya tha woh b pathar
Uss ki aankhai'n pathar ki thein
Uss ki sansai'n pathar ki thein
Geetoo'n ki lay pathar ki thi
Uss ki har shay pathar ki thi
Iss basti ko **** chala hoon
Har ek rishta tod chala hoon
Lakin ek din phir aaoo'n ga
Jab main pathar ka ban jaoo'n ga!!!!
raat soyi siakte huye
mere daman mein kabhi ujale na huye
raat soyi sisakte huye
mere daman mein kabhi ujale na huye
tum tak chal ke aate
humare kadmo mein wo hausle na huye
wo hausle na huye
hum sochte hi rahe kis tarah tum bin jiye?
raat bahaut andheri thi hume apne hi saye na mile
apne hi saye na mile
kisi pal roye bhi to aansoo ponchhe kaun?
jaane kitane sawaal humne khud se kiye
sawaal humne khud se kiye
raat royi sisakte huye
mere daman mein kabhi ujale na huye
zindagi ka maut se milna
aur hume tere sahare na huye
tere sahare na huye
kat gayi aankho mein saari raat
subah laayi thi sang apne beqarari
sang apne beqarari
nayi subah naye suraj mein thi nayi baat
ek tehqeed ke saathwo mile muskurate huye
wo mile muskurate huye
raat royi sisakte huye
mere daman mein kabhi ujale na huye
Usay anjan raston se guzar jane ki khwahish thi
Mohabbat mein amar ho jane mar jane ki khwahish thi
Wo kehta tha jeewaan teeragi hai
Aur hamein is teergi mein rung bharne hain roshni ke
Aur ye humko mukhtasir se chund lamhe jo mayasser hain
Ye lamhe hamein mohabbats e abad karne hain,
Kisi ko door se dekhna hai aur kisi se baat karni hai
Jahan ye din guzar jain waheen pe rat karni hai
Wo kehta tha mohabbat ka koi mausam nahi hota
Ye har mausam ka jazba hai jo kabhi kum nahi hota
Mohabbat ko naye dhub se basar karne ki khwahish
usay shab bhar jagati hai
Najane kaunsi chahat usay har pal rulati hai
Shanasa tha par har aik se bahut anjan rehta tha
Bahut abaad tha lekin bahut weeran rehta tha
Usay har shakhs ko hairan kar jane ki khwahish thi
Mohabbt mein amar hojane mar jane ki khwahish thi.
us ko mera halka sa ehsaas to hai
be dard sahi woh meri humraaz to hai
woh aaye na aaye mere paas lekin
shidat se mujhe us ka intezaar to hai
abhi nahi to kya hua mil hi jayengi kabhi
mere dil main us se milan ki aas to hai
pyaar ki gawahi mere aansoon se na maang
barasti nahi aankhen magar dil uddas to hai
bana gulaab tu kaante chubha gia ik shkhs,,
howa charagh tu ghur he jala gia ik shakhs
mey kis hawa mey oroon, kis faza me lehraon,,
dukhon ke jaal her ik soo bicha gia ik shakhs
tamaam rung merey or saarey khuab merey,
fasana de ke fasana bana gia ik shakhs
mohabtain bhi ajub, oski nafratain bhi kamaal,,
meri terha ka mujh me sama gia ik shakhs
mohabaton mey kissy ki bhula rakha tha ose,,
mile wo zakhm ke phir yaad agia ik shakhs
khula yeh raaz aiena khana hey dunia,,,
or osmey mujh ko tamasha bana gia ik shakhs
Kahavab Suhane Yaad Aate Hain
Saath Purane Yaad Aate Hain
Un Ki Yaadou Ki Khushboo Ke
Shokh Zamane Yaad Aate Hain
Har Mosam Mei Dukh Sukh Mei
Yaar Purane Yaad Aate Hain
Jin Aankho Se Ham Peete They
Woh Mekhane Yaad Aate Hain
Woh Jo Ham Ko Bhool Gae Hain
Woh Jane Kayo Yaad Aate Hain
Ho ker Zameen Ki, Aasmaan Ki Chaah Kyun Karoon
Main Tujh ko Paanay Ki Tamanna Kyun Karoon
Mujh ko Khabar Hai Judai Tarpayegi Tujhe Har Pal
Is hi liye Bata de Main Tujh se Wafa Kyun Karoon
Aman Ko Mere *** Lagay gi Gar Tu Na Mili Mujhe
Tujhe Apna Bana ne Ki Phir Dua Kyun Karoon
Teri Masoomiyat Ko Rab Ne Banaaya Hai Mohabbat Ke liye
Tujhe Na Chahne Ki Phir Main Khata Kyun Karoon
Farishtay Bhi Tadap Jaatay Hain Jab Teree Aankh Se Ashk Chalaktay Hain
Yeh Dard Tujhe De ker Main Koi Gunnah Kyun Karoon
Teri Meri Qismat Ki Raahain Hain Judaa Judaa
Main Phir Tera Banjanay Ki Aarzoo Kyun Karoon
Meri Hathoon Ki Lakiroon Mein Nahi Hai Naam Tera
Main Tera Naam Apne Naam Se Milanay Ki Justajoo Kyun Karoon
Meri Baatain Tere Dil Mein Hamesha Bass Jaati Hain
Is Baat Ki Khabar Rakh Kar Main Koi Guftagoo Kyun Karoon
Batoon Batoon Main Benaam Fasaanay Banjaate Hain
Aur Aisi Adhuri Kahaani Ko Main Shuroo Kyun Karoon J
oo Bhi Jazbaat Hai Dil Mein Dil Tak Mehfooz Hain
Yeh Bataoo Ke Main Unka Zikar Dubara Kyun Karoon
Mana Ke Mohabbat Bhari Nazar Dil Par Gehra Asar Karti Hai
Usay Pyaar Se Dekh Ker Us Par Koi Jaadoo Kyun Karoon
Mere Liye Yeh Mumkin Nahi Ke Main Tera Banjaoun Kabhi
Lekin Main Tujhse Mohabbat Ka Izhaar Kyun Karoon
Itna Dukhaaya Dil Ko Tunay Mere, Itna Rulaaya Hai Mujhe
Sub Kuch Sahoon Phir Bhi Tujhse Bay intiha Pyaar Kyun Karoo
Aab bhala **** kay ghar kia kertay
Shaam kay waqt safar kia kertay
Taree musroofiyatain jantay thay
Apnay aanay kee khabar kia kertay
Jab seetaray hee nahi mil paaey
Lay k hum shams-o-qamar kia kertay
Woh musafir hee khuli dhoop ka tha
Saey phaila kay shajar kia kertay
Khaak hee awal-o-aakhir thahree
Ker kay zar'ray ko gohar kia kertay
Raey pehlay say banaa lee tu nay
Dil main aab hum taray ghar kia kertay
Ishq nay saaray saliqay bukhshay
Husan say kasb-e-hunar kia kertay
Yoon hosla dil nay haara kab tha
Sartaan maraa sitara kab tha
Lazim tha guzarna zindagee say
Bin zaher piyey guzara kab tha
Kuch pal usay aor dekh saktay
Ashkoon ko magar gawara kab tha
Hum khud bhi judahi ka sabab thay
Uss kaa hee qasoor saara kab tha
Aab aor kisi k saath hai to kia dukh
pahlay bhi koi hamara kab tha
Ek nam pay zakham khil uthay thay
Qaatil kee taraf esharaa kab tha
Aaey ho to roshnee howee hai
Iss baam pay koi taara kab tha
Dekha howa ghar tha per kisi nay
Dulhan kee tarah sanwara kab tha
*mere sukhan ka qareena dhobo gaya muj ko
kay jis ko haal sunaya ouse fasana laga!
*khud ko youn mehsoor ker baitha hoon aapni zaat mein
manzilein charoon taraf hain raasta koi nahi
*lab o zehan bhi mila hai guftagu ka fan bhi mila hai
magar jo dil pe guzarti hai keh sakoo'n bhi nahi
*meri zuban ki laknat se badguma'n na ho
jo tou kahe tou tuje omer bhar miloon bhi nahi
karaY hain hijar k lamhaat us se kah daina
bikhar rahi hai meri zaat us se kah daina
hawa'iey mosam-e-gham us k shahar jaiey tu
meray dukhon ki koi baat us se kah daina
ye wahshtein se udasi ye rutjagon k azab
us ke hai ye inaayaat us se kah daina
bohat taveel bohat karb'naak hoti hai
judaion ki har ek raat us se kah daina
wo dil ki baazi jahan muj se jeetna chahay
main maan loon ghi wohi maat us se kah daina
wafa ki raah main main aj be akeli hon
koi nahi ha meray sath us se kah daina
Musuam badal Gia hai..!!
Jasi Ristey Badalty Hain..!!
Kaash .!! insaan key zinadge sirf ek
musuam ya ek Ristay key Lia Bani
Hoti..!! yeh wo Musuam Badalta
Yah wo rista totta ..or insaan key
Zindage katam ho gati…
Likin ais akali zindage ko har badalty
Ristay ka samna karma parta hai
Ankhain dil key nahi sunti dil dimagh
Key nahi manta..or har hal main insaan
Ko jeena parta hai..
Sang-dil hai woh to kion uss kaa gila main nay kia
Jab k khud pather ko but,but ko khuda main nay kia
Kaisay na-manoos lafzoon ki kahani tha vo shakhs
Uss ko kitni mushkiloo'n say tarjama main nay kia
Woh mari pahli Mohabbat woh maree pahli shikast
Phir to paiman-e-wafa so martaba main nay kia
Hoon saza war-e-saza kion jab maqader main maray
Jo bhi uss jan-e-jaha'n nay likh diya main nay kia
Woh thahrta kia kay guzra tak nahi jis kay liyey
Ghar to ghar her raasata aarasta main nay kia
Mujh pay apnaa juram saabit ho naa ho lakin Faraz
Log kahtay hain kay uss ko bay wafa main nay kia
Mujhey lagta hai aisa kabhi kabhi
Jaisy woh ajnabi larki
Mujh sey pyar karti hai
Mujhey chahti hai
Akser yunhi chup chup ker
Dekhti hai, janey kiya sooch ker
Nazrein chura jati hai
Kuch ghabra si jati hai
Apney aanchal ko hawaoon k zoor
per lehrati hai
Mehsoos mujhey yeh hota hai k
Shayad mujhey woh bohat chahti hai
Mujhey aisa ehsas dilati hai jesay
Woh mujh sey kuch kehna chahti hai
Meray pochnay per kuch sharma si jati hai
Kuch ghabra si jati hai
tumhaare lahaje me.n jo garmii-o-halaavat hai
ise bhalaa saa ko_ii naam do vafaa kii jagah
ganiim-e-nuur kaa hamalaa kaho a.Ndhero.n par
dayaar-e-dard me.n aamad kaho masiihaa kii
ravaa.N-davaa.N hue Khushbuu ke qaafile har suu
Khalaa-e-subah me.n guu.Njii sahar kii shahanaa_ii
ye ek koharaa saa ye dhu.Ndh sii jo chhaa_ii hai
is iltahaab me.n surmagii.n ujaale me.n
sivaa tumhaare mujhe kuchh nazar nahii.n aataa
hayaat naam hai yaado.n kaa talKh aur shiirii.n
bhalaa kisii ne kabhii rang-o-buu ko paka.Daa hai
shafaq ko qaid me.n rakhaa sabaa ko band kiyaa
har ek lamahaa gurezaa.N hai jaise dushman hai
na tum milogii na main ham bhii dono.n lamhe hai.n
vo lamhe.n jaake jo vaapas kabhii nahii.n aate
Kuch din to baso meri aankhon mein
Phir khawaab agar ho jao to kya
Koi rang to do mere chehray ko
Phir zakhm agar mehkao to kya
Jab ham hi na mehkay phir sahab
Tum baad-e-saba kehlao to kya
Ik aaiina tha so toot gaya
Ab khud se agar sharmao to kya
Duniya bhi wohi aur tum bhi wohi
Phir tum se aas lagao to kya
Main tanha tha, main tanha hoon
Tum aao to kya, na aao to kya
Jab dekhnay wala koi bhi nahin
Bujh jao to kya, gehnao to kya
Ik wahem hai yeh duniya is mein
Kuch kho'o to kya aur pao to kya
Hai yuun bhi ziyaan aur yuun bhi ziyaan
Jee jao to kya, mar jao to kya
De Ker Ghum-e-Judaai Woh Jaane Kidher Gaya
Burpaa Qayamatein Jo Mere Dil Pe Ker Gaya
Jaate Hue Woh Le Ke Dua Ka Aser Gaya
Mujhe Ko Ghum-e-Hayat Se Begaana Ker Gaya
Dekha Jo Sooye Taj Mehel, Dil Ne Ye Kaha
Fun To Raha Hai Zinda Ke Funkaar Mer Gaya
Kia Yaad Ker Sake Ga Yahan Per Mujhe Koi
Sheraaza Meiri Husti Ka Jis Din Bikher Gaya
Phir Ajj Usi Ko Dhoondti Hai Ye Nigaah-e-Shouq
Dekhe Jise Ae Sanam Zamaaana Guzer Gaya
Jo ban paday to,
Yeh khud say kahna kabhi to jana'n!
K tum ko aati hai yaad aab b,
Woh aik sunder,udas larki
Woh khoee khoee c aankhoo'n wali
Woh uljhi uljhi see sochoo'n wali
Woh jhooti muskan ko laboo'n per sajanay wali
Woh apnay baray main dhiray dhiray say tum ko sab kuch batanay wali
Woh baat bay baat ruth ker maan janay wali
Kabhi kabhi to hisab-o-had say b yaad badh ker hai aanay wali
Sitanay wali___________mananay wali
Woh aik sunder udas ladki
vafaa ke shiish mahal mein sajaa liyaa main ne
vo ek dil jise patthar banaa liyaa main ne
ye soch kar ki na ho taak mein Khushii koii
Gamon ki oT mein Khud ko chhupaa liyaa main ne
kabhii na Khatm kiyaa main ne roshanii kaa muhaaz
agar chiraaG bujhaa, dil jalaa liyaa main ne
kamaal ye hai ki jo dushman pe chalaanaa thaa
vo tiir apane kaleje pe khaa liyaa mai.n ne
'Qateel' jisakii adaavat mein ek pyaar bhii thaa
us aadamii ko gale se lagaa liyaa main ne
mehfooz hai teri mahubbat.......
mere dil e gulistaan me kahi.....
tu aaja mere karib....
or meri dil ko aapni dharkan ka sahara de de.....
Akhir Ek din
us na muj sa kah he dala
Muj per b Ek nazam kaho Tum
As nazam
k jis mane mara nam na aya ...
ae khoud ayoune !...
kis ko dhekta hai tou!
muntazir nighahoon se
kaun aaney wala hai
pursakoot rahoon se
shab k jalwa ghahoon se
KAUN AANEY WALA HAI?
dhal gaye siyahi mein
reenghtey howe saaye
kis ka muntazir hai tou
daam e ghosh phailaye
aarzoo ko behlaye
KIS KA MUNTAZIR HAI TOU?
shaam ki siyahi mein
manand perh gaye laley
kis ko dhondta hai tou
rah dhekney waley
justujo k matwaley
kis ko dhondta hai tou
KON AANEY WALA HAI?
Mausam Bahar ka tu abb bhi ata ha
Mere tu sari khoshian vabista thi tum se
Soraj tu herr rozz nikalta ha
Merey lie tu zindagi mai roshni thi tum se
Loog tu abb bhi haste hai
Mery chehray pe ati thi muskrat tum se
Ajj bhi aram se loog sotee hai
Mera sakoon tu tha tum se
Phool ajj bhi gulshan mai khilte ha
Likin who khosbho nahi jo thi tum se
Duniya mai abb sub rung pekhe hai
Saree rang tu majood thee tum se
Sanseen tu abhi bhi ati hai
Jetee tu hum thee sirf tumhare dum se
Chahtee tu humee aur logg bhi hai
Likin mohabat hum ne ki thi tu sirf tum se
Meri kismet mai tumhara nam nahi ha
Tu kiya shikwa karee hum tum se
Meri zindagi tu tum se hi hai
Lota do muj ko itni ha guzarish meri tum se
Woh day raha hai "dilasay" to umer bhar k mujhay
Bicher naa jaey kahin phir udaas ker kay mujhay
Jahan na tu na tairee yaad kay qadam hoon **
Dara rahay hain wohi marhalay safar k mujhay
Yeh chund ashk bhi taray hain sham-e-gham lakin
ujalnay hain abhi khal-o-khad sahar kay mujhay
Dil-e-tabaa taray gham ko taalnay kay liyey!
Suna raha hai fasanay idher udher kay mujhay
Qaba-e-zakham badan per saja kay nikla hoon
Woh aab mila b to dekhay ga aankh bhar k mujhay
Kuch iss liyey bhi main us say bicher gia Mohsin
Woh door door say dekhay thaher thaher k mujhay
Ye aankhein teri jaise do kanwal,
Kehti hain chupke se koi gazal
Ye aankhein teri aur inki gehrayee,
sunaati hai jaise ye dastaan koyiiiiiiii
Ye aankhein teri aur inka dard,
Dekha to bas tadap uthe hum
Ye aankhein teri, yaan paimaane do,
Khuda ke hain, ye nazraane do,
Ye aankhein teri, koi jaadoo hain inmein,
Dekhe to bhool jaayein log apne raste,
Ye aankhein teri, nahi in jaisi kahin,
Deewaana kiya hume in aankhon ne teri...
ISS BAAT SEY DEKHO HUM INKAAR NAHIN KERTEY
DIL KI BAAT KA HUM IZHAAR NAHIN KERTEY
PHAER LETEY HAIN ROOH BANED KER LETEY HAIN ANKHAIN
EH CHAAND HUM TERA DIDAAR NAHIN KERTEY
KERLETEY HEIN HUM HAR BAAT GATAOON SEY
MAGER DUNIYAAN PER HUM ITBAAR NAHIN KERTEY
GINTEY HEIN HUM TO KHUSHIYOON KE PAL SAREY
GHAMOON KO MERI JAAN HUM SHUMAAR NAHIN KERTEY
KEHH DAAL DILWALE SAARI BAATEIN DIL KI
MAAN LEY MERI BAAT IN KAAR NAHIN KERTEY
Us gali ka nishaan miley na miley
Phir se wo jaane jaan miley na miley
Nain goya thee meher hoton per
Pyaar ka wo samaa miley na miley
Khud ko hum haale dil suna daalen
kia khabar raazdaaan miley na miley
Wasl ke raaz is pe likh daalo
Phir yeh aabe rawaan miley na miley
Mat juda kerna usko aankhon sey
Khaab ka phir dhuan miley na miley
Meri Hathoun pe teri ungliyun ka lums jo abhi baaqi hai
Aisa lag raha hai ke jaisey zindagi abhi baaqi hai
Wo keh raha tha mujhse ka mujhey bhool jow tum
Men keh rahe the kesey jubke saans abhi baaqi hai
Hontho ki zuban ye ansoo kehete hain
Jo chup rehte hain phir bhi behete hain
Aur in aasuon ki kismat to dekhiye
Ye unke liye behte hain jo in ankhon mein rehte hain
Kismat se apni sabko shikayat kyun hai?
Jo nahi mil sakta usi se Mohabbat kyun hai?
Kitne khaye hain dhokae in rahon mein
Phir bhi dil ko usi ka intezar kyun hai?
Hawaei'n dil dukhaein gee
Suno pagal!khaday rahnay say kiya hasil
Howa to bas yahi ho ga
Hawaei'n dil dukhaei'n gee
Nigaei'n bheeg jaei'n gee
`
Chalo andar chalay jao
Suna hai jo bhi marzi say
Chala jaey
Woh phir wapis nahi aata........!!!
Main sahil aor neela pani
Teeno'n achay sathi hain
Ik din thandi rait pay tanha
Dekh k mujh ko lahrain bolei'n
Iss neelay pani k andar
Jitnay moti hain sab chun kar
Man ko khusheio'n say tum bhar lo
Yah pagli lahrain kiya janaei'n
Seep aor moti,sona,chandi
Maray sajan jaisay kab hain!!!
main to iss karb-e-nazara say tadap utha hoon
Kitnay aaisay hain jinhain hasrat-e-bainaee hai
Jin ki qesmat main kabhi dolat-e-deedar nahi
Jin ki qesmat main tamasha na tamashaee hai
Jo tarsatay hain k kirnoo'n ko barasta dakhei'n
Jo yah kahtay hain k manzil nahi rasta dekhei'n
Unn say kah do k vo aaein maree aankhain lay lain
iss say pahlay k jisam mara fana ho jaey
Iss say pahlay k yah khakstar-e-jaa'n bhi na rahay
iss say pahlay k hashar bapa ho jaey
Apnay chahray pay laga lay koi maree aankhain
Kon sah paey ga lakin maree aankhoo'n k aazab
Kis ko yah hosla ho ga k hamaisha dekhay
Apni palkoo'n ki saliboo'n say utartay howay khawab
Jin ki kircheeo'n ki chubhan rouh main bas jati hai
Zindagi,zindagi bhar k liyey kurlati hai!!!!!!!!!
Mohabat k Mosam
Zmany k sab mosamo se niraly
Bahar-o-Khizan in ki sab se juda
alag in ka sookha, alag hai ghata
Muhabat k khitty ki aab-o-hawa
mawra on anasir se jo
mosamoon k tagheyur ki buniad hain
ye zman-o-makan k kam-o-besh se
aesy azad hain
jesy sobh-e-azal... jesy sham-e-fana
shab-o-roz -e- alam k ehkam ko
ye Muhabat k mosam nahi manty!
zindgi ki musafat k anjam ko
ye Muhabat k mosam nahi manty!
Rifaqat ki khushboo se khali ho jo
ye koi aesa manzar nahi dekhty,
Wafa k ilava kisi kam ko
ye Muhabat k mosam nahi manty
hum se na yonh rootha kijiyee
joo hay gilaa, woh gilaa kijiyee
be-khabar na humse raha kijiyee
aise na rishta humse qataa kijiyee
(qataa=torna)
aayenay ko aise na dekha kijiyee
lag na jaaye nazar pardaa kijiyee
(aayenay=miror)
palkoon ka na yonh pehra kijiyee
aankhon se sharaab pilaya kijiyee
qatil adaon k teer na chalaya kijiyee
aap jo chahayen, bas hukum kijiyee
huzoor ab tu berukhi khatam kijiyee
hazir jaan-e-Aman, ek ishara kijiyee
Muja Tum sa Mohabat ha
Chopna raaz is Dil k
ager tum choar do jana
Muja Tum sa Mohabat ha
ager tum boal do jana
To jewan k safar mane
Rasta asan ho jay ga
Hamra pass b jeena k saman ho jay ga
wagerna hum, tumhra Dil k darwaza k baher
aas main bethay rahain **
k kabi tou band darwazay ko kholo gi
meray shanay pa sr rakh kr
kabi deeray se bolo gi
Muja Tum sa Mohabat ha
Ager Hum Dost Hotay To
To Karam Ki Inteha Kartay
Tumay Palkon Mein Basatay Hum
Ager Tum Rooth Jatay To
Tumhay Kitna Manatay Hum
Jo Milnay Tum Nahi Aatay To
Aa Kar Khud Tumhan Miltay
Tumhari Laghzishon Ko Bhi
Hansi Main Hum Ura Detay
Ager Apni Khata Hoti
To Khud Ko Bhi Saza Detay
Magar Ye Sab Jabhi Hota
Ager Hum Dost Hotay To
Magar Itna Hi Jana Hai
K Tum Ney Aaj Tak Hum Ko
Paraya Keh Ker Jana Hai
Kabhi Hamdam Naa Mana hai
Ager Hum Dost Hotay To.....
kis ko qaatil main kahun kis ko masiihaa samajhun
sab yahaan dost hii baiThe hain kise kyaa samajhuun
vo bhii kyaa din the kii har vaham yaqiin hotaa thaa
ab haqiiqat nazar aaye to use kyaa samajhun
dil jo TuuTaa to kaii haath duaa ko uThe
aise maahaul mein ab kis ko paraayaa samajhuun
zulm ye hai ke hai yaqtaa terii begaanaaravii
lutf ye hai ke main ab tak tujhe apanaa samajhuun
Aik baysukooni si yeh kahan say mujh mein aa gai?
Aik dam yeh gham ki fiza mujh per kaisay cha gai?
Jis say pyar kiya mein nay,us nay tou mujhey chaha nahin
Haan magar yeh kuon,tanhai kou mein bha gai?
Jis ki khuwahish ki thi,woh aii bhi or chali bhi gai
Meri zindagi weeran ker k woh rut mujh kou tersa gai...
Waisay tou beh jaatey hain ashk ****i ****i baatoun pay bhi
Us ki baywafai magar dil kou khoon kay ansoo rula gai
Ab phir say kia shikwa kerain kay yehi hota hai saath meray
Aik baar phir qismet meri mujh per zulm yeh dha gai
Jisay chahtey hain dil-o-jaan say usay paanay ki ab khuwaish nahin
Us ki baywafai tou hum kou dil per qaboo rakhna sikha gai..
Zindagi ko bahut aasaan samajhta tha main
har aadmi ko insaam samajhta tha main
beshumaar fasane hai kehne sunne ko
har fasane ko sach samajhta tha main
zindagi leti rahi imtihan pe imtihan
har imtihan ko gira samjhta tha main
Kheyal-o-khawab howey wo piyar key mausam
Phir na lout ker aaiy bahaar key mausam
Meri hi chahatoun mey kuch kami thi shayied
Us key sada bahaar they jafa key mausam
Aaj nanoun ki badli toot ker barsi warna
Dil ki basti mey kahan they yeh nikhar key mausam
Gham-e-hasti sey fursat miley to tujhey piyar karien
Hum yeh sooch rahey they key badal giey piyar key mausam
Wo meri piyar ki bahaarein loot gaya
Apney hissey mey aaiy yeh intazar key mausam
Aahat aahat intazar kar k dakhna
Kabhi kisi say piyar kar k dakhna
Toot-tay hain khoon k rishtay bhi
Ghaltea'n do chaar kar k dakhna
Agar zindagi ka falsafa samajhna ho
Barish main kachi deewar kar k dakhna
Kaee janam beet jaei'n ** Irfan
Kabhi mohabbat shumar kar k dakhna
yeh mumkin hai hamarey darmiya'n koi
ghalat fehmi bhi na rehti
jo aapne dil mein ****i si
khalash hai khatam ho jati
bata deta k muj ko aaj bhi ous ki zaroorat hai
jo es jeevan ka hasil hai tou bas ous ki mohabbat hai
bata deta k logoon ki sabhi batein fasaney hain
sabhi qisey puraney hain
main keh deta zara si baat per youn ro'otna acha nahi hota
mohabbat kerney waloon main
ghalat fehmi tou ho sakhti hai per jaghtra nahi hota
main her ek baat keh deta
khalash bhi do'or ho jati
main ous ka haath pakery younhi ous ka hamqadam rehta
wo aagey haath tou kerta
woh muj se baat tou kerta
sataa sataa ke hamen ashk baar kartii hai
tumhaarii yaad bahut beqaraar kartii hai
vo din jo saath guzaare the pyaar ke hamane
talaash un ko nazar baar baar kartii hai
gilaa nahiin jo nasiibon ne kar diyaa hai judaa
terii judaaii bhii ab ham ko pyaar kartii hai
kinaare baiTh ke jis ke kiye the qaul-o-qaraar
nadii vo ab bhii teraa intazaar kartii hai
meri her ik ada mai chupi thi teri muhabat
to nay mahsoos na ki ye aur baat hai
mai nay her dam teray hi khuwaab dekhay
mujhay tabeer na mili ye aur baat hai
mai nay jub bhi tujh se baat kerna chahi
mujahy alfaaz na milay ye aur baat hai
mai teri muhabat k samander mai duur tak nikli
mujhay sahil na mila ye aur baat hai
qudrat nay likha tha tujh ko meri taqdeer main
teri qismat mai main na thi ye aur baat hai......
chaaNd tanhaa hai aasmaaN tanhaa
dil milaa hai kahaaN kahaaN tanhaa
bujh gaii aas chhup gayaa taaraa
thar-tharaataa rahaa dhuaaN tanhaa
zindagii kyaa isii ko kahte haiN
jism tanhaa hai aur jaaN tanhaa
ham-safar ko’ii gar mile bhi kahiiN
donoN chalte rahe tanhaa tanhaa
jaltii bujhtii si raushnii ke pare
simTaa simTaa sa ek makaaN tanhaa
raaH dekhaa karegaa sadiyoN tak
chhoR jaayeNge ye jahaaN tanhaa
Woh dushman-e-jaan,jaan say payara bhi kabhi tha
Aab kis say kahain koi hamara bhi kabhi tha
Uttara hai rag-o-pay main to dil cut sa gaya hai
Yeh zehar-e-judai k gawara bhi kabhi tha
Her dost jaha'n abar-e-guraiza'n ki tarah hai
Yeh shehar kabhi shehar hamara bhi kabhi tha
Titli k taakab main koi phool sa bacha
Aisa hi koi khawab hamara bhi kabhi tha
Aab aglay zamany k milain log to poochain
Jo haal hamara hai, tumhara bhi kabhi tha
Her bazam main hum nay ussay afsorda hee dekha
kehtay hain Fraz anjaman-e-aara bhi kabhi tha
Kaise kehdoon ke mulaqaat nahi hoti hai
Roz milte hain magar baat nahi hoti hai
Aap lillah na dekha karen aaina kabhi
Dil ka aa jana bari baat nahi hoti hai
Chhhup ke rota hoon teri yaad mein duniya bhar se
Kab meri aankh se barsaat nahi hoti hai
Haal-e-dil poochne waale teri duniya mein kabhi
Din hota hai magar raat nahi hoti hai
Jab bhi milte hain toh kehte hain kaise ho 'Shakeel'
Is se aagay to koi baat nahi hoti hai
kyaa bhalaa mujhako paraKhane ke natiijaa nikalaa
zaKhm-e-dil aap kii nazaro.n se bhii geharaa nikalaa
to.Dakar dekh liyaa aaiinaa-e-dil tuune
terii suurat ke sivaa aur bataa kyaa nikalaa
tishnagii jam gaii patthar kii tarah ho.nTo.n par
Duub kar tere dariyaa me.n mai.n pyaasaa nikalaa
jo dil ne kahii lab pe kahaan aaii hai dekho
ab mahafil-e-yaaraan mein bhii tanhaaii hai dekho
phuulon se havaa bhii kabhii ghabaraaii hai dekho
Gunchon se bhii shabanam kabhii kataraaii hai dekho
ab zauq-e-talab vajah-e-junuun Thair gayaa hai
aur arz-e-vafaa baa_is-e-rusvaaii hai dekho
Gam apane hii ashkon kaa Khariidaar huaa hai
dil apanii hii haalaat kaa tamaashaaii hai dekho
Erum Zehra
01-23-2007, 09:16 AM
wah aps ji zabardast !
Mera haath main jo Gulaab the
woh Gulaab saare bikharr gaye
meri aankh main woh jo khuwaab the
woh hi khuwaab mere ujarr gaye
jisse maine maanga tha baarha
woh hi shaks mujh se bicharr gaya
mera humsafar mujhe chor ker
kisi aur simt chala gaya
jisse saath dena tha ummer bhar
woh to do qadam bhi na chal saka
Khushboo main basa howa yah lahja
dastak mairay dil pay day raha hai
Aor dhoond raha hai mairay andar
Ek shakh bahar-e-rang jis par
Ikrar k phool khil rahay hain
Main kaisay karoon yah dar ***hada
Iss par to woh qufal pad chuka hai
Jis k liey saray isaam baykar
Yah mairay sitaray ki tarah hai
Tareek,udas,ghair aabad
Aay mairay Khuda mairay badan main
Himat nahi hai aab shikastagi ki
Sheeshay ki tarah hai uss ka dil b
Ik thais say tootnay ka dar hai
Malik hai Tu Aab-o-gul,baad ka
Qadir hai hamari kismatoo'n par
Itni c dua hai mairi tujh say
Ya uss k iraday ko badal day
Ya mairay sitaray ko badal day!!
kyun Tanha Tanha Phirte Ho.
Kyun Uljhe Uljhe Rehte Ho…
Kuch Dunya Se Ghabraye Hue.
Jaise Bahut Sataye Hue…
Kuch Gumsum Gumsum Lagte Ho
Kyun Tanha Tanha Phirte Ho....
Kyun Uljhe Uljhe Rehte Ho……
Chehre Pe Khushi Ki Kiran Nahin
Na Honton Pe Muskaan Haseen…..
Kyun Preshaan Tumhari Baten Hain
Kyun Heraan Tumhari Aankhen Hai
Kyun Khud Se Hi Baten Karte Ho……
Kyun Tanha Tanha Phirte Ho……
Kyun Uljhe Uljhe Rehte Ho……
Lehje Men Tere Na Aas Koi ……
Kar Gya Tumhen Udaas Koi……
Kyun Gehre Halke Aankhon Men
Kyun Jaagte Tanha Raton Men…
Kya Sapno Se Tum Darte Ho……
Kyun Tanha Tanha Phirte Ho…
Kyun Uljhe Uljhe Rehte Ho……
Kya Sapne Tumhare Toot Gye…
Ya Apne Saare Rooth Gye……
Kya Gum Ho Beete Saalon Men
Kissi Bewafa Ke Khayalon Men
Tum Khoye Khoye Lagte Ho…
Kyun Tanha Tanha Phirte Ho…
Kyun Uljhe Uljhe Rehte Ho……
kUCH TUE DARD ETNA GEHRA THA
KUCH TUE APNOUN NAY HE DASA THA
KUCH TUE HUM BE PATHER DIL THAY
KUCH TUE USAY BE APPNI KHUBSURTI PAR BOHAT GAROOR THA
KUCH TUE HAWA BE MAN CHALI THEE
KUCH TUE MUOSAM KO BE APPNAY OPER NAZ
THA
KUCH TUE TUMHAIN BE ADAT THEE HUM SAY DIL LAGANY KE
KUCH HUMHAIN BE SEHAR TANHAYOUN KA SHOK THA.
Naye rastay badalte hain purane bhool jate hain
Zamane ko zamane main zamane bhool jate hain
Yeh bachay b parindoun ki tarah maloom hote hain
Inhein b qaid rakho to yeh gaanay bhool jate hain
Kahan basti , kahan koocha, kahan ghar hai jahan main houn
Mujhe jo yaad hain woh b batanay bhool jate hain
Tumhare ashk dhone se garezaa'n to nahee houn main
Magar mujh se mere aansoo chupane bhool jate hain
Inhein be-simat chalne se manzil mili nahee
Hamein manzil ki raahoun main thikane bhool jate hain
koi ye kaise bataaye ke wo tanha kyoon hai
wo jo apna thaa wahi aur kisi ka kyoon hai
yahi duniya hai to phir aisee ye duniya kyoon hai
yahi hota hai to aakhir yahi hota kyoon hai
ik zara haath badha den to pakad le daaman
uske seene mein sama jaaye hamari dhadkan
itni kurbat hai to phir faaslaa itna kyoon hai
dil-e-barbaad se nikla nahin ab tak koi
ik loote ghar pe diya karta hai dastak koi
aas jo toot gayee phir se bandhaata kyoon hai
tum asarrat ka kaho ya ise gham ka rishta
kehte hain pyaar ka rishta hai janam ka rishta
hai janam ka jo ye rishta to badalta kyoon hai
hai koi jo chahay tumhain dil say
jo her pal ki khushi day ker
kah day bas ik sada un hi
rehna meray saath hamesha un hi
na choron ga tera daman phir kabhi
na tujh say pehlay na baad main milay koi
hoga na ab jis ki zindagi main phir koi
jo ik baar yah keh day k bas
tum hi tum ho jo rehtay ho meray dil main
to thaam lo uska haath tum
hamesha k liye ab sada uoon hi
phir na chorna us saath ko tum kabhi
Aaj gom som hai jo barbaad jazeero(n) jaisee
Uss kee aank'ho(n) main chamak thee kabhee heero(n) jaisee
Kitnay maghroor pahaaro(n) kay badan chaak howay
Taiz kirno(n) kee jo baarish howee teero(n) jaisee
Jiss kee yaado(n) say khayaalo(n) kay khazaanay dehkay
Uss kee soorat bhee lagee aaj fakeero(n) jaisee
Chaahatai(n) lab pay machaltee howee larkee kee tarhaa
Hasratai(n) aank'h main, zindaa(n) kay aseero(n) jaisee
Ham anaa mast, tahee dast bohot hain Mohsin
Ye alag baat keh aadat hai ameero(n) jaisee
Ajab Pagal C lerki hai
Mujhay her khat main likhti hai
"Mujhay tum yaad kertay ho?
Tumhain main yaad aati hooN"
mairi baatain sata-ti hain
mairi neendain jagati hain
mairi aankhain rulaati hain
december ke sunehri dhoop main abb bhee teheltay ho?
kisi khamosh rastay se
koi awaaz aati hai?
TheTharti serd raatoN main
tum abb bhee chatt pe jaatay ho?
falak k sab sitarooN ko
mairi baatain sunatay ho?
kitabooN se tumharay ishq main koi kammi aai?
ya mairi yaad ke shiddat se aankhoN main nammi aai?
Ajab pagal c lerki hai
mujhay her khat main likhti hai......................
Jawaban uss ko likhta hooN..............
mairi masroofiyat daikho subah se shaam office main
chirag-i-umer jalta hai
phir uss k baad duniya kee
kaee majbooriyan paooN main bairi daal rakhti hain
mujhay bay-fikr, chahat se bharay sapnay nahin dikhtay
T'ehelnay, jagnay,, ronay kee mohlat hee nahin milti
sitarooN se millay arsa hua........naraz hooN shayad
kitabooN se shagaff maira abhi waisay hee qaim hai
ferq itna perra hai abb unahin arsay main perhta hooN
tumhain kis ne kaha pagli tumhain main yaad kerta hooN
k main khud ko bhulanay kee musalsal justajoo main hooN
tumhain na yaad aanay kee musalsal justajoo main hooN
mager yeh justajoo mairi bohat nakaam rehti hai
mairay din raat main abb bhee tumhari shaam rehti hai
mairay lafzooN ki her maala tumharay naam rehti hai
tumhain kis ne kaha pagli tumhain main yaad kerta hooN
poorani baat hai jo logg akser gungunatay hain
unhain hamm yaad kertay hain jinahin hamm bhool jatay hain
ajab pagal c lerki ho
mairi masroofiyat daikhoo
tumhain dil se bhulaooN tu tumhari yaad aai na
tumhain dil se bulanay kee mujhay fursat nahin milti
aur iss masroof jeewan main
tumahray khat ka ikk jumla
"tumhain main yaad aati hooN ?"
mairi chahat ki shiddat main kami honay nahin daita
bohat raatain jagata hai mujhay sonay nahin daita
so agli baar apnay khat main yeh jumla nahin likhna
ajab pagal c lerki hai mujhay phir bhee yeh likhti hai
mujhay tum yaad kertay ho tumhain main yaad aati hooN?
Wo Mera Tha Ye Batana Ajeeb Lagta Hai
Ab Us Se Aankh Milana Ajeeb lagta Hai
Jo Zindagi Main Kabhi Mera Ho Na Paya
Ab Uska Khuab Main Anaa Ajeeb Lagta Hai
Bade Khuloos Se Dawat Tu Us Ne Bheji Hai
Par Uski Mehfil Main Jana Ajeeb Lagta Hai
Tha Jis Ka Haath Hamesha Hamare Hatoon Main
Ab Usse Haath Milana Ajeeb lagta hay
Wo Mera Tha Ye Batana Ajeeb Lagta Hai
Ab Us Se Aankh Milana Ajeeb lagta Hai
Kati hai gham ki raat bare ehteram se
Aksar bhuja liya hai chiraagon ko sham se
Roshan hai apni bazm aur is ehtemaam se
Kuch dil b jal rahe hain chiraagon k naam se
Muddat hui hai khoon-e-tamanna kiye magar
Ab takk tapak raha hai lahu dil k jaam se
Subah-e-bahar hum ko bulati rahi magar
Hum khelte rahe kisi zulfoun ki sham se
Har saans per hai maut ka pehra laga hua
Aahista ay hayaat guzar is mukam se
Kati tamaam umr fareb-e-bahar main
Kaante sametate rahe phoolon k naam se
Yeh aur baat hai k hum na sunn sake
Awaz us ne di hai hamein har mukam se
Kaha us na roko ab tum
bohat mil kar chla hum tum
bohat kouch pa leya hum na
bohat kouch kho dya hum na
Humane ab lotna ho ga !
suna to bohat roya
bohat zadi ho tum laken
Humane ab to bachara ha !
chlo hum maan lata hane
Tumhane hum kho choka hane laken
Tumhari yad ab tak b
Humhane batab rakthi ha
humari sanas ab ab tak b
Tumhari aas rakhti ha
mager ab ya b sunta hane
Tumhari Rah roshan ha
Tumhane mil jaya ga koai
Mager afsos...........................
Hum jasa...............................
ager payo kahine tum to
Muja Do haraf lakh dana !
Hum to woh log hain jo
Na kisi k dast-e-shumar main hain
Na kisi ki nigah k hisar main hain
Yoon jaisay koi ho sadyoon ka bay unt safar
Sahra sahra phirta koi khak-e-basar
Kiya poochtay ho k kon hain hum
Jaan lo humain to tumhain maloom ho
Hum to woh log hain jo jeevan day kar b
Kisi k dil main maskan na bana paey
Yoon jaisay koi madham c kiran
Kisi rozan say ubhray,aor doob jaey
Jaisay aik na-mahsoos c chubhan
Jo zindagi k seenay main,sada dair tak
Chubhti hi rahay,dil ki dhadkan say baghawat karay
Aor daar chadhay
Kiya batlaein hum kon thay aor kiya hain aab
K hum to kisi yaad main nahii hain yaar say
Kisi ki rouh main dhadkatayhoway dildar say
Hum to jugnoo bhi nahi hain
K kisi ki aankh main chamkatay
kisi ko sanwartay
Hum to aansoo ki tarah hain
Aankh say tapkay aor doob **
Ghar say niklay aor
bay simat musafat main
Mohabbat ki aas main
darbadar phirtay howay
Kisi bay naam shaam ki nazar howay
Ik masalsal aor dukh rah ka safar howay
Ik masalsal aor dukh rah ka safar!
agarchay janti hoon mein k aisa ho nahi sakta
magar ik khushgumani hai k shayad aisa ho jaye
tabhi to har ghari mujh ko yeh mahsoos hota hai
abhi ghar ki mundairoon pay kabootar aan utry ga
tera paigam laye ga
abhi manoos dastak hogi ya phir caal bell ho gi
tu mere ghar mein aayee ga
abhi ghanti bajy gi phone ki to mein uthaoon gi
teri aawaaz aayee gi
hawa-e-shahar khirki say mere kamry mein utry gi
teri khushboo bhi laye gi
agarchay janti hoon mein k aisa ho nahi sakta
magar ik khushgumani hai k shayad aisa ho jaye
k aakhir MOJZAY bhi to isi dunia mein hoty hein
Dil ki chokhat pe ek deep jala rakha hai
Tere laut aane ka imkaan saja rakha hai
Saans tak bhi nahin lete hain tujhe sochte waqt
Hum ne is kaam ko bhi kal pe utha rakha hai
Rooth jaate ho to kuch aur haseen lagte ho
Hum ne yah soch ke hi tum ko khafa rakha hai
Tum jise rota hua chhorr gaey the ek din
Hum ne us shaam ko seeney se laga rakha hai
Chein lene nahin deta yeh kisi tor mujhe
Teri yaadon ne jo toofaan utha rakha hai
Jaane waale ne kaha tha ke woh laut aaey ga zaroor
Ek isi aas pe darwaaza khula rakha hai
Tere jaane se jo ek dhool uthi thi ghum ki
Hum ne us dhool ko aankhon mein bassa rakha hai
Mujh ko kal shaam se woh bohat yaad aane laga
Dil ne muddat se jo ek shaks bhula rakha hai
Tum hum say yah kahtay hoo, Mohabbat Nahin Rahi
Tum hi Badal ** hoo, Yaa Woh Ulfat Nahin Rahi
Har Baat Pay Taana, har Andaaz main Gussa
Kiyun Saaf Nahin Kahtay, Mohabbat nahin Rahi
Gheron pay Karam, Apnoon pay Sitam kartay Hoo
Phir Shaan say kahtay, hoo Qurbat nahin Rahi
Sahra main Tapish main, jab Tum nay Humain Choora
Is Husan kay Bazaar main, woh Qeemat nahin Rahi
Maana kay Hum say, bhee buhat Galatiaan howee
Shayad kay Dar-Guzar, ki Tumhain Aadat nahin Rahi
Manzar too wohee hai, halat hain Badlay
Shayad kay Ishaq-e-Yaar, ki Zaroorat nahin Rahi
Ab Key Saal Kuch Aisa Kerna
Apney Pichaley Ghuzrey Mah Key
Dukh Ka Andaza Kerna
Meri Yaadein Taza Kerna
Saada Sa Ek Kaghaz Ley Ker
Bhoolay Basray Pal Likh Leyna
Phir Iss Beetay Ek Ek Pal Ka
Apney Guzrey Ek Ek Kal Ka
Ek Ek Mor Ka Ihaata Kerna
Saray Dost Ikatthay Kerna
Sari Subhein Hazir Rakhna
Sari Shamein Pass Bulana
Aur Ilawa Unn Ke Dekh
Ik Ik Yaad Gumman Mein Rakhna
Phir Mohtat Qiyaas Lagana
Gar To Khushian Barh Jati Hein
To Phir Tum Ko Meri Taraf Sey
Best Of Luck For Any Time
Aur Aggar Gham Barh Jaaein To
Mat Beykar Takaluf Kerna
Dekho Phir Tum Aisa Kerna
Meri Khushian Tum Laylena
Mujh Ko Apnay Gham Daydena
AB KE SAAL KUCH AISA KERNA
Bay tahasha hai tujhay yaad kia
Aur bhulaya bhi bohat hai tujh ko
Sari rounaq hi teray dum say hai
Aur teray bikhray huay ghum say hai
Jis qadar
Mainay talluq tera mehsoos kia
Itni gehraayi tu rohoun main hua karti hai
Jis qadar
Mainay teri zaat ko khud main paaya
Itni yaqtaayi kahan milti hai
Faaslay waq'atain kho bethay hain
Doriyaan pheeki parheen
Itni shiddat say tujhay socha hai
Itni shiddat say tujhay chaha hai
Shiddatain ishq ki miraaj hua karti hain
Mujh se milne ko woh kerta thaa bahane kitne
Ab guzare ga mere saath zamane kitne
Main gira thaa to buhut log ruke thay lekin
Sochta houn mujhe aaye thay uthaane kitne
Jis tarah main ne tujhe apna bana rakha hai
Sochte hongey yehi baat na jaane kitne
Tum naya zakhm lagao tumhein is se kya hai
Bharne wale hain abhee zakhm purane kitne
Bay niyazana hamasha ki tarah milta hai
Ael-e-dil say b woh dunya ki tarah milta hai
Koocha-e-yar main hairan hun k kis ko dakhoon
Her koi naqsh-e-kaf-e-paa ki tarah milta hai
Hum wahan hain k jahan chashm ***hee ka sila
Aankh ko zakhm-e-tamasha ki tarah milta hai
Her sitamgar k mohabbat bharay lahjay pay na ja
Kabhi sahra bhi to darya kee tarah milta hai
Aab humain khahish-e-darmaa'n jo nai hai to Faraz
Jo bhi milta hai maseeha kee tarah milta hai
Teray Pass main Aa.oon kasay
Dil ka hal suna.oon kasay
Main hoon jhonka ek hawa ka
Khud ko main thehra.oon kasay
Tu ne itna dard diya hai
Geet khushi k ga.oon kasay
Jo hain teray sang guzary
Betay din wo la.oon kasy
kanwal phir wadoon pe tery
Aas k mehal bana.oon kasy
Woh nahi hai
To us ki chahat main
Kis liey
Din raat sunwartay ho
Khud say bay rabt batein kartay ho
Apna hi aks nochnay k liey
Khud uljhatay ho khud say dartay ho
Hum na kahtay thay
Hijar waloon say,aaeina guftagoo nahi karta!!
Teray faraq kay lamhay shumaar kartay howay
Bikhar ** hain tera intazaar kartay howay
Tou main bhi khush hoon koi us say ja kar kah day
Ager wo khush hay mujhay bey qaraar kartay howay
Main muskurata howa aainay main ubhroon ga
Woh ro paray ge achanak singhar kartay howay
Tujhay khaber he nahi koe toot gia hay
Mohabbatoon ko bohat paedaar kartay howay
Woh kah rahe the sumander nahi hai aankhoon main
Main un main doob gia ahtabaar kartay howay
Mujhay khaber thi kah ab loot kar na aaonga
Tuj ko yaad kia dard paar kartay howay
Kadam kadam pe zamana bicha diya us ne
Safar zara sa thaa lekin thaka diya us ne
Makan-e-fikr ke saaray khule dareechoun per
Hawa-e-zard ka pehra bitha diya us ne
Main jaagta thaa to woh khuwab de gya mujh ko
Main so gya to phir aa ker jaga diya us ne
Mere hisaab main likh ker tamaam umr ki pyas
Mere wajood main dozakh ugaa diya us ne
Bicha k dard ka sehra tamaam rastoun per
Mujhe to ghar b ret ka diya us ne
zindagii tujh se mil kar zamaanaa huaa
aa tujhe aaj ham maikade le chalen
raat ke naam honton ke saaGar likhen
apanii aankhon mein kuchh rat-jage le chalen
kyaa hassin log hain
aankh aahon kii hain aur lab pankharii
in kii aaraa_ish-e-Khal-o-Khat ke liye
apanii aankhon ke ham aa_iine le chalen
ajanabii chehare mein dost banate nahiin
rishte-naaton kii chaandii barastii nahiin
qurbaten sohabaten jin kii yaad aayengii
aise kuchh doston ke pate le chalen
un kii aankhon ne jalate sulagate hue
manzaro.n ke sivaa kuchh bhii dekhaa nahiin
chehara-e-afsos ke sakinon ke liye
phuul-o-Khushbuu sabaa zam-zamen le chalen
zindagii tujh se mil kar zamaanaa huaa
Tere kareeb rahoun ya ke door jaoun main
Hai dil ka ek hi aalam tujhi ko chaahoun main
Main janta houn woh rakhta hai chahtein kitni
Magar yeh baat usay kis tarah bataoun main
Jo chup raha to samje ga bad-gumaan mujhe
Bura bhala hi sahee kuch to bol aaoun main
Phir is ke baad ta'lluq main faasle hongey
Mujhe sambhal k rakhna bichar na jaoun main
Mohabbatoun ki parakh ka yehi to raasta hai
Teri talash main nikloun aur tujhe na paaoun main
_________________
charagh lay k terey shehar sey guzarna hai
yeh tajarba bhi humain aik baar kerna hai
main woh pahar hun jo cut raha hun pani sey
yeh dil nahi hai merey aansuoun ka jharna hai
merey aziz main utri nadi main kia utroon
mujhay charhay huye derya ko paar kerna hai
bohat jadeed hun lekin yeh mera wirsa hai
usi qadeem gali sey mujhay guzarna hai
tumhain khabar nahi suraj bhi aks hai mera
tamam din ka mujhay intizam kerna hai
woh aik shakhs k jis ko ghazal bhi kehtey hain
usi k naam sey jeena, usi sey merna hai
socha nahee achcha bura, dekha suna kuch bhee nahee
maangaa khuda se raat din terey siva kuch bhee nahee
socha tujeh, dekha tujeh, chaha tujeh, pooja tujeh
meri khata mei wafa teri khata kuch bhee nahee
jis per hamari aankh ney moti bichaaye raat bhar
bhaija wahee kaghaz use, hamney likha kuch bhee nahee
ek shaam ke dehleez par baithey rahey woh dair tak
aankhon se kiin baateyn bahot monh se kaha kuch bhee nahee
woh char din ki baat hai dil khaak mai so jaiga
jab aag per kaaghaz rakha baqi bacha kuch bhee
teri yaad nain meray dil ko sajja rakha hai
teray piyar main sab kuch bhula rakha hai
kuch accha nahin lagta teri judai ke baad
ek teri yaad ko sinay se laga rakha hai
tera milna tu ab ek khuwab hi hai
na janey kyun ab dil ko bhula rakha hai
faqat teri yadon ko palkon main chupa rakha hai
muqadar se milte milte bichar gaye warna
aaj bhi tera naam dil main sajja rakha hai
na janey kyun koi jachta nahin in ankhon main
ek teri tasveer ko dil main sajja rakha hai
khusiyan tu pal main ati aur chali jaati hain
hum nai tu ghumon ko bhi apna dost bana rakha hai
sabhi aye tu bhi aa kar dekh mera haal
ke main ne teray piyar main khud ko bhula rakha hai
Na who farishta ho na farishtey jaisa ho
Mujhey talash hai uski jo merey jaisa ho
Merey khulus ko pehchanta ho bus kafi hai
Who koi bhi ho, kahin bhi ho, kesa bhi ho
Jo khwab deney ko qadir ho meri aankhon ko
Meri mohabbat ko pehchan sakay woh aisa ho
Meri khatir marney ka hosla bhi rakhta ho
Agar kabhi rooth jaoon mein us sey to
Muskra key manayee, woh aisa ho
Jo baat karey to woh nibha bhi sakey
Iradon mein woh apney chatanon jaisa ho
Dukhon mein hansney ka hunar janta ho
Ik aisa hamsafar jo samandar kitarah gahrah ho
Us key pyaar ki thandak ho merey liye aisi
Key woh to bilkul aasman key chand jaisa ho
Woh sirf mera ho, jo nigahon mein haya rakhta ho
Umar bhar saath chalney ka iradah rakhta ho......
Ji chahta hai tere naam aik kitab likhon
Is kitab ka tere naam intisab likhon ....
Tujhey sharminda karne ke liye main is main
Tera aur mera, be baak hisab likhon ....
Main soch soch kar pagal sa ho gaya hoon
Jhele hain jo tere gham main ne,kaise woh azaab likhon .....
De gi meri zindagi ko andhere wohi
Khuahish thi jise main aaftab likhon ....
Jo diye hain tu ne kanton ke bistar mujhey
Bohat mushkil hai in kanton ko gulab likhon....
Mujh se munafqat na ho sake gi dil ki baat main
Dukhon ke samandar ko main kaise sarab likhon ....
Ajab karb main mubtila kar diya tu ne mujhe
Samajh nahi aata tere khat ka kya jawab likhon ....
Lafz to sab hi mita diye hain mere aansowon ne
Apni kahani ab main kaise teh-e-aab likhon ....
Aik aik lafz yaad hai mujhey teri guftugu ka
Khuwahish hai teri har baat ko khitab likhon ...
Jis ki tabeer bhi na mil saki mujh ko aye jana
Main apni kitab main kaise woh khuwab likhon ....
Lakhon chehron se haseen banaya tujhe khuda ne magar
Jo mera nahi us chehre ko kaise mahtab likhon ....
Yak tarfa faisla sunaya adalat-e-uzma ne
Main is jajj ko kaise izzat-e-mab likhon ....
Har baat to dil ki keh dali hai
Is se ziyada aur kya main janab likhon....
Apni Nazroon se jo gir jaye woh chehra na bana
Mujh ko lamhe-a-fursat ka khilona na bana
Saink'roon rastey hain ajnabi ho janey ke
Tark karna hai tou talook ka bahana na bana
Jhoot ehsaas ki qandeel ko boojha deta hai
Muhjey insaan samja khud ko farishta na bana
Apni yaadein tu mere dil main basi rehne dey
Is mehaktey huay gulzaar ko sehra na bana
Mein tu pehle hi zakhum liye phirta hoon
Muhjey aab shehar dard-e-tamasha na bana
Thak gaeen hain mere ehsaas ki aakhain
Nqash-e-deewar per aab koi afsana na bana
Dil mera pooch raha hai tumse
Kya pyar karoge mujhse
Dil ki ye dharkan kuch kehti hai
Kehti hai kya dharkan sun lo sanam
Meri in sansoon mein tum hi ho
Bharlo tum bahoon mein kardo karam
Ye behki si sansain poochain
Kya pyar karoge mujhse
Meri in ankhoon mein dekho to
Dekho to ankhoon mein tum zara
Samjho gai jano gai chaha hai
Tum ko hi chaha hai har tarhaan
Bekhud si ye ankhain poochain
Kya pyar karoge mujhse
Khoi si rehti hoon khoi si
Khoi si rehti hoon mein har pal
Tum ko hi sochoon mein dekhoon mein
Chahat mein bikhroon mein pal pal
Ye deewani raahain poochain
Kya pyar karoge mujhse
Khud ko hi paogai mujh mein tum
Mujh mien tum khud ko hi pao gai
Har dharkan mujhse ye kehti hai
Ek din mere tum ban jao gai
Mehki hui ye khawaish poochai
Kya pyar karoge mujhse
Dil mera pooch raha hai tumse
Kya pyar karoge mujhse
Bohat hi mudat ke baad kal jab
kitab-e-mazi ko main nay khola
bohat se cheharay nazar main utray
bohat se namoon se dil paseja
ik aisa safha bhi us main aaya
likha hoa tha jo aansoon se
ke jis ka unwaan "HUMSAFAR" tha
jo safha sab se hi motabar tha
kuch aur aanso us per tapkay
phir is se agay main perh na paya
kitab-e-mazi ko band ker ke
tumhari yadoon main kho gia main
ager tu milta too kaisa hota
inhi khialoon main so gia main
mangay hai mujh say dil tairi sari nishaaniyaan
battain puraniyaan, wohee rattain sohaniyaan
ankhoon mein ghoolti hain nashay ke shararattain
chalaak chandini mein chehakti jawaniyaan
un par tu qarz hain mairay harfoon kay zaiqay
aab jin ko aa gaieen baree battain bananiyaan
aye ishq aa keh phir say koyee tajurba karaain
mein bhoolnay laga hoon puranee kahaaniyaan
woh tairay qehqahay thai kay jaisay hajoom mein
tootain kaliyoon mein khanaktee kamaniyaan
yeh mairay ashq hain kay paharoon mein jis tarhaan
royaain basant rut mein nadi ke rawaniyaan
ik tairay roothnay say fiza hee badal gayee
aab shehar bhar mein phail gaieen bad'gumaniyaan
mangoo dua keh khailtee khiltee rahain sada
shehar ke dulhain, mairee basti ke raniyaaan
mohsin ko kuch tu had e sitam ka suraaagh dai
kab tuk ruqam karoon mein tairi meharbaaniyaan ?
ishq kesa ke bharosa bhi nahen tha shayad
os se mera koii rishta bhi nahen tha shayad
khalqat shahr mein jis haar ke charche hain bohat
mein wo baazi kabhi khela bhi nahen tha shayad
zeest ke sab aadab ose azbar thai
mujh ko marne ka saleeqa bhi nahen tha shayad
khaak orate hoye bazaaron mein dekha sab ne
mein kabhi ghar se nikalta bhi nahen tha shayad
os ki ankhon mein basharat thee naye khwabon ki
mein ose dekh ke choonka bhi nahen tha shayad
aik badal ke mere naam se mansoob hua
mere sehra mein to barsa bhi nahen tha shayad
ye zard mausam ke Khushk patte
havaa jinhen le gai uraakar
agar kabhii in ko dekh paao
to soch lenaa
ki in main har barg ke namuu mein
ziyaan gayaa arq shaaKh-e-gul kaa
kabhii ye sar_sabz konpale.n the
kabhii ye shaadaab bhii rahe hai.n
khule huye ho.nTh kii tarah narm aur shaguftaa
bahut dino.n tak
ye sabz patte
havaa ke relon mein bebasii se tarap chuke hain
magar ab ye Khushk ho rahe hain
magar ye ab Khushk ho chuke hain
agar kabhii is taraf se guzaro
to dekh lenaa
barahanaa shaaKhe.n havaa ke dil mein gari hui hain
ye ab tumhaare liye nahii hain
Dekho tumhari chah main
hum jee rahain hay kiss tarha
keh
naa hosh hay naa khabar koi
naa hay rasta naa safar koi
naa hain mushkeelain naa bhanwar koi
Bass intezar hee intezar
keh
to kabb karay gaa ikk nazar
orr bolay gaa yeah satar
"HAMAIN TUM SAY PIYAR"
HAMAiN TUM SAY PIYAR"
dekho tumhari chah main
hum jee rahay hain
kiss tarah
Hum na ic suf main thay aor na us suf main
Rastay main thay khady
Aor chup chaap un ko taktay rahay
Palat k jo daikha to
Phooloo'n ka rang jo kabhi surkh tha
Zard hi zard tha
Dil jaha'n tha waha'n dard hi dard tha!!!
Sab se chupa kar dard jo woh muskura diya
us ki hansi ne to aaj mujhe rula diya
lehje se uth raha tha har ik dard ka duhan
chehra bata raha tha k kuch ganwa diya
aawaz mein therao tha aankhoon mein nami thi
or keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya
jane kya us ko loghon se thi shikayatein
tanhaiyon ke dais mein khud ko basa diya
khud bhi woh hum se bichar kar adhura sa ho gaya
mujh ko bhi itne loghon mein tanha bana diya....
Aik Rah Per Sari Umer Chaley
Ek Dojey Ko Na Samjh Sakey
Jeevan Ka Safer Anjaan Safer
Bay_Khahish Bay_Araam Safer
Jevan K Kissi Bhi Dukh Sukh Main
Woh Meray Saath Shareek Nahin
Hum Dono Main Ek Rishta Hai
Per Jazboon Ki Tehreek Nahin
Jari Hai, Mager Anjaan Safer
Main Sochte Hoon Aik Din Yunhi
Woh Mujh Sey Juda Ho Jayega
Ya Pehlay Main Mar Jaon Ge
Ya Shaid Woh Mar Jayega
Phir Loug Kahin ** Inka
Yeh Rishta Kitna Sacha Tha
Per Kiss Ko Khaber, Sara Jeevan
Main Tanha The...
Woh Tanha Tha...
Abhi thahro
"Abhi kuch din lagaein **"
Wasal ko khawahish bananay main
Tumhain apna samjhnay k liey dil ko mananay main
Abhi kuch din lagein **
Abhi hum apni apni khusheon ko dil say milnay dain
Unhaein mahsoos karnay dain
wafa kiya aor takaza e Mohabbat ki hadein kiya hain
Hadoo'n ki sarhadaein kiya hain
Phir in k paar janay ka sabab kiya hai
Dheyan o bay dhehani main
Tumhari bheegati batoo'n ki nadya ki rawaani main
Kahani hi kahani main
Agar khawahish diloo'n ki kokh say paida howi to kon daikhay ga
Hamaray naam ki sachaey ko
Aor khawahishoo'n k bay nasab mahtaab chahroo'n ko
Abhi thahro
Abhi kuch din lagein **
Rishta e bay naam ko hum naam karnay main
Kahani ko kisi aaghaz say anjam karnay main
Kahin izhaar karnay main
Humhain ikraar karnay main
Abhi thahro
Abhi kuch din lagein **!!
Go ky tum mojood nahin hoo
laykin phir bhi meri ankhain
bas tum ko hi daikh rahi hain
main tum ko hi sooch raha hoon
jaanta hoon main tum ko laykin
phir mujh ko yoon lagta hai
jaysay main anjaan hoon tum say
tum ki theen jitni batain
woh main kaysaay bhool sakoon ga
haan woh zolfain aur woh ankhain
jab jab mujh ko yaad aain gi
mujh ko bohat tarpaain gi
kaisay tum ko samjhoon main
tum ko kitnaa chahta hoon main
eik baar tu tum bhi keh doo
hum doonoon hain ek doojay ky
kabhi kabhi yaa soochta hoon main
waqt woh kitna dil kash hoo gaa
jab tum yaa iqraar karoo **
tu main waqt say keh doon ga yaa
Thamjaa! aur woh thamjaay ga
pyar ki taqaat tum kiya jaanoo
waqt tu kiya har shaay har manzar
eik dua say ruk sakta hai.........
Bus eik dua say ruk sakta hai..!!
Aik waham tha dil main
Shayad kabhi milo tum
kuch dair ruk ker poocho
beetay dinoon ka moosam
aawaz main ho larzish
aankhoon main ho tajassus
Mazay ka koi lamha
shayad atak gaya ho
sab bhool ker bhi shayad
kuch yaad agaya ho
phir main tumhain bataoon
apni khushi ki baatain
har dukh ko chupa ker dil main
aasoodgi ki baatain
wo chand ****hween ka
taroon bhari wo aankhain
dilkash haseen shamain
maasoom wardatain
wo piyaar ka tasawwor
wo bandagi ki batain
Wo rooz rooz marna
Aur zindagi ki baatain
Tum dukh say muskurao
Dheeray say muskurao
Dheeray say paas aao
Sar ko jhuka kay apnay
Chup chaap loot jao
Phir main bhi muskuraon
Maan kay diyay jalaon
Duhraon apnay dil main
Taa'luq say haqeeqat
Aik khuwab zindagi ka
Haan umer bhar jo daikha
Kabhi ho saka na pora
Younhi rah gaya adhoora
Aik khuwab-e-zindagi tha
Zindagi kay mailay main
Khawahishoo'n k railay mian
Tum say kiya kahin jana'n ic kadar jhamailay main
Wakt ki rawani main hai
Bakht ki garaani hai
Sakht bay zameeni hai
Sakht laa makani hai
Hijar k sumandar main
Takht aor takhtay ki
Aik hi kahani hai
Tum ko jo sunani hai
Baat go zara c hai
Baat umer bhar ki hai
Umer bhar ki batein kab do ghadi main hoti hain
Dard k sumandar main unginat jazeeray hain
Bay shumar moti hain
Aankh k dareechay main tum nay jo sajaya tha
Baat us diye ki hai baat us gilay ki hai
Jo lahoo ki khalwat main chor ban kar aata hai
Lafz ki faseeloo'n main toot toot jata hai
Zindagi say lambi hai baat ratjagay ki hai
Rastay main kaisay ho baat takhliey ki hai
Thakhliey ki batoo'n main guftagoo azafi hai
Piyar karnay waloo'n ko ik nigah kafi hai
Ho sakay to sun jao
Ik din akailay main
Tum say kiya kahein jana'n iskadar jhamailay main
Hum nay tumhain aaizaazaat say nawaza
Hum nay tumhari shaan main
Qaseeday likhay
Tum hamaray mohsin thay
Tum nay humein dunya ki Qomoo'n ki saf main
Sir utha kar khada honay k kabil kiya
Tum nay humein aaitami taakat banaya
Tum hum main say thay
Aor humhain tum par fakhar tha
Hum nay tumein pooja ki had tak chaha
Hum nahi jantay tumharay saath kiya howa
Hum sach aor jhoot ko alag karnay
k hunar say naa ashna hain
Humaray saath itni baar jhoot bola giya
K humein sach ki pahcha nahi rahi
Hum nahi jantay kis cheez nay tumein
Sach kahnay say roka hai
Tum nay jo kaha
Woh hamein sach nahi lagta
Pata nahi yah hamari undhi aaqeedat
Aor mohabbat hai
Ya tumhari zaat ki sachae aor khaloos
Hum haqeekat nahi jantay
Phir bhi hum tum say sharminda hain
Han!Dr Abdul Qadee Khan Hum Tum say sharminda hain
Yah jannay k bawjood k hamari sharmindagi
Tumein koi faeeda nahi pohncha sakti
Phir bhi hum tum say sharminda hain
Hamaray sir tumharay samnay jhukay hain
Aor humari aanay wali naslai'n
Shayad humein kabhi maaf na karein.........!
Hath ki lakirain bhi
kiya ajab si hotin hain
iin main darj hota ha
aik aik pal ka haal
khushbuyoan key sab mausam
dard key sabhi lamhay
iin main darj hotay hain
aanay waalay lamhoan ka
iilm kis ko hota ha
dard ki tawalat ka
khushbuyoan ki aamad ka
iil kis ko hota ha
muj ko per pata ha yeh
key kal mujay nahin rehna
tou kiyoon na zindagi key pal
baanth doon sabhi tum main
apnay hisay key bhi sukh
tum ko dey kar loat jaooon
khaaliq-e-haqeeqi tak
Zindagi key chapter main
kuch lakirain aisi hain
key zindagi key lamhoan main
jou kabi nahin mittin
shahid iin lakiroan ko
khaliq-e-haqeeqi ney
iik misaal rakha ha
aisi hi lakiroan main
zindagi ki choati si
iik lakiir hoti ha
iik key paich-o-kham sabhi
haath main hain kandha kiyoon
khaliq-e-haqeeqi ney
haath ki lakeeroan ko
zindagi sey jora kiyoon
iilm key samandar ko
alif , laam, meem, sey
iik jila si bukshi kiyoon
iis main bhi nishani ha
aqal waaloan key liye
haath ki lakeerain tou
zindagi key chapter ka
pash-lafz (preface) hotin hain
jis ka likhnay waala bhi
kitni shaan waala ha
tou haath jab bhi phailaow
uus key dar pey ja kar bas
uus sey bas dua mango
key khaliq-e-haqeeqi muj ko
tu rehmatoan ki bheeq dey
main jhookoon tou teray aagay
muj ko tu woh taqat dey
jis sey likh sakoon main sach
aur hath ki lakeeroan main
khudi ki misal bhi dey
jurat-o-shujaat ki
saari hi siftain bhi dey
aanay waalay lamhoan main
iil ki doulat bhi dey
rehmatoan key darya sey
bhoondh bhar muj ko bhi dey
Gham k sanjog achay lagay hain
Mustekal rog achay lagtay hain
Koi wada wafa naa kar k mujhay
Bewafa log achay lagtay hain
Aaj phir us ka phone aaya hai......
Aaj phir poocha kaisay ho......
Kiya kartay rahtay ho......
Kiya aab b awaara phirtay ho......
Ya chain say ghar main rahtay ho......
Kiya aab b kisi ki yaad main khoey......
Kaghaz kalay kartay ho......
Kiya aab b kisi ko Insha g ki......
Nazmain aor geet sunaya kartay ho......
Aaj phir us ka phone aaya hai......
Aaj phir poocha kaisay ho......
Aab hum us ko yah kaisay bataei'n Q kar bataei'n......
K Insha g k man.nay walay......
Chaand nagar k sodaee......
Dil e wahshi,thaamay donoo'n hathoo'n main......
Jangal jangal,sahra sahra......
Shahra shahra,wadi wadi......
Kabhi ic nagri,kabhi uc qarey main......
Kabhi ic basti k ik koochay main......
Jis chaand ko man main basa lain......
Bas usko hi talasha kartay hain......
Chahay apnay ghar k aangan main ......
Poora chaand hi utra ho.......
Aab hum us ko yah kaisay bataei'n......
Yeh dhup kinara shaam dhalen,
Milte hain dono waqt jahan,
Jo raat na din, jo aaj na kal,
pal bhar ko amar, pal bhar mein dhuaan
Is dhup kinaare pal do pal.
Hothon ki lapak
Baahon ki khanak
Yah mel hamaara jhooth na sach
Kyon raar karen, kyon dosh dharen
kis kaaran jhoothi baat karen
Jab teri samandar aankhon mein
Is shaam ka suraj dubega
Sukh soyenge ghar dar waale
Aur rahi apni rah lega.
jaate jaate vo mujhe achchhii nishaanii de gayaa
umr bhar doharaaungaa aisii kahanii de gayaa
us se main kuchh paa sakun aisii kahan ummiid thii
Gam bhii vo shaayad baraa-e-meharabaanii de gayaa
sab havaayen le gayaa mere samandar kii koii
aur mujh ko ek karatii baadabaanii de gayaa
Khair main pyaasaa rahaa par us ne itanaa to kiyaa
merii palakon kii kataaron ko vo paanii de gayaa
Shikasta aaenoo'n ki kirchea'n achi nahi lagti'n
Mujay wadoo'n ki khali seepea'n achi nahi lagti'n
Guzashta rut k rangoo'n ka asar daikho k ab mujh ko
Khulay aangan main udti titlea'n achi nahi lagti'n
Woh kia ujda nagar thajis ki chahat k sabab ab tak
Hari bailoo'n say ulji tahneya'n achi nahi lagti'n
Dabay paoo'n hawa jin k chiraghoo'n say bahlati ho
Mujay aaisay gharoo'n ki khidjiya'n achi nahi lagti
Bhalay lagtay hain toofanoo'n say ladtat badba'n mujko
Hawa k rukh pay cyhalti kashtea'n achi nahi lagti'n
Yah kah kar aaj us say taluq tod aaya hoon
Mairi jaan mujh ko zidi ladkiya'n achi nahi lagti'n
Kisi ghar main rahan basta rahain jo raat din Mohsin
Mujhay aksar woh sahmi hirniya'n achi nahi lagtei'n
Kabhi raton mai aakar sari raat jagana
Palkon ki koron se neendon ko churana
Kabhi yaadon mai saari raat bitana
Kabhi neend ki aagosh mai tumko pana
Keese keese roop badalti tumhari yaad
Kabhi chubhan to kabhi sapan tumhari yaad
Mahfil mai bhi udasi ka sabab ban jana
Kabhi tanhaae mai beikhtiyar muskarana
Kabhi sun sakti hoon tumhari har aahat
Kabhi tum me khokar sab bhul jane ki aadat
Keese keese roop badalti tumhari yaad
Kabhi hai shooll to kabhi phool tumhari yaad
Kabhi aag ban k pighlati hai mujhe
kabhi khushi se bhi rulati hai mujhe
kabhee khud pyas bujhatee hai meri
kabhi marigtrishna ban jaati hai meri
keese keese roop badlti tumhari yaad
kabhi aas to kabhi pyaas tumhari yaad
kali ghatayen ,kabhi patjhad ka musam
Kabhi teri yaad ban jaati hai sawan
kabhi khushi se kar de harsh vibhor
kabhi dard se kar deti hai jhak jhor
Keese keese roop badlti tumhari yaad
kabhi kathor kabhi chumui si tumhari yaad
baadalon kaa kaafilaa aataa huaa achchhaa lagaa
pyaas kii dharatii ko har saavan baraa achchhaa lagaa
us bharii mahafil mein us kaa chand lamhon ke liye
mujh se milanaa baat karanaa dekhanaa achchhaa lagaa
jin kaa sach honaa kisii suurat se bhii mumkin na thaa
aisii aisii baaten aksar sochanaa achchhaa lagaa
vo to kyaa aataa magar Khush_fahamiyon ke saath saath
saarii saarii raat ham ko jaaganaa achchhaa lagaa
pahale pahale to nigaahon mein koii jachataa na thaa
raftaa raftaa duusaraa phir tiisaraa achchhaa lagaa
koi manzil kaisi, kahin rukna kia
musafir to raston ke basi hain
aaj rukey the kal chalna hai
sub kuch chor key nikalna hai
woh rishtey sub humrahi ke
likhey hain inn deewaron main
kal thak ke jo zamane se
lotey kabhi in galyon main
yaad aain gi sub kahaniyan
yadon ki jawanian
woh ghari bhar ka saath apna
pal do pal ke anmol bandhan
chalo utho ab chalna hai
sub kuch chor ke nikalna hai
bus ho sakey to itna karna
kuch door tak hi sahi
humain tum yaad rakhna
Kaisay woh lout aaey k fursat usay nahi
Dunya samjh rahi hai Mohabbat usay nahi
Lagta hai aa chuki hai kami us ki chah main
Kafi dinoo'n sy mujh say shikayat usay nahi
Dil kee zameen uc kee hai banjar ici liey!
Jazboo'n ki barshoo'n ki jo aadat usay nahi
Har cheez ikhtiyar main rakhta hai woh magar
Dil say rahae panay pay Qudrat usay nahi
Us pay zamana rang jamata bhi kis tarah
Hairat kaday main rah k b hairat usay nahi
Sahra k har warq py hai tahreer uc ka naam
Kal tak jo kah raha tha k wahshat usay nahi!!
Na sah saka jab musafatoo'n kay aazab saray
To kr gy kooch mairi ankhoon sy khawab saray
Biyaz e dil par ghazal ki surat raqam kiey hain
Tery karam bhi , tery sitam bhi , hisab saray
Bahaar aae hai tum bhi aao idher say guzro
K daikhna chahtay hain tum ko gulab saray
Yah saanha hai k wahzoo'n sy uljh paray hum
Yah waqea hai k pee rahay thay sharab saray
Bhala howa hum gunahgaroo'n ny zid nahi ki
Samait kar lay giya hai naaseh sawab saray
Faraz kis ny mery muqadar main likh diey hain
Bas aik darya ki dosti main sarab saray
Justju khoay howon ki umaron bhar kertay rahay
Chand k hamrah hum her shab safer kertay rahay
Rastoon ka elam tha hum ko na simatoon ki khaber
Sheher-e-namaloom ki chahat mager kertay rahay
Hum nay khod say bhi chupaya aor saray sheher ko
Teray janay ki khaber deewar-o-der kertay rahay
Woh na aaey ga hamein maloom tha , uss sham bhi
Intazar uss ka mager kuch soch ker kertay rahay
Aaj aaya hai hamein bhi unn udanoon ka khayal
Jin ko teray zaeam main , bay bal-o- per kertay rahay
Na mujhe ussey kuch dene ko raha
Na ussey mujhe kuch dene ko raha..
Zindagi se jo naata tha woh bhi toot gaya..
Na woh mujhe kabhi pehchaan paaya
Na mein ussey kabhi jaan paaya..
Aaine mein woh chehra dilnasheen na raha..
Zindagi se jo naata tha ....
Vaada kya khoob tumne bhi nibhaya,
Kasmon ki khatir meine apno ko bhulaya
Tamaam haqeeqaton ko pal mein jhooth kiya..
Zindagi se jo naata tha woh bhi toot gaya..
Na main kabhi uske ghar mein ja saka
Na woh kabhi mere aashiyen mein aa saka
Ek thikana tha, jo nasheman na ban saka..
Zindagi se jo naata tha...
Yaari woh kabhi bhi na nibha saka..
Dosti mein bhi kayam na rakh saka..
Dil hi ek aashna tha, sangdil woh bhi rooth gaya ..
Zindagi se jo naata tha woh bhi toot gaya..
Zawab tumhare paas na dene ko raha,
Sawaal mere paas bhi na puchhne ko raha..
Ruswa huye beinteha hum,shahar bhi *** gaya..
Zindagi se jo naata tha woh bhi toot gaya..
Kaash ! Main yeh jaan sakta
k yeh hunsti muskuraati larkiyaan
apni umar k kisi maurh pay
sar-e-shaam apney aangan main
deewaar say lag k
chupkey chupkey roya karengeen
to main zamaaney bhar ki khushioun ko
apnay Rub say
in k waastey maang laita~!!
Kaun kehta hai bhool jaati hein?
Yaadein tu jeewan saathi hein
Sapnay sajayaee rakhti hein,
Bund palkhon kai jharokon mein
Aur soochain mehkayae rakhti hein,
Gayaee lamhon ki khusbo sai
Kabhi udas hu jo shamain tu,
Mazi sai yeh chun lati hein
Motti un chund lamhon kai,
Jo zindagi ka hassil hein
Phir chupkay sai laijati hein,
Un jewan kai dorahuon peh
Jahan apnay thay jo bichar gayaee,
Ab jo rehtay hein in yaadon mein
Tumhaari yaad kay jab zakham bharney lagtey hain
Kisi bahaaney tumko yaad karney lagtey hain
Hadees-e-yaar kay unwaan nikharney lagtey hain
Toh hareem mai gaisoo sanwarney lagtey hain
Her ajnabi humein mehram dikhaai daita hai
Jo ab bhi teri galli say guzarney lagtey hain
Saba say kartey hain ghurbat naseeb zikr-e-watan
Toh chashm-e-subah mai ansoo ubharrney lagtey hain
Wo jab bhi kartey hain us nuqta lab ki bukhiya giri
Fiza mai aur bhi naghmey bikharney lagtey hain
Dar-e-qafas pay andheray ki mohor lagti hai
Toh *Faiz* dil mai sitaarey utarney lagtey hain
Chalo Tum Khuch Aesa Karo
Chand Sey Thori Matti Lo
Phir Es Kay Do Butt Banao
Aik Tum Jesa
Aik Mujh Jesa
Phir Tum Khuch Aesa Karo
Inn Butoo'n Ko Tor Do
Phir Sey Matti Goondh Lo
Phir Es Sey Do Butt Banao
Tum Mey Khuch Khuch Mey Reh Jaoo'n
Mujh Mey Khuch Khuch Tum Reh Jao..
sab kuch to tere paas hai
to phir kyun dil udaas hai
hai pyaar bhi tere liye
yeh dil bhi tere paas hai
khayal bhi tere liye
to phir kyun dil udaas hai
main soochta hoon bas tujhe
main dekhta hoon bas tujhe
jab mujh pe Aitebaar hai
to phir dil udaas hai
hai zindagi tere liye
yeh dil khushi tere liye
yeh sab jo tere paas hai
to phir kyun dil udaas hai
tu neend main tu khuwaab main
tu mere dasht -o-aab main
har pal tu mere saath hai
to phir kyun dil udaas hai
har simt hai gul khile hoye
hain dost bhi mile hoye
har simt pyaar hi pyaar hai
to phir kyun dil udaas hai
yeh dil khushi Aitebaar
yeh dost khuwaab aur yeh pyaar
sab kuch to tere paas hai
to phir kyun dil udaas hai .
Mohabat ek aalamgeer aur ek aafaqi jazba hai.
Koi zanjeer ho
aahan ki , chandni ki , rawayat ki ,
mohabbat tor sakti hai
yeh wo dhaal hai jis per
zamaney ki kisi talwar ka loha nahi chalta
yeh wo mulk hai jis may
kisi aamar , kisi sultan ka sikka nahi chalta
agar chasam-e-tamasha may zarah bhe milawat ho
yeh aaina nahi chalta
wo aag hai jis may
badan sholoon may jaltay hain tu roohain muskurati hain
wo sailab hai jis ko
diloon ki bastiyaan aawaz dey kar khode bulati hain
jab chahhey kisi bhe khawab ko tabeer mil jayeh
jo manzar bujh chukay hain , aun ko bhe tanveer mil jayeh
duaa , jo beykaar na thi ausay taseer mil jayeh
yeh chakna choor aainey ki kirchi jorh sakti hai
jidhar chahhey yeh bagain mosoom ki mor sakti hai
koi zanjeer ho, aus ko mohabbat morh sakti hai~!!
kabhi fursat milay tu zindagi ka hasal souchna...
hasoolay zaat se nikal ker koi laahasal souchna...
tu ne mere wajood ko tu ker dia tamam...
hai mera kirdar baqi meray qatel souchna...
wo jo rakhta tha dastarus samunder ki tah tak...
us masoom ki piyas pe kabhi sahil souchna.......
muhabtain banta raha wo nafratain samate ker....
uss ki is sakhawat per bhi adil souchna.......
jis dam huway qalam saya-e-labay firaat.....
haidar wafa ki akhari wo manzil souchna.....
kabhi fursat milay tu zindagi ka hasal souchna...
hasolay zaat se nikal kar koi laahasal souchna...
Siyahiyon ko nigalta hua nazar aaya
Koi chiragh to jalta hua nazar aaya
Dukhon ne rabte mazboot kar diye apne
Tamam shaher bdalta hua nazar aaya
Yeh payas mujh ko zamein bos kerne wali thi
Kih aik chashmah ubalta hua nazar aaya
Woh mer sath bhala kitni door jayga
Jo her qadam pe sanbhlta hua nazar aaya
Shikast de ke mujhe khush tha bahut Aalam
Magar woh Hath bhi milta hua nazar aaya
jaate jaate vo mujhe achchhi nishaani de gayaa
umr bhar dohraaoongaa aisi kahaani de gayaa
us se main kuchh paa sakoon aisi kahaan ummeed thi
Gham bhi vo shaayad baraaye meharbaani de gayaa
umr bhar dohraaoongaa aisi kahaani de gayaa
jaate jaate vo mujhe achchhi nishaani de gayaa
sab havaayen le gayaa mere samandar ki koi
aur mujhko ek kashti baadbaani de gayaa
umr bhar dohraaoongaa aisi kahaani de gayaa
jaate jaate vo mujhe achchhi nishaani de gayaa
Khair main pyaasaa rahaa, par usne itnaa to kiyaa
meri palkon ki qataaron ko vo paani de gayaa
umr bhar dohraaoongaa aisi kahaani de gayaa
jaate jaate vo mujhe achchhi nishaani de gayaa
Jab Teri Dhun Men Jia Karty They
Ham Bhi Chup Chap Phira Karty They
Ankhoon Men Peyas Hoa Karty Thi
Dil Men Toofan Utha Karty They
Loog Aaty They Ghazal Suneney Ko
Ham Teri Bat Kia Karty They
Sach Samjhty They Tery Wadoon Ko
Rat Din Ghar Men Raha Karty They
Kisi Werany Men Tujh Sey Mil Kar
Dil Men Kia Phool Khila Karty They
Ghar Ke Dewar Sajany Ki Khatir
Ham Tera Nam Likha Karty They
Wo Bhi Kia Din They, Tujhe Bhula Kar
Ham Tujhe Yaad Kia Karty They
Kal Tujhe Dekh Kar Yaad Aeya
Ham Bhi Kabhi Muhabbat Kia Karty They
Insaanoo ki is basti main
Kuch aise log bhi bastey hain
Jo gham sehtey hain dunya k
Jo chupkey chupkey hastey hain
Insaano ki is basti main
Rehtey hain kuch maseeha bhi
Jo kartey bass maseehae
Chhup chhup kar wo rehtey hain
Insaano ki is basti main
Bastey hain kuch sanam aise
Jo apni hi is pooja se
Kuch kuch dartey rehtey hain
Insaano ki is basti main
Bastey hain kuch farishtey bhi
Jab ghalti ka imkaan nahi
to na janey kion darte hain?
Insaano ki si basti main
Kuch log baney hain shedai
Jo hulye se hain dewaney
Par baat feham ki kartey hain
Insaano ki is basti main
Kuch log ajab se rehtey hain
Kartey hain kaam darindoon k
Aur khud ko insaan kehtey hain
Insaano ki is basti main
Rehta hai aik Khudawand bhi
Usse ki marzi k tabe hain
Jo jeetey hain jo martey hain
Insaano ki is basti main
Rehta hai aik Khudawand bhi
Jab ataa karey to aise karey
Sab malik bhi phir mangtey hain
Insaano ki is basti main
Kuch aise log bhi bastey hain
Jo gham sehtey hain dunya k
Jo chupkey chupkey hastey hain
Khulay falak per ...
Tha timtimaata ...
Wo ik sitara ...
Taloo-e-Subh ko...
jo dekhta tha ...
ye sochta tha ...
shayad kisi din ...
kisi sahar ki ...
Namu ho us se ...
Banay wo sooraj ...
Kisi sahar ....
Talism tootay ...
kisi seher....
Mager wohi tou
Hai raat bhar ke ...
musafiron ka ....
charagh-e-manzil ...
tamaam shub ki ...
musafaton ka ...
akheer sahil ...
Ager wo na ho ...
katay gi kasay ...
Taweel shub ye ...
Musafiron ki ....
Musafaton ki ....
Kabhi tou socho ...
Kabhi tou socho ...
Us nay kaha..mujh say kitna pyar hai..?
main nai kaha.. sitaroon ka koi shoomar..
us nai kaha...kon tumhain hai bohat aaziz..?
main nai kaha ..dil par jisay ikhtiyar hai
us na kaha sekrhoon ghum zindagi main hain..??
main nai kaha..ghum nahi,jab ghumkhasar hai
us nai kaha saath kahan tak nibhaoo **
main nai kaha..jitni yeh saansoon ki taar hai...
Hum ne kisi ki yaad main rona hi chor diya
Apni Zindagi ko talaash karna hi chor diya
Sab beeti hui baatein bhula di hum ne
Ab Dil main maazi basana chor diya
Kaanton se bhar dete hain log daaman
Hum ne Aangan main Phool khilana hi chor diya
Kabhi na maangey gey kisi se bheek Mohabbat ki
Is hi liye hum ne Pyaar karna hi chor diya
ek pal mai ek sadi ka maza hum se poochhye
do din ki zindagi ka maza hum se poochhye
bholay hai rafta rafta unhai mudato mai hum
qisto mai khud ***hi ka maza hum se poochhye
agaz-e-ashiqui ka maza aap janiye
anjam-e-ashiqui ka maza hum se poochhye
hansne ka shauq hum ko bhi tha aap ki tarha
hansiye magar hansi ka maza hum se poochhye
woh jaan he gaye k hume un se pyar hai
ankho ki mukhbari ka maza hum se poochhye
na doost banao Huzeifa, na qareeb lao kisi ko
doosto ki bewafai ka maza hum se poochhye
Iss se pahale ke yaad tu aaye,
meri aankhon mein phir lahu aaye,
tujhase rista main tor jaaunga,
main tera shahar chor jaunga,
main tera shahar chor jaunga..
mujhako gum hai teri judaaie ka,
ranz hai apani bewfaaie ka,
apane vaade se phir gaya hoon main,
apani najaroN se gir gaya hoon main,
iss se pahale ki tu mujhe chhoDe,
mujhako Thukarye mera dil tore,
apana dil khud main tor jaunga,
main tera shahar chor jaunga..
tera mujarim main tera harjaaie,
saath le jaaungaa ye rushvaaie,
daag daaman se ye mita dunga,
khud ko etani baDee saja dunga,
iss se pahale ke log taane dain,
tere aanshu na mujhako jaane dain,
ye talluuk main tor jaunga,
main tera shahar chor jaunga..
haN mera entajaar to hoga,
ab bhi kuchh aitbaar to hoga,
tu khula chhoD degi dervaja,
per galat hai ye tera andaja,
iss se pahale ke aah dil bher de,
sab gunahoN ko maaf tu ker de,
ye bharam bhi main tor jaunga,
main tera shahar chor jaunga..
iss se pahale ke yaad tu aaye,
meri aankhoN mein phir lahu aaye,
tujhase rista main tor jaaunga,
main tera shahar chor jaunga..
main tera..shahar chor jaunga..
Tere Liye Hum Hain Jiyeh, Honthon Ko Siye
Tere Liye Hum Hain Jiyeh, Har Aansoo Piye
Dil Mein Magar Jalte Rahe, Chaahat Ke Diye
Tere Liye, Tere Liye
Tere Liye Hum Hain Jiye, Har Aansoo Piye
Tere Liyeh Hum Hain Jiye, Honthon Ko Siye
Dil Mein Magar Jalte Rahe, Chahat Ke Diye
Tere Liye, Tere Liye
Zindagi Le Ke Aayehe Hai Beete Din Ki Kitaab
Ghere Hain Ab Humein Yaadein Be-Hisab
Bin Poochhe Mile Mujhe Kitne Sare Jawab
Chaha Tha Kya, Paya Hai Kya, Humne Dekhiye
Dil Mein Magar Jalte Rahe, Chaahat Ke Diye
Tere Liye, Tere Liye
Kya Kahoon Duniyaa Ne Kiya, Mujh Se Kaisa Bair
Hukm Tha..? Main Jiyun Lekin Tere Baghair
Naadaan Hai Woh Kahte Hain Jo Mere Liyeh Tum Ho Ghair
Kitne Sitam Humpe Sanam Logon Ne Kiye
Dil Mein Magar Jalte Rahe, Chahat Ke Diye
Tere Liye, Tere Liye
Tere Liye, Tere Liye..
Kabhi Yo0n Bhe Aa Meri AanKh Men..
Keh NaZar Ko Kabhi Khabar Na Ho...
MuJheY Aik Raat NaWaZ De...
MaGeR UzKe Baad Sahar Na hO...
Wo Bara Rahim-0-Karim Hai.
MuJheY Yeh Sift Bhe Ata Kare...
TuJheY Bho0lne Ki Dua Kar0n...
To Meri Dua Men Asar Na Ho...
aao tumhain aik sher sunain
aao tumhain apni ghazal banain
aao pass aao hum tumhain
khud main proyain harr banaain
thi barson say jo piyas hamain
aao seenay say lago piyas bhujain
her bat ko mazak main na urrao
aao piyar kay tumhain dhang sikhaain
pehli bar thi jana mulaqat ki
kuch yad nahi raha kya kya bataain
laao tumharay hath ki lakeeron main
tumhain apna naam dikhaain
Kahin milay to usay yeh kehna.........
Faseel-e-nafrat gira raha hon,
Gaye dinon ko bhula raha hon...
Wo apne wadon say phir gaya hai,
Mai apne waday nibha raha hon...
Kahin milay to usay yeh kehna......
Na dil mai koi malal rakhay
Hamesha apna khayal rakhay
Wo saray gam apne mujhko de day
Tamam khushyan sanbhal rakhay
Kahin milay to usay yeh kehna....
Agar guftagu ka aghaaz mein karta
Jharaktee bigartee magar maan jaati
Jo mein barh kar us kay qadam rok leta
Woh paaon patakhtee magar maan jaati
Agar chaand kaliyaan usay paish karta
Woh daman jhataktee magar maan jaati
Mein kehta "chalo tum ko ghuma kar laoon"
Akartee jhijhaktee magar maan jaati
Jo mein us ko taktaa ... zameen ko woh takti
Anguthaa ragarrti magar maan jaati
Jo peechay say aanchal ka phanda banata
Bohat tilmilaati magar maan jaati
Woh ghussay may jo mujh say naraaz hoti
Bikharti tarapti magar maan jaati
Mein kehta keh parhnay ka choro bahana
Woh safhay palatti magar maan jaati
Jo kehta keh "rahon pe chaliye sambhaal kar"
Uchaalti matakti magar maan jaati
Ab ke hum bichre to shayad kabhi khwabon mein milein
Jis tarah sookhey hue phool kitabon mein milein
Dhoond ujray hue logon mein wafa ke moti
Yeh khazane tujhe mumkin hai kharabon mein milein
Ghum-e-duniya bhi ghum-e-yaar mein shamil karloon
Nasha barhta hai sharabein jo sharabon mein milein
Tu Khudah hai na mera ishq Farishton jaisa
Dono insaan hain to kyun hijabon mein milein
Aaj hum dar yeh khainchein ge jin baaton par
Kya ajab kal woh zamane ko naseebon mein milein
Ab na woh hain, na woh tu hai, na woh mazzey hain Faraz
Jaise do shakhs tamanna ke sailabon mein milein
Main woh musafir hoon
Jis ka rasta bohat kathan hai
Main hoon woh raahi k
Jis ki manzil kahin nahi hai
Maira thikana koi nahi hai
Maira asaasa hi dosti hai
Yah maal o zar say b qeemti hai
Yah ghup andhairoon main roshni hai
Yah kalee ratoon main chaandni hai
Ici saharay guzar rahay hain
Yah zindagi k haseen lamhay
Yah mairi ezat.......yah mairi shuhrat
Hai dostoon ki dua ka hasil
Mujhay duaoon ka aasra hai
Mairi bas itni c iltaja hai
Mujhay duaoon main yaad rakhna!!!
kisi k gham main waqar khona
koi suny ga tu kia kahy
yeh raton ko uth uth k tera rona
koi suny ga tu kia kahy ga
jo dil main aaya tu khoob khaila
nazar se utra to tod daala
kisi ka dil bhi hai kia khilona
koi suny ga tu kia kahy ga
sumundar main kashti ko choor dety
to aap per bhi na baat aati
yeh Sahil pe la k humain daboona
koi suny ga tu kia kahy ga
kaha jo main ne der-o-khuda se
ger judai ka dar nahi hai
tu hans k boly k chup raho na
koi suny ga tu kia kahy ga
Chand lamhe bache hain tere mere saath ke
Mumkin hai ke bichar jaayen bina mulakat ke.
Kahan aansuon ki ye saugaat hogi,
Naye log honge nayee baat hogi.
Main har haal me muskurata rahoonga,
Gar tumhari mohabbat mere saath hogi.
Chiragon ko mehfooz rakhna aankho main,
Badi duur tak andheri raat hogi.
Musafir hoon main bhi, Musafir ho tum bhi
Phir kahin, kisi mod par mulaqat hogi
jo bhii ghar se jaataa hai
ye kah kar hii jaataa hai
dekho, mujh ko bhuul na jaanaa
maiN phir lauT ke aauuNgaa
dil ko acche lagne vaale
laakhoN tuhfe laauuNgaa
naye naye logN kii baateN
aa kar tumheN sunaauuNgaa”
lekin aaNkheN thak jaatii haiN
vo vaapis nahiiN aataa hai
log bahut haiN aur vo akelaa
un meN gum ho jaataa hai
yun hi to shaakh se pattey gira nahi kerte
Bicher ke log zayada Jia nahi kerte
Jo aane wale mosam hain inhain shumar main rakh
Jo din guzer gaye un ko gina nahi kerte
Na dekha jaan ke us ne koi sabab ho ga
Isi khayal se hum dil bura nahi kerte
Munafqat pe jinhain ekhtayar hasil hai
Wo Arz kerte hain tujh se gila nahi kete
Yadoon kay dareechay sae jhankta hai koi aaj bhi
baar baar apni simat bulata hai koi.. aaaj bhi
jis shakhs ko chupa kay rukha sada khud sae
zikar pay uskay ik kask uthtee hai dil mein.. aaj bhi
woh muhabat mein pechay hutnay ka qail tha tu nahin
par bae wafai uski rullaaatttee hai.. aaj bhiiii
zamanay kee hawa nein badal dala usko kioun
mooti tu nikaltay hein seep sae hee.. aaj bhi
dukh tu buhat milay uski humrahi mein
sada khush rahay woh yehi dua hai aaj bhi
Ab Aansuoon Ko Aankhon Main Sajaana Hoga
Chiraagh Bhuj Gai Khud Ko Jalaana Hoga
Na Samjhna K Tumse Bicharh K Khush Hain
Humain Logon Ki Khaatir Muskuraana Hoga
Phir Shaam Dhal Gai Tum Aaiee Na Aaj Bhi
Dil Ko Aaj Phir Umeedoon Se Behlaana Hoga
Waada Khilaafi Kar K Muskurate Ho Aap
Dekhna Aik Din Sanam Aapko Pashtaana Hoga
Lahoo Se Apne Kafan Pe Tera Naam Likh Jaounga
Thaam K Haath Main Phool Tumko Aana Hoga
Abhi Se Na Kejiyai Takaaz-E-Masroofiat K Aap
Abhi Utthna Hai Janaza Kaandha To Daina Hoga
Muddaton Kiya Hai Tera Intizaar Aai Sanam
Umar Kat Chuki Ab To Jaana Hoga
Aakhri chand din December k
Har bars hi gera'n guzartay hain
Khahishoo'n k nigaar khanay main
Kaisay kaisay Guma'n guzartay hain
raftagaa'n k bikhratay sayo'n ki
Aik mahfil c Dil main sajti hai
Phone ki dairy k mazmoon say
Kitnay number pukaartay hain mujhy
Jin say marboot bay nawa ghunti
Aab fakt mairay Dil main bajti hai
Kis kadar piyaray piyaray namoo'n par
Reengti badnuma lakeeroon c
Mairi aankhoon main phail jati hain
Dooriyan daeray banati hain
Dheeyan ki seedhyoo'n py kiya kiya aks
Mishlain dard ki jalatay hain
Naam jo kat ** hain unk harf
Aaisay kaghaz py phail jatay hain
Hadsay k muqaam pr jaisay
Khoon k sookhtay nishanoo'n pr
Chaak say lienai'n lgatay hain
Phir December k aakhri din hain
Har bars ki tarah say aab k b
Dairy ik sawal karti hai!
"Kiya khabar ic bars k aakhir tk
Mairy in bay chiragh safhoo'n say
Kitny hi naam kat gy hoon gy!
Kitny number bikhar k rastoo'n main
Gard e mazi sy aat gy hoon gy!
Khaak ki dhairiyoo'n k daaman main
Kitny tufaan simat gy hoon gy!"
Her December main sochta hoon main
Aik din ic tarah b hona hai
Rang ko roshni main khona hai
Apnay apnay gharoo'n main rakhi howi
Dairy,dost daikhtay hoon **
Un ki aankhoo'n k khaak danoo'n main
Aik Sahra Phailta Ho Ga!
Hawa naam bar ho
tu main titlioon kay paroon per lihkoon
kahee unkahee dastanien
suhani rutoon ki harii dhoop uhray hoay
tari dahleez per baht jaon....kahoon
janemaan
aao lambay safar per chalay
apnay gahr say chalay
aao.. ham ko bulati hain apni taraf
khawab ki bastiaa!
shaam ki bayqara jheel may
sab parinday utarnay ko hain
aao..ham bi lambay safar kay liay
khool day baadbaan
aao....lambay safar per chalay~!!
Mohabbaton mein kuch aesay bhi haal hotay hein
Khafa hon jin say un he k khiyaal hotay hein
Machaltay rahtay hein zehan mein waswasoon ki tarah
Haseen log bhi jaan ka wabal hotay hein
Mein dil k zakhm chupaun teri tarah kesay
k tere pas to lafzon kay jaal hotay hein
Bas aik tuu he to sabab to nahi udasi ka
Tarah taarah k dilon ko malal hotay hein
Siyah raat mein jaltay hein jugnooun ki tarah
Dilon k zakhm bi aay dost kamal hotay hein
Jo aa-parein to mitanay muhal hojatay hein
Dilon k mail bhi sheeshon ka baal hotay hein
Jo toot jain to khud he bahal hotay hein
Dilon k rabt bhi apni misaal hotay hein
Yeh kon saksh hay jis ki haseen ankhon mein
Nazar uthay to dheron sawal hotay hein
kisi ko dekhon to mathe pe mah-o-saal milen
kahen bikharti hoyee dhool mein sawal milen
zara si dair december ki dhoop mein bethen
ke phir ye fursaten na shayad agle saal milen
uss se milna tau iss tarah kehna
tujh se pehlay meri aakhoon mein
koi roop iss qadr na utra that
tujh se aabad hai kharaba-e-dil
warna mein kis qadar akayla tha
teray hooton per kohsar ki ous
teray chehray pe dhoop ka jadoo
teray sansoo ki that-tharahat jaisay
koonpaloon K kawar ki khushboo
Woh kahay ge
inn lafzoon se
aur kis kis pe jaal dalay hain
tum yeh kehna K pesh-e-saghar-e-jism
baqi sab mitti K pyalay hain
aur aisa karna K ahtiyat K sath
uss K hathoon se hath takrana
aur agar ho sakay tau aakhoon mein
du chaar ashk bhar lana
Ishq mein ay muasreen-e-karaam
yehi technique kaam aati hai
aur yehi lay kar doob jati hai
intezamaat naye sire se sambhaale jaayein
jitane kamzarf hain mehafil se nikale jayein
mera ghar aag kii lapatoun meun chupa hai lekin
jab mazaa hai tere aangan mein ujaale jaayen
Gam salaamat hai to piite hii raheinge lekin
pehale maikhane ki haalat sambhaale jaayein
Khaalii vaqtoun mein kahiin baith ke rolein yaaro
fursatein hain to samandar hii khangaale jaayein
Khaak mein yuun na milaa zabt kii tauhiin na kar
ye vo aansuun hain jo duniyaa ko bahaa le jaayein
ham bhii pyaase hain ye ehasaas to ho saaqii ko
Khaalii shiishe hii havaaoun mein uchale jaayein
aao shaher mein naye dost banaayein "Rahat"
aastiinoun mein chalo saanp hii paale jaayein
Kesi ke yad kay jab deep jalne lagte hain
Tu meri ankh main ansoo peghalne lagte hain
Qayam karte hain mujh main yeh qafle kese
K bechre log mere dil pay chalne lagte hain
Jo mere Zakham e rag e jan se khoon tapekta hai
Tu us ke bazam main saghar uchalne lagte hain
apney khawbon main kahiN mera guzar rehney do
apni ankhon main kahiN mera shehr rehney do
dhiyan key taq sey yadon ko hata do lakin
in kitabo main kahiN mera asar rehney do
apni palkon pe sajatey ho jinhen pichley peher
un sitaron main kahiN mera safar rehney do
apney lehjey sey mita do meri khushboo chahey
apni baton main kahiN mera zikr rehney do
sab sitaron key kai chand or suraj hain
in qataron main kahin mera qamar rehney do
ik naya sheher basa lo dil-e-barbad main tum
apni rahon main kahiN mera nagar rehney do
Manzoor hain har saza, hui jo khataa mujhse,
Magar kabhi bhi tum na hona, khafaa mujhse
Kuch der ke liye hi sahi, magar mushkil tha,
Meri jaan tumhaara yoon hona, judaa mujhse
Tumhe naaraaz dekh kar, sukoon mit gaya,
Badgumaani mein ho gaya, kuch bayaa mujhse
Sharminda hoon main, apni baaton ke liye,
Na jaane yeh kaise aur kyon, huaa mujhse
Soch kar bahut, ab ghabraata hay 'Husain',
Bujh gayi aitbaar ki shayad, shamaa mujhse
kabhi nazrain milany mai zamane beet jate hain,
kabhi nazrain churane mai zamane beet jate hain,
kissi ne aankh b khooli t soone ki nagar mai,
kissi ko ghar banae mai zamane beet jate hain,
kabhi kali sya raatin ik pal ki lagti hain,
kabhi ik pal beetane mai zamane beet jate hain,
kabhi khoola ghar ka darwaza to samne thi manzil,
kabhi manzil k aane mai zamane beet jate hain,
ik pal mai toot jate han umer bhar k rishty,
woh rishte jo banae mai zamane beet jate hain
Har zulm tera yaad hai, bhoola toh nahi hoon
Aye waada-faramosh mai, tujhsa toh nahi hoon
Saahil pe khadey ho, tumhe kya gham chale jaana
Mai doob raha hoon abhi, dooba toh nahi hoon
Chup chaap sahi maslehatan waqt ke haaton
Majboor sahi waqt se, haara toh nahi hoon
Mushtar mujhe dekhta rehta hai zamaana
Deewana sahi, unka tamasha toh nahi hoon
Itne bares ke doori aur majboir kay
Afsoon e safar main lepta huwa
Ek shakhus achanak aan mela
Main us ko dekh kay shushdar tha
Woh mujh se sawa hairan mela ......
Yeh Waqat bhi ketna zalim hai
Es hajir main keya keya rooy thay hum
Es yad main keya keya Khoy thay hum
Kuch dair tu donu chup se rahe
Phir us ne kaha...... Tum kese ho?
Aur main ne kaha ........ Bus acha houn ,,
Phir us ne kaha ,
Yeh itne dinoun kay bahd ka melna khob raha....
Koi purana dost mele tu dil ko bhala sa lagta hai...
Yeh shaiher tu bilkul badal gaya...... Ab chalti houn,,
Phir main ne kaha ,
Main sham sume har roz yahan par ata houn.....
Jab waqat mele tu aaa jana....
Es waqat mujhe bhi jaldi hai.... Ab chalta houn
Yeh waqat bhi kitna zalim hai
Dard had say guzar gaya hota
aysay jeenay say mar gaya hota
beth jata jo pass aina roo
mein bhi kuchh to sanwar gaya hota
din to guzra udass rahoon mein
sham dhalti to ghar gaya hota
kuchh to rakhta meri wafa ka bharam
aik pal to thehar gaya hota
yoon anaiN na tootTi apni
pehlay jhuknay say sar gaya hota
zakhm milta na roz aik naya
gar Sikander sudhar gaya hota
Mujay Chanda Kaho Jaan Kaho
Mujay Apnay Dill Ka Mehmaan Kaho
Mujay Dekho Har Lamha Yuhi
Mujay Tum Apni Pehchaan Kaho
Main Poori Karoo Tumhari Har Khawahish
Mujay App Apna Maaan Kaho
Har Haal Mein App Muj Ko Hi Socho
Muj Se Dill Ka Har Armaan Kaho
Har Lamha App Ko Hi Chahoo Main
Mujay Payar Ki App Apni Shaan Kaho
Mere Dill Ki Dharti App Ki Hai
Ussay Zameen Kaho Asman Kaho
Sub Kartay Hain Batain App Ki
Har Azooo Ko Meri Zaban Kaho
App Ki Dunia Mein Khoii Rehti Hun
Mujay Mast Kaho Anjaan Kaho
Rakhoo Door Har Shaher Ko App Se
Mujay Dost Kaho Negebaan Kaho
Bheek Payar Ki Apni De Do
Chahy Fakiir Kaho Sultan Kaho
Akhir kar yeh sahat be qareeb aa punchi
Tu meri jan kesi aur ke ho jay gi
Kal talak mera maqadar thi teri zulf ke sham
Keya tagheyar hai k ab ghair ke keh lay gi
Mere ghum khane main tu ab na kabhi aaaye gi
Teri sehmi hoi masoom nagahoun ke zuban
Meri mehboob koi ajnabi keya samejhe ga
Kuch jo samejha be tu us ayn khushi kay hungam
Teri khamosh nagahi ko haya samejhe ga
Tere behte huwe ashkoun ko ada samejhe ga
Meri damsaz zamane say chali ati hain
Rahan e ghum e waqif alm sada diloun ke ankhain
Yeh naya zulim nahin pyar k matwaloun par
Hum ne dekhain yunhi nam sada diloun ke ankhain
Aur ro lain koi dum sada diloun ke ankhain
Mujh se pehle k din
ab bohat yaad aane lage hain tumhein
khwab-o-tabeer k gumshuda silsile
baar baar satane lage hain tumhein
dukh jo muhnche the tum se kisi ko kabhi
der tak ab jagane lage hain tumhein
apne wo ahd-o-wafa jo mujh se na kiye the
ab bohat yaad ane lage hain tumhein
kya tumhein ab mujh se kuch b kehna nahi
ye jo zindagii kii kitaab hai ye kitaab bhii kyaa kitaab hai
kahiin ik hasiin saa Khvaab hai kahiin jaan-levaa azaab hai
kahiin chhaNv hai kahiin dhuup hai kahiin aur hii koii ruup hai
kaii chehare is men chhupe hue ik ajiib sii ye naqaab hai
kahiin kho diyaa kahiin paa liyaa kahiin ro liyaa kahiin gaa liyaa
kahiin chhiin letii hai har Khushii kahiin meharabaan behisaab hai
kahiin aa.Nsuon kii hai daastaaN kahiin muskuraahaTon kaa bayaaN
kahiin barqaton kii hai baarishen kahiin tishnagii behisaab hai
ajnabi si rahon ka
ajnabi musaafir aik
mujh sey pooch betha hai
raasta bata do gey
ajnabi si rahon k
ajnabi musaafir sun
raasta koi bhi ho
waasta koi bhi ho
manzilein nahi milteen
manzilein tu dhoka hain
manzilein gar mil jaaien
tu justajoo nahi rehti
zindagi ko jeeney ki
arzoo nahi rehti
Shab e tanhai main jee es leya ghabrata hai
Woh na aien tu wahin waqat tehar jata hai
Koun na us ko main dil o jan say apna samejoun
Woh jo ek shakhus mere nam se sharmata hai
Kes qadar pas e muhabat hai k bay arz e nayaz
Khud ba khud koi mere dil mian chala ata hai
Khawaish e sang zani khawaish e gul hai warna
Koun baikar kesi bat ko dohrata hai
Shookhi e tarz e bayan dekh k hum se Kousar
Kuch agar arz bhi karta hia tu farmata hai
NICE PASAND APS JII....:thumbsup1[1]: .
Shab e tanhai main jee es leya ghabrata hai
Woh na aien tu wahin waqat tehar jata hai
Koun na us ko main dil o jan say apna samejoun
Woh jo ek shakhus mere nam se sharmata hai
Kes qadar pas e muhabat hai k bay arz e nayaz
Khud ba khud koi mere dil mian chala ata hai
Khawaish e sang zani khawaish e gul hai warna
Koun baikar kesi bat ko dohrata hai
Shookhi e tarz e bayan dekh k hum se Kousar
Kuch agar arz bhi karta hia tu farmata hai
Wah Ji Wah :creature2[1]:
----------------------------------------------------------------------
http://www.geocities.com/mashkoor1/img/sign.jpg
Erum Zehra
01-24-2007, 04:01 PM
OH HOO ZABARDAST COLLECTION HAI YE TO AARAM SE PAHRNE WALA HAI APS JI !:biggrin
ajnabi si rahon ka
ajnabi musaafir aik
mujh sey pooch betha hai
raasta bata do gey
ajnabi si rahon k
ajnabi musaafir sun
raasta koi bhi ho
waasta koi bhi ho
manzilein nahi milteen
manzilein tu dhoka hain
manzilein gar mil jaaien
tu justajoo nahi rehti
zindagi ko jeeney ki
arzoo nahi rehti
Wah Ji Wah :creature2[1]:
----------------------------------------------------------------------
http://www.geocities.com/mashkoor1/img/sign.jpg
YADOON KI IK ZALA BARI MUJH MAI HAY
GUZRA MAUSAM AB TK TARI MUJH MAI HAY
TUM HI MERAY HAQ MAI KOI BAT KAHO
TUM NAY TU IK UMR GUZARI MUJH MAI HAY
ZAKHMON KI POSHAK BADALTA REHTA HON
ISSI LIYE TU TAZA KARI MUJH MAI HAY
SHAIR SUNANA LOG IKATHAY KRLAINA
YON LAGTA HAY AIK MADARI MUJH MAI HAY
JANAY KAB SANSON KI SHAKHAIN KAT JAIN
TAIZ BAHUT YADOON KI AARI MUJH MAI HAY
Diyar-e-ghair main kese tuje sada dete
Too mil bi jata to aakhir ganwa dete
Tumhi ne hum ko sunaya na apna dukh warna
Dua wo karte ke hum asmaan hila dete
Humain ye za'am raha ab ke wo pukaren ge
Unhain ye zid the ke her baar hum sada dete
Wo tera gham tha ke taseer mere lehje ki
Ke jis ko haal sunate,usey rula dete
Tumhain bulana hi awal to dasteras main nahi
Jo akhtiar bi hota, to kia bula dete
Tumhari yaad ne koi jawab hi na diya
Mere khayal ke ansoo rahe sada dete
Sama'atun ko main taumer kosti rabi
Wo kuch na kehte magar hont to hila dete.
Ae Khuda! ab to usko Jhoomta Badal karde
Yun wo Barse k Mere Pyar ko Jal-Thal karde
Mere Mehboob ke Peron ko jo chinta chumey
Aise Chintey ko chanakti hoi Payal karde
Kese Mumkin hai k, Mai Hashar k Suraj se Daroon
Mujh pe Saaya jo Mere Yaar ka Aanchal karde
Ae Mere Husn-e-Khayal us ko sajane k lye
Subah ko Gaaza bana Raat ko Kajal karde
Aaj phir Jheel Kinare Mujhe tarpata hai
Kaash is Chaand ko paani mai koi Hall karde
Ae Muqaddar! Mujhe Tarsayega Aakhir kab tak?
Ya Meri baat samajh ya Mujhe Pagal karde
Wo Mujhe ker to raha hai Nazar-Andaz 'Qateel'
Is ko b Waqt Zamane se na Ojhal karde
Bohat khoob janab :piano:
vBulletin® v3.8.4, Copyright ©2000-2013, Jelsoft Enterprises Ltd.