View Full Version : Dard-E- Ishq
Us ki yaad main aanson ka samander bana liya.
tanhaiyon k des main apna ghar bana liya.
suna hai log pooja kerte hain pathron ki.
is liye apne dil ko pathar bana liya.
Kabhi meri yad sataye to lot ana..
kabhi dil gabraye to laut ana...
ghairon ko tu ne dil me basa lia hai...
tere dil bar tum ko tuhkray to laut ana...
Hazaron zakham tu ne mairay dil ko diye...
jab tera koi dil dokhaye to laut ana...
jewan ojaar k mera buhat khosh hoo tum...
zindagee tairee koi barbad kar jaye to laut ana...
meri zindagi me tu khazan bakir gai te tum...
agar bahar tum sa root jaya to laut ana...
zamane k sath aaj tum bohat khosh ho na...
agar zaman tum ko char jaye toh laut ana...
dil tera b jab zakhmo se chor jaye...
koi b tum ko na apnaye toh laut ana.
Na de paaya khushiyan, toh kya ghum hai,
Jee bhar ke mila dard, wo kya kam hai.
Meri wafa ke badley chaahe de dena mujhe pyar ki parchai,
Par E khuda, na dena mujhe ashkon mein bheegi TANHHAI…
Kuch aur sochne ki zarorat nahi mujhe,
Tere siwa kisi se mohabbat nahi mujhe,
Rehta hai bas tera hi mujhe raat din khayal,
Main tujh ko bhol jaon yeh taqat nahi mujhe,
Kal shab tumhari yaad mein aanso chilak pade,
Ab kuch bhi kehne ki hajat nahi mujhe,
Kis ko sunaon jaa ke mein apna yeh hal-e-ahewal,
Tum ne to keh diya hai ke fursat nahi mujhe,
Khushiyon se ab nahi hai koi rabta mera,
Pal bhar tumhare ghum se faragat nahi mujhe,
Sab kuch ujar gaya mera khuwabon ke sath sath,
Faraz magar kisi se shikayat nahi mujhe..
Ek Wo Ke Faqat Rooth Ke Jane Ke Liye Tha !!
Or Mein Ke Usey Roz Manane Ke Liye Tha !!
Hum Jis Ki Tamana Mein Hue Taaraq_e_Duniya !!
Wo Shakhs Kisi Or Zamane Ke Liye Tha !!
Ghairon Ke Liye Tum Ne Jise Tor Diya Tha !!
Wo Ehad_e_Rafaqat Tu Nibhane Ke Liye Tha !!
Har Baar Wo Dhone Se Numaya Hi Hua Hai !!
Ek Dogh Jo Us Dil Se Mitane Ke Liye Tha !!
Us Ko Tu Kabhi Mujh Se Mohabbat Hi nahi Thi !!
Ye Khel Tu Duniya Ko Dikhane Ke Liye Tha !!
Suraj Bhi Dhal Raha Hai Kahin Sham Ho Na Jaye !!
Hai Dil Mein Ek Hasrat Nakam Ho Na Jaye !!
Na Kaho Raz_e_Ulfat Agar Koi Raz Dan Nahi Hai !!
Khamosh Ye Mohabbat Badnam Ho Na Jaye !!
Mere Ishq Ko Nidhal Kar !!
Kabhi Hijar Ko Bhi Wisal Kar !!
Meri Ankh Ko Binai De !!
Mere Kalb Ko Ujaal Kar !!
Mujhe Dars De Tu Fana Ka !!
Mera Ishq Mein Bura Haal Kar !!
Mujhe De Saza Koi Sakht Si !!
Mujhe Is Jahan Mein Misal Kar !!
Meri Asal Surat Bigar De !!
Kisi Ishq Ki Bhatti Mein Daal Kar !!
Mujhe Bhi Pila Koi Asi Shay !!
Kabhi Meri Ankhen Bhi Lal Kar !!
Wo Jo Us Jahan Mein Halal Hai !!
Kabhi Is Jahan Mein Halal Kar !!
Teri Talab Mein Hoon Mein Darbadar !!
Kabhi Is Taraf Bhi Khayal Kar !!
Key Mein Aik Qalam Hoti
Jab Tum Likhte Tanhai Mein
Dil Ki Baat!
Chupke Se Kaghaz Per Utarti
Aur Teray Haathon Ke Lams Se
Samajh Pati Teray Jazbon Ko
'Shaam Ke Surmai Andheron Mein
Jab Tu Nikalta Almari Se
Mera Dil Khushi Se Jhoomta
Phir Zara Deir Talak Teri Unglion Mein Qaid Rehti
Kaash Tu Mujhey Umer Qaid Dedey!
Phir Teri Baatein Khatam Hoti
Tu Mujhey Chor ker chala jata
Intizar Kerney Key Liye!
Per Woh Intizar Bhi Bemaza Na Hota
Kuch Milney Ki Tarap Hoti
Kuch Dil Beqarar Hota
Mujhey Aadat Hoti Teri Qurbat Ki
Tu Pyar Ki Baatein , Meray Liye Na Sahi
Per Mujh Se To Likhta...AniYa
Kaash Mein Aik Qalam Hoti
Tum Ne Chaha Hi Nahi Halaat Ko Badal Saktay The !!
Mere Ansu Teri Ankhon Se Nikal Sakty the !!
Tum Ne Samjha Hi Nahi Lafzon Ki Taseeron Ko !!
Narm lehjy se Tu Pathar Bhi Pigal sakty The !!
Or Tum Thehry Rahy Jheel ke pani Ki tarha !!
Mere Sath Mil Ke Bethy Tu Bohut Door Nikal Sakty The !!
Her Ilzam Ka Haqdar Wo humein Bana Jate Hain !!
Her Khata Ki Saza Wo Hume suna Jate Hain !!
Hum Her Baar khamosh Reh Jate Hain !!
Q Ke Wo Apna Hone Ka Haq Jata Jate Hain !!
Na Chupana koi Baat Dil Mein Ho Agar !!
Rakhna Thora Bharosa Ap Hum Per !!
Hum Nibhaenge Khulus Ka Rishta Is Qadar !!
Ke Bhulane Per Bhi Na Bhula Paoge Hamen Zindagi Bhar
Ab kya likhain ham kaghaz pr
ab likhne ko kya baqi hy
Ek dil tha wo to toot gya
ab tootne ko kya baqi hy
Ek shaks ko humne chaha tha
Ek rait pe naqsh bnaya tha
wo rait to kb ki bikhr gae
wo naqsh kaha ab baqi hy
Hm jinko apni nazmo ka
unwan bnaya krte thy
lafzo ka bna k taj meheL
kaghaz pr sjaya krte thy
wo hmko akela chor gya
sab rishto se mun mor gya
ab raste sare sooney hain
wo pyar kahan ab baqi hy
Ab kya likhain ham kaghaz pr
ab likhne ko kya baqi hay..
Yeh wafa bhi kya khata hai mujhe sochna parhe ga
Usse mujh se kyun gila mujhe sochna parhe ga
Dil e muztarib hua hai teri yaad se gurezaan
Yeh maqaam kaun sa hai mujhe sochna parhe ga
Woh mile to beqaraari hai na mile to beqaraari hai
Mere Dil ko kya hua hai mujhe sochna parhe ga
Dar -e- Dil pe di hai dastak sahb -e- intezaar kis ne
Koi aashna sada hai mujhe sochna parhe ga
Kab hui pyaar ki barsaat hamien yaad nahi,
Khauf main doobi mulaqat hamien yaad nahi,
Hum to madhosh thay kuch itna uski chahat main,
Us nay kab chhor dia HAATH hamien yaad nahi...
Kese wo lot jaye k fursat usse nahi,
Duniya samjh rahi hai Mohbt usse nahi,
lagta hai aa chuki hai kami uski chahat main,
Kaafi dino se mujhse shikayat usse nahi...!!!
Zindagi main humne kabhi kuch chaaha hi nahi,
Jisse chaha usse kabhi paya hi nahi,
Jisse paya ussey yon kho diya haise,
Zindagi main kabhi koi aaya hi nahi...
Logon ne mere gum ka tamasha bana diya,
Mere chaman k saath mera dil bhi jala diya!
Apno ne mere pyaar ka kuch yun sila diya,
Ulfat ke badley khoon k ansu rula diya...
Mere dil main tha thikana uska,
Do qaddam usse aaya na gaya,
Maine kaha kyon tor diya wada mera?
usne hans kar kaha bas nibhaya na gaya ..!
Usne Aanchal se nikali mere ghum ki kitab
Aur chupke se mohabbat ka warq morr diya
Humko maloom tha anjame mohabbat
Humne akhri harf se phele hi kalm tor diya.
Umra-e-daraaz maang kar laye the char din,
Do aaarzoo mein kat gaye, do intazaar mein,
Kitna bad naseeeb zafar, dafna ke liye,
Do ghaz zameeen bhi na mili ,,,ko-e-yaar mein.
Na zindagi mili na wafa mili,
Najane Q har khushi hum se khafa mili..
Jhuti muskan liye apne ghum chupate rahe..
Sachi mohabbat karne ki bhi kia khoob saza mili
kisi ko mohabbat ki unchai mar dalegi,
kisi ko mohabbat ki gehrai mar dalegi,
mohabbat ke asar se koi nahin bach saka hai,
jo bach gaya use tanhai maar dalegi...!
Bewafa humain kehti hai tou kehti rahy duniya..
Hum mor kar kisi shaks ko dekha nhi karty..!
Socha nahin achcha bura, dekha suna kuchh bhi nahi
Manga khuda se raat-din, tere siva kuchh bhi nahi
Dekha tujhe, socha tujhe, chaha tujhe, pooja tujhe
Meri wafaa hi meri khata, teri Khata kuchh bhi nahi
Jis par humari aankh ne moti bikhraye raat bhar
Bheja wahi kaagaz use humne, likha kuchh bhi nahi
Ek shaam ki dehleez par baithe rahe wo der tak
Aankhon se ki baatein bahot, Munh se kaha kuchh bhi nahi
Do chaar din ki baat hai, dil khaak mein mil jaayega
Jab aag par kaaGaz rakha,baki bacha kuchh bhi nahi
Ehsaas ki Khushboo kahan,aawaaz ke jugnu kahan
Khaamosh yaadon ke siva,ghar mein raha kuchh bhi nh...
Rishtay Kanch Ke Baney Hote Hain !!
Ye Totny Per Chubhty Hain !!
Hatheli Per Sanbhal Ke Rakhna Inhein !!
Kyun Ke Inhe Totny Mein Pal Or Jorny Mein Barson Lagty Hain
Hijar ki ik saa'at bhi guzar paati nahin tum se..
Hum safar pe niklein tu laut ke aya nahin karte..
ik baar kar key aitbaar likh do
kitna hey mujh sey piyaar likh do
katti nahi zindagi bin terey
kab tak karoon intazar likh do
bari muddat hui tarsey hein terey liye
is baar apni muhabbat ka izhaar likh do
jissey parh kar hu jaye dil khushaal
koch aisa tum merey naam likh do...
Na Mai Rastey Pe CHal Saka
Na Woh Rah Mujh KO Bata Saka
Mere Sath Sath Woh Chalta Raha
Lakin WOh Dard Na Mera Ghata Saka
Woh Door Tak Mere Sath Tha
Mere Hathoo Mai Us Ka Hath Tha
Na Woh Skoon Mugh KO Naseeb Howa
Na Woh Sansain Mere Bata Saka
Mai Ainoo K Saher Mai
Tanha Raha Chalta Raha
Woh Sard Mosam Mai Karb Sai
Na Mujhe Kabhi Bacha Saka
Woh Dalii Mere Hath Mai
Chubtii Rahi Lamha Lamha
WOh Dekh Kar Is Dard Ko
Bus Door Khara Muskara Saka
Woh Nazar Rahi Sath Mere
Kahi Door Tak Ik Shoor Mai
Na Woh Khe Saka Na Jata Saka
Na Uljhan Apni Bata Saka
Mere Aashoob K Qatrey
Girtey Rahey Jaltey Rahey
Woh Mere Ankhoo Sai Door Sahi
Na Mere Yadoo sai Kabhi Ja saka
Mai Tareeqe Mai Ghut ta Raha
Ajab Khalish Ki Laher sai
Woh Dil Mai Mere Qaid Howa
Na Phir Kabhi Woh Ja Saka
Ranj Wa Ghum Mai Choor Howa
Azhar Bus Is Doorii Mai
Woh Jo Gaya Aisa Gaya
k Na Simat K Mujh Mai Sama Saka...!
Kis sey karo gey wafa chopkey chopkey
humara bhi logey pata chopkey chopkey
ussey mujh sey ab bhi muhabbat hey shayad
mujhey aa rahi hey sadaa chopkey chopkey
kabhi yaad aayein gey chahat k lamhey
kabhi hum ko dogey dua chopkey chopkey
yeh mithi nigahein,yeh bateyin isharey
kissey dey rahey hu dua chopkey chopkey
jab aayi khabar us key janey ki ~~
tu roti hey saari fazaa chUpkey chUpkey..
Tujh ko dekha tu socha tujh par ghazal likhon
chah ko abat likhon husan ko azal likhon
tu jo mutafat hu meri traf tu karam likhon
teri be-anayi ko khud par fazal likhon
merey qalam ko jo zubann miley tu mehshar tak terey
laboon ko gulaab likhon teri ankhon ko kanwal likhon
terey naam apni hayaat-e-rawann ka har pal likhon
apney liye bas ! terey subhu ka azal likhon
ijazat dey tu khanah qudrat sey
apney liye faqat tera reeshmi aanchal likhon
kabhi wehshaton sey jo nijaat hu
safaye hasti kainaat par
piyaar ko abat likhon piyaar ko azal likhon...
Waabasta kisi shakhs sey nainoo’n key khawb saarey
aur naam hey ussi key……dil key gulaab saarey,
koee bhi..kuch bhi…kabhi bhi mujh sey poochey tou
sajtein hein bas ik zikr sey…meray jawaab saarey,
kashmakash ho dil ki..ya zehen ki khalfishaar
us ki nazar sey saakit hotey ..izteraab saarey,
woh saath ho tou sehra bhi..gulshan ki manind lagta hey
haqeeqat bantein hein sang uskey..rah key saraab saarey,
Bichar Gaya Tu Milne Ki Aas Kya Rakhna !!
Hawa Ke jhonkon Ka Hisaab Kya Rakhna !!
Bus Is Khayal Se Muskara Diya Hum Ne !!
Ke Apni Udasi Se Kisi Ko Udas Kya Rakhna !!
Kachi Deewaar Hoon Thokar Na Lagana Mujko,
Apni Nazron Mein Basa Kar Na Giraana Mujko
Tumko Aankho Mein Tasavur Ki Tarah Rakhta Hoon,
Dil Mein Dadhkan ki Tarah Tum bhi Basana Mujko
Baat Karnay Mein jo Mushkil ho Tumhay Mehfil Mein,
Main Samajh Jaaonga Nazron Say Bataana Mujko
Vaada Utna Hi Karo Jitna Nibha Saktay Ho,
Khawab Poora jo na ho woh na Dikhana Mujko
Apnay Rishtay ki Nazaakat ka Barham Rakh Lena,
Main to Aashiq Hoon Deewana na Banana Mujko
Kachi Deewaar Hoon Thokar Na Lagana Mujko,
Apni Nazron Mein Basa Kar Na Giraana Mujko..
Kab Se Tere Intezaar Mein
Dil Lagaye Tere Dedaar Baithe Hain
Teri Ek Nazar Hum Par Paray
Tamanna Lagaye Hum Bhi Baithe Hain
Tumhain Dil Mein Basaye Rakhta Hon,
Aur Duniya Ko Bhulaye Rakhta Hon
Tumhe Meri Nazar Na Lag Jaye
Apni Nazar Jhukaye Rakhta Hon,
Mohabbat Karne Wale Iss Duniya Mein Kam Na Honge
Meri Jaan Teri Mehfil Mein Bas Hum Na Honge
Dil cheez hai aisi, hai dene ki day denge
Koi qubul karnay wala to milay
Hum jaan bhi day denge
Ab Tum Batao Kyon Mujh se Door Ho
Milna Manzoor Nahi Ya Meri Tarah Majboor Ho
Zindagi khushi ka hai naam, isay ronay mein zaya na kijiye
Hansiye khud bhi aur sang apnay, dusron ko bhi hasaya kijiye
Tum jaam tootnay ka bahana na karo
Hum teri aankhon say pee lenge
Tum na aao, bus aanay ka wada karo
Hum intezaar mein jee lenge
Dil ki halat dil say poocho
Dillagi mein dil gaya
Dil kay badlay dil kay haathon
Dard-e-dil Hamein mil gaya
Zinda hoon is liye
kyon keh mujh ko tumse pyar hai
Tum bhi mujhse pyar karti ho
Sun nay ko dil beqaraar hai
Pyar ka izhaar kar do
Ab hum say nahi raha jaata
Likh ker hi iqraar ker lo
Agar honton pay nahi aata
Kab say hai hum ko yeh intezaar
Kar do na tum bhi iqraar
Bus keh do keh hai bhi do naa
Hai tum ko bhi utna hi pyar
Pyar kehte hain, mohabbat kehte hain
Kuch log isay bandagi kehte hain
Magar jin pay hain hum martay
Hum unhain zindagi kehte hain
Tera diwana hoon, inkaar nahi
Kaise keh doon kay tujhse pyar nahi
Kuch shararat teri aankho ki bhi hai
Main tanhaa to gunahgaar nahi
Jahaan dekho wahaan ishq kay bimaar baithe hain
Laakhon mar chukay, sainkron tayyar baihte hain
Jo sacha pyar karte hain
woh kahan faryaad karte hain
Labon ko hilnay nahi dete
Dil o dil yaad karte hain
Musqurate Hain To BiJliyan Gira Dete Hein
Baat Karte Hein To Deewana Bana Dete Hein
Husan walon Ki Nazar Kam Nahi Qyamat Se
Aag Pani Mein woh Nazaron Se Laga Dete Hein
Soya nahi kaye raaton se
Is dil main tum hi samaye ho
Her Aahat par aisa lagta hai
Kay shayad tum Aaye ho..
woh her baat mujhay kehta hay k, tum meray ho
meri khuwahish, meray armaan or, tum meray ho,
tum say he meray piyar ki ibtada or intaha hay,
meri umeed meri her duwa or, tum meray ho
meray wazifo meri namazo ka mehwar kiya hay?
Meri ibaadat meri pooja or, tum meray ho,
main tanha choor jata ho tumhay raat ko aksar,
meri her raat main shamil or, tum meray ho
faqat ik baat kehta hay imran gar main tera ho
to tanha q ho sari raat agar , tum meray ho………
Muhabbat Main Wo Nafrat K Deye B Sath Rakhta Hai
Wo Mujhse Pyar Kerta Hai Per Gilay B Sath Rakhta Hai
Bazahir Wo Bhare Shehron Main Tanha Musafir Hai
Wo Apni Zaat Main Kuch Kafle B Sath Rakhta Hai
Wo Mujh Ko Sochta Hai Or Taluk B Nhi Rakhta
Kareeb Ata Hai Lakin Fasle B Sath Rakhta Hia.....
who kehta hay ab shook nahi
mera or koi bhi zook nahi
main q kisi se baat karo
or haath pakar k hath chalo
main ghoomo q
main niklo q
main raat ko tanha soo q
main kisi ko baat btaoo q
meray khuwab hain kiya samjhao q
mera ab koi bhi dost hay q
yeh hasrat q yeh ghaflat q
mera piyara sa ik rishta hay
mera piyar ka jis say rishta hay
mera sub kuch wohi lagta hay
nahi koi mujh ko jajta hay
bus wohi mera sathi hay
meray piyasay labo ka saqi hay
Dil kabhi sorat e halat say bahir nahin geya
main mohabbat main bhai oqaat say bahir nahin geya
ik tu hai k jahan bhar say hai taluq tera
ik main hoon k tere zaat say bahir nahin geya
soach koey na tere soach say hut kar soachey
tazkara koey bhi tere baat say bahir nahin geya
merhala tuj say judaey ka bhi aan pohncha hai magar
main abhi pahlee mulaqat say bahir nahin geya
ao sooraj ko batatay hain k tamaazat keya hai
chand keya janay wo tu khud raat say bahir nahin geya..
Bhatak rahi hai andheron me zandgi
Nazar dur tak bhi aata nhi koi,
Phir aas lagye baithe hai tere intazaar me,
Tu aayega tu aayega ek din……..!!!!!
Tera didaar hoga ye ummed hai ek din,
Tujhe hamara pyar bhi yaad aayega ek din,
En nazron se lakh dur raha tu ,
Hamari justjo tujhe khich layegi ek din..!!!!
hil jayengey ik baar to arshon ke dar-o-baam
ye khaak nasheen log jo bolengey kisi din...
apas ki kisi baat ka milta hi nahin waqt
har baar ye kehtey hain ke bethengey kisi din...
aaj waqt na milta hai hamse milne ka,
hamare liye apna ek din barbaad karoge ek din..
jab ham na honge is duniya me royege ek din,
lakh bulaoge bhi to wapas na aayege us din….!!!
Koi miltaa hi nahin humse hamara ban kar,
Tum mile bhi to bohut duur kinara ban kar,
Har aik ummid nigahon se chhalak jaati hai,
Unka har lafz aankhon se sharara ban kar,
Aur sab toot gayin cheezen khilono ki tarha,
Ek yaaqin saath mein rehta hai sahara ban kar,
Tum rahoge is chhoti si zameen tak mehdud,
Hum to chamkeinge aik roaz sitaraa bann kar...
Band kitab main khali auraq rakhta hoon
Dil ko aainey ki tarah shafaf rakhta hoon
Ik bar ka milna kar deta hia mutaassir
Apni ghufgato main kuch aisa andaaz rakhta hoon
Mujh sai milo to zara fasley sai mila karoo
Main dil main utar janey ka kamal rakhta hoon
Har dukh ko yunhi bant deta hoon lafzoon main
Kuch aisa hee dostana mizaj rakhta hoon ....
Mein ney
Tumhein
Apni wafaon ki zanjeer sey
Azad kya
Khudara!
Ye matt poochna
k Mein ney
khud ko
Tumhari qaid sey
Azad kya ya nahi
Yaqeen Janoo!!!
Mein un qadion mein sey hun
Jo khuley darwazey dekh kar bhi
Farar nahi hotey.......
ab bhi milta hay, ik zakham naya deta hay,
Kuch iss tarah meri wafaon ka sila deta hay.
Yun to meri ankhon se usy piyar bohat hay lekin,
Jab bhi jee chahay un main ashk saja deta hay.
Khud ko ganva kar, usay mene paya hay,
Iss baat ki bhi wo mujhko saza deta hay.
Wo jo ik shakhs mere dil p raaj kerta hay,
Kabhi hukum deta hay marny ka, Kabhi jeeny ki Dua deta hay.
Gila jo karun us sy, berukhi ka main...,
Khud Hansta hay, aur mujhko rula deta hay...
Pathron ki basti main karobaar sheeshay ka
Koi bhi nahi kerta aitbaar sheeshay ka
Kanch se banay putley thori door chalty hen
Chaar din ka hota hey ye khumaar sheeshay ka
Bann sanwer k herjaai aaj gher se nikla hey
Janay kon hota hey phir shikaar sheeshy ka
Dil k aazmaanay ko aik sung kaafi hey
Imtehaa’n na lena tum baar baar sheeshay ka
Is zamany main aarzi hen sab rishtay
Hum ney bhi banaya tha aik yaar sheeshey ka..
Yadon Ko Apne Dil Se Mita Kyon Nahin Dete
Jo Ja Chuka Hai Us Ko Bhula Kyon Nahin Dete
Mujrm Hon Main Tera Mjhe Itna To Bata
Khamosh Khade Ho Kyon Saza Kyon Nahin Dete
Use Jis Ke Zakhm Hain Inayat Teri
Gar Hai Tumhare Pas To Dawa Kyon Nahin Dete
Kayee Ghar Nahin Baste Hain Jin Ki Vajah Se
Un Adhjali Rasmon Ko Jala Kyon Nahin Dete
Us Ne Tumhari Khatir Kya Kya Nahin Kiya
Tum Us Ki Wafaon Ka Sila Kyon Nahin Dete
Tumhein Mujh Se Mohabbat Hai Janta Hon Main
Ye Baat Apne Lab Se Bata Kyon Nahin Dete
Anmol Khazana Hain Muskurahatein Teri
Thoda Sa Ise Mujh Pe Luta Kyon Nahin Dete
Wo Aag Jo Dil Mein Lagaai Thi Kabhi Tum Ne
Wo Aag Aaj Khud Hee Bujha Kyon Nahin Dete
Ek Arsa Hua Chain Se Soye Huye
Mera Chain,Meri Neend Lauta Kyon Nahin dete..
Zaalim thaa vo aur zulm kii aadat bhii bahut thii
majabuur the ham us se muhabbat bhii bahut thii
us but ke sitam sah ke dikhaa hii diyaa ham ne
go apanii tabiyat me.n baGaavat bhii bahut thii
vaaqif hii na thaa ramz-e-muhabbat se vo varnaa
dil ke liye tho.Dii sii inaayat bhii bahut thii
yuu.N hii nahii.n mashhuur-e-zamaanaa meraa qaatil
us shaKhs ko is fan me.n mahaarat bhii bahut thii
kyaa daur-e-Gazal thaa ke lahuu dil me.n bahut thaa
aur dil ko lahuu karane kii fursat bhii bahut thii
har shaam sunaate the hasiino.n ko Gazal ham
jab maal bahut thaa to saKhaavat bhii bahut thii
bulavaa ke ham 'Ajiz' ko pashemaa.N bhii bahut hai.n
kyaa kiijiye kam_baKht kii shoharat bhii bahut thii
Koi na milay to qismat se ghila nahi karty!
aksar log mil ker bi mila nahi karty!
har shaakh par bahaar aati hy Zaror!
par har shaakh par phool khila nhi krty
Ae rab apnay pas meri dua amanat rakhna,
Rehti duniya tuk us ko salamat rakhna.
Meri ankhon k sary deep bujha dena,
Per us ki ankhon k sary khuwab salamat rakhna
Us shakhs se jab tuk koi baat nahin hoti,
Din nikalta nahi or raat nahin hoti,
Na khafa howa karay wo usay kehna,
Bina us k Mukammal meri zaat nahin hoti
Kaash k usay chahnay ka Arman na hota,
Main hosh main hote howay anjaan na hota,
Yeh pyaar na hota kisi patthar dil se hamain,
Ya koi patthar dil insan na hota
Bojhal dil, bojhal qadam,
Sochtay hain k jain kahan
Jub sub derwazay hon band,
Apni manzil pa’ain kahan
Sang’raizon k dais main,
Kanch ka dil chupain kahan
Kash koi aisa ahal-e-dil hota jo meri arzu karta,
Khoo jati agar main kahin, to meri justuju karta,
Mein us kay zehan-o-dil main kuch is tarah sama jati,
K lab jab bhi kholta meri guftugu karta,
Meri chahat ka hisab jo lagao gay,
To meri chahat ko bayhisab pao gay,
Meri chahat hay pani k bulbulay jesi,
Zara sa thukrao gy to dhondtay reh jao ge,
Mery wajood se lipti khushbo tere naam ki hai
Meray dil me basi her ek dharken tery naam ki hai
Itna yaqeen ker lay meray hamnasheen
Bin tery meri zindagi baynaam si hai
Waqt guzarta raha per sans thami si thi,
Muskura rahe thy hum,per ankhon me nami si thi,
Saath hamaray tha yeh jahan saara,
Per na janey kyun tumhari kami si thi,
Wo shakhs meri jaan bana rehta hy,
Uska pyar meri pehchan bana rehta hy,
Koi muntazir hy uska kitni shiddat se,
Wo janta hy magar anjan bana rehta hy…
Thukra k usne mujhko kaha muskura do,
Main hans dia akhir sawal uski khushi ka tha..
Main ne khoya wo jo mera tha hi nahi,
Usne khoya woh jo sirf usi ka tha…..!
Dil mai intezar ki lakeer chor jaengay,
Ankhon mai yadon ki nami chor jaingey,
Dhondte phiro gay hamain 1 din,
Zindagi mai eik aisi kami chor jayengay
Sukon dhondta phirta tha me baharon me,
Haseen wadiyon mei, surmaye nazaron me,
Me is talash mein ja phncha chand taron main,
Magar ye mujhe mila Quran k 30 paron mein
Kabhi zindagi sey gilla ker k roye,
Kabhi mout ki hum dua ker k roye,
Ajab silsila hai Namaz-e-Mohabbat ka,
Qaza ker k bhi roye,ada ker k bhi roye
Woh mere har jhoot se khush hota,
Jise hamesha sach bolne ki aadat thi,
Woh ek aanso bhi girne per khafa hota tha,
Jise tanhai mein rone ki aadat thi,
Woh kehta tha ke mujhe bhool jaye ga,
Jise meri har baat yaad rakhne ki aadat thi,
Hamesha maafi mangne ke gar se,
Roz galtiyan kerna uss ki aadat thi.
Aey dil mujhse ye dagha na kar
Main uske bina jiyun ye dua na kar
Koi dekhe b ussay toh hoti hai jalan
aey hawa tu b ussay ab chua na kar
Woh Apne Ishq Mein Kaisa Kamal Rakhta Hai,
Ke BeRukhi Mein Bhi, Mera Khayal Rakhta Hai
Ajab Nahi Woh Jahan Bhar Ko Bewafa Samjhe,
Nazar Mein Meri Wafa Ki Misaal Rakhta Hai
Meri Uraan K Aagay Hai Kis Qadar Be-Bas ,
Yeh Aasman, Jo Sitaron K Jaal Rakhta Hai
Tera Khayal He Kuch Meherban Hai Verna,
Jahaan Mein Kaun Kisi Ka Khayal Rakhta Hai
Woh Apne Ishq Mein Kaisa Kamal Rakhta Hai,
Kay BeRuckhi Mein Bhi, Mera Khayal Rakhta Hai
Mohabbaton mein,
Adawatein kesi!
Chahna kisi ko to phir,
Shiqayatein kesi!
Jab tumhara us par aitbaar hai itna,
To zara zara c baat per WAZAHATEIN kesi!
Samjha na koi dil ki baat ko
Dard duniya ne bin soche he de diya
Seh gaye hum jo har dard ko
Toh humain PATHAR DIL keh diya......!!!
Na pooch mere sabar ki inteha kaha tak hai,
tu sitam kar le teri takat jahan tak hai,
wafa ki umeed jinhe hogi unhe hogi,
humein to dekhna hai tu bewafa kahan tak hai.
kisi ke pyar ko bhulna na aaya hume.
kisi ke dil ko dukhana na aaya hume.
kisi ke liye tadpna to seekh liya par
apne liye kisi ko tadpana na aaya hume
Jane kis baat ki mujhko saza deta hai,
meri hasti hui ankhon ko rula deta hai.
Ek muddat se khabar bhi nahi teri,
koi is tarah bhi kya apne Pyar ko bhula deta hai.
Wafa Main Ab Ye Hunar Ikhtiar Karna Hai,
Woh Sach Kahe Na Kahe Aitebar Karna Hai.
Yeh TujhKo Jagte Rehne Ka Shauk KabSe Hua,
Mujhe To Khair Tera Intezaar Krna Hai.
o rahte hai dil mein,
vo juda nahi hote,
kuch ahsas lafzo mein bayan nahi hote,
ek hasrat hai unhe manane ki,
vo itney achay hain ki kabhi khafa nahi hote
Chup rehte hai k koi khafa na ho jaye,
hamse koi rusva na ho jaye,
badi mushkil se koi apna bana hai,
darte hai ki milne se pehle hi koi juda na ho jaye.
eena chahte hai magar zindagi raas nahi Aati,
marna chahte hai magar maut paas nahi Aati.
Bahut Udaas hain hum is zindagi se,
Kismat bhi Tadpaney se Baaz nahi Aati…
Kitna bebas hai insaan kismat ke aage,
kitne door hai sapna haqiqat ke aage,
koi ruki hui dhadkan se puche,
kitna tadapta hai dil mohabat ke aage..!
Raat ankho me dhaLi palkon par jugnu aye
hum hawao ki tarah jakar use chuh aye
usne chuh kar mujhe pathar se insan kiya
mudhaton baad meri ankho me ansu aye
Aansu ko palko tak laya mat karo,
Dil ki baat kisi ko bataya mat karo,
Log muthi mein namak liye phirte hai,
apne zakham unhe dikhaya mat karo.
Mujhse Apna Payar Kabhi Wapas Mat Laina
Mujhse ye iqrar Kabhi Wapas Mat Laina
Kehte Rehna Har Pal Main Tumhara Hon
Mujh Sai ye izhar Kabhi Wapas Mat Laina…
Kisne meri kabar par aake diya jala diya
Bijli kadak ke gir padi sara chaman jala diya
Chain se so raha tha main odhe kafan mazar par
Yahan bhi satane aa gaye, kisne pata bata diya
Mein ghamzada hoon lekin meri aankh tar nahin hai
Mujh par kya hai guzri un ko khabar nahin hai
un ka salook dekh ker hairat zada hai dil
k meri wafa ka un per koi asar nahin hai.!
aaj door se hi koi salam kar gaya,
apni yadon ka ghulam ker gaya ,
apni zingagi girvi rakhi thi jiske paas,
aaj wohi humain nilaam kar gaya……..
jis ko apna samjha wo hi begana nikla,
ham pe sitam karnay ko zamana nikla.
zulm karnay ki jis nay intaha kar de,
wo apna shinasa purana nikla.
Teri berukhi ko bhi rutba diya hum nay.
Pyar ka har farz ada kiya hum nay.
Mat soch ke hum bhool gaye hain tujhey.
Aaj bhi khud se pehle tujhey yaad kiya hum nay
Zakham itna gehra hai izhaar kya karain
hum khud nishana ban gaye vaar kya karain
soo gaye hum magar khuli rahi aankhen
is se zyada unka intzaar kya karain?
raat kya dhali taaray chale gayai
ghairon say kya gila jab apnay chale gayai
jeet to saktay the ishq ki baazi hum bhi
per unhe jeetanay ke lye hum harte chale gaye
Mansob thay jo log meri zindagi k sath
Akser woh milay bari bayrukhi k sath
Fursat milay tou apna graiban bhi daikh lay
Aey dost youn na khail meri bay basi k sath
Chehray badal badal k mujhey mil rahay hain log
Itna Bura salook kiya meri saadgi k saath.
Jahan sawal k badlay sawal hota hay…
Wahin mohabbaton ka zawal hota hay.
Kisi ko apna banana hunar hi sahih….
kisi ka bun k rehna kamaal hota hay..!
Mohabbat ki zanjeer say dur lagta hai,
kuch apni taqdeer se dur lagta hai,
Jo mujhey tum se juda karti hai,
Haath ki us lakeer se dur lagta hai…
Us dil say pyar karo jo tumhein dard day,
Per us dil ko kabhi dard na do jo tumhain pyar karay,
Q k tum duniya k liyay koi aik ho,
Per kisi aik k liyay sari DUNIYA ho.
Aaj badal kalay gehray hain,
aaj chand pay lakhon pehray hain,
Kuch tukray tumhari yaadon k,
bari dair say dil mein thehray hain,
waqt ki andhi mein tufan badal jaty hain
zindagi ki rahoon mein insan badal jatay hain
badalta nahi pyar kabhi magar…
pyar karny walay insan badal jatay hain
Chiraaghon ko aur teez kar lo,
Kyun ki roshini kam hai,
Tamaam umar kar lenge intzaar tera,
phir bhi ghum rahega ke zindagi kam hai.
Apne dil ka dard batayain kiss ko,
Kaun kya bhool gaya hai yaad dilaaye kiss ko,
Ruth jaate to manana dushwaar naa tha,
Jab wo tallukh hi naa rakhe to manain kiss ko.
Harf-e-laazim banoon ya k dua ho jaon,
Kaash main bhi teray honton say ada ho jaon,
Dhoond laina mera haath pakar k mujhko,
Be-Khayali main agar tujhsay juda ho jaon.
Teri berukhi ko bhi rutba diya hum nay.
Pyar ka har farz ada kiya hum nay.
Mat soch ke hum bhool gaye hain tujhey.
Aaj bhi khud se pehle tujhey yaad kiya hum nay
woww yes vryy Nice...
Good Going ...they all r nice collection share kerna ka thnxx...:wink:
Mujhse Apna Payar Kabhi Wapas Mat Laina
Mujhse ye iqrar Kabhi Wapas Mat Laina
Kehte Rehna Har Pal Main Tumhara Hon
Mujh Sai ye izhar Kabhi Wapas Mat Laina…
vrryy nice...Apps je jo many glitter image wali post ki ha na us mai 2 image gents k bhi han.. mean nice boy ki pic waly aapp un mai syy koi select ker kk yahan sy koi shair ..ya ye wala shair setup ker loo...plzz.....nd wahan aur bhi to boot sy han aesy image poetry k liye set hho sakktty han. ap chk kerna plzz..okeeyy....:wink:
Usm@n
08-29-2008, 11:22 AM
wah ji wah
Piyar dhoondnay walo
matti ki moorat main
bholli bhaalli soorat main
piyar kesay milta hai
yeh tu jaan lo pehlay
yeh tu jaan lo pehlay
roo rahi hai shehnaii
bheer main hai tanhaii
rooknay se ruktay hain
kab bhala yeh herjaii
rishtay kachay dhagay hain
yeh tu maan lo pehlay
yeh tu maan lo pehlay
benaam logon k
kitnay naam hotay hain
yeh bhi us ki qudrat k
kesay kaam hotay hain
kiun yeh aisay hota hai
yeh tu jaan lo pehlay
yeh tu jaan lo pehlay
bewafa zamanay main
piyar dhoondnay walo
matti ki moorat main
bholi bhaali soorat main
piyar kesay milta hai yeh
yeh tu jaan lo pehlay
yeh tu jaan lo pehlay
Meray Dil Meray Hamraz Dost
KuN bechain hai tu aaj itna
Kia gham tujhay satata hai
Kis baat ki hai kasak tujhko
Kia dukh tujhay rulata hai
Meray Dil Meray Hamraz Dost
Tu ****a sa ek tukRa hai
Per sagar say tu gehra hai
Meray sukh kay her lamhey ka
Taray hi sir to sehra hai…….!
Meray Dil Meray Hamraz Dost
Jub to khush ho to zeest ka
Her lamha muskarata hai
Mari maan kay aangan ka
Her phool khil sa jata hai
Meray Dil Meray Hamraz Dost
Tu jab sakooN main hota hai
To maiN bhi hunsti gati huN
To jub taRap sa jata hai
MaiN bhi ghayel ho jati hun
Meray Dil Meray Hamraz Dost
To sathi sub say piyara hai
Aur gehra saath hamara hai
Na choRh to tanha mujh ko
Faqat tu hi sahara hai.
Meray Dil Meray Hamraz Dost
Erum Zehra
11-17-2008, 03:32 PM
very nice sharing
hm waah jee wahh verry niceeee:ok[1]:
imran
01-25-2010, 06:37 AM
very nice,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
vBulletin® v3.8.4, Copyright ©2000-2013, Jelsoft Enterprises Ltd.