View Full Version : wo apne ishq mein


Pages : [1] 2

Asif
09-23-2007, 06:57 PM
wo apne ishq mein kesa kamaal rakhta hai
ke berukhi mein b, mera khiyaal rakhta hai
-
jo aj mera nahin hai woh kal tu mera ho ga
ke her zamana urooj-o-zawaal rakhta hai
-
ajab nahi wo jahan bhar ko bewafa samjhe
nazar mein meri wafa ki misaal rakhta hai
-
kahan talak koi dast-e-karam ko zehmat de
tamaam shehar he dast-e-sawaal rakhta hai
-
mera urhaan ke aage hai kis qadar be bas
yeh aasman jo sitaron ka jaal rakhta hai
-
tera khiyal he kuch mehrabaan hai warna
jahan mein kon kisi ka khiyaal rakhta hai

Asif
09-23-2007, 06:57 PM
Subh Ki Pehli Kiran Yoon Tau Jaga Deti Mujeh
Band Khirki Se Magar Kese Sada Deti Mujeh

Mein Teri Yaadon Mein Khoya Muntazir Hota Tera
Koi Khushboo Teri Amad Ka Pata Deti Mujeh

Sheher Se Urr Ker Bhi Tere Pass Aa Sakta Tha Mein
Gar Tera Pagiham Gaon Ki Hawa Deti Mujeh

Malgajay Kaghaz,kitabein,phool Patay Shairi
Zindagi Ke Pass Kia Tha Jo Sawa Deti Mujeh

Mere Lafzon Mein Ghina Ka Zaika Mojood Tha
Woh Kabhi Ik Sheir Tau Mera Suna Deti Mujeh

Uska Ghar Safdar Kahin Anghoor Ki Beilon Mein Tha
Zindagi Ki Dhoop Mein Yeh Tau Bata Deti Mujeh

Asif
09-23-2007, 06:58 PM
koi dost hai na raqeeb hai
tera shehar kitna ajeeb hai
-
wo jo jo ishq tha! wo junoon tha
ye jo hijr hai ye naseeb hai
-
yahan kis ka chehra parha karon?
yahan kon itna qareeb hai
-
main kise kahoon mere sath chal
yahan sab ke sir pe saleeb hai
_________________

Asif
09-23-2007, 06:58 PM
kitaab sada rahay gi kab tilak kabhi to aaghaz e baab ho ga
jihoon nay basti ujaar dali kabhi to un ka hisaab ho ga
sehr ki khushyaan mananay walo sehr k taywer bata rahay hein
k abhi to itni guthan berhay gi k saans lena mahal ho ga

Asif
09-23-2007, 06:58 PM
Mohabat jheel jaisi hai
Najanay kitni gehri hai
Satah-e-aab par is ki
Talatum hai wafaon ka
Shorida lehro mai pinha
Kasak meethi judai ki
Bahut sadio say thehri hai
Mohabat jheel jaisi hai
Najanay kitni gehri hai
Mohabat dard meetha hai
Shajar rug rug mai phaila hai
Jawan rut mai umangon ka
Narm ehsaas phaila hai
Mohabat barg ki manind
Barasti hai makanon par
Maakan b wo jinhay
Zindan banaya hai zamanay nay
Mohabat kaif ban kar phir
Utarti hai rag-o-pay mai
Tu dil takrar karta hai
Yehi ik rut sunehri hai
Mohabat jheel jaisi hai
Najanay kitni gehri hai

Asif
09-23-2007, 06:58 PM
muhabbat mein wafa dari se bachiye
jahan tak ho, adakari se bachiye
-
her ek soorat bhali lagti hai kuch din
lahoo ki shobda-kaari se bachiye
-
sharafat, aadmiyat, dard mandi
barhe shehron mein beemaari se bachiye
-
zaroori kia her ek mehfil mein ana?
taqalluf ki rawadaari se bachiye
-
bina pairon ke sar chalte nahin hain
buzurgon ki samajhdaari se bachiye

Asif
09-23-2007, 06:58 PM
Tumhe Jab Kabhi Mile Fursatein Mere Dilse Bojh Utar Do,
Main Bahut Dino Se Udaas Hoon Mujhe Ek Shaam Udhaar Do,

Mujhe Apne Roop Ki Dhoop Do Ke Chamak Sake Mere Khadokhal,
Mujhe Apne Rang Mein Rang Do Mera Sara Zang Utaar Do,

Kisi Aur Ko Mere Haal Se Koi Garaz Hai Na Hi Wasta,
Mere Dilpe Haath Rakho Zara Meri Dhadkano Ko Qarar Do,

Tumhe Subah Kaisi Lagi Kaho Meri Khwahishon Ke Dayar Ki,
Jo Bhali Lage To Yehi Raho Ise Chahaton Se Nikhar Do,

Wahan Ghar Pe Kaun Hai Muntazir Ke Ho Fiqr Der Sawer Ki,
Badi Mukhtasir Si Ye Raat Hai Ise Chandni Mein Guzaar Do,

Koi Baat Karni Hai Chand Se Kisi Shakhsar Ki Aut Mein,
Mujhe Raaste Mein Yahin Kahin Kisi Kunj-E-Gul Mein Utar Do...

Asif
09-23-2007, 06:59 PM
sholaa thaa jal-bujhaa huu.N havaaye.n mujhe na do
mai.n kab kaa jaa chukaa huu.N sadaaye.n mujhe na do

jo zahar pii chukaa huu.N tumhii.n ne mujhe diyaa
ab tum to zindagii kii duaaye.n mujhe na do

aisaa kahii.n na ho ke palaTakar na aa sakuu.N
har baar duur jaa ke sadaaye.n mujhe na do

kab mujh ko aiteraaf-e-muhabbat na thaa 'Faraaz'
kab mai.n ne ye kahaa thaa sazaaye.n mujhe na do

Asif
09-23-2007, 06:59 PM
Teray dostoon main hooN keh teray dushmanoon maiN hooN
Teray qareeb aakay bari uljhanooN maiN hooN

Aay yar khush diyar tujhay kia khaber
Main kab say udaasiyooN kay ghanay junglooN maiN hooN

Badla na meray baad bhi mozoo - e- guftgoo
MaiN ja chuka hoon phir bhi teri mehfilooN maiN hooN

Mujh say guraiz pa hai to her rasta badal
MaiN sang - e - rah hooN to sabhi rastooN maiN hooN

Mujh say bichar kay roay ga tu bhi umer bhar
Yay sooch lay keh maiN bhi teri khwahishooN maiN hooN

Asif
09-23-2007, 07:03 PM
Kahin Aik Masoom Nazuk Si Larki
Bohat Khubsurat Magar Saanwali Si
Mujhay Apne Khuaboon Ki Bahoon Main Pakar
Kabhi Khuwab Main Muskarati To Hogi
Issi Khuwab Main Kasma-Kasam Kar
Sarhane Se Takeye Girati To Hogi
Wohi Khuwab Din Ki Mundaioon Pe Aakar
Issi Maan Hi Maan Main Lubhati To Hoonge
Kai Saaz Seene Ki Khamoshiyoon Main
Mere Yaad Se Jhinjhate To Hoonge
Woo Besakhta Dheme Dheme Suroon Main
Mere Dhun Main Kuch Gungunati To Hogi
Chalo Khat Likhain Jee Main Aata To Hoga
Magar Ungaliyaan Kapkapati To Hoonge
Qalam Haath Se chhoot Jata To Hoga
Umangain Qalam Phir Uthati To Hoonge
Mera Naam Apni Kitaboon Pe Likh Kar
Woo Dantoon Main Ungaliyaan Dabati To Hogi
Kabhi Moon Se Aah Nikalti To Hogi
Badan Dhere Dhere Sulagta To Hoga
Kahin K Kahin Paoun Parte To Hoonge
Dupata Khande sebaar Baar Sarakta To Hoga
Kabhi Subha Ko Sham Kehti To Hogi
Kabhi Raat Ko Din Batati To Hogi
Kahin Aik Masoom Nazuk Si Larki
Bohat Khubsurat Magar Saanwali Se

Asif
09-23-2007, 07:03 PM
Mera derd phir sai ghazal buney
Kabhi gunganao tou iss trha
Merey zakham phir sai gulab hon
Kabhi muskarao tou iss trha
Meri derkhanain bi tou larz uthain
Kabhi *** Khao tou iss trha

Jo nahi tou phir barey shoq sai
sabhi rabtey sabhi zabtey
Kabhi dhoop chaoon mein tor do!
Na shakast-e-dil ka sitam saho
Na suno kisi ka azab-e-jaan
Na kisi sai apni Khalash kaho
Yunhi khush phiro'Yunhi Khush raho

Na ujer sakain Na sanwr sakain
Kabhi dil dukhao tou iss trha
Na simat sakain Na bikher sakian
Kabhi bhol jao tou iss trha
Kabhi tor jaan sai guzer sakain
Kabhi Yad aao tou Iss trha!

Asif
09-23-2007, 07:03 PM
koi apna nahin banta!!!
labon pay naam rakhnay say
dilon main yaad karnay say
har ik dharkan, har ik tarpan
kisi ke naam karnay say
koi apna nahin banta
tamam umar ki khushiyan
mohabbat ki sabhi ghariyan
kisi ko daan karnay say
ke ...us pay maan karnay say
koi apna nahin banta
woh pehlay piyar ki batain
rafaqat ki sabhi ratain
woh chahat ki sabhi rasmain
mohabbat ki sabhi qasmain
humaisha yaad rakhnay say
koi apna nahin banta
kisi tanha akaili raah guzar par
puranay say kisi boorhay shajar par
patthar say koi dil bananay say
aur
usmain apna or kisi ka naam sajanay say
koi apna nahin banta
ke jab......aankhain hi marr ja'ain
to phir sapna nahin banta
yeh jeewan daaan kar ja'ain
to bhi apna nahin banta
koi apna nahin banta...
koi apna nahin banta.........

Asif
09-23-2007, 07:03 PM
Hum ab bhi unki yaad me aansoo bahate hain,
jo dard de kar dava dena bhool gaye.
Hum ab bhi unki aane ka sapna sajate hain,
jo bas apni yaadein le jaana bhool gaye.
Hum hum bhi uss rah par palke bichate hain,
jo ghar mere aana jaana bhool gaye.
Hum ab bhi unke harr gam ko apna batate hain,
jo bas humme apna banana bhool gaye.

Asif
09-23-2007, 07:03 PM
khaar e chamun thay shubnum shubnum phool bhi saray geelay thay
shaakh say toot ker girnay walay sub pattay bhi peelay thay
saray sapairay ghoom rahay hein weeranoon mein been lia
aabadee mein rehnay walay saanp baray zehreelay thay

Asif
09-23-2007, 07:04 PM
Agar kuchh naam daina ho
Mujhay insaan matt kehna
Judaa chehray, judaa bay-shak sabhi k naam hotay hai'n
Magar insaaniyat k abb yaha'n per daam hotay hai'n
Mere tum daam matt dainaa
Mujhay ye naam matt dainaa
Agarr kuchh naam dainaa ho
Mujhay Ehsaas keh dainaa
Magarr Thehro!
Mujhay Ehsaas matt kehnaa
Mera buss naam reh jaay
Mujhay aisay nahi'n rehnaa
Mujhay Ehsaas matt kehnaa
Agarr kuch naam dainaa ho
Mujhay Saawan hee keh daina
Magarr thehro!
Mujhay Saawan nahi'n kehna
Barastaa hai magar
Rut kay badaltay, beet jaata hai
Mujhay Saawan nahi'n kehna
Agar kuchh naam dainaa ho
Mujhay Aansoo hee keh daina
Janam laina kisi ki ki aankh mai'n
Rukhsaar per mernaa
Yehi jis ki haqeeqat hai
Chalo aansso hee keh dainaa
Magarr daikho!
kisi ki aankh mai'n mujh ko kabhi
Aanay nahi'n dainaa
K qeemat aansoo'n ki abb adaa tum se nahi'n ho gee
Nahi'n tum yu'n nahi'n kehnaa
Mujhay aansoo nahi'n kehnaa
Mujhay aankho'n main'n bastaa ik hasee'n sapna he keh daina
Haqeeqat kuchh nahi'n jis ki
Chalo sapnaa hee keh daina
Ke sapnay aankh mai'n taaro'n ki tarhaa jhilmilaatay hai'n
Magarr thehro!
Mujhay sapnaa nahi'n kehnaa
Ke sapnay toot jaatay hai'n
Mujhay Apnaa Nahi'n Kehnaa
Ke Apnay Rooth jaatay hai'n
_________________

Asif
09-23-2007, 07:04 PM
Woh subah kabhi to aayegi
In kaali sadiyon ke sar sey jab raat ka aanchal dhalkega
Jab dukh ke badal pighalengey jab sukh ka saagar jhalkega
Jab ambar jhoom ke nachega jab dharati naghame gayegi

Woh subah kabhi to aayegi...

Jis subah ki khaatir jug jug sey hum sab mar mar ke jeeten hain
Jis subah ke amrit ki dhun mein hum zahar ke pyaale peeten hain
In bhuki pyaasi ruhon par ik din to karam farmayegi

Woh subah kabhi to aayegi...

maana keh abhi terey merey armanon ki qimat kuch bhi nahin
Mitti ka bhi hai kuch mol magar insanon ki qimat kuch bhi nahin
Insanon ki izzat jab jhutey sikkon mein na toli jaayegi

Woh subah kabhi to aayegi...

Daulat ke liye jab aurat ki ismat ko na becha jayega
Chaahat ko na kuchala jayega, izzat ko na becha jayega
Apney kaaley kartuton par jab yeh duniya sharmaayegi

Woh subah kabhi to aayegi...

Beeten-gey kabhi to din aakhir yeh bhuk ke aur bekaari ke
Tooten-gey kabhi to but aakhir daulat ki ijarahdari ke
jab aik anokhi duniya ki buniyad uthai jayegi

Woh subah kabhi to aayegi...

Majboor burhapa jab sooni raahon ki dhool na phankega
Maasoom larakpan jab ****i galiyon mein bhuk na mangega
Haque mangne walon ko jis din suli na dikhaee jayegi

Woh subah kabhi to aayegi...

Faqon ki chitaaon par jis din insan na jalayen jayengen
Seeney ke dahakatey dozakh mein armaan na jalaye jayengey
Yeh narak sey bhi ****i duniya, jab swarg banaee jayegi

Woh subah kabhi to aayegi...

Asif
09-23-2007, 07:04 PM
sawal ban kay mila karoo, na jawab ban kay mila karo
Meri zindagi meray khuwab hain,Mujhay khuwab ban kay mila karo
Mujhay achay log buhat milay main un kay qaraz say mer gaya
Jo ho sakay to kabhi kabhi mujhay kharab ban kay mila karo
sitam karo ya karam karo hum gila nahi kerte..
yaqinan khizaan mein phool khila nahi kerte..
mila do khak mein hum ko magar yaad rakhna..
hum jese dost phir mila nahi kerte
Humnay Dil Tora Dharkanoun Kay Khauf Say
Apni Basti He Mita Di Barishoun Kay Khauf Say
Kon Kehta Hai Hamein Mohabbat Ras Agaye?
Hum Tu Youn He Hans Daitay Hain Ansoun Kay Khauf Say
Dil Ne Tere Pyar Par Majbor Mujhe Kar Diya
Is Jahan Ki Har Khushi Se Duur Mujhe Kar Diya
Jis Qadar Chaha Tha Dil Ne Paas Tere Aane Ka
Us Qadar Dunya Ne Tujh Ko Duur Mujh Se Kar Diya
Kia poochtay hoo hijir mai kia kiya kartay hain
Teray loot aanay ki din raat dua kartay hain
Kabhi yadoon mai tujhay bahoon mai bhar laytay hain
Kabhi khuwaboon main chum lateen hain

Asif
09-23-2007, 07:04 PM
Ek paheli si ban gai hai zindagi ab to
Kaya ho raha hai, nahi kuch khabar ab to

Kab mile the hum sapno mei tumse
Kuch yaad nahi, kuch khabar nahi ab to

Teri wo baate, wo kahani teri
Kuch yaad bhi hai, kuch yaad nahi ab to

Tu rehta hai aas paas mere
Phir dil mera mayoos kayon hai ab to

Teri kavita mei tha jo pyar kabhi
Dard ban ke chalkata hai ab to

Pyar ka socha na tha, ikrar tha dosti ka
Kab huey dushmani, kuch khabar nahi ab to

Asif
09-23-2007, 07:04 PM
Raqs main RAAT hai badan ki tarah
Baarishon ki hawa main ban ki tarah

Chaand bhi meri karwatoon ka gawah
Mere bistar ki har shikan ki tarah

Chaak hai daaman qaba e bahaar
Mere khwaabon k pairhan ki tarah

Zindagi tujh se duur reh kar main
Kaat loongi jila watan ki tarah

Mujh ko tasleem mere chaand k mein
Tere hamraah hoon grehan ki tarah

Ba'raa tera intazaar kia
Apnay khwaabon ki dulhan ki tarah

Asif
09-23-2007, 07:04 PM
zakhm sah letey hain..honthon ko see letey hain
zindagi jaisi bhi dey ...usey khushi se jee letey hain

tu hamein apney hathon sey pila na pila aey saaki
peeney waley to teri ankhon sey peee letey hain!

Asif
09-23-2007, 07:05 PM
Dil ki dharkan hai khayaloon main merey rehta hai
koun hai wo jo sawaaloon main merey rehta hai

jisko dekha na kabhi us sey wafa karta hoon
dil ke aainey mai main us sey mila karta hoon

main nahi jaanta ye kis ki talab hai mujhko
kis ka armaan iraadon main merey rehta hai

khawaab hai wo mera taabeer dilaoun kesey
apni hasrat ko main taqdeer banaun kaisey

mujh ko milta hai sakoon uska tassawar karke
wo ishara jo isharoon main merey rehta hai

kiski tareef main likhi ye ghazal kiya janoo
kisko kehta hoon mohabat ka kanwal kiya janoo

main tu bas aik hi umeed main rahta hoon sada
usko dekhoon jo nazaroon main merey rehta hai
_________________

Asif
09-23-2007, 07:05 PM
kisane vaadaa kiyaa hai aane kaa
husn dekho Gariib Khaane kaa


ruuh ko aaiinaa dikhaate hai.n
dar-o-diivaar muskuraate hai.n


aaj ghar, ghar banaa hai pahalii baar
dil me.n hai Khush saliiqagii bedaar


jamaa samaa.N hai aish-o-ishrat kaa
Khauf dil me.n fareb-e-qismet kaa


soz-e-qalb-e-kaliim aa.Nko.n me.n
ashk-e-ummiid-o-biim aa.Nkho.n me.n


chashm-bar-raah-e-shauq ke maare
chaa.Nd ke intazaar me.n taare...!!!!

Asif
09-23-2007, 07:05 PM
Phir wohi subha
Phir wohi shaam
Phir wohi raat
wohi Sapna
Her pal mein
Tera rusta dekhta rehta hon
Mien Pehroon taktey rehta hon
Laikin aik anokhay wahum ka jhonka
Meri neend urra daita hai
Ankh khooli tu tujhe na paa ker
Mein kitna baichain hota hon
Ab na woh ghar,na woh shaam ka tara
Ab na woh raat, na woh sapna
Aaj woh seaari saanp bani hai
Kal jahan khushboo ka pehra tha
Bhoola nahin woh shamm-e juddai
Mein iss janab tu uss janab
Bhoola nahin uss raat ki dahshat
Jab patta patta pather ka bana
yuoun ghuzri woh raat bhi jaise
Sapney mein sapna dekha shaaid!

Asif
09-23-2007, 07:05 PM
ek cheharaa saath saath rahaa jo milaa nahii.n
kisako talaash karate rahe kuchh pataa nahii.n


shiddat kii dhuup tez havaao.n ke baavajuud
mai.n shaaKh se giraa huu.N nazar se giraa nahii.n


aaKhir Gazal kaa taajamahal bhii hai makabaraa
ham zindagii the hamako kisii ne jiyaa nahii.n


jisakii mukhaalafat hu_ii mashahuur ho gayaa
in pattharo.n se ko_ii pari.ndaa giraa nahii.n


taariikiyo.n me.n aur chamakatii hai dil kii dhuup
suuraj tamaam raat yahaa.n Duubataa nahii.n

Asif
09-23-2007, 07:05 PM
Main girrah mein bandh k haadsat,nikal para tairee khoj mein
Kahi'n tarkol ki thi sadak jahan aag bant-ti dhoop thi
Kabhi kachi rah ki dhool mein jahan saans laina muhaal tha
Sir-e-rizm-e-jaa'n kabhi dil k dard say haar ker
Main to khanqaoo'n pay mangta phira man-ntain
Kabhi raat raat basar duaoo'n main ho gaee
Kabhi qaaflay mairee aas k kisi dasht-e-yaas main kho **
Mara pairhan tha phata howa kahi'n gard gard atta howa

Main adhooray pan k saraab main
Tujhay dhondta phira dar badar
Kisee ajnabi k diyaar main
Koi dukh mila kisee mod pay,koi gham mila kisi chok main
Kisi rah guzar k sakoot main koi dard aa k dara giya
Kabhi chal para,kabhi ruk giya,kisi kashmakash k ghubar mein

Mujhay kia mila tairay piyar mein

Main girrah main bandh k haadsat

Asif
09-23-2007, 07:06 PM
us ne kahaa sun...

ehad nibhaanay kii Khaatir mat aanaa

ehad nibhaanewaalay aksar majbuurii yaa

mahjuurii kii thakan se lauTaa karate hain

tum jaao aur dariyaa dariyaa pyaas bujhaao

jin aankhoon main Duubo

jis dil main bhii utroo

merii talab aavaaz na degii

lekin jab merii chaahat aur merii Khvaahish kii lau

itnii tez aur itanii oonchii ho jaaye

jab dil roday

Tab!!!!!!!

Asif
09-23-2007, 07:06 PM
tumhare lahje mein jo garmi-o-halavat hai [halaavat=sweetness]
isse bhala sa koi naam do wafa ki jagah
ganeem-e-noor ka hamla kaho andheron par [ganeem=enemy]
dayar-e-dard mein aamad kaho masiha ki
rawaan-dawaan hue khushbu ke qaaiflay har su
khala-e-subah mein gunji sahar ki shahnaai
ye ek kohara sa ye dhundh si jo chaai hai
is iltahaab mein surmageen ujalay mein [iltahaab=stupor]
siwa tumhare mujhe kuch nazar nahi aata
hayat naam hai yaadon ka talkh aur shireen
bhala kisi ne kabhi rang-o-bu ko pakra hai ??
shafaq ko qaid men rakha?? sabaa ko band kiyaa ??
har ek lamhaa gurezan hai jaise dushman hai
na tum milogi na main, hum bhi donon lamhe hain
wo lamhein jaa ke jo wapis kabhi nahi aatay

Asif
09-23-2007, 07:06 PM
bohat kuch us se kehna hai
bohat sara chupana hai
usey ik din batana hai
k tere husn k peechey
meri deewnagi ka ik qissa hai
tere haathon
teri zulfon
terey honton ki surkhi me mera bhi aik hissa hai
usey ik din batana hai
tmhari unglion ki surkh poron ko
hatheli k katoron ko
ye merey hont choo leney ki hasrat me tarastey hain
k arman aankhon se barastey hain
bohat sara chupana hai
mager itna batana hai
teri aankhon ki galion me merey din ka thikana hai
ager is baat se naraz hota hai to hojaye
meri raaton ko ashkhon me dubo jaye
woh kho jaye!!
mager itna to hojaye
kisi iqdam se pehle
usey me yaad to aaon

kisi bhi naam se pehley

usey me yaad to aaon ...!!!

Asif
09-23-2007, 07:06 PM
soey hoey log achey hotey hain
keh woh kuch bhi naheen poochtey
na aalimon key be,maani alfaaz
na hukm raanon ki maani khaiz harkaat
un key kaan be khabar
or hont be zarrar hotey hain
jabhi to ziyada sey ziyada
logon ko sula dia jata hey
keh issi main
jaagney waalon ki bhalaai hey

Asif
09-23-2007, 07:06 PM
ye kyaa ke ek jahaan ko karo vaqf-e-iztaraab
ye kyaa ke ek dil ko shakebaan na kar sako

aisaa na ho ye dard bane dard-e-laazaval
aisaa na ho ke tum bhii mudaavaa na kar sako

shaayad tumhen bhii chain na aaye mere baGair
shaayad ye baat tum bhii gavaaraa na kar sako

kyaa jaane phir sitam bhii mayassar ho na ho
kyaa jaane ye karam bhii karo yaa na kar sako

allaah kare jahaan ko merii yaad bhuul jaaye
allaah kare ke tum kabhii aisaa na kar sako

mere sivaa kisii kii na ho tum ko justajuu
mere sivaa kisii kii tamannaa na kar sako

Asif
09-23-2007, 07:07 PM
Kisee din cahteen hain
chupkee see us kee zeney per
koi jaltaa deyaa;
kuch phool,
rakh ayeen
ke apney bachpany main
who andheron se bhi darta thaa
usey phoolon kee ***hboo see bhi raghbat thi
buhaat mumkin hai , abh bhi
shabb ki tariki se os ko khuff atta hoo
mehektey phool shayed bais-e-taskeen abh bhi hoon
so ess amkaan per
ikk shaam oss ke naam kertey hain
chaloo yee kaam kertey hain

Asif
09-23-2007, 07:07 PM
bikharate Tootate lamhon ko apanaa ham-safar jaanaa
thaa is raah mein aaKhir hamein khud bhee bikhar jaanaa

havaa ke dosh par baadal ke Tukarhe kee tarah ham hain
kisee jhonke se poochheinge ki hai ham ko kidhar jaanaa

mere jalate hue ghar kee nishaanee bas yahee hogee
jahaan is shahar mein raushanee dekho Thahar jaanaa

pas-e-zulmat koee suuraj hamaaraa muntazir hogaa
isee ek vaham ko ham ne chiraag-e-rahguzar jaanaa

dayaar-e-Khaamosh se koee rah-rah kar bulaataa hai
hamein "Makhmoor" ek din hai isee aavaaz par jaanaa

Asif
09-23-2007, 07:07 PM
Baat Din Ki Nahi, Ab Raat Se Dar Lagta Hai...
Ghar Hai Kacha Mera, Barsaat Se Dar Lagta Hai...

Tere Tohfay Ne To Bas Khoon Ke Aansoo Hi Diye...
Zindagi Ab Teri Saugaat Se Dar Lagta Hai...

Pyaar Ko Chor Ker Tum Aur Koi Baat Karo...
Ab Mujhay Pyaar Ki Har Baat Se Dar Lagta Hai...

Meri Khaatir Na Wo Bandnaam Kahein Ho Jaein...
Iss Liye Unn Ki Mulaqaat Se Dar Lagta Hai...

Ab Agar Aao To Jaane ke Liye Mat Aana
Sirf Ahsaan Jataane ke Liye Mat Mana

Maine Palkon Pe Tamannaen Saja Rakhi Hain
Dil Par Umeed ki 100 Rasmen Jala Rakhi Hain
Ye Hanseen Shamen Bujhaane ke Liye Mat Aana

Pyar ki Aag Main Zanjeer Pighal Sakti Hai
Chahne Walon ki Takdeer Badal Sakti Hai
Hoon Bebas Ye Batane ke Liye Mat Aana

Mujhse Milne ki Agar Tumko Nahi Chahat koi
Tum Sirf Rasmen Nibhane ke Liye Mat Aana

Asif
09-23-2007, 07:07 PM
Main hoon suraj ki paristar mere sath na chal
Dekh le ai saya-e-dewaar mere sath na chal
Faisla kerne main takhir hoi hai tujh se
Dobti nao main mere sath us paar na chal
Tere hote meri pazaib ko kuch hota hai
Koi sun le na ye jhankar mere sath na chal
Mujh ko tanhai ke jangal se guzerna hai
Tujh ko khauf aye ga is bar mere sath na chal

Asif
09-23-2007, 07:07 PM
Teri aakhon se hi Khulte hain saveroN ke ufaq
Teri aakhoN se hi band hoti hai ye seep ki raat
Teri aakheiN hain ya sajday mein ho Masoom namazee
Palkein Jhukti haiN to yuN goonj ke uthti hai Nazar
Ki mandir se jaras ki chale namnaaq hawa
Aur Band hoti hain to yuN lagta hai ki aazaan Khatm hui ho
Teri sahmi hui Thahri hui ye jheel si aakhein
Teri aakhoN se hi takhleeq hui hai Sachai
Teri aakhoN se hi takhleeq hui hai ye hayat

Asif
09-23-2007, 07:08 PM
dosti jo ki, use nibana humein ata hai
muskil teri raah mein ho, use hatana humein ata hai
hum wo nahi jo pal mein begane ban jaye
yhe rista dosti ka, humein marne khe baad b nibana ata hai

Asif
09-23-2007, 07:08 PM
Sawan Kay Mousam Main,

Meray Andar Ka Dukh,

Machal Kar,

Meri Aankhoon Kay Bahar Aaya,

Or Sawan Kay Mousam Main ,

Shareek Ho Gia...

Asif
09-23-2007, 07:08 PM
Subah k ujalo.n mei jab bhi Aankh khulti hai
Main tere Khayalon se
Aetraaz karne ka Ahed kar ke ut tha hoon
Yunhi be-Khiyali mein
Jab Saeed ka koi Shair Gungunata hoon
Rooh Jag utth.ti hai Dil Sakoon pata hai
Lekin os ke Shairon par jab bhi Ghaur karta hoon
Mujh ko Eisa lagta hai
Wo Sitam Gazeeda bhi Apni Sari Ghazlon mein
Tera Zikr karta hai
Main Tere Khiyalon se Sar Jatak ke utth.ta hoon
Taiz Taiz Qadmon se Shehar ko nikhalta hoon
Pur hajoom Galiun mein har jaga Dukano.n par
Be-Qaraar Phirta hoon Tujh ko bhool jata hoon
be-Niaz Lamhon mein
jab Koi Pari pekar Paass se Guzarti hai
Mera Dil machalta hai Zor se dharakta hai
Aur Wo pari pekar Tera Aks lagti hai
Phir Wohi Teri Yadein.....Phir Shikast khata hoon
Aur main teri yadon se Door bhag jane ko
Sabz Posh Baghon mein Sair ko nikhalta hoon
Sabz Chader par Sar jhukaey chalta hoon
be-Shumaar pholon ke Rang aur khoshbu se
Dil Zara behalta hai
Phir kahein Darakhton ke Pursakoon Saaye mein
Piyaar karne Walon ko
Pur Khumaar lehjay mein Hum-kalaam pata hoon
Phir Teri Qurbat mein Kat chuky Haseen Lamhe
Mujh ko yaad Atay hai , Phir Shikast hoti hai
Aur Main Thaka hara Ghar ko Laut Ata hoon
Shaam ke Andhere jab Shab-Taraaz hotay hai
Aur Mera Akhela Pan Soone Soone Bistar par
Phir se Teri yadon ki Chadarein bichata hai
Tab mere Iraday bhi Haar maan letay hai
Main Tere khiyalon ko Odhna bana ta hoon...!!!

Asif
09-23-2007, 07:08 PM
Taalloq is tarah toora nahin kartay
Keh phir say jorna dushwaar ho jaye
Hayat ik zehar main dobi hoi talwaar ki manind
Mohabbat is tarah chora nahin kartay
Rawadari ka hergiz rasta chora nahin kartay
Mohabbat main sabhi aik dosray ko aazmatay hain
Magar aisa nahin kartay
Keh her omeed her imkaan toot jaye
Kahan tak khinchi ho dory yeh andaza rakhtay hain
Hamesha char deewari main ik darwaza rakhtay hain
Judai mustaqil ho tu zindgee zindaan ho jaye
Tu sonno !
Jeenay say moon mora nahin kartay
Mohabbat is tarah chora nahin kartay….

Asif
09-23-2007, 07:08 PM
barishon k mausam main
tumko yaad krne ki
aadtain purani hain,
ab ki baar socha hai..
aadtain badal dalain...
phir khyal aaya hai
aadtain badalnay say,
barishen nahi rukteen...!

Asif
09-23-2007, 07:09 PM
Main janta hon
ke duniya main
Muhabat naam ki
koi shaay nahi hai
is ke bawajood
jab bhi tum
mere samnay aati hoo
mujhe apnay yaqeen pe
shak hota hai

Asif
09-23-2007, 07:09 PM
Lamhay
Kuch bhi tu nahee mere paas
Teri yaadoon ke siwa
Teri pyaar bhari baatoon ke siwa
Mujhe yaad hai sab kuch
Tera woh kehna ke
kitni khobsurat hain aankhain tumhari
Kitne rung hain in main
Yeh kitna muskuraati hain
Yeh kitni baatain karti hain
Main thori door hojaoon tau
Mujhe waapis bulaati hain
Yeh mujh ko aazmaati hain
Magar
Ab kuch bhi tu nahee bacha in mein
Tere khwaaboon ke siwa
Teri yaadoon ke siwa

Asif
09-23-2007, 07:09 PM
kabhi kitabon mein phul rakhna
kabhi darakhton pe nam likhna
hamein bhi hai yad aj tak wo
nazar se harf-e-salam likhna

wo chand chehre wo behki baten
sulagte din the mehakti raten
wo ****e-****e se kagzon par
muhabbaton k payam likhna

gulab chehron se dil lagana
wo chupke chupke nazar milana
wo arzuon k khwab bunna
wo qissa-e-natamam likhna

mere nagar ki hasin fizao
kahin jo un k nishan pao
to puchna ye kahan base ho
kahan hain un ka qayam likhna

gai ruton mein "Hassan" hamara
bas ek hi to ye mashgala tha
kisi k chehre ko subah kahna
kisi ki zulfon ko sham likhna

Asif
09-23-2007, 07:09 PM
Bekhar gaay sab sapne mere
Ansoun kay railay main
Jo sapna dekha woh bah gaya
Takheyal kay samundar main
Ab tu main houn
Aur wahi tanhaiyan
Khamosh dil.
Naam ankhain
Jo ho sake tu aa kar dekh lay
Dam bhar kay he leeye
Aaa ja k dil na tahar jay
Kahain dair na ho jay .........

Asif
09-23-2007, 07:09 PM
teray ishq ki intaha chahta hon
meri sadgi daikh kia chahta hon

sitam ho ka ho wada-a-bay hijabi
koi baat sabar azma chahta hon

yah jannat mubarik rahay zahidoon ko
k mai ap ka samna chahta hon

zara sa to dil hon magar shokh itna
wohi lan tarani suna chahta hon

koi dam ka mahmaan hon aye ahlay mahfil
chiragh a sahar hon bhujha chahta hon

bhari bazam mai raaz ki baat kah di
bara bay adab hon..saza chahta hon

Asif
09-23-2007, 07:10 PM
Shagaf nahi tha zara b mujhe perhanay main
magar wo rooz sar e sham us ka aa jana
kitab le ke mere samnay bahanay se
koi too soch thi jo sochti wo rehti thi
jhuka ke sir ko mere pass aa ke kehti thi
kai sawal samjhnay hain aap se main nay
na hoo ke aap mujhe lajawab hi ker dain
meri nigah ko pamal e khawab hi ker dain
haseen aankhon main wo aarzoo ke doray thay
wo us ke gaal thay ya khoon ke katooray thay
paseena tha ka tapakta tha us ke pathay se
nigahain ashk e haya se bhari bhari us ki
wafoor e sharm se wo hont kapkapatay thay
qadam zamee-n pe jo dharti too larkharatay hoay
kitab mujh ko thama ker wo samnay baithi
thamai mujh ko laboon se nikal ker pencil
nahitha farq kitaab aur us ke cheray main
main us ko dekhta aur dekhta hi reh gia tha
wo us ka dast e gulabi warq palat-ta hoa
wo aanchal us ka mere samnay sarakta hoa
haroof bhi meri nadanion pe hastay thay
wo apnay seenay se note book hata leti
ik aarzoo meri aaghoosh main lata deti
khala main taktay hoay rukh jab us nay moora tha
khamosh tha main usi nay sakoot tora tha
hisaab aap ko aata nahi ye janti hon main
sawal chorainkoi shair hi karain tehreer
yehi hai mera assasa yahi meri taqdeer
main us ki batoon ki gehraian samjta tha
sawad e bazm main tanhaian samjhta tha
qalam, kitab sabhi main nay us ko lootaya
ke jaise paishkash e aaroo ko thukraya
chali gai wo kisi khawab e khoobroo ki tarah
kai baras hoay is ko ali yasir
main us ko yaad b kerta hoon aur sochta hoon
hazaa shair ki aik ghazal likhon us per
mainapnay yaad khazanay fida karon us per
jo sochta hoon too dil se jawab aata hai
usay too mujh se ziada hisaab aata hai

Asif
09-23-2007, 07:10 PM
lamha lamha behti yeh zindagi,
na janay kis taraf ja rahi hai,
pal pal mujh say keh rahi hai,
aao mere saath chalo mere hamsafar,
lakin mere qadmon main kaise zanjeerain hain,
jo mujhay janay say rookti hain,
anjaan say rishton main mujhay baandhti hain,
kuch rishtay jo mujhay mere apno nay diye hain,
kuch rishtay jo is dil say vabasta hain,
har rishtay ki apni talab hai taqaza hai,
batta hua mera wajood aadha aadha hai,
main kaise insaaf karu inkay saath,
har koi apna haq mangta hai,
kam nahi bohat ziyada mangta hai,
ek rishta jo mera tujh say hai,
wo khamosh hai mujh say kuch nahi mangta,
khud jal kay mujhay sakoon deta hai,
mere saath sanso ki tarha rawa'n hai,
mujh say har waqt yahi kehta hai,
mujhay tumsay kuch nahin chhahiye,
bass mujhay yu'n hee qayam rakhna,
meri garmi ko thandi mat parnay dena,
apnay ehsas say mujhay zinda rakhna,
tamaam rishton ko main nibha raha hoon,
sabko sabka haq de raha hoon,
pal pal jee raha hoon mar raha hoon,
sab kay saath insaaf kar raha hoon,
lakin jo rishta tera mera hai,
wo rishta khamosh hai......wo rishta khamosh hai......

Asif
09-23-2007, 07:10 PM
zindagi ki chilchilaati dhoop mein tap kar....
Mein jab bhi
doosron ke aur apney jhooth se thak kar...
mein sabse lad ke, khud se haar ke,
jab bhi us ek kamrey mein jaata tha...
Woh halke aur gehrey kathaii rangon ka kamra,
woh behadd meharbaan kamra...
jo apni narm muthii mein mujhe aise chupa leta tha
jaise koii maa...
bachhe ko aanchal mein chupa le
pyaar se daantey...
yeh kya aadat hai
jaltii dopahar mein maare maare ghoomtey ho tum
Woh kamraa yaad aata hai...

Dabeez aur khaasa bhaari
kuch zara mushkil se khulney waala
woh sheesham ka darwaazaa
ki jaise koii akhad baap
apney khurdurey seene mein
shafkat ke samader ko chupaaye ho....

Woh kursii
aur uskey saath woh judwaan behan uskii
woh dono dost thi merii
woh ek gustaakh muhfat aaiina
jo dil ka achha tha
woh behangam si almaari
jo koney mein khadi
ek boodhii annaa ki tarah
aaiiney ko tanveeh karti thi

woh ek guldaan
nanha sa
bahut shaitaan
un dono pe hansta tha
Dareecha, ya zahaanat se bhari ek muskuraahat
aur dareechey per jhukii woh bel
koii sabz sagoshii

Kitaabein,
Taaq mein aur shelf per
sanjeeda ustaani bani baithi
magar sab muntazir is baat ki
mein unsey kuch poochun
sirhaaney neend ka saathi
thakan ka chaaragar
woh naram dil taqiyaa
mein jiski Goad mein sar rakhkar
chat ko dekhta tha
chat ki kadiyon mein
na jaane kitney afsaano ki kadiyaan thi

woh ****ii mez per
aur saamney deewar per
aavezaan tasveerein
mujhe apnaaiiyat aur yakeen se dekhtii thi
muskuraati thi
unhey shaq bhi nahi tha
ek din....
mein unko aise choor jaaoonga
mein ek din yuun bhi jaaoonga
ki phir waapas na aaoonga....

Mein ab jis ghar mein rehta huun
bahut hi khoobsurat hai
magar aksar yahaan khaamosh baitha yaad karta huun
Woh kamraa baat karta tha....

Asif
09-23-2007, 07:10 PM
Usse to Kho hi chukke,phir Khayaal kya uska..
Ye Fikkar kaisi ke ho ga ab Haal kya usska...

Wo ik Shakhs jisse Khud hi chor bethe the....
Ghullaye deta hai dil ko mallal kya uska......

Tumhari Aankhon main chalkien ye Nadamatein kaisi.....
Jawaab ban ne laga tha Sawaal kya usska.....

Tumhare apne Iraday mai koi Jhool na thi.....
Kaho ke milna tha aisa kya mohal uska.....

Wo Nafraton ke BhaNwar main bhi Muskura ke mila....
Ab iss se barh kar bhala ho Kamaal kya uska.....

ab issi tarah yaadoon ki kirchiyaan chunye...
na tha Farak se Hijar e wassal kya uska........

Ye soch ke na mile usse kabhi Sehar.........
ke jane hoga Nadamat se haal kya usska

Asif
09-23-2007, 07:11 PM
Kab meiN ney uss ko rooka tha
aur ye kaha tha tum mat jaoo
meiN tanha nahi rah paoon ga
bas itni si baat thee poochi
tanhayee maiN shaam dhaley jab
aankh maiN aansoo bhar aayeiN
tou kiya kerna hai?

Asif
09-23-2007, 07:11 PM
Lafzon ki justuju mai sub kuch ganwa dia,
Woh chal dia main tarz-e-ada dhundta raha,
Us ko kisi ne rab se mang lia aur main,
Sajdey mai gir k harf-e-dua dhundta raha
_________________

Asif
09-23-2007, 07:11 PM
mujhay aksar woh kehti thi mohabbat kuch nahi hoti
hijr ka khauf be-matlab' vasl k khawab be-ma'ani
koi soorat nigaho.n main kahan din raat rehti hay
usay kiun khamoshi kahiye k jis main baat rehti hay
yeh aansoo be-zuba.n aansoo bhala kia bol saktay hain
kahan dil main kisi ki yaad se toofaan uthtay hain
kahan palko.n k saaye main nami din raat rehti hay
kahan hoti hain woh aankhain jahan barsaat rehti hay
mujhay aksar woh kehti thi mohabbat kuch nahi hoti
magar jab aaj barso.n baad main ne us ko dekha hay
k us ki jheel aankho.n main hijr ka khauf rehta hay
vasl k khawab rehte hain wahan barsaat rehti hay
yun lagta hay kayee raato.n se woh soyee nahi shayad
yun lagta hay kisi ki yaad ab din raat rehti hay
or us ki narm palko.n k haseen saye bhi geelay hain
or us ki khamoshi aisi k jis main baat rehti hay
mujhay ab woh nahi kehti mohabbat kuch nahi hoti
k ab shayad mohabbat ki woh sab ramzai.n samajhti hay......!!!

Asif
09-23-2007, 07:11 PM
Woh Shaam Kuchh Ajeeb Thi
Yeh Shaam Bhi Ajeeb Hai
Woh Kal Bhi Paas Paas Thi
Woh Aaj Bhi Kareeb Hai...

Jhuki Hui Nigah Mein Kahin Mera Khayaal Tha
Dabi Dabi Hansi Mein Ek Haseen Sa Gulal Tha
Maein Sochta Tha Mera Naam Gunguna Rahi Hai Woh
Na Jaane Kyon Laga Mujhe Ki Muskura Rahi Hai Woh
Woh Shaam...

Mera Khayal Hai Abhi Jhuki Hui Nigaah Mein
Khili Hui Hansi Bhi Hai Dabi Hui Si Chaah Mein
Maein Jaanta Hoon Mera Naam Gunguna Rahi Hai Woh
Yahi Khayal Hai Mujhe Ke Saath Aa Rahi Hai Woh
Woh Shaam...

Asif
09-23-2007, 07:11 PM
Yeh din to katt he jata hai
talash-e-rukht me lekin
samandar shaam hoti hai
to main ghabra sa jata hon
shajar gum sum say hotay hain
hawa bhi tham si jati hai
wo kaali raat k sayay
tumhari yaad dilatay hain
bara numnaak hota hai
tumhari yaad ka mausum
badan bhi toot jata hai
buhat si karwatain lay kar
to bistar thak sa jata hai
buhat si salwatain lay kar
tarasta kiss tarah say hai
dil-e-baitaab kia likhoon
phir kaisay dil jalatay hain
sulagtay khwabb kia likhoon
main shayir hoon magar jana
sabhi kuch likh nahi paataa
phir aksar aisa karta hoon
tumhara dard, tumhara ghum
saray karb k lamhay
main apnay naam karta hoon
mujhay adat si hai
apnay watan say dour rehnay ki
yeh saray karb sehnay ki
tumhain to choo bhi na payay
yeh saray dard k sayay
dua yeh lab pe ati hai
tumharay naam hoti hai
SAMANDAR SHAAM HOTI HAI
SAMANDAR SHAAM HOTI HAI~!!

Asif
09-23-2007, 07:12 PM
Yeh din to katt he jata hai
talash-e-rukht me lekin
samandar shaam hoti hai
to main ghabra sa jata hon
shajar gum sum say hotay hain
hawa bhi tham si jati hai
wo kaali raat k sayay
tumhari yaad dilatay hain
bara numnaak hota hai
tumhari yaad ka mausum
badan bhi toot jata hai
buhat si karwatain lay kar
to bistar thak sa jata hai
buhat si salwatain lay kar
tarasta kiss tarah say hai
dil-e-baitaab kia likhoon
phir kaisay dil jalatay hain
sulagtay khwabb kia likhoon
main shayir hoon magar jana
sabhi kuch likh nahi paataa
phir aksar aisa karta hoon
tumhara dard, tumhara ghum
saray karb k lamhay
main apnay naam karta hoon
mujhay adat si hai
apnay watan say dour rehnay ki
yeh saray karb sehnay ki
tumhain to choo bhi na payay
yeh saray dard k sayay
dua yeh lab pe ati hai
tumharay naam hoti hai
SAMANDAR SHAAM HOTI HAI
SAMANDAR SHAAM HOTI HAI~!!

Asif
09-23-2007, 07:12 PM
Muhabbat........ke..........Musam
zamanay ke sab musamoN se niralay
bahar-o-khizan unke sab se judaa
alag unka jhonkha alag hai ghataa
Muhabbat ke khitay ke aab-o-hawa
maawraa,....un anasir se joooo
musamoN ke tageur ke bunyaad hain
yee zameen-o-makaN ke kam-o-beesh se
aisay............azad.............hain
jesay subha-e-azal...jesay shaam-e-fana
shab-e-rooz ke aalam ke aihkaam ko
yee muhabbat ke musam nahe mantay!
zindagi ke musafat ke anjaam koo
yee muhabbat ke musam nahe mantay
rafaqat ke khushbo se khali ho jo
yee koi aisa manzar nahe dekhtay,
WAFA...ke ailawa kisi kaam kooo
yee muhabbat ke musam nahe mantay!

Erum Zehra
09-23-2007, 07:12 PM
bohatr hi khoooooooooooooooob janab:biggrin

keep it up !!!

Asif
09-23-2007, 07:12 PM
ashaar mere yuu.N to zamaane ke liye hai.n
kuchh sher faqat unako sunaane ke liye hai.n


ab ye bhii nahii.n Thiik ki har dard miTaa de.n
kuchh dard kaleje se lagaane ke liye hai.n


aa.Nkho.n me.n jo bhar loge to kaa.nTo.n se chubhe.nge
ye Khvaab to palako.n pe sajaane ke liye hai.n


dekhuu.N tere haatho.n ko to lagataa hai tere haath
ma.ndir me.n faqat diip jalaane ke liye hai.n


socho to ba.Dii chiiz hai tahaziib badan kii
varanaa to badan aag bujhaane ke liye hai.n


ye ilm kaa saudaa ye risaale ye kitaabe.n
ik shaKhs kii yaado.n ko bhulaane ke liye hai.n

Asif
09-23-2007, 07:13 PM
Tum nahin gham nahin sharaab nahin,
Aisee tanhayee ka jawaab nahin !a


Gahey gahey isey pada kijey,
Dil say behtar koi kitaab nahin !


Jaaney kis kis ki maut aayee hai,
Aaj rukh pay koi naqaab nahin !


Woh karam ungaliyon pay gintay hain,
Zulm ka jinkay kuch hisaab nahin !

Asif
09-23-2007, 07:13 PM
raat roti hai bichad kar tum se
chand gum sum hai hawa band fizaon ki tarah
ungliyan kampti hain
hont yak-lakht kisi zalim o be-rahm tashanuj se lipat jate hain
jab kabhi band darichon ki taraf dekta hoon
hook uth-ti hai mere seenay ki gehrayi se
barishein bichrhay hoye logo ki
kis kadar dost howa karti hain'
barf kar deti hain jaltay hoowe angaron ko
aur kabi barf ko aatish mien badal deti hain

meri veerani
meri be-chaini
teri jaan soz judai ki alam-naki mein
iss tarah uljey hoowe hain ke sulajtey he nahi
jis tarah kaanton bari shakh mein aanchal koi
thoda kichta hai to kuch aur ulaj jata hai
din bilakta hai tere hijr ke soonay pan mien
shaam ghabra ke sisak uthti hai
RAAT ROTI HAI BICHAR KAR TUM SE
ungliyan kampti hain
hont yak-lakht kisi zalim o be-rahm tashanuj se lipat jatey hain

Asif
09-23-2007, 07:13 PM
Kitni aziat se us ne mujh ko bhulaya hoga
mere yado ne usay khoob rulaya hoga

baat bay baat ankh us ki jo chhalakti hogi
us ne chehre ko bazo-on mai chhupaya hoga

socha hoga us ne din may qaye baar mujhe
naam haathele pe bhi likh likh k mitaya hoga

jaha us ne mera zikr suna hoga kisi se
us ki ankho mai koi anso tou aya hoga

raat k bhegne tak neend na aye hogi tujhe
tu ne takeye ko bhi senay se laagya hoga

ho k nidhal mere yado se tu ne jana
mere tasveer pe sar apna tikaya hoga

poocha hoga jo kisi ne tere halat ka sabab
tu ne bato mai khub us se chhupaya hoga

jab kabhi chand ko dekha akele tu netujhe
Meira saath bara yaad aya hoga

Asif
09-23-2007, 07:13 PM
Zindagi hum teri dehleez pe aa baithey haiN
hath meiN kasa-e-tadbeer he, aankhooN meiN ki mousm-e-gulrang ki khwahish he
labooN pe tery bemuhar zamanooN key liye shikwey haiN
zindagi hum teri dehleez pe aa baithey haiN
ik zara dekh keh hum narm-mizajooN key liye
koonsi raat he, jis raat key aanchal meiN hawa
khwaab ko aaina-e-khwaab meiN sar karti he
koonsa din he keh jis din ka zahoor
harf-e-dil key liye sehra-e-tamanna ka safar karta he
ik tery lams ki khatir hum ney
khaima-e-dil meiN jalaye tery honey key charagh
haaN magar koyi suraagh
teri aahat, teri aawaz, teri qad-o-qamat-o-khushboo ka suraagh
jaaNbelab haiN ....magar ik harf-e-tassali key liye
zindagi, hum teri dehleez pe aa baithey
hath meiN kasa-e-tadbeer liye
Zindagi hum teri dehleez pe aa baithey....

Asif
09-23-2007, 07:14 PM
Aaj ki raat yaadoN kay kuch mehmaaN aanay waalay haiN

Aaj udaasi nay phir chheRaa hai saaz
Aaj dard phir kuch sunaayega
Tanhaayiii nay baaNdhay haiN ghuNgroo
Aaj waqt bhi thahar jaayega

ChaaNd ! apni chaaNdni idhar rakh jaanaa
Aanay haiN aaj kuchh bhoolay huay say chehray
Ashko ! aaj tum bhi ji bhar kay beh lenaa
Behal jaayeN aisay hi shaayad ahsaasoN kay safeenay
Naghmo !Aaj qadam saMbhal saMbhal kay rakhna
Aaj ki raat khwaaboN kay naam hai
In lamhoN ka hai chalan aisaa
Ki aaj tarpaygi takhleeq lefz dar lafz
Khaamoshi ka zehr subko pilaayaa jaayega

Aaj ki raat zindagi pay bhaari hai
Aaj jalaiNgay khwaahishoN kay alaav
HaNstay haNstay hoga aaj umeedoN ka qatl
Meri zindagi aaj phir mayzbaan bani hai
Woh baras jab jazbaat nay li thi pehli angRaayii
Us baras ki yaad aaj mehmaan bani hai

Woh door ufaq pay uthtay haiN ghubaar
MehmaanoN kay qaafily pahuNchnay waalay haiN
Dard-e-dil ko saMbhaaluN ab main
Ai faza'oN tum hawaaoN pay likh lena
BehoshioN main nazm jo banaa loon ab main

Asif
09-23-2007, 07:14 PM
Jeenay waalay qaza say dartay hain
Zehar pi kar dawa say dartay hain

Zaahidon ko kisi ka khauf nahi
Sirf kaali ghata say dartay hain

Ahh!!--jo kuch kahay humain manzoor
Naik banday khuda say dartay hain

Dushmanon kay sitam ka khauf nahi
Doston ki wafa say dartay hain

Azm-o-himmat kay bawajood *Shakeel*
Ishq ki ibteda say dartay hain

**Shakeel Badayuni**

Asif
09-23-2007, 07:14 PM
aaj har koi iske nashe mein giraftaar hain,
zindagi koh bhool gaye itne talabgaar hain,

majbooriyon seh peecha nahi *** sake,
ek seh nikale toh doosri ka shikaar hain,

kaunsi buniyaad par tum ab aagey badoge,
phool ek nahi magar kaante hazaar hain,

sabh kuch lut gayaa, sabh kuch mit gaya,
aur kisi toofaan ke aane ka intezaar hain?,

jab kuch bhi nahi miltaa hain is ishq mein,
kyun har insaan is tarah lutne tayyaar hain,

joh kabhi bhi doob jaayegi majdhaar mein,
mohabbat ki aisi kashti mein savaar hain,

mohabbat chaahat yeh kya laga rakha hain,
khushi ke naam par gham be_shumaar hain,

Is raastey par khushiyaan toh milti he nahi,
kuch agar mil jaaye toh kisey inkaar hain,

Mohhabbat seh agar pet bhare toh bataao,
yahaan aaj kal hum bhi be_rozgaar hain.

Asif
09-23-2007, 07:14 PM
sochta hoon ke bohot sadaa'o masoom hai woh
main abhi us ko shanasaa'e muhabbat na karoon
rooh ko us ki aseer'e gham'e ulfaat na karoon
us ko ruswa na karoon, waqif'e muhabbat na karoon
sochta hon ke abhi ranj se azaad hai woh
waqif'e dard nahi, khoogar'e alaam nahi
sehr'e ayish main us ki aseer shaam nahi
zindagi us ke liye zehr bhara jaam nahi!

sochta hoon ke muhabbat hai jawani ki khizaaN
us ne dekha hi nahi dunya main baharoon ke siwa
nikhaat'o noor se labreez nazaroon ke siwa
sabzaaH zaroon ke siwaa aur sitaroon ke siwa !
sochta hoon ke gham'e dil na sunaoon us ko
samnay us ke kabhi raaz ko uryaan na karoon
khalish'e dil se usay dast'o gereebaN na karoon
uskay jazbaat ko main shula'e bad' amaaN na karoon!
sochta hoon ke jala de gi muhabbat us ko
woh muhabbat ki bhala taab kahaan layei gi
khud to woh aatish'e jazbat main jal jayegi
aur dunya ko us ke anjaam pe tarpaeye gi

sochta hoon ke bohot sadaa'o masoom hai woh
main usay waqif'e ulfaat na karoon!

Asif
09-23-2007, 07:14 PM
kitaabon mein mere fasaane dhoondte hain
naadaan hain guzre zamaane dhoondte hain


jab woh the....!! talaash-e-zindagi bhi thi
ab to maut ke thikaane dhoondte hain..!!


kal khud hi apni mehfil se nikaala tha..!!
aaj hue se deewaane dhoondte hain...!!


musaafir be-khabar hain teri aankhon se
tere shahar mein maikhaane dhoondte hain


tujhe kya pataa ae sitam dhaane waale
hum to rone ke bahaane dhoondte hain...!!


unki aankhon ko youn dekho na
naye teer hain...!! nishaane dhoondte hain..!!

Asif
09-23-2007, 07:15 PM
Sab jaanti hoon magar phir bhi ...
Kyun tumko bhula nahin paati....
Is dil se teri tasveer hata nahin paati....
Muskurane ki koshish karti hoon lekin
Ankhon ke motiyon ko chupa nahin paati...


Jab sochti hoon ki ...
Tum ho kisi aur ka muqaddar
Jalan si hoti jise mita nahin paati....



Jab barasta hai saawan toot ke kahin...
Yeh aankhain bhi ek dariya bahati hain....
Sulagti hai rooh teri ek jhalak ko.....
Is khwaaish se main dil ko bacha nahin paati...!!!

Asif
09-23-2007, 07:15 PM
tumhaare ishq mai kis kis tarha kharaab huai
raha na aalam e hijraan na vasl yaab huai


bas itni baat thee do dil kaheen na mil paayen
kaheen pe tapte huai thal kaheen chanaab huai


ajab saza hai ke mere duaaon waale huroof
na mustarad huai ab tak na mustajaab huai


zehaanaten theen teri ya anaari pan apna
sawal e vasl se pehle hi lajawaab huai


haqeeqt itni hai us ke mere taa'luq ki
kisi ke dukh thea mere naam intisaab huai


jise samajhte thea sehra vo ik samander tha
khula vo shakhs to hum kaise aab aab huai


na aaya dhang humai koi ishq ka haider
na dil ke zakhmon ke hum se kabhi hisaab huai

Asif
09-23-2007, 07:15 PM
tumhaarii qabr par maiN
faatehaa paRhne nahiiN aayaa,

mujhe m’aaluum thaa, tum mar nahiiN sakte.
tumhaare maut kii sachchii Khabar
jisne uRaa’ii thii, wo jhuuTaa thaa,
wo tum kab the?
koiii suukhaa huaa pattaa, havaa meN gir ke TuuTaa thaa.

merii aaNkheN
tumhaare manzaroN meN qaid hai ab tak
maiN jo bhii dekhtaa huN, sochtaa huN
vo, vohii hai
jo tumhaarii nek-naamii aur bad-naamii ki duniyaa thii.

kahiiN kuch bhi nahiiN badlaa

tumhaare haath, merii uNgliyoN meN saaNs lete haiN
maiN likhne ke liye jab bhii, qalam kaaGaz uThaataa huN
tumhe baiThaa huvaa maiN
apnii hi kursii meN paataa huN,

badan meN mere, jitnaa bhi lahuu hai,
wo tumhaarii
laGzishoN, naa-kaamiyoN ke saath bahtaa hai,
merii aavaaz meN chhup kar, tumhaaraa zehn rehtaa hai,

meri biimaariyoN meN tum,
meri laa-chaariyoN meN tum

tumhaari qabr par jis ne tumhaaraa naam likhkhaa hai
wo jhuTaa hai,
tumhaari qabr meN, maiN dafn huN,
tum zindaa ho !
tum zindaa ho !

mile fursat kabhii, tau faatehaa paRhne chale aanaa.

Asif
09-23-2007, 07:15 PM
uin he baithe baithe kuch yaad aata hai...
pata nahi kaise, lakin dil main koi aata jaata hai,
yaad aata hai vo pal...
jab tere intezar ko anjaam mila tha
jab meri tanhai ko mukaam mila tha
jab tune apne narm haatho se mere haatho ko chuaa tha
aur hamne hamari unchui manjeelo ko pahle-pahle baar chua tha

yuin he baithe baithe kuch yaad aata hai...
pata nahi kaise,lakin dil main koi aata jaata hai,
vo tere hoto ka hilne jaise
ek arse baad kisi kali ka khilna
vo tere ghani zulfo ki chaav jaise
tapti reet per ghanghor ghatao ka barasna
vo tere ankhoin ki jhilmilahat jaise
laakho taro ka ek ashiyane main simatna

yuin he baithe baithe kuch yaad aata hai...
pata nahi kaise lakin dil main koi aata jaata hai,
tere saath door tak chalna
tere khusbo ka meri saasoin main basna
tere ankhoin ki madhosi main jhumna
teri payal ki aahat se zindagi ko tolna,
ye sab kuch yaad aata hai...
kaash kabhi aisa ho ki in yaadoin ke saath tu bhi aye
aisa hua to ...
phir se zindagi, gungunane lagegi
dil ki aavaz ek nayi dhun gane lagegi
in vadiuoin ki kaliyain bin kahe khilne lagegi
ek maina tote se aur chakori chand se milne lagegi

lakin aisa ho na sakega,
ye hum hain jaante lakin phir bhi na jane kyoin
uin he baithe baithe kuch yaad aata hai...
pata nahi kaise lakin dil main koi aata jaata hai,

Asif
09-23-2007, 07:15 PM
apanii rusavaaii tere naam ka charchaa dekhooN

apanii rusavaaii tere naam ka charchaa dekhooN
ek zaraa sher kahooN aur main kyaa kyaa dekhooN

niind aa jaaye to kyaa mahafilen barpaa dekhooN
aaNkh khul jaaye to tanhaaii kaa sahara dekhooN

shaam bhii ho gaii dhundhalaa gaii aaNkhen bhii merii
bhulane vaale main kab tak teraa rastaa dekhooN

sab ziden us kii main puurii karuooN har baat sunooN
ek bachche kii tarah se use hanstaa dekhooN

mujh pe chhaa jaaye vo barasaat kii Khushbuu kii tarah
ang ang apanaa usii rut mein mahakataa dekhooN

tuu merii tarah se yaktaa hai magar mere habib
jii mein aataa hai koii aur bhii tujh saa dekhooN

main ne jis lamhe ko poojaa hai use bas ek baar
Khvaab ban kar terii aaNkhon mein utartaa dekhooN

tuu meraa kuchh nahiin lagataa hai magar jaan-e-hayaat
jaane kyon tere liye dil ko dharakataa dekhooN

Asif
09-23-2007, 07:16 PM
sochate aur jagate sansoun ka ik dariya huun main
apane gumgashta kinaroun k liye bahata huun main

jal gaya saaraa badan in mausamoun kii aag mein
ek mausam ruuh ka hai jis mein ab zinda huun main

mere honthoun ka tabassum de gaya dhokhaa tujhe
tuune mujhako bagh jana dekh le sehara huun main

dekhiye merii paziraaii ko ab aataa hai kaun
lamha bhar ko vaqt kii dahaliiz par aayaa huun main
_________________

Asif
09-23-2007, 07:16 PM
tumhen jab kabhi milay fursat mere dil se bojh utar do,
mein boht dino se udas hun mujhe koi sham udhar do,

*mujhe apne roop ki dhoop do,ke chamak sakein mere khad-o-khal,
mujhe apne rung mein rung do,mere sare rung utar do,

*kisi or ko mere hal se na gharz hai na koi wasta,
mein bikher gya hun samait lo,biger gya hun sanwar do,

*meri weh'shaton ko badha diya hai,judaiyon ke azab ne,
mere dil pe hath rakho zra,meri dharkano ko qarar do,

*tumhen subha kaisi lagi kaho meri khuahishon ke diyar ki,
jo bhali lagi to yahin raho isay chahaton se sanwar do,

*koi baat kerni hai chaand se kisi shakhsar ki oat mein,
mujhe raaste mein yahin kahin kisi kunj-e-gul mein utar do...***

Asif
09-23-2007, 07:16 PM
Jo Dil Mein Baat Hay Keh Do
k Kab Se Muntazir Hain Hum
Tumhary Chand Lafzoon k
Ajab Ik KashMakash Mein Hain
Ya To Tum Hum Ko Qaid Kar Do
Ya Phir Azad Kar Do
Jo Dil Mein Baat Hay Keh Do
k Jazba Koi b Ho
Izhaar Ka Muhtaaj Hota Hay

Suno...

Ab Bol b Do
Wagarna Yeh Moka
Hathoon Se Kho Baithy
To Pachtao Ge
Chalo Ab Keh b Do Hum Se
Karo Ab Tum Humy Saraab
Apny Lafzoon Ki Barish Se

Suno...

Hum Muntazir Hain...!!!

Asif
09-23-2007, 07:16 PM
Is Zamanay Say Na Hum Koi Gilaa Rakhain Gain
Dil Lagayein Gain To Na Shart-E-Wafa Rakhain Gain

Na Dikhayain Gain Kabhi Dil Pe Lage Zakhm Unhain
Dard Uthay Ga Magar Dil Ko Daba Rakhain Gain

Jaan De Daingain Agar Aik Ishaara Kar De
Ham Usay Apne Liye Bhi Na Bacha Ke Rakhain Gain

Sab Hata Daingain Teri Raah Ki Rukawat Hamdam
Ghar Ke Darwazay Ko Har Waqt Khula Rakhain Gain

Unki Har Baat Ko Bhoolay Say Na Bhoolain Gain Kabhi
Unki Yadoon Ko Bhi Seenay Se Laga Rakhain Gain

Toot Bhi Jaayegi Umeed Jo Tere Aanay Ki
Ek Diya Phir Bhi Hawaaon Main Jala Rakhain Gain.

Asif
09-23-2007, 07:16 PM
Jaanay kia mila yeh naseeb
* Zindagi say ab yeh kah * Kah gum hua kion saza
* judai kaisay mili
* Her aas tute gai
* Na koi apna raha
* Jo aankhain dakhti thien
* Na ab woh sapna raha
* Jo aansu pouchtay hain
* Chupaoon kaisay woh main
* Churaoon kaisay woh main
* Zindagi say ab yeh kaho
* Kah gum hua kion saza
* Yeh durion ka safar
* Akalay kaisay karoon
* Ajeeb dukh hain maray
* Jalaay dhoop mujay
* Na saya saath rahay
* Yeh aahaton ki sada
* Jo day rahi hay pata
* Yahan to koi nahi
* Kah khoo gai hay khushi
* Sanam tumharay liay
* Woh sub kia hum nay
* Jo koi ker na saka
* Huay badnaam bohat
* Phir bhi chaha hay tumhain
* Tum ko ehsaas nahi
* Jo maray pass thay kal
* Ab koi pass nahi
* Zindagi raas nahi
* Zindagi say ab yeh kaho
* Kah gum hua kion saza
* Jaanay kia mila yeh naseeb

Asif
09-23-2007, 07:17 PM
suno! tum yaad mat karna
agar hum mar bhi jain tu
dill-e nashaad ko phir sey
na tum bar baad ab karna
humain tum yaad mat karna
k ye yaadain tu jism-o roh ka
nasoor hoti hain
humarey wastey jevan ko yoon
be-noor mat karna
humain tum yaad mat karna
agar hum chor k tum ko
manoo mati main so jain
humaari aankh bojhal ho
aur hum nendoo main kho jain
humarey khwaab ko ankhoon main
phir aabad mat karna
suno! tum yaad mat karna
humarey wastey jevan ko yoon
barbaad mat karna

Asif
09-23-2007, 07:17 PM
KIS QADAR ZULM DHAYA KARTE HO
YE JO TUM BHOOL JAYA KARTE HO

KIS KA AB HATH RAKH KAR SENE PAR
DIL KI DHARKAN SUNAYA KARTE HO

HUM JAHAN CHAYE (tea) PEENE JATE THE
KIA WAHAN AB BHI JAAYA KARTE HO

KAUN HAI AB K JIS K CHEHRE PAR
APNI PALKOON KA SAAYA KARTE HO

KEUN MERE DIL MEIN RAKH NAHI DETE
KIS LIYE ZULM UTHAAYA KARTE HO

FONE PAR GEET JO SUNAATE THE
AB WO KIS KO SUNAYA KARTE HO

AKHRI KHAT MEIN US NE LIKHA THA
TUM MUGHE YAAD AAYA KARTE HO

Asif
09-23-2007, 07:17 PM
Main us ko dekhta houn
Payas ka mara huwa jese
Buhat he fasle se ek kunwain ko dekhta hai
Main us ko chomta houn
Tash main hara huwa jese
Kheeri dao kay pate utha kar chomta hai

Asif
09-23-2007, 07:17 PM
Ham Nay Bhi Mohabbat Ke Thi Mager
Kuch Bhi Na Mela Hasrat Kay Sewa

2) Tum Nay Bhi Hamay Elzaam Dia
Kia Kahay Esay Qismat Kay Sewa

3) Suntay Thay Wafa Jo Kartay Hain
Inaam -e- Wafa Pa Jatay Hain

4) Chahat Ke Nazar Rakhnay Walay
Chahat Ka Sela Pa Jatay Hain

5) Dekha Tu Koee Anjaam Nahi
Ulfat Ka Ak Nafrat Kay Sewa

6) Easa Tu Kabhi Socha Bhi Na Tha
Tum Ham Say Juda Ho Saktay Ho

7) Chaha Tha Tumhara Pyaar Mager
Kuch Pa Na Sakay Tohmat Kay Sewa

Asif
09-23-2007, 07:17 PM
mai sochta hoon kuch uss se kahoon
koyee baat mohabat ulfat ki
koyee baat sunehrey khabon ki
koyee baat ke jiss ki rag rag se
bay-nam si khushbu poot-thi ho
pir sochta hoon kya hasil hai
gar uss ko sab kuch keh be diya
ye lafz hakarat jayengey
mai sochta hoon aik geet likoon
unn komal pyarey hathon par
uss poolon waley anchal par
jisey oorh ke wo ik pari lagey
kabi sochta hoon koyee nazm kahoon
bas jiss mai uss ki baten hon
unn gehri gehri ankon par
jin ankon mai kayee sadiyon ke
kayi qisey hain afsaney hain
pir aksar yooun be sochta hoon
mai kuch na kahoon ye behtar hai
har zakham chupa kar seeney mai
bas dukh he sahoon ye behtar hai
jahan lafz yaqeen se khali hon
wahan chup he rahoon ye behter hai
_________________

Asif
09-23-2007, 07:18 PM
Khubsoorat tum bhi lag rahi hogi
Khubsoorat main bhi lag raha honga

Marne Ki Duaein Koun Mangoon,
jeenay Ki Tamana Kon Karain..

Yeh Duniya Ho,Ya Wo Duniya
Ab Khuwahish Duniya Kon Karey.

jo Agg Lagaee Thi Tum Ne..
Us ko tuh Bhujaya Ashko'n Ne

jo Ashko'n Ne Bherkaee Hay,,
Us Agg Ko Thanda Kon Karey.

jab Kashti Sabit-o-Salim Thi,
Sahil Ki Tamana Kis Ko Thi.

Ab Aeise Shikista Kashti Per,
Sahil Ki Tamana Kon Karey..

Duniya Ne Humein Chora.
Hum Chor Na Dein Kiun Duniya Ko..

Duniya Ko Samajh Ker Bethay Hein,
Ab Duniya Duniya Kon Karey.......

Asif
09-23-2007, 07:18 PM
maine dekha tha un dino mien usse
jab wo khiltay gulab jesa tha
uski palkoon se neend chanti thi
us ka lahja sharab jesa tha
us ki zulfoon se bhegti thi ghatta
us ka rukh mahtaab jesa tha
log parhtay thay khal o khad us ke
wo adab ki kitab jesa tha
bolta tha zaban khushbu ki
log suntay thay dharkanooon mien usse
mien dekha tha un dino mien usse
sari ankhien thein aainay uske
saray chahroon mien intekhab tha wo
ye haqeqat hai ke koi khawab tha wo
sab se ghul mil ker ajnabi rahna
ek dariya numa serab tha wo
meri neendien bhi uski nazr hoein
meine paya tha ratjagoon mein usse
meine dekha tha un dino mien usse
jab wo hans hans ke raat karta tha
dil ke khemay mein raat karta tha
rang parhtay thay aanchaloon mien usse
miene dekha tha un dino mien usse
ye magar daer ki kahani hai
ye magar daer ka fasana hai
abh us ke aur mere milaap ke haail
sadiyon bhara zamana hai
abh ke haal apna bhi dasht e hijra ki shaam jesa hai
najanay in dino wo kesa hoga??
men dekha tha un dino mein usse

Asif
09-23-2007, 07:18 PM
sabr ka payaam aur besabr insaan,
yeh sabr hi hamein tarpaata hai
mausam badalte rehte hain,
aur waqt guzarta jaata hai
mayoosi mein hum baithe hain,
har khoya lamha dil dukhaata hai
sab kaam adhure rehte hain,
ab kaam se kaun dil lagaata hai?
log hum pe haste hain,
aur yeh zaalim zamana rulaata hai
kehte hain log hum se aksar,
insaan khud apni takdeer banaata hai
jab sab raaste band hote hain,
to Khuda ka raasta dil bhehlaata hai
wo Furqan ko hum na pehchaan sake,
hum andhon ko kya nazar aata hai?
mai dil dimaag se mazoor hoon,
mujhe rone ke siwa kuch nahin aata hai
koi nahin sunnaa chahta Mousey,
yeh fasana tu kisko sunaata hai?

Asif
09-23-2007, 07:18 PM
us nay jo dikhaye thay
be khawab aankhon ko
khawab ab ke wo saray
is tarah se tootay hain
jis tarah koi shesha
hath se *** ker
kirchi kirchi ho jaye
ja-baja bikhar jaye
ab aisay khawaboon ko
chun ke hum nay kia kerna
kirchioon ko chun-nay se
poorain zakhmi kia kerna
tootay hoay khawaboon ko
aankhoon main ab kia bharna
ab jo in khawaboon ko
aankh main basaya too
aankhain andhi ker baitho **
khud ko tanha ker baitho **
aao ke yoon kertay hain
phir se dil ki suntay hain
tootnay bikarnay ko
koi ehd kertay hain
phir se khawab buntay hian

Asif
09-23-2007, 07:18 PM
Bara Dushwar Hota Hai
Zara sa Faisla Karna
K Zindagi Ki Kahani Ko
Biyan-e-Bazabni Ko
Kahan Say Yaad Rakhna Hai
kahan say bhool jana hai
kisay kitna batana hai
ki say kitna chupana hai
kahan hans hans ka rona hai
kahan roo roo ka hasna hai
kahan awaz daini hai
kahan kahmosh rahna hai
kahan rasta badlna hai
kahan say lout ana hai
bara dushwar hota hai
zara sa fisala karna..!!

Asif
09-23-2007, 07:18 PM
Shaam Furqat Dhalay Hum Nahi Chahtay
Ghum Say Fursat Milay Hum Nahi Chahtay

Phir Naya Waar Sehnay Ko Tayar Hain
Tu Parishan Rahay Hum Nahi Chahtay

Aaj Ansoo Bahanay say Maat Rookay
Aaj Barish Tamay Hum Nahi Chahtay

Hum Teray Baad Ujray Hoay Thik Hain
Ab Kahin Dil Lagay Hum Nahi Chahtay

Teray Pekar Ko Hum Dekhtay Hi Rahain
Tu Nazar Say Hatay Hum Nahi Chahtay

Kis Qadar Dil Nasheen Hai Yeh Mojon Ka Shoor
Ghum Ka Darya Rukay Hum Nahi Chahtay

Iss Qadar Pyar say Tu Pukara na Kar
Aag Dil Ko Lagay Hum Nahi Chahtay~!!
_________________

Asif
09-23-2007, 07:19 PM
Amar Kar Lo Wo Sab Lamhe,
Jo Hune Yun Guzare Hai,
Saher Kar Lo Wo Sab Raatein,
Jahan Apni Hi Duniya Thi,
Jahan Saansein Bhi Apni Thi,
Jahan Sapne Bhi Apne The,
Safar Kar Lo Wo Sab Raste,
Jahan Kuch Bhi Wafayein Hai,
Jahan Khushbu Hai Pyaron Ki,
Jahan Yaadein Hai Yaaron Ki,
Fikr Kar Lo Zara Ek Pal
Ke Tumne Kisko Khoya Hai,
Use Tum Tum Dhund Paoge
Kabhi Phir Dekh Paoge
Thaher Jao Jahan Ho Tum,
Ke Us Din Tum Adhure Ho,
Kabhi Phir Mil Na Paoge,
Use Dhundoge Yaadon Mein,
Use Is Pal Bula Lo Tum,
Ke Ye Lamhe Tumhare Hai...

Asif
09-23-2007, 07:19 PM
Kalam uthayi hai lafs nahi milta,jisko
dhoond rahain hain vo shaks nahi milta,
phirte hain vo zamaane ki talash mein,
bus hamaray liye unhe waqt nahi milta

Asif
09-23-2007, 07:25 PM
Kabhi tum ne nahi socha...!
Yeh Aankhain chor hoti hain
zabaan-e-shoq ban jati hain
Kanoo'n mein Dharakti hain
Kahi'n likkhaa nahi jo aaj tak
Yeh Woh bhi parhti hain
Magar jab Zabt ka lamha
Koi humko Nibhana ho
Tou bilkul Haaar jati hain
Bohat kamzoor hoti hain
Yeh Aaankhai'n Chor hoti hain...!
kabhi tum ne nahi socha ...????

Asif
09-23-2007, 07:25 PM
Kuch din pehle mohabbat ko mohabbat samjha hum ne..
Muhabbat hui mohabbat ko apna samjha hum ne..

Mohabbat main is qadar madhosh ho Gaye..
Is ki bewafai ko wafa samjha hum ne..

Zakham is qadar mohabbat ne diye..
In zakhmo ko phool samjha hum ne..

Mohabbat ki chikh o pukaar is qadar thi..
*** pass ke logo ki roone ko asna samjha hum ne..

Mohabbat ki shidat main aankhen iskadar chandiya Gaye..
Har chamakti hui chiz ko sona samjha hum ne..

Dewaana is qadar mohabbat ne bannaya humko..
Apno ko begana aur un ko apna samjha hum ne..

Mohabbat ki yaadein dil par kuch yon naksh kar Gaye..
Bhulane ki khoshish main Khod ko hi bhula diya hum ne.......

Asif
09-23-2007, 07:26 PM
Kitaabein jhaankti hain band almaari ke sheeshon se
badi hasrat se takti hain
mahino ab mulakaatein nahin hoti
jo shaamein inki sohbat mein kata karti thi
ab aksar
guzar jaati hai computer ke parde par

badi baichen rehti hain kitaabein
inhein ab neend me chalne ki aadat ho gayee hai
badi hasrat se takti hain

Jo kadrein wo sunaati theen
ki jin ke Cell kabhi marte nahin the
wo kadrein ab nazar aati nahin ghar mein
jo rishte sunati theen
woh saare udhade udhade hain

koi safahaa palat-ta hoon to is siski nikalti hai
kai lafzon ke maane gir pade hain
bina patton ke sookhe tund lagte hain wo sab alfaaz

jin par ab koi maane nahin ugte
bahut si istalaahein hain
jo mitti ki sikoron ki tarah bikhri padee hain
gilaason ne unhein matrook kar daala

zubaan par zaaika aata tha jo safahe palatane ka
ab unglee click karne se bas ik
jhapkee guzarti hai
bahut kuchh tah-b-tah khulta chala jaata hai parde par

Kitaabo se jo zaati raabta tha, kat gaya hai
kabhi seene pe rakh ke lait jaate the
kabhi goud mein le lete
kabhi ghutno ko apne rihal ki surat bana kar
neem sajde mein padha karte the, chhote the zabeen se
wo saara ilm to milta rahega baad mein bhi
magar wo jo kitaabo mein mila karte the sookhe phool
aur mahke hue rukke
kitaabe mangne, girne, uthane ke bahaane rishte bante the
unka kya hoga
wo shayad ab nahin honge

Asif
09-23-2007, 07:26 PM
wo mere paas hai kia paas bulaoon us ko
dil main rehta hai kehan dhoondne jaon us ko

ajj phir pehli mulaqaat se aaghaz keroon
ajj phir door se hi dekh k aaon us ko

qaid ker loon usse aankhoon k naha khaane main
chahta hoon k kisi se na milaaon us ko

usse dniya ki nigahoon se keroon main mehfooz
wo wehaan ho k jehan dekh na paoon us ko

chalna chaahe to rekhe paaoon mere sine pe
bethna chahe to annkhooon pe bithaoon us ko

wo mujhe itna sabak , itna sabak lagta hai
kabhi gir jaaye to palkoon se uthhaoon us ko

mujhe maloom hai akhir to juda hona hai
lakin ik baar to sine se lagaoon us ko
_________________

Asif
09-23-2007, 07:26 PM
Visl e fardoos e chism o gosh sehi
Rooh ko kes tarah qarar aaay


Tum gulestan e arzoo tu banoo
Phir khizan aaay ya bahr aay


Woh na samejhe dil e hazeen ke bat
Ashk ankhoun main bar bar aaay


Hai zamane main aitbar e wafa
Kash tum ko bhi aitbar aay


Sufi ghulam Mustafa Tabassum

Asif
09-23-2007, 07:26 PM
Kabhi meri raaton se milo
aor merey sitaray gino
aor merey chaand ke adhoray-pan ka
qarb jhailo
aor meri neend ke aas main weeran raston per
ugi hoi
jungly, nokeeli, ghas ke war saho
aor kabhi mujhe......
mujhe nahi rehne do
aor bas....
kabhi meri raaton say milo~!!

Asif
09-23-2007, 07:26 PM
buzurgoon ki kahawat hai
kisi bhi pal k ruk jaane ki khwahish
dil men mat rakhna
yaqeen aur was-wasay k beich
kathin,aasaan rastoon men
na jaane
zeest k kitne hi lamhe hen
k jin ko rokna chaaha
magar hum rook na paai
phir aise dasht bhi aaye
k jin ko paar karne men
laga,saari umer guzri
shumaar waqt men lekin
yeh sab utne hi lamhe thay
k jin ko rokne ki aarzo men
yeh riwayat bhool baithe thay
kisi bhi pal k ruk jaane ki khwahish
dil men mat rakhna
k jab mousam tehar jaain
udaasi ban k roohon men
tou phir umer e rawaan k
saare mousam
aik hi rang
aik hi qalb men dhaltey hen
barshaa baras dil k gird
anookhi dhund k yeh jaal buntay hen
jahaan koi sunehri yaad
andar ja nahi sakti
yeh mousam gar guzar jaai
ro pehli chaandni ko
rooh men ummeed ki barsaat ka
rasta jo mil jaai
tou saari umer sajdah raiz ho kar
yeh dua maangoon
koi mousam na ab tehray...!!!

Asif
09-23-2007, 07:27 PM
Aik raat chaloo tameer karain
Khamoshi kay sang e mar mar par
Hum taan kay tareeki sar par
Do shamain jalain jesmoun ke!
Jab ooss, dabe poun utre
Ahat bhi na pay sansoun ke

Kehre ke reshmi khushboo main
Khushboo ke tarah he lepte rahain
Aur jism kay sondhe main
Rahoun ke tarah lehrate rahain

Asif
09-23-2007, 07:27 PM
Judayi deney walay tum se umeed-e-wafa kaisi
Ta'alluq toot jaye jab
Mohabbat rooth jaaye jab
Tu phir rasm-e-dua kaisi
Millan ki iltijaa kaisi
Bhanwar mein dolti kashti pe saahil ki tamanna kya
Ukhartey saans hoon tao zindagi ki aarzoo bhi kya
Jo manzil kho chuki ho us ki phir se justujoo bhi kyon
Razaye dost per acha sar-e-tasleem kham karna
Sisakney se yehi behtur hai naumeed hi marna
Magar dil ne tumhien kis waastay se yaad rakha hai
Tumhein kyon shaayiri mein aaj tak abaad rakha hai
Abhi tuk main ne kyon khud ko bahut barbaad rakha hai
Hawa ke dosh per kyon naghma-e-fareyaad rakha hai
Judayi deney walay aashnaii ki qasam tum ko
Tumhari bewafai, kaj addaii ki qasam tum ko
Mujhe itna bata dena..........
Wafa ki chaahatoon ki masha'llain kaise bhujaatay hain
Nishaan kaise mitaatay hain
Bholaana ho jinhain unko bhala kaise bhulaatay hain... !!!

Asif
09-23-2007, 07:27 PM
Har kadam pe imtihan leti hai zindagi,
har waqt naye sadme deti hai zindagi,
hum zindagi se shikwa kaise kare,
aap sa dost bhi to deti hai zindagi!

Asif
09-23-2007, 07:27 PM
Farz karo hum taaray hotay
ik doojay ko duur duur say daikh daikh kar jaltay bujhtay
aur phir ik din
shakh-e-falak say girtay aur tareek khalaoon main kho jatay!
Darya kay do dhaaray hotay,
apni apni mauj main behtay
aur samandar taq is andhi, wehshi aur moun-zoor musafat
kay jaadu main tanha rehtay!
Farz karo hum bhawar-samay kay punchi hotay,
urtay urtay ik doojay ko *****ay aur phir
khulay gagun ki gehri aur bay sarfa aankhoon main kho jatay!
Aur bahaar kay jhonkay hotay,
mausam kay ik bay-naqsha say khwab main miltay
miltay aur juda ho jatay
khushk zameenoon kay haathoon par sabz lakeerain kunda kartay
aur undaikhay sapnay botay
apnay apnay aansu ro kar chain say sotay,
Farz karo hum jo kuch ab hain wo na hotay…..!

Asif
09-23-2007, 07:27 PM
Jin pe Kiya Tha Bharosa Humne
Wo Dost Bichard Gaye Hain...

Dekhay Thay Kabhi jo Humne
Wo Khuwab Badal Gaye Hain...

Jo Banay Thay Kabhi Hamsafar
Aaj wo hi Mukarr Gaye Hain.....

Asif
09-23-2007, 07:28 PM
chalo hum farz kartay hain
wohi batain jo duniya main nahi hoti
chalo hum farz kartay hain
kay har suu noor phaila hai
na din main chaya sunnata
na raaton main andhera hai
na suraj shab main sota hain
na din main chand khota hai
hai har dil roshni say pur
aur aankhon main ujalay hain

chalo hum farz kartay hain
kay har mosam baharan hai
khizaab main phool khiltay hain
nigahain rag say mahati hain
guloon ki khushbuoon say
sab nizaray muattar hain
parinday chahchatay hain
khushi kay geet gatay hain

chalo hum farz kartay hain
kay har dil main muhabbat hai
kaheen jaghray nahi hotay
na barish dukh ki hoti hai
na aandhi gham ki chalti hai
na nafrat phaans banti hai
hain sabhi chehron pe muskanain
kaheen jaghray nahi hotay

chalo hum farz kartay hain
kay gham khushion say bahtar hain

chalo humfarz kartay hain
ye duniya tum say bahtar hai

zara tahro.....!!!!!!!!

magar hum farz kiyun kar lain
yakeen mujh ko batata hai
hakeekat to hakeekat hai
main sab kuch jaan sakta hoon
na suraj shab main chamkay ga
na din main chand niklay ga
khizan main gul nahi khiltay
ye nafrat mar nahi sakti
na gham khushiyon say bahtar hain
na duniya tum say bahtar hai
hai duniya ki hakeekat kia
fakat aik tum hi achay ho
jahano say zamano say
maknoon la maknoon say
ye sab kuch hai wohi jo
isi duniya main hota hai
to phir hum farz kiyun kar lain
fakat ik tum hi achay ho
_________________

Asif
09-23-2007, 07:28 PM
Mohabat main mohabat ko mohabat say sanvara hai
Aye shayer-e-badnaam, yeh kahaaan tera ishara hai

Jab utar hi gai hain ishq kah samandar main to phir
Kissay hai parwa, kah milta kahaaan koi kinaara hai

Kaisay kah doon man kah woh bewafa hai, jab kah
Kuch hathon main likha hai kuch kismat ka sitara hai

Kahta kiyun hai hazrat-e-naseh usay bhool janay ko
Mudatton main to humnay unhai dil main uttara hai


Aap millay hain itnay khaloos say hum par gai soch main
Yeh hai meri ankhoon ka dhokka ya waqai koi hamara hai

Asif
09-23-2007, 07:28 PM
Kisi rut ka koi dukh ho..
koi sukh ho..
hamein mehsoos hota hai
yehi "ehsaas" hone ki alamat hai
hamari zindagani ki alamat hai..
tumhein hairaan hone ki zaroorat kia??
Chaley jao!!
tumhein kia waasta is se??
ke hum tanhaiyon mein kis terah reh kar..
guzar auqaat karte hain??
tumhein ho kion gharaz is se..
ke jeete hain ke marte hein??
Chaley jao...!!
hamare zakhm bharne ke nahi hain in dilason se..
koi daikhe tou kion daikhe??
ke kaise sabr aata hai..hamein tareek raaton mein..
koi daikhe tou kion daikhe?
ke kaise mehev rehtey hain..hum apne saath baaton mein..
Chaley jao!!
hamein mehsoos karne do..
hamara zakhm bharne do..
Mere humzaad aao tu..bhuja do roshniyan saari..
ghubar is dil ka nikle ga..
buhat tareek kamrey mein..
mujhe ab hichkiyan laite..
koi bhi daikh paey kion??
mere anjaam pae aakhir..
"wo chehra" muskuraey kion??
Chaley jao!!
hamein to is samey ghar ke..
dar-o-deewar bhi achey nahi lagte..
Chaley jao!!

Asif
09-23-2007, 07:28 PM
abhi kya kahen abhi kya sunayen
ke sar-e-faseel-e-sukuut-e-jaan
kuf-e-roz-o-shab pe sharar numaa
wo jo harf harf chiraag thaa
use kis hawa ne bujha diya
kabhii lab hilenge to poochhnaa
sar-e-sahar-e-ahad-e-visaal-e-dil
wo jo nikahaton kaa hujoom thaa
use dast-e-mauj-e-firaaq ne
tah-e-Khaak kab se milaa diyaa
kabhii gul khilenge to poochhnaa
abhii kyaa kahen abhii kyaa sunaayen
yunhi Khuwahishon ke fishaar mein
kabhii be sabab kabhii beKhalal
kahaan kaun kis se bichhar gayaa
kise kis ne kaise ganvaa diyaa
kabhii phir milenge to poochhnaa~!!

Asif
09-23-2007, 07:29 PM
dard phail jaaye to
aik waqt aata hai
dil dharhakta rahta hai
aarzoo gazeedoN ke hausle nahiN chalte
dasht-e-be yaqiini meN aasre nahiN chalte
rahrawoN ki aankhoN meN
manzaleN na jab tak hoN, qaafile nahiN chalte
ik zara tawajjo se dekhiye to khulta hai
log in pe chalte haiN, raaste nahiN chalte!
sochne samajhne se, saath saath chalne se
dooriyaaN simaT.ti haiN, faaslte nahiN chalte

khawaab khawaab aankhoN meN ratjage nahiN chalte!
dar guzar ke halqe meN mas'ale nahiN chalte
do diloN ki qurbat meN teesra nahiN hota
"waaste" nahiN chalte!

waqt saath chalta hai, taala' aazmaaoN ke
waqt raam karne meN, tajziyoN ke daao kya!
tajurbe nahiN chalte
ishq ke ilaaqe meN hukm-e-yaar chalta hai
zaabte nahiN chalte
husn ki adaalat meN, aajzi to chalti hai
martabe nahiN chalte
dosti ke rishotN ki parwarish zaroori hai!
silsile talluq ke, khud se ban to jaate haiN
lekin in shagoofoN ko TooTne bikharne se
rokna bhi parhta hai!
chaahtoN ki miTi ko, aarzu ke paudoN ko
seenchna bhi parhta hai
ranjashoN ki baatoN ko, bhoolna bhi parhta hai!

Asif
09-23-2007, 07:29 PM
Khoy huwe
Dar pay dastak bhi de
Ghar main dhonda buhat
Hum nahin thay kahain
Rastoun par chale
Aik lamhe ko thatke shunasa magar
Kes tarah apni surat ko pehchante
Hum koi aur thay
Hum thay khoy huwe
Hum ne bhi ap ko gum keya

Asif
09-23-2007, 07:29 PM
ay mere khuwabon mein basney wali haseen lerki
mere sab khuwab toot ker yun bikher gaye hein
ke kirchi kirchi samet ker bheee
siwaye haathon ko zakhmi kerne ke
mein aur kuchh bhee na pa sakoonga
magar tum itna yuqeen rakho
ke tumhaey khuwabon ki kirchiyon se
laga hua hur zakhm tum se
khud tum se itna qareeb hoga
ke us se gir ker koi ek qatrah
tumharey haathon pe ja gira to
tumharey haathon ko choom lega
aur apney aapey mein
tumahaari khushbuein basa ker
tumhaein kahega
ke mein ne barson in khushbuon ki
shiddeton se tammanna ki hai
aur aaj mein ne in khushboun ko
apney mann mein basaliya hai
tumahrey haathon ko paliya hai
yeh dekh lena
mere badan mein dortey lahoo ka
hur ek qatrah gawahi dega
mere jazbon ki, chahaton ki
tumharey khuwabon ki shiddaton ki
bas hosakey to yeh maaan lena
aur sirf ek lamhey ko ruk ker
meri sachaiyon ke haathon ko thaaam lena

Asif
09-23-2007, 07:29 PM
Mein Tanhai Pehanta Hon
Udasi Kay Ujaar Aangan Mein Chunta Hon
Kathin Mehroomioon Kay Zard Patoo'n Ko
Mer'i Aankho'n Mein Jagraatay Bharay Hein Aik Muddat Say
Mer'y Hoontoo'n Pay Chaspa'n Hein Chitakhti Hichkiyan
Chehray Pay Khulti Khaylti, Dukhti Kharashayein Hein
Mein Apni Zaat Mein Ujray Huway Gaoon Ka Mayla Hon
Mer'y Yaroo.......... !
Tumharay Saath Reh Kar Bhi Akayla Hon!
Mer'i Sangat Mein Mut Bhetoo............
Tumhein Tu Khud Sanwarna Hay
Tumhari KHwahishon Kay Baam-o-Dar pay Roshni Kay Phool Khilna Hein
Tumhein Likhna Hay _____ Apni Saans Ki Garmi Say
Neendoo'n Ka Safar Nama
Mer'i Sangat Mein Mut Bethoo..........
Keh Mein Pathar Ka Muhbas Hon
Keh Mein MMehroomioo'n Kay Shehar Ka Baasi
Mer'i Qismet Udasi
Kum Libasi, Na Shanasi Hay!!!
Mer'i Sangat Mein Mut Bethoo
Mujhay Milnay Say Katraoo,
Khud Apnay Dil Ko Samjhaoo,
Meray Nazdeeq Mut Aoo, !!
Meray Dil Mein Andhayra hay !
Andhayra " Sirf Mera Hay "

Asif
09-23-2007, 07:30 PM
Agar har chehre mein usika chehra nazar aata hain
agar har baato par uski naam lete hain
agar ise pyar kehte hain toh haan
maine bhi kissi se pyar kiya tha..

agar kisike inthzaar karne mein samay nahin dykte
agar vuski aane par dil jhoom uttha hain
agar ise pyar kehte hain toh haan
maine bhi kissi se pyar kiya tha..

agar kisike dhoor jane ke baadh unki yaad satati hain
agar sab ke saat rehte huye bhi akele mehsoos kartein hain
agar ise pyar kehte hain toh haan
mane bhi kissi se pyar kiya tah..

khud mein khud baatein karna
har pyarisi gaane par sirf hum donoka nazar aana
agar ise pyar kehte hain toh haan
Maine bhi kissi se pyar kiyahaah...

agar uski dil mein pyar ki koyi jaga nahin
phir bhi uski pyar ki intzaar karna
agar ise pyar kehte hain to haan
Maine bhi kissi se pyar kiya tha...

Asif
09-23-2007, 07:30 PM
Tanha aesh kay khawab na bun
Kabhi humari bat bhi Sun
Thora ghum bhi utha piyare
Phool chune hain Khar bhi chun
Sukh ke Neendain Sone wale
Mehroomi kay rag bhi sun

Tanhai main teri yad
Jese aik sureli dhun
Jese chand ke thandi loo
Jese kiranoun ke gun mun
Jese jal pariyoun ka nach
Jese payal ke jhun jhun

Asif
09-23-2007, 07:30 PM
Fursatoon main phir milna
Beshumar batain hain
Jo tumhain batana hain
Aur tum ko jana he
Is tarhan ki BAtain to fursatoon main hoti hain
Fursatoon main phir milna

Tum ko kia batain hum
Aur kia chupain hum
BAat chund lafzoon main
Ye khatam nahi hogi
Dastaan-e-gham hai ye
Jitna muqtasir kerlo
Itne kum nahi hogi

khuwab kaise hote hain
Inko kaise bunte hain
zindagi ke naqshe main
rang kaise bherte hain
Roozo shab khayaloon main
kis tarhan guzertay hain
aur phir lamhoon main............
Rang kion bikhertay hain
khwab kaise mertay hain
rooh se siwa hoker
jaan o dil juda hoker
saans kaise laite hain
choor hoke zakhmoon se
kaise muskurate hain
zindagi bina marzi
kis tarhan bitate hain
Is tarhan ki batain to
fursaatoon main hoti hain
aur tum ko jaldi he
fursatoon main phir milna

Asif
09-23-2007, 07:30 PM
Ab Agar Aao To Jaane ke Liye Mat Aana
Sirf Ahsaan Jataane ke Liye Mat Mana

Maine Palkon Pe Tamannaen Saja Rakhi Hain
Dil Par Umeed ki 100 Rasmen Jala Rakhi Hain
Ye Hanseen Shamen Bujhaane ke Liye Mat Aana

Pyar ki Aag Main Zanjeer Pighal Sakti Hai
Chahne Walon ki Takdeer Badal Sakti Hai
Hoon Bebas Ye Batane ke Liye Mat Aana

Mujhse Milne ki Agar Tumko Nahi Chahat koi
Tum Sirf Rasmen Nibhane ke Liye Mat Aana

Asif
09-23-2007, 07:30 PM
Pehli pehli muhabbaton ka humaar
baaton baaton me raat dhal jaaye

ab k dil me wo dard utra ha
gair mumkin ha aajkal jaaye

zindagi khush ha ter waadon per
jaise bache ka dil behel jaaye

hijr ki raat dhal gai "mohsin"
ab to dil se kaho sambhal jaaye ..

Asif
09-23-2007, 07:31 PM
Aankon me itne ask they k chupa bhi na pae ,
koshish to boht ki magar usay bula bhi na paya;

sanson ki dor jurhi thi kuch isterha se us se,
k chah ker bhi usay me kabhi tor na paya;

anaa k hathon kuch majboor hue me itna,
k chah ker bhi me usay kabhi chah na paya;

dil ne to boht chaha usey magar,
khuda se mang ker bhi me usay mang na paya;

us se to door ho gaya umer bhar k liye magar,
dil se kabhi me usay utaar na paya;

aankho me itne sapne sajaay thae kabhi,
k chah ker bhi usko me kabhi mita na paya;

dil ki diwaron per naam uska jara hai kuch isterha se,
k chah ker bhi wakt ki dhool usay kabhi bhar na paya

Asif
09-23-2007, 07:31 PM
vo savaa yaad aaye bhulaane ke baad
zindagii badh gaii zahar khaane ke baad

dil sulagataa rahaa aashiyaane ke baad
aag thandii huii ik zamaane ke baad

raushanii ke liye ghar jalaanaa padaa
kaisii zulmat badhii tere jaane ke baad

jab na kuchh ban padaa arz-e-gam kaa javaab
vo khafaa ho gaye muskuraane ke baad

dushmanoun se pasheman honaa padaa hai
dostoun kaa khuluus aazamaane ke baad

bakhsh de yaa rab ahal-e-havas ko bahisht
mujh ko kyaa chaahiye tum ko paane ke baad

kaise kaise gile yaad aaye 'Khumar'
un ke aane se qabl un ke jaane ke baad

Asif
09-23-2007, 07:31 PM
Wahi lekhta raha houn zindagi bhar
Jo din main roshni mehsoos ke hai
Kabhi tum nay bhi mera ziker sun kar
Ajab se aik khushi mehsos ke hai

Asif
09-23-2007, 07:31 PM
dil ki dharkan hai khayaloon maiN merey rehta hai
koun hai wo jo sawaaloon main merey rehta hai

jisko dekha na kabi us sey wafa karta hooN
dil ke aainey mai maiN us se mila karta hooN

maiN nahi janta ye kis ki talab hai mujhko
kis ka armaaN iraadoN maiN merey rehta hai

khawaab hai wo mera taabeer dilaouN kesey
apni hasrat ko maiN taqdeer bana'ooN kaisey

mujh ko milta hai sakoon uska tassawar karke
wo ishara jo isharooN maiN merey rehta hai

kis ki tareef maiN likhi ye ghazal kiya janoo
kis ko kehta hooN mohabat ka kanwal kiya janoo

maiN tu bas aik hi umeed maiN rahta hoon sada
us ko dekhoon jo nazrooN maiN merey rehta hai

Asif
09-23-2007, 07:31 PM
Aisi Hi Sard Shaam Thi Voh Bhi
Jab Voh Mahandii Rachaaye Haathon Mein
Apani Aahat Key Khauf Sey Larazaan
Surkh Aanchal Meen Muunh Chupaaye Hue
Apaney Khat Mujh Sey Leney Aai Thi
Us Ki Sehemi Hui Nigaahon Mein
Kitni Khaamosh Iltijaayen Theen
Us Key Chehrey Ki Zard Rangat Mein
Kitni Majbuuriyon Key Saaye They
Merey Haathon Sey Khat Pakadatey Hi
Jaaney Kya Soch Kar Achaanak Voh
Mera Shaana Pakad Kar Roi Thi
Us Key Yaaquut Rang Honton Key
Kap-Kapaatey Huey Kinaaron Per
Sainkdon An-Kahey Fasaaney They
Sard Shaamon Mein Der Tak Aksar
Jab Yeh Manzar Dikhaai Deta Hai
Ek Lamha Hinaai Haathon Sey
Mujh Ko Apani Taraf Bulaata Hai
Hum-Nashiin Ruuth Kar Na Jaa Mujh Sey
Aisi Hi Sard Shaam Thi Voh Bhi

Asif
09-23-2007, 07:32 PM
meri zubaaN se meri daastaaN suno to sahi
yaqeeN karo na karo meherbaaN suno to sahi


chalo ye maan liya mujrim-e-mohabbat hain
hamaare jurm kaa hamase bayaaN suno to sahi


bano gy dost mere tum bhi dushmano ek din
meri hayaat ki aah-o-fuGaaN suno to sahi


labon ko sii ke jo baiThy hain bazm-e-duniyaa mein
kabhi to un ki bhi KhamoshiyaaN suno to sahi


kaho ge waqt ko mujarim bhari bahaaron mein
jalaa tha kaise mera aashiyaaN suno to sahi.

Asif
09-23-2007, 07:32 PM
Hum nazuk nazuk dil waley,
kabhi hanstey hein kabhi rotey hien,
kabhi dil mein khawab protey hein,
kabhi mehfil mehfil phirtey hein,
kabhi zaat mein tanha hotey hien,
kabhi chup ke mohar sajate hein,
kabhi geet labon par hotey hien,
kabh zaat mein tanha hotey hein,
kabhi sub ka dil behlatey hien,
kabhi shab bhar jagtey rehtey hein,
kabhi lambi taan kar sotey hein,
hum kahan kisi ka hotey hein,
HUM NAZUK NAZUK DIL WALEY.

Asif
09-23-2007, 07:32 PM
kabhi jo mujh ko talaash kerna
tou chand raaton ki chandni main
Gul-e-chaman say sawal kerna
udaas kiun ho??
kiun oos-Qatron main apnay aanso
chupaa rehay hoo
haseen mousam main kis ki yadoon main
apnay dil ko jala rehay hoo
Gul-e-chaman yeh sawal sun ker
tumhari aamad ka haal sun ker
kehay ga tum jis ko khoojtay hoo
woo in baharoon ki sari khushboo
churaa kay abb ik nay chaman main
Mehek raha hay
udaas ker kay yahan pay hum ko
kisi chaman main chehek raha hay
Gul-e-chaman ka yeh haal sun ker
tumhain lagay ga main baywafa hoon
udaas kalioon ko choor ker main
nai baharoon ko dhoondta hoon
mager haqeeqat main is chaman kay
tamaam phoolon ki khwahishon kaa
aur in ki nakkam kavishoon ka
haseen mousam ki barishoon ka
naa meray dil per aser hoa tha
naa meray dil per aser hoa hay
main aaj bhi ik nay chaman main
puranay qissay suna reha hoon
joo mere chahat ka devtaa tha
abhi bhi us ko hi poojta hoon
yaqeen nahi tou palat kay dekho
waheen khara tha,waheen khara hoon

Asif
09-23-2007, 07:32 PM
Har mossum main shaher ko tere
Khushi ka aik jazeerah sameja
Tere bin sawan ko sokha
Chandani rat ko tera samejha
Shyd nazroun ka dhookha tha
Main sheeshe ko heera samejha

Asif
09-23-2007, 07:33 PM
khuaab meri panah main hain"
bas mera chalta nahi jab sakhtiye ayyam par
fatah pa sakta nahi jab yorish e aalaam par
apnay in k darmiyaan deewar chun daita hoon main
is jahan e zulm par ik khuaab bun daita hon main

Asif
09-23-2007, 07:33 PM
Hum ne to khair tujh se shikayat kabhi na ki
Aisa nahin k dil nay baghavat kabhi na ki

Kis haal main hain tere satay huay ghereeb
Tu nay yeh poochnay ke zehmat kabhi na ki

Mehsoos kia keray ga wo auron k derd ko
Jis nay khud apnay aap say ulfat kabhi na ki

Chaha hai main jis ko bari shidaton k sath
Oss terha say us nay mujh say mohabbat kabhi na ki

Her dastan teri bohut ghor say suni
Lakin bayan apni hakayat kabhi na ki

AIk khuab tha k apni shabon per raha muheet
Kiya khuab tha? kisi say wazahat kabhi na ki

Aik aag thi k jaltay rahay jis main umer bher
Aik dard tha k jis main khayanat kabhi na ki~!!

Asif
09-23-2007, 07:33 PM
Koi Kuch Bhi Na Kahe To Pata Kya Hai
Is Bechain Khamosi Ki Wajah Kya Hai
Unhe Ja Kar Kahe Koi Hum Pee Lenge Zahar Bhi
Wo Sirf Itna Bata De Ki Meri Khata Kya Hai

Asif
09-23-2007, 07:33 PM
Rat bay raham na thi,rastay dishwar na thay
Warna ban jatay hasa,warna diya ho jatay

Hum jo bhatkay hain to fir asal ko lout aaey hain
Teer ban ker jo niklatay to qazaa ho jatay

Koi husrat hi nahi warna yeh bikhray say harf
Iss qareenay say parota kay dua ho jatay

Asif
09-23-2007, 07:33 PM
Khuub pahachaan lo asrar huu.N mai.n
jins-e-ulfat kaa talab_gaar huu.N mai.n

ishq hii ishq hai duniyaa merii
fitanaa-e-aql se bezaar huu.N mai.n

chhe.Datii hai jise mizaraab-e-alam
saaz-e-fitarat kaa vahii taar huu.N mai.n

aib jo haafiz-o-Khayyaam me.n thaa
haa.N kuchh is kaa bhii gunah_gaar huu.N mai.n

zindagii kyaa hai gunaah-e-aadam
zindagii hai to gunah_gaar huu.N mai.n

merii baato.n me.n masiihaa_ii hai
log kahate hai.n ki biimaar huu.N mai.n

ek lapakataa huaa sholaa huu.N mai.n
ek chalatii hu_ii talavaar huu.N mai.n

Asif
09-23-2007, 07:34 PM
hamara kyaa hai keh hum tou charagh-e-shab kii tarah
agar jalay bhii tou bus itni roshnii hogi
keh jaisay tund andhairon kii raah main jugnoo
zara sii dair ko chamkay chamak kay khoo jaye
phir uss kay baad kisi ko na kuch sujhayee day
na shab katay na suragh-e-sehar dikhayee day

hamara kyaa hai keh hum tou pas-e-ghubaar-e-safar
agar chalay bhi tou bas itnii raah tay hog
keh jaisay taiz hawaon kii zad main naqsh-e-qadam
zara sii dair k ubhray ubhar kay mit jaaye
phir uss kay baad na rastaa na rah-guzar milay
had-e-nigah talak dasht-e-bekinaar milay

hamarii simt na dekho keh koii dair main hum
qabeela-e-dil-o-jaan say bicharrnay waalay hain
basay basaaye howay shehar apnii ankhon kay
misal-e-khaanaa-e-veeraan ujarrrnay walay hain
hawa kaa shor yehii hai tou dekhtay rehnaa
hamarii umar kay khaimay ukharrnay walay hain

Asif
09-23-2007, 07:34 PM
Hajoom-e-ghum say jis dam aadmi ghabra sa jata hai
to aisay main
usay awaz pay qaboo nahi rehta
wo itnay say faryaad karta hai, cheekhta aur bilbilata hai
kay jaisay wo zameen par aur Khuda ho aasmanoon main
magar aisa bhi hota hai
keh uski cheekh ki awaz kay ruknay say pehlay hi
Khuda kuch is qadar nazdeek say aur is qadar
rehmat bhari muskaan say usko thapakta aur us ki baat sunta hai
keh faryadi ko apni cheekh ki shid'dat
sada ki baiyaqeeni par nadamat honay lagti hai~!!

Asif
09-23-2007, 07:34 PM
abr-e-bahaar ne
phool ka chahraa
apne banafshee haathoN meN lai kar
aise choomaa
phool ke saaray dukh
khushboo ban kar bah niklay !

Asif
09-23-2007, 07:34 PM
tum ab ager mill bhi jao
too kia hasil
ke ab hum zindgi ke us moor per hain
jahan humain kisi cheez ki khawahish nahi
na tumhain panay ki na kho denay ki
na hasnay ki na roo denay ki
tumhain maloom hai
ke khawahishoon ki ik umr hoa kerti hai
meri tamam khawahishain maar chuki hain
aur tum bhi unhi khawahishoon main shamil hoo

Asif
09-23-2007, 07:35 PM
Naee hikayat muhabbaton ki
Shikayatoon ki
Bhujhe bhuje se haroof le kar
Kohar mein doobi seyyahoon ki
Warq warq per utaarna hai
Udaas shamoo ke phool chun kar

Suno December
Ussay pukaaro
Ussay bulaaoo
Suno December ... Ussay mila do
Ab is se pehlay ke saans niklay
Ab is se pehlay ke saal guzray
Wohi lakeerain wohi sitaara
Meri lakeeroon mein qaid kar do
Ya aakhri shab ke aakhri pal
Koi bara ikhtitaam kar do
Yeh zindagi bhi tamaam kar do
Suno December ... Ussay mila do...

Asif
09-23-2007, 07:35 PM
Kya mangu khuda se tume pane ke baad
Kiska karu intizar zindagi main tere aane ke baad
Kyun pyar me jaan luta deta hai log
Mujhe maloom hua tumhe apna banane ke baad

Asif
09-23-2007, 07:35 PM
meray kamray main ka'i tasweerain hain
kuch deewaar pay awaizaan hain
do ik table pay rakkhi hain
magar sab bolti hain
meri tanhai main aksar yeh
wajood e makhfi ki sargooshi
bara rass gholti hain
kay mujh say bolti hain
sunno yeh na samajhna keh
yahaan koi naheen saathi
koi gham ho, koi masala
hamain awaaz delena
hamain woh raaz dedena
hamain bejaan samajhnay ki
kabhi bhi bhool na karna
kabhi khudd ko bhulla do tu
hamain awaaz delena
hammain rastoon ka pata hay
kay yadoon kay safar pay
hum tumharay saath niklay thay

NonStopLeo
09-24-2007, 12:15 AM
Very Nice Collection

Asif
09-25-2007, 08:38 AM
Koi Kuch Bhi Na Kahe To Pata Kya Hai
Is Bechain Khamosi Ki Wajah Kya Hai
Unhe Ja Kar Kahe Koi Hum Pee Lenge Zahar Bhi
Wo Sirf Itna Bata De Ki Meri Khata Kya Hai

Asif
09-25-2007, 08:39 AM
Rat bay raham na thi,rastay dishwar na thay
Warna ban jatay hasa,warna diya ho jatay

Hum jo bhatkay hain to fir asal ko lout aaey hain
Teer ban ker jo niklatay to qazaa ho jatay

Koi husrat hi nahi warna yeh bikhray say harf
Iss qareenay say parota kay dua ho jatay

Asif
09-25-2007, 08:39 AM
Khuub pahachaan lo asrar huu.N mai.n
jins-e-ulfat kaa talab_gaar huu.N mai.n

ishq hii ishq hai duniyaa merii
fitanaa-e-aql se bezaar huu.N mai.n

chhe.Datii hai jise mizaraab-e-alam
saaz-e-fitarat kaa vahii taar huu.N mai.n

aib jo haafiz-o-Khayyaam me.n thaa
haa.N kuchh is kaa bhii gunah_gaar huu.N mai.n

zindagii kyaa hai gunaah-e-aadam
zindagii hai to gunah_gaar huu.N mai.n

merii baato.n me.n masiihaa_ii hai
log kahate hai.n ki biimaar huu.N mai.n

ek lapakataa huaa sholaa huu.N mai.n
ek chalatii hu_ii talavaar huu.N mai.n

Asif
09-25-2007, 08:40 AM
phirate hain kab se darbadar, ab is nagar ab us nagar
ek duusare ke ham_safar, main aur merii aavaaragii
naa aashanaa har rah_guzar, naa mehar_baaN hai ek nazar
jaayen to ab jaayen kidhar, main aur merii aavaaragii

ham bhii kabhii aabaad the aise kahaaN bar_baad thay
bifikr the aazaad the masaruur the dil_shaad thay
vo chaal aisi chal gayaa ham bujh gaye dil jal gayaa
nikale jalaa ke apanaa ghar main aur merii aavaaragii

vo maah-e-vash vo maah-e-ruuh vo maah-e-kaamil huubahuu
thiin jis kii baaten kuu_ba_kuu us se ajab thii guftaguu
phir yuuN huaa vo kho gaii aur mujh ko zid sii ho gaii
laayenge us ko DhuuND kar main aur merii aavaaragii

ye dil hii thaa jo sah gayaa, wo baat aisii kah gayaa
kahane ko phir kyaa rah gayaa ashkon kaa dariyaa bah gayaa
jab kah kar wo dil_bar gayaa, teere liye main mar gayaa
rote hain us ko raat bhar, main aur merii aavaaragii

ab Gam utahaayen kis liye, ye dil jalaayen kis liye
aaNsuu bahaayen kis liye, yuuN jaaN gavaayen kis liye
peshaa na ho jis kaa sitam, DhuuNdenge ab aisaa sanam
honge kahiin to kaar_gar, main aur merii aavaaragii

aasaar hain sab khoT ke, imkaan hain sab *** ke
ghar band hain sab koT ke, ab Khatm hai sab ToTake.
qismat kaa sab ye khel hai, andher hii andher hai
aise hue hain be_asar, main aur merii aavaaragii

jab ham_dam-o-ham_raaz thaa, tab aur hii andaaz thaa
ab soz hai tab saaz thaa, ab sharm hai tab naaz thaa
ab mujh se ho to ho bhii kyaa, hai saath vo to vo bhii kyaa
ek behunar ek besabar, main aur merii avragiiiii

Asif
09-25-2007, 08:40 AM
Hamary Shehar k Atraaf Mein To
Sakht Pehra Tha Khizaon Ka
Aur Iss Shehar-e-Preshan Ki Faseelein
Zard Bailoon Se Ladi Thin
Aur Un Mein Na Khushboo Thi,Na Koi Phool Tum Jaisa
Mehak Uthtey Hamary Deeda-o-Dil Jis Ki Qurbat Se
Hum Aisy Shehar Ki Sunsaan Galioon Mein
Kisi Sookhy Hoye Veeran Pattay Ki Tarah Se Thy
k Jab Zalim Hawa Hum Per Qadam Rakhti
To Uss k Paaon k Neechay Hamara Dam Nikal Jata
Magar Pat Jharr Ka Vo Mousam
Suna Hay Tal Chuka Ab To
Magar Jo Haar Hona Thi
So Vo To Ho Chukii Hum Ko

Asif
09-25-2007, 08:40 AM
main jab doob ke likhta hoon
sab loog mujh se ye kehtay hain
nazmoon se ishq khuda jaisa
ghazloon main kaif udasi ka
kis dost nay tum ko soompa hai
mera ik jawab humesha hai
ik shaks jo sher main aaya tha
kuch rooz wo mere sath raha
mujhe lehjay ki amrat ras main
us nay kuch aisa rang dia
her nazuk dil mooh lenay ka
mere lafzoon ko aahang dia
phir soch ke tanay banay main
uljha ker mujh ko choor gia
kuch din se us ki yaad yoon hi
is dil pe dastak deti hai
aur paoon main zanjeer pari
kab hum ko janay deti hai
kab dil main us ki aas nahi
ye baat alag wo pass nahi

Asif
09-25-2007, 08:40 AM
tum is tarah meri aadatoon main shamil hoo
jis tarah Khuda ibadaton main shamil hoo

teri yaad nahi hai too bohat khush hoon
tujhe bhoolna bhi jaise rahatoon main shamil hoo

wo tanha mujhe choor ker chala gia aisay
bichar jana bhi jaise chahatoon main shamil hoo
_________________

Asif
09-25-2007, 08:41 AM
Chahta Hoon Keh Bhool Jaoon Tumhain
Or yeh Sab Dareecha Haye Khiyal
Jo Tumhari Hi Simt Khultey Hain
Band Ker Doon Kuch Is Tarah Keh Yahan
Yaad Ki Ik Kiran Bhi Na Aa Sakey
Chahta Hoon Keh Bhool Jaoon Tumhain
Or Khud Bhi Na Yaad Aaoon Tumhain
Jaisey Tum Sirf Aik Kahani Theen
Jaisey Main Sirf Aik Afsana Tha

Asif
09-25-2007, 08:41 AM
Jantey to hum b thay
Mantey to hum b thay
Itnee teez andhi main kab chiragh jaltey hain
Dil magar machlta hey
Dil ki zid ko kya kayee
Ab k hum ne socha hey
Kam nafas chiraghoon main
Aik chiragh aesya b jal k hum jalain gey
Tund khoo hawain bhi
Is ko jab bujhain gee
Dil b bujh jaye ga

Asif
09-25-2007, 08:41 AM
Chalo ik kaam kertay hain
muhabat aam kertay hain

tumhain jab sochtay hain hum
subha se sham kertay hain

meri khushian ye tum le lo
tumharay naam kertay hain

Asif
09-25-2007, 08:42 AM
Jo baat nahi kertay
un boltay rangoon main
main nay tumhain socha hai
jo dil se guzartay hain
un ajnabi rastoon main
main nay tumhain dekha hai

kehnay ke liye tum se
batain too bohat se hain
ilfaz nahi miltay
jo meri nazar main hain
is sher ke baghoon main
wo phool nahi khiltay

main nay tumhain jana hai
izhar ke rishtoon se
is tarah juda ho ke
jis tarah koi banda
dharti pe nazar dalay
ik baar Khuda ho ke

Asif
09-25-2007, 08:42 AM
sham ki haweli main
subah k mehakney ki, bay yaqeen si baten
kuch azab mazi k
guftagoo ka hisa thay
kuch sawal KHWABON k
kuch KHWAB ankhon nay
mushtarik say jazbon k
aa'inon main dekhey thay
a'inay tu suchey thay

aur wo mulaqaten
char chhe mulaqaten
jin main teri baton ki barishon k mosam nay
jitnay jhoot boley thay
sham ki haweli main
jitnay zehar gholey thay

tera bay wafa lehja dheyan main jub aata hay
tub sawal kerti hain
meri umer ki raten
ik baras k arsey main
char chhe mulaqaten~!!

Asif
09-25-2007, 08:42 AM
kholo kholo apni ankhen aur gor se suno
dene ko to bohat kuch hai par apna sa kuch dena chahti hon
aik boond suraj ki
aik qatra aasman ka
koyal ki adhi kook
aur kuch sapne jagmagate
acha lage to aur mango dena ko to bohat kuch hai
par apna sa kuch dena chahti hon
aasman sa aaieena
aik dibbi titliyon ki
aik chamach nadi ki dhar
aur aik muthi zindagi
acha lage to aur mango dene ko to bohat kuch hai
par apna sab kuch dena chahti hon

Asif
09-25-2007, 08:43 AM
Mila Jo Teri Mohabbat Mein Woh Ghum Seh Na Sakay
Door Reh Kay Bhi Tujh Say Dhoor Maghar Reh Na Sakay

Hum Apnay Ghaam Ki Kahani Sunaa Nay Aayeh Thay
Sunee Jo Tairee Kahani Tho Apni Keh Na Sakay

Tumharay Pyaar Mein Marna Tu Bohat Dhoor Ki Baat
Tairay Ashkoon Ke Samandar Mein Bhi Hum Beh Na Sakay

Dil Nay Chaha Kay Tumhain Pyaar Ka Izhaar Karoon
Zaaban Pay Ayee Huee Baat Maghar Keh Na Sakay

Tumharee Bazam Mein Haalaat Hi Kuch Aisay Tay Kay
Na Hum Bol Sakay Aur Chup Bhi Reh Na Sakay

Asif
09-25-2007, 08:43 AM
gahe gahe bas ab yehi ho kya
tum se mil kar bohat khushi hi kya!
mil rahi ho barey tapak ke sath
mujh ko yaksar bhula chuki ho kya!
bas mujhe yon hi aik khayal aya
soochi ho to soochti ho kya!
ab meri koi zindagi hi nahen
ab bhi tum meri zindagi ho kya!
kya kaha ishq jawedani hai
akhiri baar mil rahi ho kya!

Asif
09-25-2007, 08:43 AM
Unki har baat dil lubhaati hai,
Har adaa , har khataa bhi bhati hai.
Dil mai.n mere khayaal aaye to,
Baat unki zubaa.n pe aati hai .
Paas baithe.n to aisa lagataa hai,
Jaise woh har janam ki saathi hai.n
Sab Mere haal par pareshaan hai.n
Ek woh hain ki muskuraati hai.n .
Geet meraa likhaa hi hai shaayad,
Woh jo haule se gun gunaati hai.n ,

Asif
09-25-2007, 08:43 AM
Andheri raat main shama jalana bhool jatay ho
Hamari yaad aati hai bhulana bhool jatay ho

Jo ahsan tum samajhte ho wo ahsan to nahi mugar
Jab ahsan karte ho jatana bhool jatay ho

Tumhari ik yehi adut pereshan hum ko rakhti hai
Nazar main to aajate ho samana bhool jate ho

Hamain mehsoos hota hai hamare qurb main aakar
Jo tanhai main beeti hai sunana bhool jate ho

Tumhare haath main aksar gulabi phool hota hai
Hamari rah main lekin bichana bhool jate ho

Tumhain to laut kar janay ki aksar fikar rehti hai
Magur jab laut jatay ho to ana bhool jate ho

Suna hai tum apni hatheli per hamara nam likhte ho
Magar jab hum say milte ho dikhana bhool jate ho
_________________

Asif
09-25-2007, 08:43 AM
Chalo ye raat ham ik dosray ke naam kartay hain,
Chalo ik dosray ke aj ham dukh dard suntay hain,
Bhataktay ho kiun tum tanha sitaron ke jhamelon men,
kaho jo dil men aata hay hamatan gosh sunte hain,
Buhat ghamgen rehtay ho hazaron dard sehtay ho,
tumhari dharkanon men ik ajab sa shor suntay hain,
Chalo acha yon kartay hain,
Suno tum ham sunatay hain,
Ham apnay dil k har ik zakhm se parda uthatay hain,
Dikhatay hain tumhen tanhiyan kia zulm dhati hain,
Jhalak har pal daro dewar men uski dikhati hain,
Hamen har pal satati hain har ik lamha rulati hain,
Hamri sanson men tehlil hay khushbo wohi ab tak,
Hamen har phol se mehkar un sanson ki ati hay,
Buhat mushkil si hoti ja rahi hay zindagi mere,
Taraptay hain sulagtay hain magar khamosh rehtay hain,
Chalo ye rat ham ik dosray ke naam kartay hain,
Chalo ik dosray ki aj ham tanhaiyan banten~!!

Asif
09-25-2007, 08:44 AM
justajuu khoye huon kii umr bhar karate rahe
chaand ke ham_raah ham har shab safar karate rahe

raaston kaa ilm thaa ham ko na simton kii Khabar
shahar-e-naamaaluum kii chaahat magar karate rahe

ham ne Khud se bhii chhupaayaa aur saare shahar se
tere jaane kii Khabar dar-o-divaar karate rahe

vo na aayegaa hamen maaluum thaa us shaam bhii
intazaar us ka magar kuchh soch kar karate rahe

aaj aayaa hai hamen bhii un uraanon kaa Khayaal
jin ko tere zaum mein be-baal-o-par karate rahe

Asif
09-25-2007, 08:44 AM
udaas raatoon main dil ki basti main aa ke dekho
her aik rasta , her ik dareecha
tumhari aahat ka muntazir hai
falaq se takta hai chaand tum ko , sitare tum ko bula rehe hain
tumhari aamad ke muntazir hain
mager suna hai keh tum ne meri muhabbatoon ko bhula diya hai
wafa ki low ko bhuja diya hai
ager yeh sach hai to phir bataaoo
tumhari aankhoon ke yeh jazeeray
brang sehara udaas kiu hain
gulab chehre ke rang main shamil
udaasiyoon ke haras kiu hain
tumhare sheerin laboon pe larzaan
muhabbatoon ki yeh piyaas kiu hai
mujhe yaqqeeen hai tumhare dill main
gaye dino ke khayaal hain kuch
naye safar ke mallal hain kuch
nai rutoon k sawaal hain kuch
ager yeh sach hai
to meri maanoo
puuraane raste pe loat aaaoo
puuraaani bastii main koi abb tak
tumhaari aamad ka muntazir hai
tumhari chaahat ka muntazir hai

Asif
09-25-2007, 08:44 AM
is vaqt to yuun lagataa hai ab kuchh bhii nahiin hai
mahataab na suuraj na andheraa na saveraa
aankhon ke dariiche mein kisii husn kii jhalakan
aur dil kii panaahon mein kisii dard kaa Deraa
mumkin hai koii vaham ho mumkin hai sunaa ho
galiyon mein kisii chaap kaa ek aaKhirii pheraa
shaaKhon mein Khayaalon ke ghane per kii shaayad
ab aake karegaa na koii Khvaab baseraa
ik bair na ik mahar na ik rabt na rishtaa
teraa koii apanaa na paraayaa koii meraa
maanaa ki ye sun-saan gharii saKht barii hai
lekin mere dil ye to faqat ek gharii hai
himmat karo jiine ko abhii umr parii hai

Asif
09-25-2007, 08:44 AM
Phir wohi main,wohi tu
Phir wohi shaam, wohi tanhai
Phir wohi geeet,wohi jankhar
Phir wohi baat,wohi raaz
Phir wohi din,wohi raat
Phir wohi gham,wohi aass
Phir wohi rang, wohi roop
Phir wohi agaz,wohi anjam
Phir wohi main,wohi tu
Phir wohi sur,wohi sangeet
Phir wohi jaan,wohi pahchan
Phir wohi log,wohi khuda
Phir wohi main,wohi tu
Phir wohi shaam,wohitanhai
Phir wohi yaad,wohi naam
Phir wohi paal,wohi lamhay
Phir wohi tum,wohi main
Phir wohi ruthna,wohi manana,
Phir wohi aakar ,wohi dur jana
Phir wohi hansii, wohi rona
Phir wohi main, wohi tu,
Phir wohi sham,wohi Tanhai

Asif
09-25-2007, 08:45 AM
Tere daman ke liye phool chunne ki hos may
Kitne kante the chube dil may kooi kiya jane

Asif
09-25-2007, 08:45 AM
Dhondnay jis mein zindagi nikli
Wohee us shakhs kee gali nikili

Teray lehjay mein tha nahee kia kuchh
Sirf such kee zara kami nikli

Woh jo legti thi kanch ki guriya
zZarb perhnay pe aahini nikli

us haveli mein shaam dhelnay per
her dereechay se roshni nikli

Woh hawa tu nehi thi lerki thi
Kis liye itni sirphri nikli

Woh teray asmaan ka kia kerti
Jis ki mitti se dosti nikli

Asif
09-25-2007, 08:45 AM
inn ansoo ki bhi ha zaban
pukaree tuj ko herr pal
per tu masroof ha tamasha dekhnay mai
chup reh ker azma raha ha mujhay
yaad rakhna ki ansoo na hoge kabhi katham
aisa na ho ki kul koi samander ho teri rah mai
woh samander nahi mere ansoo ruke ge tujhe
ha yaqeen ki tu sang dil koi aur rasta lee ga dhond
perr yaad rakhna ki herr rastay mai tuj ko na milee ga
jo chaheye tujha itna toot ker
meray ansooyon ki kashish
shayad lee ayee tujhe merray daaar
meray ansoyoun ki koi kemat nahi teri nazar mai
yaad rakhna ki meray ansoo ha buhut anmol

Asif
09-25-2007, 08:45 AM
meri wafa ke qabil nahiN ho tum
pyar mile aise insaaN nahiN ho tum
dil kyon tum par aitabaar kare
pyar main dhoka de aise bewafa ho tum

Asif
09-25-2007, 08:46 AM
Tum bin adhura hu mai .......
khuli kitab ka gayab panna hu mai .....
zinda hu mai tum bin ye socho kabhi....
tujhe chahker jaise khudko bhula hu mai ........

Asif
09-25-2007, 08:46 AM
Wo na door hai na qareeb hai
Ye jo hijr hai ye naseeb hai

Jo visal tha vo to Khvab tha
Ye Khayal kitana ajeeb hai

Wahi ansoo.un mn, duaon mn
Wahi dukh sukh mn qareeb hai

Jo main sochata hoon kah sakun
Mera harf harf raqeeb hai

Ye falak zameen ko sameT le
Mera dil bhi kitanaa Gariib hai

Asif
09-25-2007, 08:46 AM
Mujhe phool na dena mujhe un se nafrat hai
Dena hai to kaante de dena mujhe un ki aadat hai
Woh chubte hain zakham dete hain imandari se
Phool to bewafa hote hain dhoka dete hain wafadari se

Asif
09-25-2007, 08:46 AM
raat ne jalti tanhai main
andheron ke jaal buney they
deewaron par tareeki ki gard jami tho
khusbu ka ehsas fiza main toot raha tha
ghar aangan khamoshi oorhay jaag rahi tha
darwazey banhey phailaye oongh rahe they
duur samandar paar hawaian badlon se baatein karti theen
aise main ik neend ka jhonka
lehar bana aur guzar gaya
phir aankh khuli to
is mausam ki pehli baarish
aur teri yaadein
dono mil kar
tooot kar barsii--

Asif
09-25-2007, 08:46 AM
Dekho tumhari chah main
hum jee rahain hay kiss tarha
keh
naa hosh hay naa khabar koi
naa hay rasta naa safar koi
naa hain mushkeelain naa bhanwar koi
Bass intezar hee intezar
keh
to kabb karay gaa ikk nazar
orr bolay gaa yeah satar
"HAMAIN TUM SAY PIYAR"
HAMAiN TUM SAY PIYAR"
dekho tumhari chah main
hum jee rahay hain
kiss tarah

Asif
09-25-2007, 08:47 AM
KHUDA se husn ne ek roz yeh sawal kiya
jahan mein kiyon na muje toune lazawal kiya
mila jawab k tasveer khana hai duniya
shab daraaz e adam ka fasana hai duniya
hoi hai rang e taghayur se jab namodas ki
wohi hasee'n hai haqeeqat zawal hai jis ki
kahiin qareeb tha yeh ghoftagu qamar ne sunni
falak pe aam hoi akhtar saher ne sunni
saher ne tarey se sunn ker sunnayii shabnam ko
falak ki baat bata de zamee'n k mehram ko
bhar aaye phool k aansoo piyam e shabnam se
kalii ka nanna sa dil khoon ho gaya gham se
chaman se roota howa mausam e bahar gaya
shabab saeer ko aaya tha souguwar gaya

Asif
09-25-2007, 08:47 AM
Basi hain ajab khawashain mere dil main
Mujhe chahe jane ki khawaish nahi hai
Hameisha rahe woh mere samne bas
Main us se kahoon aur woh mujh ko sune bas
Mere dil main utre yeh hasrat nahi hai
Basi hain ajab khawaishein mere dil main
Mujhe chahe jane ki khawahish nahi hai
Woh khud hi ho ruswa khudi maan jaye
Jo main rooth jaon to mujh ko manaye
Mere paas aaye zara muskaraye
Jo main ro paroon to woh aansoo bahaye
Dopatte ke pallu se meri bheegi palkon k aansoo samete
Mere paas baithe
Mujhe batlaye, Mujhe samjhaye
Yeh har pal udaasi kuch achi nahi hai
Tumhari nigahon main rim jhim yeh shabnam
Kuch sajti nahi hai
Nahi chahta main k woh mujh ko soche
mujhi ko woh chahe
Mujhe apne jeewan ka hissa banaye
Mujhe us ki chahat se matlab nahi hai
Us ki mohabbat ki chahat nahi hai
Haan khawahish hai jis ki
Hai woh lafz Tawajjah
Woh shab Dosti hai

Asif
09-25-2007, 08:47 AM
Aitebar
kachi dor se bandhi patang hai
jise wujood ki tamam-tar sachayyon se
urana hi mumkin hai
aur agar aitebar
aik bar toot jaye
to aziyat maut jaisi to nahi
lekin ghalib imkan yehi hai
k maut se kuch kam bhi nahi hogi

Asif
09-25-2007, 08:47 AM
Kis ehad ki batain kartay ho
Kab kon kissi ka hota hay
kab kon kisi ke chahat main
Youn zehar ka sagir peeta hay
Hijar Muhabat mehar -o- wafa
Sab rasmi rasmi batain hain
Har shaksh khudi ki masti main
Bas apni khatir jeeta hay

Asif
09-25-2007, 08:48 AM
Ijazat ho to teri aabroo ho jaon
Jesa tu chahey Hoo bahoo ho jaon

dil mein thi hamesha se ik khawahish
ke mein bhi teri arzoo ho jaon

tera mera talauq ho kuch iss tarha se
tu piyar ki ik kali, mein teri khushboo ho jaon

arzoo-e-dil k tere naam se mera naam ho
tera charcha banoon aur koo-bakoo ho jaon

Asif
09-25-2007, 08:48 AM
wafa ki khair manata hon bewafaee mein bhi
mein os ki qaid mein hon qaid se rihaee mein bhi
laho ki aag mein jal bujh gaye badan to kula
rasaee mein bhi khasara hai na rasaee mein bhi
badalte rehte hain mosam guzarta rehta hai waqt
magar ye dil ke wahen ka wahen judaee mein bhi
lihaz-e-hurmat peman na pass hum khawabi
ajab tarha ke tasadam thai aashnaee mein bhi
mein das baras se kisi khwab ke azab mein hon
wohi azab dar aya hai is dahaee mein bhi
tasadam dil-o-dunya mein dil ki haar ke baad
hijab ane laga hai ghazal saraee mein bhi
mein jaa raha hon ab os ki taraf osi ki taraf
jo merey sath tha meree shikasta paee mein bhi

Asif
09-25-2007, 08:48 AM
bas yoon hi rasmi rasmi sa
ik be-mafhoom taruf tha
us nay mera number mang lia
phir ik din telefone kia
phir fone kia
ik rooz thi barish zoroon per
badal garjay, bijli chamki
phir bondain barseen khirki per
tab us ka telefone aaya
be sakhta main nay us se kaha
barsat main tanhai ki saza
kyon deti ho
kyon kerti ho tum fone mujhe
kuch lamhoon tuk wo chup se rahi
phir kehnay lagi
jo aap ka dheema lehja hai
mujhe be-haad acha lagta hia
awaz jo aap ke hoonton se
tashna kanoon tuk aati hia
mujhe us ki yaad delati hia

Asif
09-25-2007, 08:48 AM
tuj ko badnaam na hone dein ge
ashk aankhoon k hi pe letey hain

kon duniya mein wafa kerta hai
naam e ulfat tou sabhi letey hain

hum tujey pa na sakhey kiya gila
log tanha bhi tou jee letey hain

Asif
09-25-2007, 08:49 AM
Meri Ankhoon Kay SAmandar main Jalan kaisi Hai
Ajj Phir Dil Ko Tarapnay Ki LaGan Kaisi Hai

Ab Kisi Chaat Pay Chiragon Ki Qatarin Bhi Nahi
Ab Teray Shehar Ki Galioyon Main Guthan Kaisi Hai

Baraf Kay Roop Main dhaal Jain ** Saray Rishtay
Mujh say Pocho Kay Muhabbat Main Agan kaisi Hai

Main Teray Wisal Ki Khuwahish Ko na Marnay Doon Ga
Mausam-e-Hijar Kay lehjay Main Takan Kaisi Hai

Raigzaron Main Jo Banti Rahi Kantoon Ki RiDa
Uss Ki Majboor Sii Ankhoon Main Kiran Kaisi hai

Mujhe Masoom si Pagal Larki Pay Taras ata hai
ussay Dekho Tu Muhabbat Main Magan Kaisi Hai

Asif
09-25-2007, 08:49 AM
Tum se mare bat hoi thi
tum nay muj ko samjhaya tha
appni zaat se baher niklo
gher ko loto
gher ko dekho
or bhi log tumharay daam se zinda hain
tum main appni sarri khushya
dekh rahay hain
souch liay hai
dekh liay hai
lot aya hoon
lekin meray andar koi tot gaya hai

Asif
09-25-2007, 08:49 AM
Uski yeh khamoshi aik sada hai
Jaise mohabbat uss ki juda hai
Bani ghum ki woh aik tasveer hai
Shayad yahi uski taqdeer hai
Kahan se laaye woh ussey bula kar
Jo chala gaya hai ussey rula kar
Uss ke bin na jaaney woh kaise jiye ja rahi hai
Ghum ke yeh ansoon yun hi buss piye ja rahi hai
Aisa na ho ke lautne mein ho jaaye buhaat dair
Aa jaoo tum kisi bhi sada ke baghair
Na ho aisa jab tum aaoo laut kar
To tum bhi yun hi bulaate raho ussey umar bhar

Asif
09-25-2007, 08:49 AM
Ankhon ko choh rahe hain sitaron ke narm hath
palkon pe aa ruki hai tamanna-e kehkashan
zulfon ke taar taar se phooti hain mastiyan
hoton ko chomti hai shararat se chadni
pairon ki laghzishen hain surahi ki hichkiyan
raston main har taraf hain gul-e-yasmeen khelay
khushbo main kiyon na bandh lain phoolon kay haar hum
suntee hain chandni younhi barsay gi raat bhar
mujh ko pukariye to zara ihtiyaat se
aisa na ho ki kanch ki deewaar gir pare
main khwaab ke safar main hon
aahista boliye

Asif
09-25-2007, 08:49 AM
Paani Se Mut Poocho
Pyaase Se Poochoo Ki
Pyaas Kya Hoti Hai.

Yadi Paani Ko
Gyan Ho Jaye
Pyaase Ki Pyaas Ka
To Shayad Vo
Behena Chore De

Rook Jaye, Thum Jaye
Aur Kahi Talab Bun ker
Dooshit Ho Jaye

Jub Se Insaan Ko
Apna
Gyan Ho Gaya Hai
Tabhi Se Vo
Talab Ki Terhe
Dooshit Ho Gaya Hai

Asif
09-25-2007, 08:50 AM
Keh Zindgi Ki Udaas Shaab Main
Na Tum Andharo'n Say Haar Jana
Kabhi Jo Dhuk Say Nidhal Hona
Tu!
Yaqeen Kerna
Main Apnay Hisay Ki Sari Khushiyan
Tumharay Naam Lhik Chuka Hoon

Asif
09-25-2007, 08:50 AM
Muhabat kiss ko kehtay hain
Hamay tum nay sikhaya tha
Ibadat kis ko kehtay hain yeh bhi tum nay bataya tha
Magar jab hum muhabat ki kisi wadi main kho-ay thay
Suhanay khawab mairi jaagti ankhoon main so-ay thay
Hamain tanha kiya tum ne koi awaz tak na dee
Humhain dhoondha bohat sapnay sajati mairi aankhooN ne
Buhat khushfehmian pali
Buhat hi door ja niklay
Jahan say loot anay main
Hamay ik umer lagni thee
To uss damm aik pal socha!
Keh kyun na hamm kuch door aur ja bhatkain
Kisi nayi oor ja niklain
Kisi kay sath phir hum bhee
Khail muhabat ka phir khailain
Kisi ka toor dain dill hum
Kisi ko sooz main daikhain
Magar mushkil pari hum ko
Keh hum pathar nahen balkay dharakta dill hi rakhtay hain

Asif
09-25-2007, 08:50 AM
phir hur-e-fay bahar ho beathay
janay kis kis ko aaj ro beathay

thi,muger ittni rahigaan b na thi
aaj kuch zindgi say kho beathay

teray dur tuk pohunch kay loot aayey
ishq ki abroo duboo beathay ............

sari duniya say door ho jayey
jo zara teray pass ho beathay

na gui teri bay rukhi na gui
hum teri arzoo b kho bethay

FAIZ hotta rahy jo hona hay
sher likhutay raha kuro bethay

Asif
09-25-2007, 08:51 AM
Mujhe koi aisa raasta bata
Ke jis per chal kar
Mein tujhe bhool sakoon
Ya phir
Mujhe koi aisi raah dikhlaa
Jis per chaltay huwe
Mein tere saath guzre huwe
Lamhoon ki rafaaqat
Ek khwaab samajh kar
Bhula sakoon
Ya phir
Mujhe koi aisi simt bataa
Jahaan jatay huwe
Mein tujhe na sochoon
Na hi tujhe yaad karoon
Aur
Agar aisa koi raasta
Aisi koi raah
Aisi koi simt
Nahe hai tere paas
Tu phir
Mujhe mere haal pe chor day

Asif
09-25-2007, 08:51 AM
Dard be-reham hai
jalaad hia dard
dard kuch kehta nahi
sunta nahi
dard bas hota hia
dard ka mara hoa
roonda hoa
jism too ab haar gia
rooh zidi hia
laray jati hia
hanpti
kampti
ghabrai hoi
dard ke zoor se
tharai hoi
jism se lipti hai
kehti hai nahi chooron gi
moot chookath pe khari hia kab se
sabr se dekh rahi hia us ko
aaj ki raat janay kia hoo

Asif
09-25-2007, 08:51 AM
Socha naheen accha bura
Dekha suna kuch bhee naheen
Manga khuda say hur waqt...
Teray siwa..... Kuch bhee naheen!

Dekha tujhey chaha tujhey
Socha tujhey pooja tujhey
Meri wafa meri khata....
Teri khata kuch bhee naheen!

Jis par hamari aankh nay
Moti bichayey raat bhar
Bhaija wahee kaghaz usay
Ham nay likha...... Kuch bhee naheen!

Aur aik shaam kee dehleez per
Baithay rahay woh dair tak
Aankhon say kee batain bohat
Munh say kaha.....kuch bhee naheen!

Do chaar din kee baat hay
Dil khak mein mil jaeyey ga
Aag per jab kaghaz rakha

Asif
09-25-2007, 08:52 AM
har haqiiqat majaaz ho jaaye
kaafiro.n kii namaaz ho jaaye

minnat-e-chaaraasaaz kaun kare
dard jab jaa.N navaaz ho jaaye

ishq dil me.n rahe to rusavaa ho
lab pe aaye to raaz ho jaaye

lutf kaa intazaar karataa huu.N
jor taa hadd-e-naaz ho jaaye

umr besuud kaT rahii hai 'Faiz'
kaash afshaa-e-raaz ho jaaye

Asif
09-25-2007, 08:52 AM
aao ki koii Khvaab bunen kal ke vaaste
varanaa ye raat aaj ke sangiin daur kii
Das legii jaan-o-dil ko kuchh aise ki jaan-o-dil
taa umr phir na koii hasiin Khvaab bun saken
go ham se bhaagatii rahii ye tezgaam umr
Khvaabon ke aasare pe kaTii hai tamaam umr
zulfon ke Khvaab, honThon ke Khvaab,aur badan ke Khvaab
meraaj-e-fan ke Khvaab, kamaal-e-suKhan ke Khvaab
tahaziib-e-zindagii ke, faroG-e-vatan ke Khvaab
zindaaN ke Khvaab, kuuchaa-e-daar-o-rasan ke Khvaab
ye Khvaab hii to apanii javaanii ke paas the
ye Khvaab hii to apane amal ke asaas the
ye Khvaab mar gaye hain to be-rang hai hayaat
yuuN hai ki jaise dast-e-tah-e-sang hai hayaat

Asif
09-25-2007, 08:52 AM
Haqeeqat aashna mere
tujhe shayad khabar ho gi
mujhe teri muhabat nay
bohat buzdil bana dala
main har us shay se darta hon
tujhe jo cheen sakti hai
main un lamhoon se darta hoon
judai jin main rehti hai
main un ashkoon se darta hoon
jo ban ker yaad behtay hain
main un lafzoon se darta hoon
jo khamoshi main rehtay hain
bicharnay ki mere hamdam
main har sorat se darta hoon
tujhe shayad khabar ho gi
mujhe teri muhabat nay
bohat buzdil bana dala

Asif
09-25-2007, 08:53 AM
Ajj Bhi Taapti Dhoop Ka Sahra
Taray Naraam Laboon Ki Shabnaam
Teri Bikhri Bikhri Zulfoon Kay
Saaye Sey.......Mahroom Raha
Ajj Bhi Pather Hajar Ka Lahma
Sadiyoon Sey Baye Khu-aab Rutoon Ki
Aankoon Ka.......Mak-soom Raha
Ajj Bhi Apnay Wasal Ka Tara
Rakh Uraati.....Shookh-e-Shafaak Ki
Manzal Sey.......Madoom Raha
Ajj Bhi Shaiher Main Pagal Dil Ko
Teri Deedh Ki Aas Rahi
Mudaat Ki Gum Sum Tanhai
Ajj Bhi Meray Pass Rahi
Ajj Bhi Shaam Udass Rahi.

Asif
09-25-2007, 08:53 AM
Tum is dard se guzray ho na ?
wo ruut jis main jal jati hain aankhain
tum per bhi guzri hai
wo shab jo mahtaab se tapkay
aanso aanso, shabnam shabnam wo shab
mujh per bhi utri hai
wo din jab gharian soo jain
lamhay pathar ke ho jain
wo din tum nay bhi kata hia
wo din main nay bhi kata hai
dono ke jismoon , roohoon main
yaksaan dukh ka sanata hai
phir kyon mujh se pochtay hoo tum
meri palkain kyon purnaam hain
aakhir mujh ko koon sa ghum hai
TUM IS DOUR SE GUZRAY HO NA ?

Asif
09-25-2007, 08:53 AM
Bohut Khoobsoorat Waqad & Aabroo JI
Bohut Hi Shandaar Nazmain Share Ki Aap Ney
Isi Tarah Share Kertey Rehiyey
Or Khush Rehiyey

Asif
09-25-2007, 08:54 AM
Aey Falak
Mujhay Sub Kabool Hai
Mujh Se Mera Yaar Na Kar Talab
Isey Kaisey Karoon Dil Se Juda
Meri Umar Bhar Ki Talash Hai

Asif
09-25-2007, 08:54 AM
Ab wo aankhoon k shagufay hain na chehroon k gulaab
Aik ******* udasee hai k mittee hi nahi
Itni bay rang hain yeh rang ki khugar aankhain
Jeisay is shehr-e-tamanah say koi rabth na tha
Jeisay dekha tha sarab
Dekh layta hoon agar koi shanasa chehra
Aik lamhay ko usey dekh k ruk jata hoon
Sochta hoon k berhoon oor koi baat karoon
Us say tajdeed-e-mulaqaat karoon
Laykin us shaks ki manoos guraizaan nazrain
Mughko ehsas delatee hain k ab us k leay
Main bhi anjaan hoon aik aam tamashaee hoon
Rah chaltay hwey in doosray loogoon ki terha

Asif
09-25-2007, 08:55 AM
Paani k ek qatre main
jab sooraj utre
rango ki tasweer bane
dhanak ki sato qose
apni banhain yoon phelaye
qatre k nanne se badan main
rango ki dunya khinch aaye!

Mera bhi aik sooraj hay
jo mera tan choo kar mujh main
qos o qazah k phool ugaye
zara bhi us ne zaviya badla
aur main hogaee
paani ka ek sada qatra
be manzar, be rang!

Asif
09-25-2007, 08:55 AM
tum mere paas raho
mere qaatil, mere dildaar, mere paas raho
jis ghaDii raat chale
aasamaano.n kaa lahuu pii kar siyah raat chale
marham-e-mushk liye nashtar-e-almaas chale
bain karatii hu-ii, haNsatii hu-ii, gaatii nikale
dard kii kaasanii paazeb bajaatii nikale
jis ghaDii siinon men Duubate huye dil
aastiinon main nihaaN haathon kii rah takane nikale
aas liye
aur bachchon ke bilakhane kii tarah qul-qul-e-may
bahr-e-naasudagii machale to manaaye na mane
jab ko-ii baat banaaye na bane
jab na ko-ii baat chale
jis ghaDii raat chale
jis ghaDii maatamii, sun-saan, siyah raat chale
paas raho
mere qaatil, mere dildaar, mere paas raho

Asif
09-25-2007, 08:55 AM
AADAT SI PAR GAI HAI
Aalam Jhailney ki
Ashkon key saath Jaisey
Sar-e-Sham Khelney ki
Jab Tak Na Chashm tar ho
Dil ko Sukoon Nahin Hai
Ek Dukh Ho to Bataoon
Mere Bas Main kuch Nahin Hai
Ab ki Baar Lekin ......
Dukh Aisa kuch Mila hai
Key Jaan to Baqi hai
Par Saans Ruk Gai Hai
Aur Dua bhi .........Janey
Kidhar ko Bhatak Gai Hai
Mujhe Itne Dukh Na de key
Mera Sabr Toot Jai
Is Kashmakash Main Mujh Se
Meri Jaan Hi Rooth Jai
Key ab ki Baar "Ansab"
Mujhe Phir se Dukh Miley to
Ab key Na Seh Sakoon ga

Asif
09-25-2007, 08:55 AM
chalo yun hi sahi
uss shakhs ko bhool jatey hain
nahin, hum kuch nahin kehtey
hum apney khwab atish-dan main rakhney ko razi hain
tamana'on bharey daman ko uth ker jharr detay hain
wo jo ik shoq tha dil main useey anqa samjhtey hain
hum apney aap ko apney liye moquf kertey hain
tumhein hum kuch nahin kehtey

bus ik khwahish hay, so es ko bhi tum nazer-e-Mohabbat ki tarah jano
wohi khushboo jo apni jan hay, ab ajnabi tehrey
chalo yun hi sahi,
ik baat lakin zehan main rakhna
"kisi mosam k mathey per humarey hont ubhren **
kisi roshan zamaney main humari bhi talab ho gi
kisi tareek jungle main humarey naam k jugnoo janam len **
kisi lamhey ki ankhon main humarey ishq ka kajal laga ho ga
kisi bay saya basti main shajer hum say harrey hon **"

Asif
09-25-2007, 08:55 AM
Adhore khuwab ke ander
kabhi palken beechana mat
adhure khuwab aankhon ko bohat takleef dete hain
adhuri yaad ko dil ki zamin me tum nahi bona
adhuri yaad dharkan me bohat chubti, sisakti hai
khalish ban ker khatakti hai
lahu me bijlian ban ker bhatakti hai
adhure pyar ko.....lekin chalo jane do isko tum
Mohabat, pyar, chahat, Ishq hote hi adhure hain

Asif
09-25-2007, 08:56 AM
miene tumhein
apni mohabat ke sehr,
wafaoon ki zanjeeroon se
azaaad kiya

khudara!!
ye mat pochna ke
miene khud ko
tumhari qaid se
azaad kiya ya nahi

yaqeeen jano!!
mien
un qaidiyon mien se hon
jo khulay darwazay dekh kar bhi
faraar nahi hotay

Asif
09-25-2007, 08:56 AM
Bohat Mumkin tha
Merey Paoo'n , Meri Zeest ke
Kaantey Nikal Jaatey
Bohat Mumkin tha
Meri Raah ke Pathar Pighal Jaatey
Jo Deewaarein Merey Raste mein Haayel Thein
Merey Aagey Se Hatt Jaatein
Agar Tum Aankh Utha Kar Dekh Letey
Kohsaaroo'n ki taraf Aik Pal
Chataanein Ik Tumhari Junbash-e-Abroo se Katt Jatein
Bohat Munkin tha Angaaroo'n Bhari Iss Zindegaani mein
Tumhaarey Paaoo'n ke Ujley Kanwal Khiltey
Rafaaqat ki Sunehri Jheel Mein
Dono ke Aks-e-Zofishaa'n Hiltey
Bus Ik Khaab-e-Musalsal ki Faza Rehti
Hamari Rooh kab Ham se Khafa Rehti ?
Yeh Sab Kuch Ain Mumkin Tha
Agar Tum Mujh Ko Mil Jaatey

Asif
09-25-2007, 08:56 AM
Aitebar Mat Kerna
Chand ki udasi ka
Manzilon ki Qurbat ka
Dard ki Judai ka
Bekali ki Furqat ka
Chahton mai Khushion ka
Rasty main Logon ka
Shehar ki Muhabat ka
Pyar k Musafir ka
Hijar k Bahany ka
Aitebar mat kerna
Ansoo'n k behny ka
Umar bhar zmany ka
Aitebar Mat Kerna !!

Asif
09-25-2007, 08:57 AM
is vaqt to yuu.N lagataa hai ab kuchh bhii nahii.n hai
mahataab na suuraj na a.Ndheraa na saveraa
aa.Nkho.n ke dariiche me.n kisii husn kii jhalakan
aur dil kii panaaho.n me.n kisii dard kaa Deraa
mumkin hai ko_ii vaham ho mumkin hai sunaa ho
galiyo.n me.n kisii chaap kaa ek aaKhirii pheraa
shaaKho.n me.n Khayaalo.n ke ghane pe.D kii shaayad
ab aake karegaa na ko_ii Khvaab baseraa
ik bair na ik mahar na ik rabt na rishtaa
teraa ko_ii apanaa na paraayaa ko_ii meraa
maanaa ki ye sun-saan gha.Dii saKht ba.Dii hai
lekin mere dil ye to faqat ek gha.dii hai
himmat karo jiine ko abhii umr pa.Dii hai

Asif
09-25-2007, 08:57 AM
Wo badshah hota
To koee baat bhi hoti
Suna hay badshaho ko
De koee aisa nazrana
Jo ho sab se barh kar to
Wo apni badhsahi tak
Luta dete hay aksar
Mohabbat hay hamare pass
Magar wo bashah kab hay!

Asif
09-25-2007, 08:57 AM
Agar!
Wo badshah hota
To koee baat bhi hoti
Suna hay badshaho ko
De koee aisa nazrana
jo sab cheezon se berh ker ho
too apni badshahi tuk
Luta dete hay aksar
Mohabbat hay hamare pass
Magar wo bashah kab hay

Asif
09-25-2007, 08:57 AM
Kaha Us ne
Mujhe tab waqaee tum se mohabbat thi
Kaha main ne
Mujhe tu aaj bhi tum se mohabbat hay
Wo tab ki baat karti hay
Main ab ki baat karta hoon
Magar jo fasla "tab aur ab" k dramyan haeel hay
Wo ham se tu mil kar bhi sameta ja nahi sakta
Wo ab tak aa nahi sakti
Main tab ko paa nahi sakta!!!

Asif
09-25-2007, 08:57 AM
be-qaraarii gayii, qaraar gayaa
tark-e-ishq aur mujh ko maar gayaa

vo jo aaye to Khushk ho gaye ashk
aaj Gham kaa bhii aitbaar gayaa

ham na haNs hii sake, na hii ro sake
vo gaye yaa har iKhtiyaar gayaa

aap kii zid-e-be-mahal se Kaleem
sab kii nazroN kaa aitbaar gayaa

aa gaye vo to ab ye ronaa hai
lutf-e-Gham, lutf-e-intizaar gayaa

kis maze se tere baghair “Khumar”
be jiye zindagii guzaar gayaa

Asif
09-25-2007, 08:58 AM
Khuda ko apne bando se
Sabhi bando ko bacho se
Sabhi bacho ko rango se
Sabhi rango ko phoolo se
Sabhi phoolo ko khushbo se
Har ek khusbo ko jhonko se
Sabhi jhonko ko sehra se
Sehrao ko boondo se
Aur
Mujhe tum se mohabbat hay
Mujhe tum se mohabbat hay

Asif
09-25-2007, 08:58 AM
Tum kya jano yadon main kho kar ankhain kitna roti hain
dil main apno ka dard samo kar ankhain kitna roti hain

tumkya jano sawan ka mausam kitni aag lagata hai
barish ki boondon ko chhoo kar ankhain kitna roti hain.

ab toh chhoti si baat par bhi yeh dil bhar sa jata hai
halki si dil ko lagti hai thokar ankhain kitna roti hain.

ab toh ye jeena bhi hum ko koi bojh sa lagta hai
din bhar is baar ko dho kar ankhain kitna roti hain.

zakhm zakhm hain ankhain meri maazi ki parcchai say
apnay ander lahoo duboo kar ankhain kitna roti hain

Tum aik duniya nayee day gaeay ho..
tum ko kia ehsaas in Rahon main
tanha si ho kar Ankhain Kitna Roti Hai

Asif
09-25-2007, 08:58 AM
tum ab ager mill bhi jao
too kia hasil
ke ab hum zindgi ke us moor per hain
jahna humain kisi cheez ki khawahish nahi
na tumhain panay ki na kho denay ki
na hasnay ki na roo denay ki
tumhain maloom hai
ke khawahishoon ki ik umr hoa kerti hai
meri tamam khawahishain maar chuki hain
aur tum bhi unhi khawahishoon main shamil hoo

Asif
09-25-2007, 08:58 AM
Terai Har Suk Ka Sila Dai Gi Tujhe
Tujhe Kasam Hai Na U Chor Yu Besh Raste Mai Mujhe

Ye Rasta Bara Hi Amwar Hai
Tofan Utha Rahta Hai

Mai Kaise Apni Manzil Pao Gi
Thora Sa Sahara Di To Mujhe


Terai Har Suk Ka Sila Dai Gi Tujhe
Tujhe Kasam Hai Na Chor U Besh Raste Mai Mujhe

Asif
09-25-2007, 08:59 AM
hijr kii pahalii shaam ke saaye duur ufaq tak chhaaye the
ham jab us ke shahar se nikale sab raaste sa.Nvalaaye the


jaane vo kyaa soch rahaa thaa apane dil me.n saarii raat
pyaar kii baate.n karate karate us ke nain bhar aaye the


mere andar chalii thii aa.Ndhii Thiik usii din patajha.D kii
jis din apane juu.De me.n usane kuchh phuul sajaaye the


usane kitane pyaar se apanaa kufr diyaa nazaraane me.n
ham apane iimaan kaa saudaa jis se karane aaye the


kaise jaatii mere badan se biite lamho.n kii Khushbuu
Khvaabo.n kii us bastii me.n kuchh phuul mere ham-saaye the


kaisaa pyaaraa manzar thaa jab dekh ke apane saathii ko
pe.D pe baiThii ik chi.Diyaa ne apane par phailaaye the


ruKhsat ke din bhiigii aa.Nkho.n us kaa vo kahanaa haa_e "Qateel"
tum ko lauT hii jaanaa thaa to is nagarii kyuu.N aaye the

Asif
09-25-2007, 08:59 AM
mai.n ne puuchaa pahalaa patthar mujh par kaun uThaayegaa
aa_ii ik aavaaz ki tuu jis kaa mohasin kahalaayegaa

puuchh sake to puuchhe ko_ii ruuTh ke jaane vaalo.n se
roshaniyo.n ko mere ghar kaa rastaa kaun bataayegaa

logo mere saath chalo tum jo kuchh hai vo aage hai
piichhe mu.D kar dekhane vaalaa patthar kaa ho jaayegaa

din me.n ha.Nsakar milane vaale chehare saaf bataate hai.n
ek bhayaanak sapanaa mujh ko saarii raat Daraayegaa

mere baad vafaa kaa dhokaa aur kisii se mat karanaa
gaalii degii duniyaa tujh ko sar meraa jhuk jaayegaa

Asif
09-25-2007, 08:59 AM
tu mujhe itane pyaar se mat dekh
teri palakoN ne narm saaye meiN
dhoop bhi chaaNdani si lagati hai
aur mujhe kitani door jaanaa hai
ret hai garm, paaNv ke chhaale
yooN damakate haiN jaise angaare
pyaar ki ye nazar rahe, na rahe
kaun dasht-e-vafaa meiN jaataa hai
tere dil ko Khabar rahe na rahe
tu mujhe itane pyaar se mat dekh
_________________

Asif
09-25-2007, 09:00 AM
us shaam vo ruKhsat kaa samaan yaad rahegaa
vo shahar vo kuuchaa vo makaan yaad rahegaa

vo Tiis ki ubharii thii idhar yaad rahegii
vo dard ke uThaa thaa yahaan yaad rahegaa

ham shauq ke shole kii lapak bhuul jaayenge
vo shamaa-e-fasurdaa kaa dhuaan yaad rahegaa

kuchh miir ke abyaat the kuchh faiz ke misare
ik dard kaa thaa jin mein bayaan yaad rahegaa

jaan baKhsh sii thii us gul_barg kii taraavaat
vo lams-e-aziiz-e-do-jahaan yaad rahegaa

ham bhuul sake hain na tujhe bhuul sakenge
tuu yaad rahegaa hamen haan yaad rahegaa

Asif
09-25-2007, 09:00 AM
kaho to …
haath utthaa ke…
thumhein rabb se mang loon
agar chaho to…
thumhein cha’h loon
tumhari masoom nazron ka
sadqa utar loon

kaho to yeh sare
chanda sooraj aur tare
tumhari jholi mein bhar doon
bas tumhein pa loon
tumhein cha’h loon
aur piyar ker loon

kaho to…
tumhari masoomiyat ke waste
mar jaon……
piyar amar ker doon
bas tumhein pa loon

kaho to..
han… agar kaho to…

Asif
09-25-2007, 09:00 AM
Koi mousam to aisa ho
Kay jab bichray huo'n ki yaad kay jugnu
Chamak kho dei'n
Kisi kay hijr main ronay say pehlay hi
Meri aankhain kabhi so dei'n
Koi mousam to aisa ho
Kay jab sab phool ulfat kay
Kisi anmit mohabbat kay
Merey dil main khilain par
Un main woh khushbu na ho baaqi
Woh khushbu jo tumharay qurb say mehsoos hoti thi
Koi mousam to aisa ho
Kay dil kay zakhm bhar jaein
Agar aisa nahi hota to phir
Kitna hi acha ho
Kay saari khuahishei'n dil ki
Woh sarey khuab aur arma'n
Yun'hi ghut ghut kay mar jaein
Mujhay aazaad kar jaein
Koi mousam to aisa ho
Kay jo mousam tumhari yaad ka mousam na ho...

Asif
09-25-2007, 09:00 AM
Her taraf dhund he
dhund hi dhund he
aisey lagta he jasiey zameeN aasmaaN
dhund key is ajal-khaiz selab meiN
khar-o-khas ki tarah
behtey behtey kaheeN door nikal jaeeN gey
woh manazir jo ginti meiN aatey nah they
eik ho jaeeN gey!

beyaqeeni key rangooN meiN uljhi howi
chandni dard ki jagmagati naheen!
dhund ki jheel par tairti he magar
rah pati naheen!
woh nazar jo sitarooN ki humraaz thi
das qadam door tak saath jati naheen
roushni bhi kaheeN kochh dikhati naheen!

Aankh kehti he "bahir buhat dhund he"
Dil yeh kehta he "ander bhi kam to naheen"

Asif
09-25-2007, 09:00 AM
mushkil hai ab shahar me.n nikale ko_ii ghar se
dastaar pe baat aa ga_ii hai hotii hu_ii sar se

barasaa bhii to kis dasht ke be-faiz badan par
ik umr mere khet the jis abr ko tarase

is baar jo indhan ke liye kaT ke giraa hai
chi.Diyo.n ko ba.Daa pyaar thaa us buu.Dhe shajar se

mehanat merii aa.Ndhii se to manasuub nahii.n thii
rahanaa thaa ko_ii rabt shajar kaa bhii samar se

Khud apane se milane kaa to yaaraa na thaa mujh me.n
mai.n bhii.D me.n gum ho ga_ii tanhaa_ii ke Dar se

benaam musaafat hii muqaddar hai to kyaa Gam
manzil kaa ta'yyun kabhii hotaa hai safar se

pattharaayaa hai dil yuu.N ki ko_ii ism pa.Dhaa jaaye
ye shahar nikalataa nahii.n jaaduu ke asar se

nikale hai.n to raste me.n kahii.n shaam bhii hogii
suuraj bhii magar aayegaa is raah-guzar se

Asif
09-25-2007, 09:01 AM
terii Khushbuu kaa pataa karatii hai
mujh pe ehasaan havaa karatii hai

shab kii tanhaa_ii me.n ab to aksar
guftaguu tujh se rahaa karatii hai

dil ko us raah pe chalanaa hii nahii.n
jo mujhe tujh se judaa karatii hai

zindagii merii thii lekin ab to
tere kahane me.n rahaa karatii hai

us ne dekhaa hii nahii.n varnaa ye aa.Nkh
dil kaa ehavaal kahaa karatii hai

beniyaaz-e-kaaf-e-dariyaa angusht
ret par naam likhaa karatii hai

shaam pa.Date hii kisii shaKhs kii yaad
kuuchaa-e-jaa.N me.n sadaa karatii hai

mujh se bhii us kaa hai vaisaa hii suluuk
haal jo teraa ana??? karatii hai

dukh huaa karataa hai kuchh aur bayaa.N
baat kuchh aur huaa karatii hai

abr barase to inaayat us kii
shaaKh to sirf duaa karatii hai

masalaa jab bhii uThaa chiraaGo.n kaa
faisalaa sirf havaa karatii hai

Asif
09-25-2007, 09:01 AM
Tamam Araz O Suma Ko Gwa Kartay Howay
Koi Guzar Gya Muj Per Nigha Kartay Howay

Jo Booj Apnay Nahe Wo Be Dhonay Pertay Thay
Is Aab O Hak Say Muj Ko Nibha Kartay Howay

Main Chup Karaa Hoon Yahan Aur Guzarta Jata Hay
Koi Sawal Koi Intiba Kartay Howay

Jahan Ajer O Siza Main Bajiz Dil Azaree
Main Sochta Nahi Koi Guna Kartay Howay

Jo Harf Chtaa Hoon, Likh Nahi Saka Aab Tak
Zamana Ho Gya Kagaz Sia Kartay Howay

Aab Is Pay Tark Marasim K Waqat Gor Na Kar
Jo Bat Sochnee The Rasim O Rawa Kartay Howay

Sanwal War Bee Ocha Nahi Kia Liken
Woha Tha Ranj Be Is Ko Taba Kartay Howay

Asif
09-25-2007, 09:01 AM
pyaas vo dil kii bujhaane kabhii aayaa bhii nahiin
kaisaa baadal hai jisakaa koii saayaa bhii nahiin

beruKhii is se barii aur bhalaa kyaa hogii
ek muddat se hamen us ne sataayaa bhii nahiin

roz aataa hai dar-e-dil pe vo dastak dene
aaj tak hamane jise paas bulaayaa bhii nahiin

sun liyaa kaise Khudaa jaane zamaane bhar ne
vo fasaanaa jo kabhii hamane sunaayaa bhii nahiin

tum to shaayar ho 'Qateel' aur vo ik aam saa shaKhs
us ne chaahaa bhii tujhe aur jataayaa bhii nahiin

Asif
09-25-2007, 09:01 AM
na jaane ashk se aankhoun mein kyoun hai aaye hue
guzar gayaa hai zamaanaa tujhe bhulaaye hue

jo manzilein hain to bas raharavan-e-ishq kii hain
vo saans ukhadii huii paanv dagmagaaye hue

na rahzanoun se ruke raaste mohabbat ke
vo kaafile nazar aaye lute lutaaye hue

ab is ke baad mujhe kuchh khabar nahiin un kii
Gam aashanaa hue apane hue paraaye hue

ye iztiraab saa kyaa hai ki muddatein guzarii
tujhe bhulaaye hue terii yaad aaye hue

Asif
09-25-2007, 09:02 AM
us ne kahaa sun
ahad nibhaane kii Khaatir mat aanaa
ahad nibhaanevaale aksar majabuurii yaa
mahajuurii kii thakan se lauTaa karate hai.n
tum jaao aur dariyaa dariyaa pyaas bujhaao
jin aa.Nkho.n me.n Duubo
jis dil me.n bhii utaro
merii talab aavaaz na degii
lekin jab merii chaahat aur merii Khvaahish kii lau
itanii tez aur itanii uu.Nchii ho jaaye
jab dil rode
tab lauT aanaa

Asif
09-25-2007, 09:02 AM
tuu paas bhii ho to dil beqaraar apanaa hai
ke ham ko teraa nahii.n intazaar apanaa hai

mile ko_ii bhii teraa zikr chhe.D dete hai.n
ke jaise saaraa jahaa.N raaz_daar apanaa hai

vo duur ho to bajaa tark-e-dostii kaa Khayaal
vo saamane ho to kab iKhtiyaar apanaa hai

zamaane bhar ke dukho.n ko lagaa liyaa dil se
is aasare pe ke ik Gam_gusaar apanaa hai

'Faraz' raahat-e-jaa.N bhii vahii hai kyaa kiije
vo jis ke haath se siinaa_fiGaar apanaa hai

Asif
09-25-2007, 09:02 AM
us ko judaa hue bhii zamaanaa bahut huaa
ab kyaa kahe.n ye qissaa puraanaa bahut huaa

Dhalatii na thii kisii bhii jatan se shab-e-firaaq
ai marg-e-naagahaa.N teraa aanaa bahut huaa

ham Khuld se nikal to gaye hai.n par ai Khudaa
itane se vaaqaye kaa fasaanaa bahut huaa

ab ham hai.n aur saare zamaane kii dushmaanii
us se zaraa rabt ba.Dhaanaa bahut huaa

ab kyo.n na zindagii pe muhabbat ko vaar de.n
is aashiqii me.n jaan se jaanaa bahut huaa

ab tak to dil ka dil se taarruf na ho sakaa
maanaa k us se milnaa milaanaa bahut huaa

kyaa kyaa na ham Kharaab hue hai.n magar ye dil
ai yaad-e-yaar teraa Thikaanaa bahut huaa

kahataa thaa naaseho.n se mere muu.Nh na aa_iio
phir kyaa thaa ek huu kaa bahaanaa bahut huaa

lo phir tere labo.n pe usii bevafaa kaa zikr
ahmad 'Faraz' tujh se kahaa naa bahut huaa

Asif
09-25-2007, 09:02 AM
Mere nuqsaan main jata hai yeh to jaan leta hon
tumhara faisla bas ehtaraam maan leta hon

Milay moqa tou mil leta hon ab bhi main usay laikin
bichartay hi na milnay ki hamesha thaan leta hon

Asif
09-25-2007, 09:02 AM
nakam muhabat ka har ik dukh sahna
har hal me anjam se darte rahna
qudrat ka bara intkam ha shabby
mehbooba ki ullad ka MAMO kahna

Asif
09-25-2007, 09:03 AM
dard apnata hai paraye koun
koun sunata hai aur sunaye koun
koun duhraye woh purani baat
gham bhi soya hai jagaye koun
woh jo apne hain, kya woh apne hain?
koun dukh jhele, aazmaye koun
ab sukh hai to bhulane mai hay
lekin is shakhs ko bhulae koun
aaj phir dil hai kuch udas udas
dekhiye aaj yaad aaye koun

Asif
09-25-2007, 09:03 AM
samajhaa thaa main mujhe kisii qaabil banaa diyaa
ye kyaa kiyaa ki dard ko phir dil banaa diyaa

Gam ne taGaiyuraat ke qaabil banaa diyaa
jo dard apanii had se barhaa dil banaa diyaa


itane muGaalate diye ummiid-o-biim ne
saahil ko mauj mauj ko saahil banaa diyaa


itanii karii nigaah se dekhaa na kiijiye
har rishta-e-nazar ko rag-e-dil banaa diyaa


ye kyaa banaane vaale tere jii mein aa gaii
bijali banaa rahaa thaa magar dil banaa diyaa

har zarraa rah guzar kaa to hiiraa nahiin 'Siraj'
jis mein salaahiyat thii use dil banaa diyaa

Asif
09-25-2007, 09:03 AM
har tamaashaa_ii faqat saahil se manzar dekhataa
kaun dariyaa ko ulaTataa kaun gauhar dekhataa

vo to duniyaa ko merii diivaangii Khush aa ga_ii
tere haatho.n me.n vagarnaa pahalaa patthar dekhataa

aa.Nkh me.n aa.Nsuu ja.De the par sadaa tujh ko na dii
is tavaqqo par ki shaayad tuu palaT kar dekhataa

merii qismat kii lakiire.n mere haatho.n me.n na thii.n
tere maathe par ko_ii meraa muqaddar dekhataa

zindagii phailii hu_ii thii shaam-e-hijraa.N kii tarah
kis ko itanaa hausalaa thaa kaun jii kar dekhataa

Duubane vaalaa thaa aur saahil pe cheharo.n kaa hujuum
pal kii mohalat thii mai.n kis ko aa.Nkh bhar ke dekhataa

tuu bhii dil ko ik lahuu kii buu.Nd samajhaa hai 'Faraz'
aa.Nkh gar hotii to qatre me.n samandar dekhataa

Asif
09-25-2007, 09:03 AM
havaa ke zor se pindaar-e-baam-o-daar bhii gayaa
chiraaG ko jo bachaate the un kaa ghar bhii gayaa

pukaarate rahe mahafuuz kishtiyo.n vaale
mai.n Duubataa huaa dariyaa ke paar utar bhii gayaa

ab ehatiyaat kii diivaar kyaa uThaate ho
jo chor dil me.n chhupaa thaa vo kaam kar bhii gayaa

mai.n chup rahaa ki is me.n thii aafiyat jaa.N kii
ko_ii to merii tarah thaa jo daar par bhii gayaa

sulagate sochate viiraa.N mausamo.n kii tarah
ka.Daa thaa ahad-e-javaanii magar guzar bhii gayaa

jise bhulaa na sakaa us ko yaad kyaa rakhataa
jo naam dil me.n rahaa zehan se utar bhii gayaa

phaTii-phaTii hu_ii aa.Nkho.n se yuu.N na dekh mujhe
tujhe talaash hai jis kii vo shaKhs mar bhii gayaa

magar falak kii adaavat usii ke ghar se na thii
jahaa.N 'Faraz' na thaa sail-e-Gam udhar bhii gayaa

Asif
09-25-2007, 09:03 AM
aur pata nahi chalta
hum bhi hansty rahty hain
tum bhi hansty rahty hoo
ghum diloon main palty hain
aur pata nahi chalta
kitny hi zamanoon se
kitny ho makanoon main
roshni nahi hoti
aur pata nahi chalta
tum bin jii na paain gy
akser yah kahty rahty thy
tum bin bhi jeety rahty hain
aur pata nahi chalta

Asif
09-25-2007, 09:04 AM
cheharaa meraa thaa nigaahen us kii
Khaamushii mein bhii vo baaten us kii

mere chehare pe Gazal likhatii gaiin
sher kahatii huii aankhen us kii


aise mausam bhii guzaare ham ne
subahen jab apanii thiin shaamen us kii

dhyaan mein us ke ye aalam thaa kabhii
aankh mahataab kii yaaden us kii

faisalaa mauj-e-havaa ne likkhaa
aandhiyaan merii bahaaren us kii

niind is soch se TuuTii aksar
kis tarah katatii hain raaten us kii

duur rah kar bhii sadaa rahatii hai
mujh ko thaame hue baahen us kii

Asif
09-25-2007, 09:04 AM
Aansuon Aankh Ki Dehleez Pe Aaya Na Karo
Ghar Ke Haalaat Zamaane Ko Bataya Na Karo
Log Muthhi Mein Namak Le Ke Phira Kerte Hain
Zakhm Tum Apne Kisi Ko Bhi Dikhaya Na Karo
Saanp Khushbu Ke Ahaate Mein Basa Kerte Hain
Phool Ke Peron Ko Aangan Mein Lagaya Na Karo
Haathh Aaye Usi Lumhe Ko Ghaneemat Jano
Apni Palkon Pe Koi Khwab Sajaaya Na Karo
Yaas Ki Tapti Hui Ret Mein Jalne Do Mujhe
Aas Ke Badlo Sir Pe Mere Aaya Na Karo
Aaj Ke Daur Ka Paigham Yahi Hai TanishQ
Koi Gir Jaaye To Bhoole Se Uthhaya Na Karo

Asif
09-25-2007, 09:04 AM
mere hathoon main aaker
rang batain kernay lagtay hian
main in rangoon se
apnay dil ki batain paint kerta hoon
meri in paintings ko dekh ker
duniya ye kehti hai
tumharay khawab sachay hain
tumharay khawab achay hain
main us dam muskurata hoon
unhain batla nahi sakta
ke is rangoon bhari duniya ke peechay
dard ke kitnay samandar hain
kai dukh narsai ke
meri aankhon main rehtay hain
jinhain main keh nahi sakta
magar kab loog mere dil ke aander
jhank saktay hain
ke is rangoon bhari dunya ke peechay
dard ke kitnay samandar hain
wo bas ik baat kehtay hain
tumharay khawab sachay hain
tumharay khawab achay hain
magar dukh narsai ke
wo kaise jaan pain **

Asif
09-25-2007, 09:04 AM
apni tanhayoan se poocha hai
shab e hijraan se baat ker li hay
mere under ki sehmi khamoshi
mera bahar ka hunsta chehra bhi
aat k sunsanatay lamhay bhi
din ka dasta hua ujala bhi
zabt ka toot-ta yeh bandhan bhi
sabr ka ***-ta yeh daman bhi
uss ki yadain bhi kuch isharoan main
mujh ko majboor ker rahay hain sub
aao sub us k paas chaltay hain
uss se kehtay hain kuch dawa ker do
apni fitrut ko chor ker ik pal
koi wada to tum wafa ker do
inn ki batoan se kuch nahee hoga
akhri faisla to dil ka hay
dil yeh kehta hai uss k milnay se
apni tanhayaan hee achee hain
ub akelay mein lug gaya hai dil
uss se milnay humein nahee jana
uss ki batain uddas ker dein gee!!!

Asif
09-25-2007, 09:05 AM
Apni to har shaam ek Nashe mein
Guzar jati hai, ik din shaam nashe me
hongi aur hum guzar jaayenge.

Asif
09-25-2007, 09:05 AM
Bay baat bigardtay rehtay ho
Bay chain hamaisha rehtay ho
Yeh sub nishani ishq ki hai
Kiya ishq kisi say kertay ho?

Ratoon ko jagtay rehtay ho
Aur taray bhi tum gintay ho
Yeh sub nishani ishq ki hai
Kiya ishq kisi say kertay ho?

Zikr jo maira chirrta hai
Cehray ka rang badalta hai
Bay chain say tum ho jatay ho
Kiya ishq mujh hi say kertay ho?

Asif
09-25-2007, 09:05 AM
koee phool dhoop ke patioon mein haray ribbun say bandha howa
woh ghazal ka lehja naya naya, na kaha howa na suna howa

jissay lay gaiee hai abhi hawa, woh warq tha dil ke kitaab kaa
kaheen ansoon say mita howa, kaheen ansoon say likha howa

kaee meel rait ko kaat kar koye mouj phool khilla gayee
koi pair payaas say mar raha hai nadi kay paas khara howa

wohi khat keh jis pay jaga jaga do mehaktay hontoon kay chand thai
kisee bholay bisray say taaq par teh gard hoo ga daba howa

mujhay hadsoon nay saja saja kay bohat haseen bana diya
mara dil bhi jaisay dulhan ka haath hoo mehandiyon say racha howa

wohi sehar hai wohi rastay wohi ghar hai aur wohi lawn bhi
magar iss dareechay say poochna woh darakhat anar ka kaya howa

mairay sath jugnoo hai humsafar, magar iss sharar ke bisaat kaya
yeah chiragh koi chiraagh hai, na jalla howa, na bujha howa

Asif
09-25-2007, 09:05 AM
hawaoo us gali se guzro
to us ko mera salam kehna
mujhe khabar hai keh mere gher se
guzerne wali hawa ka rasta
tumhare gher tak nahi gia hai
salam mera tumhare kano se naarsa hai
main janta hoon yeh bachpna hai
magar haqeeqat ko jaan ker bhi na janane main ajub maza hai
hawa se main ne yeh phir kaha hai
guzer rahe hain tumhare yadon ke dum se hi subho shaam kehna
hawa us gali se guzro to us ko mera salam kehna
tumhare gher ka kise pata hai
hawa ke rukh ki kise khabar hai

Asif
09-25-2007, 09:06 AM
beeti yaadain paro raha tha woh

log kehtey hain ro raha tha woh

apni aankhon ki chandni ley key

merey khuabon main so raha tha woh

uug raha tha darakht sooraj ka

taaron ko jab bo raha tha woh

jaan gaya jab ramz-e-mohabat

kaisey bechain ho raha tha woh

Asif
09-25-2007, 09:06 AM
jo utar ke ziinaa-e-shaam se terii chashm-e-Khush me.n samaa gaye
vahii jalate bujhate se mahar-o-maah mere baam-o-dar ko sajaa gaye

ye ajiib khel hai ishq kaa mai.n ne aap dekhaa ye mojezaa
vo jo lafz mere gumaa.N me.n the vo terii zubaa.N par aa gaye

vo jo giit tum ne sunaa nahii.n merii umr bhar kaa riyaaz thaa
mere dard kii thii daastaa.N jise tum ha.Nsii me.n u.Daa gaye

vo charaaG-e-jaa.N kabhii jis kii lau na kisii havaa se niguu.N hu_ii
terii bevafaa_ii ke vaasavaa use chupake chupake bujhaa gaye

vo thaa chaa.Nd shaam-e-visaal kaa ke thaa ruup tere jamaal kaa
merii ruuh se merii aa.Nkh tak kisii raushanii me.n nahaa gaye

ye jo bandagaan-e-niyaaz hai ye tamaam hai vo lash_karii
jinhe.n zindagii ne aman na dii to tere huzuur me.n aa gaye

terii beruKhii ke dayaar me.n mai.n havaa ke saath havaa huaa
tere aa_iine kii talaash me.n mere Khvaab cheharaa ga.Nvaa gaye

tere vaasavaao.n ke fishar me.n teraa sharar-e-rang uja.D gayaa
merii Khvaahisho.n ke Gubaar me.n mere maah-o-saal-e-vafaa gaye

vo ajiib phuul se lafz the tere ho.nTh jin se mahak uThe
mere dasht-e-Khvaab me.n duur tak ko_ii baaG jaise lagaa gaye

merii umr se na simaT sake mere dil me.n itane savaal the
tere paas jitane javaab the terii ik nigaah me.n aa gaye

Asif
09-25-2007, 09:06 AM
bhii.D me.n ik ajanabii kaa saamanaa achchhaa lagaa
sab se chup kar vo kisii kaa dekhanaa achchhaa lagaa

surma_ii aa.Nkho.n ke niiche phuul se khilane lage
kahate kahate kuchh kisii kaa sochanaa achchhaa lagaa

baat to kuchh bhii nahii.n thii lekin us kaa ek dam
haath ko ho.nTho.n pe rakh kar rokanaa achchhaa lagaa

chaay me.n chiinii milaanaa us gha.Dii bhaayaa bahut
zer-e lab vo muskuraataa shukriyaa achchhaa lagaa

dil me.n kitane ahad baa.Ndhe the bhulaane ke use
vo milaa to sab iraade to.Danaa achchhaa lagaa

beiraadaa lams kii vo san_sanii pyaarii lagii
kam tavajjo aa.Nkh kaa vo dekhanaa achchhaa lagaa

niim shab kii Khaamushii me.n bhiigatii sa.Dako.n pe kal
terii yaado.n ke jaalo me.n ghuumanaa achchhaa lagaa

us uduu-e-jaa.N ko 'Amjad' mai.n buraa kaise kahuu.N
jab bhii aayaa saamane vo bevafaa achchhaa lagaa

Asif
09-25-2007, 09:06 AM
Kawita likh rahi hoon main
magar bus yad hai itna
woh uska pyar say kahna
tumhi to ho woh jis say pyar hoon karta
tumhi to ho hoon jis ka intezar karta
dabay kadmoon say woh uska akay chonkana
woh uska pyar say kahna mujhay tum chor na jana
kay rah na paoon ga tum bin yehi har bar bus kahna
hai woh bhi janta kay humain kabhi aik na hona
woh ghantoon baith kar dono ka takrar bhi karna
woh uska boltay rahna aor maira sunay jana
main uskay sahar main khoo jaon gi soocha na tha mainnay
woh ik din chor jaye ga kabhi soocha na tha main nay
bohat baichain karta hai woh uska yun chalay jana
kawita likh rahi hoon main magar bus yad hai itna .....

Asif
09-25-2007, 09:07 AM
Teri Khuwahish Kii Qasam,
Mustaqqil Dukh Nay tabiyat Hii Badal Dalli Hay,
Jhoothay Moothay Kiisi BehLaway Say,
Humm Bhalla Kubb Thay Behalnay wallay??

Teray JeeWan Kii Qasam,
Hijr Aur Mout Nay ToRRa Hai Hummein,
Choutti Moutti Kissi Veerani Say,
Humm Bhalla Kabb Thay Bikharnay wallay??

Tujh Ko Maloom Hay,Humm Teri Khushi Kii khatir,
Ghum Kay Aadab Bhulaye Bethay hein,
Humm Ko Ikk Behnay wallay Zakhm Nay Mohtaaj Banna DaLLa
Warna Humm Kubb Thay Bhalla Bach kay Guzarnay Wallay??

Humm nay Iss BaaR Yeh Socha Hay kay Humm Teray Liay,
Terya Andaaz Say Chaheingay Tujhay,
Tujh Say hii mashwarra mangay ** Teray Liay,
Baadshahoun Kii Tarah Rakheingay Iss BaaR Mohabbat Ka Bharam

Humm Nay Yeh Soch Liay Hay Iss Baar
Haar Aur Jeet Ko Iss KheL Mein rakhna Hii nahin,
Ghar-Mashroot Mohabbat Kii tarah Daleingay

Asif
09-25-2007, 09:07 AM
waqt ke tund-o-taiz hawa ke
zad main a ker
beet chukay raston per
laut k anay walay
tu kia janay
raston k mausam hote hain
yeh bhi apni apni rut main
apni apni simt badalte rehte hain

Asif
09-25-2007, 09:08 AM
woh khaloos tha ke khumar tha
woh janoon tha ke saraab tha
mujhey sochney mein zaman laga
mujhey munzilon ne bhoola diya
mujhey jis masiha pe maan tha
mujhey us ne sooli charha diya

kai humsafar kai rahguzr
mujhey rastey mein miley magar
meri tushnagi kuch aur hai
meri justajoo koi aur hai

woh jo roshni ki tarha barhey
magar ansuon mei sama sakey

jo subha ki pehli kiran bane
mere dil ka aangan nikhaar de
jo muhabbaton ki ravaytein
laho ki bali se sanwaar de
mujhey us wafa ki talaash hai
mujhey us wafaki talaash hai

magar is jahan-e-kharab mein
yahan khahishon ke saraab mei
mujhey kaun de aisy wafa
mein kahan se laoon woh wafa
inhi uljhanon mein ghira hua
yehi sochta mein chala gya

Asif
09-25-2007, 09:08 AM
mujhe apna sitara dhoondhna hai
sitaroon se bharay is assmaan ki wusatoon main
mujhe apna sitara dhoondna hai
falak per kehkashan dar kehkashan ik bekarani hai
na us ka naam hai maloom na us nishani hai
bas itna yaad hai mujh ko azl ki subh jab saray sitaray
alwidai guftugoo kertay hoay rastoon pe niklay thay
too us ki aankh main ik aur tara jhilmilaya tha
usi taray ki soorat ka meri bheegi hoi aankhon main bhi
ik khawab rehta hai
main apnay aansoon main apnay khawaboon ko sajata hoon
aur us ki rah takta hoon
suna hai gumshuda cheezain jahan pe khoi jati hai wahin se mill bhi jati hain
mujhe apna sitara dhoondna hai