View Full Version : abhi woh dard baqi hai
Erum Zehra
09-22-2007, 08:36 PM
abhi woh dard baqi hai
agarche waqt marham hai
magar kuch waqt lagta hai
kisi ko bhool janey mein
dobara dil basaney mein
abhi kuch waqt lagna hai
abhi woh dard baqi hai
mein kaise naii ulfat mein
apni zaat ko gum kar doon
ke mere jism-o-wajdaan mein
abhi woh fard baqi hai
abhi us shakhs ki mujh per
nigah-e-sard baqi hai
abhi to ishq ke raston ki
mujh per gard baqi hai
Erum Zehra
09-22-2007, 08:36 PM
Piyar Ke Deep Jalanay Walay Kuch Kuch Pagal Hotay Hain
Apni Jaan Se Janay Walay Kuch Kuch Pagal Hotay Hain
Hijer ke Gehray Zakhm Millay Tu Mujh Ko Ye Ehsaas Hua
Pagal Ko Samjhanay Walay Kuch Kuch Pagal Hotay Hain
Jaan Se Piyaray Logon Se Kuch Kuch Perdah Lazim Hay
Saari Baat Batanay Walay Kuch Kuch Pagal Hotay Hain
Khowabaon Mainbhi Pya Milan Ke Sapnay Dekhtay Rehtay Hain
Neendon Main Muskanay Walay Kuch Kuch Pagal Hotay Hain
Iss Jhooti Nagri Main Hum Ne Yehi Haiamsha Dekha Hay
Suchi Baat Batanay WalayKuch Kuch Pagal Hotay Hain
Piyar Jinhain Ho Jai Un Ko Chain Bhala Kab Mil Pata Hay?
Shub Bhar Ashk Bahanay Walay Kuch Kuch Pagal Hotay Hain
Apni Zaat Ke Ujray Gulshan Se Wo Piyar Kahan Kertay Hain ?
Aoron Ko Mehkanay Walay Kuch Kuch Pagal Hotay Hain
Uss Ke Ishq Main Bheeg Ke WASIQ Hum Ko Ye Ehsas Hua
Dil Baat Main Anay Walay Kuch Kuch Pagal Hotay Haon
Erum Zehra
09-22-2007, 08:37 PM
gham kee barish ney bhee tere naqsh ko dhoya nahin
tu ne mujh ko kho diya,mein ne tujhe khoya nahin
neend ka halka gulabi sa khumar ankhon mein tha
yoon laga jaise wo shab ko dair tak soya nahin
har taraf deewar-o-dar aur un mein ankhon ke hujoom
keh sake jo dil kee halat wo lab-e-goya nahin
janta hoon ek aise shaks ko mein bhee munir
sham se pathar ho gya lekin kabhi roya nahin
Erum Zehra
09-22-2007, 08:37 PM
Sawaal Puche Jaye To Jawaab Nahin Milta
Waqt Se Maango To Hisaab Nahin Milta
Hansino Se Maango To, Piyaar Nahi Milta
Binaa Husn Ke Ishq Ka, Khiitaab Nahi Milta
Dil To Miltey Hai,dil-e-betaab Nahi Miltaa
Andhero Main Jo Nikley,vo Aaftaab Nahi Milta
Gam-e- Ishq Choopane Ko Nikaab Nahi Milta
Raat To Ho Jati Hai, Magar Khuwaab Nah Milta
Dost Mil Jaatey Hai, To Umair Nahi Milta
Anjaam Mil Jaatey Hai, To Aagaaz Nahi Milta
Erum Zehra
09-22-2007, 08:37 PM
Abhi hijr ka qayaam hai aur December aan pahuncha hai
Ye khabr shahar mein aam hai December aan pahuncha hai
Aangan mein utar aayi hai manoos si khushboo
Yadon ka azdahaam hai December aan pahuncha hai
Khamoshiyon ka raaj hai khizaan taak mein hai
Udasi bhi bahot aam hai December aan pahuncha hai
Tere aanay ki ummid bhi ho chuki maadoom
Naye saal ka ahtamaam hai December aan pahuncha hai
Khunak rut mein udasi bhi chaukhat pe khadi ahi
Jaday ki udaas shaam hai December aan pahuncha hai
Tum aao tou mere mausamon ki bhi takmeel ho jaye
Nayi rut tou sar e baam hai December aan pahuncha hai
Erum Zehra
09-22-2007, 08:37 PM
amanna hai k tere sung umr apni bitaaon main
Paaon tere jahan parain wahan palkein bichhaon main
Subha jo ho to main kholoon tmharay ghr ki hr khirki
Teri dehleez pe har shab kaii diye jalaaon main
Karoon koshish na koi baat tera dil dukha paey
Tu mujh se ek baar roothay to har baar manaaon main
Jahan k rung chura kar main tere ghar mein le aaon
Tere kamray k har konay ko phoolon se sajaaon main
Mere lafzon mein shamil ho tumhari zaat poshida
mujh pe likhi hoi ghazlein roz tujh ko sunaaon main
Dil k taar ko chheroon main apnay pyar k sur se
Jis mehfil mein bhi bethoon tmharay geet gaaon main
Jahan pe dhoop tu paey wahan main chhaon bun jaon
Marr k bhi jo yaad aaey aesa rishta nibhaaon main
Erum Zehra
09-22-2007, 08:37 PM
Main Pal pal marti rahi wo Lamha lamha jee gaya
Kitna Pyasa tha ikk Ghum mujhe todkar pee gaya
Kalam rafta rafta toot_ti ja rahi hai
Dard mila kuch Aisa jo Lafzon ko see gaya
Wo gaya mujhe ****kar par mera sab le gaya
Khayal tha usse bhoolne ka, lo abb wo bhi gaya
Bastiyan jalne ka Sabab tumse poochte hain
Par tumhe kya kaun mara aur kaun jee gaya
Uth kar Insaniyat se hath milana hai “wafa”
Wo Ehsas tha yahin bas Abhi gaya..Abhi gaya
Erum Zehra
09-22-2007, 08:37 PM
bara dushwar hota hay
zara sa faisla kerna,
ke jiwan kahani ko
kahn se yaad rakhna hay
kahn se bhool jana hay,
issay kitna batana hay
issay kitna chupana hay,
kahan ro ro ke hansna hay
kahan hans hans ke rona hay,
kahan awaz daine hay
kahan khamosh rehna hay,
kahan rasta badalna hay
kahan se loot anna hay,
bara dushwar hota hay
zara sa faisla kerna,
Erum Zehra
09-22-2007, 08:38 PM
Laz`zatay Gham Barha Deejiye...
Aap Phir Muskura Deejiye...
Chand Kab Tak Gahan Me Rahay...
Rukh Se Parda Hata Deejiye...
Mera Daaman Bohat Saaf Hai...
Koi Tohmat Laga Deejiye...
Ham Andheron Me Kab Tak Rahein...
Phir Koi Ghar Jala Deejiye...
Ek Samandar Ne Aawaaz Di...
Mujh Ko Paani Pila Deejiye...
Erum Zehra
09-22-2007, 08:38 PM
YuN dost saarey apney apney rastey badal gaey
kuch peechey ruk gaey to kuch aagey nikal gaey
haalaat ki dhoop zaraa si deir ko teiz kya hui
jitney wafaa ke peikar they saarey pighal gaey
waadoN ke taarey raatoN sey baahar na jaa sakey
iraadoN ke din nikalney sey pehley hi dhal gaey
wafaaoN ke rang shabnam ke qatroN ney dho deeye
mohabbat ke phool jazboN ki 'shiddat' sey jal gaey
taanoN ke teer dunya ki kamaanoN pe jab charrhey
sabar ke daaman haathon sey yak'dam phical gaey
aaNkheiN khuleiN to khaaboN ko bura laga magar
kuch deir wo reh ke muztarib khud hi behal gaey
pehley pehal to ajeeb lagey badley huwey chehrey
phir yuN huwa ke waqt ke saath hum bhi sambhal gaey
Erum Zehra
09-22-2007, 08:38 PM
Tum jo hotay to humain kitna sahara hota
hum nay aroon ko na youn dard main pukara hota
mujh ko ya soch hi kafi hai julanay k liy
main na hota to koi or tumhara hota
or hum baith k khamoshi say rooay jatay
shaam hoty, kisi durya ka kinara hota
dil say daikhi nahi jaty khamoshi ghur ki
kis tarhan ujra hua shahur gawara hota
chand hota k mairy jaan sitara hota
hum nay ik tairay siwa dil say utara hota
too nay socha hai kabhi kitna muhabbat k baghair
rooh farsa dil weeran ka nazara hota
Erum Zehra
09-22-2007, 08:38 PM
phir shab-e-gam ne mujhe shakl dikhaaii kyonkar
ye balaa ghar se nikaalii huii aaii kyonkar
tuu ne kii gair se merii buraaii kyonkar
gar na thi dil mein tu lab par tere aii kyonkar
tum dilazar-o-sitamgar nahin main ne maanaa
maan jaayegi ise saarii Khudai kyonkar
ainaa dekh ke vo kahane lage aap hii aap
aise achchoun ki kare koi burai kyonkar
kasarat-e-ranj-o-alam sun ke ye ilzaam milaa
itane se dil mein hai itanoun ki samai kyonkar
daag kal tak to duaa aap kii maqabuul na thii
aaj muunh mangi muraad aap ne paaii kyonkar
Erum Zehra
09-22-2007, 08:39 PM
kabhi aah lab pe machal gai, kabhi ashk aaNkh se Dhal gaye ..
yea tumharey Gham ke chiraaGh hain, kabhi bujh gaye kabhi jal gaye ..
main Khayaal-o-Khwaab ki mehfilain na ba-qadr-e-shauq saja saka ..
tumhari ik nazar ke saath hi, mere sab iraadey badal gaye ..
kabhi rang main kabhi roop main, kabhi chhaaooN main kabhi dhoop main ..
kaheen aaftaab-e-nazar hain wo, kaheen maahataab main Dhal gaye ..
jo fanaa huwey Gham-e-ishq main, unhain zindagi kaa na Gham huaa ..
jo na apani aag main jal sakey, wo paraii aag main jal gaye ..
hey unhain bhi meri tarah junooN, to phir un main mujh main ye farq kya ..
main giraft-e-Gham se na bach saka, wo hudood-e-Gham se nikal gaye
Erum Zehra
09-22-2007, 08:39 PM
dil ko kyaa ho gayaa Khudaa jaane
kyoun hai aisaa udaas kyaa jaane
kah diyaa main ne haal-e-dil apanaa
is ko tum jaano yaa Khudaa jaane
jaanate jaanate hii jaanegaa
mujh mein kya hai abhi wo kya jaane
tum na paaoge saadaa dil mujhasaa
jo tagaaful ko bhoi hayaa jaane
Erum Zehra
09-22-2007, 08:39 PM
A dil Rona nehi hai
kase samjhaoo k rona nehi hai
Rona wale ko yeh duniya
Aur rolati hai
A dil-e-masoom tu na ro
bohat ro liya hai
Ab tu na roo kyon kai yeh duniya
Rona wale per hasti hai
ab to samajh ja A dil-e-masoom
jo chala gaya hai wo lot kar ata nehi hai
har taraf tanhai hai
har taraf andahra hai
du'a main bus maine us ko maanga hai
wo bhi majhey na mila hai
phir bhi tum majh se kahte ho rona nehi hai
es waqt puri duniya majh per has rahe hai
dil rona ko chah raha hai
aur tum kahte ho rona nehi hai
joutha khwab dhekatee rahe tum
majhey ab kio khwab nehi dhekna hai
yeh duniya dhoka se bhari hai
majhey es duniya mein ab nehi rahna hai
har kio jate jate lambi umar ki dua dai jata hai
du'a dai kar majhey apna fiyda ka liye estamal kar ka chala jata hai
majhey zindagi se kio shikyaat nehi hai
majhey to es zindagi nai sab kuch deya hai
shikyaat to bus apna naseeb se hai
kyon ka sab kuch mil kar bhi koh gaya hai
apni takqeer hi karab hai
jo use hasil kar kai bhi kise aur ko dai deya hai
hum nai to khod apna hatho se
Apni khud kabar bana li hai
hum nai to apna dil ka hatho majboor ho kar
apna paoo per khud kolhari mari hai
A dil tuna ab rona nehi hai
Erum Zehra
09-22-2007, 08:39 PM
raat adhii se ziyada gai thi sara aalam sotaa thaa
naam tera le le kar koi dard ka mara rotaa thaa
charagaro ye taskin kaisi main bhii huun is duniya mein
un ko aisa dard kab utha jin ko bachana hota tha
kuch ka kuch kah jata tha main furqat ki betabi mein
sunane vaale hans padate the hosh mujhe tab aata tha
taare aksar duub chale the,raat k rone vaaloun ko
aane lagi thi nind si kuch, duniya mein savera hota tha
tark-e-muhabbat karane valo kaun aisaa jag jiit liya
ishq k pahale k din socho kaun bada sukh hota tha
us k aansuu kis ne dekhe us kii aahein kis ne suniin
chaman chaman tha husn bhii lekin dariya dariya rota tha
pichhala pahar tha hijr kii shab ka,jagata Rab sotaa insaan
taaroun ki chaoun mein koii "Firaq" saa motii pirota tha
Erum Zehra
09-22-2007, 08:40 PM
Mujh ko ikrar-e-mohabbat hain saza do mujh ko
Shola-e-ishq hoon kuch aor hawa do mujh ko
Ban ke aansoo teri palkon pe para rehta hoon
Tum akele mein kisi roz baha do mujh ko
Mein nahin mangta tujh se tere daaman ki hawa
Aakhir baar yeh soorat hi dikha do mujh ko
To mujhe yaad kare aur pashemaan bhi na houn
Aisi yaadon se to behter hain bhula do mujh ko...........
Erum Zehra
09-22-2007, 08:40 PM
bikher rahi hay meri zaat ... usay keh dena ...
Kahein milay wo to ye baat..
usay keh dena!
usay kehna k bina us k din nahi kat'ta
Sisak k kat'ti hay her raat ...
usay keh dena!
Woh saath tha to zamana tha humsafar mera..
Mgr ab koi nahi saath
usay keh dena !
Woh jis ko sun k palat aaye meri duniya mein,
Hawaao'n.... aisi koi baat
usay keh dena!
agr woh phir bhe naa loutay ,to mehrbaa'n Qasid ...
Hamaari zeest k halaat ..
usay keh dena!
Her aik jeet us k naam kar rahi hoon main
main manti hoon apni maat...
usay keh dena!
usay pukaaro'n yaa khud puhunch jaaon us k paas..
rahay hain bas mein kab halaat
usay keh dena!
Baras baras k nigahein bhe ho gayein pathar,
Pari hay gham ki ajab raat ..
usay keh dena!
wo sath tha to ..zamana tha humsafar mera
hain ab tu khaali mere haath ...
Erum Zehra
09-22-2007, 08:40 PM
har waqt main unke khayaalo.N mein aaun,
magar woh kahe ki main usey bhool jaaun,
doori aati hain raasto.N mein dil mein nahi,
woh mere dil mein hain yeh kaise bataaun,
mushkiley toh humsafar hoti hain is raah,
mitaadey naam mera, main kaise mitaaun,
haath mera **** diya mushil waqt mein,
woh bhatak rahaa hain main kaise jagaaun,
tamanna toh hain he mere dil mein magar,
kaanto par cha unki galiyaan kaise sajaaun,
Koi aakar aaj meri madad kar doh yaaro.N,
ki apna janaaza main khud he kaise utaaun.
Erum Zehra
09-22-2007, 08:40 PM
Phir sun raha houn guzre huwe zamane ke chap ko
Bhool huwa tha dair se main apne ap ko
Rehte hain kuch malol se chehre paroos main
Itna na taiz keejay dholak ke thap ko
Ashkoun ke aik nahar thi jo khushk ho gai
Koun kar mataoun dil se tere ghum ke chap ko
Kitna he bay kanar samundar na , phir be dost
Rahta hia bay qarar nadi kay malap ko
Pehle tu meri yad se aie haya unain
Phir aienay main choom leya apne ap ko
Tareef keya ho qamat e dildar ke Shakaib
Tajseem kar deya hai kesi ne alap ko
Erum Zehra
09-22-2007, 08:40 PM
Aaj Rootha huwa ik dost bohot yaad aaya
Acha guzra huwa kuch waqt bohot yaad aaya..
Meri aankho k her ik ashk pe ronay wala
Aaj jab aankh yeh roee tu bohot yaad aaya..
Jo mere dard ko seene main chupa laita tha
aj jab dard huwa mujh ko bohot yaad aaya..
Jo meri aankh main kajal ki tara rehta tha
aaj kajal jo lagaya tu bohot yaad aaya...
Jo mere dil k tha qareeb faqat us ko hi
aaj jab dil nay bulaya tu bohot yaad aaya...
Mere jevan ki her khushi main wohi tha bus
aaj jab yaad woh aaya tu bohot yaad aaya
Erum Zehra
09-22-2007, 08:41 PM
Main Ager Khush Hoon To Rooh Mein Wehshat Keun Hai?
Muskaraun Phir Bhi Hontoon Pe Kulfat Keun Hai?
Apni Ulfat Ki To Dete Hain Gawahi Mah-o-mehar
Phir Batai Koi Hum Donoon Mein Furqat Keun Hai?
Justajoo Jis Ki Thi Wo Hum Dum Mil Hi Gaya Mujhe
Zindgi Tujh Ko Mager Shauq-e-musafat Keun Hai?
Wo Hai Pehloo Mein Mager Dil Hai Bahut Afsurda
Us K Hote Huwe Auroon Ki Zaroorat Keun Hai?
Jab Subhi Log Kisi Na Kisi Rishte Se Hain Wa Basta
Zindgi Tou Hi Bata Tujh Mein Ye Khalwat Keun Hai?
Dil Jab Dum Bharta Hai Her Aik Shakhs Se Chahat Ka
Phir Na Jane Mujhe Logoon Se Ye Adawat Keun Hai?
Raat Bhar Sunaya Haal-e-majrooh Apna
Dil Mein Ab Bhi Ik Jiger Doz Hikayat Keun Hai?
Erum Zehra
09-22-2007, 08:41 PM
Dil ko Rona, Rooh ko khud pe afsos aaya,
Aaj phir us Bewafa ka khyaal aaya.
Khamosh lab aur Sukhi Ankhein Thi,
Unke khayalo se phir ek Sailaab aaya.
Dil ne unko kai baar Bhulana Chaha,
Jitna bhulaya woh aur Yaad Aaya.
Meri Ankhon Mein bas wohi basi thi,
Phir kyu nahi us ne mujhe apnaya.
Wo keh gai thi ke mein Tumhari Hon Wapis Aunge,
Ek arsa beeta hai wo ab tak na aaya.
Ek Din Intezar me us ke yuhi batha tha,
Dil jhum gaya tha jo unka khat aaya.
Us kagaz me khushiyaa dhund raha tha,
Haath mere bas Lamba Intezaar aaya.
Kitni asani se likhdia ke mujhe Bhulado,
Kyu unko mujhpe koi taras na aaya.
Jis rishte ko itne Armano se Banaya tha,
Use khatm karne ek kagaz ka Tukda aaya.
Bada yakin tha apne mazboot pyaar pe,
Ek kagaz ne use kitna kamzor Banaaya.
Koi rishta mazbut nahi hota ,
Is sach ka usne mujhko ehsaas Dilaaya.
Bhula raha tha unko mujhe is ka guma tha,
Khat dekhte sara Manzar Nigaho me Aaya.
Dil ko rona,rooh ko khudpe Afsos Aaya,
Aaj phir us Bewafa ka Khyaal Aaya..
Erum Zehra
09-22-2007, 08:41 PM
apane chehare se jo zaahir hai chhupaayein kaise
terii marzii ki mutaabik nazar aayein kaise
ghar sajaane kaa tassavur to bahut baad kaa hai
pahale ye tay ho ki is ghar ko bachaayein kaise
qah-qahaa aankh kii barataav badal detaa hai
hansanevaale tujhe aansuu nazar aayein kaise
koii apanii hii nazar se to hamein dekhegaa
ek qatare ko samundar nazar aayein kaise
Erum Zehra
09-22-2007, 08:41 PM
Akailay pann ka sabab ham haiN yaa hamaray khwaab
Kisi tarah naheeN lagtay kisi kanaray khwaab
Yeh khwaab haiN jo hamaiN sabb se door rakhtay haiN
Aur itni door keh lagtay naheeN hamaray khwaab
Udaas matt ho koii shaam aisi aaey gee
khushi ki raah dikhaaiN ge apnay saaray khwaab
Erum Zehra
09-22-2007, 08:41 PM
Yoon koi chor diya karta hai apna kar k
Tu nay to mar diya hai mujhy tanha kar k
Ek nazar daal kabhi mairay maseeha mujh pr
Taira kaya jaey ga baimaar ko acha kar k
Aaey mohabbat k marahil say guzarnay walay
Tu ny aansoo kabhi daikha hai sitaara kar k
Main boht jald bhanwar mai tujhy yad aon ga
Itna khush baash na rah mujh sy kinaara kar k
Zara dastaar bacha kar mery sar kar dushman!
Tu mujhy maar magar maar naa ruswaa kar k!!!
Ishq main kohkuni mairi zarurat hai SHUMAR
Janay kion toot saa jata hoon iraada kar k
Erum Zehra
09-22-2007, 08:41 PM
Aay Shama e Kooay Jaan~n,
Hai Taiz Hawa, Mana
Loo Apni Bacha Rakhna - Rastoon Pay Nigah Rakhna
Aaisee Hee Kissee Shab Main
Aaiy Ga Yahan Koi, Kuch Zakham Dikhanay Koo
Ik Toota Howa Wada, Matti SayUthanay Koo
Pairoo~n Pay Lahoo Uss Kay
Ankhoo~n Main Dhuwaan Hoo Ga
Chahray Key Dararoun Main
Beetay Howay Barsoon Ka
Aaik Aaik Nishaan Hoo Ga
Boolay Ga Na Kuch Laikin, Faryaad Kunann Hoo Ga
Aaiy Shama e Koay Jaana
Woh Khak Basar Rahi - Woh Shookhta Parwana
Jub Aaiy Yahan Uss Koo Mayoos Na Lootana!
Hoo Taiz Hawa Kitni, Loo Apni Bacha Rakhna
Rastoon Pay Nigah Rakhna - Rahi Ka Pata Rakhna,
Iss Bhaid Bharee Chup Mian Ik Phool Nay Khilna Hai!
Uss Nay Inhee Galiyoon Main, Ik Shakhas Say Milna Hai!
Erum Zehra
09-22-2007, 08:42 PM
Wo Mujh se meri udasiyon ki waja poochta hai
Kaisa pagal hay dhalti raat k sanatay ki waja poochta hai
Wo Mujh se meri barasti ankhon ki waja poochta hai
Kaisa pagal hai barish kay barasnay ki waja poochta hai
Wo mujh se meri MOHABBAT-O-WAFA k baray main poochta hai
Kaisa pagal hai sumandar per kharay uski gehrai poochta hai
Wo mujh se meri pasand kay baray mai poochta hai
Kitna nadan hai apnay hi baray mai poochta hai
Erum Zehra
09-22-2007, 08:42 PM
Agar tum dhondhna chaho
tu mein tum ko
khizan asar be-saya darakhton mein tum ko milon
Jahan shahab say mehroom raton ko khizan aram karti hai,
jahan girtay hoye patton kay matam main
hawa ka as shamil hay, meri awaz shamil hai
Agar tum dhondh na chaho
tu mein tum ko
kese weran bastii mein
kese be abb sehra main shayad milon
kay main sehra ke urti rait kay zaroon ka hissa hon
koi bholi kahani hon
koi purana qisa hon
kese din tum jo ay niklo kese weran qarye main
kese ayesay kharaby mein jahan koi nahi rehta
jahan tareek raton ko
Khamoshi chenkh kar apnay makion main....
kahin mheta hoaa dekho kese tanha musafir ko
tum phir itna samhaj lena kay....
tum nay paliya mujhe ko
AGAR TUM DHONDH NA CHAHO..............
TU........
Erum Zehra
09-22-2007, 08:42 PM
Khizaa.N ke rang me.n abhii bahaar baaqii hai
ChiraaG-e-sahar hai par intazaar baaqii hai
Hame.n salaam karo ai havaadis-e-dauraa.N
Tumhaare saath hai.n phir bhii qaraar baaqii hai
Guzar chukaa hai ummiido.n kaa qaafilaa kab kaa
Raah-e-yaqiin pe ab bhii Gubaar baaqii hai
Hame.n pukaar lo jab chaaho ham mile.nge vahii.n
Mile hai.n Khaak me.n lekin vaqaar baaqii hai
Erum Zehra
09-22-2007, 08:42 PM
merii tasviir me.n rang aur kisii kaa to nahii.n
gher le.n mujhako sab aake mai.n tamaashaa to nahii.n
zindagii tujhase har ik saa.Ns pe samajhautaa karuu.N
shauq jiine kaa hai mujhako magar itanaa to nahii.n
ruuh ko dard milaa dard ko aa.Nkhe.n na milii
tujhako mahasuus kiyaa hai tujhe dekhaa to nahii.n
sochate sochate dil Duubane lagataa hai meraa
zahan kii tah me.n 'Muzaffar' koii dariyaa to nahii.n
Erum Zehra
09-22-2007, 08:42 PM
kuch to duniya ki inaayaat ne dil todD diyaa
aur kuchh talkhii-e-haalaat ne dil tod diyaa
ham to samajhe the k barsaat mein barasegii sharaab
aayii barsaat to barsaat ne dil tod diyaa
dil tu rotaa rahe, or aankh se aansuu na bahe
ishq kii aisii rawaayaat ne dil tod diyaa
wo mere hain, mujhe mil jayeinge, aa jayeinge
aise bekaar khayaalaat ne dil tod diyaa
aap ko pyaar hai mujh se ke nahiin hai mujh se
jaane kyoun aise sawaalaat ne dil tod diyaa
Erum Zehra
09-22-2007, 08:42 PM
Mujhey Yaad Itna Na Aya Karo
Youn KHiyalon Pey Na Chaya Karo
Chaand Bun K Asmaan Pey Na Aya Karo
Mujhko Raton Ko Youn Na Jagaya Karo
Itni Zid Achi Nahi Hoti
Kuch Khuda Ka KHof B KHaya Karo
Dil Ki Basti Tu Basadi Tum Ney
Kabhi Ghareeb KHaney Pey B Aya Karo
Meri Tum Sey Yehi Iltija Hey Akhri
Keh Mujhey Yaad Bohut Tum Aya Karo
Erum Zehra
09-22-2007, 08:43 PM
Baat Din Ki Nahi, Ab Raat Se Dar Lagta Hai...
Ghar Hai Kacha Mera, Barsaat Se Dar Lagta Hai...
Tere Tohfay Ne To Bas Khoon Ke Aansoo Hi Diye...
Zindagi Ab Teri Saugaat Se Dar Lagta Hai...
Pyaar Ko Chor Ker Tum Aur Koi Baat Karo...
Ab Mujhay Pyaar Ki Har Baat Se Dar Lagta Hai...
Meri Khaatir Na Wo Bandnaam Kahein Ho Jaein...
Iss Liye Unn Ki Mulaqaat Se Dar Lagta Hai..
_________________
Erum Zehra
09-22-2007, 08:43 PM
Kyun Mohabbat Udas Rehti He
Kyun Mohabbat Malool Rehti He
Ghamzada,ghamzada Si Phirti He
Ansoo Peeti He Or Jeeti He
Pyass Phir Bhi Kabhi Nahe Bujhti
Zard Rut Mein,dukhon Ke Mosam Mein
Wasl Ke Intezar Mein Chal Ke
Hont See Ke,judaei Ko Seh Ke
Bas Ghamon Mein Nirash Rehti He
Ye Mohabbat Udas Rehti He
_________________
Erum Zehra
09-22-2007, 08:43 PM
Abi kuch nehi badla
Darakhtoon pe wohi mosam
abi tak muskuratey hain
Abi tak surmaii shamain
humarey sath roti hain
Abi tak mere hontoon pe
Tumharey Ehmarii hontoon ki
Khushbu raqass karti hae
abi tak meri aankhoon mein
Tumharey khab bastey hain
Abi tak mere hathoon pe
tumhari naram ungliyuon k
naram poroon se likhey sab haraf baqi hain
Abi tak mere seney mein tumhari saanas chalti hae
Abi toh rastoon par
dhudhyaa pehroon se parney waley sarey naqsh qayam hain
Abi almariyoon mein sarey tohfey ghungunatey hain
Tumharey khat abi bi raat ki tanhaai mein
Mujh se baatian kartey hain
Bohat se saal guzrey hain
Bohat sa wqat bita hae
Meri chahat nehi beeti
meri himat nehi guzrii
abi bi kuch nehi badlaa
Abi bi kuch nehi badla
Agar chahoo
Agar samjhoo
Meri maanoo toh
Loot aao
Abi kuch nehi badla
Erum Zehra
09-22-2007, 08:43 PM
Dekho hum nay bhula rakheen theen tery yaadain,
dil k aaenay se mita rakheen tery yaadain...
Meray laho mein sartaan c gardish mein kiun hai ay marz e la elaaj,
hum nay to ek dawa se bana rahkeen theen tery yaadain,
chahat ki har khaahish ko masalsal kuchla hai hum nay,
khaahishoon k sehra mein saja rakheen tery yaadain,
dushman ki tarah kiyun ghamoon mein dhakeela hai humain
hum nay to mohabbat se Sda rakheen theen tery yaadain,
tera ghum koi kesay parh sakta tha meray chehray se
dil e shaksta nay kaheen chupa rakheen theen tery yaadain,
har kisy mein khushiyaan he banti hain hamesha
aur apnay liye Saza rakheen hai tery yaadain,
lo phir se toot gaye,phir se tanhaa ho gaye Rani.....
hum nay to ek asra sa bana rakheen theen tery yaadain......
Erum Zehra
09-22-2007, 08:43 PM
Dil me esa ye shor kyo hai
Ulajhi tere mere rishto ki dor kyo hai
Jara gour se dekh to sahi tere hatho me
Mere pyar ki chhoti si lakeer hai
Fir teri ummid itani kamjor kyo hai
Jab bhi palke.n moondi hai mene
Bas tera hi khayal aaya hai khwabo me
Jara soch to sahi mujh par sirf tera hi saroor kyo hai
Jab bhi nazare milai hai tujhase Teri nazar jhuki hi rahi
Tu ishq nahi karti mujhse
To teri aankhe chor kyo hai
Tere ishq ki gahrai or mere ishq ki tanhai
Bas tere labo.n me arso se kaid hai
To fir tu ijhar e ishq se door kyo hai
Erum Zehra
09-22-2007, 08:43 PM
Nakaam hasraton ne
yeh acha sila diya
yun aa k mere dil me basee'n
or rula dia
in aansu'on ko dil me
chupaya tha kis tarah
tumne to aaj sabr ka
parda gira dia
me tum se keh rahi hu
meri rooh zakhmi ha
tum muskura k bole
yeh kab haadsa hua ?
me toot k fanaa b
ho jaaungi magar
tum socho ge ik aashna tha
jaane kahan gaya ..
Erum Zehra
09-22-2007, 08:44 PM
Karon to kis leye aakhir mallal us ka
Usey nahi tu mujhe bhi nahi khayal us ka
Meri wafa ne banaya hai bewafa us ko
Kisi ada per bhi nahi hai kamal us ka
Mere naseeb ki yeh bhi tu khushnaseebi hai
Kay mujh ko dekh kay sub poochte hain hal us ka
Yahi dua main karoon har bars kay pehle din
Mere bagheer na guzre koi bhi saal us ka
Mere urooj ko us kay naseeb main likh dey
Khuda-e-pak mujhe sounp de zaval us ka
__________________
Erum Zehra
09-22-2007, 08:44 PM
Laakh doori ho magar ehad nibhatay rehna
Jab bhi barish ho mera soog manatay rehna
TUm gaye ho to sar-e-sham yeh adat thehri
Bass kinaray pe kharay haath hilatay rehna
Erum Zehra
09-22-2007, 08:44 PM
Zindagi jub hasrut bun jaye tou
Taqdeer say routha nahi kartay
Umeed rakhtay hain achay dinoon ki
Waqt say gilla nahi kartay...........
Erum Zehra
09-22-2007, 08:44 PM
Mere humsafar, tujhey kya khabar
Yeh jo waqt hai kisi dhoop chaon ke khail sa
Isey daikhtey, isey jhailtey
Meri ankh gard se att gai
Mere khuwab rait mai kho gaye
Mere hath barf se ho gaye
Mere bekhabar tere naam per
Wo jo phool khilte they hont per
Wo jo deep jalte the baam per,
Wo nahi rahey
Wo nahi rahey K jo aik rabt tha darmayan wo bikhar gaya
Wo hawa chali
Wo kisi sham aise hawa chali
Ke jo barg the sar-e-shakhe Jan, wo gira diye
Wo jo harf darj the rait per, wo ura diye
Wo jo raaston ka yakeen thay
Wo jo manzilon k ameen thay
Wo nishan-e-pa bhi mita diye!
Mere humsafar, hai wohi safar
Magar aik moor k farq se
Tere hath se maire hath tak
Wo jo hath bhar ka tha fasla
Kai mosamon mai badal gaya
Usey naptey, Usey katatey
Mera sara waqt nikal gaya
Tu maire safar ka shareek hai
Mein tere safar ka shareek hon
Per jo darmayan se nikal gaya
Usi fasley k shumar mai
Usi be yakeen se ghubar mai
Usi rahguzar k hasar mai
Tera rassta koi aur hai
Mera rasta koi aur hai.
Erum Zehra
09-22-2007, 08:45 PM
jab barsay aankhon say barsat to bata daina
mairi bahon main aa k har bat bata daina
jo bat bhi tairay dil main hai mairay liay
mujay aa kar kissi rat bata daina
ishq k angaray jalnay lagayn jab
oor dil pay ho taron ki barat, bata daina
agar tum ko payar hai bohat muj say
to sab kuch waqt-e-mulaqat bata daina
tarpta hai "shaheer" tairay intazar main ab tak
tumharay hain jo bhi halat bata daina
Erum Zehra
09-22-2007, 08:45 PM
dekhte dekhte utar bhi gaye
un ke teer apna kaam kar bhi gaye
husn per bhi kuch aa gaye ilzaam
go bahut ahl-e-dil ke sar bhi gaye
yun bhi kuch ishq nek naam na tha
loag badnaam usko kar bhi gaye
kuch pareeshaan se the bhi ahl-e-junoon
gesoo-e-yaar kuch bikhar bhi gaye
aaj unhein meherbaan sa paakar
khush hue aur jee mein dar bhi gaye
ishq mein roth kar do aalam se
laakh aalam mile jidhar bhi gaye
huun abhi gosh pur sadaa aur wo
zer-e-lab keh ke kuch mukar bhi gaye
Erum Zehra
09-22-2007, 08:45 PM
dhum thi apni parsai ki
ki bhi aur kis se ashnai ki
kyon barhte ho ikhtilat bahut
ham mein taqat nahin judai ki
munh kahan tak chupaoge ham se
ham ko adat hai khudnumai ki
lag mein hai lagw ki baten
sulah mein cher hai larai ki
dil bhi pahlu mein ho to yan
kis se rakhiye ummid dil-rubai ki
na mila koi garat-e-iman
rah gai sharm parsai ki
maut ki tarah jis se darte the
saat a pahunchi us judai ki
zinda phirne ki hai hawas "Hali"
intaha hai ye behayai ki
Erum Zehra
09-22-2007, 08:45 PM
Khud apane liye baith ke sochenge kisii din
Yoon hi tujhe bhuul ke dekhenge kisii din
Bhatake hue phirate hain kaii lafz jo dil mein
Duniyaa ne diyaa vaqt to likkhenge kisii din
Hil jaayenge ik baar to arshoon ke dar-o-baam
Ye Khaak nasheen log jo bolenge kisii din
Aapas kii kisii baat kaa miltaa hii nahin vaqt
Har baar ye kahate hain ke baithenge kisii din
Ai jaan terii yaad ke be-naam parinde
ShaaKhoon pe mere dard kii utarenge kisii din
Jaatii hai kisii jhiil kii gaharaaee kahaan tak
Aankhoon mein terii Doob ke dekhenge kisii din
Khushboo se bharii shaam mein jugnuu ke qalam se
Ik nazm tere vaaste likkhenge kisii din
Soyenge terii aankh kii Khlvat mein kisii raat
Saaye men terii zulf ke jaagenge kisii din
Khushboo kii tarah ,asl-e-sabaa Khaak numaa se
Galiyoon se tere shahar kii guzarenge kisii din
‘Sanam’ hai yahii ab ke kafan baandh ke sar se
Us shahar-e-sitamgaar mein jaayenge kisii din ...
Erum Zehra
09-22-2007, 08:45 PM
Mein bhe chup ho jaoon ga bujhti hui shamoon ke saath....
aur kuch lamhay thehar! ae zindegi, ae zindegi....
jab talak roshan hain ankhon ke fasurda taqchay....
neelgun honton se phootay gi sada roshni ki....
jism ki girti hui deewar ko thaamay huway....
maom ke buut aateshin chehray sulagti moortien....
meri beenai ki yeah makhlook zinda hai abhe....
aur kuch lamhay thehar! ae zindegi, ae zindegi....
ho to janay de meray lafzon ko maani se taahi....
meri tehreerain, dhunwain ki reengti perchaiyan....
jin ke paiker apni awazon se khali be lahoo!....
mehav ho janay to de yadon se khuwabon ki terhan....
ruk to jain akhri sanson ki wehshi andhiyan....
phir hata laina meray mathay se tu bhe apna haath....
mein bhe chup ho jaoon ga bujhti hui shamaoon ke saath....
aur kuch lamhay thehar! ae zindegi, ae zindegi.
Erum Zehra
09-22-2007, 08:45 PM
Aj Dareeche Mein Wo Ana Bhol Gaya
Main Bhi Apna Diya Jalana Bhol Gaya
Aj Mujhe Bhi Us Ki Yad Nahi Ayee
Wo Bhi Mere Khuwab Mein Ana Bhol Gaya
Bahaar Ne Jab Se Ana Chordia
Muasam Bhi Apna Phool Khilana Bhol Gaya
Chalte Chalte Mein Us Ko Gher Le Ayaa
Wo Bhi Mujh Se Apna Hath Churana Bhool Gaya
Khat Likha Hey Per Khat Ke Kone Per
Wo Apni Ankh Ka Aansu Mitana Bhol Gaya
Rooth Ker Dono Ek Jaga Per Bethe Rahe
Mein Us Ko Wo Mujhe Manana Bhool Gaya
Erum Zehra
09-22-2007, 08:46 PM
yun hi hansi hansi main
hum dilon se khel jate hain
koi ****i si teekhi baat
koi chubhta hoa jumla
koi zehar aalod lehja
koi be zaraz domani baat
sunne wale ke dil par ghao laga jaati hai
phir kitene hi talafi ke marham lagao
qatrah qatrah khon
tapakta hi rehta hai
woh ansoo
jo aankh se girta hi nahin
andar hi andar jam jaata hai
barf par gire garam mom ke qatre ki tarah
aur woh barf toh shayed
waqt ki garmi se pighal jaati hai
magar woh qatra
jab bhi pighalne lagta hai phail jaata hai
badh jaata hai bas khatam nahin hota
aur
yun hi hansi hansi main
hum dilon se khel jaate hain
Erum Zehra
09-22-2007, 08:46 PM
ek pal mai ek sadi ka maza hum se poochhye
do din ki zindagi ka maza hum se poochhye
bholay hai rafta rafta unhai mudato mai hum
qisto mai khud ***hi ka maza hum se poochhye
agaz-e-ashiqui ka maza aap janiye
anjam-e-ashiqui ka maza hum se poochhye
hansne ka shauq hum ko bhi tha aap ki tarha
hansiye magar hansi ka maza hum se poochhye
woh jaan he gaye k hume un se pyar hai
ankho ki mukhbari ka maza hum se poochhye
na doost banao Huzeifa, na qareeb lao kisi ko
doosto ki bewafai ka maza hum se poochhye
Erum Zehra
09-22-2007, 08:46 PM
Aankhon Ka Rang, Baat Ka Lehja Badal Gaya
Woh Shakhs Aik Shaam Main Kitna Badal Gaya
Kuch Din To Mera Aks Raha Ayeena Naqsh
Phir Yoon Huwa K Khud Mera Chehra Badal Gaya
Jab Apnay Apnay Haal Pay Ham Tum Na Reh Sakay
To Kiya Huwaa Jo Ham Say Zamana Badal Gaya
Kadmon Talay Jo Ret Bichi Thi Woh Chal Pari
Us Nay Churaaya Haath To Sehra Badal Gaya
Koi Bhi Cheez Apni Jageh Par Nahin Rahi
Jaatay Hi Aik Shakhs Kay Kiya Kiya Badal Gaya
Ik Sarkhoshi Ki Moj Nay Kaisay Kiya Kamal
Wo Be Niaaz Saara Ka Saara Badal Gaya
Uth Kar Chala Gaya Koi Wakfay Kay Darmiaan
Parda Utha To Saara Tamaasha Badal Gaya
Hairat Say Saaray Lafz Usay Dekhtay Rahay
Baaton Main Apni Baat Ko Kaisay Badal Gaya
Kehnay Ko Ik Sehan Main Deewar Hi Bani
Ghar Ki Fiza Makaan Ka Naqsha Hi Badal Gaya
Shaayad Wafa Kay Khel Main Uktaa Gaya Tha Woh
Manzil Kay Paas Aakay Jo Rasta Hi Badal Gaya
Qayem Kisi Bhi Haal Pay Dunyaa Nahin Rahi
Tabeer Kho Gayee Kabhi Sapna Badal Gaya
Manzar Ka Rang Asal Main Saaya Tha Rang Ka
Jis Nay Usay Jidhar Say Bhi Dekha Badal Gaya
Andar Kay Mosaamon Ki Khabar Us Ko Ho Gayee
Us No Bahaar Naaz Ka Chehra Badal Gaya
Aankhon Main Jitnay Ashaq Thay Jugnoo Say Ban Gaye
Woh Muskuraaya Aur Meri Dunyaa Badal Gayee
Apni Gali Main Apna Hi Ghar Dhoondtay Hain Log
Hanzala Yeh Kon Shehar Ka Naqsha Badal Gaya
Erum Zehra
09-22-2007, 08:46 PM
mohabbat soz bhii hai saaz bhii hai
Khaamoshii bhii hai aavaaz bhii hai
nasheman ke liye betaab taa_iir
vahaa.N paabandii-e-paravaaz bhii hai
Khaamoshii pe bharosaa karane vaalo
Khaamoshii Gam kaa gammaaz bhii hai
merii Khaamoshi-e-dil par na jaao
ki is me.n ruuh kii aavaaz bhii hai
dil-e-begaanaa-Khuu, duniyaa m.n teraa
ko_ii hamadam ko_ii hamaraaz bhii hai
hai meraaj-e-Khirad bhii arsh-e-aziim
junuu.N kaa farsh-e-paa a.ndaaz bhii hai
Erum Zehra
09-22-2007, 08:46 PM
Kabhi Yo0n Bhe Aa Meri AanKh Men..
Keh NaZar Ko Kabhi Khabar Na Ho...
MuJheY Aik Raat NaWaZ De...
MaGeR UzKe Baad Sahar Na hO...
Wo Bara Rahim-0-Karim Hai.
MuJheY Yeh Sift Bhe Ata Kare...
TuJheY Bho0lne Ki Dua Kar0n...
To Meri Dua Men Asar Na Ho...
Erum Zehra
09-22-2007, 08:47 PM
Wo keh rahi thee kay sab kuch hai saa’at-e-mojood
manaoo shauq say jo bhi khushi muyas’sar ho
wo keh rahi thee kay maazi ka ghum bhula daalo
na lub pay aah na aankhoon main ashk ho koi
wo keh rahi thee karo tum na fikr-e-mustaqbil
falak jo rung dikhaiy ga daikha jaiy ga
wo keh rahi thee… magar main amal na kar paya
keh maira khatir-e-has’saas mairay bas main nahi
mujhay hai rabt ghum-e-doosh-o-fikr-e-furda say
main apna guzra zamana bhula nahi sakta
main fikr-e-furda say daaman chura nahi sakta!!
Erum Zehra
09-22-2007, 08:47 PM
Falsafa-e-ishq mein pesh aye sawalon ki tarah,
hum pareshan he rahe apne khiyalon ki tarah,
*sheesha-gar bethe rahe zikr-e-masiha lekar,
or hum toot gaye kaanch ke piyalon ki tarah,
*jab bhi anjam-e-muhabbat ne pukara khud ko,
waqt ne pesh kiya hum ko misaalon ki tarah,
*zikr jab hoga muhabbat mein tabahi ka kahin,
yaad hum ayenge dunya ko hava'*** ki tarah**...
Erum Zehra
09-22-2007, 08:47 PM
chaaNd maddham hai, aasmaaN chup hai
niiNd kii god meN jahaaN chup hai
duur vaadii meN duudhiyaa baadal
jhuk ke parbat ko pyaar karte haiN
dil meN naakaam hasrateN lekar
ham teraa intizaar karte haiN
in bahaaroN ke saaye meN aa jaa
phir muhabbat javaaN rahe na rahe
zindagii tere naa-muraadoN par
kal talak meh’rbaaN rahe na rahe
roz kii tarah aaj bhii taare
subh kii gard meN na kho jaayeN
aa ! tere Gham meN jaagtii aankheN
kam se kam aik raat so jaayeN
Erum Zehra
09-22-2007, 08:47 PM
Bheer me charon taraf chehre anjaaney miley,
Mere apney aaj mujhse bankey begaaney miley.
Tha bharosa doston par itna ki mujhse na pooch,
Jinkey hathon me they patthar log pehchaney miley.
Bankey marham waqt hi bharta hai harek zakhm ko,
Jaisey jaisey waqt beeta zakhm pooraney miley.
Kiske aagey rotey aur sunatey apni dastaan,
Basti thi ujri huyee sunsaan thikaney miley.
Ab na maangengey illahi zindagi ki bheekh hum,
Ishq me shama ki ye kehtey huye parwaney miley.
Dil diya tha naaz se jis jis ne apni jaan ko,
Chand tootey dil ke tukre unko nazraney miley.
Maazi ki yaad me sab doobey huye they is qadar,
Khwab tere shahar ke sab log deewane miley.
Erum Zehra
09-22-2007, 08:47 PM
Neeyat-e-shauq bhar na jaey kaheeN
Tu bhee dil say utar na jaey kaheeN
Aaj dekha hai tujh ko dair kay baad
Aaj ka din guzar na jaey kaheeN
Na mila ker udaas logoN say
Husn tera bikhar na jaey kaheeN
Aarzoo hai keh tu yahaaN aaey
Aur phir umr bhar na jaey kaheeN
Ji jalaata hooN or yeh sochta hooN
RaeygaaN yeh hunar na jaey kaheeN
Aao kuch dair ro hee laiN 'Nasir'
Phir yeh dariya utar na jaey kaheeN
Erum Zehra
09-22-2007, 08:47 PM
Kabi Ehsas Ho Tum Ko
Kay Tum Acha Nahi Kartey
Muje Jo Youn Rulatey Ho
Laho Mera Jalatey Ho
Agar Is Aag Mein Jal Ker
Mein Ak Din Rakh Ho Jaoun
Muje Dilse Bhula Dena
Samundar Mein Bha Dena
Magar Rab Say Ye Dua Karna
Jo Acha Lagay Tumko
Tum Jesa Na Ho Hergez
Werna Roay ** Tum Hergez
Muje Jesay Rulatey Ho
Erum Zehra
09-22-2007, 08:48 PM
kab tak dil kii Khair manayein,kab tak raah dikhaoge
kab tak chain kii mohalat doge, kab tak yaad na aaoge
biitaa diid umiid kaa mausam,khaak urtii hai ankhoun mein
kab bhejoge dard kaa baadal, kab barkhaa barasaaoge
ahad-e-vafaa aur tark-e-muhabbat jo chaaho so aap karo
apane bas kii baat hii kyaa hai, hamase kyaa manavaaoge
kisane vasl kaa suuraj dekhaa, kis par hijr kii raat dhalii
gesuoun vaale kaun the, kyaa the, un ko kyaa jatalaaoge
'Faiz' diloun ke bhaag mein hai, ghar basanaa bhii lut jaanaa bhii
tum us husn ke lutf-o-karam par kitane din itaraaoge
Erum Zehra
09-22-2007, 08:48 PM
Bhool jao tamam batoun ko
Un khayaloun ko mehv kar dalo
Ponch lo ashk apne daman se
Bekhre bekhre hain bal suljha lo
Jao ab subah hone wali hia
Ab na ansoo bahao jane do
Aao rukhsat houn muskerate huwe
Dagh rah jay ga mere dil par
Rote dekha jo tum ko jate huwe
Jao ab subah hone wali hai
Khoon e hasrat chalak raha hia aj
Husan e garyan kay aabageene se
Choom kar mere sard hontoun ko
Kanch lo rooh meri seene se
Jao ab subah hone wali hai
Sar uthao zara udhar dekho
Ek nazar akhri nazar dekho
Shama e umeed tum bhi gul kar lo
Arzoo main ne phoonk dali hai
Jao ab subah hone wali hai
Erum Zehra
09-22-2007, 08:48 PM
un palkon ke saaye mein saari fizaayein rehti hai
itna sa sach hai baaki afwaahein rehti hain
humne to bas wahi suna hai jo uski aankhein kehti hai
itna sa sach hai baaki afwaahein rehti hain
jaise kataar mein parwaaz karte hai parinde
unki aarzoo mere dil mein bas aise behti hain
apne kadmo ke saath uski bhi aahatein sunta hoon
wo ab bhi banke humkadam saath chalti hain
udti hain chingaariyaan ab bhi un zulfon se
jab baarish mein uski zulfien bikharti hain
Erum Zehra
09-22-2007, 08:48 PM
sachi
lo phir aik aur
un palkon ke saaye mein saari fizaayein rehti hai
itna sa sach hai baaki afwaahein rehti hain
humne to bas wahi suna hai jo uski aankhein kehti hai
itna sa sach hai baaki afwaahein rehti hain
jaise kataar mein parwaaz karte hai parinde
unki aarzoo mere dil mein bas aise behti hain
apne kadmo ke saath uski bhi aahatein sunta hoon
wo ab bhi banke humkadam saath chalti hain
udti hain chingaariyaan ab bhi un zulfon se
jab baarish mein uski zulfien bikharti hain
Erum Zehra
09-22-2007, 08:49 PM
Jub se us ne shehr ko chora hur rasta sunsaan howa
apna kia hai sare shehr ka ik jaisa nuQsaan howa
ye dil, asaib ki nagri muskan sochon wehmoon ka
soch rahi hoon is nagri mein tu kub se mehmaan howa
sehra ki moun zoor hawaein auron se munsoob hoein
muft mein hum awara there muft mein ghar veran howa
mere haal pe hairat kaisee durd k tanha mosum mein
pather bhee ru parte hain insaan tu phir insaan howa
itni dair mein ujre dil per kitne mehshur beet gaye
jitnee dair mein tumko pa kur khone ka amkaan howa
kul tuk jis k gird tha raksaan aik anb-wah sitaron ka
aaj ussi ko tanha pa kur mae bohat hiraan howa
us k zakhm chupa k rakhiye khud us shaks ki nazroon mein
us se kaise shikwa kijeeay wo tu abhi nadaan howa
jin ashkoon k pehli loo ki hum be-Qaar samjhay thay
un ashkon se kitna rosha ik tareeQ makan howa
youn bhee kum amaiz tha Mohsin wo is shehr k logoon se
lekin mere samne aa kur aur bhee kuch anjaan howa~!!
Erum Zehra
09-22-2007, 08:49 PM
Kabi Ehsas Ho Tum Ko
Kay Tum Acha Nahi Kartey
Muje Jo Youn Rulatey Ho
Laho Mera Jalatey Ho
Agar Is Aag Mein Jal Ker
Mein Ak Din Rakh Ho Jaoun
Muje Dilse Bhula Dena
Samundar Mein Bha Dena
Magar Rab Say Ye Dua Karna
Jo Acha Lagay Tumko
Tum Jesa Na Ho Hergez
Erum Zehra
09-22-2007, 08:49 PM
Lakh zabt-e-khuwhish kay
bay shumar da'vay hoon
usko bhool janay kay
bay-panah iraday hoon
or us muhabbat ko tark kar kay jenay ka
fesla sun-nanay ko
kitnay lafz sochay hon
dil ko us ke aa'hat par
barmala dharaknay say kon rok sakta hay
phir vafa kay sahra main
uskay narm lehjay or sogavar aankhon ke
khushb'oon ko chonay ke
justajo main rahnay say
rooh tak pighalnay say
nangay pa'oon chalnay say
kon rok sakta hay
aanso'on ke barish main
chah'hay dil kay hathoon main
hijr kay musafir kay
pa'oon tak be choo aao
jis ko laut jana ho
usko door janay say
rasta badalnay say
door ja nikalnay say
kon rok sakta hay
Erum Zehra
09-22-2007, 08:49 PM
manzil thi nighahoon mein
raastey bhi gulistan thay
dil tha keh shehra nawardi per mayal
aqal mushkil pasandi ki qayal
aur hum jo mushkil pasand thehray
dil key haathoN kooch kay paaband thehray
chal perey liye hazaaroon khawab nighahoN mein
khawab chamaktey jungnoowoN kay
jugmagati shaamoN kay
dilawaiz subhooN kay
dostdar lehjooN kay
begharaz mohabbatoN kay
rah mein lakh kantey they
palkoon sey chuna sab ko
teer they zubanoN per
haans ker suna sab ko
kitni soti raatein jagi
kaisay kaisay manzer dekhay
kitnay apney paraye bichray
dil wiran aur banjar dekhay
aur hum jo mushkil pasand thehray
zindagi ki rahoon mein kadey ghum thehray
peechey mor kay dekhtay hain ab jo
koi manzil nazar aati hai naa hi manzil ka nishaan
khaak peri hai tan man per
aur raastay hain dhuwaan dhuwaan
Erum Zehra
09-22-2007, 08:49 PM
Tu har aik bat pay hans
daiti hai
Aur main soch main phar jata hon
Yeh teri sada-wa masoom hansi
Aankh ki bhool samat ka fa-soon
Teri adat tera andaaz na ho
Be-takaloof teray honthon ki chatak
Meri khush fehmi ka aejaaz na ho
Main saraboon ko bhi darya samjhon
Tu faqat shooq ki par-waz na ho
Tu har aik bat pay hans daiti hai
Aur main soch main phar jata hon
Yeh teri sada-wa be-baak hansi
Main jisay khaab say tabeer karon
Wo haqeeqat main koi raaz na ho
Teray be-sakhta hansne ki adaa
Teri tanhaye ki awaaz na ho
Main jisay husn-e-tabiaat janu
Teray jazbat ki ghamaz na ho
Tu har aik bat pay hans daiti hai
Aur main soch main phar jata hon
Yeh teri sada-wa par-kar hansi
Main muhabbat kay talb ka mara
Tu faqat husn-e-nazar baz na ho
Yeh na ho kay main tu soyembar jethon
Aur teray kasar ka dar-baaz na ho
Meri duniya meri hasti ka sukoon
Kisi tufaan ka aghaaz na ho~!!
Erum Zehra
09-22-2007, 08:49 PM
din raat ke aane jaane meN
duniya ke ajaayeb khaane meN
kabhi sheeshe dhhundhle hote haiN, kabhi manzar saaf nahiN hote
kabhi suuraj baat nahiN karta
kabhi taare aankh badalte haiN
kabhi manzil peeche rehti hai
kabhi raste aage chalte haiN
kabhi aaseN toRh nahiN chaRhtiN
kabhi khadshe poore hote haiN
kabhi aankheN dekh nahiN saktiN
kabhi khawaab adhoore hote haiN
yah sab to sahi hai lekin iss
aashob ke manzar.naame meN
(din raat ke aane jaane meN
duniya ke ajaayeb khaane meN)
kuchh saaya karti aankhoN ke peemaaN to dikhaayi dete haiN
haathoN se agarcha door sahi, amkaaN to dikhaayi dete haiN!
haan, ret ke iss dariya se udhar
ik paiRhoN waali basti ke unwaaN to dikhaayi dete haiN!
manzil se kosoN door sahi
pur dard sahi, ranjoor sahi
zakhmoN se musaafir choor sahi
par kis se kaheN ai jaan-e-wafaa
kuchh aise ghhaao bhi hote haiN jinheN zakhmi aap nahiN dhote
bin roye hue aansu ki tarah seene meN chupaa ke rakhte haiN
aur saari umr nahiN rote!
neendeN bhi mohayya hoti haiN, sapnay bhi door nahiN hote
kyuN phir bhi jaagte rehte haiN, kyuN saari raat nahiN sote
ab kis se kaheN ai jaan-e-wafaa
yah ahl-e-wafaa
kis aag meN jalte rehte haiN, kyuN bujhh kar raakh nahiN hote!!
Erum Zehra
09-22-2007, 08:50 PM
Dau pori na ho tu main dua se koun uljhati houn
Tumhare waste apne Khuda se koun uljhati houn
Agar us ko mere dil ka khilona torna he hai
Tu itni bat par khalq e Khuda se koun uljhati houn
Mujhe apni muhabat kay nishe main mast rahna hai
Main apne shaiher ke jhoti aana se koun uljhati houn
Kalai main hai tu buri lagti hai choori Koun
Hatheeli par nahin tu Hina se koun uljhati houn
Agar woh gulbadan aya nahin tu keya qasoor us ka
Qamar main bagh main ja kar saba se koun uljhati houn
Erum Zehra
09-22-2007, 08:50 PM
Phoolon ki kahani to aksar aa aa ke sunai logon ne
Kantoon pe guzarti hai kya kya ye baat chupai logon ne
Woh kahete rahe sab sunte rahe un per to nahi hai pabandi
Jab maine hillai apni zaban sau qaid lagayee logon ne
Ho jate bahem do dil mil ker ye baat gawara thi kisko
Mana woh khafa the kutch hamse, kuch aur lagayee logon ne
Us waqt kahan tum soye the itna to batado ab mujh ko
Jab meri muhabbat ki duniya hass hass ke metai logon ne
Ham doob rahe the toofan me kya tum ne nahin yeh dekha tha
Ehsan tumhara kyoon mane kashti to bachaie logon ne
Bad halo parishan khoee hue hum paunche jo un ki mahfil mein
Samjhe yeh koi dewana hai janjeer bardhai logon ne
Ham kaise pahunchte masjid me rukh kaise haram ka kar lete
Jo raah gai butkhane ko woh raah dekhai logon ne
Jis waqt mera ghar jalta tha us waqt ka manzar mat poocho
Lau aur bardhai de ker hawa kab aag bujhaee logon ne
Kya raz tha is me poshida kya baat thi aisi aee tishna
Jab hosh mujhe kuch aane laga maye aur pilayee logon ne
Erum Zehra
09-22-2007, 08:50 PM
Rasm-e-Ulfat Sikha Gaya Koi
Dil Ki Duniya Pey Chha Gaya Koi
Taa-Qayamat Kisi Tarah Na Bujhey
Aag Aisi Laga Gaya Koi
Dil Ki Duniya Ujaad Si Kyun Hai
Kya Yahan Sey Chala Gaya Koi
Waqt-e-Rukhsat Galey Lag Kar
Hanstey Hanstey Rula Gaya Koi
Erum Zehra
09-22-2007, 08:50 PM
Wo muje jab b milega koi gam de jaayega
aankh ki aasoodgi ko zahm-e-nam de jaayega
sab puraane paid gir jaayenge apne paao'n per
mauj sarsar ko wo andaaz-e-sitam de jaayega
umer bhar mehrumion ki daastan likhta rahoon
waqt mere haath me aisa kalam de jaayega
bhool jaane k liye azr shanasaai to ho
jaate jaate wo mujh ko mera bharam de jaayega!
Erum Zehra
09-22-2007, 08:50 PM
mujhe gussaa dikhaayaa jaa rahaa hai
tabassum ko chabaayaa jaa rahaa hai
vahiin tak aabaruu me.n zabt-e-Gam hai
jahaaN tak muskuraayaa jaa rahaa hai
do aalam mai.n ne chhoDe jisakii Khaatir
vahii daaman chhu.Daaye jaa rahaa hai
qariib aane men hai un ko takalluf
vahiin se muskuraayaa jaa rahaa hai
Erum Zehra
09-22-2007, 08:51 PM
Woh tera dewana shaiyer
Duniya say baigana shaiyer
Ratoun ko tanha sarkoun par
Phirta hai mastana shaiyer
Khawaboun ke pooja karta hai
Yadoun ka parwana shaiyer
Apni batoun say lagta hai
Zinda aik fisana shaiyer
Us ka jevan ghum ka mela
Khushioun say anjana shaiyer
Jo kehta hai Such kehta hai
Us ko kehe zamana shaiyer
Erum Zehra
09-22-2007, 08:51 PM
Hum ghoom chuke basti Ban main
Ek Aas ke phans leey Maan main
Koi sajan ho, Koi pyara ho
Koi deepak ho, Koi tara ho
Jab jeven rat andheri ho
Ek bar kaho tum meri ho
Jab sawan badal chaay houn
Jab phagan Phool khelay houn
Jab chanda roup lutata ho
Jab suraj dhoop nahata ho
Ya sham ne basti ghaire ho
Ek bar kaho tum meri ho
Han dil ka daman pheela hai
Koun gori ka dil maila hai
Hum kab tak peet k dhoke main
Tum kab tak door jharoke main
Kab dedub se dil ko aseri ho
Ek bar kaho tum meri ho
Keya jhagra sod khasare ka
Yeh kaj nahin banjare ka
Sab sona rupa lay jaay
Sab duniya , duniya lay jaay
Tum aik mujhe bahtayri ho
Ek bar kaho tum meri ho
Ibne Insha
Erum Zehra
09-22-2007, 08:51 PM
Abhi tu ishq mein aisa bhi haal hona hai
K ashk rokna tum sa mahaal hona haai
Har aik lab per hain mere wafaa k afsanay
Teray sitam ho abhi la-zawaal honaa hai
Baja hai k khaar hain lakin bahar ki ruut mein
Ya taaa hai ab k hamain bhi nihaal hona haai
Tumhain khabar hi nahi tum tu laut jaao gaa
Tumhara hijar mein lamha bhi saal hona haai
Hamrai rooh per jab bhi azaab otrain gaay
Tumhari yad ko is dil ki dhal hona hai
Kabhi tu roy ga wo bhi kisi ki bahoon mein
Kabhi tu is ki hansi ko zawaal hona haai
Milain ge hum ko bhi apna naseeb ki khooshiyan
Bus intizar hai kab ya kamala hona haaai
Har aik shaks chala ga hamari rahoon peeer
Mohabataoon mein hamain wo misaal hona hai
Zamana jis k kham-o-pache mein oljh jaaaay
Hamari zaaat ko aisa sawaaal hona haai
Wasi yaqeen hai mujhy ko wo laut ay ga
Isi bhi apna kiya k malaaal honaaa hai
Erum Zehra
09-22-2007, 08:52 PM
ye zindagii
aaj jo tumhaare
badan kii chhotii-badii nasoun mein
machal rahii hai
tumhaare pairoun se chal rahii hai
tumhaarii aavaaz mein gale se nikal rahii hai
tumhaare lafzoun mein dhal rahii hai
ye zindagii
jaane kitanii sadiyoun se
yuun hii shaklein
badal rahii hai
badalatii shakloun
badalate jismoun mein
chalataa-phirataa ye ik sharaaraa
jo is ghadii
naam hai tumhaaraa
isii se saarii chahal-pahal hai
isii se roshan hai har nazaaraa
sitaare todo yaa ghar basaao
qalam uthaao yaa sar jhukaao
tumhaarii aankhoun kii roshnii tak
hai khel saaraa
ye khel hogaa nahiin dubaaraa
ye khel hogaa nahiin dubaaraa
Erum Zehra
09-22-2007, 08:53 PM
Muhabatoun kay haseen safar main azeeyatoun ka yeh bab kesa
Yaqeen apna hai teri chahat gunah keya hai sawab kesa
K woh harfoun ke vuhsatoun se kahain pare hain buhat bare hain
Jo zakhum dil par lage hain un par sawal keya ho , jawab kesa
Sanbhal na poun, samej na poun k shyd ab kay main mar he joun
Judaioun kay kathan safar ka main keya kahoun, hai nasab kesa
Dhuwan dhuwan hai yeh dil ke besti, char so hain lepkate shulay
Buss aik nanhi se meri khawaish pay mere MOLA azaba kesa hai
Woh ranj main nay sahey hain dil par k sare jazabat mar gaay hain
Main keya batoun sanam k tujh ko yeh sang keya hai gulab kesa
Erum Zehra
09-22-2007, 08:53 PM
Naee Hikayat Muhabbaton Ki
Shikayatoon Ki
Bujhe Bujhe Se Haroof Le Kar
Kohar Mein Doobi Siyahoon Ki
Warq Warq Per Utaarna Hai
Udaas Shamoo Ke Phool Chun Kar
Suno December
Ussay Pukaaro
Ussay Bulaaoo
Suno December ... Ussay Mila Do
Ab Is Se Pehlay Ke Saans Niklay
Ab Is Se Pehlay Ke Saal Guzray
Wohi Lakeerain
Wohi Sitaarey
Meri Lakeeroon Mein Qaid Kar Do
Ya Aakhri Shab Ke Aakhri Pal
Koi Bara Ikhtitaam Kar Do
Yeh Zindagi Bhi Tamaam Kar Do
Suno December ... Ussay Mila Do...
Erum Zehra
09-22-2007, 08:53 PM
Behtar yehi hia rabt na rekhain kesi say hum
Tang aa ** hain dosti o dushmani say hum
Duniya kay aaba.geenay main anay na pay bal
Lete hain sans be bhi buhat aistagi say hum
Es ja tu har dareecha o darwaza band hai
Nekle sada lagate huwe kesi gali say hum
Matam ke unjaman ho kay bazm e nashat ho
Shamil hian ek aada e kinara kashi say hum
Kuch pochna nahin batana bhi kuch nahin
Wakif hain chashm e yar teri aagahi say hum
Mashoor hain jahan main woh nam e faraq say
Aao tumhain melain ** ek admi say hum
Erum Zehra
09-22-2007, 08:53 PM
Behtar yehi hia rabt na rekhain kesi say hum
Tang aa ** hain dosti o dushmani say hum
Duniya kay aaba.geenay main anay na pay bal
Lete hain sans be bhi buhat aistagi say hum
Es ja tu har dareecha o darwaza band hai
Nekle sada lagate huwe kesi gali say hum
Matam ke unjaman ho kay bazm e nashat ho
Shamil hian ek aada e kinara kashi say hum
Kuch pochna nahin batana bhi kuch nahin
Wakif hain chashm e yar teri aagahi say hum
Erum Zehra
09-22-2007, 08:54 PM
vo kaaT ke puraze u.Daa rahaa thaa
havaao.n kaa ruup dikhaa rahaa thaa
kuchh aur bhii ho gayaa numaayaa.N
mai.n apanaa likhaa miTaa rahaa thaa
usii kaa imaan badal gayaa hai
kabhii jo meraa Khudaa rahaa thaa
vo ek din ek ajanabii ko
merii kahaanii sunaa rahaa thaa
vo umr kar rahaa thaa merii
mai.n saal apane ba.Dhaa rahaa thaa ..........
Erum Zehra
09-22-2007, 08:54 PM
teri baaten kaisi hain ji
kab tak tujhko main samjhaun
tera mujhpe pyar hai itna
tujhko bas mujhse hi gila hai
meri chahat hai kuch aisi
main tujhse kya chahun bata de
maang sakun kuchh haq na mera
de kuchh paaun haq na tera
tera mera saath khoob hai
dard se nikla hai ik rishta
is rishte me dard bahut hai
dard hi bas ye de paega
chahe tumko chahe hamko
mera to ab sab kuchh chhoota
teri bas ik baat rakhun main
par ab to tu kahega mujhse
main tujhko achchi lagti hun?
Erum Zehra
09-22-2007, 08:54 PM
Naee hikayat muhabbaton ki
Shikayatoon ki
Bhujhe bhuje se haroof le kar
Kohar mein doobi seyyahoon ki
Warq warq per utaarna hai
Udaas shamoo ke phool chun kar
Suno December
Ussay pukaaro
Ussay bulaaoo
Suno December ... Ussay mila do
Ab is se pehlay ke saans niklay
Ab is se pehlay ke saal guzray
Wohi lakeerain wohi sitaara
Meri lakeeroon mein qaid kar do
Ya aakhri shab ke aakhri pal
Koi bara ikhtitaam kar do
Yeh zindagi bhi tamaam kar do
Suno December ... Ussay mila do...
Erum Zehra
09-22-2007, 08:54 PM
Nazm uljhi hoi hai seenay main
misray ata hue hain honton par
urte phirte hain titliyon ki tarhan
lafz kagaz par baith te hi nahi
kab se baitha hon main Janam
saada kagaz pay likh k tera naam
bas tera naam hi mukkammal hai
is se bahtar bhi Nazm kya hogi ~!!
Erum Zehra
09-22-2007, 08:54 PM
vo har maqam se pahale vo har maqam ke baad
sahar thii sham se pahale sahar hai sham ke baad
har inqalaab-e-mubaarak har inqalaab-e-azaab
shikast-e-jaam se pahale shikast-e-jaam ke baad
mujh pe itanii tavajjo mujh se itanaa gurez
mere salaam se pahale mere salaam ke baad
charag-e-bazm-e-sitam hain hamara hal na puuch
jale the sham se pahale bujhe hain shaam ke baad
ye raat kuchh bhii nahiin thii ye raat sab kuchh hai
tuluu-e-jaam se pahale tuluu-e-jaam ke baad
vahii zuban vahii baatein magar hai kitanaa farq
tumhare naam se pahale tumhaare naam ke baad
hayaat giriyaa-e-shabanam hayaat raqs-e-sharar
tere payaam se pahale tere payaam ke baad
ye tarz-e-fiqr ye rang-e-sukhan kahan 'Qabil'
tere kalaam se pahale tere kalaam ke baad
Erum Zehra
09-22-2007, 08:55 PM
Asar us ko zara nahin hota
Ranj e rahat e fiza nahin hota
Tum humare kesi tarah na huway
Warna duniya main keya nahin hota
Us nay keeya jane keya keya lay kar
Dil kesi kam ka nahin hota
Narsai say dum ruke. tu ruke
Main kesi say khafa nahin hota
Tum mere pass hote ho goya
Jab koi dosra nahin hota
Hal dil yar ko lekhoun koun kar
Hath dil say juda nahin hota
Daman us ka jo hai daraz tu ho
Dast e ashiq rasa nahin hota
Koun sune arz e muztaher aaa Moman
Sanam akhir Khuda nahin hota
Erum Zehra
09-22-2007, 08:55 PM
Woh chal parha, aahista aahista
or waqt urhnay lag gaya
bohat taizi say, raasta chauta tha
aarzu lambi thi
hamsafri mukhtasir
musaafat bohat taweel
qadam qadam par wehshat-e-jaan ki yalghaar
qadam qadam par
iztiraab ka ik naya qaafla hamraah hojata tha
uski sama'at kareeb kareeb bund hogai thi
aas paas ki awazain usey bohat door sunai dey rahi theen
woh sirf apnay dil ki dharkan sun raha tha
jo har taraf har soo goonj rahi thi
or ik shaur
beychaini or iztiraab ka shaur
khamoshi ka shaur
bohat kuch kehnay ki khuwahish or na keh paaney ka shaur
usnay socha
main usay kahoon
main to hamesha tumharey saath hota hoon
kub main nay tumhain akaila honey dia
us waqt bhi tumharey saath hota hoon
jab tum dhoop main nikalti ho
tum kabhi apnay andar jhanko
dehaktey, sulagtey suraj k neechay
woh jo tumharey andar
aik narm or thanda ehsaas lehrain maarta hay
woh main hee to hota hoon
tareek or andheray raastoun main
woh jo aik roshan charaagh
tumharey andar jagmagata hay
woh main hee to hota hoon
buray or kharaab mausamoun main
woh jo aik chaadar si tumharey sar pay tann jaati hay
woh jo aik hifaazati hisaar sa
tumhaarey gird qayam hojata hay
woh main hee to hota hoon
bhala main nay tumhain kub akailey chaurha hay
tum jaagti ho
to aik pausheeda aitmaad ki soorat
tumhaarey andar rehta hoon
or sojaati ho
to khuwaboun ka pasmanzar ban k
tumhaari hifazat karta hoon...~!!
Erum Zehra
09-22-2007, 08:55 PM
Ye bhi nahin beemar na the
itane junoon aasaar na the
logon ka kya zikr karein
ham bhi kam ayaar na the
ghar mein aur bahut kuch tha
sirf dar-o-diivaar na the
sab par hansana shevaah tha
jab tak Khud us paar na the
teri Khabar mil jaati thi
shahar mein jab akhbaar na the
pahale bhi sab kuch bikataa tha
Khvaabon ke bazaar na the
maut ki baatein pyari thi
marane ko tayyar na the
Erum Zehra
09-22-2007, 08:55 PM
Pholoun ke tehniyoun pay neshaiman banayeh
Bijli gire tu jashan e churaghan manayeh
Kilyoun kay ang ang main metha sa dard hai
Bemar nagahtoun ko zara gud gudayeh
Kab say sulag rehi hai jawani ke garam rat
Zulfain bekhair kar mere pehlooo main aayeh
Behki hoi saya ghatoun kay sath sath
Je chehta hai sham e abad tak tu jaayeh
Na sazi e hayat bhi aik nashat e taluq
Halat ke rawish pay zara muskarayeh
Sun kar jese hawas main thandak see aa base
Aesi koi udas kahani sunaayeh
Raste main har qadam pay Khusarbat hai Adam
Yeh hal ho tu kes tarah daman bachaayeh
Erum Zehra
09-22-2007, 08:55 PM
Falak pay chand kay halay be soag karte hain
Jo tu nahin tu ujale be soag karte hain
Nagar nagar main woh bekhre hain zulam kay manzar
Humari rooh kay chale be soag karte hian
Use kaho kay sitam main woh kuch kami kar day
K zulam torne wale be soag karte hain
Tum apne dukh pay akele nahin ho ufsurda
Tumhare chahne wale be soag karte hain
Erum Zehra
09-22-2007, 08:55 PM
Main hosh main thaa to phir us pe murr gaya kase
Ye zehar mere lahoo mian utarr gaya kase
Kuch us ke dil main lagawat zaroor thi werna
Wo mera hath daba ker guzar gaya kase
Zaroor us ki tawajo ki rehbari ho gi
Nashe main thaa to main apne hi ghar gaya kase
Jise bhulaye kai saal ho gaye kamil
Main aaj us ki gali se guzar gaya kase
Erum Zehra
09-22-2007, 08:55 PM
Us ki aankhon me ek saaya ha
****kha kar jo musuraya ha
yaad ban kar jo rach gaya hoon me
us ko sach much bohat bhulaaya ha
log kyu a gaye mitaane ko
hum ne kab sheher-e-dil basaaya ha
soch lo neend rooth jaye gi
khwaab aankhon me kyu sajaaya ha
hum ne di hain duaayein us us ko
dil ko jis jis ne b dukhaya ha
jaane waala to khair kya aata
han magar dard laot aaya ha
us ne har baar hi fareb dia
baar-haa hum ne aazmaaya ha!!!
Erum Zehra
09-22-2007, 08:56 PM
Us Key Bina Ab Chup Chup Rehna Acha Lagta Hey
Khamoshi Sey Dard Ko Sehna Acha Lagta Hey
Jis Hasti Ki Yaad Main Aansoo Barastey Hain
Samney Us Key Kuch Na Kehna Acha Lagta Hey
Mil Ker Us Sey Bicher Na Jaon Derta Rehta Hoon
Is Liyey Bus Door HI Rehna Acha Lagta Hey
Janta Hoon Keh Chahat Main Bus Aansoo MIltey Hain
Kuch Bhi Ho Bus Is Zeher Ko Peena Acha Lagta Hey
Jee Chahey Sab KHushiyan Ley Ker Usey Dey Doon
Us Key Pyar Main Sab Kuch Khona Acha Lagta Hey
Erum Zehra
09-22-2007, 08:56 PM
teri baaten kaisi hain ji
kab tak tujhko main samjhaun
tera mujhpe pyar hai itna
tujhko bas mujhse hi gila hai
meri chahat hai kuch aisi
main tujhse kya chahun bata de
maang sakun kuchh haq na mera
de kuchh paaun haq na tera
tera mera saath khoob hai
dard se nikla hai ik rishta
is rishte me dard bahut hai
dard hi bas ye de paega
chahe tumko chahe hamko
mera to ab sab kuchh chhoota
teri bas ik baat rakhun main
par ab to tu kahega mujhse
Erum Zehra
09-22-2007, 08:56 PM
Darakht lagaanay nahi detay
Phul khaanay nahi detay
Yeh sheher kay log
kabhi muskuranay nahi detay
Hai ragon main khoon safaid
Rang jamaany nahi detay
Apnay ho jaayain paraye
Ghair bhulaanay nahi detay
Rahay sotaily maa saa mausam
Bahaar aanay nahi detay
Umeed toot toot jaaye
Undaishay aazmaanay nahi detay
Andheray muqaddar kay baray
Chiraaagh jalaanay nahi detay
Bara mayoos hai yeh dil
Ghum mitaanay nahi detay
Khojoon haathon pay lakeerain
Sitaaray ishaare nahi detay
Nikloon sahra ki taraf
Hoslay jaanay nahi detay
Erum Zehra
09-22-2007, 08:56 PM
main ehavaal-e-dil mar gayaa kahate kahate
thake tum na "bas, bas, sunaa!" kahate kahate
mujhe chup lagii mudd'aa kahate kahate
ruke hain vo jaane kyaa kahate kahate
zabaan gung hai ishq mein gosh kar hai
buraa sunate sunate bhalaa kahate kahate
shab-e-hijr mein kyaa hajuum-e-balaa hai
zabaan thak gaii marhabaa kahate kahate
gilaa harzaa-gardii kaa bejaa na thaa kuchh
vo kyuun muskuraaye bajaa kahate kahate
sad afasos jaatii rahii vasl kii shab
"zaraa thahar ai bevafaa" kahate kahate
chale tum kahaan main ne to dam liyaa thaa
fasaanaa dil-e-zaar kaa kahate kahate
sitam haaye! garduun mufassil na puuchho
ke sar phir gayaa maajaraa kahate kahate
nahiin yaa sanam 'Momin' ab kufr se kuchh
ke khuu ho gaii hai sadaa kahate kahate
Erum Zehra
09-22-2007, 08:57 PM
Aankh se duur na ho dil se utar jaayegaa
vaqt kaa kyaa hai guzarataa hai guzar jaayegaa
itanaa maanuus na ho Khilvat-e-Gam se apanii
tuu kabhii Khud ko bhii dekhegaa to Dar jaayegaa
tum sar-e-raah-e-vafaa dekhate rah jaaoge
aur vo baam-e-rafaaqat se utar jaayegaa
zindagii terii ataa hai to ye jaanevaalaa
terii bakhshiish terii dahaliiz pe dhar jaayegaa
Duubate Duubate kashtii to ochhaalaa de duun
main nahiin koii to saahil pe utar jaayegaa
zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat kaa 'Faraz'
zaalim ab ke bhii na royegaa to mar jaayegaa
Erum Zehra
09-22-2007, 08:57 PM
Taree zulfain bakharnay ko ghata kah doo to kaisa hoo
Taray aanchal kay urnay ko saba kah doo to kaisa hoo
Bazahar chup ho lakin phir bhee aankhoo main hain afsanay
Taree khamoshiyon ko bhee sada kah doo to kaisa hoo
Maray shikway shikyat par bhee mujh say pyar kartee ho
Taree chahat ko main sab say juda kah doo to kaisa hoo
Taree yadain maray dil par ajab sa shr kartee hain
Taree yadoo ko gar main aik nasha kah doo to kaisa hoo
Tumharay bin mujhay jeena bara dushwar lagta hai
Tumhain main apnay jeenay kee waja kah doo to kaisa hoo
Jo tum naraz na ho to mujhay aik bat kahnee hai
Agar main pyar say tum ko wafa kah doo to kaisa hoo....
Erum Zehra
09-22-2007, 08:57 PM
Subah ka taara hoon
Pal ka nazaara hoon
Karay na deedaar koi
Shub ka kinaara hoon
Gira chaandni kay aanchal say!
Seher ka sanwaara hoon
Hoon shab ki musaafat say choor
Umeed ka sahaara hoon
Roop hoon na singhaar koi
Manzil ka ishaara hoon
Basaaye na koi aankhon main
Akaash per bechaara hoon
Karay na dhhurti nazar
Kab main sharara hoon
Ginay shab bhur taaray koi
Main subah ka haara hoon
Sajaaye mah-o-maher jamaal naya!
Main nazar ka utaara hoon
Erum Zehra
09-22-2007, 08:57 PM
Ham dil kee kahaani keh denge
Samjhe na jise tum aaNkhoN se
Wo baat zabaan se keh deNg
PhooloN ki tarah jab hoToN pe
Ik shokh tabassum bikhrega
Dheere se tumhaare kaanoN meiN
Ik baat puraanee keh deNge
Izhaar-e-Wafa tum kya jaano
Ikraar-e-Wafa tum kya jaano
Ham zikr karenge GHairoN ka
Aur apnee kahaanee keh deNge
Mausam to baRa hee zaalim hai
Toofaan uTHaata rehta hai
Kuch log magar is halchal ko
Bad-mast javaanee keh deNge
Erum Zehra
09-22-2007, 08:57 PM
Hum bohut khush huwe, AE dost tujhko paaker
Too ne saja liya hai, Veerana dil ka aaker
Her ghuncha khill utha hai aur her kalii shagufta
Kucch iss ada se too ne dekha hai muskara ker
Tere baghair mera jeena hai koii jeena
Ek zindagi mili hai, Apna tujhe bana ker
Naa khush kabhi na honge, Mujhhko dagha na doge
Rakhhoge abb hamesha dil main mujhe basa ker
Her dumm mere labon per, Tere liye dua hai
Perverdigaar-e-aalam umr-e-khizr ataa ker
Too SHAHID wafa per unki kabhi na ker rashk
Dil main basa liya hai to jaan bhi fida ker
Erum Zehra
09-22-2007, 08:57 PM
In Anjani Si Khoi Hui Si Ratoon Mein
Mei Ney Kitnay Dukh Sukh Dekhay Hain,
Kitnay Lamhon K Saiyon Mein
Mei Ney Tumharay Chehray Dekhay Hain,
Adalti Badalti Din Aur Raat Ki Chaadar Mein
Mei Ney Kitnay Sapnay Khoaiy Hain,
Tumhari Yaad K Sagar Mein
Mei Ney Khoon K Darya Roay Hain,
Yeh Phir Wohi Si Baatein Hain
Kuch Tum Se Milnay Ki Chahatein Hain,
Kuch Yaadein Hain,Kuch Baatein Hain
Bus Yehi Tanha Si Raatein Hain,
Jin Mein Bus Kuch Aisi,
Tum Se Karnay Ki Baatein Hain,
Kyon Tum Ney Chorr Diya Hai
Mere Dil Ko Yon Torr Diya Hai,
Apne Rangou Ko
Kyon Mere Liye Badal Diya Hai,
Kya Tha Mujh Mei Yeh Aisa
Kya Nahi Tha Mei Waisa,
Jaisa Tum Ney Socha Tha
Jaisa Tum Ney Chaha Tha,
Jo Tum Ney Mujh Ko Chorr Dia Hai
Apna Moun Youn Morr Liya Hai,
Is Toofan Mein Laa K Mujh Ko
In Lehron Ki Chaoon Par,
Is Pyar K Sagar Mein
Kyon Mera Hath Chorr Diya Hai,
Kyon Mujh Se Moun Morr Liya Hai
Apna Naata Youn Torr Liya Hai....
Dil Mein Bassi Kuch Thori Si Yaadein Hain
Jin Ko Mei Bhola Nahi Sakta , Jin Ko Mei Lota Nahi Sakta...
Erum Zehra
09-22-2007, 08:58 PM
HOJOM E AKS MAY AYINA DHONDTI HO MAY
BAY WAFAYOO KAY NAGER MAY WAFA BACHTI HO MAY
KIYA AJEEB HO MAY BHI HAI NA
*** KI DONIA MAY SACH BECHTI HO
KOYEE KHAREDAR NAHI HAI YAHA
PHIR BHI BAZAR E AAM SAJAYA HAI MAY NAY
CHALOO AHATA KHANCHOO APNAY AP KA
BAZAR E AAM MAY KIYA KHARED SAKtAY HO
JEEB MAY SACHAYEE KAY SIKKAY HAI
HATOO MAY THAMNAY KA AZAM HAI
WAFA KAY LIYA DIL MAY WAFA HAI
SACH BOLNAY KAY LIYA ZABAN MAY JORRAT HAI
JIS DIN LAGAY TUM MAY YA SAB KUCH MOJOD HAI TO AJANA IS BAZAR MAY
JAHA KOYEE NAHI ATA BASS
EK UMMED HAI KAY WO WAQAT KAB AYA GA
JAB IS BAZAR MAY HOJOM E ADAM HOGA
Erum Zehra
09-22-2007, 08:58 PM
tum bhi khafa ho loog bhi burhum hein dosto
ab ho chala yaqin keh bouray hum hein dosto
kis ko hamare hal se nisbut hai kya karein
aankhein to dushmanoon ki bhi purnum hein dosto
apne siwa humaray na hoonay ka ghum kise
apni talaash mein to humein hum hein dosto
kuch aaj shaam hi se hai dil bhi bujha bujha
kuch shahr ke chiragh bhi mudhum hein dosto
iss shahr-e aarzo se bhi baahar nikal chalo
ab dil ki raunaqein bhi koi dum hein dosto
sub kuch sahi Faraz per itna zaroor hai
dunya mein aise loog bauhut kum hein dosto
Erum Zehra
09-22-2007, 08:58 PM
Aao hum mil kar ek naya Jahan Banain
Duniya se Duur Pyar ka ek Nagar Banain
Jahan Mohabbat ka Raaj ho
Sar Par Khushi ka Taj ho
Zindagi pay na Khauf tari ho
Hifazat aik doojy ki Zimaydari ho
Nafrat ki Jahan Ghuttan na ho
Zindagi jahan Kathin na ho
Chalo mill kar iss Khwab ki tabeer Dhondhain
Iss Jahan mein Mohabbat ki Jaggir dhondhain
Aao hum mill kar ek naya Jahan Banain
Duniya se Duur Pyar ka ek Nagar Banain
Erum Zehra
09-22-2007, 08:58 PM
Mera ik dost merey jaisa tha
mujh sai milta tha roz sham dhaley
sari batain ,wosey sunata tha
kaun nazan hai kis nai hath maley
ab woh rehta hai is jaga sai door
raz-e-dil ab woh kholta bhi nahi
sheesha-e-dil nahi ab uss ka choor
ab main boloon tu bolta bhi nahi
mujh ko shikwa k bewafa hai woh
log kehtai hain us ko danishwar
__________________
Erum Zehra
09-22-2007, 08:58 PM
Sunoo Acha nahin lagta ... !
Suno Acha Nahi Lagta
Kay Koi Doosra Daikhay
Tumhari Sharbati Aankhain
Lab-o-Rukhsaar Aur Palkain
Siyah Lambi Ghanee Zulfain
Saharay Doosra Koi
Mujhay Acha Nahi Lagta
Suno Acha Nahi Lagta
Karay Jab Tazkara Koi
Karay Jab Tabsara Koi
Tumhari Zaat Ko Khoojay
Tumhari Baat Ko Soochay
Mujhay Acha Nahi Lagta
Tumhari Muskurahat Per
Hazaroon Loag Martay Hoon
Tumhari Aik Aahat Par
Hazaroon Dil Dharaktay Hoon
Kise Ka Tum Pe Yuun Marna
Mujhay Acha Nahi Lagta
Hawa Guzray Tumhain Choo Kar
Na Hoga Zabt Yeh Mujhsay
Karayy Koi Tumsay Gustakhi
Tumhari Zulfain Bikhar Ja-ain
Tumharay Lams Pi Ja-ain
Mujhay Acha Nahi Lagta
Kay Tum Ko Phool Bhi Dakhain
Tumharay Paas Say Mehkain
Ya Chanda Ki Guzarish Hoo
Kay Apni Roshni Bakhshoon
Rukh-e-Jana Koi Daikhay
Mujhay Acha Nahi Lagta
Suno acha nahii lagta ...
__________________
Erum Zehra
09-22-2007, 08:59 PM
Zindagi kabhi kabhar kuoon ulajh si jati hai
Umeed ki yeh kiran jany kis simat ko jati hai
Rehber ki beaitnaie ne uljha dia hai mujhe ko
Warna yeh mooj e derya sahil hi ko jato hai
kis se inkar keron kis ka iqrar keroon
Abb to ankh be ansoon ko nae rah dikhlati hai
Abb to dua go hoon ajj main apney rab se
phir kuon taqdeer hi tadbir se shermati hai
Ger a jain umeeden bahar ban k
chaley jo carvan to manzil a hi jati hai
Bhujh gia jo chrag e dil ger is bahar main
Perwana b behak uthey ga k yaad a ti hai
Erum Zehra
09-22-2007, 08:59 PM
Kiya ISHQ mujh hi say kertay ho?
Bay baat bigartay rehtay ho
Bay chain hamesha rehtay ho
Yeh sab nishani ISHQ ki hai
Kiya ISHQ kisi say kertay ho?
Ratoon ko jagtay rehtay ho
Aur taray bhi tum gintay ho
Yeh sab nishani ISHQ ki hai
Kiya ISHQ kisi say kertay ho?
Zikr jo mera chalta hai
Chehray ka rang badalta hai
Bay chain say tum ho jatay ho
Kiya ISHQ mujh hi say kertay ho?
Erum Zehra
09-22-2007, 08:59 PM
Aitbaar Tootay Tou
Wo Bhi Aisay Logon Par
Jin Ko Apna Hum Janain
Jab Bhi Gham Say Bhoojal Hon
Un Ko Mahraban Manain
Aitbaar Tootay Tou
Aisay Zakhm Miltay Hain
Jo Kabhi Nahi Bhartay
Mahraban Saaye Jab
Ham Say Rooth Jayen Tou
Aisi Dhoop Milti Hai
Jis Main Rooh Jalti Hai
Aitbaar Tootay Tou
Dil K Aeenay Jo Hain
Wo Bhi Toot Jatay Hain
Wo Jo Aks Apnay Hon
Wo Bhi Rooth Jatay Hain
Aitbaar Tootay Tou
Aisay Zakhm Miltay Hain
Aisi Dhoop Milti Hai
Aisay Aks Khotay Hain
Log Hans Bhi Lain Shayad
Dil Hamaisha Rootay Hain
Aitbaar Tootay Tou
Erum Zehra
09-22-2007, 08:59 PM
kuch aise guzaarta hai koi
jaise ehasaan utaarta hai koi
aainaa dekh ke tasallii huwi
ham ko is ghar mein jaanta hai koi
pak gayaa hai shajar pe phal shayaad
phir se patthar uchhaaltaa hai koi
phir nazar mein lahoo k cheente hain
tum ko shaayad mughaalta hai koi
der se guuNjate haiN sannaaTe
jaise ham ko pukaarataa hai ko_ii
__________________
Erum Zehra
09-22-2007, 08:59 PM
nazar se door hota ja raha hai
k woh majboor hota ja raha hai
ussey hum sey taghafal ka gilla hai
jo khud maghroor hota ja raha hai
azzal sey rouh to apni thii ghayal
badan bhi choor hota ja raha hai
mohabbat jurm banti ja rahi hai
ajab dastoor hota ja raha hai
khuda jaaney teri aankhon mein kya hai
k dil majboor hota ja raha hai
mohabbat ka ahdhoora sa fasaana
buhat mashhoor hota ja raha hai
Erum Zehra
09-22-2007, 09:01 PM
dayaar-e-Gair men kaise tujhe sadaa dete
tuu mil bhii jaataa to tujhe ganvaa dete
tumhin ne ham ko sunaayaa na apanaa dukh varanaa
duaa vo karate ke ham aasamaan hilaa dete
hamen ye zom rahaa ab ke vo pukaarenge
unhen ye zid thii ke har baar ham sadaa dete
vo teraa Gam thaa ke taasiir mere lahaje kii
ke jis ko haal sunaate use rulaa dete
tumhen bhulaanaa hii avval to dastaaras men nahi
jo iKhtiyaar bhii hotaa to kyaa bhulaa dete
tumhaarii yaad ne koii javaab hii na diyaa
mere Khayaal ke aansuu rahe sadaa dete
sama'ton ko main taa-umr kosataa Syed
vo kuchh na kahate magar honTh to hilaa dete
Erum Zehra
09-22-2007, 09:01 PM
kabhi tum ne yeh bhi soocha
k tumhare dill girafta
tumhain kitna chahte hain?
tumhain zindagi se bardh ker
jo azeez hum ne jana
so, koi sabab to ho ga
kabhi tum ne yeh bhi soocha?
sar e shaam muntazir the
kahin neelmiin uujaale
kahin titliyaan laboon ki
kahin phool jaise aaraz
kahin qamqamoon si aankhain
yeh jo charah gar humare
koi ssa.at e rafaqat
sar e shaam maangte the
unhain kia khabar k hum ne
tumhain soonp di hain raatain
tumhain daan ki hain aankhain
kabhi tum ne yeh bhi soocha
k tumhare dill girafta
pas e baam o dar akaile
kisi shama e sookhta se
yeh jo ker rehe hain baatain
tumhain kitna chahte hain?
tumhain rooz o shab k dukh main
kabhi bhoolna bhi chaahain
to kabhi na bhool paain
k yeh ahed e zindagi hai
jise toordna bhi chahhain
to kabhi na toord paayin
Erum Zehra
09-22-2007, 09:01 PM
Aur tu kuch maloom nahin
Buss itna yad hai
Mere hathoun main uske
Phool jese hath
Kuch deir thar tha ray thay
Sham k b harte huwe saaye
Humari ankhoun main utar aaaye thay
Mujhe kuch kahna tha shyd
Use jane ke jaldi thi
Esi ajlat main us ne
Aik bar mur kay dekha tha
Aur dobte huwe suraj ne
Humare mathe ko
Akhri bar chooma tha
Aur tu kuch maloom nahin
Buss itna yad hai
Mere hathoun main uske
Phool jese hath
Kuch deir thar tha ray thay
Erum Zehra
09-22-2007, 09:01 PM
Mujh Se Ziada Agar Tumain Koi Chahay Tu..
Meray Hathoon Se Apna Hath Chura Laina..
Apnay Daman Se Meri Umeedain..
Meray Sajdoon Se Apna Ser Hata Laina..
Mujh Se Ziada Agar Tumain Koi Chahay Tu..
Toar Daina Pyaar Ki Zanjeerain..
Mita Laina Apnay Hathoon Se Lakeerain..
Meri Ankhoon Se Apnay Khawaab..
Khawaboon Se Meri Tasweer Mita Laina..
Magar Shert Yeh Hai..
Mujh Se Ziada Agar Tumain Koi Chahay Tu..
Erum Zehra
09-22-2007, 09:01 PM
Kuch Tabiyat hi mili thi aisi Chain se jeene ki surat na hoi.
Jis ko Chaha use Apna na sake jo mila us se Mohabbat na hoi.
Jis se jab tak mile Dil hi se mile, Dil jo badla to Fasana badla.
Rasmein Dunya ki Nibhane ke liye Hum se Rishton ki Tijaarat na hoi.
Door se tha wo kayi Chehron mai paas se koi bhi wesa na laga.
Be-Wafaii bhi usi ka tha chalan, phir kisi se hi Shikayat na hoi.
Waqt Rootha raha Bachche ki tarah Raah mai koi Khilona na mila.
Dostii bhi to Nibhaai na gayi Dushmani mai bhi Adaawat na hoi.
Erum Zehra
09-22-2007, 09:01 PM
Ae KHUDA mujh per aik ehsaan kerde
Usse mera kerde ya mujhe uska kerde
Bohat ghum mile hian mujhe zindagi me
Koi khushi ab mere bhi name kerde
Na-mumkin ha ab us se door rehna
Judai ke is safar ko muqtasir karde
Jitna door ha woh abhi mujse
Usse utna hi mere kareeb kerde
Nahi likhaa agar kismat me milan hamara
To mujhe fana kerde, To mujhe fana kerde
Erum Zehra
09-22-2007, 09:02 PM
ye misraa nahiiN hai, vaziifaa meraa hai
Khudaa hai muhabbat, muhabbat Khudaa hai
kahuuN kis tarah maiN ke vo bevafaa hai
mujhe uskii majbuurioN kaa pataa hai
havaa ko bahut sarkashii kaa nashaa hai
magar ye na bhuule, diyaa bhi diyaa hai
main usse judaa huN, vo mujhse judaa hai
muhabbat ke maaroN ka fazl-e-Khudaa hai
nazar meN hai jalte makaanoN ka manzar
chamakte hain jugnuu to dil kaaNptaa hai
unheN bhuulna yaa unheN yaad karnaa
vo bicchRe hain jabse yahii mashgalaa hai
guzartaa hai har shakhs chehraa chupaaye
ko’ii raah mein aaiinaa rakh gayaa hai
kahaaN tu “Khumar” aur kahaaN kufr-e-taubaa
tujhe paarsaaoN ne bahkaa diyaa hai
Erum Zehra
09-22-2007, 09:02 PM
Umeed-e-weham ke mehwar se hat ke daikhtey hain
Zara si dair ko duniya se kat ke daikhtey hain
Bikhar chukay hain bohot baagh-o-dasht-o-deriya mein
Ab apnay hujra-e-jaan mein simat ke daikhtey hain
Tamam khana badoshon mein mushtarik hai yeah baat
Sab apnay apnay gharon ko palat ke daikhtey hain
Phir us ke baad jo hona hai ho rahay ser-e-dast
bisaatez aafiyat-e-jaan ulat ke daikhtey hain
Wohi hai khuwab jisey mil ke sab nain daikha tha
Ab apnay apnay qabeelon mein bat ke daikhtey hain
Suna yeah hai keah subak ho chali hai qeemat-e-harf
So hum bhe ab qad-o-qamat mein ghat ke daikhtey hain
Erum Zehra
09-22-2007, 09:02 PM
khona hai pana hai
kuch to karna hai
marna hai jina hai
kuch to karna hai
rona hai hussna hai
kuch to karna hai
milna hai bicharna hai
kuch to karna hai
kahna hai pina hai
hai kuch to karna hai
bolana hai chup rahna hai
kuch to karna hai
fakat ya ke zindagi guzarna ke liya
kuch to karna hai
Erum Zehra
09-22-2007, 09:02 PM
khuwaab ki soorat mila tha dharkanon tak agya
raston ka hamsafar tha manzilon tak agya
phir se haail ho gayen rahon main doori ki faseel
phir wohi zehr- e- judai qurbaton tak agya
ankh kahti hai k khuwab tha wo rat ka
neend ki soorat mila tha ratjagon tak agya
ab to apne ap se bhi doorian bharne lagin
umr ka tanha safer kin marhaloon tak agya
Erum Zehra
09-22-2007, 09:02 PM
Maira bojh khud uthana mairay daeeray main rahna
Mujhy apny dil main rakhna,mairy hafizay main rahna
Mairy manzaroon may basna mairi guftagoo may hona
Mairay lams main samaana,mairay zaeeqay main rahna
Maira hukam khud sunaana mairi mohar khud lagaana
Mairay mashwaray main hona,mairay faislay main rahna
Kisi dhoop kay nagar main maira saath **** jaana
Kabhi maira aks ban kar mairay aaeinay main rahna
Kabhi manziloon kee surat mairi dastaras say bahir
Kabhi sang e meel ban kar mairay raastay main rahna
Mairay hath kee lakeerain taira naam ban kay chamkain
Mairi khahishoon ki khusboo mairay zaeechay main rahna
Erum Zehra
09-22-2007, 09:03 PM
Mairy manzaroon may basna mairi guftagoo may hona
Mairay lams main samaana,mairay zaeeqay main rahna
Maira hukam khud sunaana mairi mohar khud lagaana
Mairay mashwaray main hona,mairay faislay main rahna
Kisi dhoop kay nagar main maira saath **** jaana
Kabhi maira aks ban kar mairay aaeinay main rahna
Kabhi manziloon kee surat mairi dastaras say bahir
Kabhi sang e meel ban kar mairay raastay main rahna
Erum Zehra
09-22-2007, 09:03 PM
ussey hum sey taghafal ka gilla hai
jo khud maghroor hota ja raha hai
azzal sey rouh to apni thii ghayal
badan bhi choor hota ja raha hai
Erum Zehra
09-22-2007, 09:03 PM
Aitbaar Tootay Tou
Wo Bhi Aisay Logon Par
Jin Ko Apna Hum Janain
Jab Bhi Gham Say Bhoojal Hon
Un Ko Mahraban Manain
Aitbaar Tootay Tou
Aisay Zakhm Miltay Hain
Jo Kabhi Nahi Bhartay
Mahraban Saaye Jab
Ham Say Rooth Jayen Tou
Aisi Dhoop Milti Hai
Jis Main Rooh Jalti Hai
Aitbaar Tootay Tou
Dil K Aeenay Jo Hain
Wo Bhi Toot Jatay Hain
Wo Jo Aks Apnay Hon
Wo Bhi Rooth Jatay Hain
Erum Zehra
09-22-2007, 09:03 PM
kabhi tum ne yeh bhi soocha
k tumhare dill girafta
tumhain kitna chahte hain?
tumhain zindagi se bardh ker
jo azeez hum ne jana
so, koi sabab to ho ga
kabhi tum ne yeh bhi soocha?
sar e shaam muntazir the
kahin neelmiin uujaale
kahin titliyaan laboon ki
kahin phool jaise aaraz
kahin qamqamoon si aankhain
yeh jo charah gar humare
koi ssa.at e rafaqat
sar e shaam maangte the
unhain kia khabar k hum ne
tumhain soonp di hain raatain
tumhain daan ki hain aankhain
kabhi tum ne yeh bhi soocha
k tumhare dill girafta
pas e baam o dar akaile
kisi shama e sookhta se
yeh jo ker rehe hain baatain
tumhain kitna chahte hain?
tumhain rooz o shab k dukh main
kabhi bhoolna bhi chaahain
to kabhi na bhool paain
k yeh ahed e zindagi hai
Erum Zehra
09-22-2007, 09:03 PM
Un daikhe raston per
Dilon ke gum hote fasile
Doriyon avr qurbaton se pare
Yon mite
Kih ghaib aur shuhood ke dermiyan
Na koi deewar haeil rahi
Na kisi ki alamat ka nishan
Eik merkaz raha
Eik nuqtai javedan
Jis ka da-e-rah
Door se suraj
Aur nazdeek se bund kitab hai
Isi liyye
Aasman sernagon ho ker
Apni abdy shamein
Her shaher ke un daikhe raston per utarta rahta hey
Erum Zehra
09-22-2007, 09:04 PM
Toote sapnoun ko tum kese joro gaay
Waqat ka dhara tanha kese moro gaay
Chor gaay jo tanha tum ko sathi sab
Un ke yadoun ko tum kese choro gaay
Ashak na houn gaay tu jam jain gi ahain
Sham ke khamoshi ko kese toro gaay
Log tu dewana keh kar sangsar karain
Sare shaiher kay sar tum kese phoro gasy
Khushyoun ke poshak ke tujh ko adat hai
Ghum say chalni chadar kese orho gaay
Erum Zehra
09-22-2007, 09:04 PM
ham un se agar mil baiThate hai.n kyaa dosh hamaaraa hotaa hai
kuchh apanii jasaarat hotii hai kuchh un kaa ishaaraa hotaa hai
kaTane lagii.n raate.n aa.Nkho.n me.n dekhaa nahii.n palako.n pe aksar
kabhii shaam-e-Gariibaa.N kaa jugnuu kabhii subah kaa taraa hotaa hai
ham dil ko liye har des phire is jins kaa gaahak mil na sakaa
ai banjaaro ham log chale ham ko to Khasaaraa hotaa hai
ham apanii zabaa.N se kuchh bhii kahe.n shaayar hai Khayaalo.n se khele.n
aa jaao to baaham mil baiThe kabhii hijr bhii pyaaraa hotaa hai
daftar se uThe kaife me.n gaye kuch sher kahe kuchh kaafii pii
puuchhaa jo mu'ash kaa "Inshaajii" yuu.N apanaa guzaaraa hotaa hai
_________________
Erum Zehra
09-22-2007, 09:04 PM
ek bekasii hai hijr ke maaro.n ke saath saath
TuuTaa hai meraa dil bhii sahaaro.n ke saath saath
jii bhar ke dekhane bhii na paaye the chhup gaye
armaa.N bhii hai.n udaas nazaaro.n ke saath saath
dil me.n vafuur-e-shauq kaa tuufaa.N liye huye
Khaamosh jaagataa huu.N sitaaro.n ke saath saath
itanii to mahviyat ho tasavvur me.n tere dost
Khud ko bhii bhuul jaa_uu.N nazaaro.n ke saath saath
"Yaha" ye aag ishq kii phir bhii na bujh sakii
hai dil me.n ashk-e-Gam bhii sharaaro.n ke saath saath
Erum Zehra
09-22-2007, 09:04 PM
Buss itna yad hai
Mere hathoun main uske
Phool jese hath
Kuch deir thar tha ray thay
Sham k b harte huwe saaye
Humari ankhoun main utar aaaye thay
Mujhe kuch kahna tha shyd
Use jane ke jaldi thi
Esi ajlat main us ne
Aik bar mur kay dekha tha
Aur dobte huwe suraj ne
Humare mathe ko
Akhri bar chooma tha
Aur tu kuch maloom nahin
Buss itna yad hai
Mere hathoun main uske
Phool jese hath
Kuch deir thar tha ray thay
Erum Zehra
09-22-2007, 09:04 PM
Mera ik dost merey jaisa tha
mujh sai milta tha roz sham dhaley
sari batain ,uje sunata tha
kaun nazan hai kis nai hath maley
ab woh rehta hai is jaga sai door
raz-e-dil ab woh kholta bhi nahi
sheesha-e-dil nahi ab uss ka choor
ab main boloon tu bolta bhi nahi
mujh ko shikwa k bewafa hai woh
log kehtai hain us ko danishwar
Erum Zehra
09-22-2007, 09:04 PM
Aao Aapas Main Hum Zindagee Baant Lain
saaray gham baant lain har khushee baant lain
aao aapas main hum zindagee baant lain
daal lain reet agar baant lanay kee hum
dugnee ho khushee nisf reh jayen ghum
ashk taqseem kar lain khushee baant lain
aao aapas main hum zindagee baant lain
piyaas ka raabta bhee samandar say ho
koee muflis na baahar na andar say ho
jitnee daulat hay ehsaas kee baant lain
aao aapas main hum zindagee baant lain
rakhhain buniyaad agar adal kee piyaar kee
kitnee oonchee imaarat ho kirdaar kee
jal uthay roshnee har diya baant lain
aao aapas main hum zindagee baant lain
raastay aik hon manzilain aik hon
mukhtalif log bhee jab milain aik hon
aainay hee naheen zehan bhee baant lain
aao aapas main hum zindagee baant lain
nuqraee subh par surmaee shaam par
sab ka haq ho inaayat-e-ayyaam par
haq qadam har nazar har gharee baant lain
aao aapas main hum zindagee baant lain
aao aapas main hum zindag
Erum Zehra
09-22-2007, 09:05 PM
Meray Hathoon Se Apna Hath Chura Laina..
Apnay Daman Se Meri Umeedain..
Meray Sajdoon Se Apna Ser Hata Laina..
Mujh Se Ziada Agar Tumain Koi Chahay Tu..
Toar Daina Pyaar Ki Zanjeerain..
Mita Laina Apnay Hathoon Se Lakeerain..
Meri Ankhoon Se Apnay Khawaab..
Khawaboon Se Meri Tasweer Mita Laina..
Magar Shert Yeh Hai..
Mujh Se Ziada Agar Tumain Koi Chahay Tu..
Erum Zehra
09-22-2007, 09:05 PM
Meray Hathoon Se Apna Hath Chura Laina..
Apnay Daman Se Meri Umeedain..
Meray Sajdoon Se Apna Ser Hata Laina..
Mujh Se Ziada Agar Tumain Koi Chahay Tu..
Toar Daina Pyaar Ki Zanjeerain..
Mita Laina Apnay Hathoon Se Lakeerain..
Meri Ankhoon Se Apnay Khawaab..
Khawaboon Se Meri Tasweer Mita Laina..
Magar Shert Yeh Hai..
Erum Zehra
09-22-2007, 09:05 PM
Lagta ek pal hai nayaa rishtaa koi banaaney mai
aati mushkil hai magar door tak use ley jaaney mai
waada karte to hain ta-umar saath nibhaaney ka
toot jaatey magar rishtey hain jaaney anjaaney mai
aataa kyun hai apnaa bankar koi dil key kareeb
jab hoti mushkil hai ek galtii bhii bhulaaney mai
Khair, acchaa kiyaa todh diyaa bharam meraa
sochta thha ke hoon accha dosti nibhaaney mai
Tootey huwey rishtey chubhtey unko bhi to hon gey
Meraa dil akaila hi to aisaa nahii zamaaney mai
Erum Zehra
09-22-2007, 09:05 PM
koi mananey wala hi nahin
rooth key khud hi man jata hoon main
koi nahin jo samjhaey mujhey
bus apney dil ko khud hi samjha leta hoon main
yeh dil bhi ajeeb cheez hai
jo isse tor detey hain unhey dil main basa leta hoon main
loog bekher detey hain is dil ko
jab chaley jaatey hain to khud hi saja leta hoon main
deney waley dard dey ke chale jaatey hain
woh haseen yadain seeney sey laga leta hoon main
ab to aadat hogayee hai aisi key
roona chahoon bhi to na jaaney kion muskura deta hoon main
yeh kaisa tanhae ka alam hai
har taraf shor hokar bhi apney aap ko tanha paata hoon main
tum kaisey suno gey meri dastaan ae Tanha
patharon ko bhi suna kar rula deta hoon main
Erum Zehra
09-22-2007, 09:05 PM
Kisi Din , Chahtey Hain
Chupkey se Ham Uss ke Zeeney Par
Koi Jalta Diya,
Kuch Phool
Rakh Aayein
ke Apney Bachpaney mein
Wo Andheroo'n se bhi Darta Tha
Ussey Phooloo'n ki Khushboo sebhi Raghbat Thi
Bohat Mumkin Hai, Ab Bhi
Shab ki Taareeki Se Uss ko Khaof Aata ho
Mehaktey Phool Shayed Baais-e-Taskeen Ab Bhi Ho'n
So Iss Imkaan par
Ik Shaam Uss ke Naam Kartey Hain
Chalo Yeh Kaam KArtey Hain
Erum Zehra
09-22-2007, 09:06 PM
badaltey mausam badal rahe hain
hazar raastey nikal rahe hain
tumhari dastak ki muntazir hoon
tumhien sunane ko geet kitne
mere laboon per machal rahe hain
nadeem mere
kalaam mere kaleem mere
chaley bhi aao thak gayee hoon
sajja k rakhoon yeh ghar gharonda
magar adhora hai saij sapna
najane yeh kaese ho raha hai
woh do'or muj se'main do'or ous se
jo hai jahan bhar mein ek apna
haseen mere
hareem mere makeen mere
chaley bhi aao thak gayii hoon
her aik nemat ki aik nemat
tumhari chahat tumhari sorat
magar tumhien kis tarah bataoon
hai farsh dil pe nazar jamaye
hamari chahat hamari sorat
suhag mere
haseen malhar raag mere
chale bhi aao main thak gayii hoon
__________________
Erum Zehra
09-22-2007, 09:06 PM
koi izahar ki soorat ,
koi iqrar ki raah
Koi barish ki boundon mein
tehray piyar k lamha
kia yeh sab honay per bhi izhar baqi hay …
koi iqrar baaqi hay
kisi jazbay ko koi lafaz ka
roop daynay per
oss jazbay ki latafat ko
kho daynay mein
kitni dayr lagti hay......
__________________
Erum Zehra
09-22-2007, 09:06 PM
Dil pay ik tarfa Qiyamat karna
Muskuraty howy rukhsat karna
Achi aankhain jo mili hain us ko
Kuch to lazim howa wahshat karna
Jurm kis ka tha,saza kis ko mili
Kiya gae baat pay hujat karna
Kon chahay ga tumhain meri tarah
Aab na kisi say mohabbat karna
Ghar ka darwaza khula rakha hai
Waqt mil jaey to zahmat karna!!!!
Erum Zehra
09-22-2007, 09:06 PM
AaGaaz to hotaa hai anjaam nahin hotaa
Jab merii kahaanii mein vo naam nahin hotaa
Jab zulf kii kaalikh mein ghul jaaye koi raahi
Bad_naam sahii lekin gum_naam nahin hotaa
HaNs haNs ke javaaN dil ke ham kyon na chunen TukaDe
Har shaKhs kii qismat mein inaam nahiin hotaa
Bahate hue aaNsuu ne aaNkhon se kahaa tham kar
Jo mai se pighal jaaye vo jaam nahin hotaa
Din Duube hain yaa Duubii baaraat liye kashtii
Saahil pe magar ko_ii koharaam nahiin hotaa
Erum Zehra
09-22-2007, 09:07 PM
apni tanhayoan se poocha hai
shab e hijraan se baat ker li hay
mere under ki sehmi khamoshi
mera bahar ka hunsta chehra bhi
aat k sunsanatay lamhay bhi
din ka dasta hua ujala bhi
zabt ka toot-ta yeh bandhan bhi
sabr ka ***-ta yeh daman bhi
uss ki yadain bhi kuch isharoan main
mujh ko majboor ker rahay hain sub
aao sub us k paas chaltay hain
uss se kehtay hain kuch dawa ker do
apni fitrut ko chor ker ik pal
koi wada to tum wafa ker do
inn ki batoan se kuch nahee hoga
akhri faisla to dil ka hay
dil yeh kehta hai uss k milnay se
apni tanhayaan hee achee hain
ub akelay mein lug gaya hai dil
uss se milnay humein nahee jana
uss ki batain uddas ker dein gee!!!
Erum Zehra
09-22-2007, 09:07 PM
rastey be naseebon ki tarah hotey hain
mumkin hai tumhen batka-den
meree tarah
mai be tho batka howa hoon
ya shayed tha
iss "HOON" aur "THA" ke darmeeyan abi aik guman baqi hai
tumarey diil ke kisi koney mai oongata hoowa guman
jiss se agey kitney naseeb poot-tey hain
Aik khof merey diil ke kisi koney mai be hai
apney raaston ka khof
ya shayed merey aur
tumharey naseebo ka khof
ye "YA" aur "SHAYED" be ajeeb lafz hain
hamarey raaston ki tarah
Erum Zehra
09-22-2007, 09:07 PM
waada karte to hain ta-umar saath nibhaaney ka
toot jaatey magar rishtey hain jaaney anjaaney mai
aataa kyun hai apnaa bankar koi dil key kareeb
jab hoti mushkil hai ek galtii bhii bhulaaney mai
Khair, acchaa kiyaa todh diyaa bharam meraa
sochta thha ke hoon accha dosti nibhaaney mai
Tootey huwey rishtey chubhtey unko bhi to hon gey
Meraa dil akaila hi to aisaa nahii zamaaney mai
Erum Zehra
09-22-2007, 09:07 PM
musaafir ke raste badalate rahe
muqaddar me.n chalanaa thaa chalate rahe
ko_ii phuul saa haath kaa.Ndhe pe thaa
mere paa.Nv sholo.n pe chalate rahe
mere raaste me.n ujaalaa rahaa
diye us kii aa.Nkho.n ke jalate rahe
vo kyaa thaa jise hamane Thukaraa diyaa
magar umr bhar haath malate rahe
muhabbat adaavat vafaa beruKhii
kiraaye ke ghar the badalate rahe
sunaa hai u.nhe.n bhii havaa lag ga_ii
havaao.n ke jo ruKh badalate rahe
lipaT ke charaaGo.n se vo so gaye
jo phuulo.n pe karavaT badalate rahe
Erum Zehra
09-22-2007, 09:07 PM
rastey be naseebon ki tarah hotey hain
mumkin hai tumhen batka-den
meree tarah
mai be tho batka howa hoon
ya shayed tha
iss "HOON" aur "THA" ke darmeeyan abi aik guman baqi hai
tumarey diil ke kisi koney mai oongata hoowa guman
jiss se agey kitney naseeb poot-tey hain
Aik khof merey diil ke kisi koney mai be hai
apney raaston ka khof
ya shayed merey aur
tumharey naseebo ka khof
ye "YA" aur "SHAYED" be ajeeb lafz hain
Erum Zehra
09-22-2007, 09:07 PM
Tumhain aiSa kyun lagta hai kay hum khud dhoondtay
hain apnay rishtOn ko
SUno Jaanaan !! kabhi aiSa naheen hOta
Tumharay aur mEray chahnay say kuch naheen hOta
kay sab rishtay, sabhi bandhan kaheen pehLay say
rakhay hain
Wo saaray aaNay walay paL jo aakhir beeT jaatay hain
Jo hum say jeeT jaatay hain
WO sab peHLay say rakhay hain
Samajh ker soch ker rakhay hain saaray paL, sabhi rishtay ,
sabhi moUsam
Muhabbat bhi to Lamha hai , Muhabbat bhi to mOusam hai
yE kis kay diL pay utray ga
kahan per kab khuLLay ga , koun si galliyOn main mehKay ga
Najaanay kounsa diL is kay rangOn main faNaa hO ga
Na janay koun is lamHay ko paatay hi ghanni taReeK
galliyOn ki mUsaafat say riHaa hO ga !
WazaaHat hum naheen kertay ~~
Muhabbat hum naheen kertay ~~~~~~
kay Ye to jaaDugarnii hai jo hum ko dhoond leti hai
humain pehchaan leti hai
kisi masroof kamray main parri bekaar cheezOn say
ye hum kO chaaaN Leti hai << wahh
Humaari ungLiyOn kay nakhunOn main saanS leti hai
kabhi jab zakhm khuLta hai
busOn aur daftarOn ki bheeeR main bhi ye humaaray
saath rehti hai
HUmaray saaTh chaLTee hai !!
Lahoo ki dhooP main chup chaap jaLtee hai
Henna ki khushbuOn main jab utarti hai humari
Jaan leti hai !!
Ye hum main baandh deti hai naye mouSam , naye sooraj , siTaaray aur khushboo
Ye hum ko sounp deti hai koi aizaaz jis ka
maaaN rakhna farZ hota hai
Ye hum boojh banti hai---- Ye hum per qarz hOta hai !!
Kahaan kis per nichaawar jaaan kerni hai !!
Ye chaahat hum naheen kertay
SUno jaanaN !! Muhabbat hUm naheeen kertay ~
Erum Zehra
09-22-2007, 09:08 PM
mayray zakham pochtay hain
mayray doost q khafa hain
kai dinoon say koi khanjer koi naiza koi teer
na hoa mayra muqadder
koi bhool koi ghaflat
koi taza jurm mayra
koi na quboool lehja........k
zaban ki koi lakant..........na koi sunanay aaya
na hoi kahin malamat............na lagi koi adalat
mayray zakham pochtay hain......
mayray doost q khafa hain
Erum Zehra
09-22-2007, 09:08 PM
Ana hai tum main b thodi bohat batana usay
Woh aab milay b to mat hal e dil sunana usay
Akailay kis say utha hai taluqaat ka bojh
Woh tum ko yaad na rakhay to bhool jana usay
Main to kah raha tha rah e wafa kathan hai bohat
Magar bichadnay kaa haath aa giya bahana usay
_________________
Erum Zehra
09-22-2007, 09:08 PM
Suna hoga bohat tum ne .... kahiN aankhoN ki rim jhim ka
kahin palkoN ki shabnam ka...
parha hoga bohat tumne .... kahiN lehjay ki barish ka
kahiN sagar ke aansoo ka...
magar tum ne kabhi humdam ... kahin daikhay? kahin parkhay?
kisi tehreer ke aansoo??...!!
mujhe teri judaai ne ... yehi mairaaj bakhshi hai...
ke main jo lafz likhta hooN ... woh saray lafz rotay hain
ke main jo harf bunta hooN ... woh saray bain kartay hain
mere sang is judaai main ... mere alfaz martay hain
sabhi tareef kartay hain ... meri tehreer ki lekin..
kabhi koi nahin sunta ... mere alfaz ki siski...
falak bhi jo hila daalay..
mere lafzoN main hain shamil ... usi taseer ke aansoo...
kabhi daikho mere humdam...
meri tehreer ke aansoo..!!
Erum Zehra
09-22-2007, 09:08 PM
Baat phooloon ki suna kartay thay
ham kabhii shair kahaa kartay thay
mash'alain lay ker tumharay ghum ki
ham andhairoon main chalaa kartay thay
ab kahaaN aisii tabiyat vaalay
*** khaa kar jo duaa kartay thay
tark-e-ehasaas-e-muhabbat mushkil
haaN magar ahal-e-vafaa kartay thay
bikhrii bikhrii zulfoon vaalay
qaafilay rok liyaa kartay thay
aaj gulshan main shaguuf-e-saaGar
shikvay baad-e-sabaa say kartay thay
Erum Zehra
09-22-2007, 09:09 PM
Usi din ghar nahi aata k jab aanay ko kahta hai
Magr kia roothna us sy vo apni dhun main rahta hai
Madaarat e alam main woh nahi shirkat kaa kahil
Na apnay dukh batata hai na mairy ranj sahta hai
Lab e khamosh,chashm e khushk kia samjhaein gy tujhko
Jo barish jo dil may hoti hai jo darya dil may bahta hai
Mujhay tujh say juda rakhta hai aor dukh tak nahi hota
Mairy andar tairy jaisa yah aakhir kon rahta hai
Khiyal e yaar abhi roshan,abhi nazroon say ojhal hai
Abhi yah raishmin darya pahadoon main hi bahta hai
Erum Zehra
09-22-2007, 09:09 PM
DiL Nay Aksar Yeh Socha Hay
Mera Tujh SAay Kya Rishta Hay
*** Lage Jab DiL Par Taray
Dard Mujhay Mehsoos Hota HaY
Apni Manzilain Ek Nahi Jab
Tu Kyun Saath Maray Chalta Hay
Bay Ganay Bay Dard Jahan Main
Tu Apna Sa Kyun Lagtaa Hay
ShaZad Main Yeh Jan Gya Hon Abh
Yeh Jeewan Bhee Ek Dhooka Hay..!
_________________
Erum Zehra
09-22-2007, 09:09 PM
MeiN muqtal meiN b qismat ka sikandar nikla...
qura-e-faal meray naam ka aksar nikla...
tha jinhaiN za-am, woh darya b mujhi meiN doobay...
meiN k sehra nazar aata tha, samandar nikla...
meiN nay us jaan-e-baharaaN ko bohat yaad kiya...
jab koi phool meri shaakh-e-hunar se nikla...
shehar waloN ki mohabbat ka meiN qail hooN magar...
meiN nay jis haath ko chooma, wohi khanjar nikla
Erum Zehra
09-22-2007, 09:09 PM
TuuTe huye dilo.n kii duaa mere saath hai
duniyaa terii taraf hai Khudaa mere saath hai
aavaaz ghu.Ngharuuo.n kii nahii.n hai to kyaa huaa
saaGar ke TuuTane kii sadaa mere saath hai
tanhaa_ii kis ko kahate hai.n mujhako pataa nahii.n
kyaa jaane kis hasii.n kii duaa mere saath hai
paimaanaa saamane hai to kuchh Gam nahii.n "Nizam"
ab dard-e-dil kii ko_ii davaa mere saath hai
Erum Zehra
09-22-2007, 09:09 PM
din aa gaye sabaab ke aa.Nchal sambhaaliye
hone lagii hai shahar me.n hal-chal sambhaaliye
chaliye sambhal sambhal ke kaThin raah-e-ishq hai
naazuk ba.Dii hai aap kii paayal sambhaaliye
saj dhaj ke aap nikale sar-e-raah Khair ho
Takaraa na jaaye aap ka paagal sambhaaliye
ghar se naa jaao duur kisii ajanabii ke saath
barasenge zor-zor se baadal sambhaaliye
Erum Zehra
09-22-2007, 09:09 PM
rangat terii zulfo.n kii ghaTaao.n ne churaaii
Khushbuu tere aa.Nchal se havaao.n ne u.Daaii
paimaane kaa dil TuuT na jaaye to kahuu.N mai.n
hai chiiz Gazab kii jo nigaaho.n ne pilaaii
qaidii terii zulfo.n kaa hai aazaad jahaa.N se
mujh ko ye rihaaii to sazaao.n ne dilaaii
maanaa kii bahaaro.n ne khilaayaa hai gulo.n ko
ulfat kii kalii dil me.n vafaao.n ne khilaaii
tham-tham ke barasanaa kabhii jham-jham ke barasanaa
saavan ko adaa ye mere ashko.n ne sikhaaii
ma.nzil pe pahu.nch kar 'nasiim' ehasaas huaa hai
jis raah se pahu.nchaa ye Khataao.n ne dikhaaii
Erum Zehra
09-22-2007, 09:10 PM
Tumhain khabar hai
Hawa rukh badal b sakti hai
Pareenday apnay basairoo'n main shaam dhalnay par
Howa hai yoo'n k palatna b bhool jatay hain
Bahar rut main darakhtoo'n ki tahneon say kabhi
Khaza'n say pahlay hi patay pichadnay lagtay hain
Aor aik umer guzari ho jin k rastoo'n par
Wohi tamam riyazat ko dhool kartay hain
Tumharay lab pay ubherti howi khafeef hansi
Yah kah rahi hai bhala ic main kiya niya pan hai
Magar tamaam kahani main aab nay tum ho
Tumhaein khabar hai
Magar yah tumhaein khabar kab hai
Tumharay zaa'm e Mohabat k aor wafaoo'n k
Ici bahaar main khaimay ukhad bhi saktay ahin
Tumhaein khabar hai
Hawa rukh badal b sakti hai!!!
Erum Zehra
09-22-2007, 09:10 PM
kissi haath nay kissi loh par jo nahin likha
wohi aik harf-e-gumaan hain hum
khut-e-gumshuda main likhi gaye
koi ajnabi si zaban hain hum
kissi or khita-e-dard par jo guzar gaya
us waqt ki tug-0-taaz ka
koi bay nishaan sa nishaan hain hum
kabhi apnay honay kay wahimay say nikal kay dekhtay
to na khul saka kay kahan hain hum
Erum Zehra
09-22-2007, 09:10 PM
Sheher ki dhoop se poochain kabhi gaaon waaley
Kiyaa huye log woh zulfon kee ghataaon waaley
Ab ke basti nazar aatee naheen, na hi galiyaan
Aao dhoondhen kaheen darwaush duaaon waaley
Sangzaaron main merey saath chaley aaye they
Kitney sadaa they woh billor sey paaon waaley
Ham ne zarron se taraashey teri khaatir sooraj
Ab zameen par bhi utar zard khalaaon waaley
Kiya charaghan tha mohabbat ka ke bujhta hi na tha
Kasey mosam they woh pur shor hawaaon waaley
Too kahaan tha merey maalik ke merey kaam aataa
Mujh pe hanstey rahey patthar ke khudaaon waaley
Erum Zehra
09-22-2007, 09:10 PM
meyn tum sey phir kuch na kahoon ga
mager--------aaj
merey mehboob meri ik
ilteeja sun lo------
mumkin hey yeh harf-e-akhir hi ho--
dekho!mujhey tum yoon na azmaoo
aysa na ho key mera wajood bikhar jaye
aur tum---tum samait bhi na sakoo
bilkul us glass ki manind
jo tumhari ik zara si ghalti sey
chikna choor hogeya------aur
tumhey zara si kharash tuk bhi na ayi
mager meri jaan ---------
wo tu sheeshey ka ik nazuk sa
glass tha
jo---bazar meyn tumko phir mil jaye ga
aur meyn ---meyn ik jeeta jagta
wajood---jo ik bar
bikhar gaya tu tum mujhey
phir na pasakoo ge
yoon naa bula sakoo ge ---
Erum Zehra
09-22-2007, 09:10 PM
tum ne bhi kon sa chaha tha mujhe
meri baten bhi galat, mere irade bhi galat
bewafaee ka ye khud sakhta bohtan bhi tasleem mujhe
ye bhi mana ke gum dahar jawan tha to gum jawan ko
meri aankh ke aanso na mile
jab zamanon ki ye be meher hawaen meri soochon ko jala deti hain
mein soochta hon
jab gum dahar ki palken teri janib meri shidat ko ghta deti hain
mein soochta hon
jab kabhi apni jawaen mujhe khud apni nigahon mein gira deti hain
mein soochta hon
tum ne bhi kon sa chaha tha mujhe
__________________
Erum Zehra
09-22-2007, 09:11 PM
pahaaR kii bulandioN se
baRhte saaye
girte aa rahe haiN
shaam kii fasurdagii meN
aik surKh Dor sii, ufaq kii
jhilmilaa rahii hai
vaadioN meN
ek udaas raagnii kii guuNj sii lapak gayii
biraah kii aag
naGhmaa ban ke jaag uThThii
ufaq kii Dor TuuT kar
kisii amiiq Gaar kii siyaahiyoN meN kho gayii
udaas raagnii kii guunj
chiiKh ban ke rah gayii
Erum Zehra
09-22-2007, 09:11 PM
Chand Kee Ulfat Main Pagal Hogaee
Raat Kee Jagee Howee Thee So Gaee
Is Kadar Phaylay Jhameelay Aas Pass
Zehan Main Aik Yaad Thee So Kho Gaee
Uth ** Sochon Say Yadon Kay Kadam
Dhoop Sayon Kay Taaqub Main Gaee
Raat Ankhon Main Udasee Kee Lakeer
Shaam, Gahree Kitnee Gahree Hogaee
Khudnumaee Do Dilon Kay Darmean
Beej Ashaar Nafraton Kay Bo Gaee
__________________
Erum Zehra
09-22-2007, 09:11 PM
Mere ehsas ko koi naam do
Mere roop roop ko sanwaar do
Chahe nafratoun ki bheer do
Chahe mohabbatoun ki mehkaar do
Wohi zindagi, wohi taazgee
Mere ang ang utaar do
Meri umr bhar ki hai iltija
Mujhe chahtoun se nikhar do
Mere hamsafar, mere dilnasheen
Satt-rang si bahar do
Ban ker safeer mohabbatoun k
Mujh ko tum aitbaar do
Erum Zehra
09-22-2007, 09:11 PM
Chamaktay chand ko toota hua taara bana dala
Meri awargi ne mujh ko awara bana dala
Yehi agaaz tha mera, yehi anjam hona thaa
Mujhe barbaad hona thaa, mujhe nakaam hona thaa
Meri takdeer ne mujh ko takdeer ka maara bana dala
Chamaktay chand ko toota hua taara bana dala
Bara dilkash bara rangeen hai yeh sheher kehte hain
Yahan per hain hazaroun ghar, gharon main log rehte hain
Mujhe is sheher ki galiyun ka banjaara bana dala
Chamaktay chand ko toota hua taara bana dala
Erum Zehra
09-22-2007, 09:11 PM
hawa ki jo bi marzi ho
muqadar jo bi kuch chahe
zamin par char so
ranj_o_alam ki barishen barsein
tumharay lab per bikrey sarey naghmey
nohey ban jain
safar ki dhool ban jaen
koi tara na jugno ho
andherey hi andherey hon
sabhi sapney bikhr jaein
sabhi lamhey badal jaein
meri yadoon se ik pal bi
kabhi ghafil nahin hona
Suno pathar nahin hona!!
Erum Zehra
09-22-2007, 09:12 PM
Dushman ko bhi seenay se lagana nahee bhoole
Hum apne buzurgo'n ka zamana nahee bhoole
Tum aankhoun ki barsaat bichaye hue rakhna
Kuch log abhee aag lagana nahee bhoole
Yeh baat alag, haath kalam ho gaye apne
Hum aap ki tasveer banana nahee bhoole
Ek umr hui main to hansi bhool chuka houn
Tum ab bhi mere dil ko dukhana nahee choole
Erum Zehra
09-22-2007, 09:12 PM
Mohabbat zaat hoti hai
Mohabbat zaat ki taqmeel hoti hai
Koi jangel main ja tehray..kisi basti main bas jaye
Mohabbat saath hoti hai
Mohabbat khushboo ki laay
Mohabbat mosmoon ki dhun
Mohabbat abshroon kay nikhartay paniyoon ka mun
Mohabbat jangloon main raqs karti morni ka tun
Mohabbat barf parhti sardiyoon main dhoop banti hai
Mohabbat chilchilatay garam sehraoon main thandi chaoon ki manind
Mohabbat ajnabi duniya main apnay gaoon ki manind
Mohabbat dil
Mohabbat jaan
Mohabbat roh ka darmaan
Mohabbat murti hai
Aur kabhi jo dil kay mandir main kaheen par toot jaye tu
Mohabbat kanch ki guriya
Fizaoon main kisi kay haath say gar *** jaye tu
Mohabbat abla hai karb ka
Aur phoot jaye tu
Mohabbat rog hoti hai...
Mohabbat sog hoti hai..
Erum Zehra
09-22-2007, 09:12 PM
Mujh ko maara hai har ek dard-o-dawa se pehle
Dii saza ishq ne har jurm-o-khataa se pehle
Aatish-e-ishq bharakti hai hawa se pehle
Honth jalte hain mohabbat main dua se pehle
Ab kami kya hai tere be-sar-o-samano ko
Kuch na thaa teri kasam, tark-o-fanaa se pehle
Ishq-e-bebaak ko daaway thay buhut khalvat main
Kho diya sara bharam sharm-o-haya se pehle
Erum Zehra
09-22-2007, 09:12 PM
zindagii se barii sazaa hii nahii
aur kyaa jurm hai pataa hii nahii
itane hisso mai baaT gayaa huuN mai
mere hisse mai kuchh bachaa hii nahi
sach ghaTe yaa ba.De to sach na rahe
jhuuTh kii koii intehaa hii nahi
Tool do chaaNdii mein chaahe sone mein
aaiinaa jhuuTh bolataa hii nahi
_________________
Erum Zehra
09-22-2007, 09:12 PM
bahut masroof ho shayad!!
hamaree yaad bhee tum ko naheen aksar satatee ab
becharnay tak se milnay ka
koi wada naheen kartay
koi khat bhee naheen likhtay
gila karna to chahtay hain
tumharee berukhi ka hum
magar us k liye kuch waqat bhi darkar hota hai
jo tum ko mil naheen sakta
kiyon k
bahut masroof ho shayad!!!
Erum Zehra
09-22-2007, 09:12 PM
Manzile bhi
uski thi, Rasta bhi uska tha. Ek main akela tha, Kafila bi
uska tha..
Sath-Sath
chalne ki soch
bi uski thi, phir raasta
badalne ka
faisla bhi uska tha...
Aaj kyon akela
hoon, Dil sawal karta hai, Log to uske the,
Kya KHUDA bhi uska tha....?
Erum Zehra
09-22-2007, 09:13 PM
Bhichdtay lamhay to khush thay phir aab yah malal kaisay
Main kion bataoon kay kiey hoslay bahaal kaisay
Kaha tha kuch bhi naa poocho ** gar milay jo kabhi
Aab milay ho to phir aankhoon main yah sawal kaisay
Sang baari kee ibtadah bhi to tum hi nay ki thi
Jo lahoolahan hoon to aankhoon main dukh k jaal kaisay
Diyar-e-ghair main kiya tum nay yah b socha hai kabhi
Guzaray hoon ** kisi nay apnay maa o saal kaisay
Tumhari yaad nay to shahir hi bana diya hai mujhay
Bichad k tum say howay hum say yah kamaal kaisay
Erum Zehra
09-22-2007, 09:13 PM
buhat takhair say lakin
khula yeh bhayid khud per bhi
kah main ab tak
mhubbat jaan kar jis
jazba dayrinaa ko apnay lahoo may seenchti ai
woh jis ki saat-e-sad mherbaan hi zindghi ki shert theri
faqt ki shaiba hi tha mhubbat ka
younhi aadat thi har rastay per us kay sath chlnay ki
wagrna tark-e-kwahish per
yeh dil thora sa tu dhukta
zara si aankh nmm hoti
Erum Zehra
09-22-2007, 09:13 PM
Kehain par Hai Ghum Samati Hoyee
Kehin Par Hai Khushain Banti Hoyee
Kehin Par piyar k Geet Gungunati Hoyee
Kehin Par Hai Samander Main Dhubati Hoyee
kehin Par Hai Kessi Undakhay Sapoun Ko Sajati Hoyee
Kehin Par Hai Ak Piyasse Banjar Zamin Bani Hoyee
Kehin Par Hai Tanhioun Ko Appnay Sang lay Howay
Kehin Par Chand Sitaroun Ke Khawahish karti Hoyee
Kehin Par Saay Sy Be Darti Hoyee
Kehin Par Sajdoun Main Geri Hoyee
Magar A Dunia Waloun
Yeh Zindagee Be Phir Baywafa He Hai
Yeh Tanha Hai Aur Tanha He Rahy GAee.
Erum Zehra
09-22-2007, 09:13 PM
Kabi hawa
Tere aanay ka pata deti hai
Tu kahan se guzri
Teri khushbu bata deti hai
Teri ek muskurahat
Mere dil main
Kayi deep jala deti hai
Teri baatein
Teri shokh baatein
Aur adaain
Meri deewangi ko
Kuch aur hawa deti hain
Ek jaan do qalib ki soorat
Ek pal ki bhi
Judai ki woh tarap
Kuch pal ki narazgi
Phir manane ki lagan
Woh ek doojay k liye
Zamane se takra jaane ka junoon
Phir....waqt ki aandhi ne
Jazboun pe
Kuch aisi dhool dali
K aaj tu
Sheher hi chor gayi
Aur .....
"Mujhe khabar tak na hui"
Erum Zehra
09-22-2007, 09:13 PM
yeh koochay yeh nelaam ghar dilkashi kay
ye lutay huay karwaan zindagi k
kahan hain kahan hain muhafiz khudi k
sana khuwaan e taqdees e mashriq kahan hain
ye pur paych galiyaan ye badnaam bazaar
ye gumnaam raahi ye siikoon ko jhankaar
asmaat kay sauday yeh saudoon pay tikraar
sana khuwaan e taqdees e mashriq kahan hain
taafuun say pur, neem roshan ye galiyaan
ye maslee hui adh khili zard kaliyaan
ye bikti hui khokhli rang raliyaan
sana khuwaan e taqdees e mashriq kahan hain
ye ujlay darechoon mai payal ke chan chan
tanafuus ek uljhan pay tablay ki dhan dhan
ye bay rooh kamroon mai khansi ke thun thun
sana khuwaan e taqdees e mashriq kahan hain
ye gonjtay huay qahqahay rastoon par
ye charoon taraf bheer se khirkiyun par
ye awazay khainchtay huay anchaloon par
sana khuwaan e taqdees e mashriq kahan hain
ye phoolon kay gajray yeh peekon kay cheentay
ye baybaak nazraian ye ghustakh fikray
ye dhalkay badan aur bemaar chehray
sana khuwaan e taqdees e mashriq kahan hain
ye bhoki nighain hasenoo ke jaanib
ye barhtay huay hath seenoo ke jaanib
lapaktay huay paoon zeenoo ke jaanib
sana khuwaan e taqdees e mashriq kahan hain
yehan peer bhi aa chukay hain jawan bhi
tanoo mand baytay bhi aba miyan bhi
ye biwi bhi hai aur behn bhi hai maa bhi
sana khuwaan e taqdees e mashriq kahan hain
madaad chahti hai ye hava ki baytee
yashodha ke hamjins radha ke baytee
paimbar ki umaat zulekha ki baytee
sana khuwaan e taqdees e mashriq kahan hain
zara mulk kay rahbaroo ko bulaoo
ye koochay ye galiyan ye manzar dikhaoo
sana khuwaan e taqdees e mashriq ko laoo
sana khuwaan e taqdees e mashriq kahan hain
Erum Zehra
09-22-2007, 09:14 PM
Khud ko zameen aap ko aasman kehte hain
Aap ki khushi ko apna arman kehte hain
Kehne wale aap ko hamara dost kehte hain
Per hum aap ko apni JAAN kehte hain
Erum Zehra
09-22-2007, 09:14 PM
hir kisi yad nay shab bhar hay jagaya mujh ko
Kiya saza di hay mohabat nay khudaya mujh ko
Din ko aaram hay na rat ko hay chain kabhi
Janay kis khaak say qudrat nay banaya mujh ko
Dukh to yeh hay keh zamanay main milay ghair sabhi
Jo mila hay woh mila ban kay paraya mujh ko
Jab koi bhi na raha kandha meray ronay ko
Ghar ki deewaron nay seenay say lagaya mujh ko
Uoon to umeed-e-wafa tum say nahein hay koi
Phir charaghon ki tarah kis nay jalaya mujh ko
Bewafa zindagi nay jab chorh diya hay tanha
Maot nay piyar say pehloo main bithaya mujh ko
Woh diya hoon jo mohabat nay jalaya tha kabhi
Gham ki andhi nay sar-e-sham bujhaya mujh ko
kaisay bhoolon ga wohi wasl kay lamhay
Yad aata raha zulfon ka hi saya mujh ko
Erum Zehra
09-22-2007, 09:14 PM
Tu hi bata ke tera atebaar kaise karen
Bharam hi toot gaya ab Pyaar kaise karen
Khiza khiza rahi hai yeh zindagi apni
Rutein badal ke is se hum bahar kaise karen
Jab us ki baat per hum ko yaqeen na raha
Ab aur us se Qol-o-Qaraar kaise karen
Wafa shuaar to ab woh nahi raha
Ab us bewafa ka intezaar hum kyun karen
Erum Zehra
09-22-2007, 09:14 PM
Yeh aish-o-tarab kay matwaalay baikaar ki baatain kartay hain
Payal kay ghamon ka ilam nahi jhankaar ki baatain kartay hain
Naahaq hai hawas kay bandon ko nazzara-e-fitrat ka daawa
Aankhon main nahi hai betaabi deedar ki baatain kartay hain
Kehtay hain unhin ko dushman-e-dil naam unhin ka naaseh bhi
Wo log jo reh kar saahil par majhdhaar ki baatain kartay hain
Pohonchay hain jo apni manzil par un ko toh nahii kuch naaz-e-safar
Chalnay ka jinhain maqdoor nahi raftaar ki baatain kartay hain
Erum Zehra
09-22-2007, 09:14 PM
udaasii ke chehre paRhaa mat karo
Ghazal aaNsuuoN se likhaa mat karo
bahar-haal ye aag hii aag haiN
chiraaGoN ko aise chhuaa mat karo
du’aa aaNsuuoN meN khilaa phuul hai
kisii ke liye bad-du’aa mat karo
tumheN log kehne lageN be-vafaa
zamaane se itnii vafaa mat karo
agar vaaqaii tum pariishaaN ho
kisii aur se tazkiraa mat karo
Khuda ke liye chaaNdni raat meN
akele akele phiraa mat karo
Erum Zehra
09-22-2007, 09:15 PM
wo sharabi hi kya .......
jiske hath me jaam na ho....
wo samander hi kya ......
jisme lehro ka tuffan na ho.......
qo gulistaan hi kya ........
jiska kahi gulfaam na ho ........
wo subah hi kya ........
jiski kabhi sham na ho........
wo khushi hi kya .....
jo kisi gum k badd na ho .....
wo gazal hi kya.....
jisme o sanam tera naam na ho....
Erum Zehra
09-22-2007, 09:51 PM
Dil-E-nadaan! Unse pyaar ki umeed na kar
Sang-E-dil me jagah dhoondhne ki koshish na kar
Gar manzoor nahi unko pyaar tera
Bewajah dil lagane ki koshish na kar
Dil-O-deemagh se nikal de unko
justuju bhi unki na kar
Bhool ja unko agar ho sake to
Ab khayaloon me bhi laane ki koshish na kar
Suna hai sirf Dard,Dard aur Dard milta hai is pyaar ke khel me
Haar ja baazi apni....Jeetne ki koshish na kar!!
Erum Zehra
09-22-2007, 09:51 PM
sunte haiN phir chhup chhup unke ghar meN aate jaate ho
Insha saahab naahaq jii ko vahshat meN uljhaate ho
dil kii baat chhupaanii mushkil,lekin Khuub chhupaate ho
ban meN daanaa,sha’hr ke andar diivane kehlaate ho
bekal bekal rahte ho, par mehfil ke aadaab ke saath
aaNkh churaa kar dekh bhii lete ho, bhole bhii ban jaate ho
peet meN aise laakh jatan haiN, lekin ek din sab nakaam
aap jahaan meN rusvaa hoge, vaaz hameN farmaate ho
Erum Zehra
09-22-2007, 09:51 PM
Bohat masroof rehtey ho
sahar sey shaam honey tak
koi lamha nahi milta
koi gumnaam si sa'at
koi bey'naam si fursat
kahin bethay huye tanha
kabhi jo shaam ho jaye
to meri iltaja hai yeh
koi lamha chura lena
jo merey naam ho jaye
k hum jaisay aseeron ka
koi to kaam ho jaye..!!
Erum Zehra
09-22-2007, 09:51 PM
Deepak rag hai chahat apni kahay sunaein tumhain
Hum to sulagtay hi rahtay hain kion sulgaein tumhain
Tark-e-Mohabbat tark-e-tamana kar chuknay k baad
Hum pay yah mushkil aan padi hai kaisay bhulaein tumhain
San-natajab jab tanhaee kay zahar main bujhta hai
Woh ghadein kion kar kat-ti hain kaisay bataein tumhain
Jin batoo'n nay piyar tumhara nafrat main badlaa
Dar lagta hai woh bataei'n bhi bhool na jaein tumhain
Erum Zehra
09-22-2007, 09:51 PM
vo log bahut Khush_qismat the
jo ishq ko kaam samajhate the
yaa kaam se aashiqii karate the
ham jiite jii masaruuf rahe
kuchh ishq kiyaa kuchh kaam kiyaa
kaam ishq ke aare aataa rahaa
aur ishq se kaam ulajhataa rahaa
phir aaKhir tang aakar ham ne
donon ko adhuuraa chhor diyaa
Erum Zehra
09-22-2007, 09:51 PM
Mohabbat mein her ik lamha wisal kerna hai
Ab pyar tughay her din mah o saal kerna hai
Aagay bhee barhna hai aur tum ko bhee pana hai
Khuda se bus ik yahee sawal kerna hai
Kamee ho gee na aghaz ta anjam-e-mohabbat
Daikho hum nay ab yeh kamal kerna hai
Darr na jana kaheen zamanay ki gardish ko dekh ker
Sirf raat aur sawer ka khayal rakhna hai
Jitnee bhee aa'ain nafratein rastay mein tumharay
Be khauf-o-khatar sub ko pa'emal kerna hai
Anjam is tarah se ho ke ruut hi baadal ja'ay
Bilal ezaton ka bhee anee magar khayal kerna hai
Erum Zehra
09-22-2007, 09:52 PM
jo bhii dukh yaad na tha yaad aayaa
aaj kyaa jaaniye kyaa yaad aayaa
phir ko’ii haath hai dil par jaise
phir teraa ahd-e-vafaa yaad aayaa
jis tarah dhuNdh meN lipTe hu’e phuul
ek ek naqsh teraa yaad aayaa
aisii majboorii ke aalam meN ko’ii
yaad aayaa bhi to kyaa yaad aayaa
ai rafiiq sar-e-manzil jaakar
kyaa ko’ii aablaapaa yaad aayaa
yaad aayaa thaa bichaRnaa teraa
phir nahiiN yaad ke kyaa yaad aayaa
jab ko’ii zakhm banaa daaGh banaa
jab ko’ii bhuul gayaa yaad aayaa
ye muhabbat bhii hai kyaa rog “Faraz”
jis ko bhuule vo sadaa yaad aayaa
Erum Zehra
09-22-2007, 09:52 PM
Doo bool bol dete k guriya na jayee roth
Bhar giya jub dil tu shayad nai le aye woh
Sari ratien guzarti ha un ki yaad mai
Kais laga ik din jag ker, muj ko batlaye who
Muj ko choor diya najanay kiis rah per
Akele ho mai, aram se agee chal deye woh
Bechan aur betab abb un ko keray kuch
Jiss aag mai ho main, shayad jaan jaye woh
Milee gge buhut, agee unn ko
Likin muj se na dhond paye ge woh
Lafz ker deye, qalam meray dil per
Hafza kamzor tha ya bhool gayee woh
Banaata ha rub sub ko thora muktalif
Piada kiya un ko bin dil, sub se hatt k ha woh
Erum Zehra
09-22-2007, 09:52 PM
khail ye kesa khail rahi hai dil se teri mohabbat
aik pal ki sarshari de aur dinon malal mein rakhe
mein ne sari khushboen anchal se bandh ke rakhen
shayad on ka zikr to apne kisi sawal mein rakhe
kisi se tere ane ki sargoshi ko sunte hi
mein ne kitne phool chune aur apni shal mein rakhe
mushkil ban kar toot pari hai dil par ye tanhaee
ab jane ye kab tak os ko apne jaal mein rakhe
Erum Zehra
09-22-2007, 09:52 PM
Main aaj bhi chup hoon
Main kal bhi chup thee
Loag kehtay hain kuch to bolo
Apni khamoshi ke band kholo
Main sochti hoon kya boloon
Jo kuch mere dil main hai kis se kahoon?
Un say jo nahin jantay
Jazbon ki haqeeqat kya hai
Rooh kay sannaton main ghulti hooi
Qatra qatra see azeeat kya hai
Jo samajhtay hain ke insaam faqt
Chand ashyaa-e-zaroorat ka hai mohtaj
Yeh mohabbatain yeh rafaqatain
Yeh khuloos-o-wafa ki rahatain
Sab bay mani lafzon ke gharonday hain
Jin main baaith kar insaan
Haqeeqaton se faraar chahta hai
Magar meri soach in say mukhtalif hai
Aur ye he tanao ye he nafraton ka baais hai
Main kal bhi chup thee
Main aaj bhi chup hoon
Erum Zehra
09-22-2007, 09:53 PM
aas hogii na aasaraa hogaa
aane vaale dino.n me.n kyaa hogaa
mai.n tujhe bhuul jaauu.Ngaa ik din
vaqt sab kuchh badal chukaa hogaa
naam ham ne likhaa thaa aa.Nkho.n me.n
aa.nsuuo.n ne miTaa diyaa hogaa
aasamaa.N bhar gayaa pari.ndo.n se
pe.D ko_ii haraa giraa hogaa
kitanaa dushvaar thaa safar us kaa
vo sar-e-shaam so gayaa hogaa
Erum Zehra
09-22-2007, 09:53 PM
ai sanam jis ne tujhe chaaNd kii suurat dii hai
usii Allah ne mujh ko bhii muhabbat dii hai
teGh be-aab hai na baazuu-e-qaatil kamzor
kuch giraaN jaanii hai, kuch maut ne fursat dii hai
furqat-e-yaar meN ro-ro ke basar kartaa huN
zindaganii mujhe kyaa dii hai, musiibat dii hai
josh paidaa kiye sun’ney ko tiara zikr-e-jamaal
dekhne ko terii aankhoN meN basaarat dii hai
kamar-e-yaar ke mazmuuN ko baandho “Aatish”
zulf-e-khuubaaN sii mire tum ko tabiiyat dii hai
Erum Zehra
09-22-2007, 09:53 PM
Loog Phar Laytay Hain Chehroon Say Kahani Dil Ki
Aysay Aalam Main Tera Raaz Chupaoon Kaysay
Mujh Say Dekhe Nahi Jati Jodai Sagar
Bhigi Palkain Hain Koyee Khowab Sajaon Kaysay
Sakoon Panaa Sako ** Mujhi Bhola Nay Say
Kuch Or Aag Bharak Ja A Gi Bojhanay Say
Hamaray Haallay Parayhan Pay Goor Farmana
Kabhi Aap Ko Forsat Milay Zamanay Say
Tere Bywafaiyoo Par , Tere Kang Aadaiyon Par
Kabhi Sir Jhoka K Roye , Kabhi Moo Chupa K Roy
Meray Paas Say Guzar K Mera Haal Tak Na Pocha
Main Kaysay Yaqeen Karon K Woh Door Ja K Roye
Waqat Ki Anch Pay Pathar Bhi Pigal Jatay Hain
Qayqahai Ttot Kar Ashkon Main Badal Jatay Hain
Oumar Bhar Kon Kis Ka Sath Diya Karta Hai
Waqat K Sath Khyalat Bhi Badal Jatay Hain
Tujh Say Bichar Kar Hum Bhi Moqadar K Ho Gaye
Phir Jo Bhi Dar Mila Ushe Dar K Ho Gaye
Aay Yaar Tujh Say Karain Karain Kya Shekayatain
Aay Dard Hijar Hum Bhi Phatar K Ho Gaye
Milta Tha Mujh Say Kabhi Pal Pal Kay Farak Say
Phir Rafta Rafta Faraq Salon Main Aagaya
Phir You Howa K K Ankh Main Aanso Nikal Parhai
Chehra Kabhi Jo Uska Khyalon Main Aagaya
Woh Ayse Yaad K Zaindgi Bhar Sath Rahai Gi
Meray Weran Dil Main Youhe Aabad Rahai Gi
Koye Miyad Agar Mujh Ko Kaydd Bhi Karay
Woh Mere Zaat K Andar Sada Aazad Rahai Gi
Erum Zehra
09-22-2007, 09:53 PM
kahan ho tum chalay aao mohabbat ka taqaza hai
ghum-e-duniya se ghabra k tumhain dil nay pokara hai
tumhari be-rukhi ik din hamri jan lay lay gi
qasam tum ko zara soochoo k dastoor-e-wafa kia hai
kahan hoo tum chalay aao.....
najanay kis liya duniya ki nazrain pher gain hum se
tumhain daikha tumhain chaha qasoor is k siwa kia hai
kahan hoo tum....
na hai fariad hontoon pay na ankhoon main koi ansoo
zamanay se mila jo ghum usay gitoon main dhala hai
Erum Zehra
09-22-2007, 09:53 PM
tum jo pal ko thehar jaao to yeh lamhay bhi
aane vaalay lamhoN ki amaanat ban jaaeyn
tum jo thehar jaao to yeh raat, mahtaab
yeh sabza, yeh gulaab, ham donoN kay khwaab
sab kay sab aisay mubham hon keh haqiqat ho jaaeyn
tum thehar jaao keh unvaan ki tafseer ho tum
tum say talkhi-e-auqaat ka mausam badlay
raat to kiya badlay gi, halaat to kiya badlain **
tum jo thehar jaao to meri zaat ka mausam badlay
meharbaan ho kay na thehro to phir yuN thehro
jaisay pal bhar ko koi khuwaab-e-tamanna thehray
jaisay davaish-e-madaa-nosh kay piyaalay main kabhi
aik do pal kay liyay talkhi-e-dunya thehray
thehar jaao keh madaarat maikhaanay say
chaltay chaltay koi aik-aaadh subu ho jaaey
iss say pehlay keh koi lamha aainda ka teer
iss tarah aaey keh paivast-e-gulu ho jaaey
Erum Zehra
09-22-2007, 09:53 PM
Hama waqt ranj-o malal kya jo guzar gaya woh guzar gaya
Use yaad karke na dil dukha jo guzar gaya woh guzar gaya
Na gila kiya na khafa hue yunhi raste me juda hue
Na tu bewafa na main bewafa jo guzar gaya woh guzar gaya
Woh ghazal ki aik kitab tha woh gulon me aik gulaab tha
Zara der ko koi khwab tha jo guzar gaya woh guzar gaya
Woh udas dhoop samet kar kahin waadiyon me utar chuka
Use ab na de mere dil sada jo guzar gaya woh guzar gaya
Yeh safar bhi kitna taweel hai yahan waqt kitna qaleel hai
Kahan laut ker koi aayega jo guzar gaya woh guzar gaya
Erum Zehra
09-22-2007, 09:54 PM
Woh wafayen thin ke jafayen thin yeh na soch kis ki khatayen thin
Jo tera hai usko gale laga jo guzar gaya woh guzar gaya
Koi farq shah-o gada nahi ke yahan kisi ki baqa nahi
Ye ujaad mahlon ki sun sada jo guzar gaya woh guzar gaya
Tujhe aitbar-o yaqeen nahi nahi dunya itni buri nahi
Na malal kar mere saath aa jo guzar gaya woh guzar gaya
Erum Zehra
09-22-2007, 09:54 PM
Chahat Mein Kiya Duniya Dari Ishq Mein Kaisi Majbori
Logo Ka Kiya, Samjha'ne Do In Ki Apni Majbori,
Mein Ney Dil Ki Baat Rakhi Aur Tu Ney Duniya Walon Ki
Meri Garz Bhi Majboori Thee Un Ka Huqam Bhi Majboori,
Rokh Sakho To Pahli Barish Ki Bondo Ko Tum Rokho
Kachi Mitti To Mehkey Ge, Hai Mitti Ki Majboori,
Jab Tak Hunsta Gata Mausam Apna Hai,Sab Apney Hain
Wakht Parey To Yaad Ajati Hai Masnovi Majboori,
Aik Awara Badal Sey Kyun Mein Ney Saya Manga Thaa
Meri Bhi Ye Nadani Thee, Us Ki Bhi Thee Majboori,
Muddat Guzri Aek Wadey Per Ajj Bhi Qayam Hai Mohsin
Hum Ney Sari Omer Nibhaye, Apni Pehli Majboori.....
Erum Zehra
09-22-2007, 09:54 PM
ye jo zindagii kii kitaab hai
ye kitaab bhii kyaa kitaab hai
kahiin ik hasiin saa Khvaab hai
kahiin jaan-levaa azaab hai
kahiin chha.Nv hai kahiin dhuup hai
kahiin aur hii ko_ii ruup hai
kaii chehare is mein chhupe hue
ik ajiib sii ye naqaab hai
kahiin kho diyaa kahiin paa liyaa
kahiin ro liyaa kahiin gaa liyaa
kahiin chhiin letii hai har Khushii
kahiin meharabaan behisaab hai
kahiin aaNsuon kii hai daastaaN
kahiin muskuraahaTon kaa bayaaN
kahiin barqaton kii hai baarishen
kahiin tishnagii behisaab hai
Erum Zehra
09-22-2007, 09:54 PM
vo nahiin miltaa mujhe isakaa gilaa apanii jagah
usake mere daramiyaan kaa faasalaa apanii jagah
zindagii ke is safar mein saikaron chehare mile
dil-kashii unakii alag, paikar teraa apanii jagah
tujhase milakar aane vaale kal se nafarat mol lii
ab kabhii tujhase na bichharuun ye duaa apanii jagah
is musalsal daur mein hai manzilen aur faasale
paanv to apanii jagah hain raastaa apanii jagah
Erum Zehra
09-22-2007, 09:54 PM
Apne dil ki awaaz ko sun, usne bhi dharkna seekha hai
Dard chupay hain nas nas mein, aur tarapna seekha hai
Rehne do,na chero yun, leinay do mazaa abhi sonay ka
Khwabon mein yun goom ho kar, sochon ne uljhana seekha hai
Ghum kya hai tanhai ka, kabhee koee na samjhega
Pucho andheree raaton se, jinhone bicharna seekha hai
Beqadron ki duniya mein, apno se bahut ghum khaye hain
Dosti mein chupay fraibon ko, kuch kuch to samajhna seekha hai
Duniya ke ‘ ’ rangon mei, jab teri kamee hum payengay
Poochangay taqdeer se tab, kyon haathon mein sawarna seekha hai...!!!
Erum Zehra
09-22-2007, 09:55 PM
hasratein jag uthein yaas ne pehlo badla
es tarah haath teri yaad ne aaker rakha
hum tuje dil se bhola dein na kabhi yaad karein
mil agar jaye zamane mein koi bhi tuj sa
phool sa jism dhekney laga shouloon ki tarah
dil teri yaad ko bhi wasal ka samaa'n samjha
aankh her ro'otey howe shakhs ki janib uthi
dil her chaltey howe shakhs k pechey bhaga
yaad ayi tou sulag uthey nighahoon k ayagh
raat ayii tou tere gham ka muqadar chamka
_________________
Erum Zehra
09-22-2007, 09:55 PM
Kuch Iss Tara Se Hamara Agazai Safer Huwa
Jaise Koi Rahi ho Apni Manzil Se Rutha Huwa
Abb Nahi Der Kisi Ghum Ka Kisi Ruswae Ka
Kai Main Tu Ghumon Se Hoon Tuta Huva Bikhra Hawa
Soochta Hoon Ke Abb Bhool Jaoon Tuje
Per Tera Chehra Hanjar Ki Manind Hai Dill Main Khuba Huwa
Kehtai Hain Ashq Jo Beh Jain Tu Acha Hai
Per Meri Ankhoon Main Tu Ek Samander Hai Thera Huwa
Na Do Maire Zehmoon Ko Merhum Tum
Ke Her Zeham Pe Hai Nam Kisi Ka Likha Huwa
Aftab Ki Tamazat kiya Jalaiye Gi Muje
Ke Main Tu Teri Nigahoon Ki Tapash Se Hoon Jhulsa Huwa
Abb Rahtoon Ke Lamhai Hamain Naseeb Kahan
Ke Hamari Kismat Main Tu Bass Hijer Hai LiKha Huwa
Erum Zehra
09-22-2007, 09:55 PM
Ujad day maray dil ki dunya sakoo'n ko maray tabah kar day
Magar maree iltajah hai tujh say,idher bhi apni nigah kar day
Tumhain khabar ho k na ho shayad tumhari ankhoon main vo asar hai
Jo taigh-o-khanjar na kar sakain **,woh kaam taree nigah kar day
Suhani ratoo'n ki chandni main kabhi na tum bay naqab aana
Main dil pay qaboo to rakh sakoo'n ga,nigah shayad gunah kar day
Yah parda daree hai ya tamasha mujhi main rah kar mujhi say parda
Tabah karna agar hai mujh ko naqab utha aor tabah kar day!!!!
Ujad day maray dil ki dunya sakoo'n ko maray tabah kar day
Magar maree iltajah hai tujh say,idher bhi apni nigah kar day
Erum Zehra
09-22-2007, 09:55 PM
Agar guftugu ka aghaaz mein karta
Jhiraktee bigartee magar maan jaati
Jo mein barh kar us kay qadam rok leta
Woh paon patakhtee magar maan jaati
Agar chaand kaliyaan usay paaish karta
Woh daman jhataktee magar maan jaati
Mein kehta “chalo tum ko ghuma kar laoon”
Akartee jhijhaktee magar maan jaati
Jo mein berhta usko galay sey laganey
jhi-jhakti simattii magar maan jaati
Jo mein husan k us kay tareef karta
Woh bahain jhataktee magar maan jaati
Woh meri shoukh batoon par khamosh rehti
Dopatta katertee magar maan jaati
Jo mein us ko taktaa … zameen ko woh takti
Anguthaa ragarrti magar maan jaati
Woh nazdeek aatee … mein daman pakarta
Haya sey simatti magar maan jaati
Jo peechay say aanchal ka phanda banata
Bohat tilmilaati magar maan jaati
Woh ghussay may jo mujh say naraaz hoti
Bikharti tarapti magar maan jaati
Jo may bahoon mein usko ghair leta
Bohat kasmasati magar maan jaati
Mein kehta keh parhnay ka choro bahana
Woh safhay palatti magar maan jaati
Jo kehta keh “rahon pe chaliye sambhaal kar”
Uchaalti matakti magar maan jaati ….
Erum Zehra
09-22-2007, 09:55 PM
Rukhti hai baar baar jab honton mein ah kar baat.
Guzarti ho jab aankhon aankhon mein hii raat.
Hoti hai jab do dilo ki agar izzazaat.
Samaj Lena mein hoon mera naam hai Mohabbat.
Mera naam hai Mohabbat.
Jab bann jayey koi aankhon ki zarurat.
Jab lagne lage har chizz hi khurbsurat.
Jab dikhne lage har pal hii uski Surat.
Samaj Lena mein hoon mera naam hai Mohabbat.
Mer .......
a naam hai Mohabbat.
Jab koi karne lage apne app se hii sawaalat.
Dil sune Na kissi ki jab baat.
Aur dil hii de har jawaabat.
Samaj Lena mein hoon mera naam hai Mohabbat.
Mera naam hai Mohabbat.
Dil karna chaiye jab Akeley mein kissi se mulaqat.
Jab lagne lage haath ki lakiron mein bhi uska hii saat.
HO hi jaye jab kissi KO kissi se sachi chahat.
Samaj Lena mein hoon mera naam hai Mohabbat.
Mera naam hai Mohabbat.
Erum Zehra
09-22-2007, 09:55 PM
Mujhay bas itna kehna hai
Kabhi main yaad aaoon to
Kabhi tanhai ki raatain
Tumhain ziada sataein to
Kabhi titli na bolay to
Aur jugnoo lout jaye to
Kabhi jab dil bhi bhar jaye
Koi jab sunn na paye to
Agar sab dost sathi bhi
Jo tum se rooth jaaein to
Kabhi jab khud se lar lar kar
Thakan se choor ho jao
Kabhi chahtay huay bhi khud akelay
Ro na paao to
Apni aankhon ko band karna
Mujhay aawaz de dena
Aur phir meray tasawwur se
Jo chaho batain keh dena
Meray kaandhay pe sir rakh kar
Tum jitna chaho ro lena
Phir khud main jab loat jao to
Us he duniya chalay jana
Magar bas itna kehna hai
Ke jab bhi dukh ya khushiyon main
Hamain dil se pukaro **
Hamain tum saath pao **
Erum Zehra
09-22-2007, 09:55 PM
Khaamoshii Khud apanii sadaa ho aisaa bhii ho sakataa hai
sannaaTaa hii guunj rahaa ho aisaa bhii ho sakataa hai
meraa maazii mujh se bichhar kar kyaa jaane kis haal mein hai
merii tarah vo bhii tanhaa ho aisaa bhii ho sakataa hai
saharaa saharaa kab tak main Dhuundhuun ulfat kaa ek aalam
aalam aalam ik saharaa ho aisaa bhii ho sakataa hai
ahl-e-tuufaan soch rahe hain saahil Duubaa jaataa hai
Khud un kaa dil Duub rahaa ho aisaa bhii ho sakataa hai
Erum Zehra
09-22-2007, 09:56 PM
Aab Phool Khilen Ya Na Khilen
Tu Sath Chaly Ya Na Chaly
Soraj Ki Suoyaoon Ki Tarha
Kahbon Key Sirabon Ke Tarha
Zindagi Shart Hai
Aab Men Samjha Ki Tery Lams Ki Nisbat Janan
Dil Pey Wo Ankhon Ki Gulabi Ka Nasha Acha Tah
Tu Ne Samjha Men Tery Rang Chora *** Ga Sabhi
Mery Pindar Sey Wo Tera Gila Acha Laga
Jhulmilaty Hoye Har Sham Ke Durahy Per
Men Ne Dekha Yai Tujhe Chand Sitaron Ki Tarha
Men Ne Chaha Hai Bas Itna Aey Mery Jan-E-Jahan
Tu Mery Pass Rahy Sayia Yazdan Ki Tarha
Tujh Ko Pa Kar Men Kisi Oor Ko Pana Chahon
Moot Ajaye Jo Phir Kabhi Marna Chahon
Aey Mery Dobty Sansoon Ki Ameen
Aey Mery Tottay Taroon Ke Zameen
Aab Zindagi Shart Hai
Erum Zehra
09-22-2007, 09:56 PM
Dil apney aap dharakta hai, dharkaya nahi jata
Yeh raaz-E-mohabbat har eik ko bataya nahi jata
Agar ehsaas ho to, mohabat ko kar lo mehsoos
Yeh woh jazba hai jo lafzoon mein samjhaya nahi jata
Dosti ke liye mohabat aur khuloos hai lazim
Har haath milaney walay ko dost samjha nahi jata
Bohat kam hain log jo dil mein utar jhatey hain
Har rah chaltey ko apna banaya nahi jata
Koshish sey badal jhati hai TaQdeerein
Dey kar ilzaam Qismat aur dil ko behlaya nahi jata
Erum Zehra
09-22-2007, 09:56 PM
Tanhayii Bata Tere Wajha Kya Hai..
Jis Paal too Milay Mila Kya Hai
Har Shabb Baidar ..Har Subhoo Khuwab Hai
Ajaab hai Silsila Yeh Silsila kya Hai
Tere Qurbat hai Naseeb Har Pal Mujhee
Phir Tere Doori Tera Faslaa Kya Hai
Har Khuwahish Pa Aksar Khamosh Rehtii hai Zuba
Yeh Dil Mera Khud sai Itna Bud-Guma kyo hai
Jis Justujoo mai guzar dii zindagii hum Nai
Us Rusty Par Chal Kar Aakhir mila Kya hai
Tanhayii Bata Tere Wajha Kya Hai
Jis Pal too Mily Too Mila Kya hai
Erum Zehra
09-22-2007, 09:56 PM
Kabhi kabhi dil yeh chaahata hai
Tumhari shaamoon ka haal poochoon
Sawaal poochoon
Ke fikar-e-farda mein kaisi guzri
Yunhi kabhi meri naam aaya tumhare hontoo pe ek pal ko
Meri muhabbat ki yaad mehki kabhi tumhare bhi rastoon mein
Kabhi kisi din tumhari subha ke dar per
Jaagi sadaay-e-dastak
Kabhi ibaadat ki kaifeyat mein
Tumhein mera bhi gumaan guzra
Tumhare sehan-e-dua se mera bhi dheyaan guzra
Kabhi kabhi dil yeh chaahata hai sawaal poochoon
Magar mein chup hoon
Hamare mabain yeh jo
Deewar-e-ajnabbeyyat hai yeh ganeemat hai
Issi mein tauqeer-e-harf-o-lab hai
Yaheen pe tark-o-talab ki had hai ...
Erum Zehra
09-22-2007, 09:56 PM
Phir say piyar ka dhoka khaya ja sakta tha
Dil ka kia hai dil bahlaya jaa sakta tha
Kyon wapis na aay jaa ker woh janay
Lakin uss kay pas to jaya jaa sakta tha
Ger naa hota moum kee surat dil apna
Gham kay sooraj say takraya ja sakta tha
Aik tumhara saath ager mil jataa to
Saree dunya ko thukraya jaa sakta tha
Logoon nay mujrim thahraya,maan liya
Aakhir kis kis ko samjhaya jaa sakta tha
Lay dooba jab aankhoon ko tufaan Batool
Kasay dil ka shaher bachaya jaa sakta tha
Erum Zehra
09-22-2007, 09:56 PM
Roz sahil pe khare hoke yahi dekha hai
Shaam ka pighla hua surkh-sunhari rogan
Roz matiyale-se paani mein yeh ghul jaata hai
Roz sahil pe khare hoke yahi socha hai
Mein jo pighali huee rangeen shafaq ka rogan
Ponchh loo haathon pe
Aur cupke se ik baar kabhi
Tere gulnaar se rukhsaaron pe chhap se mal doon
Shaam ka pighala hua surkh-sunhari rogan
Erum Zehra
09-22-2007, 09:57 PM
Donon jahaan teri mohabbat mein haar ke
Woh jaa raha hai koi shab-e-gham guzaar ke
Viraan hai maikada khum-o-saaghar udaas hain
Tum kya gaye ke ruth gaye din bahaar ke
Ek fursat-e-gunah mili woh bhi chaar din
Dekhe hain hum ne hausle parwardigaar ke
Duniya ne teri yaad se begaana kar diya
Tujh se bhi dilfreb hain gham rozgaar ke
Bhule se muskra ke diye woh aaj Faiz
Mat puchh walwale dil-e-nakarda kaar ke
Erum Zehra
09-22-2007, 09:57 PM
Shaoor-e-zaat se jab hum kalam hotay hain
Fana ke bojh ko hum aansuon se dhotay hain
Khushi ke phool bas ik pal mein sookh jaien gai
Chalo hayat mein kuch talkhiyan parotey hain
Hamari neend hamesha ki neend hoti hai
Hum ahl-e-dard to sirf aik bar sotay hain
Zara si dair mein mulk-e-adam ke san.natay
Riday waqt ke saray nishaan dhotey hain
Wafa ki raah mein chalta nahen hai saath koi
Keah ronay walay hamesha akailay rotay hain
Woh ja chuka hai to kiya gham keah sab ko jana hai
Hasan hum is liye daman ko kiyun bhigotey hain
Erum Zehra
09-22-2007, 09:57 PM
Khizaan ke rang mein abhii bahaar baaqi hai
chiraaG-e-sahar hai par intazaar baaqi hai
hamein salaam karo ai havaadis-e-dauraan
tumhaare saath haiN phir bhii qaraar baaqi hai
guzar chukaa hai umeedonn ka qaafilaa kab kaa
raah-e-yaqeen pe ab bhii Gubaar baaqii hai
hamein pukaar lo jab chaaho ham mile'nge vahin
mile hain Khaak mein lekin vaqaar baaqii hai
Erum Zehra
09-22-2007, 09:57 PM
merii terii nigaah me.n jo laakh i.ntazaar hai.n
jo mere tere tan badan me.n laakh dil fiGaar hai.n
jo merii terii u.ngaliyo.n kii behisii se sab qalam nazaar hai.n
jo mere tere shahar kii har ik galii me.n
mere tere naqsh-e-paaa ke be-nishaa.N mazaar hai.n
jo merii terii raat ke sitaare zaKhm zaKhm hai.n
jo merii terii subah ke gulaab chaak chaak hai.n
ye zaKhm saare be-davaa ye chaak saare be-rafuu
kisii pe raakh chaa.Nd kii kisii pe os kaa lahuu
ye hai.n bhii yaa nahii.n bataa
ye hai ki mahaz jaal hai
mere tumhaare a.nkabuut-e-vaham kaa bunaa huaa
jo hai to is kaa kyaa kare.n
nahii.n hai to bhii kyaa kare.n
bataa, bataa, bataa, bataa
Erum Zehra
09-22-2007, 09:57 PM
aaiinaa-e-khuloos-o-wafaa chuur ho gaye
jitne chiraaGh-e-noor the, benoor ho gaye
maaloom ye huvaa ke wo raste ka saath thaa
manzil kareeb aayii to ham duur aa gaye
manzoor kab thii hamko watan se ye duuriyaaN
haalaat ki jafaaoN se majbuur ho gaye
kuch aa gayii ham ahl-e-wafaa meiN bhi tamkanat
kuch wo bhii apne husn pe maGhruur ho gaye
chaaraGaroN ki aisii inaayat huvii Hafeez
ke jo zakhm bhar chale the wo naasuur ho gaye
Erum Zehra
09-22-2007, 09:58 PM
kuchh aise ghaao bhii hote hai.n
jinhe.n zaKhmii aap nahii.n dhote
bin roye huye aa.Nsuo.n kii tarah
siine me.n chhupaa ke rakhate hai.n
aur saarii umr nahii.n rote
niinde.n bhii muhaiyaa hotii hai.n
sapane bhii duur nahii.n hote
kyuu.N phir bhii jaagate rahate hai.n
kyuu.N saarii raat nahii.n sote
ab kis se kahe.n ai jaan-e-vafaa
ye ahal-e-vafaa kis aag me.n jalate rahate hai.n
kyuu.N bujh ke raakh nahii.n hote
Erum Zehra
09-22-2007, 09:58 PM
itanii muddat baad mile ho
kin socho.n me.n gum rahate ho
tez havaa ne mujh se puuchhaa
ret pe kyaa likhate rahate ho
kaun sii baat hai tum me.n aisii
itane achchhe kyo.n lagate ho
ham se na puuchho hijr ke qisse
apanii kaho ab tum kaise ho
Erum Zehra
09-22-2007, 09:58 PM
bichha.D ke mujh se kabhii tuu ne ye bhii sochaa hai
adhuuraa chaa.Nd bhii kitanaa udaas lagataa hai
ye vasl kaa lamhaa hai ise raayegaa.N na samajh
ke is ke baad vahii duuriyo.n kaa saharaa hai
kuchh aur der na jha.Dataa udaasiyo.n kaa shajar
kise Khabar tere saaye me.n kaun baiThaa hai
ye rakh-rakhaao muhabbat sikhaa ga_ii us ko
vo ruuTh kar bhii mujhe muskuraa ke milataa hai
mai.n kis tarah tujhe dekhuu.N nazar jhijhakatii hai
teraa badan hai ke ye aa_iino.n kaa dariyaa hai
Erum Zehra
09-22-2007, 09:58 PM
terii ummiid teraa i.ntazaar jab se hai
na shab ko din se shikaayat na din ko shab se hai
kisii kaa dard ho karate hai.n tere naam raqam
gilaa hai jo bhii kisii se terii sabab se hai
huaa hai jab se dil-e-naasabuur beqaabuu
kalaam tujhase nazar ko ba.Dii adab se hai
agar sharar hai to bha.Dake, jo phuul hai to khile
tarah tarah kii talab tere rang-e-lab se hai
kahaa.N gaye shab-e-furqat ke jaaganevaale
sitaaraa-e-sahar ham-kalaam kab se hai
Erum Zehra
09-22-2007, 09:59 PM
aansuon aankh ki dehleez pe aaya na karo....
ghar ke haalaat zamaane ko bataya na karo...
log muthhi meiN namak le ke phira kerte haiN....
zakhm tum apne kisi ko bhi dikhaya na karo...
saaNp KHushbu ke ahaate meiN basa kerte haiN....
phool ke peRoN ko aangan meiN lagaya na karo...
haathh aaye usi lumhe ko GHaneemat jano....
apni palkoN pe koi KHwab sajaaya na karo...
yaas ki tapti hui ret meiN jalne do mujhe....
aas ke badlo sir pe mere aaya na karo...
aaj ke daur ka paiGHam yahi hai taalib~...
koi gir jaaye to bhoole se uthhaya na karo...
Erum Zehra
09-22-2007, 09:59 PM
Yeh dolat bhi ley lo yeh shuhrat bhi ley lo
Bhaley chheen lo mujhsey meri jawani
Mager mujhko lota do bachpan ka sawan
"Wo kagaz ki kashti wo barash ka pani"
Muhalley ki sab sey purani nishani
Wo bhuriya jisey bachey kehtey they nani
Wo nani ki baton mein parion ka dera
Wo chehrey ki jhurion mein sadion ka pehra
Bhulaye nahi bhool sakta hey koi
Wo Chhoti si ratein wo lambi kahani
Kari dhoop mein apney ghar sey nikalna
Wo chiriya wo bulbul wo titli pakarna
Wo guriya ki shadi pey larna jhagarna
Wo jhuloon sey girna or gir ker sanbhalna
Wo peetal key chhalon key piyarey sey tuhfey
Wo tooti huee choorion ki nishani
"Wo kagaz ki kashti wo barash ka pani"
"Wo kagaz ki kashti wo barash ka pani
Erum Zehra
09-22-2007, 09:59 PM
abhi woh dard baqi hai
agarche waqt marham hai
magar kuch waqt lagta hai
kisi ko bhool janey mein
dobara dil basaney mein
abhi kuch waqt lagna hai
abhi woh dard baqi hai
mein kaise naii ulfat mein
apni zaat ko gum kar doon
ke mere jism-o-wajdaan mein
abhi woh fard baqi hai
abhi us shakhs ki mujh per
nigah-e-sard baqi hai
abhi to ishq ke raston ki
mujh per gard baqi hai
abhi woh dard baqi hai..
Erum Zehra
09-22-2007, 09:59 PM
ek baat kahoon gar suntey ho
tum mujh ko achey lagtey ho
kuch chanchal se kuch chup chup se
kuch pagal pagal lagtey ho
mere chahney waley aur bohat
per tum mein hai ek baat bohat
tum apney apney lagtey ho
yeh baat baat pe kho jaana
kuch kehtey kehtey rok jana
kia baat hai hum se keh daalo
kin sochoon mein gum rehtey ho
ek baat kahoon ga suntey ho
tum mujh ko achey lagtey ho
Erum Zehra
09-22-2007, 09:59 PM
dekhaa to meraa saayaa bhii mujh se judaa milaa
sochaa to har kisii se meraa sil_silaa milaa
shahar-e-vafaa me.n ab kise ahal-e-vafaa kahe.n
ham se gale milaa to vo hii bevafaa milaa
fursat kise thii jo merii haalaat puuchhataa
har shaKhs apane baare me.n kuchh sochataa milaa
us ne to Khair apano.n se mo.Daa thaa muu.Nh haaye
mai.n ne ye kyaa kiyaa ke mai.n Gairo.n se jaa milaa
Erum Zehra
09-22-2007, 09:59 PM
har bezabaa.N ko sholaa_navaa kah liyaa karo
yaaro sukuut hii ko sadaa kah liyaa karo
Khud ko fareb do ki na ho talKh zindagii
har sangdil ko jaane-e-vafaa kah liyaa karo
insaan kaa agar qad-o-qaamat na ba.Dh sake
tum is ko nuqs-e-aab-o-havaa kah liyaa karo
apane liye ab ek hii raah-e-nijaat hai
har zulm ko razaa-e-Khudaa kah liyaa karo
le de ke ab yahii hai nishaan-e-ziyaa "Qateel"
jab dil jale to us ko diyaa kah liyaa karo
Erum Zehra
09-22-2007, 10:00 PM
kiyaa hai pyaar jise hamane zindagii kii tarah
vo aashanaa bhii milaa hamase ajanabii kii tarah
ba.Daa ke pyaas merii us ne haath chho.D diyaa
vo kar rahaa thaa muravvat bhii dillagii kii tarah
kise Khabar thii ba.Degii kuchh aur taariikii
chhupegaa vo kisii badalii me.n chaa.Ndanii kii tarah
kabhii na sochaa thaa hamane "Qateel" us ke liye
karegaa ham pe sitam vo bhii har kisii kii tarah
Erum Zehra
09-22-2007, 10:00 PM
vafaa ke shiish mahal me.n sajaa liyaa mai.n ne
vo ek dil jise patthar banaa liyaa mai.n ne
ye soch kar ki na ho taak me.n Khushii ko_ii
Gamo.n ki oT me.n Khud ko chhupaa liyaa mai.n ne
kabhii na Khatm kiyaa mai.n ne roshanii kaa muhaaz
agar chiraaG bujhaa, dil jalaa liyaa mai.n ne
kamaal ye hai ki jo dushman pe chalaanaa thaa
vo tiir apane kaleje pe khaa liyaa mai.n ne
'Qateel' jisakii adaavat me.n ek pyaar bhii thaa
us aadamii ko gale se lagaa liyaa mai.n ne
Erum Zehra
09-22-2007, 10:00 PM
hamaare daramiyaa.N aisaa ko_ii rishtaa nahii.n thaa
tere shaano.n pe ko_ii chhat nahii.n thii
mere zimme ko_ii aa.Ngan nahii.n thaa
ko_ii vaadaa terii zanjiir-e-paa banane nahii.n paayaa
kisii iqaraar ne merii kalaa_ii ko nahii.n thaamaa
havaa-e-dasht kii maanind
tuu aazaad thaa
raaste terii marzii ke tabe the
mujhe bhii apanii tanhaa_ii pe
dekhaa jaaye to
puuraa tasarruf thaa
magar jab aaj tuu ne
raastaa badalaa
to kuchh aisaa lagaa mujh ko
ke jaise tuu ne mujh se bevafaa_ii kii
Erum Zehra
09-22-2007, 10:00 PM
justajuu khoye huo.n kii umr bhar karate rahe
chaa.Nd ke ham_raah ham har shab safar karate rahe
raasto.n kaa ilm thaa ham ko na simto.n kii Khabar
shahar-e-naamaaluum kii chaahat magar karate rahe
ham ne Khud se bhii chhupaayaa aur saare shahar se
tere jaane kii Khabar dar-o-divaar karate rahe
vo na aayegaa hame.n maaluum thaa us shaam bhii
intazaar us ka magar kuchh soch kar karate rahe
aaj aayaa hai hame.n bhii un u.Daano.n kaa Khayaal
jin ko tere zaum me.n be-baal-o-par karate rahe
Erum Zehra
09-22-2007, 10:00 PM
apane haatho.n kii lakiiro.n me.n basaale mujhako
mai.n huu.N teraa nasiib apanaa banaa le mujhako
mujhase tuu puuchhane aayaa hai vafaa ke maanii
ye terii sadaadilii maar na Daale mujhako
mai.n sama.ndar bhii huu.N motii bhii huu.N Gotaazan bhii
koii bhii naam meraa leke bulaale mujhako
tuune dekhaa nahii.n aaiine se aage kuchh bhii
Khudaparastii me.n kahii.n tuu na ga.Nvaale mujhako
kal kii baat aur hai mai.n ab saa rahuu.N yaa na rahuu.N
jitanaa jii chaahe teraa aaj sataale mujhako
Khud ko mai.n baa.NT na Daaluu.N kahii.n daaman-daaman
kar diyaa tuune agar mere havaale mujhako
mai.n jo kaa.NTaa huu.N to chal mujh se bachaakar daaman
mai.n huu.N gar phuul to juu.De me.n sajaale mujhako
mai.n khule dar ke kisii ghar kaa huu.N saamaa.N pyaare
tuu dabe paa.Nv kabhii aake churaale mujhako
tark-e-ulfat kii qasam bhii ko_ii hotii hai qasam
tuu kabhii yaad to kar bhuulanevaale mujhako
baadaa phir baadaa hai mai.n zahar bhii pii jaauu.N "Qateel"
shart ye hai koii baaho.n mei.n sambhale mujhako
Erum Zehra
09-22-2007, 10:01 PM
Agar guftagu ka aghaaz mein karta
Jharaktee bigartee magar maan jaati
Jo mein barh kar us kay qadam rok leta
Woh paaon patakhtee magar maan jaati
Agar chaand kaliyaan usay paish karta
Woh daman jhataktee magar maan jaati
Mein kehta "chalo tum ko ghuma kar laoon"
Akartee jhijhaktee magar maan jaati
Jo mein us ko taktaa ... zameen ko woh takti
Anguthaa ragarrti magar maan jaati
Jo peechay say aanchal ka phanda banata
Bohat tilmilaati magar maan jaati
Woh ghussay may jo mujh say naraaz hoti
Bikharti tarapti magar maan jaati
Mein kehta keh parhnay ka choro bahana
Woh safhay palatti magar maan jaati
Jo kehta keh "rahon pe chaliye sambhaal kar"
Uchaalti matakti magar maan jaati
Erum Zehra
09-22-2007, 10:01 PM
Apni madhosh nigahon se sawera karna
Isi veeran shabistan mein ujala karna
Tergi rehti hai teri shab-o-roz yahan
Tum ksis roz yahan aker basera karna
Woh tou phoolon se bhi nazuk hai buhat der talak
Jab bhi dekho tou nazer uski utara karna
Apni zulfon mein chupalon mujhko buhat udaas hoon mein
Roshni Chubhti hai ankhon mein adhera karna
Yoon tou har din teri khushboo se jawan rehta hai
Ankh lag jaye tou khuwabon mein bhi aya karna
Woh kisi roz idher se bhi guzer sakti hai
Tum na ik pal bhi nazer apni hataya karna
Tumne baadal ki tarhan dhoop chupani hai AZIZ
Tum har aik sham use chaand dikhaya karna
Erum Zehra
09-22-2007, 10:01 PM
Yeh Adhoora Pann
Jaisay Adhi Kaali Raat,
Jaisay Aadha Chand,
Jaisay Bin Sooraj Kiran,
Jaisay Bin Badal Barsaat,
Jaisay Jungal Mein Tanha Hiran,
Jaisay Be Aawaz Koiyal,
Jaisay Sookhi tahli,
Jaisay Thehra Hoa Paani,
Jaisay Bin Paani Machhali,
Jaisay Andha Raahi,
Jaisay Bikhari Zulfein,
Jaisay Dolhay Bin Baraat,
Aisay Hi Tum Bin Main,
Aur Mera Yeh Adhora Pann.
Erum Zehra
09-22-2007, 10:01 PM
koi apna nahin banta!!!
labon pay naam rakhnay say
dilon main yaad karnay say
har ik dharkan, har ik tarpan
kisi ke naam karnay say
koi apna nahin banta
tamam umar ki khushiyan
mohabbat ki sabhi ghariyan
kisi ko daan karnay say
ke ...us pay maan karnay say
koi apna nahin banta
woh pehlay piyar ki batain
rafaqat ki sabhi ratain
woh chahat ki sabhi rasmain
mohabbat ki sabhi qasmain
humaisha yaad rakhnay say
koi apna nahin banta
kisi tanha akaili raah guzar par
puranay say kisi boorhay shajar par
patthar say koi dil bananay say
aur
usmain apna or kisi ka naam sajanay say
koi apna nahin banta
ke jab......aankhain hi marr ja'ain
to phir sapna nahin banta
yeh jeewan daaan kar ja'ain
to bhi apna nahin banta
koi apna nahin banta...
koi apna nahin banta.........
Erum Zehra
09-22-2007, 10:02 PM
woh jo pal bhar mein chala gaya
itne durr ke phir na laut sakaa
uske yaad is dil mein basee hai
us ke khushbooo is fiza mein mehak rahe hai
mujhe pyaar hai us haseen shakaar se
jo kudrat ka anmool tauhfa tha
jo mujhe kismat se mila thaa
bas aab intezaar hai us lamhe ka
jis lamhe mein woh aaie ga
mujhe apnaa keh jae gaa
woh jo lamha ho ga mere zindage ka
woh lamha mere zindage ka yaad gaar hoga
Erum Zehra
09-22-2007, 10:02 PM
Agar yeh jan-na chaho koi kaisay bikharta hai
Chaman main ja kay khizaan main
Kabhii patton ko dekho tum
Ya phir ik aainaa lay lo
Ussay patthar pay giraa do
Agar mushkil hai tum ko
To kissi khoobsurat phool ko le lena
Ussay hawa kay dosh pay rakhna
To phir tum jaan jao **
Koi kaisay bikharta hai
Agar yeh bhi na kar sako
To mairay paas aajaana
Mera deedar kar lena
Khabarr yeh ho hee jayay gee
Koi kaisay bikhartaa hai..*
Erum Zehra
09-23-2007, 06:19 PM
Tum Bin jiya jaey kaise
kaise jiya jaey tum bin
sadiyon si lambi hein ratein
raton se lambey hue din
aa jao lot kar tum
yeh dil keh raha hai
aa jaooo lot kar tum
phir sham-e-tanhaey jagi
phir yaad tum aa rahe ho
phir jaan nikalney lagi hai
phir mujh ko tarpa rahe ho
aa jaoo lot kar tum
yeh dil keh raha hai
aa jaoo lot kar tum
kya kya na socha hai meine
kya kya na sapne sajaey
kya kya na chaha hai is dil ne
kya kya na armaan jagaey
is dil se tufaan nikaltey hein
tum bin tu jeetey na marte hein
aa jaoo lot kar tum
yeh dil keh raha hai
aa jaoo lot kar tum
tum Bin jiya jaey kaise
kaise jiya jaey tum BIN
__________________
vBulletin® v3.8.4, Copyright ©2000-2013, Jelsoft Enterprises Ltd.