View Full Version : My choise


Pages : 1 2 [3] 4 5 6

Usm@n
05-16-2008, 11:56 AM
na shikaayate.n na gilaa kare
ko_ii aisaa shaKhs huaa kare
jo mere liye hii sajaa kare
mujh hii se baate.n kiyaa kare

kabhii roye jaaye vo bepanaah
kabhii betahaashaa udaas ho
kabhii chupake chupake dabe qadam
mere piichhe aa kar ha.Nsaa kare

merii qurbate.n merii chaahate.n
ko_ii yaad kare qadam qadam
mai.n taviil safar me.n huu.N agar
merii vaapasii kii duaa kare

Usm@n
05-16-2008, 11:57 AM
us lamhy main jee lo main
sari zindagi apni,,,
us lamhy ko de do main
sari zindagi apni,,,
wo ik lamha ke tu keh dey
tu ne mujko saraha tha kabhi!!
WO ik lamha ke tu maanye ke
tu ne mujhy chaha tha kabhi!!
To sulagta hoa, har zakham mera siil jay!!!
Sab hi kuch khoo jay mera,
bas WO ik lamha mujhy miil jay!!!!

Usm@n
05-16-2008, 11:57 AM
Kisi Sarab Kay Peechay Bhagna
Aur Phir Thaukar Kha kay Gir Jana
Tanhayion Kay Rubaru
Andheroon Kay Sehra Mein
Zindagi Kay Melay Mein
Bina Kisi Humsafar Kay
Kisi Raazdaan Kay
Bolo Kaisa Lagta Hai
Aesay Jeena
Gir Gir Kay Jeena
Mur Mur Kay Jeena
Thaukar Kha Kay Jeena....

Usm@n
05-16-2008, 11:57 AM
Kehtay hain kay aab hum khatakar bohat hain
Ik rasm_e_wafa thi so wafadar bohat hain

Kuch zakham kay rangat main gul.tar kay qareen thaiy
Kuch naqsh kay hain naqsh ba dewaar bohat hain

Rahoonb main koi aabla paa aab nahin milta
Rastay main magar qaflaa salar bohat hain

Ik khwab ka ihsaan bhi uthaiy nahin uthta
Kya kahiay kay asooda_e_Aazar bohat hain

kyon ahl_e_wafa, zehmat_e_bedad negahi
Jeenay k liay aur bhi aazar bohat hain

Her jazba_e_betab kay ahkaam hazaroon
Her lamha_e_bekhwab kay israr bohat hain

Palkoon talak aa pohanchay na kirnon ki tamazat
Aab tak to aada aina bardar bohat hain

Usm@n
05-16-2008, 11:58 AM
zindagi bina tery ik saza ho gae
tu mily bhi nahi aur juda ho gae
Bekhudy man tumhay din sazain buhat
tum ko pany ki mangy duain buhat
be-asar kio mery her dua ho gae
tu mily bh nahi aur juda ho gae
zindagi bina tery ik saza ho gae...
Jany kis jurm ki tu nay de ha saza
zindagi ab mery ho gae be maza
kuch kaha na suna aur khafa ho gae
to mily bhi nahi aur juda ho gae
zindagi bina tery ik saza ho gae

Usm@n
05-16-2008, 11:58 AM
chaha tha jise wo mila hi nhi
lakh koshish ki lekin ye fasla mita hi nhi

khuda se jholi pehle ke manga tha usey
khuda ne meri kisi dua ko suna hi nhi

har ek se pocha tere na milne ka sabab
her ek ne bataya wo tere liye bana hi nhi

kitni shiddat se chaha tha aur wo kisi aur ka ho gaya
shayad is jahan mey wafa ka sila mila hi nhi

mere hum nasheen mere hum nawa ye dua hai koi gilla nhi
tujhe zindagi mey wo sakon mile jo mujhe kabhi mila hi nhi..

Usm@n
05-16-2008, 11:58 AM
aap se gilaa aap kii qasam
sochate rahe.n kar na sake ham


us kii kyaa Khataa ladavaa hai Gam
kyuu.N gilaa kare.n chaaraagar se ham


ye navaazishe.n aur ye karam
fart-w-shauq se mar na jaaye ham


khe.Nchate rahe umr bhar mujhe
el taraf Khudaa ek taraf sanam


ye agar nahii.n yaar kii galii
chalate chalate kyuu.N ruk gaye qadam

Usm@n
05-16-2008, 11:59 AM
aashiqii be-dilii se mushkil hai
phir muhabbat usii se mushkil hai

ishq aaGaaz hii se mushkil hai
sabr karanaa abhii se mushkil hai

ham ?? aasaa.N hai.n aur hamaare liye
dushmanii dostii se mushkil hai

jis ko sab be-vafaa samajhate ho.n
bevafaa_ii usii se mushkil hai

ek do duusare se sahel na jaan
har ko_ii har kisii se mushkil hai

tuu baa-zid hai to jaa 'Faraz' magar
vaapasii us galii se mushkil hai

Usm@n
05-16-2008, 11:59 AM
Tumhein Jab kabhi milein Fursatein Meray dil se boojh utaar do
Mein buhat dino se udaas hoon mujhay koi shaam udhaar do

Mujhay apnay roop ki dhoop do, k chamak sakein meray khaal-o-khad
Mujhay apnay rang mein rang lo, mera saara zang utaar do

Meri weh'shatoon ko berr'ha dia hai Judaiy'on k azaab nay
Meray dil pe haath rakho zara, meri dharrkano'n ko qaraar do

Kisi aur ko meray haal se na gharaz hai na koi waasta
Mein bikhar gaya hoo'n samait lo, Mein bigarr gaya hoon sanwaar do

Tumhein Sub'ha kesi lagi kaho, meray khwahishoo'n k dayaar ki
Jo bhali lagi to yahein raho, isay chah'too'n se nikhaar do

Usm@n
05-16-2008, 12:00 PM
Sochoun to woh saath chal raha hai
Dekhoun to nazar badal raha hai

Kyun baat zabaan se keh ke koi
Dil aaj bhi haath mal raha hai

Raatoun ke safar mein wehm sa tha
Yeh mein hun ke chaand chal raha hai

Ham bhi tere saath ji rahey hein
Aur tu bhi kahin behl raha hai

Samjha ke abhi gayeein hein siskiyaan
Aur dil hai ke phir machal raha hai

Ham hi buray ho gaye ke tera
Mayar-e-wafa badal raha hai

Pehli see woh roshni nahin ab
Kya dard ka chaand dhal raha hai

Usm@n
05-16-2008, 12:01 PM
ankhoo'n se meray is liye laali nahi jaati
yadoo'n se koi raat jo khali nahi jaati

tu jaan bhi mangay to has ker tujhay de dei'n
teri to koi baat bhi taali nahi jaati

aaye koi aa ker yeh teray dard sam'bhalay
ham say to ye jageer sam'bhali nahi jaati

maloom hain ham ko bhi buhat say teray qissay
par ham se teri koi baat uchaali nahi jati

hum jaan se jaein gay tabhi baat banay gi
tum se to koi raah nikali nahi jaati

Usm@n
05-16-2008, 12:01 PM
Jhuki Jhuki si nazar beqaraar hai k nahi
dabaa dabaa sa sahi dil mei'n pyaar hai k nahi

tu apanay dil ki Javaa'n dharr'kano'n ko gin ke bataa
meri tarah teraa dil beqaraar hai k nahi

vo pal ke jis mei'n muhabbat javaan hoti hai
us ek pal kaa tujhay intazaar hai k nahi

teri umeed pe thuk'raa rahaa hu'n duniyaa ko
tujhay bhi apnay pe ye aitabaar hai k nahi

Usm@n
05-16-2008, 12:01 PM
Aye Khuda jo bhi mujhay Pind-e-Shikay-bai day
Us ki ankhoo'n ko meray dard ki gehraai day

Itna be-sarfa to na jaye meray ghar ka jalna
Chashm-e-Giryaa'n na sahi, Chashm-e-tamashaai day

Teray logoo'n se gila hai meray aainoo'n ko
In ko pathar nahi deta to beenai day

Na janay kon si wazaa' ka bismil hai FARAZ
Yeh to qatil ko bhi ilzaam-e-maseehai

Usm@n
05-16-2008, 12:02 PM
Ghar yaad tha jab tak to na thaa yaad palat'na
Ab laut K aaye hain to ghar bhool gaye hain

Yeh Sach hai k tum nay bhi pukara nahi hum ko
Aur hum bhi tou teri raah guzar bhool gaye hain

Usm@n
05-16-2008, 12:02 PM
Cheh'ray pe mere zulf ko phailaao kisi din
kyaa roz garaj;tay ho baras jaao kisi din

raazo'n ki tarah ut'ro mery dil mei'n kisi shab
dastak pay mery haath ki khul jaao kisi din

Perroo'n ki tarah husn ki baarish mei'n nahaa luu'n
baadal ki tarah jhuum K ghir aao kisi din

Khushbuu ki tarah guzro mery dil ki gali se
phuuloo'n ki tarah mujh pe bikhar jaao kisi din

Phir haath ko Khairaat milay band-e-qabaa ki
Phir lutf-e-shab-e-vasl ko doh'raao kisi din

Guz'rei'n jo mere ghar se to ruk jaayei'n sitaary
is tarah meri raat ko cham'kaao kisi din

mai'n apni har ik Saans usi raat ko de doo'n
sar rakh kay mery seenay pay so jaao kisi din

Usm@n
05-16-2008, 12:02 PM
us ke bin chup chup rehna acha lagta hai
khamoshi se ek dard ko sehna acha lagta hai

jis hasti ki yaad mein ansoo baraste hain
samne us ke kuch na kehna acha lagta hai

mil kar us se bichar na jaon darta rehta hon
is liye bas duur hi rehna acha lagta hai

jee chahe sari khushian lay kar us ko de don
us ke pyar mey sab kuch khona acha lagta hai

us ka milna na milna qismat ki baat hai
pal pal us ki yaad mey rona acha lagta hai

us ke bina sari khushian ajab lagti hain
roo roo kar us ki yaad mey sona acha lagta hai..

Usm@n
05-16-2008, 12:03 PM
Mai.N Chaahataa Bhii Yahii Thaa Vo Bevafaa Nikale
Use Samajhane Kaa Ko_Ii To Sil_Silaa Nikale

Kitaab-E-Maazii Ke Auraaq Ulat Ke Dekh Zaraa
Na Jaane Kaun Saa Safaah Mu.Daa Huaa Nikale

Jo Dekhane Me.N Bahut Hii Qariib Lagataa Hai
Usii Ke Baare Me.N Socho To Faasalaa Nikale

Usm@n
05-16-2008, 12:03 PM
Mere Allah ager tu ne dubara zindagi bakhshi
bas itni si guzarish hey mujhe pather ka bana dena

mein zehni taur peh khud ko zara tayar kar loon
bicharne se pehle hamdam mujhe bata dena

gaqat itna kaha tha na? mujhe kuch roshni de do
tumhain kis ne bola tha meri basti jala dena

phir is ke baad jis ke paas bhi jao ijazat hey
mujhe ik bar apne nam ki mehndi laga dena

Usm@n
05-16-2008, 12:04 PM
log har mo.D pe ruk ruk ke sambhalate kyuu.N hai.n
itanaa Darate hai.n to phir ghar se nikalate kyuu.N hai.n

mai.n na juganuu huu.N diyaa huu.N na ko_ii taaraa huu.N
raushanii vaale mere naam se jalate kyuu.N hai.n

niind se meraa ta'alluq hii nahii.n baraso.n se
Khvaab aa aa ke merii chhat pe Tahalate kyuu.N hai.n

mo.D hotaa hai javaanii kaa sambhalane ke liye
aur sab log yahii.n aake phisalate kyuu.N hai.n

Usm@n
05-16-2008, 12:04 PM
Mujhe Khabar Hai Wohi Aik Baat Likh Doon Ga
Tumhare Husan Ko Char Chand Likh Doon Ga

Tumhari Aankhen Jo Sharma Kar Kahen Gi Mujh Se
Tumhare Honton Pe Wo Dil Ki Baat Likh Doon Ga

Tumhain Bitha Ke Apni Aankhon Ke Saamne Jaana
Nikalte Chand Ki Qismat Main Maat Likh Doon Ga

Usm@n
05-16-2008, 12:07 PM
Ranj kitna bhi karein unka zamaney waley
Janey waley to nahin laut ke aane waley

Kaisi befaiz si reh jati hai dil ki basti
Kaise chup chap chale jatey hein janey waley

Aik pal cheen ke insaan ko lay jata hai
Peeche reh jatey hein sab saath nibhane waley

Janey waley tere marqad par khara sochta hun
Khwaab hi ho gaye tabeer batane waley

Har naya zakhm kisi aur ke seene ka saud
Cheir jata hai mere zakhm purane waley

Usm@n
05-16-2008, 12:08 PM
Havaa Ke Zor Se Pindaar-E-Baam-O-Daar Bhii Gayaa
Chiraag Ko Jo Bachaate The Un Kaa Ghar Bhii Gayaa

Pukaarate Rahe Mahafuuz Kishtiyo.N Vaale
Mai.N Duubataa Huaa Dariyaa Ke Paar Utar Bhii Gayaa

Ab Ehatiyaat Kii Diivaar Kyaa Uthaate Ho
Jo Chor Dil Me.N Chhupaa Thaa Vo Kaam Kar Bhii Gayaa

Mai.N Chup Rahaa Ki Is Me.N Thii Aafiyat Jaa.N Kii
Ko_Ii To Merii Tarah Thaa Jo Daar Par Bhii Gayaa

Sulagate Sochate Viiraa.N Mausamo.N Kii Tarah
Ka.Daa Thaa Ahad-E-Javaanii Magar Guzar Bhii Gayaa

Jise Bhulaa Na Sakaa Us Ko Yaad Kyaa Rakhataa
Jo Naam Dil Me.N Rahaa Zehan Se Utar Bhii Gayaa

Phatii-Phatii Hu_Ii Aa.Nkho.N Se Yuu.N Na Dekh Mujhe
Tujhe Talaash Hai Jis Kii Vo Shakhs Mar Bhii Gayaa

Magar Falak Kii Adaavat Usii Ke Ghar Se Na Thii
Jahaa.N 'Faraz' Na Thaa Sail-E-Gam Udhar Bhii Gayaa

Usm@n
05-16-2008, 12:08 PM
meraa tamaam fan merii kaavish meraa riyaaz
ik naa-tamaam giit ke misare hai.n jin ke biich
maanii kaa rabt hai na kisii kaafiye kaa mel
anjaam jis kaa tay na huaa ho ik aisaa khel
merii mataa bas yahii jaduu hai ishq kaa
siikhaa hai jis ko mai.n ne ba.Dii mushkilo.n ke saath
lekin ye saahir-e-ishq kaa tohfaa ajiib hai
khulataa nahii.n hai kuchh ke haqiiqat me.n kyaa hai ye
taqadiir kii ataa hai yaa ko_ii sazaa hai ye
kis se kahe.n ai jaa.N ke ye qissaa ajiib hai
kahane ko yuu.N to ishq kaa jaduu hai mere paas
par mere dil ke vaaste itanaa hai is kaa bojh
siine se ik pahaa.D-saa haTataa nahii.n hai ye
lekin asar ke baab me.n halkaa hai is qadar
tujh pe agar chalaauu.N to chalataa nahii.n hai ye

Usm@n
05-16-2008, 12:09 PM
zindagii ke mele me.n
Khvaahisho.n ke rele me.n
tum se kyaa kahe.n jaanaa
is qadar jhamele me.n
vaqt kii ravaanii hai
baKht kii giraanii hai
saKht bezamiinii hai
saKht laamakaanii hai
hijr ke samandar me.n
taKht aur taKhte kii
ek hii kahaanii hai
tum ko jo sunaanii

Usm@n
05-16-2008, 12:09 PM
baat go zaraa sii hai
baat umr bhar kii hai
umr bhar kii baate.n kab
do gha.Dii me.n hotii hai.n
dard ke samandar me.n
anginat jaziire.n hai.n
beshumaar motii hai.n
aa.Nkh ke dariiche me.n
tum ne jo sajaayaa thaa
baat us diye kii hai
baat us gile kii hai
jo lahuu kii Khilvat me.n
chor ban ke aataa hai
lafz ke fasiilo.n par
TuuT TuuT jaataa hai

Usm@n
05-16-2008, 12:09 PM
zindagii se lambii hai
baat rat_jage kii hai
raaste me.n kaise ho
baat taKhaliye kii hai
taKhaliye kii baato.n me.n
guftaguu izaafii hai
pyaar karane vaalo.n ko
ik nigaah kaafii hai
ho sake to sun jaao
ek din akele me.n
tum se kyaa kahe.n jaanaa.N
is qadar jhamele me.n

Usm@n
05-16-2008, 12:12 PM
Khilaf-E-Jabar Agar Roshni Nahin Kertey
Bujhey Chiraag Hai Jo Roshni Nahin Kertey...

Puhanch Na Saktey The Qatil Mere Thikaney Tak
Mere Hi Log Agar Mukhbari nahin Kertey...

Mein Sach Ki Aag Mein Jalta Hoa Woh Suraj Hoon
Ye Chaand Taare Meri Rehbari nahin Kertey...

Samaton Pe Giran Hai Azal Ki Sirgoshi
Abad Ke Lamhey Koi Baat Bhi Nahin Kertey...

Tumhare Sir Ki Qeemat Bhi Na Lagti “Zahid”
Jo Sach Ke Nashey Mein Tum Shairi Nahin Kertey...

Usm@n
05-16-2008, 12:12 PM
Mein Khwaab Ban Ke Use Neend Mein Dikhayi Doon
Woh Mera Qurb Jo Chahe To Mein Judai Doon...

Kuchh Istarah Mujhe Chahe Ke Har Ghadi Us Ko
Mein Dharkanon Ki Tarah Qalb Mein Sunayi Doon...

Tadap Tadap Ke Mujhe Maangta Raha Lekin
Siwaye Apne Mein Use Saari Khudayi Doon...

Usm@n
05-16-2008, 12:14 PM
Mujh Se Kerta Tha Na Milne Ke Bahane Kitne
Ab Guzare Ga Mere Saath Zamane Kitne...

Mein Gira Tha To Buhat Se Log Ruke The Lekin
Sochta Ye Hoon Ke Uthane Aaye The Kitne...

Bheer Lag Jaati Hai Jalte Hoe Ghar Ke Aage
Log Aate Hain Magar Aag Bujhane Kitne....

Apni Takhleeq Mein Insaan Ko Shamil Ker Ke
Dukh Uthaye Hain Khuda Jaane Khuda Ne Kitne...

Tum Naya Zakham Lagao Tumhein Is Se Kiya
Bharne Wale Hain Abhi Zakham Purane Kitne

Usm@n
05-16-2008, 12:23 PM
Ab Zid Pe Aagaye Ho To Ye Kaam Bhi Karo
Khud Ko Hamare Naam Se Badnaam Bhi Karo...

Ye Kiya Ke In Ruton Mein Bhi Qaid Ana Ki Zid
Barpa Bahar Mein Koi Kuhram Bhi Karo....

Ashiqi Ho Agar To Sabar Ke Zandan Ko Tor Do
Ehl-E-Jahan Ki Koshishein Nakaam Bhi Karo...

Tark Taluqat Ka Matam Buhat Hoa
Tum Thak Gaye Ho Aao Kuchh Araam Bhi Karo

Usm@n
05-16-2008, 12:24 PM
Naam us ka meray hontoon nay lay liya hai shayed....
Zakham-e-dil phir say mera bool utha hai shayed....
Dherkanein tayz hoien dil ki to mehsoos howa....
Us nay dil ko koi paigham diya hai shayed....
kia gila us ki jafaoun ka karoon mehfil mein....
Na rawa us ki mohubbet mein rawa hai shayed....
Main riva’yat say baghawet to nahi ker sukta....
Bus meri fikar ka andaaz naya hai shayed.

Usm@n
05-16-2008, 12:25 PM
Chahey ga jab tumhe koi, hum yaad aaey gay
Kehta tha koi hum se, nahi mantey thay hum

Koshish buhat ki, us ne hum ko laakh samjhaya
Mager, jab mananey ko aaey to, tanha kharey thay hum

Dhoond dhoond ker usay thak bhi gaey buhat
Mager us ko talaashney k baad,sochtey hain hum

Ehsaas kiyoo dilaain usay apni shikast ka
Khudi ka zaam tha us ko, anna rakhtey thay hum

Mohabbat mai khudi ya zaam ka koi guzer nahi
Maloom tha usay bhi, aur jantey thay hum

Per donoo sitemzareef hi thay balla k anna parast
Wo bhi datta khara tha, zid na tortey thay hum

Kahani mukhtasir naina, k agey aur kia hota
Tanha khara tha wo, yahan tanha kharey thay hum

Usm@n
05-16-2008, 12:25 PM
aa bhii jaao kii zindagii kam hai
tum nahii.n ho to har Khushii kam hai

vaadaa kar ke ye kaun aayaa nahii.n
shahar me.n aaj raushanii kam hai

jaane kyaa ho gayaa hai mausam ko
dhuup ziyaadaa hai chaa.Ndanii kam hai

aa_iinaa dekh kar Khayaal aayaa
aaj kal un kii dostii kam hai

tere dam se hii mai.n mukammal huu.N
bin tere terii 'Yamini' kam hai

Usm@n
05-16-2008, 12:25 PM
Afsaana-E-Dil Sunake Akhein Nam Nehi Hoti
Dhadkanein Sametne Se Mahobbat Kam Nehi Hoti

Lagi Hogi Kissi Bezaar Ki Bad-Duah...
Fakat Kismat Hi Apni Dushman Nehi Hoti

Gar Chalta Na Bewafaion Ka Yeh Daur
Hamare Hath Mein Bhi Koi Kalam Nehi Hoti...!!!

Usm@n
05-16-2008, 12:26 PM
yaaro kisii qaatil se kabhii pyaar na maa.Ngo
apane hii gale ke liye talavaar na maa.Ngo

gir jaaoge tum apane masiihaa kii nazar se
mar kar bhii ilaaj-e-dil-e-biimaar na maa.Ngo

khul jaayegaa is tarah nigaaho.n kaa bharam bii
kaa.NTo.n se kabhii phuul kii mahakaar na maa.Ngo

Usm@n
05-16-2008, 12:28 PM
Shikwa Hi Kia Kahin Ye Naseeb-E-Hunar Na Ho
Ghar Ho To Be Diya Ho, Diya Ho To Ghar Na Ho

Kab Se Bhatak Raha Hoon Mere Paaye Fikr Ko
Wo Raah De Ke Jis Main Koi Hamsafar Na Ho

Is Daur-E-Tang Dil Main Taraqqi Ke Naam Per
Wo Ghar Milay Ke Jin Main Hawa Ka Guzar Na Ho

Ya Taiz Aandhiyon Pe Mujhe Ikhtiyar De
Ya Wo Charag De Jisse Bujhne Ka Dar Na Ho

Ek Lamha Doosre Ke Iradon Se Be Khabar
Itna Bhi Zindagi Ka Safar Pur Khatar Na Ho

Shohrat Se Be Niyaaz Hai Fankaar Yoon "Wasim"
Khushboo Ki Jaise Phool Ko Apni Khabar Na Ho

Usm@n
05-16-2008, 12:28 PM
Mainey Din Raat Apney Jisski Yaad Ke Naam Kiye Hain
Woh To Ikk Pall Bhi Mujhe Sochta Na Hoga


Jiski Tasveer Main Har Aik Shae Main Hoon Dekhta Rehta
Ikk Nazzar Bhi Woh Shaks Mujhe Dekhta Na Hoga


Yeh Labb Jo Sada Osska Naam Ley Kar Mangtey Hain Duaian
Mera Naam Bhi Woh To Kabhi Laita Nahin Hoga


Ossey Sadain Daita Rehta Hey Yeh Pagal Dil Mera
Aik Pukar Bhi Kabhi Dil Oska Mujhe Daita Nahi Hoga


Meri Ankhain Dekhti Hain Har Pall Rasta Oska
Woh To Youn Pall Pall Mera Inteezar Karta Na Hoga


Jiskey Liye Mera Bhawla Mann Tarasta Rehta Hey
Shabb-e-Tanhai Main Meri Terah Woh Tarapta Nahin Hoga


Haathon Ki Lakeeron Main Ossko Dekha Hey Mainey
Kabhi Bhi Mujhe Woh Shaks Aisey Talaash Karta Na Hoga


Osska Ehsas Beh Raha Hey Mujh Main Laho Ki Manidd
Mujhe Woh Apney Ansoun Main Bhi Pata Nahin Hoga


Apney Naam Ko Main Osske Naam Se Jor Daita Hon
Merey Aur Osske Rishtey Ka Ossey Kheyal Bhi Ata Nahi Hoga


Jissko Mana Hey Mainey Sabab Mussarat-e-Zindagi
Woh To Mujhe Apna Dukh Bhi Maanta Nahin Hoga


Ban Chukka Hey Woh Meri Manzil Meri Taqdeer
Kabhi Bhi Juda Rastoon Ko Meri Terah Woh Aik Karta Nahi Hoga


Itni Door Hey Mujhse Phir Bhi Merey Kitney Kareeb Hey
Oss Ne To Kabhi Mujhe Mehsoos Hi Nahi Kia Hoga


Tumne To Wasi Apney Wajood Ko Rang Dia Hey Oski Chah Main
Kabhi Socha Hey Tumne Woh Shaks Tumse Pyar Karta Bhi Hoga?

Usm@n
05-16-2008, 12:29 PM
tumhain jab kabhi milain fursatain meray dil se bojh utar do
me bohat dino se udas hon mujhay koi sham udhar do
mujhay apnay roop ki dhoop do k chamak sakain meray khal o khad
mujhay apnay rang me rang do meray saray zang utar do
kisi aur ko meray hal se na ghurz hai na koi wasta
me bikhar gaya hon samait lo me bogar gaya hon sanbhal do

Usm@n
05-16-2008, 12:29 PM
farz karo hum ahl-e-wafa hon, farz karo diivanay hon
farz karo yeh donon batain jhooti hon afsanay hon

farz karo yeh jii kii bipta, jii say jorr sunaayee ho
farz karo abhi aur ho itni, aadhi hum nay chupayee ho

farz karo yeh job-b'jog ka hum nay dhong rachaya ho
farz karo buss yehi haqeeqat baqi sub kuch maya ho

farz karo tumhain khush karnay kay dhoonday hum nay bahanay hon
farz karo yeh nain tumharay such much kay may-khanay hon

farz karo yeh rog ho jhoota, jhooti preet hamarii ho
farz karo is peet kay rog main sans bhi hum per bhaarii ho

Usm@n
05-16-2008, 12:29 PM
khuda karay to aik pal ko bhi udas na ho
kisi dukh ka saya bhi teray pass na ho
khuda karay teri khushiyon k phool khil jain
khuda karay teri aankhon me kabhi ashk na ho

Usm@n
05-16-2008, 12:30 PM
Zindagi ho, jaan ho, dil ho mera,
Iss ehsaas-e-kamtharih k mahol main hosla ho mera.

Chaandh ho, afthaab ho, aasman ho mera,
iss andher nagri main jaltha hua chiraagh ho mera.

himmath ho, gharoor ho, jazba ho mera,
iss tanhayee main, ho thum hi sirf aks mera.

Aaghaaz ho, ipthidah ho, jashan ho mera,
Iss khaamoshy main, pehla lafz ho mera.

Saltannat ho, thakht ho, thaaj ho mera,
Iss khaali pehmaanay main, bhara nasha ho mera.

dharkan ho, amaanath ho, zameer ho mera.
Iss goray warrk pe, afsana ho mera.

Iss kadhar chahthay hain hum aapko,
Kay lab pe hai ithni duwa,

Usm@n
05-16-2008, 12:30 PM
Ajab apna haal hota jo visal_e_yar hota
Kabhi jan sadkay hoti kabhi dil nisar hota

Jo tumhari tarha tum sai koi jhootay waday karta
Tumhi keh do, Tumhain aitbar hota

Yeh maza tha dil lagi ka k aag barabar lagi hoti
Na tujhay qarar hota na mujhay qarar hota

Na maza hai dushmani main, Na lutf hai dosti main
Koi ghair ghair hota Koi yaar yaar hota

teray waday pay sitam,gar abhi aur sabar kartay
Agar apni zindagi ka hamain aur aitbar hota

Usm@n
05-16-2008, 12:31 PM
teraa hijr meraa nasiib hai teraa Gam hii merii hayaat hai
mujhe terii duurii kaa Gam ho kyo.n tuu kahii.n bhii ho mere saath hai


mere vaaste tere naam par koii harf aaye nahii.n nahii.n
mujhe Khauf-e-duniyaa nahii.n magar mere ruu-ba-ruu terii zaat hai


teraa vasl ai merii dilarubaa nahii.n merii kismat to kyaa huaa
merii mahajabii.n yahii kam hai kyaa terii hasarato.n kaa to saath hai


teraa ishq mujh pe hai maharabaa.N mere dil ko haasil hai do jahaa.N
merii jaan-e-jaa.N isii baat par merii jaan jaaye to baat hai

Usm@n
05-16-2008, 12:31 PM
Musalasal Rokti Hon Is Ko Shehr_e_Dil Main Aanay Sai
Magar Wo Kohkan Rukta Nahi Deewar Dhanay Sai
Bhala Kya Dukh K Angan Main ulagti Larkiya Janien
Kaheen chuptay hain Aanso Anchalon Main Chupanay sai
Abhi To Fasal_e_Taza Hai Hamaray Harf o Maani Ki
Abhi Dartay Nahin Hum Mosamon K Aanay Janay Sai
Abhi To Ishq Main aankhain Bujhi Hain, Dil Salamat Hai
Zamenain Banjh Hoti Hain Kabhi Faslain Jalanay Sai
Tujhay Tanha Muhabbat Ka Yeh Darya Paar Karna Hai
Nadamat Ho Gi Is K Hoslon Ko Azmanay Sai

Usm@n
05-16-2008, 12:31 PM
Khalwat O Jalwat Main Tum Mujh Sai Mili Ho Barha
Tum Nai Kya Dekha Nahi, Main Muskura Nahi sakta
Main Kya mayusi Meri Fitrat Main Dakhil Ho Chuki Hai
Jabar Bhi Khud Par Karon To Gunguna Nahi sakta
Mujh Main Kya Dekha K Tum Ulfat Ka Dam Bharnay lageen
Mawin To Khud Apnay Koi Kaam Aa Nahi Sakta
Roh Afza Hain Januun_e_Ishq K Naghmay Magar
Aab Main In Gaiy Huaiy Geeton Ko Ga nahi sakta
Main Nai Dekha Hai Shikast saz Ulfat ka Saman
aab Kissi Tehreek Par Barbat Utha Nahi sakta
Dil Tumhari shiddat_e_Ahsas sai waqif To hai
Apnay Ahsasat Sai Daman Chura Nahi Sakta
Tum Meri Ho Kar Bhi Baigana HI Pao Gi Mujhay
Main Tumhara Ho K Bhi Tum Main sama Nahi Sakta
Gaiy Hain Main nai Khalos_e_Dil Sai Bhi Ulfat K Geet
Aab Riyakari Sai Bhi Chahon To Ga Nahi sakta
Kis Tarha Tum Ko Bana Loon Main Shareek_e_Zindagi
Main To Apni Zindagi Ka Bar Utha Nahi Sakta
Yaas Ki Tarikiyon Main Doob Janay Do Mujhay
Aab Main Shamm_e_Arzoo Ki Lu Barha Nahi sakta

Usm@n
05-16-2008, 12:32 PM
Ru'ba zawal ho gai masti_e_halshehar main
Aab kaheen ouj par nahi tera khyal shehar main
Yeh ji karahtay huaiy lout rahay hain shehar main
Hoob dikha kar aaiay hain apna kamal shehar main
Shehar_e_Wafa main har taraf sood_o_ziyan ka hai shumar
Laien gaiy aab kahan sai hum koi misal shehar main
Halat_e guftagu nahi Ishrat_e_Arzoo nahi
Kitni udaas aai hai sham_e_wisal Shehar main
khak nasheen teray tamam khan nasheenho gaiy
Char taraf udd rahi hai gard_e_malal shehar main

Usm@n
05-16-2008, 12:32 PM
yeh kub kaha thaa nazaroon se khauf ata hai
mujhe toh chand sitaroon se khauf ata hai
mein dunshmanoon ke kisi waar se nahi darta
mujhe upne hi yaroon se khauf ata hai.......

Usm@n
05-16-2008, 12:33 PM
zamane se nahi hum tanhaie se dartey hain
piyaar se nahi hum ruswaiee se darte hain
milne ki umung bohat hoti hai dil mian
leikin milne ke baad teri judaie se darte hain

Usm@n
05-16-2008, 12:33 PM
porane rabton ko phir nai waday ki khwahish hai
zara ik bar to kehna muhabbat mer nahi sakti
gaiy lamhat fursat k kahan se dhond k laon
wo peron hathon pe likhna muhabbat mer nahi sakti

Usm@n
05-16-2008, 12:33 PM
Himmat_e_ilteja nahin baqi
Zabt ka hosla nahin baqi

Ik teri deed chin gai mujh sai
Warna dunya main kya nahin baqi

Apni mashq_e_sitam sai hath na khench
Main nahin ya wafa nahin baqi

Teri chashm_e_almnawaz ki khair
Dil main koi gila nahin baqi

Ho chuka khatam ehad Hijo_o_visal
Zindagi nmain maza nahin baqi

Usm@n
05-16-2008, 12:34 PM
perakhna mat perakhnay se koi apna nahi rehta
kisi bhi aainay me der tak chehra nahi rehta
baray logon se milnay me hamesha faslay rekhna
jahan derya samandar se mila derya nahi rehta

Usm@n
05-16-2008, 12:34 PM
tum ne to sirf khawab dekhain hain
hum ne in k azab dekhain hain

tum ne to sirf khawab dekhain hain
hum ne in k azab dekhain hain

kaisa lagay is bar ager mausam e gul main
titli ka badan orh k jugno nikal aaiy

Usm@n
05-16-2008, 12:34 PM
Khushbu bhi us ki tarz_e_pazerai par gai
Dheeray sai meray hath ko chu kar guzar gai

Aandhi ki zad main aaiy huaiy phool ki tarha
Main tukday tukday ho kr fiza main bikhar gai

Shakhon nai phool pehnay thaiy kuch dair qabl hi
kya ho gaya' Qaba_e_Shajar kyon uttar gai

Un ungliyon ka lams tha aur meri zulf thi
gaisu bikhar rahay thaiy to kismat sanwar gai

Utray na meray ghar main wo mehtab rang log
Meri Dua_e_neem shab bay asar gai!

Usm@n
05-16-2008, 12:35 PM
Kaash kai aasaan hota karna kehnai sai
Jaisai kai ab hai marna zinda rehnai sai

Na tou tum thai sang dil na hum tai la parwah
Kya rehgaya tha karna baqi, na nakam rehnai sai

Kuch kehnai ka gam ziada hai na karnai sai
Kuch karnai ka gam ziada hai kuch na kehnai sai

Jab kuch bhi nahi haat mai insaan kai tou phir
Kuch karna behtar raha kya kuch kehnai sai

Go kai samajh ab bhi nahi aaya yeh falsafa-e-zindagi
Par kya karsaktai hai ab bhi siwae kuch kehnai sai

Jitna hosaka kaha aur kiya jo mumkin tha humsai
Phir bhi juda hogai ik pal mai unkai itnai kurb mai rehnai sai

Jo hogaya uski ik yaad hai shayad isliyai ab bhi baki
Yeh woh thaa jo na kaha humnai pehlai yeh karnai sai

Khamoshi ik bhali cheez hai laikin
Lut jatai hain jahan na kuch kehnai sai

Usm@n
05-16-2008, 12:35 PM
kuch aise log jo zehen se bhulaey nhi jate
kuch aise lamhe jo dil se mitaye nhi jate

dard ki chadrein meri ghazalon ko dhaanp leti hain
mujh se sheiron mey naye raang dikhaye nhi jate

bebasi barh ke meri ankhon mey uter ati hai
meri hansi mey mere aansoo chupaye nhi jate

teri tehriron se ati hai tere hathon ki mehak
bewafa mujh se tere khat jalaye nhi jate

wafa ki rahon mey bhujne ke baad ye jana hai
sar e hawa deeye mohobat ke sajaye nhi jate

aye mere Khuda taqdir ko itna to bataya hota
dukhon ke pahaar insanon pe giraye nhi jate

Usm@n
05-16-2008, 12:36 PM
wo chirag e jaan kabhi jis ki lo na kisi hawa ne nagun hui
teri bewafai ke wasuse, usey chupke chupke sula gaye

wo jo geet tumne suna nhi, meri umer bhar ka riyaz tha
mere dard ki thi wo daastan, jise tum hansi mey ura gaye

Usm@n
05-16-2008, 12:36 PM
sunaa hai ik nagar hai aa.Nsuo.n kaa
usii kaa dusaraa naam aa.Nkh bhii hai

vahii terii mohabbat kii kahaanii
jo kuchh bhuulii hu_ii kuchh yaad bhii hai

tumhaaraa zikr aayaa ittefaaqan
na biga.Do baat par baat aa ga_ii hai

Usm@n
05-24-2008, 12:53 PM
Yeh Jo Deewany Say Do Chaar Nazar Aaty Hain
In Main Say Kuch Sahab-e-Asraar Nazar Aaty Hain
Kal Jinha'in Choo Nahin Sakti The Farishto'n Ke Nazar
Aaj Woh Ronaq-e-Bazaar Nazar Aaty Hain.

Usm@n
06-01-2008, 06:08 AM
Apni Nazroon se jo gir jaye woh chehra na bana ..
Mujh ko lamhe-a-fursat ka khilona na bana ...

Saink'roon rastey hain ajnabi ho janey ke ...
Tark karna hai tou talook ka bahana na bana ...

Jhoot ehsaas ki qandeel ko boojha deta hai ...
Muhjey insaan samja khud ko farishta na bana ...

Apni yaadein tu mere dil main basi rehne dey ...
Is mehaktey huay gulzaar ko sehra na bana ...

Mein tu pehle hi zakhum liye phirta hoon ...
Muhjey aab shehar dard-e-tamasha na bana ...

Thak gaeen hain mere ehsaas ki aakhain ..
Nqash-e-deewar per aab koi afsana na bana ...

Usm@n
06-01-2008, 06:08 AM
Ibtidaa kee intehaa mat poochhiay
Ik dafaa ko kehdiaa mat poochhiay

Makr kay aur jhooT kay iss daur maiN
Kaun hai saadiq bhalaa mat poochhiay

Ishq e Ahmad yaaN jissay haasil naheiN
Khuld maiN kab jaa'aygaa mat poochhiay

BuGhz kee banjar zameeN kaa paiR woh
Aag bin kaisay jalaa mat poochhiay

Fikr jab parwaaz thee kernay lagee
Phir qalam kya likh gayaa mat poochhiay

Dhoop kay jungle se :Qassim: kiss tarah
Chha'oN bin chaltaa gayaa mat poochhiay

Usm@n
06-01-2008, 06:08 AM
Baharon main ghataon main tujhey mehsoos kiya
Jeewan ki rahoon main tujhey mehsoos kiya

Jab bhi barasnay lagin yeh piyaasi ankhin
Main ne in nigahoon main tujhey mehsoos kiya

Meri sansoon main rahi teray khiyaal se hulchal
Dil ki panahoon main tujhey mehsoos kiya

Khushboo hi khushboo bikher gai her sou
Main ne in hawaoon main tumjhey mehsoos kiya

Din k ujaloon main tujhey mehsoos kiya
Raat ki banhoon main tujhey mehsoos

Usm@n
06-01-2008, 06:08 AM
najaanay kon si manzil ki simt hein rawan
ghari to kia ke yahan pal ka aetebar nahin
kisi ko toot ker chahein ya chah ker tootein
hamarey pass to itna bhi ikhteyaar nahin

Usm@n
06-01-2008, 06:09 AM
Iss dunya mein jo humko dil ke hein rog mile
Khushion ki talaash mein jo humko hein sog mile

Matlabi zamane ki matlabi galion mein wakas
Doston ke roop mein, sab dushman log mile

Usm@n
06-01-2008, 06:09 AM
Pyar wo majh se kar na saki
nafrat main us se kar na saka
Zindagi mere ho na saki
mout ko main rok na saka
Wo kise or ki ho gaye
main kise or ka ho na saka
Wo mujhe bhool gaye
main use bhoola na saka
Wo has kar chale gaye
main ji bhar kar ro bhi na saka

Usm@n
06-01-2008, 06:09 AM
Tum kaho to pooch loon tum se
hai sawal aik poochnay jesa
dost mil jain ge kai likin
na milay ga koi meray jesa
tera chehra hai aainay jesa
tum achanak milay thay jab pehlay
pal nahin hai woh bhoolnay jesa
tera chehra hai aainay jesa

Usm@n
06-01-2008, 06:09 AM
Roothay huay pal ko kesay manain ge
roootay huay kesay ham muskurain ge
meray sitam jab tumhain yaad aain ge
dil ke teray tukrey ker jain ge
nafrat ki aag mein tum ko jala ke
kia mila hai mujhay tum ko bhula ke
yeh soochta hoon sab kuch luta ke

Usm@n
06-01-2008, 06:09 AM
Aaj Rootha huwa ik dost bohot yaad aaya
Acha guzra huwa kuch waqt bohot yaad aaya..
Meri aankho k her ik ashk pe ronay wala
Aaj jab aankh yeh roee tu bohot yaad aaya..
Jo mere dard ko seene main chupa laita tha
aj jab dard huwa mujh ko bohot yaad aaya..
Jo meri aankh main kajal ki tara rehta tha
aaj kajal jo lagaya tu bohot yaad aaya...
Jo mere dil k tha qareeb faqat us ko hi
aaj jab dil nay bulaya tu bohot yaad aaya...
Mere jevan ki her khushi main wohi tha...........
aaj jab yaad woh aaya tu bohot yaad aaya

Usm@n
06-01-2008, 06:10 AM
Wo jo chale gaye unki yadon ko
Seene se laga ke rakhte hein

Unhe jannat mein jagah dena khuda
Aur mang dua kya sakte hein

Dunya mein jitna ho jamah karlein
Soch soch na hum kabhi thakte hein

Masjid ko chalein, Ye Taufeeq Nahi
Galion mein chahe bhatakte hein

Usm@n
06-01-2008, 06:10 AM
Humein yadon mein aake,wo satate hein kyun
Hum bhoolna hein chahte, to yaad aate hein kyun
Unke eik ishare par, hum jahan ****h dete
To phir humse wo nazrein chupate hein kyun
Agar aisa hi tha hona, to koi ye to bataye
Aise logon se dil hum, lagate hein kyun

Usm@n
06-01-2008, 06:10 AM
Apni Zaat ke mehwar mein tujhey Zum kar loon
Ibaadaton mein tera Ishq bhi raqam kar loon
Terey Ashkon se ho agar "Wazoo" na-mumkin
Mein terey Jissm Ki Matti se "Tayamum" kar loon

Usm@n
06-01-2008, 06:10 AM
Ab hogaya jo hona tha
Bas Itna hi mujhko rona tha

Jis dil mein rahe ho tum salon se
Wo tumhare liye to ik khilona tha

Tumhe paa ke khushi se jo khil si gayeen
Un aankhon ko to yunhi bhigona tha

Wo pyar to nikla pathar jaisa
Jo door se lagta sona tha

Aisa pyar hume mila hi kyu wakas
Jisse ab humne aake khona tha

Usm@n
06-01-2008, 06:11 AM
Unka humse milna pal do pal ka hasna
unka humse juda hona aur umar bhar ka rona,
unka hame gale lagana aur phir kehna ho jaye ab juda,
unka hasna unki battain kyon is jahhan se juda??
unka hame betabi se milna aur phir muskrana,
unka har baar me gazab karna aur hamara bas unpe marr jana??
unka humse battaain karna aur apna hak jatana,
unka hame khilona samajhkar har bar tor jana??
apne dil ko yuuN samjhaana tha, hum intezaar karte rahe
waada kiyaa tha nibhaana tha, hum intezaar karte rahe
apni khalish mitaane ke liye jazbaat hamaare tarpaa gaye
unki khaatir muskuraana tha, hum intezaar karte rahe
unhone kiya haal-e-dil beyaan, hazaar zakhm mehak uthe
unko haal-e-dil sunaana tha, hum intezaar karte rahe
Unka humse milna pal do pal ka hasna
unka humse juda hona aur umar bhar ka rona

Usm@n
06-01-2008, 06:11 AM
Jaha phulon ko khilnaa thaa vahi khilte to acha thaa
Tumhi ko ham ne chaahaa thaa tumhi milte to achchhaa thaa

Koi aakar hame puche tumhe kaise bhulaayaa hai
tumhaare khat ko ashko se shab-e-gham mein jalaayaa hai
hazaaro zakhm aise hai agar silte to acha thaa

Tumhe jitnaa bhulaayaa hai tumhari yaad aai hai
bahaar-e-nau jo aai hai vo hi Khushbu laai hai
Tumhare lab meri khaatir agar hilte to achaa thaa

Milaa hai lutf bhi ham ko haseen yaado ki jhil-mil mein
katati hai zindagi tum bin magar itani si hai dil men
agar tum aate to achaa thaa agar milate to achchhaa thaa...

Jaha phulon ko khilnaa thaa vahi khilte to acha thaa
Tumhi ko ham ne chaahaa thaa tumhi milte to achchhaa thaa...

Usm@n
06-01-2008, 06:12 AM
sar meiN sauda bHee naheeN dil meiN tamanna bHee naheeN
laikan Is tark-e-mohabbat ka bHarosa bHee naheeN

dil kee gintee na yaganoN meiN na beganoN meiN
laikan is jalwa-gah-e-naaz se uTHta bHee naheeN

shikwa-e-jor kare kya ko'ee os shookh se jo
saaf qa'al bHee naheeN saaf mukarta bHee naheeN

meharbanee ko mohabat naheeN kahte ae doast
Aah ab mujH se teree ranjish-e-bejaa bHee naheiN

baat yeh he keh sakoon-e-dil-waHshee ka maqaam
kunj-e-zindaaN bHee naheeN wus'at-e-saHra bHee naheeN

muddateiN hu'en ke teree yaad bHee aa'ee na hameiN
aur tumheiN bHool gaye hoN aisa bHee naheeN

Usm@n
06-01-2008, 06:12 AM
Hum tere dil me rehen ghe ek yad ban kar,
Tere lab pe silen ghe muskaan ban kar,
Kabhi hame apne se joda na samajhna,
Hum tere sath rehen ghe aasmaan ban kar....



MERE KABR PAR PHOOL CHARHA RAHA HAI KOI
MERE KABR PE ANSOO BAHA RAHA HAI KOI
AE MERE KHUDA THODI SI ZINDAGI AUR DE DE
MERE KABR SE UDAS JA RAHA HAI KOI

Usm@n
06-01-2008, 06:12 AM
Meri ankhoo se ansoo tapke is qadar,
Ke abh yeh bhi puche kya hein tera ghum?????


Kab ki pathar ho chuki hein ye meri ankhein magar
chookey jab dekha to haat gheeley ho gaye

Kabhi Khud Pe Kabhi Halat Pe Rona Aaya
Batt Nikli to Har Batt Pe Rona Aaya
Hum To Samjhey The Bhool Gaye Hai Unko
Kya Hua Aaj Yeh Kis Batt Pe Rona Aaya...

Usm@n
06-01-2008, 06:12 AM
na muhabat na doosti kay liya
waqta rukta nai kissi kaay liya

dil ko apnay saza na daay yun he
is zamanay ke bay rukhee kaay liya

kaal jawani ka hashar kiya ho ga
soch laay aj doo khari kaay liya

haar koi pyar dhoondhta hai yahan
apnee tanha c zindagee kaay liya

waqat kaay sath sath chalta rahay
yahee bahtar hai admi kaay liya

Usm@n
06-01-2008, 06:13 AM
apni aadat badal nehin sakta
Ghum ka suraj hoon, dhal nehin sakta

Ishq ke aakhari hado'n mein hoon
raakh hoon, Aur jal nahin saktaa

omer jitni hai mukhtasar Farhat
omer bhar dil sambhal nahi sakta

Usm@n
06-01-2008, 06:13 AM
Apni Nazroon se jo gir jaye woh chehra na bana ..
Mujh ko lamhe-a-fursat ka khilona na bana ...

Saink'roon rastey hain ajnabi ho janey ke ...
Tark karna hai tou talook ka bahana na bana ...

Jhoot ehsaas ki qandeel ko boojha deta hai ...
Muhjey insaan samja khud ko farishta na bana ...

Apni yaadein tu mere dil main basi rehne dey ...
Is mehaktey huay gulzaar ko sehra na bana ...

Mein tu pehle hi zakhum liye phirta hoon ...
Muhjey aab shehar dard-e-tamasha na bana ...

Thak gaeen hain mere ehsaas ki aakhain ..
Nqash-e-deewar per aab koi afsana na bana ...

Usm@n
06-01-2008, 06:13 AM
Main wo sab bhool giya
Wo taira kanptay hathoon se maira haath thamna
Phir holay se dabana
Wo taira Aankhoon se jhank kar nazroon ko girana ,
dheeray se muskrana
Wo tairay hontoon ka dheeray se larzna
Aik ajab lehar ka badan main chalna
Wo tumhein choonay ka ehsas,
jesay doolti ho koi nawon
Ye sab kuch bhool bhi jawoon magar
Nahin bholay gee kabhi bhi mujh ko
Wo Aaghazy mohabat ki pehli dharkan.

Usm@n
06-01-2008, 06:13 AM
ai mohabbat teray anjaam pe ronaa aayaa
jaane kyon aaj tere naam pe ronaa aayaa

youn to har shaam umeedon main guzar jaatii thii
aaj kuchh baat hai jo shaam pe ronaa aayaa

kabhi taqdir kaa maatam kabhii duniyaaa kaa gilaa
manzil-e-ishq main har gaam pe ronaa aayaa

jab howa zikr zamaane main mohabbat kaa 'Sajjad
mujh ko apane dil-e-naakaam pe ronaa aayaa

Usm@n
06-01-2008, 06:14 AM
ay wada shikan khawab dikhana he nahin tha....
kiyon pyar kiya tha jo nibhana he nahin tha...

qayamat ka din a gaya rafta rafta
mulaqat ka waqat badaltay badaltay

is tarha maray hath say daman na chooraoo
dil toor kaay jana tha tu anna he nahin tha......

Allah na millnay kay bahanay thay hazaroon
millnay kaay liya koi bahana he nahin tha

dakhoo mara sir phoor kaay marnay ke adda bhee
warna mughay dewana banana he nahin tha...

roonay kaay liya sirf muhabbat he nahin thee....
gham or bhee thay dil ka fasana he nai tha.....

qasar koi aya tha maree baqiy-a-dari ko
dakha tu gariban ka thikana he nai tha.......

Usm@n
06-01-2008, 06:14 AM
KASH AGAR ME KUCH HU SAKTI.
TU ME TUMARI ANKON KA ANSU HUTI
JANAM LETI TERI ANKO ME
ZINDAGI GUZARTI TERE GALO PE
AUR AA KE MAR JATI TERE HONTO PE.

Usm@n
06-01-2008, 06:14 AM
YOU TO KOI TANHA NEI HUTA
CHAH KAR KISI SE JUDA NEI HUTA
MUHABBAT KO MAJBORYA HE LE DUBTI HAI
WARNA KOI KHUSHI SE BEWAFFA NEI HUTA

Usm@n
06-01-2008, 06:14 AM
Shaam-e-Furqat Dhalay Hum Nahi Chahtay
Ghum Say Fursat Milay Hum Nahi Chahtay

Phir Naya Waar Sehnay Ko Tayyaar Hain
Tu Pareshaa'n Rahay, Hum Nahi Chahtay

Aaj Ansoo Bahaanay say Mat Rokiye
Aaj Baarish Thamay, Hum Nahi Chahtay

Hum Teray Baad Ujrray Howay Theek Hain
Ab Kahin Dil Lagay, Hum Nahi Chahtay

Teray Paikar Ko Hum Dekhtay Hi Rahain
Tu Nazar Say Hatay, Hum Nahi Chahtay

Kis Qadar Dil Nasheen Hai Yeh Mojon Ka Shoor
Ghum Ka Darya Rukay Hum Nahi Chahtay

Iss Qadar Pyaar se Tu Pukara na Kar
Aag Dil Ko Lagay Hum Nahi Chahtay

Usm@n
06-01-2008, 06:14 AM
eh faaslay hain jo wo to kabhi kam nahi hongay
hum tum hongay,magar raabtay nahi hongay

ankhain band hongi or neend mai ,
hum tum hongay,magar khwaab nahi hongay

zindagi k shoorzada,gehray samander mai
hum tum hongay,magar kinaray nahi hongay

piyar ki adalat k yaadon k katehroon mai
hum tum hongay,magar dalael nahi hongay

halchal machanay k liay saakit pani mai
hum tum hongay,magar pathar nahi hongay

duur hokar bhi to paas "KATIL" hum tum hongay
hum tum hongay,magar khush nahi hongay

Usm@n
06-01-2008, 06:15 AM
Rukta bhi nahi, theek se chalta bhi nahi
Yeh dil hai ke tere baad sambhalta hi nahi
Is umer ke sehra se teri yaad ka baadal
Talta bhi nahi aur barasta bhi nahi

Usm@n
06-01-2008, 06:15 AM
Janey Kis Dil se Muje Us Ney Bhullaya Hoga
Kya Mera Piyar Ussay Yaad Na Aaya Hoga

Zindgi Bhar Ke Liye Baandh Ke Paiman-e-Wafa
Rah Mein Chhor Gaya Mujko Mera Jaan-e-Wafa
Kitnay Oonchay Nazar Aatay Thay Irraday Uske
Mehaz Rait Ki Deewaar Thay Vaaday Uske
Apnay Vaadon Ka Mehal Usne Jo Dhayaa Hoga
Kya Mera Piyar Ussay Yaad Na Aaya Hoga

Meray Ghar Mein Na Baraat Aai Na Mehndi Rachi
Voh Koi Or Hi Aangan Tha Jahan Dhoom Machi
Jab Vo Mansoob Hova Hoga Kissi Or Ke Saath
Dekhti Hogi Wafaa Usko Baray Gour Ke Saath
Sar Ko Jab Usne Nadaamat Se Jhukaaya Hoga
Kya Mera Piyar Ussay Yaad Na Aaya Hoga

Usm@n
06-01-2008, 06:15 AM
Aansu ko ankhon ki
Dehliz pe laya na karo.
Apne dil ki halat
Kisiko bataya na karo.
Log mutthi bhar namak liye
Ghoom rahe hain
Apne zakhm kisiko
Dikhaya na karo.

Usm@n
06-01-2008, 06:16 AM
Ajj Bhi Taapti Dhoop Ka Sahra
Taray Naraam Laboon Ki Shabnaam
Teri Bikhri Bikhri Zulfoon Kay
Saaye Sey.......Mahroom Raha
Ajj Bhi Pather Hajar Ka Lahma
Sadiyoon Sey Baye Khu-aab Rutoon Ki
Aankoon Ka.......Mak-soom Raha
Ajj Bhi Apnay Wasal Ka Tara
Rakh Uraati.....Shookh-e-Shafaak Ki
Manzal Sey.......Madoom Raha
Ajj Bhi Shaiher Main Pagal Dil Ko
Teri Deedh Ki Aas Rahi
Mudaat Ki Gum Sum Tanhai
Ajj Bhi Meray Pass Rahi
Ajj Bhi Shaam Udass Rahi.

Usm@n
06-01-2008, 06:16 AM
Qaraar cheen liya beqarar chordh gaye
bahar le gaye yaad`e bahar chordh gaye

hamari cashm`e hazzin ka khiyal kuch na kiya
wo umer bhar k liye askhbaaar chordh gaye

jise samjhte the apna wo itni muddet se
ossi ko aaj wo begana waar chordh gaye

ragon mey ik tapash derd kar jaag uthi
dilon me ik khalish intezaar chordh gaye

hawaye shaam se aane lagi sadaye fughan
fizaye shoq ko matem gusaar chordh gaye

nishaat`e mehfil lelo nahar loot liya
naseeb mey ghum lelo nahar chordh gaye

ghetain chaie hain sawen hey meena baresta hey
wo kis samey mey hume askhbaar chordh gaye

chorda ke damen umeed dil k hathon sey
soda yaas mey matem gusaar chordh gaye

na aya reham mere ansowwon ki minnet pur
kia qabool na phoolon ka haar chordh gaye

tares rahe hain musarret ko ishq ke armaan
hume sitem zada o sogwaar chordh gaye

kisse khaber hey keh aub phir kabhi milain na milain
nazer mey ik abdi intezaar chordh gaye

hamari yaad bhoola ker wo chal diye Akhter
or apni yaad faqet yadgaar chordh gaye.

Usm@n
06-01-2008, 06:16 AM
Bhool jaaein tu aaj behtar hai
Silsile qurrb ke judaai ke
Bujh chukein khawaahishon ki qandilein
Loott chucke shehar aashnaai ke
Raaigaan saa-aton se kya Lena
Zakham hon phool hon sitaare hon
Jiss ne jaise bhi din guzzare hoon
Zindzgi se shikaaetein kaisi
Ab nahi hain agar gille thay kabhi
Bhool jaaein ke Jo houa so houa
Bhool jaaein ke hum mille thay kabhi
Aksar auqaat chahne per bhi
Faaslon mein kami nahi hoti
Ba-az auqaat jaane waalon ki
Waapsi se khushi nahi

Usm@n
06-01-2008, 06:16 AM
manzir samait laye hain jo tere gaon ke
neendain chura rahe hain wo jhonke hawaon ke

teri gasli se chaand ziyada haseen nahi
kehte sune gaye hain musafir khalaon ke

pul bhar ko teri yaad mey dharka tha dil mera
ab door tak bhanwer se parey hain sadaon ke

jub tak na koie aas thi, yeh piyas bhi na thi
bechain kar gaye humain saaye ghtaon ke

humne lia hey jub bhi kissi rahzen ka naam
chehre uter uter gaye kuch rehnoomaon ke

ugle ga aftaab kuch aise bala ki dhoop
reh jain ge zameen pe kuch daagh chaon ke

zinda thhe jin ki sard hawaon se hum Qateel
aub ziar`e aap hain wo jazeere wafaon ke

Usm@n
06-03-2008, 01:17 AM
Kuch to maza beeghi barsaat ka hai
Aur kuch to nasha aap ki baat ka hai
Humein yunhi sharabi na kahiye jana
Yeh dil pe asar to mulaqat ka hai
Hasidon ko dikha dikha ke peo
Un ke qareeb la la ke peeo
Zindagi ka saroor tum pao ge
Pee ke saray ghum bhool jao ge
Sari jawani sharab ho jayay
Yeh zindagani sharab ho jayay
Sari dunya ho mekada ya Rab
Sara paani sharab ho jayay

Usm@n
06-03-2008, 01:17 AM
aa.Nkh jab ba.nd kiyaa karate hai.n
saamane aap huaa karate hai.n


aap jaisaa hii mujhe lagataa hai
Khvaab me.n jis se milaa karate hai.n


tuu agar chho.D ke jaataa hai to kyaa
haadase roz huaa karate hai.n


naam un kaa na ko_ii un kaa pataa
log jo dil me.n rahaa karate hai.n


hamane 'rahi' kaa chalan sikhaa hai
ham akele hii chalaa karate hai.n

Usm@n
06-03-2008, 01:17 AM
Du ashek jaane kis liye palkon pe aaker tik gaye
ALtaaf ki barish teri, akraaam ka dariya tera

humpur yeh sakhti ki nazer, hum hain fakeer `e rahguzer
rasta kabhi roka tera, damen kabhi thama tera

bedard sooneni ho tu chal, kehta hey kia achi ghazel
Ashiq tera, ruswa tera, shair tera, Insha tera

Usm@n
06-03-2008, 01:18 AM
Serr-e-rah kuch b kaha nahi kabi us k ghar main gaya nahi..

Main janam janam se usi ka hoon usse aj tak pata nahi..

Yeh khuda ki dain b ageeb hai k usi ka naam naseeb hai..

Jise tu ne chaha mil gaya jise main ne chaha mila nahi..

Usm@n
06-03-2008, 01:18 AM
Zindagi ke haseen safar mein ,khud ko tanha paya hai,

khud ko bhula diya hai magar, unko bhula na paaya hai,

pasake na jise haquiqat mein ,use khwabon mein paaya hai,

phir kaisey mita dain unki chahat ko, jisne hume jina sikhaya

Usm@n
06-03-2008, 01:18 AM
zindagi ke haseen safar mein, ek budho paya hai
kharcha kara dia hay magar, unhon nay pecha na churaya hai

pa-sake na tum jise haquiqat mein, khawabon meni paaya hai
phir kaisey jaan churain ab, Kangaal to ham nay hi banaya hei.

Usm@n
06-03-2008, 01:18 AM
Serr-e-rah kuch b kaha nahi kabi us k ghar tu gaya nahi..
Tu janam janam se uski bani hay, aur usay pata nahin???

Yeah tumhari harkatin bhi ajeeb hain, naseeb say gila nahi
Agar chaha tha ussay kabhi, Moan apna kioon khola nahi

Usm@n
06-03-2008, 01:19 AM
Yaadon Ko Apne Dil Se Mita Kyu Nahi Dete,

Jo Jaa Chuka Hai Us Ko Bhula Kyu Nahi Dete.

Mujrim Hoon Main Tera Mujhe Itna To Bata,

Khamosh Khade Hu Saza Kyon Nahi Dete

Usm@n
06-03-2008, 01:19 AM
Amman ko apne bata kioon nahin dete
Jo chukar chalaya hay muka kiaon nahin dete

Munda hay mila aik he itna shareef tu
Apna bana kioon nahin lete

Usm@n
06-03-2008, 01:19 AM
Gham-e-zindagi teri rah mein, shab-e-aarzoo teri chah mein..

Jo ujar gaya woh basa nahi, jo bichar gaya woh mila nahi..

Jo dil-o-nazar ka saroor tha, mere paas reh k b door tha..

Wohi ik gulab umeed ka, meri shaakh-e-jaan pe khila nahi..

Usm@n
06-03-2008, 01:19 AM
Maine taqdir ko bante
bigadte hue dekha hain.

Maine raat ko tanhai meh,
rote hue dkha hain.

Main aap biti kehta hoon,
dusro ki nahin.

Pyar mein bohaut kam logon ko
meine haste hue dekha hain.

NonStopLeo
06-05-2008, 12:55 AM
Zabardast Collection Jee

Usm@n
06-05-2008, 01:49 AM
thanks bhai

Usm@n
06-09-2008, 12:38 PM
Mujhay aur kahin le chal sanwal

jahan raat kabhi b soi na ho
jahan subah kissi pe roi na ho
jahan hijer ne wehshat boi na ho
jahan koi kissi ki khoi na ho

Mujhay aur kahin le chal sanwal

jahan shaher hoon sare wairane
jahan loog sabhi hoon baigane
jahan sab k sab hoon dewane
jahan koi humain na pehchane

Mujhay aur kahin le chal sanwal

jahan nafrat dil mein bus na sake
jahan koi kissi ko dus na sake
jahan koi kissi pe huss na sake
jahan koi b gunjal kass na sake !

Mujhay aur kahin le chal sanwal

jahan dard kissi ko raas na ho
jahan koi b uddas na ho
jahan zulmat ki boo bass na ho
jahan too b ziada pass na ho

Mujhay aur kahin le chal sanwal

Usm@n
06-09-2008, 12:38 PM
Yeh phool mujhe koi virasat mein miley hain
Tum nay mera kantoon bhara bistar nahin dekha
shab bhar tumhare yaad mein jalti rahi hoon main
tum nay meray visal ka manzar nahin daikha
main nay tumharay naam ko chooma hay baar-ha
tum nay meray mizaaaj ka gohar nahin daikha
main bar-o-Gham-e-dil tumhain dikhati rahi phir bhi
tum nay meray khuloos ka mahver nahin daikha
barsa hay teray naam ko lainay kay jurm per
tum nay meray maathay pay woh pathar nahin daikha
baras-tay rahay ho tum meri aanhoon say musalsal
tum nay meray naseeb ka zaiver nahin daikha
soo baar TooT-ta hay meray dil ka nageena
tum nay meray ander bhara mahsher nahin daikha

Usm@n
06-09-2008, 12:38 PM
Kareeb Mout Khari Hai Zara Theher Jao..
QaZa Se Aankh Lari Hai Zara Theher Jao..

Thaki Thaki si FiZaYen BuJhe buJhe Tare..
Bari Udaas Ghari Hai Zara Theher Jao..

Naheen Umeed Ke Ham Aaj Ki Seher DeKhen..
Yeh Raat Ham Per Kari Hai Zara Theher Jao..

Abhi Na Jao Ke Taron Ka Dil Dharakta Hai...
Tamam Raat Pari Hai Zara Theher Jao..

Phir Iss ke Baad Kabhi Hum Tum Ko Na Roken Ge...
Labon Pe Saans Ari Hai Zara Theher Jao..

Dam-e-Firaq Main Ji Bhar Ke Tum Ko Dekh To ***...
Yeh Faisle Ki Ghari Hai Zara Thehr Jao...

Usm@n
06-09-2008, 12:39 PM
sar meiN saudaa bhi nahiN dil meiN tamanaa bhi nahiN
lekin iss tarq-e-muhabbat ka bharosaa bhi nahiN


yooN to hangaame uthathe nahiN deewaana-e-ishq
magar ei dost kuchch aisoN ka thikaanaa bhi nahiN


muddateN guzriN teri yaad bhi aayee na hameN
aur ham bhool gaye hoN tujhe, aisaa bhi nahiN

muNh se ham apne buraa to nahiN kehthe, ke 'MARIAM'
haiN tera dost magar aadmi achchaa bhi nahiN

Usm@n
06-09-2008, 12:39 PM
hijer ki bad duaa na ho jana
daikh laina saza na ho jana!

more to bay shumar aain gay
thak na jana,juda na ho jana

ishiq ki intiha nahin hoti
ishiq ki intiha na ho jana

zindgi dard say ibaret hai
zindgi say khfa na ho jana

ik tumhi ko khuda say manga hai
tum kahin bay wafa na ho jana!!

Usm@n
06-09-2008, 12:39 PM
mein aur meri tunhai aisi na thee jaisi ab hai
khushiyan her pal bhikherne se laggi theen

meri aankhain aisi na theen jaisi ab hain
tumhain dekh k jeene ka ehsaas hota tha

meri sansain aisi na theen jaisi ab hain
her pal mere khayalon pe tha pehra tera

mere derechay aise na thay jaise ab hain
tere aanay se her so ronkain hoti theen

pehle veranay aise na thay jaise ab hain
mulaqatien tujhse her pal hoti he rehti theen

mujh pe pehre aise na thay jaise ab hain
kitna toot k girtay thay tere daman mein

meri rafaqatien aisi na theen jaisi ab hain

Usm@n
06-09-2008, 12:40 PM
RAIT PE LIKH KER NAAM MERA

rait pe likh ker naam mera mitaya na kero
ankhain sach bolti hein pyar chupaya na kero

loog her baat ka afsana bana lete hein
sab ko halaat ki rawadad sunaya na kero

yeh zaroori nahin her shakas maseeha he ho
pyar k zakham amant hein dekhaya na kero

shaher-a-ehsaas mein patheraoo buhat hai Sanam
dil k sheshay ko jharokoon mein sajjaya na kero

Usm@n
06-09-2008, 12:40 PM
Kisi Se Bat karna Bolna Acha nahin lagta...
Tujeh Dekha jab Se Koi Dosra Acha nahin lagta....
teri Ankhon main Mainay jab se Appna Aks Dekha HAi...
meray Cheray Pay Koi Aina acha nAhin lagta..
teray baray main Din Bhar Sochta reehta Hon..
lekin teray baray main kisi Se PuchnA Acha nAhin lagta...
yahan Ehel-e-Muhabat Umer Bhar Darbar reheti hai...
ye Dariya hAi Ise Kacha Ghara acha nahin lagta..
main muhabat ki us manzil pay a pohoncha hon ....
teri janib kisi ka dekhna acha nahin lagta...

Usm@n
06-09-2008, 12:40 PM
Shaam Furqat Dhalay Hum Nahi Chahtay
Ghum Say Fursat Milay Hum Nahi Chahtay

Phir Naya Waar Sehnay Ko Tayar Hain
Tu Parishan Rahay Hum Nahi Chahtay

Aaj Ansoo Bahanay Say Maat Rookay
Aaj Barish Thamay Hum Nahi Chahtay

Hum Teray Baad Ujray Hoay Theek Hain
Ab Kahin Dil Lagay Hum Nahi Chahtay

Teray Paikar Ko Hum Dekhtay Hi Rahain
Tu Nazar Say Hatay Hum Nahi Chahtay

Kis Qadar Dil Nasheen Hai Yeh Mojon Ka Shoor
Ghum Ka Darya Rukay Hum Nahi Chahtay

Iss Qadar Pyar Say Tu Pukara Na Kar
Aag Dil Ko Lagay Hum Nahi Chahtay

Usm@n
06-09-2008, 12:40 PM
kathann hay rahguzar thorri duur saath chalo
boht karra hay safar thorii duur saath chalo

tamaam umr kahan koi saath deta hay
yeh janta hoon magar thorii duur saath chalo

nashay main chuur hoon main bhee tumhain bhee hosh nahin
barra maza ho agar thorri duur saath chalo

yeh aik shab kee mulaqat bhee ghaneemat hay
kissay hey kal kee khabar thori duur saath chalo

abhee to jaag rahay hain chiragh rahon kay
abhee hay duur sahr thorii duur sath chalo

tawaf-e-manzil-e-janaan hamain bhee karna hay
faraz tum bhee thori duur agar saath chalo

Usm@n
06-09-2008, 12:40 PM
kabhi to khul ke baras abr-e-maharaban ki tarah...
meraa wajood hai jalte hoye makaan ki tarah...
main ik Khuwaab sahi aap ki amaanat hoon...
mujhe sambhaal ke rakhiyega jism-o-jaan ki tarah

Usm@n
06-09-2008, 12:41 PM
Mujh se parda hai tou phir khuwaab mein aate kyun ho
Pyar ki shama mere dil mein jalaate kyun ho

Alwida kehne ko aaye ho tou milna kaisa
Hai bicherna tou gale mujh ko lagaate kyun ho

Usm@n
06-09-2008, 12:41 PM
KiS TarHa JeeTeY HaiN LoG BaTa Do YaRoo---
Hum Ko Bhi JeeNeY Ka AndaZ Sikha Do Yaroo---
PiYaR LeTe Hain Kahan Se Yeh ZamaNeY Wale---
Un Gali KoocHoN Ka RasTa To Dikha Do YarOo---
Dard Ke Naam Se WakiF Na Ho JahaN Koi---
Aisi MehfiL Main Hamein BHi Bitha Do YaRoOoO---

Usm@n
06-21-2008, 07:35 AM
lazim hey ke hum bhi daikhein ge
wo din ke jis ka wada hey
jo loh`e azel mey likha hey
jub zulm o situm ke koh e giran
roiee ki terha orh jain ge
hum mehkomon ke paon tale
jub dharti dhur dhur dherke gi
jum ehle hukm ke sir uper
jub bijli kur kur karke gi
jub arz e khuda ke kaaba se
sub bott uthway jain ge
hum ehle safa mardoode harum
musned pe bithaye jain ge
sub taaj uchale jain ge
sub takhet giraye jain ge
bus naam rahe ga Allah ka
jo ghaib bhi hey hazir bhi
jo manzer bhi hey nazir bhi
or raaj kare gi khalq e Khuda
jo mey bhi hoon or tum bhi ho.

Usm@n
06-21-2008, 07:35 AM
Ankhou'n say rooshni kay sabhi kha'b lay gia
Ik shaksh zindagi ke tabou-taab lay gia
Ghar kay deay tou logoun may taqseem kar deay
Angan may rooshni thee woh mahtaab lay gia
Sahil pay hum ko mojoun nay la kar patakh dia
woh kaisay log thay jinhay silaab lay gia
Ruswaion nay bhar kay galay say laga lia
Uss ke gali may jab dil-e-baytab lay gia

Usm@n
06-21-2008, 07:35 AM
kuch is tarah likhoon nazm
bayaa'n mein ho tera tazkara
ho zikr terey shabab ka
us chaudwee'n ke chaand ka
jisey palkoun pe tum ne saja lya
rukh-e-yaar par woh jamal tha
ke jaise eid ka hilaal tha
aankhein theen woh mad bhari
ke jaise koi kanwal khila
haan sanwar gayee qismat meri
jo naqaab tum ne uttha lya
honton pe ye tabassum liye
baithi ho kyon dil thaam ke
kisey dekhti ho jhank kar
woh kaun hai mera humshakal
jisey dil mein tum ne basa lya
kahin mujh se na loug pooch lein
aankhon mein tujhe na dhoond lein
dar hai ke badan se merey
khushboo na teri soongh lein
kahin ho jain na rusvaaian
terey lams ka jo nishan tha
woh laboun se apney mita lya
ratoun ko jaag jaag kar
yaadoun mein apni jhank kar
likhi hai main ne ye nazm
jo parey yahan nazr-e-karam
ye arz hai tujh se sanam
Shahrukh se kyon ye be-rukhi?
tera dard main ne hansi khushi
hai ragoun mein apni racha lya

Usm@n
06-21-2008, 07:36 AM
safar tanha nahi kartey
suno aysa nahi kartey
jessey shaffaaf rakhna ho
ussey maila nahi kartey
teri aankheyn ejazat dain to
hum kiya kiya nahi kartey ?
bohat ujrey huway ghar per
bohat socha nahi kartey
safar jis ka muqqadar hoo
usey roka nahi kartey
jo milkar khud se kho jaey
usey ruswa nahi kartey
chalo tum raaz ho apna
tumheyn affshan nahi kartey
ye ounchey paer kesey hain
kahin saya nahi kartey
jo dhhun ho kar guzarney ki
to phir socha nahi katey
kabhi hansney se dartey hain
kabhi roya nahi kartey
teri ankon ko partey hain
tujhey daikha nahi kartey
sahar se pooch lo Mohsin
keh Hum soya nahi kartey

Usm@n
06-21-2008, 07:36 AM
Yaadon ko laga kar seene se taqdeer jagaya karti hoon
Main tere khayaalon se teri tafseer sunaya karti hoon
Jab raat suhani hoti hai jab yaad purani ati hai
Main chand sitaron ko dekh ke tafseer sunaya karti hoon
jab sara aalam sota hai ek dard sa dil main hota hai
Dukh dard bhare is aalam main main neer bahaya karti hoon
Kya tum se kahoon dunya waaloon hai dard bhari roudaad meri
tanhai main rou rou kar ghum ki tehreer mitaya karti hoon
Youn raahe muhabbat main tanha ai chor ke jane waale mujhe
KYA! tere khayaloon mai bhi kabhi main aaya jaya kartioon?????

Usm@n
06-21-2008, 07:36 AM
Kabhi yun bhi aa meri aankh may ke meri nazar ko khabar na ho
mujhe ek raat nawaz dey to is ke baad sehar na ho
woh bara raheem-o-kareem hai to mujhe yeh sift bhi ata karey
usey bhoolney ki dua karoon to meri dua may asar na ho

Usm@n
06-21-2008, 07:36 AM
waqt jo mere ikhtiyaar mai thaa
mai usi waqt ke hisaar mai thaa

Kheench laayaa usay bhi maqtal tak
wo jo ik lutf iqtadaar mai thaa

kal huaa qatl shahar jis ke sabab
husn ab bhi usi singaar mai thaa

laut aaoongaa surkh-ruu ho kar
sara lashkar is intezaar mai thaa

Usm@n
06-21-2008, 07:37 AM
Ibtada`e Ishqhey rota hey kia
Aagey aagey daikhiye hota hey kia

Qafle mey subho ke ik shor hey
yani ghafil hum chale sota hey kia

sabez hoti hee nah yeh sir zameen
tukhem khuwahish dil tu bota hey kia

yeh nishaan`e ishq hain jaate nahi
daagh chati ke abus dhota hey kia

Usm@n
06-21-2008, 07:37 AM
ham ke Thahare ajanabii itane madaaraaton ke baad
phir banenge aashnaa kitanii mulaaqaaton ke baad
kab nazar mein aayegii bedaaG sabze kii bahaar
Khuun ke dhabbe dhulenge kitanii barasaaton ke baad


dil to chaahaa par shikast-e-dil ne mohalat hii na dii
kuchh gile-shikave bhii kar lete munaajaaton ke baad


the bahut bedard lamhey Khatm-e-dard-e-ishq ke
thiin bahut bemahar subahen meharabaaN raaton ke baad


un se jo kahane gaye the "Faiz" jaaN sadaqaa kiye
ankahii hii rah ga_ii vo bat sab baaton ke baad

Usm@n
06-21-2008, 07:37 AM
Dyar-e-Ishq mein Apna Muqaam Paida Ker
Naya Zamana Naye Subh-o-Shaam Paida Ker
Khuda Agar Dil-e-Fitrat Shanas Dey Tujh ko
Sukuvat-e-Lala-o-Gull Mein Kalaam Paida Ker

Usm@n
06-21-2008, 07:37 AM
Hamare aagey jub kissi ne tera naam lia
dil situm zada ko humne thaam thaam lia

kharab rehte thhe masjid ke aagey
nigha`e mast ne saaqi se inteqam lia

wo kuj rawish na mila raaste mey mujh se kabhi
na seedhi terha se us ne mera salaam lia

maza dikha dain ge berehmi ka teri sayyad
ager izterab`e aseeri ne zair`e daam lia

merey saleeqe se meri nabhi mohabbet mey
tamaam umer mey nakamion se kaam lia

agerche gosha gazeen ho shairon mey Meer
peh mere shor ne rowye zameen tamam lia

Usm@n
06-22-2008, 12:40 PM
Yeh zindagi ki uljhane
Yeh ghum ki meherbaniyaan

Kaash mujhko maut aaye
Aur khatam hon kahaniyaan

Usm@n
06-22-2008, 12:40 PM
mere aangan main lagey phool gawahi dein gey
maine arsey se kissi phool ko dekha tak nahi
tujh ko socha hay to phir tujh ko hi socha hay faqat
tere siwa kissi aur ko socha bhee nahi

Usm@n
06-22-2008, 12:41 PM
YEA Zindagi ek haseen raat ka iqrar bhi hai
Zindagi aarzoo ki baat ka inkaar bhi hai
Zindagi falsafa bhi,fun bhi,funkaar bhi hai
Zindagi pyar kay jazbaat ka shahkar bhi hai
Zindagi husn hai,har husn ki tanveer alag
Zindagi jurm hai,har jurm ki tazeer alag
Zindagi naghma hai,har naghme ki taseer alag
Zindagi phool hai,har phool ki taqdeer alag

Usm@n
06-22-2008, 12:41 PM
zindagi kisi ki amanat nahin hoti
amanat mein kabhi khayanat nahi hoti

dil ko sambhal kar rakhna mere dost
ishq ki kaid mein kabhi zamanat nahi hoti

Usm@n
06-22-2008, 12:41 PM
Yahaan se shehar e sitamgar dikhai deta hai
Jisey bhi dekhiye pathhar dikhai deta hai
Kabhi kabhi woh bahut sharton pe milta hai
Kahin kahin se uska pyar bhi siyaasi lagta hai

Usm@n
06-22-2008, 12:41 PM
itana tu karam ham pe ai sayyaad kare hai
par noch ke ab qaid se aazaad kare hai

ai baad-e-saba un se ye kah dijiyo jaa kar
pardes main ek shakhs tujhe yaad kare hai

aave hai teri yaad to hans deve hai aksar
dewana tera yuun bhi tujhe yaad kare hai

farazaanaa ujaare hai bhare shaharon ko lekin
dewaanaa to sahraa ko bhi aabaad kare hai

likh likh ke mitaa deve hai tu naam ye kis kaa
sach kahiyo "Farosh" aaj kise yaad kare hai

Usm@n
06-22-2008, 12:42 PM
KHAAR,ZAARO,N SEY GUZAR HO TO GHAZAL HOTII HAIY
DILL MEI,N KUCH IZ,NE SAFAR HO TO GHAZAL HOTI HAIY

BEHR-E-AALAAM KII CHARH,TII HUEE TUGHYAANII MEIN
DAAMAN-E-CHASH,M NA TER HO TO GHAZAL HOTI HAIY

KITNA MAUZOO,N HAIY YE TAQDEES-E-TAGHAZ,ZULL K LIYEY
AANKH MEI,N KHOON-E-JIGER HO TO GHAZAL HOTI HAIY

CHANDNII RAA,T HO OR SHEIKH K PEHLUU MEI,N SHABAAB
EK SAAGHER BHI AGER HO TO GHAZAL HOTI HAIY

YUU,N TO KEH LENEY KO KEH LETEY HAI,N HUMM BHII NAJMA
SAAM,NEY APNEY WO GER HO TO GHAZAL HOTI HAIY

Usm@n
06-22-2008, 12:42 PM
Khabhi rootha nahin kartey
Suno aisa nahin kartey

Jinhein paana na ho aasaan
Unhein soocha nahin kartey

Jinhein shab bhar tarapna ho
Khabhi soya nahin kartey

Zara si baat pe suno
Youhi roya nahin kartey

Usm@n
06-22-2008, 12:43 PM
Hain jaise nazar ate
Ai waqt gavahi de
Hum log na the aise
Yeh shaihr na tha aisa
Yeh rog na the aise
Deewar na the raste Zindan na thi basti
Azar na the rishteh Khaljan na thi hasti
Yoon maut na thi sasti
Yeh aaj jo soorat hai Halat na the aise
Yoon ghair na the mausam Din raat na the aise
Tafriq na thi aisi
Sanjog na the aise
Ai waqt gavahi de
Hum log na the aise

Usm@n
06-22-2008, 12:43 PM
Har Lamha Zindagi Ka Teri Zindagi Main Shamil
Tera Pyar Muj Ko Kafi Mery Zindagi Ka Hamil

Kuch Aankh Main Nami Hay Kuch Waqt Ki Kami Hai
Is Se Pehlay Ke Toot Jaon Ay Mout Mujh Se Aa Mil

Usm@n
06-22-2008, 12:43 PM
nazar nazar se milaakar sharaab piite hain
ham unko paas bithaakar sharaab piite hain


isii liye to andheraa hai maikade me bahot
yahaan gharon ko jalaakar sharaab piite hain

Usm@n
06-22-2008, 12:43 PM
Na tha kuch toh khuda tha, Kuch Na Hota Toh Khuda Hota
duboya mujh ko honai nai, na hota mai, kiya hota

howa jabh ghum say youn bay his, toh ghum kia sar k kutnai ka
na hota gir juda tun say, toh zanoo par dhera hota

hoiyee mudaat k mer giya ghalib par yaad at hai
woh her baat pey kehna k youn hota toh kia hota

Usm@n
06-22-2008, 12:43 PM
Dekha Jidhar Yeh Payaa, Aalam Hijaab Ka
Jaali Ko Naam De Diya, Humne Niqaaab Ka
Dukh Ki Tabash Hai, Dharkanain Tanhaiyan Bhi Hain
Yeh Zindagi Hai Jaise, Din Ho Hisaab Ka

Usm@n
06-22-2008, 12:44 PM
Patthar ki muraten hain is shahar ke log...
Sine mein yahan par kisi ke dil nahi hota..
Hota bhi hai agar to ek aas ka tukda...
Lekin wo bhi dhadakne ke kaabil nahi hota...

Yun to her ek dariya ka saahil hota hai lekin....
Har duubte ki kismat mein saahil nahi hota...
Masjid mein baithkar dua karte hain shekhjee...
Accha hai, magar isse kuch haasil nahi hota...

TANHYE MEIN MILO TO TUMSE KAHENGE AE DOST.........
YUN ZIKRA KABHI DIL KA SARE MAHFIL NAHI HOTA......

Usm@n
06-22-2008, 12:44 PM
Kisi mai youn-he zoq e shayerana doond letey hain
chalo miil betney ka ik bahana doondh letey hain

haqayeq talkh hotey hainye ik zinda haqeeqat hai
koyee meetha, raseela sa fasaana doondh letey hain

ye do din zindagee ke cut tho jayengey musarat mai
chalo hum be koyee sapna suhana doond letey hain

kisi ke sath tho chalna hai akhir dar badar ho kar
koyee apni tarah ka betikana doond letey hain

Usm@n
06-22-2008, 12:44 PM
Bheegi Hui Aankho Ka Yeh Manzar Na Miley Ga,
Ghar Chor Key Mat Jao Kahin Ghar Na Miley Ga,

Phir Yaad Bohat Aye Gi Zulfon Ki Ghani Shaam,
Jab Dhoop Mein Koi Saaya Sir Par Na Miley Ga,
Aansoo Ko Kabhi Auz Ka Katra Na Samajh Na,
Aisa Tumhein Chaahat Ka Samandar Nahin Miley Ga,

Is Khuwaab Key Mmahoul Mein Bey Khuwaab Hain Aankhein,
Jab Neend Bohat Aye Gi,Bistar Na Miley Ga,

Yeh Soch Lo Ab Akhri Saya Hai Mohabbat,
Is Dar Sey Jo Utho Gey To Koi Dar Na Miley Ga.....

Usm@n
06-22-2008, 12:44 PM
kabhee to bahaar ban kar maree zindagee main aaoo
meray dil kee anjuman ko apnay pyaar say sajaoo
tera rasta daikhnay kee adat see ho gaee hay
mujhay dukh hamesha daiy do magar ****h kar na jaaoo
mujhay qatal kar k daikho koi aah tak na ho gee
bas khayal itna rakhna k dil todh kar na jaaoo
hamain lag raha hay aisay k hum khwab main hain amjad
main rahoon hamaisha khwab main mujhay kabhee na jagaoo

Usm@n
06-22-2008, 12:45 PM
Dey gaya mujhey woo shaks Talkhiyan Zamaney ki
Aao aik kooshish ker lein usko bhool janey ki
Be-Rabt si Batein uski be-yaqeen sa lehja tha
Baat woo kia kerta tha zindagi Nibha'ney ki

Dekh ker kissi ko aaj yaad aata hey woo shaks
Jiss ki her adaa hoti thi bhool bhool janey ki

Jab gaya tu uss ney Murr ker phir mujhey nahee dekha
Dastaa'n joo sun li hoo gi Path'raey janey ki

Aaj kal woo mujh ko aksar yaad aata hey khawer
Aarzo Mujhey thi Jiss key choor ker na janey ki

Usm@n
06-22-2008, 12:46 PM
Tu Mila hai toh yeh Ihsass hua hai mujko
Ke meri umr, mohabbat ke liay thori hai

Ik Zara sa gum-e-dauraan ka bhi haq jis par
Meine woh sanss bhi tere liay rakh chori hai
---------------

Usm@n
06-22-2008, 12:46 PM
Iss Se Pehlay Kay Meri Ankhon May
Thaer jaye intezar ka Musam
Keh Do Abb saath Saath Rehna Hai
Iss Se Pehlay Kay dil ki yeh duniya
Aik Weran Dasht Ban Jaye
Keh Do Aab Dil May rehna Hai
Iss Se Pehlay Kay Yeh Saanso Ki Lari
LAmha Lamha Bikhernay si Lagay
Jitnay Iqrar Hain Sab Keh Do Mujhe
Keh Do,Haan Tum Say Mohabbat Hai Mujhe!

Usm@n
06-22-2008, 12:47 PM
Men Sochta hoon Janne Kyon
Saare Deewane Pyaar Ke
Ik Din Juda Hojate Hain
Dil Jeet Ke Jaan Haar Ke
Barbad Hotee Preet Hai
Duniya Kee Kyon Yeh Reet Hai
Jab IshQ Khud Hi Hai Khuda
Hote Hain Kyon Do Dil Juda

Usm@n
06-22-2008, 12:47 PM
pehle tu meri moujodgi mein tum ukataye sey rehte tehey;
ub mere baad tumhara dil ghubraye gaa ghubrane do;

dukh itne diye mein seh na saka yoon zeest ka rishta toot gaya;
ub upne kiye peh zalim dil puchtana hai puchtane do;

Usm@n
06-22-2008, 12:47 PM
Roz Taron kee numaaish mein khalal padta hai
Chand paagal hai andherey mein nikal padta hai

Unkee yaad aayee hai saanso zara aahista chalo
dhadkano se bhi Ibaadat mein khalal padta hai

Usm@n
06-22-2008, 12:48 PM
Itne achay mausam mein
Roothna nahi acha
haar jeet ki baatein
kal pe hum uthaa rakhien
Aaj dosti kar lein

Usm@n
06-22-2008, 12:48 PM
Jo kabhi zindagi ka meh-waar thay
kash abb bhi wo dost keh-latay
Jo bholaye na jarahaye thay kabhi!
Aab wohi yaad bhi nahiein atay

Usm@n
06-22-2008, 12:48 PM
Jinhe saleeqa hai tahzeeb-e-gham samajhne ka..
Unhi kay rone me ansoo nazar nahi aate..

Khushi ke aankh me ansoo ki jagah bhi rakhna..
Bure zamane kabhi pooch kar nahi aate

Usm@n
06-22-2008, 12:49 PM
Yeh Bhi Aadab Hamare Hain, Tumhain Kya Malum
Hum Tumhain Jeet Ke Harey Hain, Tumhain Kya Malum
Ek Tum Ho Ke Samajhte Nahi Hum Ko Apna
Ek Hum Hain Ke Tumhare Hain, Tumhain Kya Maalum

Usm@n
06-22-2008, 12:49 PM
Jab Se Hua Hai Woh Khwab Ki Tarah
Zindagi Guzar Rahi Hai Azaab Ki Tarah
Khushbu Ke Kalam Se Shayad Likha Tha Usne Khut
Har Lafz Mahak Raha Hai Gulab Ki Tarah

Usm@n
06-22-2008, 12:50 PM
mein bhoole jaoon tummhein ab munasib hai
mein bhoole jaoon tummhein ab munasib hai
mager bhulana bhee chahoon you kis taraah bhooloon
kay tum tou phir bhee haqeeqat ho koee khwab naheen
yahaan dil ka yeh alam hai kya kahoon (kambakht)
bhula saka na yeh woh silsila jo tha hee naheen
woh ik khayal jou awaz tak gaya hee naheen
woh aik baat jo mein keh naheen saka yum se
woh ik rabt jo hummein kabhee raha hee naheen
mujhey hai yaad woh sab jou kabhe hua hee naheen
ager yeh hal hai dil kaa tou koee samjhaye
ager yeh hal hai dil kaa tou koee samjhaye
tummhein bhulana bhee chahoon tou kis taraah bhoolon
kay tum tou phir bhee haqeeqat ho koee khawab naheen
kay tum tou phir bhee haqeeqat ho koee khwab naheen...

Usm@n
06-22-2008, 10:54 PM
main lafzon mein kuch bhi izhar nahin karta
iska matlab ye nahin ke main tuj sai pyar nahi karta
chahta hoon main tujhe aaj bhi par
teri soch mein apna waqt baikar nahi karta

tamasha naa ban jaaye kahin mohabbat meri
isi liye apne dard ko namoodaar nahi karta

jo kuch mila hai usi mein khush hoon main
tere liye khuda se taqraar nahi karta

Usm@n
06-22-2008, 10:54 PM
bebasi jurm hai hauslaa jurm hai
zindagi teri ik-ik adaa jurm hai

ay sanam tere baare mai kuch soch kar
apny baary mai kuch sochna jurm hai

yaad rakhna tujhe mera ek jurm thaa
bhuul jaana tujhe dusraa jurm hai

kya sitam hai ke tere haseen shehr mai
har taraf gaur se dekhana jurm hai

Usm@n
06-22-2008, 10:55 PM
Meri dua hai ke tu sab se naik seerat ho
Tera dil bhi terei tarha khoobsourat hoo
Dua se qabal miley tujh ko jo tu chahey
Ke khud dua ko terey haath ki zarorat ho

Usm@n
06-22-2008, 10:55 PM
zara dil thaamlo apna ke ik diwana ata hey
sharare husen ka jalta howa perwana ata hey

meri tu zindagi kat ti hey teri yaad piyare
kabhi teri zaban pur bhi mera afsana ata hey

Usm@n
06-22-2008, 10:55 PM
jo khayal thay nah qiyas thay, wohhee log hum say bichart gayay
mayree zindagi key joh aas thay, wohee log hum say bichart gagay
jinhain manta hee naheen yeh dil, woh hee log hain payray hum safar,
mujhay har tarhaan say joh raas thay, wohee log hum say bichart gayay,
mujhay lamhay bhar key rafakatoun kay ayzaab aur satayain gay,
mayree umer bhar key joh piyaas thay, wohee log hum say bichart gayay,

yeh khayal saaray hain aarzee, yeh gulaab saaray hain kaghazee,
gil-e-aarzoo key joh baas thay, wohee log hum say bichart gayay,
jinhain kar saka nah qabool main, woh shareeek rah-e-safar hu-ay.
joh mayree talab mayree aas thay, woh log hum say bichart gayay,
yeh joh raath din mayray saath hain, woh ajnabi kay hain ajnabi,
woh joh dartkanoun kee aasaass thay, woh log hum say bichart gayay.

Usm@n
06-22-2008, 10:55 PM
Ab Kay Baar Shaam Ko
Jab Tum Milnay Aao Gee
Kuch Badla Badla
Juda Juda Sa
Mujh Ko Tum Pao Gee
Meri In Ankhon Main
Woh Pyar Na Daikh Pao Gee
Meri Banhon Main Aa Ker Tum
Is Baar Pighal Na Pao Gee
Tum Samjho Gee Shayad Mujh Ko
Tum Say Pyar Nahin Raha
Per Shayad Asli Baat Tum
Kabhi Na Jaan Pao Gee
Kay Aaj Kay Baad Tum Jaana Mujh Say
Phir Na Mil Pao Gee

Usm@n
06-22-2008, 10:56 PM
is baar wo mila to ajiib us ka rang tha
alfaaz me tarang na lahjaa dabang tha

ek aag thii ki raakh me poshidaa thi kahi
ek jism tha k rooh se masaruuf-e-jang thaa

Usm@n
06-22-2008, 10:56 PM
cheharaa meraa thaa nigaahain us kii
Khaamooshii me bhi vo baatain us kii

mere chehare pe Gazal likhatii gain
sher kahtii hui aankhen us kii

Usm@n
06-22-2008, 10:56 PM
be aitbaar waqt pay ghinglaa k roo pure,
khoo ker kabhi usay to kabi paa k roo pure,

khushiyaan humare pass kahan mustakil rahin,
bahir kabhi hunsay to ghar aa k roo pure,

Usm@n
06-22-2008, 10:56 PM
din howa ajnabi raat bhee ajnabi
har ghare har pehar ajnabi ajnabi
humsar ban kee hum sath hain aaj bhee
phir bhee hai ye safar ajnabi ajnabi

Usm@n
06-22-2008, 10:57 PM
bewafaa tum kabhii na the lakin
ye bhii sach hai ki bewafaa se rahe


in chiraagon me tel hii kam thaa
kyon gilaa phir hamain hawaa se rahe

Usm@n
06-22-2008, 10:57 PM
Sath dil ke chalay dil co na roka ham nay
Jo na tha apna ise toot kar chaha ham nay
Dhoke me kati umar sari hamari
Kya bataye kise khoya kise paya hum nay

F@IrY
06-24-2008, 05:37 AM
acha collection hai sam aap ka :wink:

Usm@n
06-30-2008, 06:16 AM
http://dl10.glitter-graphics.net/pub/1079/1079700qbwq5ceh5o.gif

Usm@n
07-05-2008, 07:02 AM
Dosti ke rishtoon ki parwarish zaroori hai
ishq ke ilaqae main hukum-e-yar chalta hai,
zaabtae nahin chaltae!!!!
husn ki adalat main,aajzee tu chaltee hai,
martabae nahin chaltae!!!!
dosti ke rishtoon ki parwarish zaroori hai
silsilae ta'luq ke khud se ban tu jatae hain,
lekin in shagufoon ko totne bikharnae se,
rookna bhi parta hai !!!!
chahatoon ki mittee ko....arzoo ke podoon ko,
sichna bhi parta hai!!!!
ranjashoon ki baatoon ko, bhoolna bhi parta hai.!!!!.................

Usm@n
07-05-2008, 07:03 AM
woh ankh jo chupke se dil ka bhaid keh jaye
koi baat aisi jo zaban pe aa ke rukh jaye

na woh khobsoorat hai na main haseen
magar aik saath humein jo deekh lein woh deekhte hi reh jaye

Usm@n
07-05-2008, 07:03 AM
mohabbat karanevaale kam na honge......
terii mahafil main lekin ham na honge......

zamaane bhar ke Gam yaa ik teraa Gam...
ye Gam hogaa to kitane Gam na honge..........

Usm@n
07-05-2008, 07:03 AM
mai.n Khayaal huu.N kisii aur kaa mujhe sochataa ko_ii aur hai
sar-e-aa_iinaa meraa aks hai pas-e-aa_inaa ko_ii aur hai

mai.n kisii ke dast-e-talab me.n huu.N to kisii ke harf-e-duaa me.n huu.N
mai.n nasiib huu.N kisii aur kaa mujhe maa.Ngataa ko_ii aur hai

Usm@n
07-05-2008, 07:03 AM
ye husn teraa ye ishq meraa....
rangiin to hai badnaam sahii.......
mujh par to kaii ilzaam lage.......
tujh par bhii ko_ii ilzaam sahii..........

Usm@n
07-05-2008, 07:04 AM
roothay huway aye jana
kehtay ho k jatay ho
per aik kero wada
khwaboan main nahee aana
yadoan main nahee aana:(

Usm@n
07-05-2008, 07:04 AM
hijr ki dhoop main cha-oan jaisee batain kertay ain
aansoo bhi to maoan jaisee batain kertay hain

rasta dekhnay walee aankhoan k anhonay khwab'
pyas main bhi deryaoan jaisee batain ertay hain

khud ko bikhertay dekhtay hain kuch ker nahee patay hain
phir bhi log khudaoan jaisee batain kertay hain

aik zera se joat k bel per andhiaroan se per
pagal diey hawaon jaisee batain kertay hain

hum ne chup rehnay ka ehed kia hay aur kamzerf
hum se sukhan araoan jaisee batain kertay hain

Usm@n
07-05-2008, 07:04 AM
Tu Qadir Adil hai magar teray jehan mein
Hein talkh bohat bund-e-mazduur kay Auqat
Kab doobay ga sermaya Paresti kaka safina
Dunya hai teri muntazir Roz-e-Makafat

Usm@n
07-05-2008, 07:04 AM
tum ko maloon bhi shayad yeh kabhi ho keh na ho
mere aangan main lage phool gawahi dain ge
main ne arse se kisi phool ko dekha bhi nahin
tujh ko socha hai to phir tujh ko hi socha hai faqt
tere siwa kisi aur ko socha bhi nahin
tum ko maloon bhi shayad yeh kabhi ho keh na ho

Usm@n
07-05-2008, 07:05 AM
yehi samandar jo saahilon ki
haddon kay andar
ubal rahay hain
kabhi agar in ki teh mai jhaanko to
moj-e-saakin, saraab-e-raqs-o-sur-o-naghma
yahaan say lay kar wahaan talak bas sakoot-e-tanha
koi bhi shikva-rasaa nahi hay
afsurda chehron, udaas aankhon ki dastaanain
gali gali main
khmoshiyoon ko jaga rahi hain
meri udaasi hay bay-zubaani
meri udaasi kahaan nahi hay

Usm@n
07-05-2008, 07:05 AM
ik nam kia likha tera sahil ki rait per
phir umr bher hawa se meri dushmanee raheee



yeh bhi hoga wo mujhay dil se bhula de ga magar
yeh bhi hoga khud ussi main ik khala reh jayay ga



is hadsay ko maut hee kehtay hain dosto
ik pal main toot jayay jahan umr bher ka sath


rait per baith ke bheegay huway ashkoan se kabhi
tum bhi likho ge mera naam magar mere badd:)


aalam - e zat main dervesh bana deta hay
ishq insan ko pagal nahee honay deta


ub usko kho raha huun baray ishtiaaq se
wo ji ko dhoondanay main zamana laga mujhay

Usm@n
07-05-2008, 07:05 AM
khof kaisa hay yeh naam uska kaheen zer-e-lub bhi nahee
jis ne hathoan main maray haray kaanch ki choorian daal dein




main bud-dua to nahee de rahee hunn usko magar
dua yehi hay ussay mujh sa ub koi na milay

Usm@n
07-05-2008, 07:05 AM
Suna hai waqt murhum hai
Zamaney bhur kay zukhmoon ka
So aik din bhur hi jaayin gay
Jo ghaa'o choor jatey hain
Magr jub bhi koi sudma
Kahin sey bhi milay mujh ko
GhumooN ki sub ruttooN main tum
Bohat hi yaad aatey ho..

Usm@n
07-05-2008, 07:05 AM
Kabhi yun bhi tu ho
Darya ka sahil ho
Pooray chand ki raat ho
Aur tum aao
Kabhi yun bhi tu ho
Paryon ki mehfil ho
Koi tumhari baat ho
Aur tum aao
Kabhi yun bhi tu ho
Yeh narm-o-mulaem thandi havaen
Jab ghar say tumharay guzrain
Tumhari khushbo churain
Mairay ghar lay aaen
Kabhi yun bhi tu ho
Sooni har manzil ho
Koi na mairay sath ho
Aur tum aao
Kabhi yun bhi tu ho
Yeh badal aaisa toot kay barsay
Mairay dil ki tarhan milnay ko
Tumhara dil bhi tarsay
Tum niklo ghar say
Kabhi yun bhi tu ho
Tanhae ho, Dil ho
Boondain hon, Barsaat ho
Aur tum aao
Kabhi yun bhi tu ho

Usm@n
07-05-2008, 07:06 AM
Dil hay buhat udaas magar baat kiya karein
Badley agar na koi tu halaat kia karein
Lagka hay ab humay ke yeh behroon ka shehar hay
Miltay nahin jawab, sawalaat kia karein

Usm@n
07-05-2008, 07:06 AM
Waqt kay samandar mein
Zindagi ki nao ko kuch aur dagmagana hai
Per hum ko lot ana hai
Tum se kia kahein jana
Dhuan dhuan sa asman
Katay katay se badban
Shoreda sard hawain bhi
Dhaki chupi musafatein
Musaftoon ki dhund mein gum
Hazar hai jazeeroo mein
Hazar hai jazeeray hain
Aik wo jazeera hai
Jis ki mus'atoon mein gum
Aik sadaey ashna
Hamein wapas bulati hai
Meray char soo ,bohat door tak
Bari koher hai jami hoi
Aur rastay masdood hain
Per hum ko lot ana hai
Us jazeeray ki tarf,jis per tum kharay ho
Tum jo ik jazeera ho
Aur akhri jazeera ho
Muhabbat kay samandar mein

Usm@n
07-05-2008, 07:06 AM
kabhi udtey pirtey sahab mai usey dektey
kabi kil-kilatey gulab mai usey dektey

wo jadeed dor ka shkaks tha hamen umr bar
ye khalish rahi ke hijab mai ussey dektey

kisi din jo uss ko nikal detey khayal se
tho tamam shab kisi khab mai usey dektey

jisey harf e aam samaj ke tu ne mita dia
meree zindagee ke kitab mai usey dektey

kuch ajeeb si koyee pyas thee sar e dasht e jaan
ke qadam qadam pe sarab mai ussey dektey

Usm@n
07-05-2008, 07:07 AM
MERAY NASEEB MAIN LIKHA NAHI GIA TUJH KO
MAGAR MAIN CHAHTI HOON HAD SAY BHI ZIADA TUJH KO
TERA HI AKS NUMAYAN HAI MERI ANKHOON MAIN
KAREEB A K DIKHAOON MAIN AAINA TUJH KO
MUJHAY TU TERI KHUSHI ZINDAGI SAY BARH KAR HAI
KHAFA HUA HAI MUJH HI SAY YE KIA HUA TUJH KO
MUJHAY TU JAGNA HAR SHAB TERAY KHAYALOON MAIN
JO SO BHI JAON TU KHWABOON MAIN DEKHNA TUJH KO
TU CHAND BAN K MERAY GHAR MAIN CHANDNI KARTA
MAGAR RUTTOON KI GHATA NAY CHUPA LIYA TUJH KO
MAIN JANTI HOON K TU BAYWAFA NAHI HAI MAGAR
KABHI MILI HI NAHI MOHLAT-E-WAFA TUJH KO
KABHI PARHAY GA AGAR TU,TOO MIL HI JAIY GA
MERI GHAZAL MAIN KAHIN MERA MADDA TUJH KO.

Usm@n
07-05-2008, 07:07 AM
sitam hii karanaa jafaa hii karanaa nigaah-e-lutf kabhii na karanaa
tumhe.n qasam hai hamaare sar kii hamaare haq me.n kamii na karanaa

kahaa.N kaa aanaa kahaa.N kaa jaanaa vo jaante hii nahii.n ye rasme.n
vahaa.N hai vaade kii bhii ye suurat kabhii to karanaa kabhii na karanaa

hamaarii mayyat pe tum jo aanaa to chaar aa.Nsuu bahaa ke jaanaa
zaraa rahe paas-e-aabaruu bhii kahii.n hamaarii ha.Nsii na karanaa

vo ik hamaaraa tariiq-e-ulfat ki dushmano.n se bhii mil ke chalanaa
ye ek shevaa teraa sitamagar ki dost se dostii na karanaa

Usm@n
07-05-2008, 07:07 AM
Is Zamanay Say Na Hum Koi Gilaa Rakhain Gain
Dil Lagayein Gain To Na Shart-E-Wafa Rakhain Gain
Na Dikhayain Gain Kabhi Dil Pe Lage Zakhm Unhain
Dard Uthay Ga Magar Dil Ko Daba Rakhain Gain
Jaan De Daingain Agar Aik Ishaara Kar De
Ham Usay Apne Liye Bhi Na Bacha Ke Rakhain Gain
Sab Hata Daingain Teri Raah Ki Rukawat Hamdam
Ghar Ke Darwazay Ko Har Waqt Khula Rakhain Gain
Unki Har Baat Ko Bhoolay Say Na Bhoolain Gain Kabhi
Unki Yadoon Ko Bhi Seenay Se Laga Rakhain Gain
Toot Bhi Jaayegi Umeed Jo Tere Aanay Ki
Ek Diya Phir Bhi Hawaaon Main Jala Rakhain Gain

Usm@n
07-05-2008, 07:07 AM
shaer o shairi kerna hamain aati kahaan
muhabbat se nazrain churana humain aati kahaan

yeh tou karishma hai tumhari adaaoun ka
warna muhabbat kerna humain aati kahaan

Usm@n
07-05-2008, 07:08 AM
Na Khuda Dil deta
Na kisi ki yaad aati
Na Kisi se Pyaar hota
Na kisi ka Intezaar hota

Usm@n
07-05-2008, 07:08 AM
Hansane nahin deta ' rone nahin deta
Ye Dil to koi kam hone nahin deta
Tum mang rahay ho meray Dil se meri khuhahish
Bacha to kabhi apne khilonay nahin deta
Wo koun hai 'main to uss se waqif nahin hoon
Jo mujh ko kisi aur ka hone nahin deta

Usm@n
07-05-2008, 07:08 AM
koii jabii.n na tere sang-e-aastaa.N pe jhuke
ki jins-e-ijz-o-aqiidat se tujh ko shaad kare
fareb-e-waadaa-e-farda pe aetamaad kare
Khudaa wo waqt na laaye ki tujh ko yaad aaye

Usm@n
07-05-2008, 07:09 AM
main ne tere khayal ki titli daboch li
sub rung kainaat k muthi main a gayay


yeh rekh rekhao muhabbat sikha gayee usko
wo rooth ker bhi mujhay muskra k milta hay



juda huway hain buhat log aik tum bhi sahee
ub itni baat pe kia zindagee haram kerain:p

Usm@n
07-05-2008, 07:09 AM
soocha nahi accha bura dekha suna kuch bhi nahi
manga khuda sai raaat din teray siwa kuch bhi nahi
soocha tujhey dekhaa tujhey chaha tujhey pooja tujhey
meri khata meri wafa teri khata kuch bhi nahi
jis per hamari ankh nai mooti bhichaye raat bhar
bheja wahi khaghaz usai hum nai likha kuch nahi
ik shaaam kai saye talay bhetai rahay woh dair tak
ankhoo sai ki baat bohat moun sai kaha kuch nahi
ihsaas ki khushboo kaha awaz kai jugnoo kaha
khamoosh yado kai siwa ghar mien raha kuch bhi nahi
do chaar din ki baat hai dil khaak mien mil jaye ga
jub agg per khaghaz rakha baaqi bacha kuch bhi nahi

Usm@n
07-05-2008, 07:09 AM
Muhhabat
Ye sard hy to barf hy
Jo garam hy to aag hy
Chirry to bas aik gazal hy ye
Bajay to aik saaz hy
Mily to bas junon junon
Jo na mily to faqat junon
Gar sochye to khuaab hy
Gar janye to azaab hy

Usm@n
07-05-2008, 07:09 AM
Ye na abaad vaqto.n me.n
Dil-e-naashaad me.n hogii
Muhabbat ab nahii.n hogii
Ye kuchh din baad me.n hogii

Usm@n
07-26-2008, 11:46 AM
Dosti ke rishtoon ki parwarish zaroori hai
ishq ke ilaqae main hukum-e-yar chalta hai,
zaabtae nahin chaltae!!!!
husn ki adalat main,aajzee tu chaltee hai,
martabae nahin chaltae!!!!
dosti ke rishtoon ki parwarish zaroori hai
silsilae ta'luq ke khud se ban tu jatae hain,
lekin in shagufoon ko totne bikharnae se,
rookna bhi parta hai !!!!
chahatoon ki mittee ko....arzoo ke podoon ko,
sichna bhi parta hai!!!!
ranjashoon ki baatoon ko, bhoolna bhi parta hai.!!!!.................

Usm@n
07-26-2008, 11:46 AM
mai.n Khayaal huu.N kisii aur kaa mujhe sochataa ko_ii aur hai
sar-e-aa_iinaa meraa aks hai pas-e-aa_inaa ko_ii aur hai

mai.n kisii ke dast-e-talab me.n huu.N to kisii ke harf-e-duaa me.n huu.N
mai.n nasiib huu.N kisii aur kaa mujhe maa.Ngataa ko_ii aur hai

Usm@n
07-26-2008, 11:47 AM
ye husn teraa ye ishq meraa....
rangiin to hai badnaam sahii.......
mujh par to kaii ilzaam lage.......
tujh par bhii ko_ii ilzaam sahii..........

Usm@n
07-26-2008, 11:47 AM
yeh wo jannat hai, jahan bewafa nahin aathe
bhool gaye tum tho, hum ko bhi yaad nahin aathe
- - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - -

majboori thee,tumhein bhool jaayen,hum warna
har aik pal tumhara hi naam lethe thai
- - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - -- - - -

aisa kya ik kaam kiya tha, naiki jis ka naam huee
tum ko paaya jeewan mein,khushi jis ka anjaam huee
- - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - -- - - -

mohabbat ka daawa,wafa ki kahani,wo sab tha dikhawa,sab be-imaani
nahin koi insaan mohabbat ke qabil,yeh bhi hai qayamat ki ik nishani
- - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - -- - - - - -- - - - -- - --- - --

Usm@n
07-26-2008, 11:47 AM
roothay huway aye jana
kehtay ho k jatay ho
per aik kero wada
khwaboan main nahee aana
yadoan main nahee aana

Usm@n
07-26-2008, 11:48 AM
hijr ki dhoop main cha-oan jaisee batain kertay ain
aansoo bhi to maoan jaisee batain kertay hain

rasta dekhnay walee aankhoan k anhonay khwab'
pyas main bhi deryaoan jaisee batain ertay hain

khud ko bikhertay dekhtay hain kuch ker nahee patay hain
phir bhi log khudaoan jaisee batain kertay hain

aik zera se joat k bel per andhiaroan se per
pagal diey hawaon jaisee batain kertay hain

hum ne chup rehnay ka ehed kia hay aur kamzerf
hum se sukhan araoan jaisee batain kertay hain

Usm@n
07-26-2008, 11:48 AM
Tu Qadir Adil hai magar teray jehan mein
Hein talkh bohat bund-e-mazduur kay Auqat
Kab doobay ga sermaya Paresti kaka safina
Dunya hai teri muntazir Roz-e-Makafat

Usm@n
07-26-2008, 11:49 AM
tum ko maloon bhi shayad yeh kabhi ho keh na ho
mere aangan main lage phool gawahi dain ge
main ne arse se kisi phool ko dekha bhi nahin
tujh ko socha hai to phir tujh ko hi socha hai faqt
tere siwa kisi aur ko socha bhi nahin
tum ko maloon bhi shayad yeh kabhi ho keh na ho

Usm@n
07-26-2008, 11:50 AM
yehi samandar jo saahilon ki
haddon kay andar
ubal rahay hain
kabhi agar in ki teh mai jhaanko to
moj-e-saakin, saraab-e-raqs-o-sur-o-naghma
yahaan say lay kar wahaan talak bas sakoot-e-tanha
koi bhi shikva-rasaa nahi hay
afsurda chehron, udaas aankhon ki dastaanain
gali gali main
khmoshiyoon ko jaga rahi hain
meri udaasi hay bay-zubaani
meri udaasi kahaan nahi hay

Usm@n
07-26-2008, 11:50 AM
ik nam kia likha tera sahil ki rait per
phir umr bher hawa se meri dushmanee raheee



yeh bhi hoga wo mujhay dil se bhula de ga magar
yeh bhi hoga khud ussi main ik khala reh jayay ga



is hadsay ko maut hee kehtay hain dosto
ik pal main toot jayay jahan umr bher ka sath


rait per baith ke bheegay huway ashkoan se kabhi
tum bhi likho ge mera naam magar mere badd:)


aalam - e zat main dervesh bana deta hay
ishq insan ko pagal nahee honay deta


ub usko kho raha huun baray ishtiaaq se
wo ji ko dhoondanay main zamana laga mujhay

Usm@n
07-26-2008, 11:51 AM
Suna hai waqt murhum hai
Zamaney bhur kay zukhmoon ka
So aik din bhur hi jaayin gay
Jo ghaa'o choor jatey hain
Magr jub bhi koi sudma
Kahin sey bhi milay mujh ko
GhumooN ki sub ruttooN main tum
Bohat hi yaad aatey

Usm@n
07-26-2008, 11:51 AM
Kabhi yun bhi tu ho
Darya ka sahil ho
Pooray chand ki raat ho
Aur tum aao
Kabhi yun bhi tu ho
Paryon ki mehfil ho
Koi tumhari baat ho
Aur tum aao
Kabhi yun bhi tu ho
Yeh narm-o-mulaem thandi havaen
Jab ghar say tumharay guzrain
Tumhari khushbo churain
Mairay ghar lay aaen
Kabhi yun bhi tu ho
Sooni har manzil ho
Koi na mairay sath ho
Aur tum aao
Kabhi yun bhi tu ho
Yeh badal aaisa toot kay barsay
Mairay dil ki tarhan milnay ko
Tumhara dil bhi tarsay
Tum niklo ghar say
Kabhi yun bhi tu ho
Tanhae ho, Dil ho
Boondain hon, Barsaat ho
Aur tum aao
Kabhi yun bhi tu ho

Usm@n
07-26-2008, 11:52 AM
Dil hay buhat udaas magar baat kiya karein
Badley agar na koi tu halaat kia karein
Lagka hay ab humay ke yeh behroon ka shehar hay
Miltay nahin jawab, sawalaat kia karein

Usm@n
07-26-2008, 11:52 AM
Waqt kay samandar mein
Zindagi ki nao ko kuch aur dagmagana hai
Per hum ko lot ana hai
Tum se kia kahein jana
Dhuan dhuan sa asman
Katay katay se badban
Shoreda sard hawain bhi
Dhaki chupi musafatein
Musaftoon ki dhund mein gum
Hazar hai jazeeroo mein
Hazar hai jazeeray hain
Aik wo jazeera hai
Jis ki mus'atoon mein gum
Aik sadaey ashna
Hamein wapas bulati hai
Meray char soo ,bohat door tak
Bari koher hai jami hoi
Aur rastay masdood hain
Per hum ko lot ana hai
Us jazeeray ki tarf,jis per tum kharay ho
Tum jo ik jazeera ho
Aur akhri jazeera ho
Muhabbat kay samandar mein

Usm@n
07-26-2008, 11:52 AM
mohhabat,han mohhabat wo nahi ha jiss k dawa tum har tesray shaks say kerty ho
mohhabat wo nahi ha jiss ki sachi ka yaqeen delanay k lea tum har baat per
kasam uthaty hoo ,mohhabat wo nahi ha jiss may kho ker tum khuda ko
bhool jatay ho, mohhabat wo nahi ha jiss ko pa kay tum guna aur sawab may
farq nahi ker rahay ho,mohhabat in sab say balater ha mohhabt kernay walao k deloo
may to khuda mojood hota ha ,mohhabat kernay walo ko kasmoo ki zarorat nahi hoti
sachi mohhabat kernay walo k delo ma hamesha neki kernay ki tamana rehti ha
wo log kesi ka dil dukhanay say bhi guraz kerty ha k kahi khuda na ruth jaee

Usm@n
07-26-2008, 11:53 AM
kabhi udtey pirtey sahab mai usey dektey
kabi kil-kilatey gulab mai usey dektey

wo jadeed dor ka shkaks tha hamen umr bar
ye khalish rahi ke hijab mai ussey dektey

kisi din jo uss ko nikal detey khayal se
tho tamam shab kisi khab mai usey dektey

jisey harf e aam samaj ke tu ne mita dia
meree zindagee ke kitab mai usey dektey

kuch ajeeb si koyee pyas thee sar e dasht e jaan
ke qadam qadam pe sarab mai ussey dektey

Usm@n
07-26-2008, 11:53 AM
MERAY NASEEB MAIN LIKHA NAHI GIA TUJH KO
MAGAR MAIN CHAHTI HOON HAD SAY BHI ZIADA TUJH KO
TERA HI AKS NUMAYAN HAI MERI ANKHOON MAIN
KAREEB A K DIKHAOON MAIN AAINA TUJH KO
MUJHAY TU TERI KHUSHI ZINDAGI SAY BARH KAR HAI
KHAFA HUA HAI MUJH HI SAY YE KIA HUA TUJH KO
MUJHAY TU JAGNA HAR SHAB TERAY KHAYALOON MAIN
JO SO BHI JAON TU KHWABOON MAIN DEKHNA TUJH KO
TU CHAND BAN K MERAY GHAR MAIN CHANDNI KARTA
MAGAR RUTTOON KI GHATA NAY CHUPA LIYA TUJH KO
MAIN JANTI HOON K TU BAYWAFA NAHI HAI MAGAR
KABHI MILI HI NAHI MOHLAT-E-WAFA TUJH KO
KABHI PARHAY GA AGAR TU,TOO MIL HI JAIY GA
MERI GHAZAL MAIN KAHIN MERA MADDA TUJH KO.

Usm@n
07-26-2008, 11:54 AM
sitam hii karanaa jafaa hii karanaa nigaah-e-lutf kabhii na karanaa
tumhe.n qasam hai hamaare sar kii hamaare haq me.n kamii na karanaa

kahaa.N kaa aanaa kahaa.N kaa jaanaa vo jaante hii nahii.n ye rasme.n
vahaa.N hai vaade kii bhii ye suurat kabhii to karanaa kabhii na karanaa

hamaarii mayyat pe tum jo aanaa to chaar aa.Nsuu bahaa ke jaanaa
zaraa rahe paas-e-aabaruu bhii kahii.n hamaarii ha.Nsii na karanaa

vo ik hamaaraa tariiq-e-ulfat ki dushmano.n se bhii mil ke chalanaa
ye ek shevaa teraa sitamagar ki dost se dostii na karanaa

Usm@n
07-26-2008, 11:55 AM
Is Zamanay Say Na Hum Koi Gilaa Rakhain Gain
Dil Lagayein Gain To Na Shart-E-Wafa Rakhain Gain
Na Dikhayain Gain Kabhi Dil Pe Lage Zakhm Unhain
Dard Uthay Ga Magar Dil Ko Daba Rakhain Gain
Jaan De Daingain Agar Aik Ishaara Kar De
Ham Usay Apne Liye Bhi Na Bacha Ke Rakhain Gain
Sab Hata Daingain Teri Raah Ki Rukawat Hamdam
Ghar Ke Darwazay Ko Har Waqt Khula Rakhain Gain
Unki Har Baat Ko Bhoolay Say Na Bhoolain Gain Kabhi
Unki Yadoon Ko Bhi Seenay Se Laga Rakhain Gain
Toot Bhi Jaayegi Umeed Jo Tere Aanay Ki
Ek Diya Phir Bhi Hawaaon Main Jala Rakhain Gain

Usm@n
07-26-2008, 11:55 AM
shaer o shairi kerna hamain aati kahaan
muhabbat se nazrain churana humain aati kahaan

yeh tou karishma hai tumhari adaaoun ka
warna muhabbat kerna humain aati kahaan

Usm@n
07-26-2008, 11:57 AM
Hansane nahin deta ' rone nahin deta
Ye Dil to koi kam hone nahin deta
Tum mang rahay ho meray Dil se meri khuhahish
Bacha to kabhi apne khilonay nahin deta
Wo koun hai 'main to uss se waqif nahin hoon
Jo mujh ko kisi aur ka hone nahin deta

Usm@n
07-26-2008, 11:58 AM
koii jabii.n na tere sang-e-aastaa.N pe jhuke
ki jins-e-ijz-o-aqiidat se tujh ko shaad kare
fareb-e-waadaa-e-farda pe aetamaad kare
Khudaa wo waqt na laaye ki tujh ko yaad aaye

Usm@n
07-26-2008, 11:58 AM
main ne tere khayal ki titli daboch li
sub rung kainaat k muthi main a gayay


yeh rekh rekhao muhabbat sikha gayee usko
wo rooth ker bhi mujhay muskra k milta hay



juda huway hain buhat log aik tum bhi sahee
ub itni baat pe kia zindagee haram kerain

Usm@n
07-26-2008, 11:59 AM
soocha nahi accha bura dekha suna kuch bhi nahi
manga khuda sai raaat din teray siwa kuch bhi nahi
soocha tujhey dekhaa tujhey chaha tujhey pooja tujhey
meri khata meri wafa teri khata kuch bhi nahi
jis per hamari ankh nai mooti bhichaye raat bhar
bheja wahi khaghaz usai hum nai likha kuch nahi
ik shaaam kai saye talay bhetai rahay woh dair tak
ankhoo sai ki baat bohat moun sai kaha kuch nahi
ihsaas ki khushboo kaha awaz kai jugnoo kaha
khamoosh yado kai siwa ghar mien raha kuch bhi nahi
do chaar din ki baat hai dil khaak mien mil jaye ga
jub agg per khaghaz rakha baaqi bacha kuch bhi nahi

Usm@n
07-26-2008, 11:59 AM
Ye sard hy to barf hy
Jo garam hy to aag hy
Chirry to bas aik gazal hy ye
Bajay to aik saaz hy
Mily to bas junon junon
Jo na mily to faqat junon
Gar sochye to khuaab hy
Gar janye to azaab hy

reyain
07-27-2008, 08:48 AM
boht hi khob keep it up

Usm@n
07-29-2008, 12:01 AM
thankks ji reya

reyain
07-29-2008, 08:57 AM
u welcome

Mя.¢σσl
07-29-2008, 09:10 AM
acha hai

anmolkhan
08-01-2008, 11:25 AM
:umdah:

Mя.¢σσl
08-03-2008, 07:18 AM
acha hai

Usm@n
08-07-2008, 06:26 AM
thanks janab

Usm@n
08-07-2008, 06:27 AM
jab tayree dhun main jeya kartay thay
ham bhi chup chap phira kartay thay
aank main payaas hua kartee thee
dil main toofan utha kartay thay
loog aatay thay ghazal sun-nay ko
ham teiri baat kia kartay thay
sach samajhtay thay tere waadoun ko
raat din ghar main raha kartay thay
kisi weeranay main tujh say mil kar
dil main kia phool khila kartay thay
ghar ki dewaar sajanay kay leeyay
ham tayra naam likha kartay thay
woh bhi kia din thay bhula kar tujh ko
ham tujhay yaad kia kartay thay
jab teire dard main dil dukha karta tha
ham teire haq main duaa kartay thay
apnay jazboun ki kamandoun say tujhay
ham bhi taskheer kia kartay thay
apnay aansoon bhi sitaroun ki tarah
teire hountoun pay saja kartay thay
chhairta tha gham-e-dunya jab bhi
ham teire gham say gilla kartay thay
kal tujhay daikh kay yaad aaya hay
ham bhi sukhanwer hoa kartay thay

Usm@n
08-07-2008, 06:27 AM
ye din ye raat ye lamhe mujhe achche se lagte hain
tumhen sonchon to saare silsile achche se lagte hain
bahot door tak chalna magar phir bhi wahin rahna
mujhe tum se tumhin tak daire achche se lagte hain

Usm@n
08-07-2008, 06:27 AM
Kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta
Kahin zamin to kahin aasman nahin milta
Jise bhi dekhain woh apne aap main gum hai
Zuban mili hai magar hum_zuban nahin milta
Bujha saka hai bhala kaun waqt ke sholay
Yeh aisi aag hai jis main dhoan nahin milta
Tere jahan main aisa nahin keh piyar na ho
Jahan umeed ho is ki wahan nahin milt

Usm@n
08-07-2008, 06:27 AM
hai rishta dil ka agar dil se to rishtedar kehlate hai
hai rishta agar khoon ka to hissedar kehlate hain
hai rishta gar matlab per tika to woh makkar kehlate hain
ye rishta bana kar torne wale to gaddar kehlate hain

Usm@n
08-07-2008, 06:28 AM
bana gulaab toh kaante chubha gaya ik shakhs
hua chiraag toh ghar hi jala gaya ik shakhs

tamam rang mere aur sarey khwab mere
fasana thay keh fasana bana gaya ik shakhs

mein kis hawa mein urru.n , kis fiza mein lehraoon
dukhoon ke jaal har ik suu bicha gaya ik shakhs

palat sakoon mein na aagay hi barh sakoon jis par
mujhe ye kaun say raste laga gayaa ik shakhs

muhabbatein bhi ajab uski nafratein bhi kamal
meri tarha ka hi mujh mein sama gaya ik shakhs

woh mahtaab tha marham badast aaya tha
magar kuch aur siwa dil dukha gaya ik shakhs

khula ye raaz ke aaina khaana hai duniya
aur is mein mujh ko tamasha bana gaya ik shakhs

Usm@n
08-07-2008, 06:29 AM
Itnai khamaosh bhi raha na karo
gham-e-judai main yon kiya na karo
khawb hotai hain daikhnai kai liyai
in main jaa ker magar raha na karo
kuch na ho ga gila bhi kernai sai
zalimon se gila kiya na karo
in sai niklain hikayatain shayad
harf likh ker mita diya na karo
apnai rutbai ka kuch lehaaz Munir
yaar sub ko bana liya na karo

Usm@n
08-07-2008, 06:29 AM
Dil bhool nahi paata
Wo khwab mohabbet ka
Kiya bhaid anookha hai
Jub soochney baitho to
Kuch yaad nahi aata
Aik pul kay liye phir bhi
Wo khwab mohabbet ka dil bhool nahi paata
Dil bhool nahi paata
Bay-chain jo guzri hain raatain to bohat si theen
Kernay kay liye us sey baatain to bohat si theen
Wo saamney aaya to bhool gayien mujh ko
Soocha hai bohat lakin
Kuch yaad nahi aata
Dil bhool nahi paata…………

Usm@n
08-07-2008, 06:29 AM
kub kaun kisi ka hota hai
sub jhutay rishtay natay hain
sub dil rukhnay ki batain hain
sub asli roop chupatay hain
ikhlaas say khale loag yahan
lafzoan kay teer chalatay hain
ik baar nigahoan main aa ker
phir sare ummar rulatay hain
woh jinhoon nay diyae hain ashk hamain
hum un ko bhul nahin saktay........

Usm@n
08-07-2008, 06:30 AM
toot gaye to kirchiyon ke siwa kya denge
kaanch ka ped khayalon me lagaya na karo
gar bichadna pada hum se to jiyoge kaise
dil ki gahrayiyon se itna hamen chaha na karo

Usm@n
08-07-2008, 06:31 AM
Ik muhabbat key aiwaz Arzz-o-samma dey doon ga
Tujh sey kafir ko to main apna Khudda dey doon ga
Justajoo bhi meyra fan hai meyray bichray hoay dost
Jo bhi dar band milla us pey sadda dey doon ga.........
Aik pal bhi teyray pehloo main jo mil jAay to main.......
Apney ashakoon sey usay Aabey baqqa dey doon ga
Rukh baddal doon ga sabba ka teyray kochay ki tarraf
Or tufaan ko apna hi patta dey doon ga..

Usm@n
08-07-2008, 06:31 AM
na jamaal -o- husn kii bazm hai, na junoon wa ishq ka azm hai .....
sir-e-dasht raks main herr gharii koi baad_girdd hai kiss liye

teray husn say yeh patta chala, yujhey dekh kerr yeh khaber hoii .....
jahaan raastaa hii nahii koi wahan reh noord hai kiss liye

Usm@n
08-07-2008, 06:32 AM
tugh say millna ke saza dain gay taray shahre kay loog.....
yah wafaoon ka sila dain gay taray shar kay loog.........

kiya khabar thee tara millna pay qayamat ho gee.......
mugh ko deewana bana dain gay taray share kay loog.........

tari nazroon say girana kay liya jane-hayat........
mugh ko mugrim bhee bana dain gay taray share kay loog.....

kah kay deewana mugha maar rahay hain pathar.........
or kiya is kay siwa dain gay taray share kay loog.......

Usm@n
08-07-2008, 06:32 AM
jaatey jaatey pather mein bhi jaan chor jaoon gi
kuch nahin to aik do chingariyaan chor jaoon gi
abb woh shaksiyaat hoon main iss seher ki
chali gai to khaali-kham seher chor jaoon gi

Usm@n
08-07-2008, 06:33 AM
hum se tahi daston ke siwa kon karega
hum bhi na karenge to wafa kon karega

hum aik mujajassim si dua hain teri khatir
hum bhi na rahenge to dua kon karega

chalte hain tere saath tera saiban ban ker
is dhoop me fir saath chala kon karega

ab baad mere purshish-e-haalat bhi tum se
ye aasma baadal ye hawa kon karega

lab bhool gaye tere siwa koi wirad bhi
hoton pe tere baad raha kon karega

tanha udaas zard phirega tammam raat
ab chand se har baat kiya kon karega

her roz jalate the jise chaahaton ke saath
ab shaam ko roshan woh diya kon karega

WOH PAAKBAAZ LOGON KI SOHBAT ME MAGAN HAI
HUM JAISE KHARABON SE MILA KON KAREGA

Usm@n
08-07-2008, 06:33 AM
YEH KYA JAGAH HAY DOSTOo

yeh kya jageh hay dosto
yeah konsa dayaar hay

had-e-nigah tak jahan
ghubar hi ghubar hay

yeah kis maqaam par hayaat
mujh ko lay kay aa gayi
na bas khushi pay hay jahan
na gham pay ikhtiar hay

yeh kya jageh hay dosto
yeah konsa dayaar hay

tamaam umr ka hisaab
maangti hay zindagi
yeh mera dil kahe tou kya
kay khud say sharm-saar hay

yeh kya jageh hay dosto
yeah konsa dayaar hay

bula raha hay kon
mujh ko chil-buno kay uss taraf
meray liyeah bhi kya koi
udaas baykarar hay

yeh kya jageh hay dosto
yeah konsa dayaar hay
had-e-nigah tak jahan
ghubar hi ghubar hay

Usm@n
08-07-2008, 06:33 AM
younhi to shaakh sey pattey girra nahin kartey
bicharr key logh ziyyadah jiaa nahin kartey

jo anney walley hain mousam unhain shoomar main rakh
jo din guzzar gaay un ko ginna nahin kartey

na dekha jan key us ney koi sabbab ho ga
issi khiyyal sey ham dil burra nahin kartey

woh mil giyya hai to kia qissa-e-firraq khain
***hi key lamhoon ko youn bey mazza nahin kartey

nishat-e-qurrb, ghamm-e-hijjr key iwwaz na mangh
duaa key nam pey youn bad duaa nahin kartey

munnafqat pey jinhain ikhtiyyar hassil hai
woh arrz kartey hain tujh sey gilla nahin kartey

hamarey qattal pey mohsin yeh peysh-o-pas keyssi
ham assey logh tallab khonn bahha nahin kartey

Usm@n
08-07-2008, 06:34 AM
chehray perhta aankhein likta rehta hon
mein bhi kaisi baatein likta rehta hoon.

saaray jisam darhtoon jaisay lagtay hein
aur bahon ko shakihein likta rehta hoon

tuj ko khat likhnay kay tayweer bhool gayay
aarhi terhchee sitreein likta rehta hoon

teray hijar mein aur mujhay kiya kerna hay?
teray naam kitabeen likta rehta hoon

teri zulf kay saiy dehaan mein rehtay hein
mein subhoon ko shameein likta rehta hoon

apnay pyaar ki phool mehakti rahoon mein
logoon ko dewaarein likta rehta hoon

tuj say mil ker saaray duk dohraaon gaa
hijr ki saari baatein likta rehta hoon


sookay phool, kitabeen, zikaam judai kay
teri saab sogaatein likta rehta hoon

iski bheegi pelki hansti rehti hein
Mohsin jaab tek ghazaleein likta rehta hoon!!