View Full Version : Dard he dard
Pages :
1
2
[
3]
4
5
6
7
8
ye kis Khalish ne phir is dil me.n aashiyaanaa kiyaa
phir aaj kis ne suKhan ham se Gaayebaanaa kiyaa
Gam-e-jahaa.N ho, ruKh-e-yaar ho ke dast-e-uduu
salook jis se kiyaa hamane aashiqaanaa kiyaa
the Khaak-e-raah bhii ham log qahar-e-tuufaa.N bhii
sahaa to kyaa na sahaa aur kiyaa to kyaa na kiyaa
Khushaa ke aaj har ik mudda_ii ke lab par hai
vo raaz jis ne hame.n raa.Nd-e-zamaanaa kiyaa
vo hiilaagar jo vafaajuu bhii hai jafaaKhuu bhii
kiyaa bhii "Faiz" to kis but se dostaanaa kiyaa
main arhe tirche khayal sochoon...
k be-irada kitab likhoon...
koi shanasa ghazal tarashoon...
k ajnabhee intesaab likhoon...
gnwaadoon ik umer k zamane...
k ik pal ka hisaab likhoon...
taweel tar he safar tumhain kia...
main jee raha hoon magar tumhain kia...
magar tumhain kia k tum to kab se...
mere irade ganwaan chuke ho...
jala k sare haroof apne...
meri duaain bhuja chuke ho...
main raat orhoon k ,k subha pahnoon...
tum apni rasmain utha chuke ho...
to ab mere dil pe jabar kesa...
ye dil to had se guzar chuka he...
guzar chuka he magar tumhain kia...
khizaan ka mosam thaher chuka he...
thaher chuka he magar tumhain kia...
magar tumhain kia k aise khizaan main...
main jis tarha k bhee khwaab likhoon!
Marey Sathi..
Mari yeah Rooh Marey Jism Sey Perwaz Ker Jaye..
To Lout Ana..
Mari Bey Khawab Ratoon Key Azaboon Per..
Sisktey Sher mien Tum Bhee..
Zara Si Daer Rukna..
Marey Bey Noor Hontoon Ki duaoon Per..
Tum Appni Sard Peyshani Ka Pather Rikh ker Roo Daina..
Bas Itni Baat keh Daina..
“Mujhey Tum Sey Muhabbat Thi..
Mujhey Tum Sey Muhabbat Hia..”
Tera youn sab khuch keh jana acha laga mujko
Tera youn muskurana khilkhilana acha laga mujko
Khuch lafzon sey bandhye hui teri ye nazam
Iss ka her lafz khud ko sunana acha laga muj ko
Masal di hai qadmo taley us ney masoomiat jana
Be hiss, ghudgerz ban jana acha laga mujko
Main ye bhi janti houn be derd hai ye ishq
Per iss derya main doob jana acha luga muj ko
Pasand muj ko bhi nahin hain sookhye gulab jana
Tera wo mehkta hua phool dena acha laga mujko
Khelti tu ab bhi houn mazi ki guriya sey
Us ki yadon main chupa hua derd sehna acha laga mujko
Tum ney kaha ishq main sitarey toot jatey hain
Tootey sitaron ko bahon main sametna acha laga muj ko
Tum ney kaha ishq main saharey rooth jatey hain
Ishq main uska sahara pana acha laga muj ko
Tum ney kaha furqat key musam main derd miltey hain
uski khatir derd main ansoo bahana acha laga mujko
Tum ney kaha perhayi per tawaja doun
Kitab key her lafz main uska aks nazar ana acha laga mujko
Tum ney kaha khat mat likhna bari ruswayi hoti hai
Mager jana apni muhabat ko khat main utarna acha laga muj ko
Tum ney kaha phone mat kerna awazein aur sadayen dill dukhati hain
Mager jeeney ka ye hi sahara dhoondna acha laga mujko
Tum ney kaha meri nazmein nahin perhna jiya
Suno jana iss key her lafz main apni muhabat ko pehchanana acha laga mujko
Tera youn sab khuch keh jana acha laga mujko
Tera youn muskurana khilkhilana acha laga mujko
Hann tum mujh KO bhool hi jana
Kiu k duniya bohat wassi hai
Aur purani yadin lay kar
Beeti shab ki batin lay kar
Jeena mushkil ho jata hai
Tum kiu itna bhooj uthao
Behtar hai k
Mujh ko bhool hi jana
Khud apane liye baiTh ke soche.nge kisii din
yuu.N hai ki tujhe bhuul ke dekhe.nge kisii din
bhaTake hue phirate hai.n ka_ii lafz jo dil me.n
duniyaa ne diyaa vaqt to likkhe.nge kisii din
hil jaaye.nge ik baar to arsho.n ke dar-o-baam
ye Khaak_nashii.n log jo bole.nge kisii din
aapas kii kisii baat kaa milataa hii nahii.n vaqt
har baat ye kahate hai.n ke baiThe.nge kisii din
ai jaan terii yaad ke be-naam parinde
shaaKho.n pe mere dard kii utare.nge kisii din
jaatii hai kisii jhiil kii gaharaa_ii kahaa.N tak
aa.nkho.n me.n terii Duub ke dekhe.nge kisii din
Khushbuu se bharii shaam me.n jugnuu ke qalam se
ik nazm tere vaaste likkhe.nge kisii din
soye.nge terii aa.Nkh kii Khlvat me.n kisii raat
saaye me.n terii zulf ke jaage.nge kisii din
Khushbuu kii tarah ,asl-e-sabaa Khaak numaa se
galiyo.n se tere shahar kii guzare.nge kisii din
'Amjad' hai yahii ab ke kafan baa.Ndh ke sar se
us shahar-e-sitam_gaar me.n jaaye.nge kisii din
Hazaron pall tumhare bin,
Na poocho, kaisay kat-tay hain,
Kabhi yaadain rulaati hain,
Kabhi mousam satatay hain,
Issay keh do hum aatay hain,
Humain mayoos na karna,
Humara maan rakh laina,
Humain wapas naheen jaana,
Humain dil main basa laina,
Humain apna bana laina,
Bohot tarpay huye dil se,
Bohot rootha naheen katay,
Mohabaat tou ibaadat hai,
Usay ruswa naheen kartay,
Zamanay se chupatay hain,
Kabhi zahir naheen kartay,
Suno aisay naheen kartay
Suno aisay naheen kartay,
Safar tanha naheen kartay,
Iisay shafaaf rakhna ho,
Usay maila naheen kartay,
Teri aankhain ijazat dain,
To hum kia kia naheen kartay,
Yeh oonchay pair kaisay hain,
Tumain saya naheen kartay,
Jo dhun ho kar guzarnay ki,
To phir socha naheen kartay,
Bohut ujray huye logon per,
Bohut roya naheen kartay,
Teri aankhon ko parhtay hain,
Tujhe daikha naheen kartay,
Jo mil kar khud se kho jaye,
Usay dhoondha naheen kartay,
Chalo tum raaz ho apna,
Tumhain afshaan naheen kartay,
Sehar se pooch lo Mohsin,
Keh hum soya naheen kartay
Kash aasi bhi koie baat hoo
haaton mai ous ka haat hoo
mai ou ki zulf sanwaro
taroon bahri raat hoo
bohl jaaon duniya kay saray gum
shanoo pay sir rakhay gozar rahi raat ho
main nay mana keh taray honton per
hain riwayet ki bandishon kay qufl
phir bhi izhaar e aarzoo kay liay
teri aankhon say meri aankhon tak
guftogoo kay hazaar rastay hain
Mohabbat zaat hoti hai
Mohabbat zaat ki takmeel hoti hai
Koyi jungle main ja tharey, kisi basti main bas jaye
Mohabbat sath hoti hai
Mohabbat khushboo hoti hai
Mohabbat mosamoon ka dhan
Mohabbat aabsharoo kay bikhertay paniyon ka man
Mohabbat jungaloon main raqs kerti morni ka tun
Mohabbat burf perti serdion main dhoop banti hai
Mohabbat chilchilatay garm sehraon
main thandi chaon ki manind
Mohabbat ajnabi duniya main apnay gaon ko
manind
Mohabbat dil
Mohabbat jaan
Mohabbat rooh ka dermaan
Mohabbat morti hai
Fizaon main ager kisi kay hath se *** jaye tou
Mohabbat abla hai kerb ka
Mohabbat roog hoti hai
Mohabbat soog hoti hai
Mohabbat sham hoti hai
Mohabbat raat hoti hai
Mohabbat jhilmilati ankh main bersaat hoti hai
Jaan ko atay ratjagon ki ghaat hoti hai
Mohabbat jeet hoti hai
Mohabbbat maat hoti
Mohabbat zaat hoti hai
Mohabbat Dilse hoti Hai
dil ke badle sanam
dard-e-dil le chuke
de chuke de chuke
tujhe dil yeh dil de chuke
dil ke badle sanam
dard-e-dil le chukle
de chuke de chuke
tujhe dil yeh dil de chuke
ab tumko hi dekh ke saansein chalti hain
chalti hain sanam
ab na tanha tanha raatein dhalti hain
dhalti hain sanam
hum to tere hi ho chuke
khwaab mein tere kho chuke
de chuke de chuke
tujhe dil yeh dil de chuke
yeh zindagani tere hawale kardi hai
kardi hai dilbar
prem kahani tere hawale kardi hai
kardi hai dilbar
pyar tumse hi kar chuke
hum to tumpe hi mar chuke
de chuke de chuke
tujhe dil yeh dil de chuke
dil ke badle sanam
dard-e-dil le chuke
de chuke de chuke
tujhe dil yeh dil de chuke
aye mohabbat tere anjaam pe rona aaya
jaane kyun aaj tere naam pe rona aaya
yun to har shaam umedoo'n main guzar jaati thi
aaj kuch baat hai jo shaam pe rona aaya
kabhi taqdeer ka matam kabhi duniya ka gila
manzil-e-ishq main har gaam pe rona aaya
jab hua zikr zamaane main mohabbat ka 'Shakeel'
mujh ko apne dil-e-nakam pe rona aaya
dost Gam_Khvaarii me.n merii sa_ii farmaaye.nge kyaa
zaKhm ke bharane talak naaKhun na ba.Dh jaaye.nge kyaa
beniyaazii had se guzarii bandaa paravar kab talak
ham kahe.nge haal-e-dil aur aap farmaaye.nge kyaa
hazarat-e-naaseh gar aaye.n diidaa-o-dil farsh-e-raah
ko_ii mujh ko ye to samajhaa do ki samajhaaye.nge kyaa
aaj vaa.N teG-o-kafan baa.Ndhe hue jaataa huu.N mai.n
uzr meraa qatl karane me.n vo ab laaye.nge kyaa
gar kiyaa naaseh ne ham ko qaid achchhaa yo.n sahii
ye junuun-e-ishq ke andaaz chhuT jaaye.nge kyaa
Khaanaa zaad-e-zulf hai.n zanjiir se bhaage.nge kyaa
hai.n giraftaar-e-vafaa zindaa.N se ghabaraaye.nge kyaa
hai ab is maamuure me.n qahat-e-Gam-e-ulfat asad
ham ne ye maanaa ki dillii me.n rahe khaaye.nge kyaa
Mujhey Yaqeen tou nahin magar Yahi sach hai
Mein terey waastey Umrein guzaar sakta hoon
Yahi nahin ke tujhey jeetney ki khawaahish hai
Mein terey waastey khud ko bhi haar sakta hoon
gile fuzuul the ahad-e-vafaa ke hote hue
so chup rahaa sitam-e-naaravaa ke hote hue
ye qurbato.n me.n ajab faasale pa.De ki mujhe
hai aashnaa kii talab aashnaa ke hote hue
vo hilaagar hai.n jo majabuuriyaa.N shumaar kare.N
chiraaG ham ne jalaaye.N havaa ke hote huye
na kar kisii pe bharosaa ke kashtiyaa.N Duubii.n
Khudaa ke hote huye naaKhudaa ke hote huye
kise Khabar hai ki kaasaa-ba-dast phirate hai.n
bahut se log saro.n par humaa ke hote hue
'Faraz' aise bhii lamhe.n kabhii kabhii aaye
ki dil giriftaa rahaa dil_rubaa ke hote hue
Woh Muhabat ko peristish ka maqam detta tha
Aur guzrey qisson ko ibadat ka darja samajhta tha
Kehta tha muhabat meen koi gharz posheeda naheen hotti
Muhabat to begharz aur lafani hotti hey
Kuch ajjeb falsafa Muhabat main us ka tha key
Woh meri muhabat ka talib bhi tha
Aur mein usey matloob bhi na thi
Kehta tha key main us ki rooh main jazb hoon aisey
Key mujh ko panney ki us ko hasrat bhi naheen
Ajeeb shakhs tha kuch ajjeb se us ki kahani thi
Yeh dor ab aisi muhabatoon ka naheen raha
Millan key baghair muhabatoon ka kia tassawer hey
Deed key baghair chahatoon ka kia rang hey
Yeh dor to faqt aghraz pey mabni hey
Meru muhabat bhi sirf char din ki kahani thi
Koi garri aik hee station pey hamesha naheen rukti
Waqt key sath khialat badaltey gatey heen
Muhabat baqqi rehti hey mehboob badaltey jatey heen
Mein ney chaha key khialat us key badal dallon aur
Muhabat ki haqeeqi tasweer dikha doon us ko
Woh muhabat ka pujari tha
main ney Us ko tanhai ki saza dey dalli
Mujhey yaqqn hey woh sota to ho ga magar
Neend us ki ankhoon mein na utarti ho gee
Mehfal men woh muskarata to ho ga magar
Us tabassum main ik tees see uthti ho gee
Ankh main aansoo to nazar na atey hoon gey
Palkoon taley ik barish zarror hotti ho gee
Meri yaad to us ki khon ki gardish key saath thi
Dil dharakta to ho ga magar ik aah bhi nikalti hoo gee
Kion sochto hoon yeh sab kuch main
Jo taaluq tha woh to main ney toor dia
Woh zinda rahey na rahey mujheu is sey kia
Us ki saans rukey ya chaley mujhey kia lena
Merey liey to faqt yehi kaafi hey key
Main aik duniya dar larki
MUHABBAT" ba'ain karti hai
Mohabat ahaain bhhurti hai
Kisi toote howy dil may
Kisi tapky huwy ansoo may
Rooti ha machelti ha
"MUHABBAT" BA'AIN KARTI HAi
Kahi jary ki ratoon may
Diya jab timtimaee to
Koi bhoola hua raahi
Palet k jab na aye to
Yoon hi dar kohla rah jaye
Her ek omeed bah jaye
Tarepti hai sisekti hai
"MUHABBAT" BA'AIN KARTI HAI
Kisi sehraye dil ki ser zameen
Cahet ko tarsy to
Kisi ki ankh se sawan ki man'ned
Ashk barsy to
KIo na-huq yoon hi cahat main jab qurbaan hu jaye
Bikherti ha simet'ti hai
"MOHABBAT" BAA'AN KARTI HAI....
ruKh mein gard-e-malaal thii kyaa thii
haasil-e-maah-o-saal thii kyaa thii
ek suurat sii yaad hai ab bhii
aap apanii misaal thii kyaa thii
mere jaanib uThii thii koii nigaah
ek mubaham savaal thii kyaa thii
us ko paakar bhii us ko paa na sakaa
justajuu-e-jamaal thii kyaa thii
dil mein thii par labon tak aa na sakii
aarazuu-e-visaal thii kyaa thii
umr bhar mein bas ek baar aaii
sa'at-e-laazavaal thii kyaa thii
koii Khvaahaan na thaa ki jins-e-hunar
ek muflis kaa maal thii kyaa thii
ye arzoo thi tujhe gul ke rubaroo kerte
hum aur bulbul-e-betaab guftugu kerte
payam bar na mayyasar hoa to khoob hoa
zaban-e-gair se kiya sharh-e-arzoo kerte
jo dekhtey teri zanjeer zulf ka alam
aseer hone ki azad arzoo kerte
na poochh alam-e-bargashta talai
barasti aag jo baraan ki arzoo kerte...
koiii nazm aisi likhon kabhi
teri baat baat kii roshniiiiiiii
mery hurf hurf main bher sakay
teray Lums ki yeh shaguftagiiii
meray jism o jaan mein uter sakay
koiii chandni kisi gheray rung kay raaz kii
meray raaston mein bikher sakay
teri guftugoo say banaon mein
koiii daastaan koiii kehkashan
hon mohabaton ki timazatain bhi kamal terha say meherban
teray baazon kii bahaar mein
kabhi jholtay huy gaaaon mein
teri justujo kay chiragh ko sir-e-shaam dil main jalaon mein
issi jhilmilati sii shaam mein
likhon nazm jo tera roop ho
kaheen saKht jaron mein aik dum jo chamuk uthay
koii khushgawar sii dhoop ho
jo wafa ki taaal kay raqs kaa
koii jeeta jaagta aks ho
koiiii nazm aisi likhon kabhi
kay her aik lufz kay haath mein
tery naaam
tery hurf taaza kalam kay
kaiii raaz hon
jinhain munkashif bhi karon ager
tu jahan-e-share kay baab mein
meray dil mein rakhiii kitab main
teray chushm o lub bhi chamuk uthein
mujhay roshni ki fizaaon mein kaheen ghair lain
koii nazm aisi likhon kabhi
Yeh syaah sufaid harf
se banay meray alfaaz...
kabhee bankar merii sadaa
gooNj jaatay haiN
meray aur teray beech
phailay sannaTay meiN.
kabhee inkO
banaakar aatish-e-duaa
tujhay bhejatee hooN keh
teree taraf aa rahee
hur buree nazar
hur gHam, hur pareshaanee kO
jalaakar kHaaq kar sakooN.
kabhee insay buntee hooN
meray pyaar kaa aaNchal
keh haalaat kii kadee dhoop
meiN terii taptee rooh kO
panaah de sakooN.
Meray paas tujhay denay ke liye
siwaa inn syaah sufaid harf
ke kuch bhee to nahiN.
Yahee merii zubaaN haiN
yahee merii duaa haiN
yahee merii aagHosh bhee.
Yeh meraa lams bhee haiN
jisay bhejkar maiN
tujhay choo lenaa chaahtee hooN.
Usee tarah jiss tarah too mujhay
apnay syaah sufaid harfoN se
choo jaataa hai
kisi se dil ki hikayut kabhi kaha nahiN ki
wa'gerna zindagi hum ne bi kiya se kiya nahiN ki
her ik se kon muhabbat nibah sakta hei
so hum ne dosti yaari tou ki, wafa nahiN ki
shakastagi meiN bi pindaar-e-dil salamat hei
ke uss ke dar pe tou puhanchay magar sadda nahiN ki
shikayut iss ki nahiN hei ke uss ne zulm kiya
gilla tou yea hei ke zalim ne intiha nahiN ki
wo na'dahind agar tha tou phir taqaza kiya
ke dil tou le gya qeemat magar ada nahiN ki
ajeeb aag hei chahat ki aag bi ke faraz
kahiN jala nahiN ki aur kahiN bujha nahiN ki
yeh raat khushnasseb hai
jo tere aney ki tareeh hey
apna tujhey banaey ki
kuch aisi hi umeed hey
tujhey kuch bataney ki ik *** hey
key idher ***hion ki barat hey
ye raat hushnaseeb hey
key mere yaar ki amad hey
ye kaisa alam hey..........
key uss key aney se pehley
uss key kadmaun ki ahat hey.
ye raat hushnaseeb hey
bass yehi labaun pey geet hey
key ye raat hushnaseeb hey...
jo hwe darwaze pey dastak
to honey lagi teez dil ki dhak dhak
dil ki hwe ajab halat
beqarari ye ajeeb hey
jo ghataye hum ne ye fasley
tu larkhraye ye qadam
ye halat kuch ajeeb hey
ye raat hushnaseeb hey.....
jo khola unn darwaza
to mila ye begham
ye raat badnaseeb hey
ye raat badnaseeb hey
tere yaar ki mait hey
na roh hey na jism ki kameez hey
ye raat badnaseeb hey
Raat bhar Fasl-e-bahar anay ka samaan hona
Subh poo photetay hi, hathon mein girebaan hona
Tum mera haal na daikho ke milain gi nazrain
Mujh se daikha na jaye ga, Pashemaan hona
Hijr, aur ji ke behal janay ki koshish, toba
Mushkilein, aur baghair aap ke asaan hona!
Meri kashti ko, behar haal hai, maojon se lagao
Ho, jo, har mauj ko hai, shamil-e-toofaan hona
Chair di zulm ki tojeeh, salamat rahiyee
Sharm aii bhe, to aya na pashemaan hona
Apnay hi dil mein, khilay phool se kehta hai Raza
Tu jahan hai, Usey raas aye gulistaaan hona
tumharay badaltay rang dekh kar
khizaan raseeda pattay ki tarah
mien laraz uthti hon
ke achanak chahton ki barish
mere bheegay band mien
baharoon ki moutar khushbu
basa deti hai
laikin judai ke khoof se
mera sara wajood
kanp uthta hai
tumharay liye meine ek naam chuna hai
suno "Mousam" kesa hai?
sang dil hai wo, to kyun uska gila meine kiya
jab ke khud pattar ko butt, butt ko khuda meine kiya
kaise na-manoos lafzon ki kahani tha wo shakhs
us ko kitni mushiloon se tarjumma meine kiya
wo meri pehli mohabbat , wo meri pehli shikast
phir to paiman e wafa soo martaba meine kiya
wo thaharta kiya ke guzarta tak nahi ke jis ke liye
ghar ko ghar,her rasta meine kiya
mujh per apna jurm sabit ho na ho lakin Faraz
log kahtay hain ke us ko be-wafa meine kiya
sochta hon ke muhabbat se kinaraa kart ***
dil ko begaanaa-e-targheeb-o-tamana kar ***
sochtaa hon ki muhabbat hai junoon-e-rasva
chand bekaar-se behooda khayaalon ka hajoom
ek azad ko paband banaane ki havas
ek begane ko apnaane ki sai-e-mauhoom
sochta hon ke muhabbat hai saroor-e-masti
is ki tanveer mein roshan hai faza-e-hasti
sochta hon ke muhabbat hai bashar ki fitrat
iska mit jaana, mita dena bohat mushkil hai
sochta hon ki muhabbat se hai taabindaa hayat
aap ye shama bujha dena bohat mushkil hai
sochtaa hon ke muhabbat pe kari shartein hain
ik tamaddun mein masarat pe badi shartien hain
sochta hon ke muhabbat hai ik afsurda si laash
chaadar-e-izzat-o-naamoos mein kafnaai hui
daur-e-sarmaaya ki raundi hui rusava hasti
dargah-e-mazahab-o-ikhlaaq se thukarai hui
sochta hon ki bashar aur muhabbat ka junoon
aisii boseedaa tamaddun se hai ik kaar-e-zaban
sochta hon ki muhabbat na bachegi zinda
pesh-az-waqt ki sa.D jaaye ye galti hui laash
yehi behtar hai ki begana-e-ulfat ho kar
apne seene mein karon jazb-e-nafrat ki talash
aur sauda-e-muhabbat se kinara kar ***
dil ko beganaa-e-targheb-o-tamana kar ***
Ishq wale aankho se aankho ki baat samajh lete hain,
Sapne mein mil jaaye to mulaqat samajh lete hain.
Rota to aasman bhi hai apni dharti ke liye,
Log uske ashkon ko barsaat samajh lete hain...."
"Aankhen oonchi hui to dua ban gayi,
Aankhen nichi hui to haya ban gayi.
Jo jhuk kar uthi to khata ban gayi,
Aur uth kar jhuki to ADA ban gayi..."
Dil lagane ko ek bewafa dhoodh raha hoon,
Teri aankhon me aaina dhoondh raha hoon.
Hasti tak mit gayi humari aapke ishq me,
Jo kuch reh gaya bacha,dhoondh raha hoon.
Jis* ki khushiyon se mehroom** rahe sada,
Tere labon pe wo maza dhoondh raha hoon.
*zindagi **anjaan
Na jane aakhir aisi kya khasiyat hai tujhme,
Jo ek ajnabi me koi apna dhoondh raha hoon.
Itna ishq karne ki khata jo ki hai ab humne,
Jare-jarre me uski saza dhoondh raha hoon.
Ashkon ke thapedon se jo hue hum“ghayal”,
Ab har dard me apni dawa dhoondh raha hoon.
Aankhain ya may'kaday k woh do baab hain
Aankhain un ko kahun ya kahun khuab hain
Aankhain neechi huyeen to Haya ban gayeen
Aankhain oonchi huyeen to dua ban gayeen
Aankhain uth ker jhukeen to adaa ban gayeen
Aankhain jhuk ker utheen to khata ban gayeen
Aankhain...jin main Qaid Aasman-o-Zamee(n)
nergisi, nergisi....................surmagi, surmagi
woh khaloos tha ke khumar tha
woh janoon tha ke saraab tha
mujhey sochney mein zaman laga
mujhey munzilon ne bhoola diya
mujhey jis masiha pe maan tha
mujhey us ne sooli charha diya
kai humsafar kai rahguzr
mujhey rastey mein miley magar
meri tushnagi kuch aur hai
meri justajoo koi aur hai
woh jo roshni ki tarha barhey
magar ansuon mei sama sakey
jo subha ki pehli kiran bane
mere dil ka aangan nikhaar de
jo muhabbaton ki ravaytein
laho ki bali se sanwaar de
mujhey us wafa ki talaash hai
mujhey us wafaki talaash hai
magar is jahan-e-kharab mein
yahan khahishon ke saraab mei
mujhey kaun de aisy wafa
mein kahan se laoon woh wafa
inhi uljhanon mein ghira hua
yehi sochta mein chala gya
Kaheen ujri ujri si manzilen kaheen tootey phootey baam-o-der
yeh wohi dayaar hay doostoo jahan loog phirtey they raat bhar
main bhatakta phirta hoon dair say yunhi shehr shehr nagar nagar
kahan khoo gaya mera qafila kahan reh gayey merey humsafar
jinhain zindagi ka shaoor tha unhain bay zari nay bujha dia
jo giraan they seena-a-khaak per wohi ban k baithey hain mohtabar
meri bay kasi ka na ghum kero magar apna faida bhi sooch lo
tumhain jis ki chahoon aziz hay main usi darakht ka hoon sammar
yeh baja k aaj andheer hay zara rutt badlnay ki dair hai
jo khizaan k khoof say khushk hai wohi shaakh layee gi berg-o-ber
duniyaa ne ham pe jab ko_ii ilzaam rakh diyaa
ham ne muqaabil us ke teraa naam rakh diyaa
ik Khaas had pe aa ga_ii jab terii beruKhii
naam us kaa ham ne gardish-e-ayyaam rakh diyaa
mai.n la.D_kha.Daa rahaa huu.N tujhe dekh-dekh kar
tuune to mere saamane ik jaam rakh diyaa
kitanaa sitam_zariif hai vo saahib-e-jamaal
us ne diyaa jalaa ke lab-e-baam rakh diyaa
insaan aur dekhe baGair us ko maan le
ik Khauf kaa bashar ne Khudaa naam rakh diyaa
ab jis ke jii me.n aaye vahii paaye raushanii
ham ne to dil jalaa ke sar-e-aam rakh diyaa
kyaa masalahat_shanaas thaa vo aadamii 'Qateel'
majabuuriyo.n kaa jis ne vafaa naam rakh diyaa
Abb mein dhondon usey kaisay
Wo khushbo ki maneed tha
Hawa lay urtee us ko
Gul nay bhi mujh say yehi bat kahi thee
Abb akhri dam hai
Dil may yehi ghum hai
Kiun may nay us ko aysi bat khayi thee
Jana hai tu chaly jana
Ab kabhi melnay mujhay tum lout kar na ana
Larztey lab hain Tarpta howa hai dil
Hai ay roug umer bhar ka
Ab kia elaj hai hai is ka samajh nahi ata
Pehlay bhi kisi nay mujh say ayhi bat khai thee
Muhabbat hai mujhay tum say ayhi bat khai thee
Kiun may nay us ko rouka kiun may nay us ko danta
Jaty hoy us nay mujh say ayhi bat khay thee
Mayra peyar hi kam tha
Us ki ankhoun may jo gam tha
Us ki ankhoun na ayhi bat khay thee
Mkhles tha wo mujh say ay mukhleestha may us say
Kis kis ka dawa tha ay
Koi jan na paya
Logo nay bhi mujh say ye hi bat kahi thee
Yun To Dil Mein Hain Kayi Batein, Par Izhar Kyun Karoon,
Kis Ko Hai Gharz In Sey, Mein Bayan Kia Karoon.
Jhuti Hi Sahi Par Tasali To Dey Gaya Humko,
Duniya Key Sab Sawaloon Ka Ab Jawab Kyun Karoon.
Mujh Mein Jo Sama Gayin Hain Woh Faqat Yadain Hain Uski,
Us Mein Jo Reh Gaya Hai Us Ka Khayal Kyun Karoon.
Khulii jo aankh to vo thaa na vo zamaanaa thaa
dahakatii aag thii tanhaaii thii fasaanaa thaa
Gamon ne baant liyaa mujhe yuun aapas mein
ke jaise main koii luuTaa huaa Khazaanaa thaa
ye kyaa ke chand hii qadamon pe thak ke baiTh gaye
tumhen to saath meraa duur tak nibhaanaa thaa
mujhe jo mere lahuu mein Dubo ke guzaraa hai
vo koii Gair nahiin yaar ek puraanaa thaa
Khud apane haath se "Shahzad" us ko kaaT diyaa
ke jis daraKht ke Tahanii pe aashiyaanaa thaa
yuu.N hii besabab na phiraa karo, ko_ii shaam ghar bhii rahaa karo
vo Gazal kii sachchii kitaab hai, use chupake chupake pa.Daa karo
ko_ii haath bhii na milaayegaa, jo gale miloge tapaak se
ye naye mizaaj kaa shahar hai, zaraa faasale se milaa karo
abhii raah me.n ka_ii mo.D hai.n, ko_ii aayegaa ko_ii jaayegaa
tumhe.n jisane dil se bhulaa diyaa use bhuulane kii duaa karo
mujhe ishtahaar sii lagatii hai.n, ye mohabbato.n kii kahaaniyaa.N
jo kahaa nahii.n vo sunaa karo, jo sunaa nahii.n vo kahaa karo
kabhii husn-e-pardaanashii.n bhii ho zaraa aashiqaanaa libaas me.n
jo mai.n ban-sa.Nvar ke kahii.n chaluu.N, mere saath tum bhii chalaa karo
ye Khizaa kii zard-sii shaam me.n, jo udaas pe.D ke paas hai
ye tumhaare ghar kii bahaar hai, ise aa.nsuo.n se haraa karo
nahii.n behijaab vo chaa.Nd saa ki nazar kaa ko_ii asar nahii.n
use tanii garmi-e-shauq se ba.Dii der tak na takaa karo
koi apna nahin banta!!!
labon pay naam rakhnay say
dilon main yaad karnay say
har ik dharkan, har ik tarpan
kisi ke naam karnay say
koi apna nahin banta
tamam umar ki khushiyan
mohabbat ki sabhi ghariyan
kisi ko daan karnay say
ke ...us pay maan karnay say
koi apna nahin banta
woh pehlay piyar ki batain
rafaqat ki sabhi ratain
woh chahat ki sabhi rasmain
mohabbat ki sabhi qasmain
humaisha yaad rakhnay say
koi apna nahin banta
kisi tanha akaili raah guzar par
puranay say kisi boorhay shajar par
patthar say koi dil bananay say
aur
usmain apna or kisi ka naam sajanay say
koi apna nahin banta
ke jab......aankhain hi marr ja'ain
to phir sapna nahin banta
yeh jeewan daaan kar ja'ain
to bhi apna nahin banta
koi apna nahin banta...
koi apna nahin banta.........
Durr jo aaj hain
yaad aatey to hain
Khwab adhure sahi
khwab sahare to hain
yaadein teri
daaman khenchti hain
bhool chuke
hain jo hamein
yaad aatey to hain
sadiyon ke faasley
ajj hain darmiyaan
hojayein magar
jitni bhi duriyan
Aap jahan bhi rahein
aap humare to hain
janey phi kab milein
terey mere raastey
Aas tootey nahin
yaad itna rahey
raat dhalni to hai
aane ujaale to hain
pethar Ko Pani Me Mat Pankhon
Isme Koi Aur Bhi Behta Hai
Zindagi Jeeni Hai To Khush Hoke Jeeyo
Kyun Ke Tumhe Dekh Kar Koi Aur Bhi Jeeta Hai
Haan,MUHABBAT aik amar_bail ki maa_nind hai
agar aik baat liputt jaa_aey
is dil kay shajar say
tu uoujaar daiti hai dil ki zameen ko
jala daiti hai,aankh kay her sapnay ko
nahi...!!!! magar yehi MUHABBAT jub
huq k raasty per jaa_aey tu
diloun ko ser_shaar ker daiti hai
aik naey duniya aabad ker daiti hai
kay sujdoun main ,jhuki pai_shani pay
noor jhil_mila uthta hai
aor dil say awaaz aati hai
MUHABBAT huq hai,MUHABBAT such hai
raaz_e_hayaat paa lainay ki kosish main
MUHABBAT walay bus isi
***h_ma_***h main rehty hain
kay MUHABBAT HAAN yah MUHABBAT NAHI
Ankhey Masrof Ho Jatey Hain
Bula Detey Hain LOg
Dor Bohat Dor Nekal Atey Hain
Manzaley Gunwa Dety Hain Log
Dast-e-Talab Otha Ker Mangtey Hai Mohabbat Khuda Se
Jo Ho Dastras Mein To Hode Gunwa Dety Hai Log
kuch ajab shaan se logon mein raha karate the
hum Khafa rah ke bhi aapas mein mila karte the
itni tahzeeb rah-o-rasm to baaqi thi ke wo
laakh ranjish sahi wada to wafa karte the
us ne poocha tha kai baar magar kya kahiye
hum mizaajan he pareshaan raha karte the
Khatm tha hum pe mohabbat ka tamasha goya
roh aur jism ko har roz judaa karte the
zindagi hum se tere naaz uthaaye na gaye
saans lene ki faqat rasm ada karte the
hum baras parhte the 'Shaz' apni he tanhai par
abr ki tarah kisi dar se utha karte the
tere saath fir chalne ko jee karta hai,
tujhse kyun milne ko jee karta hai.
teri baahon me sama ke khud ko,
aaj fir pighalne ko jee karta hai.
tere ishq ki shamma karke roshan,
usme hume jalne ko jee karta hai.
apne ishq ki arthi se utha ke raakh,
badan pe malne ko jee karta hai.
teri baahon ka jo sahara hai saath,
to fir sambhalne ko jee karta hai.
ishq ke is murjhaye hue chaman me,
"Arshan"ka khilne ko jee karta hai.
Maanta hun ki zindagi bhi tadpati hai,
Par mohabbat to jeena sikhati hai,
Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi,
Par mohabbat zindagi ban jaati hai.
Zindagi ko to hum jab chahen,
Maut ki oor khud le jaate hain,
Par ek baar jo kar len ishq,
Wo kahaan isko **** paate hain.
Ye duniya kitni khudgarz hai,
Ye mohabbat hume batati hai.
Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi,
Par mohabbat zindagi ban jaati hai.
Mohabbat ek jaanlewa aadat hai,
Jisme hoti shikwa-shikayat hai,
Par aashiqon k liye to,
Yahi unka khuda aur yahi ibadat hai.
Wo mohabbat hi to hai yaar,
Jo jeevan ko haseen banati hai.
Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi,
Par mohabbat zindagi ban jaati hai.
Mohabbat hi saathi aur tanhaai hai,
Yahi hoti hansi aur yahi rulaai hai,
Isi me hote kasme wade saare,
Aur isi me hoti bewafai hai.
Wo mohabbat hi hoti hai,
Jab aankhon me koi samati hai.
Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi,
Par mohabbat zindagi ban jaati hai.
Mohabbat me sab majboor hote hain,
Kabhi paas to kabhi door hote hain,
Par job hi ho jaye samaa,
Wo ishq ke nashe me choor hote hain.
Jab yaaden zannat ban jaati hain,
To wo mohabbat kehlati hai,
Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi,
Par mohabbat zindagi ban jaati hai.
Jab koi bediyon ko payal kar jaati hai,
Har jhalak uski,kayal kar jati hai.
Jab hota uska mehfil me aana,
Uski har ada hume bas“ghayal”kar jati hai.
Wo mohabbat ki daastan hai ki,
Har saans me kisi ki khusboo aati hai,
Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi,
Par mohabbat zindagi ban jaati hai.
Maanta hun ki zindagi bhi tadpati hai,
Par mohabbat to jeena sikhati hai,
Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi,
Par mohabbat zindagi ban jaati hai.
Abhi kya kahain abhi kya sunain
Ke sar-e-fasiil-e-sukuut-e-jaan
Kuf-e-roz-o-shab pe sharar numa
Vo jo harf jarf charaagh thaa
Use kis hava ne bujhaa diyaa
Kabhi lab hilain ge to pouchna
Sar-e-sahar-e-ahad-e-visaal-e-dil
Vo jo nikahaton ka hujum thaa
Use dast-e-mauj-e-firaaq ne
Tah-e-Khaak kab se milaa diyaa
Kabhi gul khelain ge to pouchna
Abhi kyaa kahain abhi kya sunain
Yun hi khvaahishon ke fishaar main
Kabhi bey sabab kabhi bey Khalal
Kahan kaun kis se bichhar gaya
Kise kis ne kaise ganvaa diya
Kabhi phir milain ge to pouchna
Na dekh mujhe aaise kahi mai toot na jayu....
teri aankho me mai kahi aaj doob na jau......
k teri mehfil me aaya hu sirf tere liye.......
na simat jau tere aanchal me or na badnaam ho jau.....
Na tum kuch kaho ......
Na hum kuch kahe ......
yu hi isharo me batt hoti rahe.....
Na tum aankh num karo .....
Na aankh hum num kare.......
yu hi mahubbat ki barsatt hoti rahe.....
yeh jo naya ehasas sa dil par chaaya hai,
tere pyar ki hi toh maya hai........
maine na jane khud ko kabse..
in parshano mein uljha paya hai,
tumne kahan jawabo ko chipaya hai.
tumne kyu mere sawalo ko churaya hai.......
khud ko kyu dekha hai wahan .....
jahan tum ko nahi paya hai.
aur tum kyu ho wahan ........?
jahan mera saya bhi nazar nahi aaya hai......
.
tab mere dil ne hans kar ........
bas yahi sangeet sunaya hai......
pyar ki meethi baaton ka ......
mujhko yah raaz bataya hai.......
ek pyar ka taar juda hai dono mein,
jahan main hun wahan tum ho.....
jahan tum ho wahan main hun.......
yahi vishwas dilane ko
dono ki aankho mein ek khumaar sa chhaya hai.................
nikatata hi bas ek sach hai....
har duri ek saya hai........
yah jo naya ehasas sa dil per chhayaa hai.
yer tere hi pyar ki toh maya hai..........
hume Awaz Dey Lena
Jab Duk Zindagani K
Tumhe Azar Punhchaye
Koi Chubte Hoye Saat
Koi Jalta Huwa Lamha
Tumhare Dil Pe Dastak Dey To
Hume Awaz De Lena
K Abe Hum Zinda Hai Is
Zindagi Ke Bekarni Mein
K Abe Tak De Raein Hain Imtehan
Is Karegae Imtehani Mein
Tum Apna Koi Duk Hume Nahi
To Kesey Sunao **
Kese Awaz Do ** Tum
So Hume Awaz De Lena
baraa Ajeeb Mohabbat Ka Ye Pasana Hai
Baraa Ajeeb Mohabbat Ka Ye Pasana Hai
Dil Hai Tera Tu Kesi Aur Ka Dewana Hai
Dil Hai Tera Tu Kesi Aur Ka Dewana Hai
Baraa Ajeeb Mohabbat Ka Ye Pasana Hai
Jo Jisko Chahta Hai Woh Usko Nahi Milta
Jo Jisko Chahta Hai Woh Usko Nahi Milta
Kesa Dastoor Hai Dunyaa Ka Kiya Zamanaa Hai
Kesa Dastoor Hai Dunyaa Ka Kiya Zamanaa Hai
Dil Hai Tera Tu Kesi Aur Ka Dewana Hai
Baraa Ajeeb Mohabbat Ka Ye Fasana Hai
Tu Kis Terha Se Bachey Ga Nazaar Ki Tiroon Se
Tu Kis Terha Se Bachey Ga Nazaar Ki Tiroon Se
Her Aik Simmt Se Tera Hi Dil Nishanaa Hai
Her Aik Simmt Se Tera Hi Dil Nishanaa Hai
Dil Hai Tera Tu Kesi Aur Ka Dewana Hai
Baraa Ajeeb Mohabbat Ka Ye Pasana Hai
Panaa Leyga Kis Chaman Main Kis Shajer Per Tu
Panaa Leyga Kis Chaman Main Kis Shajer Per Tu
Her Aik Shaak Per Mera Hi Aashiyana Hai
Her Aik Shaak Per Mera Hi Aashiyana Hai
Dil Hai Tera Tu Kesi Aur Ka Dewana Hai
Baraa Ajeeb Mohabbat Ka Ye Pasana Hai
Kaash gussay main he apna bulaya hotta
Kaash mujhey yaad ker k apnay dil ko behlaya hotta
Kaash meri yaad satati tumhain
Kaash merray bina neend na atee tumhain
Kaash k tum meri mohabbat ko pehchaan patee
Kaash k tum mujhey apna hee bana patee
Kaash main tumhain apni bahoon main khilata
Kaash main tumhari zulfoon main so jata
Kaash k tum dil say chahtee mujhey
Kaash k apna saya banatee mujhey
Kaash main teri aankhoon ka kajol hotta
Kaash main iss barish ka badal hotta
Kaash tum merray sennay say lipat ker rotee
Kaash k merray bina teri subhoo na hotee Kaash k hal-e-dil..............
--ishq Ke Khumaar Mein Ye Kya Kar Diya....
Zindagi Ko Apni Iske Naam Kar Diya.....
--nazron Se Na Jaane Woh Kaisa Deedaar Karte Hain,
Dekhte Hain Chehra, Magar Dil Pe Vaar Karte Hain,
--humne Jo Jhela Ik Teer Unki Nigaahon Ka,
Badhta Hi Gaya Ujaala Jalte Chiraagon Ka,
--andhera Bhi Chiraag Ki Roshni Mein Kho Gaya,
Mere Pyaar Ko Bhi Aaj Mujhse Pyaar Ho Gaya
--usne Kiya Phir Yoon Ikraar-e-muhobbat,
Hum Sunte Hi Rahe Bas Banke Ik Butt,
--usne Kiya Bakhaan Phir Apni Kahaani Ka,
Ke Kaise Bana Aashiq Woh Iss Diwaani Ka,
--nigaahein Thi Jab Uthaayi To Jaan Huyi Fanaaaa,
Uske Qatl Ke Liye Bhi Meri Hayaa Ka Tha Gunaah.
Nikla jo din to sham ka phir intizar tha
Wo waqt aashqee ka kia khoshgawar tha
Aaraish-o-zeeant ka kia imtizaj tha
Ik bagh sa hota tha ghar mushk bar tha
Wo bandishain se jaise khof-o-hisar kein
Wo aarzo wo justozo sab be shumar tha
Rehti thi ajab char soo ik chandni jawan
Aashuftigi se her waqt her pal bahar tha
Aankhon mein ratjage aur chehra wo eshq zada
Wo qurbat-o-wisal ka dil per khumar tha
Wo silsilay se jaisay paimane wafa ke
Baham wo gilay shikway qol-o-qarar tha
Sagar wo unkay nazuk pairo’n ki unglia’n
Maqta chuna to dil buhat zar zar tha
Jane kab badal jain jin ko apna mana hai
dil ki qurbataon me tum kuch kami hi rehne do
Beet hi jainge roz-o-shab dabe paon
tum mujh ko khusyon se ajnabi hi rehne do
Khush dili kia kaam aye zindagi jab kho jai
muskurati ankhain thin ab nami hi rehne do
becha kis tarah akhir bhayion ne Yusuf ko
bharm tut jainge khamoshi hi rehne do
Is qadar sakht guzra aik aik pal musarat ka
dil chikh utha hai ab ghami hi rehne do
Suraj mujh ko kia dega aur badan jala dega
tum mere angan me chandni hi rehne do
Tut kar jo chahogai tut kar hi bikhrogai
ger tutne se darte ho ashiqi hi rehne do
ghar saja ke kia hoga zakm aur hara hoga
mere sune maskan me teergi hi rehne do
Asaman ki wus~atain tum jo chaho chu ao
mere pa~on ke nichai ye ZAMIN hi rehne do
Pehloo main bitha ker meboob ko raat bhar ghalib
Jis nay kuchh naa kiyaa uss nay kamaal kiya
Mat chhieen meray lab se tera naam is tarah
Is benam si zindagi main tera naam hi to hai
Ehssaas agar ho to mohabat karo mehsoos tera is
benaam si zindagi main tera naam hi to hia
Hum to pagal thay toot ker roye
Khalq kiyon hum per be-hisaab hansi
Umain ab jeene ka asraa koi nahi deta
Dua mangte hain sab dua koi nahi deta
Naya andaaz dekha hum ne is bazare ulfat main
Mohabat se mohabat ka sila koi nahi deta
Hajjom-e-arzoo mandaan ko kaisay tor ker guzrain
Teri mehfil main mujhko rasta koi nahi deta
Sanam ahle dunya k saamne kya haath phalayien
Is dunya main be-hukme khuda koi nhai deta
wo nafraton k swal kary
muhbaton k jwab mangy
k mery hisy mn kanty likh ke
wo muj se taza gulab mangy
ye chahton ki kari musafat
chaly hain tanha shikast khurda
koi to mera bhi dard jany
koi to os se hisab mangy
os ko chaha bohut magar wo mila hi nahin
Lakh koshish ki magar fasla mita hi nahin
Os ko zamane ne majboor is kadar kar diya ke
Mere kisi sada pe tehra hi nahin
Har aik se pocha sabab is ke na milne ka
Har aik ne bataya ke wo tere liye bana hi nahin
Main tamam tarkoshesho ke bad har **
Or wo ose mil gaya jis ne ose manga hi nahin
Etni shedat se chaha ose or wo kisi or ka ho gaya
Shayed is jahan main waafa ka koi seela hi nahin!!!!!!!!!!!
Dekhi Jo Tanhai hay
Ek Larki GHabrai hay
Yun to lakhon chahray hain
par wo dil main aye hain
Sochon to dar lagta hay
bolo To Roswai hay
Wo Gulshan main aye ga
Os ki Khushbo Aye hay
Jab Bhi Pucha Kaysa Hay WO?
Boli Wo Harjai Hay.....
Bhari mehfil main tanha rehna acha lagta hai
Terey barey main sochtey rehna acha lagta hai
Kabhi pholon main ,kabhi kaliyon main
Tujh ko hi dhontey rehna acha lagta hai
Meree zindagi ki khushiyan tumhee say hain wabasta
Rab say sirf tumhein hi mangna acha lagta hai
Hamarey darmiyan hail rahein sadiyon ki khamoshiyan
Kuch is tarhan guftugu karna acha lagta hai
Tumhrey baghir zindagi ka koi tasavur nahi hai
Kuch is tarhan tumharee tamanna karna acha lagta hai
Tum hi ko chaha,tum hi ko chahtey hain
Tumhi ko chahtey rehna acha lagta hai
Main cheen *** ga tumhein duniya ki rasmon say
K mujhye zamaney say baghawat karna acha lagta hai
Mujhay Haadson nain saja saja key bohot haseen bana dia
Mera dil bhe jaisey dulhan ka haath ho mehndiyon se racha hua
Wohi shehar hai wohi raastey wohi ghar hai aur wohi lawn bhe
Magar is dareechay se poochna woh darakht anaar ka kiya hua
Meray saath jugnu hai aur jugnu ki is safar mein bisaath kya
Yeah charaagh koi charaagh hai na jala hua na bujha hua
Wohi khat keah jis peah jagah jagah do mehaktey honton ke chaand thai
Kisi bhooli basri si taak pe teah-e-gard ho ga daba hua
Umeed-e-weham ke mehwar se hat ke daikhtey hain
Zara si dair ko duniya se kat ke daikhtey hain
Bikhar chukay hain bohot baagh-o-dasht-o-deriya mein
Ab apnay hujra-e-jaan mein simat ke daikhtey hain
Tamam khana badoshon mein mushtarik hai yeah baat
Sab apnay apnay gharon ko palat ke daikhtey hain
Phir us ke baad jo hona hai ho rahay ser-e-dast
bisaatez aafiyat-e-jaan ulat ke daikhtey hain
Wohi hai khuwab jisey mil ke sab nain daikha tha
Ab apnay apnay qabeelon mein bat ke daikhtey hain
Suna yeah hai keah subak ho chali hai qeemat-e-harf
So hum bhe ab qad-o-qamat mein ghat ke daikhtey hain
zindagi ka ek pel
saari khushiyaN saaray ghum
zingagi ki kashti yeh
tez lehraiN
aur bhaNwar
rokta rah jaya koi
rokna bhee chahay koi
ruck nahiN pata magur
zindagi ka ek pel
waqt ki dehliz per
zingagi ki kashti yeh
tez lehraiN
aur bhaNwar
zindagi ka ek pel
Kaho aab kiya kahoo'n tum say
Bataoo kiya likhoo'n tum ko
Mujhay tamheed do koi,mujhay umeed do koi
Niya ek lafz ho koi
Jahan say baat chal niklay,mari mushkil ka hal niklay
Batao lahja kaisa ho
K tum say baat karni hai
Mujhay thoda ujala do,basar ek raat karni hai
Tum apni roshan aankhoo'n ko
Agar kholo to main likhoo'n
Tumharay lab say aaey ga sukhan main ek katila pan
Tumhari aankh day day gi,takhatab ko nashila pan
Kaho aab kiya irada hai
Mujhay izhar karna hai
K bay taabee ziyada hai......!!!
wo ek lamha jab tumne mujhe dil se nikala tha
kaee sadiyon pe bhari tha
mujhe hijr ki be-mehr galiyon mein jabee asmaan se toot kar bikhray hoye
rah o rasm ke lahoo mien tar ba tar zarray
jamma karnay ko nikla tha
mein us lamhay ki dardish mein wajood e ishq ka ek be-kafan lashaa
laraztay, kanptay hathon pe phaelaye
bagolay ki tarah raqsaaN
her ek koochay se guzra hon
her dhaleez pe meine saf e maatam bichaayi
magar koi na bola
kisi ne barh kar mere hijr ka chahra nahi dekha
koi noha nahi likha
meri awaaz ki sab dastakien aur aaahien be-faiz thahri hai
so abh mein lout aya hon
mere paoon ko abh bhi ek jagah ruknay nahi deti hai
Kabhi kabhi main sochti hoon
Keh khwaabon ko Haqeeqat ka roop dena
Kitna mushkil hota hai
Kitna mushkil hota hai
Seene se dil ko nikaal kar phaink dena
Thukraye jaane ke ehsaas se guzarna
Judai ko mehsoos karna
Uss waQt sambhaalna khud ko
Jab apne haathon hi
Khushyion ko dafan karna ho..
Mohabbat ko nafrat ki mitti mein dabaana ho
Ehsasaat ko lafzon ki lari mein pirona ho
Kisi ko chahne ke ba-wajood pyar
Ke liye tarsana ho..
Kitna mushkil hota hai woh lamha..
Jab yeh maloom hota hai keh
Kis ko be-intehaa chahne par sila miley sirf be-rukhi
Kisi ke paas hone ke ehsaas se guzar kar
Usey khud se door karna ho..
Kitna mushkil hota hai..
Kabhi kabhi main sochtI hoon Kay
Yeh Sab Mohabbat Mein Hi Kyun Hota Hai
SochtI Rehti Hoon Main..
Lekin! Haan Main Tu Bhool Gaee
soch Tau Hai Meri Aik Hadh Tak..
Aur Aur Aur Aur
Mohabbat Tau Hoti Hi La Mehdood Hai
Chaand kabhe to taaron ki is bheer se niklay ga
Aur meri khirki mein aye
Bilkul tanha aur akaila
Mein us ko banhon mein bhar loon
Aik hi sans sab ki sab woh batien ker loon
Jo meray talon se chimti hain
Dil mein simti rehti hain
Sab kuch aisey hi ho jaye, jab hai naa
Chand meri khirki mein aye, tab hai naa
Aks khushboo hoon bikhernay say na rookay koee
aur bikher jaoon to mujh ko na samaytay koee
kaanp uth-ti hoon main yay sooch ker tanhaee may
mayray chahray pay tayra naam na perh lay koee
jiss terha khaab mayray ho gaa-aay rayza rayza
uss terha na kabi toot ker bikhray koee
main to uss din say harasaan hoon kay jab hukam milay
khushk phooloon ko abb kitaboon may na rakhay koee
abb to iss rah say woo shaks guzerta hi nahi
abb kis umeed pay derwazay say jhankay koee
koee aahat, koee aawaz koee chaap nahi
dil ki galiaan bari sunsaan hain , AA-AAY KOEE
chehre se parda hataalo zara,
jhukti nigaahein uthalo zara.
dhoop lag rahi hai, main jal rahaa hoon,
apni reshmi julfein bikhraalo zara.
teri aankhon ke mai se behek gaya hoon,
main gir raha hoon sambhaalo zara.
zamaane ke kaante chubhte hai mujhko,
mujhe apni baahon mein chhupaalo zara.
mere taraane adhure lag rahe hai,
apne hothon se chhu ke, inhe gaalo zara.
main akela hoon tanha hoon sadiyon se,
mujhe pyaar se apna banaalo zaraa...
chehre se parda hataalo zara,
jhukti nigaahein uthalo zara.
Faqat ek khwaab ki chaah mein har haqeeqat bhula di hum ne
Ab sochtay hain kyon khud ko yeh saza di hum ne
Donoo hi qaid rahay apni anaa ke hisaar mein
Na us ne murr ke dekha na sada dee hum ne
Is umeed pe ke kabhi tu shab-e-gham ki bhi sehar hogi
Tamaam umer tairgee mein hi bita dee hum ne
Rishtay bhi ajnabi thay ajnabi dayyaar ke
Wohi dushman-e-jaan huwa jissay dil mein jaga di hum ne
Ehl-e-duniya dushmani jane kis taur nibha letay hain
Ek dosti nibhaanay mein umer ganwa dee hum ne
Zindagi pehlay bhi kuch itni sehal nahee thee
Phir tujhe chaah ke aur bhi katthin bana lee hum ne
Un ko bhi ho khabar yeh zaroori tu nahee
Jin ki khaatir apni hasti tak mitta dee hum ne
Us ke laut kar aanay ka koi waada thaa na umeed
Jane kyon phir woh raah har shaam taki hum ne ...
Zindagi mein kabhi pyar mat karna,
ho jaye toh inkaar mat karna,
nibha sako toh chalna uski raha par,
varna kisi ki zindagi barbaad mat karna.
Log kehte hain ke ishq itna mat karo,
Ke husn sar pe sawar ho jaaye,
Hum kehte hain ke ishq itna karo,
Ke patthar dil ko bhi tumse pyaar ho jaye...
Ishq wale aankho se aankho ki baat samaj lete hai,
Sapne mein mil jaye to mulakat samaj lete hai,
Rota to aasman bhi apni dharti ke liye,
Log uske aansu ko BARSAAT samaj lete hai...
Daikhey hi nahen woh lab-o-rukhsaar woh gaisu...
Bas aik khanakti hui awaz ka jadu...
Hairaan-o-perishan liye phirta hai behar su,
Paband-e-tas.sawur nahen woh jalwa-e-betaab...
Ho door to jugnu hai karib aye to khushbu...
Lehraye to shaola hai channak jaye to ghungru,
Bandhay hain nigahon nain sadaoon ke bhe manzar...
woh kehkahay jaisey bhari bersaat mein ku ku...
Jaisey koi kamri sar-e-shamshaad lab-e-ju,
Ae dil teri baton pe kahan tak koi jaye...
Jazbaat ki duniya mein kahan soch ke pehlu...
Kab aye hain fitraak mein wehshat zada ahu,
Mana ke woh lab hon ** shafaq rang-o-sharar khu...
Shayad ke woh Aariz hon ** teray se bhe khush.ru...
Dilkash hi sahi halka-e-zulf-okham-e-Abru,
Yeah kis ko khabar kis ka muaqaddar hai yeah sab kuch...
Khuwabon ki ghata dur baras jaye gi aur tu...
Laut aye ga le ker faqat Aahein Faqat Aansu.
Tanha..hon is dasht mai sath de koi
hathon mai de hath aisa ho humsafer koi
mai hon piyasa aur teri ankheen hain jheel
is jheel tek mujh ko pohncha to de koi
nibhaen gai tamam umr ab tere sath
sharth ye hai k na aae dosra koi
mai lekh to *** dil pe woh naam mager
tera naam to mujh ko bata de koi
woh na bhi mila to kiya us ki yadeen to hain
bus in yaadoon ko na mujh se chenay koi...
Mohabbat rait jese hai
kisi bhi band muthi mein
magar ye bhi haqeeqt hai
achanak be_khyaali mein
bina sooche,bina samjhe
yunhi bas be_iraada he
ye muthi khul bhi jate hai
Ishq nain ker diya tujhay zaoq-e-tappish se ashna
Bazm ko misl-e-sham-e-bazm hasil-e-soz-o-saaz de
Shaan-e-karam pe hai madar ishq-e-girah ***haye ka
deer-o-haram ki qaid kiya! jis ko Woh beniaz de
Surat-e-shama-o-noor ki milti nahen kaba usey
Jis ko khuda nah dehar mein giryaa jaangudaz de
Taray mein woh, qamar mein woh jalwah gah sehar mein woh
Chasshm-e-nazarah mein na tu surma-e-imtiaz de
Ishq buland bala hai rasm-o-rahe niaz se
Husn hai mast-e-naaz agar tu bhe jawab-e-naaz de
peer-e-maghaan farang ki ma.y ka nishaat hai asar
Us mein woh kaif-e-gham nahen, mujh ko tu khana saaz de
Tujh ko khabar nahen hai kiya! bazm-e-kohan badal gai
Ab na khuda ke wastay in ko ma.ey mijaaz de
_________________
Chalo ik bar Phir sa Ajnabi ban Jain Ham Donon………..
Na Main Tum sa Koi Umeed Rakhon Dil nawazi ki ………….
Na Tum mairi Taraf Daikho Ghalat Andaz Nazron kay……….
Na Maira Dil ke Dharkan Larkharay Mairi Baton main ………
Na Zahir ho Tumhari Kash-Ma-kash ka Raaz Nazron say ……..
Chalo ik bar Phir sa Ajnabi ban Jain Ham Donon………..
Tumhain B Koi Ulgan Rokti hai Paish Qadmi say …… ……
Mujhay B log Kehtay hain ka Yeh Jalway Paray hain……..
Mairay Ham Rah B Raswaiyan hain Maira Maazi Ke ……….
Tumharay Sath B Guzri Hoi Raton Kay Sayyyy Hain ………..
Chalo ik bar Phir sa Ajnabi ban Jain Ham Donon
khali hathon
aur khokhli baton ka khail khailne wale
kabhi aao
aur aik bar phir khail ke dekho
hairat zada reh jane ke liye
aur hamesha hamesha ki shikast ko
apna naseeb banane ke leye tumhen yaad reh jaye ga
ke kabhi kabhi harne wala bhi
bohat bara khilari ban jata hai
Mera tamaam fun, meri kaavish, mera riyaaz
ik naa-tamaam geet kay misray hain jin kay beech
maani ka rabt hay naa kisi kaafiyay ka mail
anjaam jiss ka tay naa huwa ho aisa khail
mairi mataa buss yehi jadu hay ishq ka
seekha hay jis ko mainay barri mushkilon kay saath
laikin yeh saahir-e-ishq ka tuhfa ajeeb hay
khulta nahin hay kuch keh haqiqat mai kiya hay yeh
taqdeer ki ataa hay yah koi sazaa hay yeh
kis say kahain ay jaan keh yeh qissa ajeeb hay
kahnay ko yun to ishq ka jadu hay mairay paas
par mairay dil kay waastay itna hay iss ka bojh
seenay say ik pahaarr sa hateta nahin hay yeh
laikin asar kay baab mai halka hay iss qadar
tujh pay agar chalaaun to chalta nahin hay yeh
Arz-e-niaz-e-ishq ke kabil nahen raha
Jis dil pe naaz tha mujhay woh dil nahen raha
Jata hun dagh-e-hasrat-e-hasti liye huway
Hun shama-e-***htah der khor-e-mehfil nahen raha
Mernay ki aey dil aur hi tadbeer ker keah mein
Shayaan-e-dast-o-bazz-u-w.ay katil nahen raha
Aan shikarm ma.an keh laiq hum ba ***htam neestam
sharam meen ayad mera zaa naks keh sayyad man a.ast
Barooway shash juhat dar-e-aaina baz hai
Yan imtiaz-e-nakis-o-kamil nahen raha
wa ker diye hain shauq ne band-e-nuqab-e-husn
Ghair az nigah ab koi shauk hai.eyl nahen raha
Go mein raha raheen-e-sitam haye rozgar
Lakin teray khiyal se ghafil nahen raha
Dil se huway-e kasht-e-wafa mit gai keh waan
Hasil siwaye hasrat-e-hasil nahen raha
Baidad-e-ishq se nahen derta magar Asad
Jis dil pe naz tha mujhay woh dil nahen raha
hawa rukh badal bhi sakti hai
parindey apney baseron men shaam dhalney par
hua hai yun ke palatna bhi bhool jate hai
bahaar rut men darakhtoon ki tehniyon se kabhi
khizan se pahle hi patte bichadne lagte hain
aur aik umar guzari ho jin ke raston par
wohi tamaam riyazat ko dhool karte hain
tumhare lab pe ubharti khafeef hansi
yeh keh rahi hai bhala is main kya nayapan hai
magar tamaam kahani men ab naye tum ho
tumhain khabar hai
tumhare zuam-e-muhabbat aur wafaaon ke
issi bahaar men kheme ukhar bhi sakte hain
tumhain khabar hai
hawa rukh badal bhi sakti hai
nazar ki dhoop mein saye gholay hainn shab ki tarah
mein kab udas nahi tha mager na ab ki tarah
phir aj sher_e_tamana ki rahguzaroon say
guzer rahey hain kai log roz e shab ki tarah
tujhe tu meine bari arzoo se chaha tha
ya kia ke chor chala tu bhe aur sab ki tarah
fasurdagi hai mager wajay gum nahi maloom
ke dil pay bojh sa ha ranj bay sabab ki tarha
khelay tu ab ke bhi gulshan mein phool hain lakin
na mere zakham ki surat na tere lab ki tarah
Mujhay kiya gharz kahen se, yeah hai tera aastana
Na mujhay yahan se uthna, na kahin yahan se jana
Kabhe barish malamet, kabhe thokron ki afat
Sar-e-aashqi salamat, kabhe kuch bura na mana
Tumhein yaad bhe na ho ga, woh jo keah ke dil liya tha
Meray bas mein kaash hota, jo suna tha bhool jana
Meray sakht waqt mein bhe, yeah ataaye kafi shaery
Shab-e-gham ka, meri khatir, shab-e-maah ka ban ke ana
Nahen tum se koi shikwa, magar aik ilteja hai
Jo bana rahay ho halat, kabhe aa ke daikh jana
Rahay khalwat-e-tasawur, yun hi perda dar jalwah
Tumhen cheen lain gi nazrain, kahen samnay na ana
Mujhay haq hai in ke dil per, yun hi farz ker liya tha
Magar ab raza hai mushkil, yeah khayal aa ke jana
judaee denay walay tum se ummeed-e-wafaa kaisi
ta'aluq toot jaye jub
mohabbat rooth jaye jub
to phir rasm-e-duaa kaisi
millan ki iltija kaisi
bhanwar mein doltii kashtii pe sahil ki tammana kia
ukhartii sans hoon to zindagii ki bhi arzoo kia
jo manzil kho chukii hai us ki phir se justajoo bhi kyun
raza-e-dost per acha, sar tasleem-khum karna
sisaknay se yehi behter hai na-ummeed hi marna
mager dil ne tumhein kis wastay yaad rakha hai
tumhein kyun shairii mein aaj tak aabaad rakha hai
abhi tak main ne kyun khud ko bohat barbaad rakha hai
hawaa ke dosh per kyun nagma-e-faryaad rakha hai
judaee denay walay ashnaii ki qasam tum ko
tumhari be-wafaaii, kuj-adaaii ki qasam tum ko
mujh ko itna bata daina
wafaa ki chahaton ki mashalein kaisay bujhatay hein
nishaan kaisay mitatay hein
bhulana ho jinhein
un ko bhala kasay bhulatay hein
woh aashna bhi lage aur aashna na lage
woh bewafa tou lage phir bhi kuch bora na lage
rachee hoi hai mere bazo'on mein ous ki mehek
magar bataoon jise woh kahe fasana lage
baja,gali mein sabhi dhekhne ko nikhlein ge
humien tou yeh bhi na aane ka ek bahana lage
maamlaat hoon dil kay tou sochna kaesa
main kiya bataon muje kiya lage woh kiya na lage
hayat o maut hai kiya do qadam edher ya oudher
yeh do qadam k safar mein bhi ek zamana lage
yeh aag ese ne lagayii hai saare aalam mein
woh dhekhne mein jo rahat charagh e khana lage
aandhii chalii to naqsh-e-kaf-e-paa nahiin milaa
dil jis se mil gayaa vo dubaaraa nahiin milaa
aavaaz ko to kaun samajhataa ki duur duur
Khaamoshiyon kaa dard-shanaasaa nahiin milaa
ham anjuman mein sab kii taraf dekhate rahe
apanii tarah se koii akelaa nahiin milaa
kachche ghare ne jiit lii nadii charhii huii
mazabuut kashtiyon ko kinaaraa nahiin milaa
Jaur se baaz aaye par baaz aayain kya ?
Kehte haiN, ham tumko munh dikhlayain kya ?
Raat din gardish mein hain saat aasmaan
Ho rahega kuchch-na-kuchch ghabraayain kya ?
Laag ho to usko ham samjain lagaav
Jab na ho kuchch bhee, to dhoka khayain kya ?
Ho liye kyoN naamaabar ke saath-saath ?
Yaarab ! apne KHat ko ham pahoonchaayain kya ?
Mauj-e-khoon sar se guzar hee kyon na jaaye
Aastaan-e-yaar se uth jaayain kya ?
Umr bhar dekha kiye marne kee raah
Mar gaye par dekhiye dikhlaayain kya ?
Poochchte hain woh ki 'GHalib' kaun hai ?
Koee batlao ki ham batlaayain kya ?
Sabr har baar iKhtiyaar kiyaa
ham say hotaa naheeN, hazaar kiyaa
Aadatan" tum nay kar diyay va'aday
Aadatan" ham nay e'tebaar kiyaa
ham nay aksar tumhaari raahooN maeN
ruk kay apnaa hi intizaar kiyaa
phir nah maaNgaeN ** zindigi yaa-rab
yeh gunah ham nay aek baar kiyaa
kabhi khud pe kabhi halaat pe rona aya
baat nikli tou her baat pe rona aya
hum tou samje the k hum bhool gaye hain oun ko
kiya howa aaj yeh kis baat pe rona aya
kis liye jeetey hain hum kis k liye jeetey hain
baraha aese sawalaat pe rona aya
kon rota hai kisi aur ki khatir ae dost
sab ko apni hi kisi baat pe rona aya
Chaha tha hawa ko qaid ker loon
Paani ko muthiyon mein bhar loon
Baad-e-saba ki surat daikhoon
Rait se sahil pe ghar ker loon
Chahat ko dil mein band ker loon
Magar
Kiyun mohabat phail jati hai khushbu ki terhan
Dukh ke har pal mein tu meray qareeb tha
Dost tha ya tu mera raqeeb tha
Bandh rakha tha meri zaat ko tujh se
Yeah dard ka rishta bhe bra ajeeb tha
Zindegi guzar gai sari isi kashmakash mein
Gumaan tha mera ya tu naseeb tha
Woh jis ke hathon ka khanjar zakhm daita raha
Kamal baat keah wohi mera tabib tha.
kal ye likhti theen bicharna tumhein manzoor nahin
ab yeh kehti hoo "meray khat mujhey wapass kar doo"
zikr, pairon mein chanakti hui zanjeer ka hai
uzr, beemaari-e-dil, gardish-e-taqdeer ka hai
fikr , khwaabon ki bigarti hui taabeer kaa
khouff guzrey howey din raat ki tash'heer ka hai
goya tum jaisa jahan mein koi majboor nahin
kal ye likhti theen bicharna tumhein manzoor nahin
ab yeh kehti hoo "meray khat mujhey wapass kar doo"
gul-e-afsurda-o-maghmoom ho pehlay ki tarha
harf-e-taskeen sey mehroom hoo pehlay ki tarha
her sitam kar kay bhi mazloom ho pehlay ki tarha
yani masoom ki masoom ho pehlay ki tarha
yeh alag baat ke chehrey pey kahin noor nahin
kal ye likhti theen bicharna tumhein manzoor nahin
ab yeh kehti hoo "meray khat mujhey wapass kar doo"
mein safaaee koi doon ga , na wazaahat doon gaa
tum ko wapass mein tumhaari yeh amaanat doon gaa
phir kabhi tum sey na milney ki zamaanat doon gaa
bass tumhein tark-e-marasim pey yeh zehmat doon gaa
tum ho be-chain tou mein bhi koi masroor nahin
kal ye likhti theen bicharna tumhein manzoor nahin
ab yeh kehti hoo "meray khat mujhey wapass kar doo"
tum pey qarz hai awwal , mujhey wapass kar doo
mera beeta hua har pal mujhey wapass kar doo
mera barsa hua badal mujhey wapass kar doo
apney khat ley loo , mera kal mujhey wapass kar doo
yeh muhabbat ki sahar hai , shab-e-dijoor nahin
kal ye likhti theen bicharna tumhein manzoor nahin
ab yeh kehti hoo "meray khat mujhey wapass kar doo"
Mujhe koi aisa raasta bata
Ke jis per chal kar
Mein tujhe bhool sakoon
Ya phir
Mujhe koi aisi raah dikhlaa
Jis per chaltay huwe
Mein tere saath guzre huwe
Lamhoon ki rafaaqat
Ek khwaab samajh kar
Bhula sakoon
Ya phir
Mujhe koi aisi simt bataa
Jahaan jatay huwe
Mein tujhe na sochoon
Na hi tujhe yaad karoon
Aur
Agar aisa koi raasta
Aisi koi raah
Aisi koi simt
Nahe hai tere paas
Tu phir
Mujhe mere haal pe chor day
Mere Dil mein Tumhari Yaadon kay..
Kuch Anmol Moti They..
Mein Tumhari Yaadon k un..
Anmol Motiyon say..
Apni Bayronaq Zindagi ko Sajana Chahta Tha..
Mein Apnay Dil k Taptay Sehra Mein..
Tumhari Mohabbat ka Abar Chahta Tha..
Mein Kebhi Younhi Chaltay Howey..
Tanhai Mein Tumhein..
Tumhein Sochtay Howey..
Yeh Jaan Kar Bhi k..
Tumhein Kho Chuka Hoon..
Phir Bhi Tumhein Paana Chahta Tha..
Mein Aahista Aahista Tumahri Baaton mein..
Dheeray Dheeray Tumahri Aankhon mein..
Aur phir !
Tumharey Dil Mein Aana Chahta tha..
Lekin !
Ab Yeh Sab Khwaab sa Legta Hai..
Aur Khwaab !
Kabhi Sachay Nahi Hotey.
yeh jo naya ehasas sa dil par chaaya hai,
tere pyar ki hi toh maya hai........
maine na jane khud ko kabse..
in parshano mein uljha paya hai,
tumne kahan jawabo ko chipaya hai.
tumne kyu mere sawalo ko churaya hai.......
khud ko kyu dekha hai wahan .....
jahan tum ko nahi paya hai.
aur tum kyu ho wahan ........?
jahan mera saya bhi nazar nahi aaya hai......
.
tab mere dil ne hans kar ........
bas yahi sangeet sunaya hai......
pyar ki meethi baaton ka ......
mujhko yah raaz bataya hai.......
ek pyar ka taar juda hai dono mein,
jahan main hun wahan tum ho.....
jahan tum ho wahan main hun.......
yahi vishwas dilane ko
dono ki aankho mein ek khumaar sa chhaya hai.................
nikatata hi bas ek sach hai....
har duri ek saya hai........
yah jo naya ehasas sa dil per chhayaa hai.
yer tere hi pyar ki toh maya hai..........
ret kii chaadar meN lipTe ye falak ke shaahkaar
jin ko dho jaatii hai aa kar mauj-e-daryaa baar baar
shaam kii rangeeniyaaN jin ko banaayeN aabdaar
sub.ha aa kar jin pe Daale Khushnumaa shabnam ke haar
seepiyaaN kahne ko musht-e-Khaak haiN
zeest ke asbaaq haiN in meN magar pinhaaN bahut
seekhnaa chaaheN to seekheN in se ham insaaN bahut
aur is ke vaaste laazim nahiiN saamaaN bahut
hai nazar vaaloN kii Khaatir kaam ye aasaaN bahut
paaniyoN meN in kii paidaaish huii
kheNch laayaa phir naseeb in ko uThaa kar ret meN
pahle ghabraayiiN bahut ye Khud ko paa kar ret meN
phir kahaa, ab kyaa milegaa chhaTpaTaa kar ret meN
kyoN na bas jaayeN yaheeN ham ghar banaa kar ret meN!
seepiyoN kii kokh meN motii banaa
jis ne paayii jaa-e-shaukat, baadshaahoN kii jabeeN
seepiyoN ke haath aayii to faqat Khaak-e-zameeN
phir bhii in ke lab pe dekho, ik shikaayat tak naheeN
haiN ba.har.suurat balaa kii mutma.in apne taeeN
nafrat-o-keenaa nahiiN in meN koii
ruandtaa hai aadmii pairoN tale in ko, magar
bantii haiN saamaan aaraaish kaa ye us ke hii ghar
koii bachchaa jab inheN rakhtaa hai apne haath par
kis qadar us ko Khushii detii haiN ho ke jalvah.gar!
saahil-e-daryaa pe bikhriiN seepiyaaN!
shehr-e-dil ki udaas galioN meiN
zindagi baal bikhraaye
apnaa haq maangti rahi aur hum
apnay kaanoN meiN ungliaaN Daalay
apnay maabud ke ishaaroN per
uss ki chokhaT pe sajdaa rez rahay
merii tanhaa’ii kaa ye andhaa shigaaf
ye ke saaNsoN kii tarah mere saath chaltaa rahaa
jo merii nabz kii maanind mere saath jiyaa
jisko aate hu’e jaate hu’e be-shumaar lamhe
apnii sanglaaKh ungliyoN se gehraa karte rahe, karte gaye
kisii kii oak paa lene ko lahuu bahtaa rahaa
kisii ko ham-nafas kahne kii justujuu meN rahaa
ko’ii to ho jo be-saaKhtaa isko pahchaane
taRap ke palte, achaanak ise pukaar uThThe
‘mere ham-shaaKh
mere ham-shaaKh merii udaasiyoN ke hissedaar
mere adhuurepan ke dost
tamaam zakhm jo tere haiN
mere dard tamaam
terii karaah kaa rishtaa hai merii aahoN se
tuu ek masjid-e-viiraaN hai, maiN terii azaaN
azaaN jo apnii hii viiraangii se takraa kar
dhakii chhupii hu’ii bevaa zamiiN ke daaman par
paRhe namaaz Khudaa jaane kisko sijdaa kare’
Ab mere dihaan mein ous shakhs ka chehra bhi nahi
main ouse bhool chukii hoon magar aesa bhi nahi
roz ho'ley se darecha mera kiyon kholta hai
koi aahat koi dastak koi jhonka bhi nahi
ghar banayien ge kabhi hum bhi kinaar e darya
aaj go'o hum ko mayesar koi qatra bhi nahi
woh agar ro'ot bhi jaye tou manna loongi ouse
itna piyara hai woh jis se koi rishta bhi nahi
aap ka shher hai ya sheher e tamana hai yahan
aagaye aur dam e wapasien rasta bhi nahi
main agar ous k liye jaa'n se guzar jaon tou kiya
aik bereham jo merey liye tarpa bhi nahi
dil mein barsoon se samaitey hoon main gehra sagar
aur bas mein mere halaat ka darya bhi nahi
_________________
wo log bohut khush qismat thay
jo ishq ko kaam sumujhutay thay
ya kaam say aashqi kurtay thay
hum jeetay ji musroof rahay
kuch ishq kiya,kuch kaam kiya
kaam ishq kay aaray aata raha
or ishq say kaam ulujhuta raha
phir aakhir tung aa kur hum nay
dono ko udhoraa choor diya.......
wo chand phool jo rakhey they kabhi kitaboon mein
aaj tak un k kaantey dil mein chubha kertey hain
han wohi khuwaab jo daikhey na they kabhi humnay
unhi k khauf say ratoon ko jaga kertey hain
bas ek teyri beyrukhi say dil tarapta hai
werna ye loog kya kuch kam khuwaar kertey hain
kaisay badzook hain jo shair samajhtey he nahein
or ek hum hain k khud shair kaha kertey hain
ki mohabbat to ker dawa ye derna kaisa
naam waloon ko sab badnaam kiya kertey hain
loog baywafa hain is liye hum gila nahi kertey
dard berh jaye to bas yaar-e-khuda kertey hain
vafaa ke shiish mahal mein sajaa liyaa main ne
vo ek dil jise patthar banaa liyaa main ne
ye soch kar ki na ho taak mein Khushii koii
Gamon ki oT mein Khud ko chhupaa liyaa main ne
kabhii na Khatm kiyaa main ne roshanii kaa muhaaz
agar chiraaG bujhaa, dil jalaa liyaa main ne
kamaal ye hai ki jo dushman pe chalaanaa thaa
vo tiir apane kaleje pe khaa liyaa main ne
'Qateel' jisakii adaavat mein ek pyaar bhii thaa
us aadamii ko gale se lagaa liyaa main ne
Chahre parta Aankheen likhta rahta hoon
Main bhi kaisi bateen likhta rahta hoon
Tere hjer main aur mujhe kya kerna hai
Tere naam kitabeen likhta rahta hoon
Teri zulaf ke saye dhayan main rahte hain
Main subhon ko shameen likhta rahta hoon
andhera ghup andhera char soo hay
koi shamma jalana chahtey hoon
main apni zaat kay andar
ujala chahtey hoon,
mohabbat ki shama ho
ya koi ummeed ki shamma
shama aisi kabhi jo bujh na paye,
andhera weham ka
halaat ka bhi
na jiss ki roshni ko
maand ker paye kabhi bhi,
harart jis ki lo ki
zindagi bakhshay merey murda badan ko.
haan !
tumhari zaat key andar
kabhi woh roshni dekhey thi main ne
magar.......
ab merey ankhoon se
siyah ansoo tapaktey hain,.....!
aisi he sard shaam thi wo bhi
jab wo mahndi rachaaye haathon mein
apni aahat ke Khauf se larzaaN
surKh aanchal mein moun chipaaye hue
apne khat mujh se lene ayi thi
us ki sahmi hui nigaahon mein
kitni Khaamosh iltijaayeiN thien
us ke chehre ki zard rangat mein
kitni majbooriyon ke saaye the
mere haathon se khat pakaDte he
jaane kya soch kar achaanak wo
mera shanaa pakaD kar roi thi
us ke yaaqoot rang hoonton ke
kap_kapaate hue kinaaron par
saikDon ankhe fasaane the
sard shaamon mein der tak aksar
jab ye manzar dikhaai deta hai
ek lamha hinaai haathon se
mujh ko apni taraf bulata hai
hum_nasheen rooth kar na ja mujh se
aisi he sard shaam thi wo bhi
tere milne ka ek lamha
bas ek lamha sahi lekin
bikhar jaey to mausam hai
wafa ka be karaaN mausam
azal se maherbaaN mausam
yeh mausam ankh main utre
to rangoN se dehakti raushni ka
aks kehlaey!
yeh mausam dil main thehre to
sunehri, sochti sadyon ka
gehra naqsh ban jaey!
tere milne ka ek lamha
muqaddar ki lakeeron main
dhanak bharne ka mausam hai!!!
yeh mausam....
khubsurat shairi kerne ka mausam hai
Kaash Koi Samjha Daita ...
Guftago K Lamhon Main
Daikh He Nahi Paatay
Ham Tumharay Chayhray Ko
Tum Hamari Aankhon Ko
Aaj Aisa Kartay Hain
Chasm-o-lab Ko Parhtay Hain
Baat Chor Datay Hain
Janey Kiya Lamha Hoga
Jab Ye Hath Hathon Say
Gar Kabhi Juda Hoga
Aaj Aisa Kartay Hain
Zabt-e-Jaan Parakhtay Hain
Hath Chor Datay Hain
Kash Koi Samjha Day
Loag Kis Tarah Dil Ki
Manzilain Alag Kar Kay
Saath Chor Datay Hain
Aaj Aisa Kartay Hain
Bey-sabab Bikhartay Hain
Zaat Taur Datay Hain...
Ishq ruswa hua hi karta hai
is ka charcha hua hi karta hai,
jaan bhi mangte hain dil lekar
ye takaza hua hi karta hai,
apne humse bewafai ki
khair aisa hua hi karta hai,
dil tera hogeya to kia gum hai
ye kisi ka hua hi karta hai.
her baat mein mehekey howe jazbaat ki khushboo
yaad ayi bohat pehli mulaqaat ki khushboo
hontoon pe abhi phool ki pati ki mehek hai
saansoon mein rachi hai teri sughaat ki khusboo
ye noor kaisa hai
raaKh ka sa rang pahne
barf ki laash hai
laavay ka sa badan pahne
ghoongi chaahat hai
ruswaai ka kafan pahne
har ek qatra muqaddas hai mailay aansoo ka
ek hujuum-e-apaahij hai aab-e-kausar par
ye kaisaa shor hai jo be-aawaaz phaila hai
rupahli chaaoon mein - badnaamioN ka deraa hai
ye kaisi jannat hai jo chaunk-chaunk jati hai
ek intizar-e-mujassam ka naam - Khamoshi
aur ehsaas-e-bekaraaN pe ye sarhad kaisi?
dar-o-deewaar kahaaN roh ki aawaargi ke
noor ki vaadi talak lams ka ek safar-e-taveel
har ek moR pe bas do he naam milte hain
maut kah lo - jo muhabbat nahi kahne pao
Bheege bheege ankhoon se ansoo roku kaise
Apni anhkon me sajaye khawabo ko toru kaise
wo jaraha he sare khawabo ko toor ke
me us jani wale ko kya sada de ker roku kaise
zindagi me har khawab ko tabeer nahi milti
ya sach man ki me apna bharam toru kaise
aj bhekhar gaya ek masoom mohabbat ka khawab
me apni bhekhree hui zindagi ko sameetu kaise
we-shat se hone lage he khawabo se mujhee
me apni neend ka daman khawabo se churau kaise.
usay kehna
tumharay hijr ka be dard mosam
mere aangan main dukh phaila raha hai
mere hoonton pe chup se lag gai hia
mujhe tanhai dasnay lag gai hia
usay kehna
tere janay ka mosam
aankh main thera hoa hia
badan ik khoof main lipta hoa hai
tumhara hijr haad se barh chuka hai
meri sansain ukharti ja rahi hian
main thak ke tootnay wala hoon
main tum se rabta na toor baithoon
kahin main hosla na choor baithoon
usay kehna!!!!!
kabhi milnay chala aaye
Dard phail jaye tu aik waqat aata hay
Dil dharkta rehta hay
Arzoo gazidoon kay hoslay nahi chaltay
Dasht-e- bay yaqeeni main asray nahi chaltay
Rah-ro-on ki ankoon main
Manzalen na jab tak hoon, qaflay nahi chaltay
Ik zara tavajo say daikiye tu khulta hay
Log in per chaltay hain,rastay nahi chaltay
Sochnay samajnay say,saath saath chalnay say
Doriyan smat-ti hain,faslay nahi chaltay
Khowab khowab ankoon main ratjagay nahi chaltay
Darguzar kay halqay main masalay nahi chaltay
Do diloon ki qurbat main teesra nahi hota
Vastay nahi chaltay
Bakhat sathh chalta hay taal-e-azmaon kay
Waqat raam kernay main tujzeeon kay dao kya
Tajrabay nahi chaltay
Ishaq kay ilaqay main hukm-e- yar chalta hay
Zaabtay nahi chaltay
Husan ki adalat main aajzi tu chalti hay
Mertabay nahi chaltay
Dosti kay rishtoon ki perwarish zarori hay
Silsalay taluk kay, khud say ban tu jatay hain
Lakin in shagofoon ko totnay bikharnay say
Rokna bhi perta hay
Chahatoon ki matti ko, arzo kay poday ko
Senchna bhi perta hay
Ranjishon ki baton ko bolna bhi perta hay
aaj to be-sabab udaas hai jii
ishq hotaa to ko_ii baat bhii thii
jalataa phirataa huu.N kyuu.N do-paharo.n me.n
jaane kyaa chiiz kho ga_ii merii
vahii.n phirataa huu.N mai.n bhii Khaak ba-sar
is bhare shahar me.n hai ek galii
chhupataa phirataa hai ishq duniyaa se
phailatii jaa rahii hai rusvaa_ii
ham_nashii.n kyaa kahuu.N ke vo kyaa hai
chho.D ye baat niind u.Dane lagii
aaj to vo bhii kuchh Khaamosh saa thaa
mai.n ne bhii us se ko_ii baat na kii
ek dam us ke haath chuum liye
ye mujhe baiThe baiThe kyaa suujhii
tuu jo itanaa udaas hai 'Nasir'
tujhe kyaa ho gayaa bataa to sahii
Tum ajeeb hi meri chahat ke nasiboon ki tarhan
munslik gham ke tasalsul ki guhagari se
beqrari ki ager shakal koi hoti too wo tum hotay
ya ke pas main hota
tum ajeeb ho meri aankhon ki tarhan
apni veerani se bahir ki beyabani ko takti hoi
janay kis khadshay main gum soch main khoi hoi
kuch soch ke ghabrai hoi
tum ajeeb ho
mere sheeron ki tarah
raat ke jagay hoay
dhoop main kamlaye hoay
hijr ki rah guzaroon ki tarha
bal main bal khaye hoay
dour tuk chai hoi
zard ghata ki tarha
tum ajeeb ho mere khawaboon ki tarha
umr se ujray hoay, bikhray hoay , tarsay hoay
tum ajeeb ho mere nainoon ki tarah
barsay hoay , barsay hoay
Us ke bina ab chup chap rehna acha lagta hai....
Khamoshi sey dard ko sehna acha lagta hai....
Jis hasti ki yaad mein aanso barastey hain....
Samne Us ke kuch naa kehna acha lagta hai....
Mil kar Us se bichar naa jaaon darti rehti hoon....
Iss liye bas door hi rehna acha lagta hai....
Shahab tha k sitara garezpa he laga
woh apni zaat ke har rang mein juda he laga
mein asay shakhs ki masumiyat pe kia likhooon
jo mujh ko apni khataaon mein bala he laga
ziban se chup he magar ankh baat karti hai
nazar uthai hai jab bhi tu bulata he laga
jo khwab dene pe qadir tha meri nazro mein
azab dete huwe bhi mujhe Khuda he laga
na mere lutf pe heran na apni uljhan per
muje to ye shakhs har shaks se juda he laga
TumheiN maloom hai hum ney
Kisi k Hijer meiN
Yeh kesi zindagi guzari hai
Her ik khushboo ki aahut per
GumaaN us ka guzerta tha
Her ik saay'ut pey dil ankhouN meiN aaker
Beth jata tha
Kaii pehloo badalti khuwahisheiN
HathouN ko phelaye
DuwaieN mangti - or Haanpti
Dil sey guzerti theiN
Mager jo hijer laahuq hai
woh jism o jaaN ki dewareiN girata hai
Umed o Pehum ki ankhouN sey
Benayee k sarey manzarouN ko
Khak kerta hai or mitata hai
So hum bhi khak heiN
or khak ki taqdeer mein likha hai
Bey amaaN rehna
Yeh Manzil Akhri Kab Hai!
Abhi tou ebtada ho gi
Naye afkar mahkain **
Kahin halchal nai ho gi
Safar ki dastano main
Tafaqur kay zamano main
Yahi dil ko guman ho ga
Yeh Manzil Akhri Kab Hai!
Abi tou ebtada ho gi
Had imkaan say agay
Bohot say rastay hon **
Baray dilkash jazeron say
Nazar kay faslay ho **
Uffaq kay har jana ho
Dhanak ka raaz pana ho
Tou phir jazba jawan ho ga
Yeh Manzil Akhri Kab Hai!
Abi tou ebtada ho gi..
Kabhi taseer jab ho gi
Kisi mokhlis ki baton main
Wafa ki dastan lab par
Sunahri chand raton main
Ghata ghanghor chaye gi
Fiza naghmay lotaye gi
Teeqan ka saman ho ga
Yeh Manzil Akhri Kab Hai
Abi tou ebtada ho gi..
Fareeb zindgi say ham
Abhi tou behal jaye **
Nazar main arzoo kay
Haseen sapnay sajaye **
Pohnch kar manzilon par jab
Nai manzil pukaray gi
Tou phir khud par ayyan ho ga
Yeh Manzil Akhri Kab Hai!
Abi tou ebtada ho gi..
Wafa kay raazdano ko
Yonhi din raat chalna hai
Jahan ki thokar main bhi
Hamay gir kar sambhalna hai
Muqadar phir sanwarain gi
Kathin rahain pukarain gi
Sankhor karwan ho ga
Yeh Manzil Akhri Kab Hai!
Abi tou ebtada ho gi..
Magar safaq lamhon main
Agar ik sans ruk jaye
Dil baytab chupkay say
Nazar kay sath jhuk jaye
Fiza bhi roth jaye tou
Yeh daman *** jaye tou
Koi noha kana ho ga
Yeh Manzil Akhri Kab Hai!
Abi tou ebtada ho gi..
Jab Yad ka album kholoo'n tu kuch log bohat yad atay hei'n
Mei'n apna bachpan sochoo'n tu kuch log bohat yad atay hei'n
Ab janay kis nagari mei'n ja kar soay hoay hei'n barsoo'n say
Mein raat ga'ay tak jagoo'n tu kuch log bohat yad atay hei'n
Kuch batai'n thei'n phoolo'n jaisi, kuch khushboo jaisay lehjay they
Mei'n sehan-e-chaman mei'n tehloo'n tu kuch log bohat yad atay hei'n
Jub punchi lout kar atay hei'n or sham ki lali parrti hey
Mei'n jheel kinaray baithoo'n tu kuch log bohat yad atay hei'n
In ulti seedi raikhaoo'n koo pehroo'n chooma kartay they
Mei'n apni hathali daikhoo'n tu kuch log bohat yad atay hei'n
Woo pal bhar ki narazgiyan, or maan b jana pal bhar mei'n
Ab Arshad khud say roothoo'n tu kuch log bohat yad atay hei'n
_________________
raat ki besakoon Khamoshi mein
ro raha hon ki so nahi sakta
raahaton ke mahal banata hai
dil jo aabaad ho nahi sakta
door shama-e-Khayaal ke maanind
shama vaadi ki jhil_milaati hai
yaas ke beqaraan andhere mein
ek umeed muskurati hai
door parbat ke paas charwaha
kho gaya ghum_fazaa taraanon mein
bain karti hai ruuh-e-zaKhm_aaluud
baansuri ki naheef taanon mein
tere jaane kaa Gam bhulaataa huu.N
tere aane ki yaad aati hai
haaye is bebasii ke aalam mein
kis zamaane ki yaad aati hai
shab ko veeraan rah_guzaaron se
sar jhukaaye hue guzarta hon
qah_qahon mein qaraar khoya tha
aansuon mein talaash karta hoon
tumhara yeh sard sa rawaya
mere liye hijr ki alamat bana howa hai
tumhari sochoon ka aaina bhi
muje hi mujrim bana raha hai
tou.....maine inkaar kab kiya hai
woh sari baatien,jo maine ki thien
tamam waade jo tum se mansoob ho rahe the
wesal lamhe jo beyaqeeni k mausamoon mein simat aa gaye the
haqeeqatien khawab ban gayien thien
woh sare mashrooth faisaley jo mere liye the
ounhien bhola do
k ab ziyada lachak bhi kiya dosti mein ho gi
main jeet ker bhi tumhare qadmoon mein
aa gira hoon.....
Nazar se dil mein samane wale,meri mohabbat tere liye hai
wafa ki duniya mein ane wale,wafa ki daulat tere liye hai
khari hoon main raastey mein,jawa'n umeedoon k phool le ker
mahekti zolfoon,behakti nazroon ki garam jannat tere liye hai
siwa tere aarzoo k es dil mein koi bhi aarzoo nahi hai
her ek jazba,her ek dharkan,her ek hasrat tere liye hai
mere khayaloon k narm pardoon se jhank ker muskerane wale
hazar khawaboon se jo saji hai woh ek haqeeqat tere liye hai!!
tum ab to aa milo ham se
na jaane kab hamari zindagi ki shaam ho jaaye
jo ankhon main chamakta hai nazar ko jagmagta hai
wo jugnoo maand ho jaaye
jo dharkan main utarta hai
hamain dilshaad karta hai
wo naghma khwab ho jaaye
tum ab to aa milo ham se
ke tum hi ho
ke jis ke saath hamain har rah chalna hai
safar ki shiddaton mehroomion ko zabt karna hai
jahan pe tum bichar jaao
usi raste pe ham ko zindagi ki sham karna hai
tumhare sath ubharna aur tumhare saath dhalna hai
tum ab to aa milo ham se...
kuch khwab khwab reh jaate hai
kuch sapne adhure reh jaate hai
chahat ka wada wafa ki kasmein
kagaz pe chand tehrerein reh jaati hai
tujhse milna tujhe paane ki aarzoo
kuch khwahishein hasratein reh jaati hai
tere saath bita waqt tere sang guzre lamhe
maazi k faqt yaadein reh jaati hai.
Suraj se kaho chamakana **** de,
sitaro se kaho timtimana ****e do,
Tum milne nahi aasakte ho to,
apni yado se kaho ki yun satana **** de.
Pane se khone ka maza aur hai,
Band ankho se dekne ka maza aur hai,
asu bane lafz aur lafz gazal,
teri yadon ke sath
JINE KA MAZA KUCH aur hai.
Hoti nahi MoHaBBat surat se,
MoHaBBaT to dil se hoti hai,
surat unki khud hi pyari lagti hai,
qadar jinki dil me hoti hai.
Ankh jalti hai meri neend main bhi
raat ki zulfon main jaaney kia hai
aankh k shaanoun par lehraatey hee
her taraf dhoop jaga deti hain
aankh ko neend say dur lagta hai
neend ko khuwaab say dur lagta hay
khuwaab ko apney bikhar jaaney say dur lagta hai
roz aa aa ke koi yaad, koi ghum
koi weeraani si
daal jaati hai meri royi hui aankh main rait
neend is zor say chubhti hai mujhay
aankh main chaaalay parhey houn jaisey~!!
wo apne ishq mein kesa kamaal rakhta hai
ke berukhi mein b, mera khiyaal rakhta hai
-
jo aj mera nahin hai woh kal tu mera ho ga
ke her zamana urooj-o-zawaal rakhta hai
-
ajab nahi wo jahan bhar ko bewafa samjhe
nazar mein meri wafa ki misaal rakhta hai
-
kahan talak koi dast-e-karam ko zehmat de
tamaam shehar he dast-e-sawaal rakhta hai
-
mera urhaan ke aage hai kis qadar be bas
yeh aasman jo sitaron ka jaal rakhta hai
-
tera khiyal he kuch mehrabaan hai warna
jahan mein kon kisi ka khiyaal rakhta hai
aisa ke un se muhabbat nahi rahi
jazbat mein wo pehli se shiddat nahi rahi
-
sar mein wo intezaar ki himmat nahi rahi
dil per wo dharhkano ki hukoomat nahi rahi
-
paiham tawaaf-e-koocha-e-jaana ke din gaay
pairon mein chalne phirne ki taaqat nahi rahi
-
chehre ki jhurion ne bhayanak bana dia
aaina dekhne ki b himmat nahi rahi
-
kamzori-e-nigaah ne sanjeeda ker dia
jalvon se cherh chaarh ki aadat nahi rahi
-
Allah jaane MAUT kahan MAR gai Khumaar
Ab mujh ko zindagi ki zururat nahi rahi
mujh ko shikast-e-dil ka maza yaad aa gia
tum q udaas ho tumhem kia yaad aa gia?
-
waaiz! Salam le ke chala may-kaday ko mein
firdaus-e-gum shuda ka pata yaad aa gi
-
MAANGE GE ABB DUA KE USSE BHOOL JAIN HUM
LEKIN JO WO B WAKT-E-DUA YAAD AA GIA
-
kehne ko zindagi thi bohat mukhtasi mager
kuch yoon basar hoi ke khuda yaad aa gia
-
barse baghar he jo ghatta ghir ke khul gai
ek beawafa ka ehd-e-wafa yaad aa gia
-
herat hai tum ko dekh ke masjid mein aay Khumar
kia baat ho gai ke khuda yaad aa gia?
Mohabat zat hoti hai
Mohabat zat ki takmeel hoti hai
Koi jungle main ja thehray kissi basti main bus jaye
Mohabat sath hoti hai
Mohabat khushbuon ki hai
Mohabat mausmon ka dhun
Mohabat aabsharon kay nikhartay paniyon ka mann
Mohabat junglon main raks karti morni ka tann
Mohabat barf parti sardiyon main dhoop banti hai
Mohabat chilchilatay garum sehraon main thandi chaon ki manind
Mohabat ujalti duniya main apnay gaon ki manind
Mohabat dil
Mohabat jaan
Mohabat rooh ka darmaan
Mohabat moorti hai
Aur kabhi jo dil ke mun main kehain per toot jaye tu
mohabat kaanch ki guriya
Fizaon main kissi ke haath say gar *** jaye to
mohabat aabla hai karb ka
Aur phoot jaye to
Mohabat roug hoti hai
Mohabat soug hoti hai
Mohabat sham hoti hai
Mohabat jhilmilati ankh main barsaat hoti hai
Mohabat neend ki rutt main
haseen khuwabon ke ruston par
sulagti jaan ko aati rat-jagon ki ghaat hoti hai
Mohabat jeet hoti hai
Mohabat maat hoti hai
Par haan …
mohabat zat hoti hai
bhooli hoi sada hoon, mujhe yaad kijiye
tum se kahin mila hoon, mujhe yaad kijiye
-
manzil nahi hon, khizr nahi, rahzan nahi
manzil ka rasta hoon, mujhe yaad kijiye
-
naghmon ki ibtida thi, kabi mere naam se
ashkon ki inteha hoon, mujhe yaad kijiye
-
gum-sum kharhi hain dono jahan ki haqeeqatain
main un se keh raha hoon, mujhe yaad kijiye!!!
-
Saghar kisi ke husn-e-taghaful sha'ar ki
behki hoi ada hoon, mujhe yaad kijiye
na ji bhar k dekha na kuch bat ki
barhi arzu thi mulakat ki
-
ujaalon ki pariyan nahaane lagiin
nadi gungunai khayalaat ki
-
main chup tha tu chalti hawa ruk gai
zuban sab samajhte hain jazbaat ki
-
sitaaron ko shayad khabar he nahi
musafir ne jaane kahan raat ki
-
muqaddar mere chashm-e-pur aab ka
barasti hoi raat.... barsaat ki
Muhabbat Ki Raahon Pey Kyun Bhagtey Ho Saraabon Mein
Jo La-haasil Hai Uss Ko Haasil Bana Nahi Saktey
Jo Pyar Tujhey Na Mil Saka Woh Pyar To Tha Rayega
Zindagi Ki Talkh Haqeeqat Ko Yoon Jhutla Nahin Saktey
Gar Yadoon Ko Bana Lo Gey Kamzori Apni
To Jee To Lo Gey Magar Uss Ko Bhula Nahin Saktey
Kyun Khurachtey Ho Zakham-e-Dil Ko Kyun Detay Ho Duhaiyan
Ke Zakhmon Ko Khurachney Say Zakham Bhara Nahin Kartey.. !
kya dhoond rahe ho tum
hum hein tumare pass
num na karo ye ankhien dil dukhta hai humara
hum chahe door ho jayein tum mat hona udaas
gumsum na raho preshani batao
mehsoos kar ke dekho mein hoon tumara ehsas
jo meil jate hein pyar mein wo hotey nhin juda
hum mar be gaye toh kya dil toh hai tumarey pass
sun loh ae jana mein aoonga laot ke
poorey hoongey sarey wadey poori hogi har ik aas
baat niklay gi to phir
dur talak jai gi
log bay-wajha udaasi
ka sabab poochain **
yeh bhi poochain **
kay tum itni paraishain kyoon ho
unglian oothain gi
sookhay howay baloon ki taraf
ek nazar dekhain gi
guzray howay saloon ki taraf
choorioon par bhi kai
tanz kiyay jain **
kamptay hatoon par bhi
fiqray kasay jain **
log zalim hain
har ek baat ka ta'ana dain **
batoon batoon main
mera ziqar bhi lay aain **
unki batoon zara sa bhi
asar mat laina
warna chehray kay
ta'asur say samagh jain **
chahay kuch bhi ho
sawalat na karna unsay
mairay baray main
koi baat na karna unsay
baat niklay gi to phir
dur talak jai gi
Jab se logon ne kaha tumse ki meri chaahat teri kaabiliyat nahin...
Tab se meine apne dil ko samjhaaya ki hamari koyi hasiyat nahin...
Kaise bataoun kissi ko ki aaj kitni zakhmi houi hai ye haalat meri...
Lagta hai Khuda ne kaha mujhse ki ab chahiye teri ibadat nahin...
Mein sirf ek tanha rahi houn, saath liye phirta houn tanhaei meri...
Kai baar tUm ko samjhaya bhi meine ki meri koyi keemat nahin...
Apni ankhein to kholo, saaf nazar aayegi tumhein har asliyat meri...
Yakeen karo tumhare apnon par, unki ek bhi alfaaz ghalat nahin...
Pal rahi hai jo aaj tere sine main, hogi kissi janam ki amaanat meri...
Tum laher bani aur mein sahil hi raha, abhi milan ki ijaazat nahin...
Teri hi khayalon main khokar kalaam likhna bangayi thi aadat meri...
Dil se aaj samjhauta kiya humne ki ab inhein deinge daawat nahin...
Tumhari chaahat ko dagaa dein, sach maano! Ye nahin niyyat meri...
Jisse apne rouh main basa liya humne, Wo kabhi hogi ruksat nahin...
Humere khayalon mein to aap hain
aur meri aankhon mein bhi aap hain
meri dhadkano mein bhi aap hain
meri sanson mein bhi aap hain
ye puchhiye kahaan nahin hai aap
mere rag rag mein base hain aap
phir ye duri kyun phir ye majburi kyun
mujhe to aap ka intzar hai
aap ko aana hai mere liye
main yehaan to aap kahaan
aap bhi yehaan kyun nahin
aap ka intzar hai mujhe
to aap ko mera intzar kyun nahin
hum to aap ke paas hain
aap mere paas kyun nahin
hamein to aap ka intzar hai
aap ko hamara intzar kyun nahin...!!!!
koi yeh kasay bataye k woh tanha kion hey ?
woh jo apna tha wohi aur kisi ka kion hey ?
yahi hota hey to akhir yehi hota kion hey ?
yahi dunia hey to phir aisi ye dunia kion hey ?
dil-e- barbad se nikla nahin ab tak koi
ek lutay ghar pe bhi Ah deta hey dastak koi
aas jo toot gaye phir se bandhta kion hey ?
ik zara hath barha dein to pakar lein daman
us ke seny mein sama jaye hamari dharkan
itni qurbat hey to phir phasla itna kion hey ?
tum musarrat ka kaho ya ise gham ka rishta
kehty hein Piyar ka rishta hey janam ka rishta
hey,janam ka jo ye rishta to badalta kion hey ?
koi yeh kasiay bataye keh woh tanha kion hey ?
woh jo apna tha wohi aur kisi ka kion hey ?
Kya ab bhi meri jhalak khuwab main nazar atee hai tumhain
Kya meri har yaad ab bhi raat bhar jagati hai tumhain
Har andhere tumhe mujh tak khench lata tha
Kya ab bhi koi roshni is tarah bolati hai tumhain
Mera har raaz tumhain hawa hi bata jatee thee
Kya ab bhi khushbu mere paigham sunatee hai tumhain
Meri taqleef per wo ankh main nammi ka aa jana
Kya ab bhi meri koi baat rolatee hai tumhain
Tumhara har jazba, tumharee ankh mujh se kah detee
Kya ab bhi wo kuch na kah kar har baat batati hai tumhain
Har awaz pe tumhe mere ane ka hota tha gumaan
Kya ab bhi koi aahat yuun satatee hai tumhain
Yeh kya ke her Dam kisi ki Minnatein karna
Kya is hi ko kehte hain Mohabbatein karna
Jo apni Qismat mai hai milega wohi
Kis baat pe hai RAB se Shikayatain karna
Yeh Pagal-pan nahi to aur kya hai phir
Zameen ke hokar Aasman se Baghawatein karna
Boht kar chuka hai logon, Pyaar yeh Dil
Ab koi sikhaye isko bhi Nafratein karna
Pehle Yaad karna usse phir Rote rahna
Jaane kab chorrega Dil, yeh Harkatein karna
Tumko jaante nahi, per chahate hain hum
Din bhar khojte nahi, per sochte hain hum
Tumhare dil mein rehte nahi, per tumhare hain hum
Tumko shayad paayenge nahi, per apnayen ge hum
Jeevan main shayad kabhi mil na paao,bas bichar jaao ge tum
Shayad humare na ban paao, per muskurao ge tum
Raat andheri hogi, phir-bhi jhilmilaoge tum
Humein aur koi nahi, bas yaad aao ge tum
ya. Guzare waqt ko bhula dena aasan nahi hota,
Gamon ko hasi mein chupa lena aasan nahi hota,
Zaruri nahi ki puri ho har khwahish lekin,
Apni khwahish ko daba lena aasan nahi hota,
Mana ki tute hue phulon se khushboo nahi ati,
Magar unhein kitabon mein saja lena aasan nahi hota,
Koi aur uske baad aa to sakta hai,
Magar har kisi ko "DIL" mein jagah dena aasan nahi hota
beqarari se beqarari hai
din b bhari hai, rat bhaari hai
-
zindagi ki bisat per aksar
jiti baazi b ham ne haari hai
-
torho dil mera shoq se torho
cheez meri nahin,yeh tumhaari hai
-
baar-e-hasti utha na saka koi
ye gham-e-dil jahan se bhaari hai
-
aankh se chup ke dil mein bethe ho
haay kesi ye parda daari hai
abhi woh dard baaqi hai,
Agarchay waqt marham hai,
magar kuch waqt lagta hai,
kisi ko bhool jane mei,
Dobara dil basanay mei,
Abhi kuch waqt lagna hai,
abhi woh dard baaqi hai,
mei kaise is nayee ulfat mei apni zaat gum kar doon,
ke mere jism-o-wajdaan mei,
abi woh fard baqi hai,
Abhi us shaksh ki mujh per,
nigah-e-sard baqi hai,
abhi tu ishq ke raston ki mujh per gard baqi hai,
Abhi woh dard baaqi hai...
phool thay, badal b tha or wo haseen soorat b thi
dil mein lekin or he ek shaql ki hasrat b thi
-
jo hawa mein ghar banaay kaash koi dekhta
dasht mein rehte thay per tameer ki adat b thi
-
keh gia main saamne us ke jo dil ka mudd-duaa
kuch tu mausam b ajab tha kuch meri HIMMAT b thi
-
ajnabi sheharon mein rehte umar sari katt gai
go zara se fasle per ghar ki har raahat b thi
-
kia qayamat hai Munir ab yaad b aate nahi
wo puraane aashna, jin se hamen ulfat b thi
aah asaan ho gai ho gi
jaan pehchan ho gai ho gi
-
phir palatt ke nigah nahi aai
tuj pe qurbaan ho gai ho gi
-
teri zulfon ko cherhti thi saba
khud preshaan ho gai ho gi
-
maut se tere dard mandon ki
mushkil asaan ho gai ho gi
-
un se b cheen lo ge yaad apni?
jin ka imaan ho gai ho gi
-
dil ki taskeen poochte hain aap
haan meri jaan!!!! ho gai ho gi
-
marne walon pe saif hairat q?
maut asaan ho gai ho gi
Suno....
Acha nahi lagta kere jab tazkara koi
Kere jab tabsara koi
Tumhari zaat ko khoje
tumhari baat ko souche
Mujhe acha nahi lagta......
Tumhari ek muskuraahat per hazaroo loug mrte hon
tumhari aikk ahaat per hazaroon dil dharakte hon
Kisi ka tum pe yoon marna, mujhe acha nahi lagta
Suno...
acha nahi lgta..
K tumko phool b daikhain
Tumahary pas b mehakain
Ye chanda ki guzarish hu,mujhy apni roshni bakhshoo
Sunoo acha nhi lagta.......
meri zuban se meri dastaan suno tu sahi
yaqeen karo na karo meharban, suno tu sahi
-
chalo ye maan lia mujrim-e-muhabbat hain
hamare jurm ka ham se bayan suno tu sahi
-
bano ge dost mere tum dushmuno ek din
meri hayat ki aah-o-faghan suno tu sahi
-
labon ko see ke jo bethe hain bazm-e-dunya main
kabi tu unki b khamoshiyan suno tu sahi
-
kahoge waqt ko mujrim bhari baharon mein
jala tha kaise mera ashiyan suno tu sahi
badla na apne ap ko jo thay wohi rahe
milte rahe sabhi se mager ajnabi rahe
-
duniya na jeet pao tu haro na khud ko tum
thorhi boht tu zehan mein narazagi rahe
-
apni tarah sabhi ko kisi ki talash thi
ham jiske b qareeb rahe door hi rahe
-
guzaro jo bagh se tu dua mangte chalo
jis mein khile hain phool wo daali hari rahe
Zamin Pe Chal Na Sakaa Asmaan Se Bhi Gaya
Kata Ke Par Ko Parinda Uraan Se Bhi Gaya
Tabah Kar Gai Pake Makaan Ki Khuwahish
Mein Apne Gaon Ke kache Makaan Se Bhi Gaya
Parai Aag Mein Khud Ko Jala Ke kiya Mila Tujh Ko
Use Bacha Na Saka Apni Jaan Se Bhi Gaya
Bhulana Chaha To Bhulane Ki inteha Kar Di
Wo Shakhs Ab Mere Vihm o Guman Se Bhi Gaya
Kisi Ke Hath Ka Nikla Huwa Wo Teer Hoon Mein
Hadaf Ko chu Na Saka Aur kamaan Se Bhi Gaya
me samandaroon ka maizaj hoon
abhi is nadi ko pata nahi
sabhi nadian mujh me milein magar
me kise me ja k mila nahi
meray dil ki simt na dekh too
kise aur ka yeh muqam hai
yahan us ki yadein muqeem hain
yeh kise ko menay dia nahi
mujahy dekh k na naazar jhuka
na kiwar dil k tou bnad ker
teray shehar me aonga kis tarah
k me aadmi hon hawa nahi
mear dil kise khushbu say bhar gaya
oh qareeb say yoon guzar gaya
woh mere nazar me tou phool tha
usay kia laga me pata nahi!!
tera qasoor nahin mera tha
mein tujh ko apna samjha tha...
dekh ke tere badle tewar
mein to usi din ro betha tha...
ab mein samjha ab yaad aaya
tu us din kion chup chaap sa tha...
tujh ko jana hi tha lekin
mile bagair hi kiya jaana tha...
ab tujhe kia kia yaad dilaoon
ab to woh sub kuchh hi dhoka tha...
wohi hoi hai jo honi thi
wohi mila hai jo likha tha...
dil ko yun hi sa ranj hai warna
tera mera saath hi kiya tha...
kis kis baat ko raoon “abii“
apna kehna hi itna tha...
Teri Khushbu ka pata karti hai
mujh pe ehsaan hawa karti hai
shab ki tanhaai mein ab to aksar
guftgu tujh se raha karti hai
dil ko uss raah pe chalna hi nahin
jo mujhe tujh se juda karti hai
zindagi meri thi lekin ab to
tere kehne mein raha karti hai
uss ne dekha hi nahin varna ye aankh
dil ka ehwaal kaha karti hai
beniyaaz-e-kaaf-e-dariya angusht
rett par naam likha karti hai
shaam padte hi kisi shakhs ki yaad
koocha-e-jaan mein sadaa karti hai
mujh se bhi us ka hai waisa hi sulook
haal jo teraa ana karti hai
dukh hua karta hai kuch aur bayaan
baat kuch aur hua karti hai
abr barse to inaayat uss ki
shaakh to sirf dua karti hai
masla jab bhi utha chiraagon ka
faisla sirf hawa karti hai.
cherey perhta, aankhain likhta rehta hoon
main bhi kaise batain likhta rehta hoon ?
saray jism darakhtoon jaise lagtay hain
aur bahoon ko shakhain likhta rehta hoon
tujh ko khat likhnay ke taiwar bhool gia
aarhi tirchi satrain likhta rehta hoon
tere hijr main aur mujhe kia kerna hai
tere naam kitabain likhta rehta hoon
tujh se mill ker saray dukh dohraoon ga
hijr ki sari batain likhta rehta hoon
sookhay phool, kitabain, zakham judai ke
teri sab soghatain likhta rehta hoon
us ki bheegi palkain hansti rehti hain
MOHSIN jab tuk ghazlain likhta rehta hoon
Yaar ko hum ne ja ba ja dekha
kahin zahir kahin chupa dekha
kahin momkin howa kahin wajib
kahin fani kahin wafa dekha
kahin woh badshahe takht nasheen
kahin kasaliye gada dekha
kahin woh der libas mashookan
karsare nazoo or ada dekha
yaar ko hum ne ja baja dekha ...
_________________
kion zindagi ke rah main majbor hum hogaye
itnay hoye gareb ke hum dor ho gaye
yeh to nahin ke hum ko koi bhi khushi nahin
laikin zindagi to koi zinsagi nahin
kion is ke faisle humain manzor ho gaye
paya tum o to humain laga tum ko kho dya
hum dil se roye aur yeh dil hum pe ro dya
palkon se khwab kion giray kion choor ho gaye
kion zindagi ke rah main majbor ho gaye
Muhabbat khud batati hai
kahan kis ka Thikana hai
Kisay Aankhon main rakhna hai
Kisay Dil main Basana hai
Reha krna hai kis ko
Kisay Zanjeer krna hai
Mitana hai kisay dil say
Kisay Tehreer krna hai
Gharonda kab Girana hai
Kahan Tameer krna hai
Chahat Kay Is Dharay Per,
Darya Or Kinaray Per
DIL Ko Aaj Azaad Kia ,
Main Nay Tum Ko Yaad Kia,
Tanhaee Ki Raton Main,
Khud He Baaton Baaton Main
Is DIL Ko Yun Shaad Kia,
Main Nay Tum Ko Yaad Kia,
Jab Say Tum Ko Dekha Hay,
Jab Say Tum Ko Chaha Hay,
Har Ak Pal Faryaad Kia,
Main Nay Tum Ko Yaad Kia,
Is Jewan Kay Nesaabon Main,
Or Raaton Kay Khawabon Main,
Jaag Kay Bhi DIL Shaad Kia,
Main Nay Tum Ko Yaad Kia,
Phool Yah Khilnay Say Phelay,
Tum Ko Milnay Say Phelay,
Khud Ko Tu Barbadd Kia,
Main Nay Tum Ko Yaad Kia.
_________________
Ab koi aye tou kehna k musafir tou gaya
Yeh bhi kehna k bhala ab bhi na jata logo
Rah takti hui pathra si gain thien ankhain
Ahh bhartey huwe chalni huwa seena yaaroooo
Hont jaltey thay jo liata tha kabhi app ka naam
Is Tarah Aur Kisi* Ko Na Satana Logoooooo
Koi khabar uss ki hamain ho tou tumhien batlain
Kaun nagar,kaun gali,kaun muhala logo
Chand lafzon ka muamma tha woh uljah sulja
Uss nai tou naam bhi poora na bataya logoooooo
AB KOI AYE TOU KEHNA KAY MUSSAFIR TOU GAYA
Udaasiyon ka sabab jo likna
To yeh bhi likhna
Ke chaand tarey
Shahaab aankhain badal gaye hain
Woh zindaa lamhay jo teri raahon main
Terey aanay ke muntazir they
Woh thak kay saayon main dhal gaye hain
Woh teri yaadain
Khayal terey
Woh ranj tery
Malaal terey
Woh teri aankhain
Sawal terey
Woh tum say merey tamaam rishtey
Bichar gaye hain
Ujar gaye hain
Udaasiyon ka sabab jo likhna
To yeh bhe likhna
Laraztey honton pey larkharati dua key sooraj
Pighal gaye hain
Tamaam sapnay hi jal gaye hain
Aansoo May Na Dhoondna Humey,
Dil May Hum Bas Jaayenge,
Tamanna Ho Agar Milne Ki,
To Band Aankhon May Nazar Aayenge.
Lamha Lamha Waqt Guzer Jaayenga,
Chund Lamhoo May Daaman *** Jaayega,
Aaj Waqt Hai Do Baatein Kar Lo Humse,
Kal Kya Pata Kon Apke Zindagi May Aa Jayega.
Paas Aakar Sabhi Door Chale Jaate Hai,
Hum Akele The Akele Hi Reh Jaate Hai,
Dil Ka Dard Kisse Dikhaaye,
Marham Lagane Wale Hi Zakhm De Jaate Hai,
Waqt To Humey Bhula Chuka Hai,
Muqaddar Bhi Na Bhula De,
Dosti Dil Se hum Isiliye Nahin Karte,
Kyunke Darte Hai,Koi Phir Se Na Rula De,
Zindagi May Hamesha Naye Log Milenge,
Kahin Ziyada To Kahin Kam Milenge,
Aitbaar Zara Soch Kar Karna,
Mumkin Nahi Har Jagah Tumhe Hum Milenge.
Khushbo Ki Tarah Aapke Paas Bikhar Jayenge,
Sukon Ban kar Dil Me Utar Jayenge,
Mehsoos Karne Ki Koshish To Kijiye,
Door Hote Hoye Bhi Pass Nazer Aayenge
Taullaq torta hoon to mukammal tor deta hoon
Jisay main chor deta hoon, mukammal chor deta hoon
Muhabbat ho k nafrat ho, bhara rehta hoon shiddat se
Jidher se aaya yeh darya, udher hi mor deta hoon
Yaqeen rakhta nahi hoon main kisi kache taullaq pe
Jo dhaga totne wala ho, usko tor deta hoon
Mere dekhe hoay sapne kaheen lehrain na le jain
Gharoonde reit ke taameer kar ke chor deta hoon
Adeem ab tak wohi bachpan, wohi takhreeb kaari hai
Kafas ko tor deta hoon, parinday chor deta hoon
Muhabbat khud batati hai
kahan kis ka Thikana hai
Kisay Aankhon main rakhna hai
Kisay Dil main Basana hai
Reha krna hai kis ko
Kisay Zanjeer krna hai
Mitana hai kisay dil say
Kisay Tehreer krna hai
Gharonda kab Girana hai
Kahan Tameer krna hai.
Hamay koi gham nahin tha, gham-e-aashqi say pehlay,
Na thi dushmani kisi say, teri dosti say pehlay !
Hai yeh meri badnaseebi tera kya kasoor ismay,
Teray gham nay maar daala mujhay zindagi say pehlay !
Mera pyaar jal raha hai aray chaand aaj chup jaa,
Kabhi pyaar tha hamay bhi teri chaandni say pehlay !
Main kabhi na muskarata jo mujhay yeh ilm hota,
Ki hazaron gham milengay mujhay ik khushi say pehlay !
Yeh ajeeb imtehaan hai ki tumhi ko boolna hai,
Milay kab they is tarah hum tumhaRAy bedilli say pehlay
dasht meri hi dehai de
phir mujhe aabla pai de
roshni rooh talak aa pohnchi
ab andhere maiN dikhai de
zard pattooN ka dharakta hoa dil
khaamoshi maiN bhi sunai de
tour kar daikh to aina e dil
sheher ka sheher dikhai de
kashaf o aagahi k aaine maiN
apna behroop dikhai de
Hamesha Muskura Ke Aansuon Ko Chhupaya,
Gam Ko Chhupane Ka Yehi Rasta Nazar Aaya,
Kis Kis Ko Batate Behte Ashqon Ka Sabab,
Ke Dard-E-Dil Dil Mein Kisne Jagaya,
Mehfilon Mein Kahin Bhi Maza Na Raha,
Rakha Dil Pe Pathar To Khud Ko Sajaya,
Baat Be-Baat Apni Aahein Daba Kar,
Yaaron Ke Darmiyan Kis Qadar Muskuraya,
Na Thi Chaah Kabhi Mujhe Mankashi Ki,
Jaam-E-Wafa Kisi Bewafa Ne Pilaya,
Kya Muqaddar Se Shikwa Karte Rahein,
Jo Kismat Mein Tha Wohi Kuch To Paya,
Ye Kis Mod Pe Aa Gayi Hai Ummidein,
Ke Saaya-E-Manzil Nazar Mein Na Aaya,
Apno Ne Palat Ke Dekha Tak Nahi,
Gairon Ne Aakar Gale Se Lagaya,
Achha Hua Ke Raaz Khul Hi Gaya,
Dil-E-Nadaan Pe Khanjar Kisne Chalaya,
Shab-O-Roz Chahat Sila Ye Hai Tanha,
Dil Ke Tukde Hue Wo Chunne Na Aaya
zulmat-e-shab mein ujaalon kii tamannaa na karo
Khvaab dekhaa hai to ab Khvaab ko rusvaa na karo
bojh suuraj kaa paregaa to lachak jaayengii
raat kii surma_ii shaaKhon pe baseraa na karo
Khvaab ummiid nashaa saans tabasuum aansuu
TuuTane vaalii kisii shay pe bharosaa na karo
ham ne aankhon ko jalaayaa thaa ki kuchh dhundh chhaTe
tum naii nasl ke suuraj ho tum aisaa na karo
mausamii barf hain kuchh der mein bah jayenge
in badalate hue rishton pe bharosaa na karo
ye fazaa raas na aayegii tumhen ai "Najmi"
yaad guzare hue lamhaat kii taazaa na karo
muJhe de rahe haiN tasalliyaaN wo har ek tazaa payaam se
kabhi aake manzir-e-aam par kabhi haT ke manzir-e-aam se
na garaZ kisi se na waastha muJhe kaam apne hi kaam se
tere zikR se, teri fikR se, teri yaad se, tere naam se
mere saaqiya mere saaqiya tuJhe marhawa tuJhe marhawa
tu pilaaye jaa tu pilaaye jaa isi chashm-e-jaam-wa-jaam se
teri suboh aish hai kya bala tuJhe ae falaK jo ho hausla
kabhi kar le aa ke mukaabala gham-e-hiJr-e-yaar ki shaam se
Tere Naam Ki Thi Jo Roshni Use Khud Hi Tune Bujha Diya,
Na Jala Saki Jise Dhoop Use Chandni Ne Jala Diya,
Main Hoon Gardishon Mein Ghira Hua Mujhe Aap Apni Khabar Nahi,
Wo Jo Shakhs Tha Mera Rehnuma Use Raaston Mein Ganwa Diya,
Jise Tune Samjha Raqeeb Tha Wohi Shakhs Tera Naseeb Tha,
Tere Hath Ki Wo Lakeer Tha Use Haath Se Hi Mita Diya,
Mujhe Ishq Hai Ke Janoon Hai Abhi Faisla Hi Na Ho Saka,
Mera Naam Zeenat-E-Dasht Tha Mujhe Aandhiyon Ne Mita Diya,
Ye Udasiyon Ka Jamal Hai Ke Hamara Ooj-E-Kamal Hai,
Kabhi Zaat Se Bhi Chupa Liya Kabhi Sheher Bahr Ko Bata Diya,
Meri Umar Ka Abhi Gulistan Khula Hua Zaroor Hai,
Wo Phool Tha Teri Chah Ke Unhe Mausomone Ghira Diya
Ye Mere Zehen Se Yaadon Ke Diye Gul Kar Do,
Mere Ehsaas Ki Duniya Ko Mita Do Humdam,
Raat Taare Nahi Angare Liye Aati Hai,
In Baraste Hue Sholon Ko Bujha Do Humdam,
Dilki Dhadkan Ko Sula Jao Bahut Tanha Hoon,
Andheri Raat Mein Jab Chand Khilne Lagta Hai,
Tumhare Pyar Ka Deepak Jala Ke Rota Hoon,
Tumhare Aane Ki Jab Aas Jaane Lagti Hai,
Main In Chiragon Ko Khud Hi Bujha Ke Rota Hoon,
Zindagi Aisi Mita Jao Bahut Tanha Hoon,
Sochte Sochte Jab Soch Mar Jaati Hai,
Waqt Ke Kadmon Ki Aahat Ko Suna Karta Hoon,
Ashq Hai Aahon Ka Dhuwan Uthta Hai,
Raatbhar Yun Hi Tadapta Hoon Jala Karta Hoon,
Baar-E-Gam Kuch To Ghata Jao Bahut Tanha Hoon...
mile kisii se nazar to samajho Gazal hu_ii
rahe apanii Khabar to samajho Gazal hu_ii
milaa ke nazaro.n ko vo hayaa se phir
jhukaa le ko_ii nazar to samajho Gazal hu_ii
idhar machal kar unhe.n pukaare junuu.N meraa
bha.Dak uThe dil udhar to samajho Gazal hu_ii
udaas bistar kii silavaTe jab tumhe.n chubhe.n
na so sako raat bhar to samajho Gazal hu_ii
vo bad_gumaa.N ho to sher suujhe na shaayarii
vo mahar_baa.N ho 'Zafar' to samajho Gazal hu_ii
Gulshan Ki Faqat Pholoo'n Say Nahee'n
Kantoo'n Say Bhi Zeenat Hoti Hay
Jeenay K Liay Is Dunaya Main
Ghum Ki Bhi Zarorat Hoti haY
Ay Vaa'Iz-Nadaan Kartaa Hay Tou
Aik Qayaamat Kaa Charchaa
Yahaa'n Roz Nigahain Miltii Hain
Yahaa'n Roz Qayaamat hoti Hay
Vo Pursish-e-Gham Ko Aa'ey Hain
Kuch Kah Na Sakoo'n Chup Rah Na Sakoo'n
Khaamosh Rahoo'N Tou Mushkil Hay
Kah Doo'n Tou Shikaayat Hoti Hay
Karnaa Hee Parrayga Zabt-e-Alam
Piiinay Hee Parraingey Yeh Aansoo
Faryaad-o-Fughaa'n Say Ay Naadaa'n
Tauheen-e-Mohabbat Hoti Hay
Jo Aakay Rukay Daman Pay *saba*
Vo Ashk Nahee'n Hain Paanii Hay
Jo Aansoo Na Chalkain Aankhoo'n Say
Us Ashk Ki Qeemat Hoti Hay
ye nikhaton kii narm ravii ye havaa ye raat
yaad aa rahe hain ishq ke TuuTe ta'alluqaat
maayuusiyon kii god mein dam torataa hai ishq
ab bhii koii banaa le to bigarii nahiin hai baat
ik umr kaT gaii hai tere intazaar mein
aise bhii hain ke kaT na sakii jin se ek raat
ham ahal-e-intazaar ke aahaT pe kaan the
Thandii havaa thii Gam thaa teraa Dhal chalii thii raat
har saa_i-o-har amal mein muhabbat kaa haath hai
taamiir-e-zindagii ke samajh kuchh muharakaat
ahal-e-razaa mein shaan-e-baGaavat bhii ho zaraa
itanii bhii zindagii na ho paaband-e-rasmiyaat
uTh bandagii se maalik-e-taqadiir ban ke dekh
kyaa vasvasaa azaab kaa kyaa kaavish-e-nijaat
mujh ko to Gam ne fursat-e-Gam bhii na dii "Firaq"
de fursat-e-hayaat na jaise Gam-e-hayaat
_________________
Ek ajab si betaabi reh gayi us se door jaane ke baad
bheer main bhi tanhaai reh gayi us se door jaane ke baad,
Bhala bura jaisa bhi kaha us ne phir bhi
uski khuaahish reh gayi us se door jaane ke baad,
Kuch bhi tha mere chehre ki raunaqen thein us se barqarar
ab kuch nahi baaqi us se door jaane ke baad,
Meri dunya mujh main simat kar reh gayi hai
hoon mein boht tanha us se door jaane ke baad,
Zindagi main khushyan jin ki talab mujhe rahi sari umar
ab ujar gayi hain sab umangen us se door jaane ke baad,
Khud se karun shikwa yaa apne naseeb se
mein to jaise bikhar gaya hoon us se door jaane ke baad,
Dhoka kahun ya bewafai ka naam doon mein
kuch bhi kar **** ho gaya hoon ruswa boht us se door jaane ke baad
patthar sulag rahe the koii naqsh-e-paaa na thaa
ham us taraf chale the jidhar raastaa na thaa
parchhaaiyon ke shahar kii tanhaaiiyaa na puuchh
apanaa shariik-e-Gam koii apane sivaa na thaa
yuu dekhatii hai gumshudaa lamhon ke mod se
is zindagii se jaise koii vaastaa na thaa
cheharo pe jam gaii thii Khayaalo kii ulajhane
lafzo kii justajuu main koii bolataa na thaa
tu mera nam na pocha kar
main tare zat ka hisa hoon
main tarey soch main shamil hoon
main tare nend ka Qisa hoon
main tarey khawab ka hasil hoon
main tare yad ka mehwar hoon
main tare sans ka jhonka hoon
to manzer , main bas-munzir hoon
main lumha hoon, main jazba hoon
jazbey ka koe nam nahi
to mera nam na pocha kar........!
mujh ko shikast-e-dil ka maza yaad aa gia
tum q udaas ho tumhem kia yaad aa gia?
-
waaiz! Salam le ke chala may-kaday ko mein
firdaus-e-gum shuda ka pata yaad aa gi
-
MAANGE GE ABB DUA KE USSE BHOOL JAIN HUM
LEKIN JO WO B WAKT-E-DUA YAAD AA GIA
-
kehne ko zindagi thi bohat mukhtasi mager
kuch yoon basar hoi ke khuda yaad aa gia
-
barse baghar he jo ghatta ghir ke khul gai
ek beawafa ka ehd-e-wafa yaad aa gia
-
herat hai tum ko dekh ke masjid mein aay Khumar
kia baat ho gai ke khuda yaad aa gia?
Malaal Usko Becharnay Ka Kuch Tu Howa Hoga
Kaha Na Hoga Kese Say Kuch Bhi Suna Tu Hoga
Wasaal Lamhoon Ka Aks Sochoon Main Jab Bhi Jaga
Yah Hjar Aankhoon Main Rait Ban Kar Chuba Tu Hoga
Kabhi Kabhi Tu Hawaey Aa Kar Puchte Hain
Wo Shaks Apna Bohat He Apna Laga Tu Hoga
Ujar Gia Hai Gulaab Jesay Tu KiaHowa Pher
Yah Dil Musafer FuraaqRutt Ka Basa Tu Hoga
Wo Badd Muddat Mila Tu Pucha Udaas Kyun Ho
Kaha Jo Shuloon Main Ghir Gia Tha , Jala Tu Hoga
Wafa Ke Wadi Main Khaar Ratoon Ko Jagtay Hain
Gulaab Rutt Say Qasoor Koee Howa Tu Hoga
Lagta Nahi Hai Jee Mera Is Ujde Dayar Mein,
Kiski Bani Hai Allmay Naa Payedar Mein,
Bulbul Ko Paasbaan Se Na Siyaad Se Gila,
Keh Do In Hasraton Se Kahin Aur Jaa Basein,
Itni Jagah Kaha Hai Dil-E-Daagdaar Mein,
Ek Shakh-E-Gul Pe Baith Kar Bulbul,
Kante Bicha Deti Hai Dil-E-Lalah Zaar Mein,
Umar Mein Qaid Likhi Thi Faasle Bahar Mein,
Umar-E-Daraz Maang Kar Laye The Chaar Din,
Do Aarzu Mein Kat Gaye Do Intezaar Mein,
Kitna Badnaseeb Hai Zafirdafin Ke Liye,
Do Gaz Zameen Bhi Na Mili Koo-E-Yaar Mein...
Wo humse kuch khafa- khafa sa kyun hai
har shay to wo hi hai par wo juda -juda sa kyun hai
jate huye is shahar se wo kah gaya tha
laut aaunga ek din
par jab wo lauta to khoya khoya sa kyun hai
ab use yaad nahi rahi gaon ki galiyan
jahan bachpan bitaye the
kadi dhoop me bhi chat pe hans ke guzare the
jo dhoop kal chubhti nahi thi use
aaj wohi chand me bhi jala -jala sa kyun hai
wo humse kuch khafa - khafa sa kyun hai
wo shaam dhalte hi chatth pe jana
wo chand wo taron ko dekhna
meri har baat ko bina samjhe hi sunna
meri hansi pe hansa
aur meri khilkhilahaton pe mukorana aadat thi jiski
aaj wohi har baat pe khafa - khafa sa kyun hai
koi baat to zaroor hogi
uske mann me
warna wo aaj aisa kyun hai ?
Sochte sab hai badalta koi nahi,
Dil ki raah pe chalta koi nahi
Tez chalna to sabko aata hai,
Thokar lagne pe sambhalta koi nahi
Tum Kehti Ho tumhe Phoolon Say Pyaar Hy....?
Magar Jab Phool Khiltay Hain
Tu Unhein Tehni Say Toor Dalti Ho
Tum Kehti Ho Mujhay Barishoon Say Pyaar Hy...?
Magar Jub Barish Hoti Hy
Tu Chuppti Phirti Ho
Tum Kehti Ho Mujhay Hawaoon Say Pyaar Hai....?
Magar Jub Hawa Chalti Hy
Tu Khirkiyan Bund Kar Leti Ho
Phir Is Waqt
Main Khoof Zada Sa Ho Jata Hoon
Jab Tum..... Mujh Say Kehti Ho k
mujhe Tum Say Pyar Hai..........................
yeh sheher agar sheher ha,tu sunsan sa kio hai,
is sheher ka har shaks, pareshan sa kio hai,
is sheher k log jise kehty thy MASIHA,
wo shaks mere dard sy anjan sa kio hai,
jo mati say bana ha ,tu mit kioo nahi jata,
gar pathar ka sanam hai ,tu INSAN sa kio hai.
Bheerh si bheerh ha but khane main
zindgi daikhiye afsane main
phool he phool hain reste main parhe
koun aaya maire veerane main
haan yeh bebak aadaein tairi
per alag husn tha ghubrane main
aa_ii na phir nazar kahin jaane kidhar ga_ii
un tak to saath gardish-e-shaam-o-sahar ga_ii
[gardish-e-shaam-o-sahar=passage of time]
kuchh itanaa besabaat thaa har jalvaa-e-hayaat
lauT aa_ii zaKhm khaa ke jidhar bhii nazar ga_ii
[besabaat=momentary]
aa dekh mujh se ruuThane vaale tere baGair
din bhii guzar gayaa merii shab bhii guzar ga_ii
naadim hai apane apane qariinon pe har nazar
duniyaa lahuu uchchhaal ke kitanii nikhar ga_ii
nagarii nagarii phiraa musaafir ghar kaa rastaa bhuul gayaa
kyaa hai teraa kyaa hai meraa apanaa paraayaa bhuul gayaa
apanii biitii jag biitii hai jab se dil ne jaan liyaa
hansate hansate jiivan biitaa ronaa dhonaa bhuul gayaa
andhyaare se ek kiran ne jhaank ke dekhaa sharmaaii
dhundh sii chhab to yaad rahii kaisaa thaa cheharaa bhuul gayaa
hansii hanSii mein khel khel mein baat kii baat mein rang gayaa
dil bhii hote hote aaKhir ghaav kaa risanaa bhuul gayaa
ek nazar kii ek hii pal kii baat hai Dorii saanson kii
ek nazar kaa nuur miTaa jab ek pal biitaa bhuul gayaa
jis ko dekho us ke dil mein shiavaa hai to itanaa hai
hamen to sab kuchh yaad rahaa par ham ko zamaanaa bhuul gayaa
koii kahe ye kis ne kahaa thaa kah do jo kuchh jii mein hai
"Miraji" kah kar pachhataayaa aur phir kahanaa bhuul gayaa
had say berh ker chahnay walay kitnay tunha hotay hein
had say berh ker tum ko chaha ajj mujhay maloom hua
jaagti aankhoon sapnay dekhein pagal aur deewanay log
jaagti aankhoon sapna dekha aaj mujhay maloom hua
Bat phoolon ki suna kartay thay
Hum kabhi sher kaha kartay thay
Mashalain lay k tumharay gham ki
Hum andhairon mai chala kartay thay
Ab kahan aisi tabiat walay
*** kha kar jo dua kartay thay
Bikhri bikhri zulfon walay
Qafaly rok lia kartay thay
Trk-e-ehsas-e-mohabat mushkil
Haan magar ehl-e-wafa kartay thay
sung o wehshat ko tabaan baam o dar nahin kehtay
rabt e gham na ho jis say us ko gher nahin kehtay
dil say cheen leen jis nay lazzatein jarahut ki
us ko jo bhi kehtay hoon dar guzzar nahin kehtay
baat sirf itni hay zindage ki raahoon mein
saath chalnay waloon ko hum saffar nahin kehtay
zindage ka her munzar dilfaraib o dil***h hay
jaan k zarrur ko bhi hum zarrur nahin kehtay
sub charagh basti k uunghnay lagay Tabaan
wo koi kahani ho raat bher nahin kehtay
kash tumne hamara hath thama hota,
to is tanhai ko humne apnaya na hota,
kitni shidat se sawari thi maine apni pyar ki dunia,
kash tumne apne pal-do-pal dil se mere dil ko diye hote,
to yeh dil tanhaiyon ki chao main tumko dhund na raha hota
iqraar say aya hay na inkaar say aya
mujh ko jo maza lazzat e giftaar say aya
her chund tha wo saray zamanay say gurayzaan
per meri taraf teer ki raftaar say aya
kis k waastay sumjhoon mein usay jaan ka dushman
jo shuks meray pass baray payar say aya
mein bin peeye makhmoor tha kuch us ki nazer say
kuch aur nasha zulf say, rukhsaar say aya
haq baat kahoon berser e ehbaab o raqeebaan
yeh hoonsla mujh mein meray kirdaar say aya
mufqood hay wo ehd e rawan k shuara mein
jo lutf mujhay meer k ashaar mein aya
tha sehma hua subha k akhbaar say Nasir
kuch khoof usay shaam k akhbaar say aya
Chalo ek ehedd kartey hain
Na tum khud laut kar aye
Na tum ney rabta rakha
Mujhey har shab akailey min
jab khauf tha dil main
Tumhari yaad ka aansoo
Boht hi shor barish ka
Khuda sey baarishon main beeghtey ek shakhs manga tha
Magar...............
Yeh ishq hai mushkil
Faqat ek baar hota hai
Mujhey in lambhi rahon per
Akailey chaltey hi jana hai
Chalo........
In baarishon key shor main
Ek ehed kartey hain
Koi tanha na roye ga
Koi tanha na bheegey ga
Kisi ki yaad main tanha koi aansoo na tapkey ga
Mujhey intezaar hai abh to
Hamarey ashq rukney ka
Barhi pur shor is baarish key thamney ka
Tumharey laut aaney ka
ab dosti ki nahin honslay ki baat hay
lazim nahin k tu bhi mera hum khayal ho
ab k wo dard day k rouun tamaam umr
ab k laga wo zukhm k jeena mahal ho
_________________
hamari kahani sunane se pehle
woh khud ro raha ha zamane se pehle
khaber ham ko hoti taire dil main kia ha
to ham sochte dil lagane se pehle
hamein yeh bataow ese kia kahein ham
jab aansoo girein muskarane se pehle
soochoon k ufaq per bhi basayra tha kisi ka
hum yun hi bulandi pay makaan dhoondnay aae
larazeeda hoon pattay ki terha zeest ki tehni per
aur tez hawa mera pata poochnay aya
Erum Zehra
09-22-2007, 09:16 PM
nice janab sari hi dil cho lene wali hai good collection
Erum Zehra
09-22-2007, 10:03 PM
iqraar say aya hay na inkaar say aya
mujh ko jo maza lazzat e giftaar say aya
her chund tha wo saray zamanay say gurayzaan
per meri taraf teer ki raftaar say aya
kis k waastay sumjhoon mein usay jaan ka dushman
jo shuks meray pass baray payar say aya
mein bin peeye makhmoor tha kuch us ki nazer say
kuch aur nasha zulf say, rukhsaar say aya
haq baat kahoon berser e ehbaab o raqeebaan
yeh hoonsla mujh mein meray kirdaar say aya
mufqood hay wo ehd e rawan k shuara mein
jo lutf mujhay meer k ashaar mein aya
tha sehma hua subha k akhbaar say Nasir
kuch khoof usay shaam k akhbaar say aya
:wow:
Erum Zehra
09-22-2007, 10:04 PM
Chalo ek ehedd kartey hain
Na tum khud laut kar aye
Na tum ney rabta rakha
Mujhey har shab akailey min
jab khauf tha dil main
Tumhari yaad ka aansoo
Boht hi shor barish ka
Khuda sey baarishon main beeghtey ek shakhs manga tha
Magar...............
Yeh ishq hai mushkil
Faqat ek baar hota hai
Mujhey in lambhi rahon per
Akailey chaltey hi jana hai
Chalo........
In baarishon key shor main
Ek ehed kartey hain
Koi tanha na roye ga
Koi tanha na bheegey ga
Kisi ki yaad main tanha koi aansoo na tapkey ga
Mujhey intezaar hai abh to
Hamarey ashq rukney ka
Barhi pur shor is baarish key thamney ka
Tumharey laut aaney ka
:wahji;
Mujh ko aik hum-dum mila tha aik sufer ki raat mai
Mai bohat be-khood howa tha aik sufer ki rat mai
Jaanay kis ki yaad thi k aik munzir dakh kar
Toot kar mai ro peda tha aik sufer ki raat mai
Wo k jis se umar bhar ki doorian munsoob hain
Mairay seenay se laga tha aik sufer ki raat mai
Har taraf phalay howay thay yaad-e- gham k silslay
Kitna mushkil raasta tha aik sufer ki raat mai
Ghar se bahir paaon (feet)rakhtay hi laraz uthta hai dil
Haadsa(incident)aisa howa thaw aik sufer ki raat mai
Aaj bhi mai gungunata hoon usay tunhaai mai
Geet jo hum nay suna tha aik sufer ki raat mai
Uski yaadon k saharay kar raha hoon zindagi
Jo mujhay wasiq mila tha aik sufer ki raat mai
hama-e-tamanna jawaan aaj bhi hai
Har hasrat lekin bezuban aaj bhi hai
Manzilon ko nahi naseeb mere kaafile to kya
Rahon pe mere kadmon ke nishaan aaj bhi hain
kuccha lamhe jo gujare humne unke saath....
to phir kabhi khudse baat na ho saki....
bewafa to yeh taqdeer nikli....
ke phir kabhi mulaqat na ho saki!!!!
Is se pehle ki dilo me nafrat jaage, aao ek shaam mohabbat me bita di
jaye....
Karke kuch mohabbat ki baatein,
Is shaam ki masti badha di jaye.
yeh charagh bay nazer hay, yeh sitara bayzaban hay
abhi tujh say milta julta koi doosera kahan hay
kabhi paa k tujh ko khona, kabhi kho k tujh ko pana
yeh janum janum ka rishta teray meray dermayan hay
meray saath chalnay walay tujhay kia mila saffer mein
wohi dukh bhari zameen hay, wohi gham ka aasmaan hay
mein isi gumaan mein ab tak bara mutmaeen raha hoon
tera jism bay taghi'yer, mera payar javedaan hay
inhi raastoon nay jin per kabhi tum thay saath meray
mujhay rok rok ker poocha, tera hum saffer kahan hay
dard-e-judai k tassver se hi mar jaty hain
jo apni zaat k hisson se bichar jaty hain
manil-e-ishq ki had ko paa leny waly
chor kar raston mai hiyat-e-sehar jaty hain
soraj se kar ke dosti is zmeen k log
talash main ujaloon ki aksar bikhar jaty hain
dil k kat jany ka haal in logon se pocho
jo le k har baar dil be mohar jaty hain
lout aaty hain aksar muhabatke elaaqon se"noor"
jo is ki gehrai se ho kar be khabar jaty hain...
Teriaankhon ke jadoo se nikal jaata to achcha tha,
khird ka thaam ke daaman sambhal jaata to achcha tha.
mandraati nahi titliyan bhi ab to teri yaadon ki,
jo mausam mere dil ka bhi badal jaata to achcha tha.
un to paas hain mere teri tasviren tehriren,
jo in kaghaz ke tukdon se dil behel jaata to achcha tha.
tera dard teri shayri mei basta hai "MUNTAZIR",
jo aansoo bankar aankh se nikal jaata to ahcha tha.
Hasraton ki lehren
Mere dar pe dastak deti haiN
Jab tera KHayaal ata hai
Ye faasle, ye sarhadeN
Ik pal mein mitaane ki khwahisheN
Rah-rah ke shor machaati haiN
Jab tera KHayaal ata hai
Tujhe phir se milne ki arzoo
Tere dil ko chhoone ki justajoo
Ai sanam, tu ho mere roo-ba-roo
Kitni tamannaeN machalti haiN
Jab tera KHayaal ata hai
ANchal mein tere
Rakh ke sar apna
SapnoN ke jahaaN ki
Tere saNg sair kar looN
Aa, tujh ko baahoN mein bhar looN
Mausam-e-gul meiN
Dil ki kaliyaaN chataKHti haiN
Jab tera KHayaal ata hai
aankh se aankh milaa baat banaataa kyuun hai
tu agar mujhase Khafaa hai to chhupaataa kyuun hai
Gair lagataa hai na apano.n kii tarah miltaa hai
tu zamaane kii tarah mujhako sataataa kyuun hai
vaqt ke saath haalaat badal jaate hain
ye haqiiqat hai magar mujhako sunaataa kyuun hai
ek muddat se jahaan kaafile guzre hii nahiin
aisii raahon pe charaagon ko jalaataa kyuun hai
Who dil mein muqaam chahata hai
khanjar hai niyaam chahata hai
fankar pe maherban shahenshah
tareeq mein naam chahata hai
iss waqat jalal main hai suraj
taroo’n say salaam chahata hai
phika hai yahha’nbhi rang-e-ghuncha
who phool bhi kaam chahata hai
ek rauz na hogi subah teri
hur subah ki shaam chahata hai
kantoo’n ke nagar mein abla pa
kyoo’n jaee qyaam chahata hai
kya saada mizaj hai muzaffar
gazloo’n mein doaam chahata hai
Tumhaare shahar kaa mausam baraa suhaanaa lage
main ek shaam churaa luuN agar buraa na lage
tumhaare bas mein agar ho to bhuul jaao hamein
tumhein bhuulane mein shaayad mujhe zamaanaa lage
hamaare pyaar se jalane lagii hai ye duniyaa
duaa karo kisii dushman ki bad_duaa na lage
na jaane kyaa hai us kii bebaak aaNkhon mein
vo muuNh chhupaa ke jaaye bhii to bevafaa lage
jo Duubanaa hai to itane sukuun se Duubo
ke aas paas kii laharon ko bhii pataa na lage
ho jis adaa se mere saath bevafaaii kar
ke tere baad mujhe koii bevafaa na lage
vo phuul jo mere daaman se ho gaye mansuub
Khudaa kare unhein baazaar kii havaa na lage
tum aaNkh muund ke pii jaao zindagii “Qaiser“
ke ek ghuuNT mein shaayad ye badmazaa na lage
tum merii aa.Nkh ke tevar na bhulaa paaoge
ankahii baat ko samajhoge to yaad aa_uu.Ngaa
ham ne Khushiyo.n kii tarah dukh bhii ikaTThe dekhe
safaah-e-ziist ko palaToge to yaad aa_uu.Ngaa
isii andaaz me.n hote the muKhaatib mujh se
Khat kisii aur ko likhoge to yaad aa_uu.Ngaa
sard raato.n ke mahakate hue sannaaTo.n me.n
jab kisii phuul ko chuumoge to yaad aa_uu.Ngaa
ab tere ashk mai.n ho.nTho.n se churaa letaa huu.N
haath se Khud inhe.n po.nchhoge to yaad aa_uu.Ngaa
shaal pahanaayegaa ab kaun disambar me.n tumhe.n
baarisho.n me.n kabhii bhiigoge to yaad aa_uu.Ngaa
aaj tum mahafil-e-yaaraa.N pe ho maGaruur bahut
jab kabhii TuuT ke bikharoge to yaad aa_uu.Ngaa
haadase aaye.nge jiivan me.n to tum hoke niDhaal
kisii diivaar ko thaamoge to yaad aa_uu.Ngaa
is me.n shaamil hai merii baKht kii taariikii bhii
tum siyaah rang jo pahanoge to yaad aa_uu.Ngaa
Wo dil hi kia teray milnay ki jo dua na karay
Mein bhool k zinda rahoon khuda na karay
Rahay ga saath tera payar zindage ban ker
Yeh aur baat miri zindage wafa na karay
Yeh theek hay nahin merta koi judai mein
Khuda kisi ko kisi say juda na karay
Suna hay us ko muhabbat duaein dai hay
Jo dil pay choat khaie mager gilla na karay
Zamana dekh chuka hay parakh chuka hay usay
Qateel jaan say jae per iltaja na karay
Kabhi Khud Hi Mere Pass Aa,,
Meri Baat Sun Mera Saath Dey,,
Jo Khalish Hai Dilse Nikal Dey,,
Mjhay Uljhano Se Nijaat Dey,,
Tujhay Sochna Mera Mashghalaa,,
Tujhay Dekhna Meri Aarzoo,,
Mjhay Din Dey Apney Khiyaal Ka,,
Mjhay Qurb Ki Koi Raat Dey,,
Meri Zindagi Mere Saath Chal,,
Mere Hath Mei Apna Hath Dey,,,!!!
Jub tasawwur mira chupkay say tujhay chu aae
Apni her saans say mujh ko tiri khushbu aae
Mushghala ab hay mira chand ko tuktay rehna
Raat bher chain na mujh ko kisi pehlu aae
Jub kabhi gardish e doraan nay sataya mujh ko
Miri janib tiray phelay hue bazu aae
Jo bhi soocha k shub e hijr na ho gi roshan
Mujh ko sumjhanay tiri yaad k jugnu aae
Kitna hassaas miri aas ha sunnata hay
K khamoshi bhi jahan baandh k ghungru aae
Mujh say milnay ko sir e sham koi saya sa
teray aangun say chalay aur lub e ju aae
Us k lehjay ka aser to hay bari baat Qateel
Wo to aankhoon say bhi kerta hua jadu aae
mom ki tarha pighalte huai dekha us ko
ruut jo badli, badalte huai dekha us ko
wo jo kaanton ko bhi narmi se chuaa karta thaa
hum ne phoolon ko masalte huai dekha us ko
jaane kis gham ko chupaane ki tamanna hai usai
aaj har baat pe hanste huai dekha us ko
maangta hai wo duaaon mai na jaane kis ko
haath uthaate hi sisakte huai dekha us ko
khushiyo se naraz hai meri zindagi
pyaar ki mohtaaj hai meri zindagi
hans leta hun logo ko dikhane k liye
warna dard ki kitaab hai meri zindagi
Bandh lain haath pe seene pe saja lain tum ko
Jee main aata hai taveez bana lain tum ko
Phir tumhain roz sanwarain tumhain barhta dekhain
Kiyun na aangan main chmbelli sa laga lain tum ko
Jese ballon main koi phool chuna karta hai
Ghar ke guldan main phoolon sa saja lain tum ko
Kya ajeeb khawahish uthti hai hamare dil main
Ker ke mana sa hawa main uchalain tum ko
Iss qadar toot ke tum pe hamain pyar aata hai
Apni banhon main bharain maar hi daalain tum ko
Kabhi khawabon ki tarhan aankh ke parde main raho
Kabhi khawahish ki tarhan dil main bula lain tum ko
Hai tumhare liye kuch aisi aqeedat dil main
Apne haathon main duaoon sa utha lain tum ko
Jaan dene ki ijazat bhi nhi dete ho
Warna mar jayen abhi mar ke mana lain tum ko
Jiss tarhan raat ke seene main mahtab ka noor
Apne tareek makanon main saja lain tum ko
Ab to bas aik hi khawahish hai kisi morr per tum
Hum ko bikhre huway mill jao sambhalain tum ko ....
bahaar aaii to jaise ek baar
lauT aaye hain phir adam se
vo Khvaab saare, shabaab saare
jo tere honTon pe mar miTe the
jo miT ke har baar phir jiiye the
nikhar gaye hain gulaab saare
jo terii yaadon se mushk_buu hain
jo tere ushshaaq kaa lahuu hain
ubal pare hain azaab saare
malaal-e-ahavaal-e-dostaan bhii
Khumaar-e-aaGosh-e-mahavashaan bhii
Gubaar-e-Khaatir ke baab saare
tere hamaare
savaal saare, javaab saare
bahaar aaii to khul gaye hain
naye sire se hisaab saare
mujhe de rahen hain tasalliyaaN vo har ek taazaa payaam se
kabhii aake manzar-e-aam par kabhii haT ke manzar-e-aam se
na Garaz kisii se na vaastaa, mujhe kaam apane hii kaam se
tere zikr se, terii fikr se, terii yaad se, tere naam se
mere saaqiyaa, mere saaqiyaa, tujhe marahabaa, tujhe marahabaa
tuu pilaaye jaa, tuu pilaaye jaa, isii chashm-e-jaam ba jaam se
terii subh-o-aish hai kyaa balaa, tujhe ae falak jo ho hauslaa
kabhii karle aake muqaabilaa, Gam-e-hijr-e-yaar kii shaam se
Nazar jahan say bacha kay dekho,
Jo faaslay hain mitaa kay dekho,
Yeh zindagi muskura uthay gi,
Kisi ko apnaa banaa kay dekho,
Tumhari chahat main mit chalay hum,
Kabhi to palkain utha kay dekho,
Bana dey shayer jo kisii ko,
Woh *** tum bhi to kha kay dekho,
Koi bhi apnaa nahin jahan main,
Kisi ko bhi aazma kay dekho,
niklay gaa naam us ka,
Jo taar dil kay hilaa kay dekho
Zara Sa Faisala karna....
Keh Jeevan ki Kahani ko...
bayan-e- Bezubani ko,
Kahan se Yaadh Rakhna hai..
Kahan se Bhool Jan hai...
Kis ko Kitna Bataana hai..
Kis se Kitna chupaana hai..
Kahan ro ro ky hansana hai...
kahan hans hans k rona hai..
Kahan Aawaz deni hai..
Kahan Khamosh rehna hai...
Kahan Rasat Badaln hai...
Kahan se lot aana hai...
Bara dushwar hot hai.............
Raahon pe nazar rakhna, hoton pe dua rakhna
Aajaye koi shayad, darwaza khula rakhna
Ehsas ki shama ko ,is tarah jala rakhna
Apni bhi khabar rakhna ,uska bhi pata rakhna
Tanhayi ke mausam mein saayon ki hukumat hai
Yaadon ke ujaalon ko seene laga rakhna
Raaton ko bhatakne ki deta hai saza mujhko
Dushwar hai pehlu mein dil tere bina rakhna
Kabhi nazrein milane mein zamane beet jate hai
Kabhi nazrein churane mein zamane beet jate hai
Kisi ne ankh bhi kholi to sone ki nagri mein
Kisi ko ghar banane mein zamane beet jate hai
Kabhi kali seyah raatein humein pal pal ki lagti hai
Kabhi ik pal bitane mein zamane beet jate hai
Kabhi khola ghar ka darwaza khadi thi samne manzil
Kabhi manzil ko pane mein zamane beet jate hai
Ik ik pal mein toot jate hein umr bhar ke woh rishtey
Woh rishtey jo banane mein zamane beet jate hai
Maine chahaa ke bata du main hakeekat apne
Tune lekin naa mera raja-ye-mohabbat samjha
Mere ulazan mere haalaat yahan tak pahunche..
Tere aankhon ne mere pyaar ko nafarat samazaa..
Ab tere raah se begaanaa chalaa jaayegaa
Kal teri bazm se deewana chlala jayega...
Shamma rah jaygi,Parwana chala jayega
KOi tum say poochay kon hon main
Tum keh dena kuch khas nahi
Aik dost hai kacha pakka sa
Aik jhoot hai aadha sacha sa
Jazbaat ko dhanpay aik parda bas
Aik bhana acha sa
Koi tum say pochay kon hon main
Tum keh dena kuch khas nahi
unsey dil badghumaan ho gaya
dard phir dard-e-jaan ho gaya
janey kya kuch bayaan ho gaya
ab to yeh dard daastaan ho gaya
Hum Nazuk Nazuk Dil wale Bus aise hi to hote hain
Kabi Hanste hain Kabi Rote hain Kabi Dil mai Khuwab pirotey hain
Kabi Mehfil Mehfil phirtey hian, Kabi Zaat mai Tanha hote hain
Kabi Chup ki Mohrr lagate hain, Kabi Geet Labon per latey hian
Kabi Sab ka Dil Behlatey hain, Kabi Khood mai Tanha hote hain
Kabi Shab-Bhar Jagte rehte hain, Kabi Lambi Taan ker sotey hain
Hum Nazuk Nazuk Dil wale Bus aise hi to hote hain
Kabi Hanste hain Kabi Rote hain Kabi Dil mai Khuwab pirotey hain
qayamat tak muhabbat ka yeh afsaana naa badlega
jo deewana tumhara hai woh deewana naa badlega
jala kar khud ko dam lega yeh uska mashghala thehra
tumharey shamma gul karne se parwaana naa badlega
dua ka tuta hua harf sard aah mai hai
teri judai ka manzar abhi nigaah mai hai
tere bhulne ke bawasf tujhko chahaa hai
yeh aitraaf bhi shaamil mere gunaah mai hai
aazaab dega tu mujhe toh khwaab bhi dega
mai mutmaeen hoon ki mera dil teri panaah mai hai
apne Ehsaas Se Choo Kar Mujhe Sandal Kar Do
Mai Kayi Sadiyon Se Adhura Hun Mukammal Kar Do
Na Tumhe Hosh Rahe Aur Na Mujhe Hosh Rahe
Is Qadar Toot K Chaho Mujhe Pagal Kar Do
Tum Apni Hatheli Ko Mere Pyaar Se Rango
Apni Aankho Mei Mere Naam Ka Kajol Kar Do
Is K Saaye Mei Mere Khuaab Dehek Uthenge
Mere Chehre Pe Chamakta Hua Aanchal Kar Do
Dhoop Hi Dhoop Hun Main Toot Kar Barso Mujh Par
Is Qadar Barso Meri Rooh Mei Jal Thal Kar Do
Jese Sehraaon Mei Har Shaam Hawa Chalti Hai
Is Tarha Mujh Mei Chalo Mujhe Thal Kar Do
Tum Chupa Lo Mera Dil Auoot Mei Apne Dil Ki
Aur Mujhe Meri Nighaahon Se Bhi Ojhal Kar Do
Masla Ho To Nigaahein Na Churao Mujhse
Apni Chahat Ki Tawajjah Se Mujhe Hal Kar Do
Apne Gham Se Kaho Har Waqt Mere Saath Rahe
Aik Ehsaan Karo Is Ko Musalsal Kar Do
Mujh Par Chaa Jao Kisi Aag Ki Soorat Mei Janaaan
Aur Meri Zaat Ko Sookha Hua Jangal Kar Do..
ujalay Apni Yaadon K Hamare Sath Rehne Do
Najane Kis Gali Main Zindagi Ki Shaam Ho Jay
aagaaz Ka Wasoq Na Aanjam Pee Yaqeen
Aisay Katy Howay Hain Kisi Dastaan Say Hum
Masoom si Mohabbat ka bus itna sa Fasana hai
Kagaz ki Haweli hai, Baarish ka Zamaana hai
Kya Shart-e-Mohabbat hai, kya Shart-e-Zamana hai
Aawaz bhi Zakhmi hai aur wo Geet bhi gana hai
Uss paar utrne ki Umeed boht kam hai
Kashti bhi Puraani hai, Toofaan bhi aana hai
Samajhe ya na samjhe wo Andaaz-e-Mohabbat ka
Ek khaas ko Aankhon se ek sher sunaana hai
Bholi si ada, koi phir Ishq ki Zid per hai
Phir Aag ka Darya hai.. Aur Doob ke jana hai
hum to dushman ko bhi pakeeza saza dety hain
haath uthay nahi nazroon say gira dety hain
Tum bhi khafaa ho log bhii berham hain dosto
Ab ho chalaa yaqiin ke bure ham hain dosto
Kuch aaj shaam hi se hay dil bhi bujha bujha
Kuch sahar ke chiraagh bhi maddham hain dosto
Saab kuch sahi Faraz par itna zaroor hai
Duniya men aise log bahut kam hain dosto
Agar jo Dil ki suno ge to haar jaoge
Hum jaisa Pyaar phir kahan paoge
Jaan dene ki baat to her koi karta hai
Zindagi banane wala kahan se laoge
Jo ek nazar dekhoge tum humain
To her taraf sirf hum hi ko paoge
Yaqeen apni Mohabbat per itna hai mujhe
Meri chahat ko dekhoge to laut aaoge
Meri aankhon ke samandar main doob gaye thi
Kahin jaana bhi chaho ge to na ja paoge
Agar jo Dil ki suno ge to haar jaoge
Hum jaisa Pyaar phir kahan paoge
Jaan dene ki baat to her koi karta hai
Zindagi banane wala kahan se laoge
Jo ek nazar dekhoge tum humain
To her taraf sirf hum hi ko paoge
Yaqeen apni Mohabbat per itna hai mujhe
Meri chahat ko dekhoge to laut aaoge
Meri aankhon ke samandar main doob gaye thi
Kahin jaana bhi chaho ge to na ja paoge
Apni Khubsurat Kalayi Mein
Barey Chao Se
Choorian Ghumatey Hoye Uss Ne Kaha
Yeh Choorian Dekhiye
Kaisi Hain ?
Aap Ko Pasand Hain ?
Yeh Aap Ke Naam Ki Hain
Hum Ne Aap Ki Taraf Se Li Hain
Aap Hamary Ho Na ?
Ho Na ? Aap Hamary...
Iss Se Pehlay k Vo
Meri Aankh Mein Chamaktay Aansoo Dekhti
Jaldi Se Main Ne Kaha
Han Bohat Khubsurat Hain Yeh Choorian
Tumhari Kalayii Mein Khoob Saj Rahi Hain
Mery Naam Ki DaweyDaar
Vo Pyarii Masoom Larki
Khushi Se Muskura Di
Aur Bhool Gayi
Apney Sawal Ka Jawab...!!!
Kaha tha na? manaa lena,
Agar main rooth jaaon to.
Kaha tha na? bula lena,
Agar main duur jaaon to.
Nahi tum ne manaaya to,
Khafaa hoon khud se bhi ab main!
Nahi tum ne bulayaa to,
Na-jaanay hoon kahaan ab main!
wo agar baawafa hota........to kya hota...
wohi bay ajar chahatein...
wohi musaafatein raaeygaaan....
apni apni
wohi raastay juda
apnay apnay
usay milna hi na tha.....
per..
agar wo baawafa hota....
hamaray zakhm sil jaatay
hamara maaan reh jaataa
sunno, wo jab sataata hay
kaha, dil doob jaata hay
kaha, dil doobta hay kab?
bataya, jab sataata hay
kaho, kab phool khiltay hayn?
kaha, jab muskuraata hay
dharakta dil hey kab bolo
kaha, jab paas aata hay
kaho, dil may hay kiya oskay?
kaha, wo kab bataata hay
sunno berham sa hay shayed?
kaha, younhi banata hay
kaha, kuch to hua hoga?
kaha, wo aazmata hay
buri shaey hay ishq kioker?
kaha, shab bhar jagaata hay
kaho, wo bazm kaisi thi?
kaha, wo kab bulaata hay
kaho, os say bichernay ki?
bicherna kisko bhaata hay?
kaho, milnay ki khawahish hay?
kaha, bayderd naata hay
batao, raakh may hay kiya?
sitara jhilmilata hay
larzz jati hayn kab palkein?
nazar wo jab jamaata hay
Theher jaati hay dharkan kab?
Nazar say jab giraata hay ....
Sulag Raha Hoo'n Mai'n Dheerey Dheerey Magar Kisi Par Ayaa'n Nahi'n Hai
Woh Aag Dill Mai'n Lagii Hai Jiss Mei'n Tapish Hai Leikin Dhuaa'n Nahi'n Hai
Tumharey Ghamm Ney Sikha Dia Hai Mujhey Har Ik Gham Se Pyaar Karna
Ghamm-E-Jahaa'n Bhi, Yaqeen Jaano, Mizaaj-E-Dill Pey Giraa'n Nahi'n Hai
naheen zaruri kay her ajnabi ki baat suno
her ik sda pe dharakna bhei dil ka ferz nahi
sakoot-e-halqa-e-znajeer-e-der bhi kiun toote?
sba ka sath nibhana janoon pau ferz nahi...!
kaheen durr wadion mein kash humtum hotey
Intehaye mohbaat ki kashish humtum ankhon se kehtey
koi na dekhey na kisi ki ho parwah
hum duno hojaye chalo kuch deyr ke liye gumrah
teri arzoo thi kab se tughe paya hai aaj
kisey sunao mein kaise dil jhoom utha hai aaj
tughse do ghadi baat karle tau machal utha hai yeh dil
samghatey nahi samaghta kyun hai yeh itna gafil
Aao na itne kareeb ke hum durr na ho paye tumse
Azmao na hume itna kaheen hum darr na jaye tumse
SHAAM Palkon pe aanso’on ko sajaya na jaa saka...
us ko bhi Dil ka haalbataya na jaa saka...
zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera ...
ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka ...
jab teri yaad aayi to koshish ke ba wajood...
aankhon main aanso’on ko chupaya na jaa saka...
kuch log zindagi main aise bhi aaye hain ...
jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka...
bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho...
hum se to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka ...
woh muskuraha tha mere ru-ba-ru magar ...
chehre ka rang us se chupaya na jaa saka..
tanhaiyon ki aag main hum jal gaye magar...
faasla aaane ka mitaya na jaa saka ...
Aaj barish hoo rahi thii,
aaj phir in boondon main yad thee thumhari
na jane kya kashis the rimjhim in barish ke boondon main
jo mujhe kheech le jatee hain tumhare pas
ye janta hoon ki nahi chatee ho tum mujhee
par zaroori to nahi ki is bat ko main manoo bhi,
Jo kabhi milogi to poochunga tumse
kya ye barish tumhe bhi satatee hain
pyar na sahi
nafrat se bhari humari bhi kuch yadeen latee hai
usse kehna
koi aaj bhi tum bin
hijr ki, jhulasti dopehron main sulagta hai
habz zada raton main
palkon se sitarey ginta hai
sham kai udaas lamhon mai
dariya kinarey baith kar tumhe yaad karta hai
aksar darakhton par tumhara naam likhta
aur mitata rehta hai
hawaon se tumhari baat karta hai
tumhe laut aaney ko kehta hai
koi tumse bichad kar
bahaut udaas rehta hai
koi tumse bichad kar
bahaut udaas rehta hai!
Hazaron Khwaishe Aisi, Ki Har Khwaish Pe Dum Nikle,
Bohot Nikle Mere Armaan, Lekin Fir Bhi Kum Nikle,
Nikalna Khuldese Aadam Ka, Sunte Aaye Hai Lekin,
Bohot Beaabroo Hokar, Tere Kuche Se Hum Nikle
Mohabbat Main Nahin Hai, Fark Jeene Aur Marne Kaa,
Usi Ko Dekhkar Jeete Hai, Jis Kaafir Pe Dum Nikle
Khuda Ke Waaste Parda Nakabi Si Uttha Zaalim
Kahin Aisa Na Ho Yum Bhi Wohi Kaafir Sanam Nikle
Kaha Maikhane Ka Darwaaza Gaalib, Aur Kaha Waaiz,
Par Itna Jaante Hai, Kal Woh Jaata Tha Ke Hum Nikle.
Hazaron Khwaishe Aisi, Ki Har Khwaish Pe Dum Nikle,
Bohot Nikle Mere Armaan, Lekin Fir Bhi Kum Nikle
Nakaam si koshish kiya karte hain,
Hum hain ki unse pyar kiya karte hain,
Khuda ne takdir me ek tuta tara nahi likha,
Aur hum hain ki chaand ki aarzu kiya karte hain
Hai Duaa Yaad magar Hurf-e-Duaa Yaad nahi
Mere Naghmaat ko Andaaz-e-Nawa Yaad nahi
Mai ne Palkon se Darya pe Dastak di hai
Mai wo Saa'il hoon jise koi Sada Yaad nahi
Hum ne jin ke lye Raahon mai Bichaya tha Lahoo
Hum se kehtey hain wohi Ahd-e-Wafa Yaad nahi
Kese Bhar aayi Sar-e-Shaam kisi ki Aankhein
Kese Tehrai Chiragon ki Ziaa Yaad nahi
Sirf dhundlaye Sitaaron ki Chamak dekhi hai
Kab hua, kon hua, kis se Khafa Yaad nahi
Zindagi Jabr-e-Musalsal ki tarah Kayi hai
Jane kis Jurm ki payi hia Saza Yaad nahi
Aao ek Sajda karein Aalam-e-Madhosi mai
Log Kehtey hain 'SAGAR' ko Khuda Yaad nahi
Masoom Mohabbat ka bas itna Fasana hay,
Kaghaz ki Hawaili hay aur Baarish ka Zamana hay...
Kya shart-e-mohabbat hay, kya shart-e-zamana hay,
Awaz bhi Zakhmi hay aur Geet bhi gaana hay...
Us paar utarnay ki Umeed bohat kam hay,
Kashti bhi Puraani hay aur Toofan ko bhi aana hay...
Samjhay ya na samjhay wo Andaaz Mohabbat kay,
Aik shakhs ko Aankhon say Shair sunana hay...
Bholi si Adaa koi phir 'Ishq' ki, zidd par hay,
Phir 'Aag ka Darya' hay aur 'Doob' kay jana hay...!!!
Ab Laut Aao
Key Aik Bar Phir Mera Dil
Apni dharkno Kay Beqaboo Honay Ka Khail
Dekhna Chahta Hai
Ab Laut Aao
Kay Aik Bar Phir Meri Palkien
Tumhari Nazroon Sey Ghabra Ker
Jhukna Chahti Hain
Ab Laut Aao
Key Aik Bar Phir Meray Qadam
Tumharey Qadmon Kay Saath
Unhin Rastoon Per Chalna Chahtey Hain
Ab Laut Aao
Key Aik Bar Phir Mera Wajood
Tumharey Ishq Ki Aag Main
Jalna Chahta Hai
Ab Laut Aao
Key Aik Bar Phir Meri Zindagi
Tumhari Zindagi Sey Jurr Ker
Khud Ko Jeena Chahti Hai...!!!
Ye Hum Bhi Gawara Kerte Hein
Ye Tum Bhi Gawara Ker Leina
Ro Ro K Guzaree Hei Humne
Tum Has K Guzara Ker Leina
Betabi Had Se Berh Jaye
Aur Neend Na Aaye Raton Ko
Tum Doob K Meri Yado Mein
Dunya Se Kinara Ker Leina
Jis Waqt Janaza Guzre Ga
Is Na-Cheez Ka Tere Kooche Se
Jazbaat Pe Kaboo Ker Leina
Bus Chupke Se Nazara Ker Leina
Alweda keh dein
iss se pehly k nagma tham jay
Lu charagon ki larkhrane lagy
guftagu khamoshi mein dhal jay
llafz mehr e wafa k palkon pe
kehkshan ban k jhilmilain
iss se pehly k na sambhal pain
mustar ankhon larzte honton se
Allweda keh dein or bichar jain
or phir meh we tamasha e jan
ya kisi sahil par shor k pas
kabhi tanha kabhi sar e bazar
ya phir kabhi hajom e dilbran mein milnn
or besab lb machal uthen
ek na ashna nigha k sath
tum kareeb aao or guzar jaoo
iss se pehlly k ho ankh se ujhal
tum bhi ho jao hum bhi ho jain
mustar ankhon larzte honton se
Alweda keh dein or bichar jain
vBulletin® v3.8.4, Copyright ©2000-2013, Jelsoft Enterprises Ltd.