View Full Version : Dard he dard
Pages :
1
[
2]
3
4
5
6
7
8
vahashat-e-dil silaa-e-aabalaa_paa_ii le le
mujh se yaa rab mere lafzo.n kii kamaa_ii le le
aql har baar dikhaatii thii jale haath apane
dil ne har baar kahaa aag paraa_ii le le
mai.n to us subah-e-daraKhshaa.N ko tavangar jaanuu.N
jo mere shahar se kashkol-e-gadaa_ii le le
tuu Ganii hai magar itanii hai.n sharaayat merii
ye mohabbat jo hame.n raas na aa_ii le le
apane diivaan ko galiyo.n me liye phirataa huu.N
hai ko_ii jo hunar-e-zaKhm_numaa_ii le le
mairy mohsin mairy dilbar
yahan tum sa nahi koi
koi aisa keh ro doon to
wo aanso ponchhnay aaye
koi aisa jo duniya main
hamary g ko bha ja ay
koi humdam koi sathi
koi sajan koi piyara
koi dil k andhairoon main
chamkta huwa tara
mairy hamdam mairy dilbar siwa tairy nahi koi
Teri Nazron Main
Meri Koi Wuqa'at Na Sahi
Magar Aye Malikah Husn
Main Tera Hamraaz Bhi Raha Hoon
Ab Agar Nazron Sey Giraya Hey
Tu Zara Sochna
Chand Mushkil Lamhon Main Kabhi
Main Tera Damsaaz Bhi Raha Hoon
Mujhay harr Kaam se pehlay
Sehar se Sham se pehlay
Yehi ikk Kaam karna hai
Tumhara Naam lena hai
Tumm hi ko Yaad karna hai
Kay jabb bhi Dard peena hai
Kay jabb bhi Zakhm seenaa hai
Gham-E-Dunyaa say ghabraa karr
Mujhay jabb Jaam lenaa hai
Tumhara Naam lena hai
Tumm hi ko Yaad karnaa hai
Tummhaari Yaad hai Dill mein
Kay ikk Sayyaad hai Dill mein
Koi Barrbaad hai Dill mein
Ussay Aabaad karnaa hai
Tummharaa Naam lena hai
Tumm hi ko Yaad karnaa hai
Aik Lakeer Terey Naam Ki
kuch udaas kuch khamosh
kuch bebas see lakeerien merey
haath ki?
Dhoondta Rehta hoon aksar in Lakeeron main
Aik lakeer tere naam ki
Kuch maloom bhi hey
Kuch dil bhi janta hey
Ke in lakeeron main koi lakeer Nahi tere naam ki
Phir bhi naa jane kion dhondta Rehta hoon
Aksar ek lakeer tere naam ki
Aik lakeer
terey naam ki....
Tum meri kon ho tum se hai taluq kesa
Tum kesi dhundh main main lepti hoi tanhai ho
Meri shuhrat ho dua ho meri rasvai ho
Bat karti ho kabhi chup main bekhar jati ho
Koun meri rooh k goshoun pay sitam dhati ho
Tum meri kon ho tumse hai taluq kesa
Gungunati ho tu mehsoos yeh hota hai mujhe
Jese daryoun kay sahil se saada ati ho
Dur jata houn tu daman se lepat jati ho
Pass ata houn tu khawaboun main utar jati ho
rona Bhi Jo Chahein To Woh Rone Nahi Deta
Woh Shakhs To Palkein Bhi Bhigone Nahi Deta
Woh Roz Rulata Hai Hamein Khwaab Mein Aakar
Sona Bhi Chahein To Sonay Nahi Deta
Yeh Kis Ke Ishare Pe Umaad Aaye Hain
Hai Kaun Jo Barish Kabhi Hone Nahi Deta
Aata Hai Khayalon Mein Mere Kaun Yeh Aksar
Jo Mujh Ko Kisi Aur Ka Honay Nahi Deta
Is Der Se Ke Tor Ke Aansu Na Bahein
Bacchon Ko Mitti Ke Khilonay Nahi Deta
Ek Shakhs Hai Aisa Meri Basti Mein Abhi Tak
Jo Bojh Akele Mujhe Dhone Nahi Deta
Main Hoon Ke Bahata Hoon Teri Yaad Mein Aansu
Tu Hai Ke Ashkon Ko Pirone Nahi Deta
Woh Chehra Ajab Hai Jise Pa Kar Main Abhi Tak
Khoona Bhi Chaahoon To Woh Khone Nahi Deta...
Thaamay Huay Lehroo Ki Husn-e-baag Koi Too
Saahil Ko Samader Main Daboonay Nahin Deeta...
Main nay roka bhi nahi our wo thara bhi nahi
Hadsa kiya thaa jisay dil nay buhlaya bhi nahi
Janay waloon ko kahan rok saka hay koi
Tum chlay ho tu koi roknay wala bhi nahi
Kon sa mort hay kun paoon pakrti hay zameen
Uss ki basti bhi nahi koi pukara bhi nahi
Bay niazi say sabhi qariya jaan say guzray
Dekhta koi nahi hay kay Tamasha bhi nahi
Wo tu sadion ka safar ker kay yahan puhncha thaa
Tu nay munh phair kay jis shakas ko dekha bhi nahi
Kabhi Yo0n Bhe Aa Meri AanKh Men..
Keh NaZar Ko Kabhi Khabar Na Ho...
MuJheY Aik Raat NaWaZ De...
MaGeR UzKe Baad Sahar Na hO...
Wo Bara Rahim-0-Karim Hai.
MuJheY Yeh Sift Bhe Ata Kare...
TuJheY Bho0lne Ki Dua Kar0n...
To Meri Dua Men Asar Na Ho...
aapke Bina Jeena Hamare Bas Mein Nahi,
Wafa To Kar Sakte Hain Par Bewafai Nahi,
Mana K Ho Gaya Hai Humse Ek Gunaha,
Ab Kab Tak Dete Rahoge Us Baat Ki Saja,
Najuk Dhage Ko Itna Na Khincho Ke Tut Jaye,
Naa Jane Kab Zindgi Ka Saath Chuut Jaye,
Kuch Haseen Lamhe Bita Lo Tum Hamare Saath,
Kya Pata Galati Sudharne Ka Aur Ek Mauka Hame Mil Jaaye
hur ik baat pa kehtay ho ka too kia hay
tum hi kaho ka yea undaaz i guftagoo kia hay
rugoon main dournay phirnay kay hum nahi qail
jo aankh hi say na tupkay to lahoo kia hay
julla hay jissam to dill bhi jull gaiya ho ga
kuraidtay ho jo raakh to ub justajoo kia hay
aaj aye dil lab-o-rukhsar ki baatein he sahi
waqt kat jaayega kuch piyar ki baatein he sah
yun to kati he rahegi ghum-e-dauraan mein hayat
aaj ki raat ghum-e-yaar ki baatein he sah
zinda rahane ki kabhi to koi soorat nikle
isharat-e-aalam-e-deedaar ki baatein he sahi
koi to baat chirhe aaj bahut ji hai udaas
kam se kam rahmat-e-aghyaar ki baatein he sahi
ab to tanhai ko ye qarb na hoga bardaasht
kuch nahi to dar-o-deevaar ki baatein he sahi
ye bhi kya kam hai unhein qurbat-e-gul to hai naseeb
aaj gul ki na sahi khaar ki baatein he sahi
ye to taaye hai ke jiye jaayeinge her haal mein hum
un ke lab par rasan-o-daar ki baatein hi sahi
Hawa ko lekhna jo ageya hai
Ab us ke marzi k woh khizan ko bahar lekh day
Bahar ko intezar lekh day
Safar ke khawaish ko
wahmoun kay azab se humkinar lekh day
Wafa kay rastoun pay chalne waloun ke qismatoun main
Ghubar lekh day
Hawa ko lekhna jo ageya hai
Hawa ke marzi
K wasal mossum main hajir ko hisa dar lekh day
Muhabatoun main guzarne wali ratoun ko
Na paidar lekh day
Hawa ko lekhna jo ageya hai
Ab us ke marzi
K humare deeyeh bhuja kar
Shaboun ko baa akhteyar lekh day
Hawa ko lekhna sekhane waloo
Hawa ko lekhna jo ageya hai
tere baare mein jab socha nahiin thaa
main tanhaa tha magar itna nahiin thaa
teri tasviir se kartaa thaa baatein
mere kamare mein aaiinaa nahiin thaa
samandar ne mujhe pyaasaa hii rakhaa
main jab seharaa mein tha pyasaa nahiin thaa
manaane-ruuthne ke khail mein ham
bichhar jaayenge ye sochaa nahiin thaa
sunaa hai band kar li us ne aankhein
kayee raaton se vo soyaa nahiin thaa
Dil me kuch bacha nahi dard ke siwa,
aankho me aata nahi koiaansu ke siva,
dost tu matsaath ****na mera,
zindagi me kuch bacha nahi teri dosti ke siwa
tum merii aankh ke tevar na bhulaa paaoge
ankahii baat ko samajhoge to yaad aa_uungaa
ham ne khushiyon kii tarah dukh bhii ikatthe dekhe
safaah-e-ziist ko paltoge to yaad aa_uungaa
isii andaaz men hote the mukhaatib mujh se
khat kisii aur ko likhoge to yaad aa_uungaa
sard raaton ke mahakate hue sannaaton men
jab kisii phuul ko chuumoge to yaad aa_uungaa
ab tere ashk main honthon se churaa letaa huun
haath se khud inhen ponchhoge to yaad aa_uungaa
shaal pahanaayegaa ab kaun decembar men tumhen
baarishon men kabhii bhiigoge to yaad aa_uungaa
aaj tum mahafil-e-yaaraan pe ho magaruur bahut
jab kabhii tuut ke bikharoge to yaad aa_uungaa
haadase aayenge jiivan men to tum hoke nidhaal
kisii diivaar ko thaamoge to yaad aa_uungaa
is men shaamil hai merii bakht kii taariikii bhii
tum siyaah rang jo pahanoge to yaad aa_uungaa
Junoon sawar na hota to baat mushkil thi
Bohat ghubar na hota to baat mushkil thi
Raza say tehray hein apni tumharay koochay mein
Yanhan qarar na hota to baat mushkil thii
Rukay howay hein k badlo ** faislay ek din
Yeh intizar na hota to baat mushkil thi
Yeh dil rafeeq hay apna taweel arsay say
Yeh ghum gasar na hota to baat mushkil thi
Khata hoi thi magar us nay mazrat karlii
Wo sharamsar na hota to baat mushkil thi
Hum aehlay dil to humesha wafa nibhatay hein
Yeh karobar na hota to baat mushkil thi
Humaray samnay rahta hay wo har ek lamha
Kabhi kabhar na hota to baat mushkil thi
Ajab dil hay badan pay nazar rakhta hay
Yeh pehray dar na hota to baat mushkil thi
Aab aesay chor k jana ajeeb lagta hay
Wo sogwar na hota to baat mushkil thi
Dilon say phoot he parti hein cahatien
Yeh atibar na hota to baat mushkil thi
meri nazar main apni nazar baar baar rakh
ek Teer Dil, jigar kay hamesha hi paar rakh
Daman main uskay gul meri rahoN may Khaar rakh
ek haaTh main sitaray ek main Ghubaar rakh
DhaRkan pe apni kuchh bhi To, Tu eKhTyaar rakh
aiy beqraar Dil Tu zara To qraar rakh
aankhoN ko ho sakay To zara ashkbaar rakh
paiwastah rah shajar se ummeed-e-bahar rakh
Gham se jo hai T-alluq usay usTwaar rakh
rakhna hi hai agar To Dil-e-sogwaar rakh
sarchashma Terey Dil main muhabbaT ka hai agar
sookhay har aik hont pe aansoo ki Dhaar rakh
aiy mauT zinDagi ka abhi haaTh main hai haaTh
Thamoonga Tera haath bhi, Tu aitbaar rakh
Dil main naheeN jo ishq To kaahe ki banDagi
sajday main apnay sar ko agarche hazaar rakh
kaaba agar naheeN To isay buTkaDa bana
Dil main KhuDa ki yaD ya Tasveer-e-yar rakh
hamlay shaDeeD honge anaa ke KhaTiib phir
qaaim KhuDi ke girD KhuDa ka hisaar rakh..:
Tu Meri Zindagi Hay Yeh Sach Hay
Tu Mere Aashiqi Hay Yeh Sach Hay
Tujh Ko Daikhon Tu Ghazal Banti Hay
Tu Mere Shairi Hay Yeh Sach Hay
Phool Khiltay Hain Daikh Kar Jis Ko
Tu Mere Who Hansi Hay Yeh Sach Hay
Mere Aankhon Ki Tujh Say Rahat Hay...
Tu Mere Chandni Hay Yeh Sach Hay
Teray Dum Say Hay Ujala Dil Main
Tu Mere Roshni Hay Yeh Sach Hay
Mian Teray Pyaar Ki Pujaran Hoon
Tu Mere Bandagi Hay Yeh Sach Hay
Bus Tujhay Daikh Kar Main Jeeti Hoon
Tu Mere Har Khushi Hay Yeh Sach Hay
Jo Mere Zaat Ki Takmeel Karay
Tu Mere Who Kami Hay Yeh Sach Hay...
khash is dil ke awaaz mein itna asar ho jaye,
hum apko yaad karein,aur app ko khabar ho jaye,
khuda se mangate hain ki app jise bhi chaho,
woh zindagi ki raah mein apka humsafar ho jate.
yaqeen ki aakhrri had tak
yaqeen hai aur daawaa bhi
k rukhsat kar k bhi aksar
nazar ki aakhri had tak...!
mujhe woh dekhta ho ga
magar itne yaqeen k bad bhi men ne
kabhi muD kar nahi dekha...!
bas aik mubham sa darr hai
kahen aisa na ho jaai
palat kar men use dekhon
tou waapas ja chuka ho woh...!!!
dard itna tha ke uss raat dil-e-wehshi ne
her rug-e-jaan se ulajhna chaha
her bun-e-moo se tapakna chaha
aur kahin door tere sehn mein goya
patta patta mere afsurda laho mein dhul ker
husn-e-mahtaab se aazurda nazar aanay laga
mere veeraana-e-tan mein goya
saaray dukhtay hove raeshoon ki tanabein khul ker
silsala'waar pata dene laggein
rukhsat-e-qaafla-e-shoq ki tayyaari ka
aur jab yaad ki bujhti hoi shammooN mein nazar aaya kahin
eik pal aakhri lamha teri dildaari ka
dard itna tha ke uss se bi guzarna chaha
hum ne chaha bi, magar dil na thehrna chaha
Jab jab pat-jhar main pairoun se peele peele
Pate mere laan main aa kar girte hain
Raat ko chaat par ja kar main
Akash ko takta rehta houn
Lagta hai kamzoor sa peela chand be shyd
Peepal kay sokhe pate sa
Lehrata lehrata mere laan main aa kar utre ga!!!!
dil mein ab yun tere bhuule huye Gam aate hain
jaise bichhade huye kaabe mein sanam aate hain
ik ik kar ke huye jaate hain taare raushan
meri manzil ki taraf tere qadam aate hain
raqs-e-may tez karo, saaz ki lay tez karo
suu-e-maikhaana safiiraan-e-haram aate hain
kuch hamein ko nahin ehasaan uthaane ka dimaag
vo to jab aate hain maa_il-ba-karam aate hain
aur kuch der na guzare shab-e-furqat se kaho
dil bhi kam dukhata hai vo yaad bhi kam aate hain
kabhi jo ehsaas ho tum ko
ke...tum acha nahi karte
jo mujh ko yoon rulaate ho..
lahoo mera jalaate ho..
agar is aagh mein jal kar
main ik din raakh ho jaaoon to...
mujhe dil se bhulaa dena...
samunder main bahaa dena...
magar!
yeh yaad rakhna tum
khudaa se yeh duaa karna
ke!!
jo acha lage tum ko
woh tum jaisa hargizz na ho
wagarna tum bi ro'ge
mujhe jaise rulaate ho
Hamaray Dermiyan Aysa Koi Rishta Nahi Tha
Tayray Shanoun Pay Koi Chatt Nahi The
Mayray Zimmay Koi Aangan Nahi Tha
Koi Waada Tayri Zanjeer-e-Pa Bannay Nahi Pata
Kisi Iqraar Nay Mayri Kalaii Ko Nahi Thaama
Hawa-e-Dasht Ki Manind
Tu Aazab Tha
Rastay Tayri Marzi K Tabay Thaay
Mujhey Bhi Apni TanhaE Pay
Dekha Jaey Tou
Poora Tasarruf Tha
Mager Jab Aaj Tu Nay
Rasta Badla
Tou Kuch Aysa Laga Mujh Ko
K Jaysay Tu Nay Mujh Say Bay-WafaE Ki...
Shakan chup hai
Badan khamosh hai
Galoun pay vesi tam-ta-mahat bhi nahin , lakin
Main ghar se kese nekloun gi
Hawa chanchal saheeli ke tarah bahir khari hai
Dekhte he muskare gi
Mujhe chu kar teri har bat paa lay gi
Tujhe mujh se chura lay gi
Zamane bhar se keh day gi main tujh se mel kar aie houn
Hawa ke shookhiyan yeh
Aur mera bechpana aesa
K apne ap se bhi main
Teri khushboo chupati phir rehi houn
Dareeche Se Jhankti Wo Larki Ajeeb Dukh Se Bhari Hui He,
K Is k Aangan Me Phull Par Ek Neelii TiTli Mari Hui He
Kabhi Azanon Me Khoi Khoi , Kabhi Namazon Me Roi Roi,
Wo Esey Dunya Ko Dekhti He K Jesey Is Se Dari Hui He
Durood Se Mehki Mehki Sansen,Wazifa Parhti Hui Wo Ankhen,
K Ek Shamma-e-Umeed Un Me, Kai Baras Se Dhari Hui He
Wo Dukh Ki Chadar Me Lipti Lipti,Wo Kaley Kapron Me Simti Simti,
Muhabbat Us Ne Kisi Se ,Shayad Meri Tara Hi Kari Hui He
Barey Zamanon K Baad Barsi Hain Meri Aankhen Kisi Ki Khatir,
Bare Zamano K Baad Dil Ki Zameen Phr Se Hari Hui He~!!
zaalim tha wo aur zulm ki aadat bhi bahut thi
majaboor thay hum us se muhabbat bhi bahut thi
us but ke sitam sah ke dikha he diya hum ne
go apni tabiyat mein baghaawat bhi bahut thi
waaqif he na tha ramz-e-muhabbat se wo warna
dil ke liye thori si inaayat bhi bahut thi
yun he nahi mashoor-e-zamana mera qaatil
us shakhs ko is fan mein mahaarat bhi bahut thi
kya daur-e-ghazal tha ke lahu dil mein bahut tha
aur dil ko lahu karne ki fursat bhi bahut thi
her shaam sunaate the haseenon ko ghazal hum
jab maal bahut tha to sakhaavat bhi bahut thi
bulavaa ke hum 'Ajiz' ko pashemaaN bhi bahut hain
kya kiijiye kam_baKht kii shoharat bhi bahut th
Apke aane se zindagi kitni khubsoorat hai,
Dil me basayi hai jo woh apki hi surat hai,
Dur jaana nahi humse kabhi bhulker bhi,
Hume har kadam per aapki zarurat hai.
Khushi bhi ik udassi hai
Suno yeh ik haqeeqat hai
Tumhaari shaeiri k saarey harfo.n mein ,
Jigger ka khoon jalta hai
Sissaktey ,bain kertey aor sulaghtey saarey lafzo.n se
Tum apney shair buntey ho ,
Tumhaarey saarey shairo.n mein ,
Udaasi apni aankhein chhor ker ,
Khud aaeina khaano.n mein jaa k sarr patakhti hein
Yu.hein der der bhatakti hein
Khushi ko bhi kabhi likho gulabo.n ki kiitabo.n mein
Khushi bhi ik udaasi hai “
be Sabab Tu Nahin Thi Teri Yaadein
Teri Yaadon Se Kiya Nahin Seekha Mein Ne
Zabt Ka Hosla Barha Lena
Anson Ko Kahin Chupa Lena
Kampti Dolti Sadaoon Ko
Chup Ki Chadar Se Dhamp Kar Rakhna
Be Sabab Bhi Kabhi Kabhi Hansna
Jab Bhi Ho Baat Meri Talkhi Ki
Muzo-e-gufatogu Badal Dayna
Be Sabab Tu Nahin Teri Yaadein
Teri Yaadon Se Kiya Nahin Seekha Mein Ne
mera tamaam fan merii kaawish mera reyaaz
ik natamaam geet ke misre haiN jin ke beech
ma'aani ka tabt hai na kissi qaafiye ka mail
anjaam jis ka tay na hua ho ik aisa khail
meri mataa' bas yahi jaadu hai ishq ka
seekha hai jis ko maiN ne barhi mushkiloN ke saath
lekin yah saahir-e-ishq ka tohFa ajeeb hai
khulta nahiN hai kuchh ke haqeeqat meN kya hai yah
taqdeer ki ataa hai ya koi sazaa hai yah
kis se kaheN ai jaaN ke yah qissa ajeeb hai
kahne ko dil ke waaste itna hai iss ka bojh
seene se ik pahaaRh sa haTta nahiN hai yah
lekin asar ke baab meN halkaa hai iss qadar
tujh par agar chalaaooN to chalta nahiN hai yah..
Ye dil kabhii na muhabbat me.n kaamayaab huaa
mujhe Kharaab kiyaa, aap bhii Kharaab huaa
ajal me.n, ziist me.n turabat me.n, hashr me.n zaalim
tere sitam ke liye mai.n hii intaKhaab huaa
Phir koi aya dil e zar ,, Nahin koi nahin
Rahro ho ga, Kahin aur chala jay ga
Dhal chuki rat , Bekharne laga taroun ka ghubar
Larkha-rane lage aevanoun main khawabedah churagh
So gi rasta tak tak kay har aik Rahguzar
Ajnabi khak ne dhundhla deeye Qadmoun kay suragh
Gul karo shamain , Bharha do maa o meena o aeyagh
Aaa bay khawab Ka-varoun ko muqfal kar lo
Ab yahan koi nahin , Koi nahin aaye Ga
Raat bhar hum chand ko dekha karein
doob jaaye chand to phir kya karein
ghar me tareeqi k tewar dekh kar
shaam hote hi use dhoonda karein
ek bargad ki hunk chaao'n tale
beth kar us doop ko socha karein
phir nikaalein faal apne pyaar ki
Aao phir se choodian toda karein ..
Tum bichar kar bhi meri ankh ke putli main rehe
Es judai se tu achi thein Mulaqatian he
Aur yeh waqfa e farqat ghum e farqat kay sawa
Lay kay aya hai nay dard ke sughatain bhi
Ab es dard kay pahlo main basar rat karain
Aao tajdeed e mulaqat karain
abhi tak aan'kh saa-il hai
abhi to bay yaqeen' dil hai
labon' tak ittifaaqan ik kiran bhi aa nikaltee hai
to ghabra ker zameen-o-aasman' ko daikhtay hain
jahaan' ko daikhtay hai
abhi tak waswasaa aasaib sa rastay mein haa-il hai
hamain to zindagee k saath chalnay ka
hunar ab tak nahi aya
jabeen' ko saa-atay shukraana hasil hai
magar mosam badalnay ka
abhi zakhmon' k bharnay ka
yaqeen' aasan' nahi lagta
gumaan' tak kar-e-mushkil hai
abhi tak aitebaar-e-dard ghaa-il hai
dua chehron' k aaeenon' mein jaisay
saya-e-deewar shamil hai
abhi tak aan'kh saa-il hai
Erum Zehra
09-15-2007, 08:54 PM
wah ji wah kiya baat hai sari hi zabardast hain janab :smile[1]:
Agar Hum Dost Hotay Tu
Karam Key Inteha Kartey
Tumhen Palkoon Pay Rakhtey Hum
Tumhen Dil Main Basatey Hum
Agar Tum Rooth Jaatey Tu
Tumhain Kitna Manatey Hum
Jo Milney Tum Nahi Aatey
Tu Aa kar Khud Tumhain Miltay
Tumhari Laghzishon Ko Bhi Hansi Main Ham Ura Detay
Agar Apni Khata Hoti To Khud Ko Bhi Saza Detay
Magar Yeh Sab Jabhi Hota Agar Hum Dost Hotay Tu
Magar Itna He Jana Hey Kay
Tum Nay Aaj Tak Ham Ko Paraya Keh Kar Jana Hay
Kabhi Hamdam Naa Mana Hay
Agar Hum Dost Hotay Tu........
Yaadon Sey Rishta Kal Bhi Tha, Yaadon Sey Rishta Aaj Bhi Hai
Dil Kal Bhi Apna Dukhta Tha, Dil Afsurdaa Sa Aaj Bhi Hai
Tum Door Huvey Majboori Mein, Hum Toot Gaye Is Doori Mein
Kabhi Waqt Miley Tu Lout Aana, Ye Dil Ka Dar Vaa Aaj Bhi Hai
Woh Sahil Woh Mitti Geeli, Mitti Ke Gharondey Sahil Per
Sahil Ki Bipherti Mojoon Se, Gharondon Ko Bachana Aaj Bhi Hai
Tum Khush Ruho Abaad Ruho, Dil Apna Tu Barbaad Huva
Gham Dil ka Sahara Kal Bhi Tha, Aur Gham Ka Mara Aaj Bhi Hai
Yeh Ashk Nahi Hain Aankhon Mein, Ye Taarey Jhilmil Kartey Hain
In Aankhon Mein Jo Kal Tuk Tha, Vohi Chaand Sa Chehra Aaj Bhi Hai
Ab Shikva Kisi Se Kya Karna, Taqdeer Mein Jo Likha Tha Mila
Gham Kal Bhi Mera Sarmayaa Tha, Gham Mera Virsa Aaj Bhi Hai
Wasal e rut ke yeh pehli dastak he serzunsh hai
K hajir mossum nay raste raste safar ka aghaz keya
Tumhare hathoun ka lames jab bhi meri wafa ke hatheeloun par hina bane ga
Tu soch loun gi
Rafatoun ka sunehra suraj gharoob kay imtehan main hai
Humare baghoun say gar kabhi titlyoun ke khushboo guzar na pay tu yeh na kehna
K titlyoun nay gulab raste badal lay hain
Agar koi sham youn bhi aayeh k jes main hum tu lagain paray
Tu jan lena
K sham bay buss thi shab ke tareekoun kay hathoun
Tumhari khawaish ke muthain bay dehyanoun main kabhi khulain tu yaqeen karna
K meri chahat kay jugnoun nay
Tumhare hathoun kay lames taza khawaishoun main
Bare ghunere andhere kate
Magar yeh khadshe , yeh waswase tu takalfan hain
Jo bay irada safar pay nekal lain
Tu yeh tu hota hai yeh tu ho ga
Hum apne jazboun ko Munjamed raiganeyoun kay superd kar k
Yeh soch lain gaay
K hajier mossum tu wasal ke pehli sham say he
Safar ka aghaz kar chuka tha
Main Ney Roka B Nahi Or Woh Thehra Bhi Nahi
Hadsa KYa Tha Jisey Dil Ney Bhulaya Bhi Nahi
Janey Walon Ko Kahan Rok Saka Hey Koi
Tum Chaley Ho Tu Koi Rokney Wala Bhi Nahi
Koun Sa Mor Hey KYon Paon Pakarti Hey Zameen
Us Ki Basti Bhi Nahi Koi Pukara Bhi Nahi
BeyNiyazi Sey Sabhi Qurya-Jaan Sey Guzrey
Dekhta Koi Nahi Hey Keh Tamasha Bhi Nahi
Woh Tu Sadyon Ka Safar Ker K Yahan Pohncha Tha
Tu Ney Mounh Pher Ko Jis Shakhs Ko Dekha Bhi Nahi
_________________
Manzil ka rasta tha, so ab bholta nahi
Woh shaks ashna tha ,so ab bholta nahi
Kehnay ko to kuch din hi guzaray thay us ke saath
Sadiyon ka wasta tha, so ab bholta nahi
Chand pal rifaqatoon ke beetaye thay us ke sang
Pur-lutf, dil-ruba tha, so ab bholta nahi
Manoos ajnabi tha ,ya dil ka woh chor tha
Jo bhi tha bas bhala tha, so ab bholta nahi
Baton main saat rang thay,lehjay main tha waqar
Humdum tha, humnawa tha, so ab bholta nahi
Kuch rang apnay sang woh laya tha ghair ker
Kuch hum ko day gaya tha, so ab bholta nahi
Kuch din khushi ke hum ko usi say hue naseeb
Kuch din mera reha tha, so ab bholta nahi
Tha yoon to ajnabi mager kitna ajeeb tha
Mujh main hi bolta tha, so ab bholta nahi
tu kahen bhi rahe teray sar ilzam to hay
teray haath ke lakeron mein mera naam to hay
tu mujhe apna bana ya na bana
tere marzi
tu apnay shear mein meray naam say badnam to hay
Pas e namos e wafa itna tu kar joun ga
Woh mere samne aay ga tu mar joun ga
Tu ne insan samej kar mujhe dekha ho ga
Main tu ek rait ka toodah houn bekhar joun ga
Aik mati ka deeya sath leyeh phirta houn
Rah e tareek bhi ho gi tu guzar joun ga
Meri shairoun ke chan a chan kay taranum pay na ja
Main tu ek dukh houn tere dil main utar joun ga
Aik tufan e bala mujh ko urha laya tha
Mere bazoo hain na ab, ab main kedhar joun ga
Mere alfaz o mahni main koi farq na dhondh
Main sukhan saz nahin houn k mukar joun ga
Mera kardar saada aik raha hai Kousar
Mujh ko jab dekho gaay kuch aur joun ga
mere hathoon main aaker
rang batain kernay lagtay hian
main in rangoon se
apnay dil ki batain paint kerta hoon
meri in paintings ko dekh ker
duniya ye kehti hai
tumharay khawab sachay hain
tumharay khawab achay hain
main us dam muskurata hoon
unhain batla nahi sakta
ke is rangoon bhari duniya ke peechay
dard ke kitnay samandar hain
kai dukh narsai ke
meri aankhon main rehtay hain
jinhain main keh nahi sakta
magar kab loog mere dil ke aander
jhank saktay hain
ke is rangoon bhari dunya ke peechay
dard ke kitnay samandar hain
wo bas ik baat kehtay hain
tumharay khawab sachay hain
tumharay khawab achay hain
magar dukh narsai ke
wo kaise jaan pain ga-ay
Tera koocha,Teri galliyan ,Tera ghar bhool jata hoon
najaney kiyun,tera chehra main aksar bhool jata hoon
teri mehfil main sunta hoon raqeebon ka bayaan aisey
yaheen ka tha kabhi main bhi sukhan war bhool jata hoon
meri hasti teri nazroun main janaan is tarah tehri
teri raahoun main rakha aik pat'thar, bhool jata hoon
kisi ki halki si aah bhi mujhey halkaan rakhti hay
kisi ki aakhri hichki bhi sun kar bhool jata hoon
phir apney haath likh baitha lakeerain main judaai ki
hay jeena hijr main marney say badtar bhool jata hoon
main tanha hoon to jeevan ka ufaq jo ghair laitey hain
teri qurbat main gham k saarey manzar bhool jata hoon
bina-e-ishq k nikla hoon main us k ta'aqub main
magar uska to maskan hay mera ghar bhool jata hoon
tu jo din raat deta hay sitam woh yaad rakhta hoon
mujhey tujhko bhulana hay sitamgar bhool jata hoon
yeh namm palkain,udaas aankhen, dil-e-veeraan-e- tera shab
Yeh lamha kub say hay mera muqaddar bhool jata hoon~!!
vo kahate hain ranjish kii baatein bhulaa dein
muhabbat karein Khush rahein muskuraa dein
javaanii ho gar jaavidaanii to yaa rab
terii saadaa duniyaa ko jannat banaa dein
shab-e-vasl kii bekhudii chhaa rahii hai
kaho to sitaaroun kii shamaein bujhaa dein
tum afsaanaa-e-qais kyaa puuchhate ho
idhar aao ham tum ko lailaa banaa dein
bahaarein simat aayein khil jaayein kaliyan
jo ham tum chaman mein kabhii muskuraa dein
vo aayeinge aaj ai bahaar-e-muhabbat
sitaaroun ke bistar mein kaliyan bichha dein
Yeh theek hai
Jhout say tum ko nafrat hai
Aur rasti kay parestar ho
Such ke rahoun pay chelne kay tum be gunah gar ho
Magar such kahan hai
Kai sal khurdah kitaboun ke yeh dastan hai
Kesi mard e majzob ka yeh baiyan hai
Mujhe youn lage hai
K jungle main jese
Luta sa koi karwan hai
Mujhe yeh batao
K tum naqli sone ke es jhouti duniya main
Kab tak bhala
Such ke bay abroo zindagi par guzara karoo **
Buzergoun kay har jhout ka
Qarz kab tak utara karoo **
Main ne puuchaa pahalaa patthar mujh par kaun uThaayegaa
aaii ik aavaaz ki tuu jis kaa mohasin kahalaayegaa
puuchh sake to puuchhe koii ruuth ke jaane vaaloon se
roshaniyoon ko mere ghar kaa rastaa kaun bataayegaa
logo mere saath chalo tum jo kuchh hai vo aage hai
piichhe murh kar dekhane vaalaa patthar kaa ho jaayegaa
din mein hansakar milane vaale chehare saaf bataate hain
ek bhayaanak sapanaa mujh ko saarii raat Daraayegaa
mere baad vafaa kaa dhokaa aur kisii se mat karanaa
bura kahegi duniyaa tujh ko sar meraa jhuk jaayegaa
suukh gaii jab in aankhoon mein pyaar kii niilii jhiil 'Qateel'
tere dard kaa zard samandar kaahe shor machaayegaa
Aaaa dil e beqrar chup ho ja
Ja chuki hai bahar chup ho ja
Ab na aien ** rothne wale
Deedah ashkbar chup ho ja
Ja chuka karwan e lalah o gul
Urh reha hai ghubar chup ho ja
Chout jati hai phool say khushboo
Roht jate hain yar chup ho ja
Hum faqeeroun ka es zamane main
Koon hai ghum gasar chup ho ja
Hadsoun ke na ankh khul jay
Hasrat sagwar chup ho ja
Geet ke zarab say be aaa Saghir
Toot jate hain tar chup ho ja
yah jhhuki jhhuki aankheN
yah ruka ruka sa lehjaa
lab pe baar baar aa ke
TooT.ta hua fiqraa
gard meN aTii paleN
dhoop se tapaa chehra
sar jhhukaaye aaya hai
aik umr ka bhoola
dil hazaar kehta hai
haath thaam looN iss ka
choom looN peshaani
lauTne na dooN tanhaa
koi dil se kehtaa hai
saare harf jhooTe haiN
aitbaar mat karna!
aitbaar mat karna!!
Ik saza aur asiron ko suna di jaye
yani ab jurm-e-asire ki saza di jaye
uski khwahish hai k ab log na roen na hansen
behisi waqt ki awaz bana di jaye
dasht-e-nadida ki tahqiq zaruri hai magar
pahle jo aag lagi hai wo bujha di jaye
sirf jalna hi nahin hamko bharakna bhi to hai
ishq ki aag ko lazim hai hawa di jaye
sirf suraj ka nikalna hai agar subah to phir
ik shab aur meri shab se mila di jaye
aur ik taza sitam usne kiya ijad ..
usko is bar zara khul ke dua di jaye~!!
Dastoor yahan andhe hain farman yahan be andhe hain
Aaa dost KHUDA ka nam na lay Ayman yahan be andhe hain
Taqdeer k kale kambal hain azmat kay fasane lepte hain
Muzmoon yahan be behre hain Unwan yahan be andhe hain
Zar-dar tawuko rekhta hia Naadar ke ghari mehnat par
Muzdoor yahan be dewane Zeeshan yahan be andhe hain
Kuch log bharosa karte hian tasbeeh kay chalte danoun par
Bay chian yahan yazdan ka janoon Insan yahan be andhe hain
Bay nam jafa ke rahoun par kuch khak se urthi dekhi
Hyran hain diloun kay aynay Nadan yahan be andhe hian
Bay rang shifq se dhalti hia bay noor sawere hote hian
Shah-er ka tasavur bhooka hia Sultan yahan be andhe hian
Dastak deti hain shab ko dar e dil par yadain
Kuch nahi hai magar es ghar ka maqadar yadain
Dhondati hain teri mehki hoi zulfoun ke bahar
Chandani rat kay zeenay say utar kar yadain
Ishrat e rafta ko awaz deya karti hian
Har nay lamhay ke dehleez pay ja kar yadain
Rang bharte hain khaaloun main haveelay keya keya
Paish karti hain ajab khawab ka manzir yadain
Na kesi zulf ka ambar,na guloun ke khushboo
Kar gi hai meri sansoun ko muhtar yadain
Kum nahin rat kay sahra say meray dil ke fiza
Aur akash kay taroun say fazoun tar yadain
Mashl e ghum na bhujoo k Shakeeb us kay beghair
Rasta ghar ka bhula deti hian akser yadain
MaiN raastoN ka ghubaar hooN
Yaa HasratoN kaa mazaar hooN
Teray paaoN kii main dhool hooN
Daaman maiN atkaa khaar hooN
Mujhay Bhool jaa Mujhay Bhool jaa
Dil-e-soz kii maiN aah hooN
yaa aik subh-e-siyaah hooN
jo palatt gaii woh nigaah hooN
bhatkii huii ik raah hooN
Mujhay bhool jaa mujhay bhool jaa
Kisii aaNkh say jo gir gayaa
Kisii nazar say jo uter gayaa
kisii dil say jo keh bisar gayaa
Kisi zehn maiN jo bikhar gayaa
MaiN hoN woh lamha-e-baazgasht
jo chhinn gayaa woh qaraar hooN
Mujhay bhool jaa mujhay bhool jaa
Gunah karte he rehte hain, saza hoti he rehti hai
Khata kay hum bhi putle hain, khata hoti he rehti hia
Ghumoun kay beej hum sahra e dil main kasht karte hain
Yeh fasl e dard hai nashoo nama hoti he rehti hia
Yeh duniya hai , masail hain, masail dar masail hain
Wafa ko chooryeh sahib , wafa hoti he rehti hia
Jo qarz e zindagi hum par hai,woh bharta he rehta hai
Jo qest e arzoo hai , woh ada hoti he rehti hia
Gali kochoun main darvaishoun ka phaira lagta rehta hia
dar e dil par faqeerana sada hoti he rehti hia
Kesi kay lames ka nasha badan main raqas karta hai
Kesi kay qarb ke khawaish sava hoti he rehti hia
Havay aafeyat es shaher main chalti nahin MOHSIN
Bepa har ahad main ek karbala hoti he rehti hia
Dil Ki Batain , Bata Deti Hain , Aankhen ,
Dharkanon Ko Jaga Deti Hain, Aankhen ,
Dil Pe Chalta Nahi Jadoo, Cheroon Ka Kabhi ,
Dil Ko Tu , Deewana Bana Deti Hain ,Aankhen,
Woh Hum Se Baat Nahi Karte , Tu Na Kare ,
Haal Sara Unke Dil Ka , Suna Deti Hain Aankhen,
Gham Sada Rehta Nahi , Aadmi Ke Saath,
Ashk Bana Kar , Chalka Deti Hain Aankhen,
Aata Hai Jab Dor - E - Jawani , Tu Ae Dosto,
Sunder Sapne Zehan Mein ,Basa Deti Hain Aankhen,
Ma Na Ke Neend Aati Hai , Aankhon Hi Ke Raste ,
Magar Kabhi Kabar ,Neend ,Ura Deti Hain Aankhen,
Eesha Shukar Hai , Khuda Ne Ata Ki , Aankhon Ki Neamat Humain,
Dard -O-Gham ,Sare Dil Ke , Chupa Deti Hain Aankhen.
Buhat mushkil hai tark e ashiqi ka dard sahna bhi
Buhat dushwar hai lakin muhabat karte rahna bhi
Khuda ke tarah, meri chup kay bhi mufhoom lakhoun hain
ek indaz e takalum hai kesi say kuch na kahna bhi
Use kho kar main jesay zindagi ka husan kho betha
Muhabat main magar es dagh ko kehte hain gahna bhi
Main yukh basta houn, lakin mera suraj muj pai chamke ga
K barfoun he say wabesta hai daroun ka bahna bhi
Badan mangay huway malboos main chupne nahin pate
Pehante hian jo khal-at, mujh ko lagte hian barhana bhi
aaj phir yad us ki mujhe aai hai,
aaj phir sang apne lakhon gam lai hai,
aaj phir matam hoga mere dil ka,
na jane kab tak yeh silsila rahe ga,
aaj phir bahoot door shanaiyan baje gi,
jaise ki mera dil pe churiyan chalage,
aaj phir koi hase ga to koi roe ga,
na jane kon jage ga to koi soe ga,
aaj phior kismat meri mujhe wohin lai hai,
jahan par likhi hui abhi tak judai hai
Main Mohabbat hoon Mohabbat karke dekh
Main Mohabbat na doon to kehna
Main Muskurahat hoon mujhe hansa ker dekh
Na sajoon tere honton per to kehna
Main Khushboo hoon mujhe mehsoos karke dekh
Na mehkoon teri zindagi main to kehna
Main Dil hoon mujhe sun ker dekh
Na Dharkoon tere Dil main to kehna
Main Phool hoon mujhe laga ker dekh
Na mehkoon din raat to kehna
Main Mohabbat hoon mujhe apna karke dekh
Na banoo main teri to kehna
naam likhta hoon tera phir mita deta hoon
soch mai khud ko kitni kadi saza deta hoon
tera he khayal hoota hay meri nazm
tere he tasaawar se ghazal saja deta hoon
soochta hoon tujh ko jab kabhi main
dunia to dunia khud ko bhe bhula deta hoon
tu jo royay to sang roo padta hoon
tu jo hansay to sang muskura deta hoon
hoota hoon jab boohat tanha main kabhi
akse teri yad ke deep jala deta hoon
waqif nahi mai izhare wafa kay aadaab say
akalay mai khud ko he hale dil suna deta hoon
mil nahi saktay hum toa aisa kertay hain
tu mujhe bhool ja mai tujhe bhula deta hoon
wo pagal hay jo meray sath nibha rehi hay
nadim mai usay dukh ke siwa kiya deta hoon
zindagi ki raho main
koi jab yad aya
tum uss ko bhula dayna
khuwab aker palkon per
bheegh bheeg sa jaya
iss ko apnay anchal say
ek dam mita dayna
werna log samghay gaye
koi tum say rutha hai
aitbar toota hai
qurbaton meIn bhii judaa_ii ke zamaane maaNge
dil vo bemehar ki rone ke bahaane maaNge
apnaa ye haal ke jii haar chuke,, luT bhii chuke
aur muhabbat vahii andaaz puraane maaNge
ham na hote to kisii aur ke charche hote
khalqat-e-shahar to kahne ko fasaane maaNge
dil kisii haal pe maane hii nahiin jaan-e-'Faraz'
mil gaye tum bhii to kyaa aur na jaane maaNge
kis kis tarah se mujh ko na rusvaa kiyaa gayaa
Gairoun kaa naam mere lahuu se likhaa gayaa
nikalaa thaa main sadaa-e-jaras kii talash mein
bhuule se is sukuut ke seharaa mein aa gayaa
kyoun aaj us kaa zikr mujhe Khush na kar sakaa
kyoun aaj us kaa naam meraa dil dukhaa gayaa
is haadase ko sun ke karegaa yaqiin koii
suuraj ko ek jhonkaa havaa kaa bujhaa gayaa
ek shaks mujh ko zakham-e-shanasai de gaya
jab de na saka pyar to ruswai de gaya
jatay huay apni nishani kay toor per
kitnay khlus se mujhay tanhai de gaya
Ghum Mila Toh Ro Na Sakhey,
khushi Mili To Hans Na Sakhey,
Yeh kaisa Raaz Hey Zindegi Ka,
Ham Samaj Na Sakhey,
jis ko chaha,Apna Na bana Sakhey
nidhal youn huay keh saab zerroratain he margayin
na bhook hay na piyaas hay,yeh dil buhat udaas hay
nah janay kis khyal say,bhuja bhuja hay aaj kal
yahi jo tera udaas hay,yeh dil buhat udaas hay
her aik aik say yahipaker kay poochtay rahay
kahan woh gham e hehnaashay,yeh dil buhat udaas hay
Udass Shamoon Main
Talkh Batoon Main
Zindagi kay samandar ki khoni moojon main
khawabon kay sahilon per
majborion kay toofano main
khahishon ki kishti main
baithey pur ummed musafroon ki
muskurahatoon ko kabhi gor say daikho
shikasta dil logon ki khilkhilhaton main karb kikirchion ko kabhi gor say daikho
khusion kay jazeray par gham kay samandar ko kabhi gor say daikho
khawabon ki khirkiyon say
haqiqaton kay shajar ko kabhi gaor say daikho.
jab shaam aagan main utar aae mujhe yaad karlena
jab chandni har so bikhar jae mujhe yaad karlena
shub bhi gahri ho aankhain bhi be khuaab hun
aur kisi ki yaad tumhain satae tu mujhe yaad karlena
kabhi asa ho aansoo chunne wala koi na ho
aur rone ko bhi je chahe mujhe yaad karlena
jab koi bhi na aae maseehaee ko
dard jab had se barh jae mujhe yaad karlena
tum asa karna gum rehna tamam saal khud main
magar jab khizan ka mosam aae mujhe yaad karlena
Jo log khush naseeb hote hain
Hota hai aik hee koi apna
Warna saare raqeeb hote hain
Daulat-e-zindagi ki khuwahish hai
Log kitne ghareeb hote hain
Zakhm hum ko jo atta kerte hain
Wo humare habeeb hote hain
Hum ko dushman samajh rahe hain jo
Wohi dil ke kareeb hote hain
Dilon mein dard chupaney waley
Khuwahishon ke saleeb hote hainHazaroon mosamoon ki hukum rani hai meray dil par
Wasi main jab bhi hansta hoon to aankhain bheeg jati hain
Yeh akhiaan jhooti sakhiyaan hain
yeh khwaab humein dikhlaati hain
in khwaabon me bas jhoote rang,
aur jhoote khel khilone hain
kuch jhoote taane baane hain
sab manzar aane jaane hain
Yeh akhiyaan jhooti sakhiyan hain
yeh surkh chanaaron me aksar,
patjhad ki chadar ko odhe
kuch aise aag lagaati hain
ta'had-e-nazar,
haaron ki teekhi teekhi si
bas pakdandiyan reh jaati hain
Mat in ki baaton me aana
Mat in ko khatir me lana
Yeh akhiyaan jhooti sakhiyan hain...
jis simt bhii dekhuu.N nazar aataa hai ke tum ho
ai jaan-e-jahaa.N ye ko_ii tum saa hai ke tum ho
ye Khvaab hai Khushbuu hai ke jho.nkaa hai ke pal hai
ye dhundh hai baadal hai ke saayaa hai ke tum ho
is diid kii sa_aat me.n ka_ii rang hai.n larazaa.N
mai.n huu.N ke ko_ii aur hai duniyaa hai ke tum ho
dekho ye kisii aur kii aa.Nkhe.n hai.n ke merii
dekhuu.N ye kisii aur kaa cheharaa hai ke tum ho
ye umr-e-gurezaa.N kahii.n Thahare to ye jaanuu.N
har saa.Ns me.n mujh ko ye lagataa hai ke tum ho
har bazm me.n mauzuu-e-suKhan dil zad_gaa.N kaa
ab kaun hai shiirii.n hai ke lailaa hai ke tum ho
ik dard kaa phailaa huaa saharaa hai ke mai.n huu.N
ik mauj me.n aayaa huaa dariya hai ke tum ho
vo vaqt na aaye ke dil-e-zaar bhii soche
is shahar me.n tanhaa ko_ii ham saa hai ke tum ho
aabaad ham aashuftaa saro.n se nahii.n maqtal
ye rasm abhii shahar me.n zindaa hai ke tum ho
ai jaan-e-'Faraz' itanii bhii taufiiq kise thii
ham ko Gam-e-hastii bhii gavaaraa hai ke tum ho
Mera bojh khud uthaana meray daaeray mein rehna
mujhe apnay dil mein rakhna meray haafizay mein rehna
meray manziron mein basna meri guftagu mein hona
meray lamas mein samana meray zaaiqay mein rehna
mera hukam khud sunaana meri mohar khud lagana
meray mashwaray mein hona meray faisalay mein rehna
kissi dhoop k nagar mein mera saath chor jaana
kabhi mera akas ban ker meray aainay mein rehna
kabhi manzilon ki soorat meri dastaras sey baahir
kabhi sang e meel bun ker meray raastay mein rehna
meray haath ki lakeerain tera naam bun ker chamkain
meri khawashion ki khushoo meray zaaichay mein rehna
Na Gubar mn na Gulaab mn mujhe dekhna
Mere dard ki aab-o-tab mn mujhe dekhna
kisi vaqt sham malal mn mujhe sochna
kabhi apane dil ki kitab mn mujhe dekhna
ko_ii adaa_shanaas-e-muhabbat hamen bataaye
jo ham ko bhuul jaaye vo kyon ham ko yaad aaye
kis kii majaal thii ki hijaab-e-nazar uThaaye
vo muskuraa ke aap hii dil ke qariib aaye
ik dil_nashiin nigaah mein Allaah ye Khalish
nashtar kii nok jaise kaleje mein TuuT jaaye
baraay-e-naam sahii ko_ii mehar_baan to hai
hamaare sar pe bhii hone ko aasamaan to hai
ye aur baat ki vo ab yahaa.N nahii.n rahataa
magar ye us kaa basaayaa huaa makaan to hai
bichhar ke zindaa nahiin rah sakenge ham donon
mujhe ye vaham to hai un ko ye gumaan to hai
ye shiishe ye sapne ye rishte ye dhaage
kise kyaa Khabar hai kahaan TuuT jaayen
muhabbat ke dariyaa mein tinake vafaa ke
na jaane ye kis mor par Duub jaayen
ajab dil kii bastii ajab dil kii vaadii
har ek mor mausam naii Khvaahishon kaa
lagaaye hain ham ne bhii sapanon ke paude
magar kyaa bharosaa yahaan baarishon kaa
muraadon kii manzil ke sapanon mein khoye
muhabbat kii raahon pe ham chal pare the
zaraa duur chal ke jab aankhen khulii to
karii dhuup mein ham akele khare the
jinhen dil se chaahaa jinhen dil se puujaa
nazar aa rahe hain vahii ajanabii se
ravaayat hai shaayad ye sadiyon puraanii
shikaayat nahiin hai koii zindagii se
tum aur fareb khaao bayaan-e-raqiib se
tum se to kam gilaa hai ziyaadaa nasiib se
goyaa tumhaarii yaad hii meraa ilaaj hai
hotaa hai pahron zikr tumhaaraa tabiib se
zra sii dair ko manzir suhanay lagtay hain
phir iss k baad yehi qaid khaanay lagtay hain
main sochti hoon k tu dar ba dar naa ho warna
tujhe bhulanay mein koi zamanay lagtay hain
kabhi jo had sey berhay dil mein teri yaad ka habas
to khuli fiza mein tujhe gungunaney lagtay hain
jo tu nahin hai to tujh sey kiye huay waaday
hum apnay aap sey aksar nibhanay lagtay hain
ajeeb khail hai jaltay hain apni aag mein hum
phir apni raakh bhi khud ho urranay lagtay hain
yeh aanay walay zamanay meray sahi lekin...
guzhishta umer k saaye darranay lagtay hain
nigar haana e hasti mein kaisa paaye sibaat
kahin kahin to qadam dagmaganay lagtay hain
Tufano me kashti ko kinaray bhi miltay hain
Jahan ma logon k saharay bhi miltay hain
Duniya me sub se payari ha zindagi
Khuch log zindgi se bi payarey miltay hain
insaan naachataa hai yahaan putaliyon ke rang
duniyaa mein aa gayaa hai to is ke maze bhii dekh
bichhatii thiin jis kii raah mein phuulon kii chaadaren
ab us kii Khaak ghaas ke pairon tale bhii dekh
Use loh-e-dil pe likha to ha
badi shaan se .... bade maan se
to yeh soch gehri si kis liye ?
yeh jo soch hoti ha jaan-e-jaan!
yeh adw ha dil k sawaal ki
yeh kadi ha asl zawaal ki
ho'n kohan waaaon k naqsh paa
yeh mitaaey deti ha barmalaa
chalo'is tarah se to theek ha
ho'n jafa k jitne b silsile ya khayaal ho'n
ho'n jo bhool jaane k faisle ya malaal ho'n
nahi harj in ko mitaa hi do ......
suno ban pade to yeh sochna,
Mera pyaar harf-e-galat nahi !!!
suuraj dimaaG log bhii iblaaG-e-fikr me.n
zulf-e-shab-e-firaaq ke pechaak ho gaye
jab bhii Gariib-e-shahar se kuchh guftaguu hu_ii
lahaje havaa-e-shaam ke nam_naak ho gaye
saahil pe jitane aab_guziidaa the sab ke sab
dariyaa ke ruKh badalate hii tairaak ho gaye
hasiin kitnaa ziyaadaa ho gayaa hai
vo jab se aur saadaa ho gayaa hai
chalo ham bhii muhabbat kar hii leNge
agar us kaa iraadaa ho gayaa hai
bhulaa duuNgaa use agle janam tak
meraa us se ye vaadaa ho gayaa hai
ghaRii bhar uskii aaNkhoN meN utar kar
samandar bhii ***haadaa ho gayaa hai
bicchaRne kaa use bhii dukh hai shaayad
ke ab to vo bhii aadhaa ho gayaa hai
murjhaa ke kaalii jhiil mein girate huye bhii dekh
suuraj huun meraa rang magar din Dhale bhii dekh
kaaGaz kii katarane ko bhii kahate hain log phuul
rangon kaa aitabaar hii kyaa suungh ke bhii dekh
har chand raakh hoke bikharanaa hai raah mein
jalate huye paron se uraa huun mujhe bhii dekh
tuune kahaa na thaa ki main kashtii pe bojh hun
aankhon ko ab na Dhaanp mujhe Duubate bhii dekh
tuu hii barahanaa-paa nahiin is jalatii ret par
talavon mein jo havaa ke hain vo aabale bhii dekh
insaan naachataa hai yahaan putaliyon ke rang
duniyaa mein aa gayaa hai to is ke maze bhii dekh
bichhatii thiin jis kii raah mein phuulon kii chaadaren
ab us kii Khaak ghaas ke pairon tale bhii dekh
kyaa shaaKh-e-baa-samar hai jo takataa hai farsh ko
nazaren uThaa "Shakeb" kabhii saamane bhi dekh
jhoote ilzaam meri jaan lagaya na karo
dil hai naazuk ise tum aise dukhaya na karo
meri aankhon mai jo ache nahi lagte aansoo
to jalaya na karo mujh ko sataya na karo
tum kisi aur ki kismat mai ho tum mere nahi
ye agar sach bhi hai to mujh ko bataya na karo
yaa to taabeer batao mere sab khuaabon ki
ya koi khuaab in aankhon ko dikhaaya na karo
abhi aaye ho, abhi bethe, abhi jaate ho
sirf ik rasm nibhane ko to aaya na karo
vo baaten terii vo fasaane tere
shaguftaa shaguftaa bahaane tere
bas ek zaKhm nazzaaraa hissaa meraa
bahaaren terii aashiyaane tere
bas ek daaG-e-sajdaa merii qaayenaat
jabiinen terii aastaane tere
zamiir-e-sadaf mein kiran kaa muqaam
anokhe anokhe Thikaane tere
faqiiron kaa jamaghaT gharii do gharii
sharaaben terii baadaaKhaane tere
bahaar-o-Khizaan kam nigaahon ke vaham
bure yaa bhale sab zamaane tere
"Adam" bhii hai teraa hikaayat_kadaah
kahaan tak gaye hain fasaane tere
Unko dekhane ki farma’ish baray zorr ki hoi thee
Haan phr ye farebi nomaaish baray zorr ki hoi thee
****hween raat ko lehroon ka chand ko chona
Tarahan hamari namomkin ko chone ki kawish baray zorr ki hoi thee
Mein akeli nai roii thee teri judai per
Kia kahoon kay us din barish baray zorr ki hoi thee
Hamaray dooston ne hamary dushmano ki khatir hamain chor diya
Najane kab ye sazish baray zorr ki hoi thee
Rooton kay badalney kay sath kash hum bhi badal jate
Teri bewafai kay bad yeh khawhish baray zorr ki hoi thee
Tanhayi Ki Raho Main Hai Aashiyana
Na Jane Kahan Kho Gaya Wo Zamana
Tumhein Bhulane Ki Mein Koshish Karoon Gi
Ye Vaada Karo Ke Na Tum Yaad Aana
Mujhe Mere Marne Ka Gham Hai Toh Ye Hai
Tumhein Bewafa Keh Raha Hai Zamana
Tujh Ko Qasam Hai Meri Qabar Pe Mat Aana
Tumhein Dekh Kar Shaq Kare Ga Zamana
Gam K Aansu Dikha Nahi Sakte,
Apna Haq Aap Par Jata Nahi Sakte,
Kitni Anmol Ho Tum Meri Nigahon Me,
Yeh Bat Hum Aapko Bata Nahi Sakte
Khushi ka Ghum hai,na Ghum ki koi Khushi ab To !
Bohat Udaas Guzarti hai Zindagi Ab To !
Tere Bagair bhi Dil ki Tasaliyoon ke liye
lk intzaar ki Shab thi, So dhal chuki ab To !
lk Ashna ke bicharne se kia Nahi badla
Hawa-e-Shehar bhi Lagti hai Ajnabi ab To !
Tamam Raat Rahi Dil mein Roshni ki Lakeer
Misaal-e-Shama Sehar Wo bhi Jal bujhi ab To !
Chali thi jin se yehaan Rasm-e-Khudnahedari
Onhein Azeez hua Zikr-e-Khudkoshi ab To !
Kaha Gaye Wo Shanasa Wo Ajnabi Chehray
Ujaarh si Nazar Ati hai , har Gali ab To !
UmmidooN k khatam hone par
Aas k bhassam hone par
Ek Aah janam leti hai
Jo rooh ko zakhmi karti hai
Aur arsh k sare darwaze
Wo khool k hi dam leti hai
Iss Aah.e.faryaadi ko
Jab izne hikayat milti hai
YuN arsh hila deti hai
K sab ko rula deti hai
Aur jaldi jaldi zakhmoN k
MuNh khol k batladeti hai
In riste hue zakhmoN ki
AahoN se faryadooN se
YuN josh me rehmat aati hai
K rahat ki thandi barkha se
Wo zakhmoN ko nehlati hai
K sab zakhm sookh jate haiN
Aur hum ye boojh jate haiN
K haaN, Aaah ki taseer hai ye
K jo kuch hai taqdeer hai ye
rastey be naseebon ki tarah hotey hain
mumkin hai tumhen batka-den
meree tarah
mai be tho batka howa hoon
ya shayed tha
iss "HOON" aur "THA" ke darmeeyan abi aik guman baqi hai
tumarey diil ke kisi koney mai oongata hoowa guman
jiss se agey kitney naseeb poot-tey hain
Aik khof merey diil ke kisi koney mai be hai
apney raaston ka khof
ya shayed merey aur
tumharey naseebo ka khof
ye "YA" aur "SHAYED" be ajeeb lafz hain
hamarey raaston ki tarah
Ye zard mausam k khushk pattay
hawa jinhen lay gaye ura kar
agar kabhi in ko dekh pao tou soch lena
K inmain har barg ke namu main
zayaan gaya
arq e shaakh-e-gul ka
kabhi ye sar sabz konplain thee
kabhi ye shadaab bhi rahi hain
khulay huay hont ki tarah narm aur shagufta
bohat dinon tak
ye sabz pattay
hawa k relon main bebasi se tarap chuke hain
magar
ab ye khushk ho rahay hain
magar ab ye
khushk ho chuke hain
agar kabhi is taraf se guzro
tou dekh lena
barhana shaakhein
hawa k dil main gadii hui hain
ye ab tumharay liye nahe hain
Yeh tumhein bata doon main
Chahaton key rishtay mein
Phir girah nahin lagti
Lag bhi jai to is mein
Woh kashish nahin hoti
Eik pheeka pheeka sa
Rabta to hota hai
Tazgi nahin rehti
Rooh key ta’aluq mein
Zindagi nahin rehti
Baat woh nahin rehti
Dosti nahin rehti
Lakh bar mil ker bhi
Dil nahin miltay
Zehan key jharokon mein
Yaad key dareechon mein
Titliyon key rangon key
Phool nahin khiltay
Is liye main kehta hoon
Is tarha ki baaton mein
Ehtiyaat kartay hain
Is tarha ki baaton se
Ijtanaab kertay hain
wo kuchh bhee nahee kah kar sab kuchh kah jaate hai
belafz zubaa se wo ham ko bharamate hai
wo lab se nahin kahte kahte hai ishaaro se
kyaa kah ke na jaane wo khud hee sharmaate hain
ek pal me wo hansate hai dooje pal rote hain
in naaz-o-adaao par ham jaan luTaate hain
kuchh khaas unhe shaayad ashkon se mohabbat hai
pahale khud rote hain phir ham ko rulaate hain
kuchh to pahale hee the ham pyaar mein deewaane
kuchh jaam pilaa ke wo deewaanaa banaate hain
inakaar zubaa pe hai iqaraar hai aankho mein
laachaar hai fitarat se ulfat me sataate hain
ham ko ye gawaaraa hai sab sitam mohabbat ke
shukariyaa khalish ham se wo dil to lagaate hai
Ye bata de mujhe zindagi
pyar ki raah ke hamasafar
kis tarah ban gaye ajanabi
ye bata de mujhe zindagi
phool kyun saare murjha gaye
kis liye bujh gai chandani
Ye bata de mujhe zindagi
kal jo bahon mein thi
aur nigahon mein thi
ab vo garmi kahan kho gai
na vo andaaz hai
na vo aavaz hai
ab vo narmi kahan kho gai
ye bata de mujhe zindagi
bevafa tum nahin
bevafa ham nahin
phir vo jazbaat kyon so gaye
pyaar tum ko bhi hai
pyaar ham ko bhi hai
faasale phir ye kya ho gaye
ye bata de mujhe zindagi
kuchh to sun-kay haiN has-tay
to kuchh haiN ro-tay
te-ray me-ray qis-say ab bhi
haiN galiyoN meiN ho-tay
kuchh tu-jhay mu-jhay ilzaam de-tay haiN
kuchh tu-jhay mu-jhay nakaam keh-tay haiN
te-ray me-ray qis-say logoN kay
zubaan per aam reh-tay haiN
kuchh tu-jhay bewafaa keh-tay haiN
kuchh mu-jhay bewafaa keh-tay haiN
ishq kya balaa hai, log tera mera
naam le-kay keh-tay haiN
kuchh log tu-jhay badnaam kar-tay haiN
kuchh log mu-jhay badnaam kar-tay haiN
lekin ishq kay naam per
dono ko salaam de-tay haiN
kuchh log te-ray qabar per aa-tay haiN
kuchh log meri qabar per aa-tay haiN
hum phir jee uTheN-** ek doo-jay kay
liye yeh dava kar-kay jaa-tay haiN
ye ab khulaa hai ki koii bhii manzar meraa na thaa
main jis mein rah rahaa thaa vahii ghar meraa na thaa
main jis ko ek umr sambhaale phiraa kiyaa
miTTii bataa rahii vo paikar meraa na thaa
mauj-e-havaa-e-shahar-e-muqaddar javaab de
dariyaa mere na the ki samandar meraa na thaa
phir bhii to sang_saar kiyaa jaa rahaa huun main
kahate hain naam tak sar-e-mahazar meraa na thaa
sab log apane apane qabiilon ke saath the
ek main hii thaa ki koii bhii lashkar meraa na thaa
Ouse shaam woh rukhsat ka samaa yaad rahe ga
woh sheher woh kocha woh makaa'n,yaad rahe ga
woh teese k obri thi idhar yaad rahe gi
woh dard k outha tha yahan yaad rahe ga
haan bazm e shabana mein hamma shouk jo ous din
hum the teri janib nighraa'n yaad rahe ga
jaa'n bakhsh si es barg o tar ki tarawat
woh lims e aziz e do jahan yaad rahe ga
hum bhool sakhay hain na bhool sakhain ge
tou yaad rahe ga humein,haan yaad rahe ga...
har ghari Khud se ulajhnaa hai muqaddar meraa
mai.n hii kashtii hoon mujhii main hai samandar meraa
kis se pochhoo.n k kahaa.n gum huu.n baraso.n se
har jagah dhon'dhtaa phirtaa hai mujhe ghar meraa
ek se ho gae mousamo.n ke chehare saare
merii aankho.n se kahii.n kho gayaa manzar meraa
muddatain beet gaii Khwaab suhaanaa dekhe
jaagtaa rehataa hai har neennd main bistar meraa
aaiinaa dekh k niklaa thaa main ghar se baahar
aaj tak haath main mehafoz hai patther meraa
sar jhukao ** tu pathar daivta ho jay ga
itna mut chaho ussay wo baywafa ho jay ga
hum darya hain humain apna hunar maloom ha
jis taraf bhi chal parain ** rasta ho jay ga
mai khuda ka nam la ka pee raha hon dostoo
zehr bhi ho ga agar is mai dava ho jay ga
Abhi tum kehte ho ke mohabbat nahi hai,
Magar wo bhi ho jaigi ek din ahista-ahista.
Abhi to Nazar jhukate ho humko dekh kar,
Nazar gira ke uthaoge ek din ahista-ahista
Abhi to hum ko khayalon mein nahi bhulate,
Ek din khud bhulaoge ahista-ahista.
Aag lagage mohabbat ke dil mein bhi ek din,
Suna hai shola bhi sulagta hai magar ahista-ahista.
Ek din tum kahoge aa jao jaldi se,
Magar hum us din aaenge ahista-ahista.
Bas itni si inaayat mujhpe aik baar kijiye
Kabhi aa ke mere zakhmon ka dedaar kijiye
Ho jaaiye begaane aap shauq se sanam
Aapke hain aapke raheinnge aitbaar kijiye
Parrhne waale hi darr jaayen dekh kar ise
Kitaab-e-dil ko itnaa na daagdaar kijiye
Na majboor kijiye, ke main unko bhool jaaun
Mujhe meri wafaaon ka na gunehgaar kijiye
In jalte diyon ko dekh kar na muskuraaiye
zara hawaaon ke chalne ka intezaar kijiye
Karna hai ishq aapse karte rahenge hum
Jo bhi karna hai aapko mere sarkaar , kijiye
Phir sapno ka ashiyaan bana liya hai maine
Phir aandhiyon ko aap khabardaar kijiye
Hame na dikhaiye ye daulate ye shohrate
Hum pyaar ke bhookhe hain hame pyaar kijiye
Khwab ban ke safar mein rehta hai
Kaun aankhon ke ghar mein rehta hai
Ban ke saye zameen pe phel gaya
Dhoop bankar shajar mein rehta hai
Sirf chalte nahin hai per mere
Rasta bhi safar mein rehta hai
Ek bemaar tera dewana
Ab bhi es rehguzar mein rehta hai
jab banta hai chaak per maththi
Kaun dast-e-hunar mein rehta hai
Thak gaya chand es ko takte hoe
Jo parinda safar mein rehta hai
Saans chalti hai ya ke seene mein
Ek khanjar safar mein rehta hai
dard ke phuul bhii khilate hain bikhar jaate hain
zaKhm kaise bhii hon kuchh roz mein bhar jaate hain
us dariiche mein bhii ab koii nahiin aur ham bhii
sar jhukaa_e hu_e chup-chaap guzar jaate hain
raastaa roke kharii hai yahii ulajhan kab se
koii puuchhe to kahen kyaa ki kidhar jaate hain
narm aavaaz bhalii baaten mohazzab lahaje
pahalii baarish mein hii ye rang utar jaate hain
mujhe bhulaane walae tujhe bhi chain na aaye
toh bhi jaage toh bhi tadape toh bhi niir bahaaye
baadal garje bijali chamki tadap tadap rah jaaye
patjhade aaye chaaye udaasi maan mein aag lagaye
toh bhi inn ko yaad karae aur thaam ke dil reh jaaye
armaano kaa mahal banaake aap hi toh ne toode diya
ek suhaana geet sunaayaa
meri neendein cheen lii toh nae aaise khaab dikhaaye
jab bhi sawaan lae kar aaye pyar bhari barsatoon ko
yaad kare toh baith ke tanha saath guzari raaton ko
meri tarha tere maan mein bhi barkhaa aag lagaye
mujhe bholnae wale tujhe bhi chaain na aayae..
jab bhii do aansuu nikal kar rah gaye
dard ke unavaan badal kar rah gaye
kitanii fariyaaden labon par ruk gaiin
kitane ashk aahon mein Dhal kar rah gaye
ruKh badal jaataa merii taqadiir kaa
aap hii tevar badal kar rah gaye
khul ke rone kii tamannaa thii hamen
ek do aansuu nikal kar rah gaye
zindagii bhar saath denaa thaa jinhen
do qadam hamraah chal kar rah gaye
tere andaaz-e-tabassum kaa fusun
haadise pahaluu badal kar rah gaye
lagta hey ab k mujhey rulaaey ga saawan
yaad teri her baat ye …dilaaey ga saawan,
yun tu apni boondoo’n sey hey sab ko bhigaata!
mujhko meray aansoo sey ..bhigaaey ga saawan,
sab khushi chheennay ko bey chaen lagta hey
yunhi khaali haath nahi ab… jaaey ga saawan,
jaaney k baad teray ..main aksar soochti ye thi
kia teri tarha na laut key.. phir aaey ga saawan?
ab tu bhi laut aa! … k tujhko manaa loongee
meri roothi huee hansi ko manaaey ga saawan,
Teri yaad nain meray dil ko sajja rakha hai
teray piyar main sab kuch bhula rakha hai
kuch accha nahin lagta teri judai ke baad
ek teri yaad ko sinay se laga rakha hai
tera milna tu ab ek khuwab hi hai
faqat teri yadon ko palkon main chupa rakha hai
muqadar se milte milte bichar gaye warna
aaj bhi tera naam dil main sajja rakha hai
na janey kyun koi dekhta nahin in ankhon main
aik teri tasveer ko dil main sajja rakha hai
khusiyan tu pal main ati aur chali jaati hain
hum nai tu ghumon ko bhi apna dost bana rakha hai
sabhi aye tu bhi aa kar dekh mera haal
ke main ne teray piyar main khud ko bhula rakha hai
_________________
Tere Ekhlaass Se Mohabbat Ki Hai
Tere Ehssaas Se Mohabbat Ki Hai
Tu Mere Pass Nahin Hai Phir Bhi
Teri Yaad Sey Mohabbat Ki Hai
Kabhi To Tune Bhi Mujhe Yaad Kya Ho Ga
Main Ne Un Lamhaat Se Mohabbat Ki Hai
Jin Main Ho Sirf Teri Aur Meri Batain
Main Ne Un Auqaat Se Mohabbat Ki Hai
Aur Jo Maheke Ho Sirf Teri Hi Mohabbat Se
Main Ne Un Jazbaat Se Mohabaat Ki Hai
Tujh Se Milna To Ab Khuwaab Se Lagta Hai!!!!Meri (Jaan)
Maine Tere Intezaar Se Mohabbat Ki Hai
kaash meray paas bhe 1 haseen pal hota...
Jis kay sayee mein mere zeest ka saman hota..
ishq-e-wehshut mein mere arzoo he sahee
usee kay damun mein meray lyee khuda hota..
us kee ankhun mein duur tuk roshnee kay dyee..
Meray lyee andhairun mein charagaan hota..
bayhudee mein mera apna app na sahee..
hota be tu woh uss kay lyee fana hotaa...
Kaash meray paas bhe 1 haseen pal hota..
Khud Dooriyun ka hai Talab Gar to mein kiya karun
Mohabbat se hai Bay Zar to mein kiya karun
Aina Khany mein Mang kar Baseerat ki Aziyat
Aab Rota hai Zar Zar to mein kiya karun
Kiss nay Kaha tha k Gulabun ki Umeed Rakh
Aab jo Aya Muqaddar mein Khaar to mein kiya karun
Tujhy he Lahaq tha Wafa ka Marz Bohat
Aab Ruswa hai Sar-e-Bazar to mein kiya karun
Mein Tamam Umar Dhonta he raha
Mila na Wafa ka Koi Kharidar to mein kiya karun
raazdaaroN se bach ke chalta hun
gham gusaroN se bach ke chalta hun
mujhko dhokha dia saharoN ne
ab saharoN se bach ke chalta hun
Main sochti hoon
tera mohabbat se paesh aana
meray ghamoon pe udhaas hona
meri khushi mein shareek hona
meri kitaboon mein phool rakhna
musratoon ka jahan loutana
kahiin yeh teri aadatein na hoon
yeh main shakii larki
tou aesi hoon k
kahiin bhi teri mohabbatoon mein
kami hoi tou
main aapne khuwaboon mein ja basoon gii........
mere saath tum bhi dua karo yun kisi ke haq mein bura na ho
kahin aur ho na ye hadsa koi raaste mein judaa na ho
mere ghar se raat ki saij tuk vo aik aansu ki lakir hai
zaraa barh ke chand se puchna vo isi taraf se gayaa na ho
sar-e-shaam Thehri hui zamin, aasman hai jhuka hua
isi morr par mere vastay vo chiragh le kar kharra na ho
vo farishte aap hi Dhoondiye kahaniyon kii kitaab mein
jo buraa kahein na buraa sunay koi shaKhs un se Khafa na ho
vo visaal ho ke firaaq ho teri aag mahakegii ek din
vo gulaab ban ke khilegaa kyaa jo chiragh ban ke jalaa na ho
mujhe yun lagaa ki Khaamosh Khushbu ke hont titali ne chu liye
inhi zard patton ki oT mein koi phool soyaa huaa na ho
isii ehatiyaat mein main rahaa, isi ehatiyaat mein vo rahaa
vo kahan kahan mere saath hai kisi aur ko ye pata na ho
aik din tanhayee mein bethe
mujh say kisi nay pooch lia tha
chup chup kyun rehtay ho
kuch ukhray say kuch badlay say
kuch uljhay uljhay lagtay ho
itnay sawal to main na samjh saka
bas aik hath utha ker apnay
dil per rakha aur ye bola
aur tau koi baat nahin hai
koi apna roth gaya hai
dil tha khilona,
toot gaya hai...
Is Raat Ki...Tanhayeeon K
Sab Rang Badal Gaye Hain
Chand Nikla Hai Waisay He
Andharay Badal Gaye Hain
Jin K Bharosay Theen Khushian
Woh Badal Thahar Gaye Hain
Manzilain To Ab Bhi Woh He Hain
Kuch Rastay Badal Gaye Hain
Jin Pe Kiya Tha Bharosa Hum Nay
Woh Dost Bichar Gaye Hain
Dekhay Thay Jo Hum Nay
Woh Khwab Badal ** Hain
Jo Banay Thay Kabhi Humsafar
Aaj Woh He Mukar Gaye Hain
Iss Tutay Huay Dil K Saray
Jazbaat Badal Gaye Hain
Kantay Nay Phool Say Kaha
Keh Sari Dunya Kay Log
Mujh Say Nafrat Or Tum Say Mohabbat Kartey Hain.
Phool Nay Bari Shaistagi Say Kaha.
Sari Dunya Ki Nafrat Say Kiya Hota Hai.
May To Tum Say Mohabbat Karta Hoo
Jab Usney Seher Ko Chora Har Rasta Sunsaan Hua
Apna Kya He Sarey Seher Ka Aik Jesa Nuqsaan Hua
Yeh Dil Yeh Aaseeb Ki Nagri Maskan Soochon Wahimo Ka
Sooch Raha Hoon Is Nagri Mein Tu Kab Se Mehmaan Hua
Sehra Ki Moun Zoor Hawaein Auron Se Mansoob Huein
Muft Mein Ham Aawara Tehrey Muft Mein Ghar Veeran Hua
Merey Haal Pe Herat Kyesi Dard Key Tanha Mosam Mein
Pathar Bhi Roo Partey hein Mein Tu Phir Insaan Hua
Itni Deir Mein Ujrey Dil Per Kitney Mehshar Beet Gaye
Jitni Deir Main Tujh Ko Kho Kar Paney Ka Imkaan Hua
Jin Ashkon Ki Pheeli Lou Ko Ham Beekar Samajhtey They
Un Ashkon Se Kitna Roshan Aik Tareek Makaan Hua
abhii na jaao ki taaro.n kaa dil dha.Dakataa hai
tamaam raat pa.Dii hai, zaraa Thahar jaao
dam-e-firaaq me.n jii bhar ke tum ko dekh to luu.N
ye faisale kii gha.Dii hai, zaraa Thahar jaao
Mah o saal guzarte jate hain
kuch log milte hain or
kuch bechar jate hain
or kuch log aese bhi hote hain jo
Waqt ki dhool main gum ho kar bhi gum nahi hote
Inka aks inka naksh
Na to waqt ki gardasheien mita pate hai
Or na mah o saal ki mosafatein
Na hi dukho ki kali andhiyan
Na hi khushyon ka tofan
Wo kisi khobsorat yad ki tarha
Kisi dilkash khawab ki tarha
Hamare ankho main saje rehte hain
Saye ki mannind sath sath chalte hain
Tum bhi inhi logo main se aik ho
Jis ko main har dukh
Har sukh
Har mor
or har mosam main
shiddat se mehsos karti hoon.......
_________________
kuch khayaal aate hain aur aa ke chale jaate hain
aaiina sa mujhe dikhala ke chale jaate hain
saath mar ke bhi rahaa mere gam-e-tanhai
warna ahabaah to dafana ke chale jaate hain
meri tanhai ke saathi mere saagar-miina
ab to ye bhi mujhako bahaka ke chale jaate hain
kitani badanaam hai baazaar-e-mohabbat mein wafa
log is cheez ke paas aake chale jaate hain
jin ko ham apana samajhate the wohi ham ko "Saba"
dekh lete hain to katara ke chale jaate hain
Barrhti huyi khamoshiyaaN
jagti raateiN, lambay din
aankho me kuchh khawab adhoray....
hontoN par aadhi baat......
aadhi baat bhi uljhi si....
uljhi baatoN k bhed niralay
samjhe kaun, bataye kaun
uljhawooN me rastay guum hooN
dil se dil tak
aaye kaun ?????????????
tum lout aao na
wo dekho chand nikla hai
sitarey jaghmghataye hai
hamari muntezir aankhein
duaiein maangti aankhein
tumhein hi sochti aankhein
tumhein hi dhoondti aankhein
tumhein wapis bhulati hai
ye dil jab bhi dharkta hai
tumhara naam leta hai
ye aansu jub b bahtey hai
tumhare hi dukh me bahte hai
k barish jub b hoti hai tumhein hi yad karte hai
khushi koi aaye b tumhare bin adhoori hai
suno tum lout aao na suno tum lout aao na
Tum aur fareb khaao bayaan-e-raqiib se
Tum se to kam gilaa hai ziyaadaa nasiib se
Goyaa tumhaarii yaad hii meraa ilaaj hai
Hotaa hai peharo.n zikr tumhaaraa tabiib se
Harabaad-e-dil kaa aaKhirii saramaayaa thii ummiid
Vo bhii to tum ne chhiin liyaa mujh Gariib se
Dhu.Ndhalaa chalii nigaah dam-e-vaapasii hai ab
Aa paas aa ke dekh luu.N tujh ko qariib se
Is Zamane Sey Na Hum Koi Gilaa Rakhain **
Dil Lagayein ** To Na Shart-E-Wafa Rakhain **
Na Dikhayain ** Kabhi Dil Pe Lage Zakhm Unhain
Dard Uthey Ga Magar Dil Ko Daba Rakhain **
Jaan De Daingein Agar Aik Ishaara Kar De
Ham Usey Apne Liye Bhi Na Bacha Rakhain **
Sab Hata Daingay Teri Raah Ki Rukawat Hamdam
Ghar Ke Darwazey Ko Har Waqt Khula Rakhain **
Unki Har Baat Ko Bhooley Se Na Bhoolain Gein Kabhi
Unki Yadoon Ko Bhi Seenay Se Laga Rakhain **
Toot Bhi Jaayegi Umeed Jo Tere Aanay Ki "Mishal"
Ek Diya Phir Bhi Hawaaon Main Jala Rakhain Ga
Yaa khuda tu ne agar takhleeq ki thi ladkiyaan
to ain ke dil ki jagah pathar rakh deta yahan
be shak teri nazar main qurbani ka bada aajar hai
magar kia zaroori tha ke ghairat ke naam par qurban hoti betiyaan
jab tu ne banaya hai ain ko muhabbat ki mitti se ghoondh ke
to phir yeh kis tarhan mumkin hai ke muhabbat na kare ladkiyaan
yaan tu ain ko dil muhabbat shaur na deta
yaan phir deta ain ko ain ki dili khushiyaan
mera almiyan yeh hai ke main hasaas hoon bahut
dil rota hai jab rawaajon main jalti hai ladkiyaan........................................
kaise sakoon paoon jo tumhe na dekh paoon
kaise dil ko samjhaoon, jo tumhe na pass paoon
satatee hai mujhe meri apni hee wafain
dil ko aa jaata sakoon jo milti teri wafain
tadpaati hain yaadein aur berang hain nigahein
apne dil ke zakhm, kis kis ko mai deekhaoon
teri bewafai ko log kehte hain teri majboori
mai apni majboorian kahan tak ginaoon
meri wafaon ka mujhe ye sila mila hai
muffat mei huey badnaam aur dil chhalni hua hai
mila ke najar ab tumse aur kaun se gazal sunaoon
kaise sakoon paaon jo tumhe...
Din bar kiya inthizar thera,
Raat ko jaagi, hogaya sawera,
Inthizar mein ankein bandh hogayie,
Leken nahin mein sohyee,
Dil ki gherayoun mein hain aap,
Jaan dhunghie mein, nahin aap,
Diya dhoka kismat ney mujhko,
Lagh gayi badnaami thujh ko.
Zindagi bar karaoun ghi aitebar thera,
Jaise yeh deewana dil nahin raha mera.
Uparwaley khi nahin thi marzi,
Kar diya humé judaa kitnee jaldie.
Ab akhar dham thak yaad karoun ghi therie,
Kash aghaley janam mein ho mulaqat humarie
Kaantoun Ki Chuban Payee, Phooloun Ka Mazah Bhi
Dil Dard Ke Mausam Mein Roya Bhi Hassa Bhi...
Her Ek Se Manzil Ka Pata Pooch Raha Hay
GumRaaH Mere Saath Hua RahNuma Bhi...
main k jo waqefay adab-e-mohabbat hi nahi
kasay keh doon k mohabbat ki jaren muj main namo pateen hain
konplen phoot k shakoon say nikal atti hain
mayra hamzad jo bay wajah stata hay mujay
aks ik aur hi aena dikhata hay mujay
main k jo waqefay adab-e-riyazat hi nahi
kasay keh doon k sitaroon ko gina jata hay
wo sitaray sar-e-mayygaaa jo chirakhaan kar day
raat ko din tu, sahar ko wo drakhshan kar den
main nay bhi ki hay riyazat
riyazat ..... jo rastay ko bhi manzill kar day
main k jo waqfay adab-e-mohabbat hi nahi
kasay keh doon k yaqeen hi tu Khuda hota hay
main k na karda o karda ki aseer
main gunahgarr siya kar khtakar zameer
main k jo waqfay adab-e-mohabbat hi nahi
Meri sansoon ki hiddat mujhse kehti hai
k mujh par bhi ghatain khul kar gar barsain
to phir dil sukoon mein ajaye
Muhabbat rabt asa hai
k jab yeh dil mein aa bethay
to phir is k hamare dil mein hone ka
jo ik ehsaas hota hai
hamein dunia k har ehsaas se begana karta hai
meri sansoon ki hiddat mujhse kehti hai
k mujhko pyaar ho jaye
magar phir waswasoon ki sard si sargoshiyan kaanoon mein ati hain
muhabbat bhi ho jaye to
yeh mera bakht asa hai
jahan par hath mein rakh doon
wahan pe dard barh jaye
kahin asa na ho jaye
muhabbat ho bhi jaye to
mere sansoon ki hiddat sard par jaye
Muhabbat Zard Par Jaye
bikharate TuuTate lamhon ko apanaa ham safar jaanaa
thaa is raah mein aaKhir hamen Khud bhii bikhar jaanaa
havaa ke dosh par baadal ke Tukare kii tarah ham hain
kisii jhonke se puuchhenge ki hai ham ko kidhar jaanaa
mere jalate hue ghar kii nishaanii bas yahii hogii
jahaan is shahar mein raushanii dekho Thahar jaanaa
pas-e-zulmat koii suuraj hamaaraa muntazir hogaa
isii ek vaham ko ham ne chiraaG-e-rah_guzar jaanaa
dayaar-e-Khaamashii se koii rah-rah kar bulaataa hai
hamen "Makhmoor" ek din hai isii aavaaz par jaanaa
khawabon k nagar ko kho kar
ik Mohabbat bhara dil
hijar k dard mein daboo kar
door dees ko janey wala
woh mussafir aab laut bhi aaye agar
to Mohabbat ki basti mein ajnabi hi rahey ga
jo dard-e-naarsai kisi ko bakhsh gaya thaa
ussi dard ko aab khud bhi sahey ga
Meri tanhai ke din tum mujhe wapis kar do,
Meri yadoon ke aassasay bhi mubarak hon tumko,
Meray khuwaboo mai jo zinda thay wo lamhey tumko raas aa jain,
Meray hisay ki jo khushyan hain woo mujhse lai loo,
Meri tanhai ke din tum mujhey wapis kar do.
Chandni----Phool----Sitarey----Khushboo,
Roshni----Rang----Nazarey----Jugnoo,
Jo bhi mera tha, tumharey liyai saab chorta hon,
Meri tanhai ke din tum mujhe wapis kar do
Ranjha Ranjha kardi hund mein aape Ranjha hoi
Sadhu mainon "dheedho Ranjha" Heer na aakho koi
Ranjha mein vich, mein Ranjha vich ghair khayal na koi
mein nahin aoh aap hai, apni aap kare dil joi
jo kuch saadhe andar wasse zaat asaadhi soi
jis de naal mein neyon lagaya auhe jaise hoi
chitti chadar lasat kurhye, pehen faqeeran loi
chitti chadar daadh lagesi, loi daagh na koi
takht hazare le chal Bhulliya, sialen mele na dhoi
Ranjha Ranjha kardi hund mein aape Ranjha hoi
jo zameen kay tukroon ki
doorioon say aye jaana!
waqt paida kerta hai
aisay faaslay aksur
kut hi jaya kertay hain
faaslay burhay they jo
qurbatoon kay mausam may
do diloon kay bundhun may
aisay faaslay jaana!
mur kay bhi nahi kut-tay
chandni raat k hathon pay sawar utri hai
koi khushboo meri delhiz k paar utri hai
is main kuch rang bhi hain khuwab bhi mehkar bhi hai
jhilmilati hui khawish bhi inkaar bhi hai
isi khushboo main kayi dard bhi afsanay bhi
isi khushboo nay banaye kayi dewanay bhi
meray anchal pay umeedon ki qitar utri hai
koi khushboo meri delhiz k paar utri hai
isi khushboo say kisi yaad k der khultay hain
meray pairon say jo liptay to safar khultay hain
yahi khushboo jo mujhey ghar say utha layi thi
ab kisi tor palat ker nahi janay deti
meri delhiz bulati hai mujhey loot aao
yahi khushboo mujhey wapis nahi aanay deti
ranj or dard main doobi bahar utri hai
koi khushboo meri delhiz k paar utri hai
Main nay hai ek dost banaya,
jis say main nay apnay saaray qeemti raaz
Apnay saaray qeemti lamhay
Bant liye hain
Jis say main rooz hi batain karti hoon
Rooz hi iss uss say milti hoon
Jis say main nay tumharai saari
batainn bhi keh daaleen hain
Aur mujh ko yah daar bhi nahi hai
Kay woh ja kar mehfil bher
say ziker karay ga
Kasa accha dost hai mara
Kasa pyaara humraaz hai mara
Jantay hoo tum kon hai woh
Woh hai jaana
Kali gahrii raat ka zever
Aasman kay aanchal par takka ek mooti
Hai woh tou ek hi hai bus
Teray jasa,maray jasa
TANHA RAAT KA,TANHA CHAND
Kuch aisa tha us soorat me
Ke nazar tehr hi gayee
Phir pehli mohobbat phir aik junoon
Kuch lamhon ke saath me
Sub fasley simat gaye
Itni mohobbat itni qurbat
Ke kabhi kisi ne kisi se na ki ho
Apni mohobbat me itna khoye
Ke aane wale waqt ka kuch na soocha
Per jub yaad aaya to
Itni der ho chuki thi
Ke na aage ki koi manzil
Na wapsi ka koi raasta
Zindagi us morh per tehr gayee
Ke milan ki umeed nahee
Aur judai ka aik khauf
Ab to bus intezaar hai
Ke kub kismet faisala karey
Zindagi ka
Ya phir....!
Maut ka..........!
tum aur fareb khaao bayaan-e-raqiib se
tum se to kam gilaa hai ziyaadaa nasiib se
goyaa tumhaarii yaad hii meraa ilaaj hai
hotaa hai paharo.n zikr tumhaaraa tabiib se
barbaad-e-dil kaa aaKharii saramaayaa thii ummiid
wo bhii to tum ne chhiin liyaa mujh Gariib se
dhu.Ndhalaa chalii nigaah, dam-e-waapasii hai ab
aa paas aa ke dekh luu.N tujh ko qariib se
dekhaa huaa saa kuchh hai to sochaa huaa saa kuchh
har vaqt mere saath hai ulajhaa huaa saa kuchh
hotaa hai yuu.N bhii raastaa khulataa nahii.n kahii.n
ja.ngal-saa phail jaataa hai khoyaa huaa saa kuchh
saahil kii gilii ret par bachcho.n ke khel-saa
har lamhaa mujh me.n banataa bikharataa huaa saa kuchh
fursat ne aaj ghar ko sajaayaa kuchh is tarah
har shay se muskuraataa hai rotaa huaa saa kuchh
dhu.Ndhalii sii ek yaad kisii qabr kaa diyaa
aur mere aas-paas chamkataa huaa saa kuchh
ajiib saanehaa mujh pe guzar gayaa yaaro
mai.n apane saaye se kal raat dar gayaa yaaro
har ek naqsh tamannaa kaa ho gayaa dhu.ndhalaa
har ek zaKm mere dil kaa bhar gayaa yaaro
bhaTak rahii thii jo kashtii vo garq-e-aab huii
chadhaa huaa thaa jo dariyaa utar gayaa yaaro
vo kaun thaa vo kahaa.N kaa thaa kyaa huaa thaa use
sunaa hai aaj koii shaKs mar gayaa yaaro
kis-kis tarah se mujh ko na rusvaa kiyaa gayaa
Gairo.n kaa naam mere lahuu se likhaa gayaa
nikalaa thaa mai.n sadaa-e-jaras kii talaash me.n
bhuule se is sukuut ke seharaa me.n aa gayaa
[sadaa-e-jaras=sound of bell;
sukuut ke seharaa=desert of silence]
kyo.n aaj us kaa zikr mujhe Khush na kar sakaa
kyo.n aaj us kaa naam meraa dil dukhaa gayaa
is haadase ko sun ke karegaa yaqii.n ko_ii
suuraj ko ek jho.nkaa havaa kaa bujhaa gayaa
Yaa khuda tu ne agar takhleeq ki thi ladkiyaan
to ain ke dil ki jagah pathar rakh deta yahan
be shak teri nazar main qurbani ka bada aajar hai
magar kia zaroori tha ke ghairat ke naam par qurban hoti betiyaan
jab tu ne banaya hai ain ko muhabbat ki mitti se ghoondh ke
to phir yeh kis tarhan mumkin hai ke muhabbat na kare ladkiyaan
yaan tu ain ko dil muhabbat shaur na deta
yaan phir deta ain ko ain ki dili khushiyaan
mera almiyan yeh hai ke main hasaas hoon bahut
dil rota hai jab rawaajon main jalti hai ladkiyaan........................................
uffffffffffffffffff.... kiittna pain rakhtty ho aapp. aapny dil mai...verryy nicee.and sensitive.....:love3[1]:
Main sochti hoon
tera mohabbat se paesh aana
meray ghamoon pe udhaas hona
meri khushi mein shareek hona
meri kitaboon mein phool rakhna
musratoon ka jahan loutana
kahiin yeh teri aadatein na hoon
yeh main shakii larki
tou aesi hoon k
kahiin bhi teri mohabbatoon mein
kami hoi tou
main aapne khuwaboon mein ja basoon gii........
hmmmmmmmmmmm yes.......nice..:love3[1]:
Abhi tum kehte ho ke mohabbat nahi hai,
Magar wo bhi ho jaigi ek din ahista-ahista.
Abhi to Nazar jhukate ho humko dekh kar,
Nazar gira ke uthaoge ek din ahista-ahista
Abhi to hum ko khayalon mein nahi bhulate,
Ek din khud bhulaoge ahista-ahista.
Aag lagage mohabbat ke dil mein bhi ek din,
Suna hai shola bhi sulagta hai magar ahista-ahista.
Ek din tum kahoge aa jao jaldi se,
Magar hum us din aaenge ahista-ahista.
yes aahista ahistaa.... niceee choice...:love1[1]:
Tufano me kashti ko kinaray bhi miltay hain
Jahan ma logon k saharay bhi miltay hain
Duniya me sub se payari ha zindagi
Khuch log zindgi se bi payarey miltay hain
booot hii niceee....:luvsong:
chandni raat k hathon pay sawar utri hai
koi khushboo meri delhiz k paar utri hai
is main kuch rang bhi hain khuwab bhi mehkar bhi hai
jhilmilati hui khawish bhi inkaar bhi hai
isi khushboo main kayi dard bhi afsanay bhi
isi khushboo nay banaye kayi dewanay bhi
meray anchal pay umeedon ki qitar utri hai
koi khushboo meri delhiz k paar utri hai
isi khushboo say kisi yaad k der khultay hain
meray pairon say jo liptay to safar khultay hain
yahi khushboo jo mujhey ghar say utha layi thi
ab kisi tor palat ker nahi janay deti
meri delhiz bulati hai mujhey loot aao
yahi khushboo mujhey wapis nahi aanay deti
ranj or dard main doobi bahar utri hai
koi khushboo meri delhiz k paar utri hai
Main nay hai ek dost banaya,
jis say main nay apnay saaray qeemti raaz
Apnay saaray qeemti lamhay
Bant liye hain
Jis say main rooz hi batain karti hoon
Rooz hi iss uss say milti hoon
Jis say main nay tumharai saari
batainn bhi keh daaleen hain
Aur mujh ko yah daar bhi nahi hai
Kay woh ja kar mehfil bher
say ziker karay ga
Kasa accha dost hai mara
Kasa pyaara humraaz hai mara
Jantay hoo tum kon hai woh
Woh hai jaana
Kali gahrii raat ka zever
Aasman kay aanchal par takka ek mooti
Hai woh tou ek hi hai bus
Teray jasa,maray jasa
TANHA RAAT KA,TANHA CHAND
Kuch aisa tha us soorat me
Ke nazar tehr hi gayee
Phir pehli mohobbat phir aik junoon
Kuch lamhon ke saath me
Sub fasley simat gaye
Itni mohobbat itni qurbat
Ke kabhi kisi ne kisi se na ki ho
Apni mohobbat me itna khoye
Ke aane wale waqt ka kuch na soocha
Per jub yaad aaya to
Itni der ho chuki thi
Ke na aage ki koi manzil
Na wapsi ka koi raasta
Zindagi us morh per tehr gayee
Ke milan ki umeed nahee
Aur judai ka aik khauf
Ab to bus intezaar hai
Ke kub kismet faisala karey
Zindagi ka
Ya phir....!
Maut ka..........!
yaad aata hai mujhe bachpan mera
ek parinda dost tha bas jab mera
sang usake udna chaha seekhna
par parinda hans diya aur ud gaya
dost meri ek titali bhi to thi
jisake rangon ki rahi hasrat mujhe
khushboo ka uska safar chahat meri
par vo titali muskurai ud gai
meri muththi me bahut se juganu the
maine socha zindagi roshan karun
par jo kholi muththi saare ud gae
meri duniya bas andheri hi rahi
ek chidiya roz gana gati thi
har subah khidaki pe meri rahti thi
main vo gana seekhna bhi chahati thi
par meri aawaz us jaisi na thi
ek patang udati falak me door thi
uskaa thin thin dolna achcha laga
dor usaki thami thi ke paa sakun
kat gai thi vo patang aur ro di main
chahaten poori nahi ho paati hain
jaana us din maine tanha baith kar
zindagi hai aur chahat aur hai
ik haqeeqat hai aur ik bas khwab hai
tum aur fareb khaao bayaan-e-raqiib se
tum se to kam gilaa hai ziyaadaa nasiib se
goyaa tumhaarii yaad hii meraa ilaaj hai
hotaa hai paharo.n zikr tumhaaraa tabiib se
barbaad-e-dil kaa aaKharii saramaayaa thii ummiid
wo bhii to tum ne chhiin liyaa mujh Gariib se
dhu.Ndhalaa chalii nigaah, dam-e-waapasii hai ab
aa paas aa ke dekh luu.N tujh ko qariib se
dekhaa huaa saa kuchh hai to sochaa huaa saa kuchh
har vaqt mere saath hai ulajhaa huaa saa kuchh
hotaa hai yuu.N bhii raastaa khulataa nahii.n kahii.n
ja.ngal-saa phail jaataa hai khoyaa huaa saa kuchh
saahil kii gilii ret par bachcho.n ke khel-saa
har lamhaa mujh me.n banataa bikharataa huaa saa kuchh
fursat ne aaj ghar ko sajaayaa kuchh is tarah
har shay se muskuraataa hai rotaa huaa saa kuchh
dhu.Ndhalii sii ek yaad kisii qabr kaa diyaa
aur mere aas-paas chamkataa huaa saa kuchh
ajiib saanehaa mujh pe guzar gayaa yaaro
mai.n apane saaye se kal raat dar gayaa yaaro
har ek naqsh tamannaa kaa ho gayaa dhu.ndhalaa
har ek zaKm mere dil kaa bhar gayaa yaaro
bhaTak rahii thii jo kashtii vo garq-e-aab huii
chadhaa huaa thaa jo dariyaa utar gayaa yaaro
vo kaun thaa vo kahaa.N kaa thaa kyaa huaa thaa use
sunaa hai aaj koii shaKs mar gayaa yaaro
kis-kis tarah se mujh ko na rusvaa kiyaa gayaa
Gairo.n kaa naam mere lahuu se likhaa gayaa
nikalaa thaa mai.n sadaa-e-jaras kii talaash me.n
bhuule se is sukuut ke seharaa me.n aa gayaa
[sadaa-e-jaras=sound of bell;
sukuut ke seharaa=desert of silence]
kyo.n aaj us kaa zikr mujhe Khush na kar sakaa
kyo.n aaj us kaa naam meraa dil dukhaa gayaa
is haadase ko sun ke karegaa yaqii.n ko_ii
suuraj ko ek jho.nkaa havaa kaa bujhaa gayaa
itnii Khushbuu hai ke dam ghuTtaa hai
ab ke yuuN TuuT ke aayii hai bahaar
aag jaltii hai ke khilte haiN chaman
rang shoalaa hai to nikhat hai sharaar
ravishoN par hai qayaamat ka nikhaar
jaise taptaa ho javaanii kaa badan
aablaa ban ke tapakTii hai kalii
kopaleN phuuT ke lau detii haiN
ab ke gulshan meN sabaa yuuN bhii chalii
Sahara maangta hay sirf tanhaai k lamhoon mey.....
Mohabbat ka taaluq kab kisi sy baandhta hay wo
Magar phir b ussy apna baannaany k gumaan may hon...
Muje maloom hay k kab kisi ki maanta hay woooo
Phir is dunya k her ik jabr ko main bhol jata hon....
Jab apny qurb sy mery badan ko dhaampta hay wo
Mera dil chahta hay uss ko seeny sy laga loon may.....
Rida-e-ghum ko apni rooh per jab taanta hay woooooo
Muje jab gham milien to kis kader khushiaan manata hay....
Chalo waasiq kisi terha to muj ko maanta hay woooo
Har mouj k daman main bedaar jo darya hai
Ik raet k zarre main aabad jo sehra hai
Kya uss ki wazahat hai kya uss ka takaza hai
Jo samne aata hai manzer hai k parda hai
Be ant sawaloon ki zanjeet ha ya duniya
uss aks k sayoon ki tasveer hai ya duniya
Jis aks k jalwe ko har aankh tarati hai
Hai aik ghata aisi khulti na barasti hai
Kyoon rang nahi rukte kyoon baat nahi chalti
Kyoon nahi bhujta kyoon raat nahi jalti
Mausam ki sada sun ker kyoon shakh larazti hai
Kyoon oos kaf-e-gul per pal bhar ko thaharti hai
Kyoon khwaab bhatakte hain kyoon aas bikharti hai
Iss aik tasalsul se kyoon waqt nahi thakta
Bas aik tahayyur main kyoon umer guzarti hai
Be ant sawaloon ki zanjeet ha ya duniya
uss aks k sayoon ki tasveer hai ya duniya
Jis aks k jalwe ko har aankh tarati hai
Hai aik ghata aisi khulti na barasti hai
Merey Ghum Kuch Poochna chahtey hain
Aye Khushi Kya Tum Mujhey Apnaoo Gey
Tum Merey Dil Ko Dhadakna Sikhaoo Gey
Kya Mujhey Apni Sansoo Main Basaoo Gey
Merey Ghum Kuch Poochna Chahtey Hain
Kya Tum Merey Ansoo Apni Ankhon Main Sajao Gey
Har Lahma Mera Ban Kar Rehna Chaho Gey
Apni Hansi Merey Labon Ko Dena Chaho Gey
Merey Ghum Kuch Poochna Chahtey Hain
Kya Tum Meri Tanhaiyon Ko Apnao Gey
Har Pal Mujhey Aik Sa Piyar Dey Paoo Gey
Bolo Kia Tum Mujhey Itna Chahoo Gey
Mere Ghum Kuch Poochna Chahtey Hain
Kia Tum Meri Udhassi Ko Apnaoo Gey
Ya Har Pal Mujhey Phele Ki Tarha Tadpao Gey
Aye Khushi Kia Tum Merey Pass Ana Chaho Gi
Kia Tum Mujhey Apna Kehna Chaho Gi
Bus Mere Ghum Yeh Hi Poochna Chahtey Hain
Aisi aankhen nahin dekhi, aisa kaajal nahin dekha
Aisa jalwa nahin dekha, aisa chehra nahin dekha
Jab yeh daaman ki hawa de, aag jungle mein laga de
Jab yeh saheraaon mein jaaye, ret mein phool khilaaye
Aisi duniya nahin dekhi, aisa manzar nahin dekha
Aisa aalam nahin dekha, aisa dilbar nahin dekha
Uske kangan ka khalakna jaise bulbul ka chahekna
Uski paazeb ki chham chham jaise barsaat ka mausam
Aisa saawan nahin dekha, aisi baarish nahin dekhi
Aisi rimjhim nahin dekhi, aisi khwaahish nahin dekhi
Uski bebaaq si baatein jaise sardi ki ho raatein
Uff yeh tanhaai-e-masti jaise toofaan mein kashti
Meethi koyal si hai boli jaise geeton ki rangoli
Surkh gaalon pe paseena jaise phaagun ka maheena
Aisi aankhen nahin dekhi
Aisa jalwa nahin dekha...
Aisa chehra nahin dekha...
youn kissi aur ko dukh dard sunaon apnay
apni ankhon say bhi mein zakham chupaon apnay
mein to qaem hon teray gham ki badolat werna
youn bikhar jaon k khud hath na aon apnay
shair logon k bohat yaad hein auron k liyeh
tu milay to mein tujhay shair sunao apnay
sochta hon k bujha don mein yeh kamray ka diya
apnay saey ko bhi kyoun sath jaghaon apnay
us ki talwar nay wo chal chali hai aesi
paon kattain hein ager hath bachaon apnay
_________________
Yeh raat yeh tanhayi
Yeh dil ke dharakne ki awaz
Yeh sannaataa
Yeh doobte taaro'n ki
Khamosh ghazal-khuwani
Yeh waqt ki palkoun per
Soti hui veraani
Jazbaat-e-mohabbat ki
Yeh aakhri angraayi
Bajti hui har janib
Yeh maut ki shehnai
Sab tum ko bulate hain
Pal bhar ko tum aa jao
Bandh hoti meri aankhoun main
Mohabbat ka
Ek khawab sajaa jao
Lamhoon ke samundar main,
Khayaaloon ke hajoom main,
Meri nigahain,
Aik hi shabeh talash kerti hain,
Hazaar chehroon main,
Aik hi chehra,
Khojti hain,
Issi talash main,
Phir.....be-naam rastoon ki thaakan le kar,
wapis laut aati hain,
Phir bhi ae mere hamdaam,
Meri Nigahain....
Hazaar chehroon main,
Tera chehra khojti hain
Koi ****wi ka chand bankar,
tumhare tasavvur main aata to hoga....
kisi se ki hoge tumne wo baatein,
kisi ko gale se lagaya to hoga....
Tumhare khuwaboo ke angnaiyon main,
meri yad ke phul mehke to honge.
kahbi apni aankho ke kajal se tumne,
mera nam lek kar mitaya to hoga...
Labo se mohabbat ka jado jagakar,
bhari bazam main sabse nazre churakr...
Nigahon ke raho se dil main samake,
kissi ne tumhe b churaya to hoga....
Kabhi aayne se nigahe milake,
jo le hoge bharpur aangrai tumne...
To ghabra ke khud teri aangraiyon ne,
tere husan ko gudgudaya to hoga....
Nigaho main shamme tamanna jalakar,
taki honge tumne b rahee kisi ke....
Kisi ne wada kiya hoga tumse,
kisi ne tumhe b rulaya to hoga.......
Bachpan kay dukh bhi kaisay dukh thay.....
Tub faqat khilonay toota kartay thay,
Wo khushiaan kaisi khusiaan thi.....
Titli kay par noch ker uchla kertay thay,
Barish kay paani main paaoon maar kar.....
Khud apni naao aap duboya kartay thay,
****ay thay tu makar-o-fareb bhi ****ay thay ......
Daana daal kay chirya pakra kartay thay,
Ab tu ik aansoon bhi ruswa ker daita hai......
Bachpan main ji khol kay roya kertay thay.
Wafa jab maslehat ki shaal orhey
Sard rut ka roop dharey
Dil k aangan mein utarti hai to
Palkon pe sitaron ki dhunk lehranay lagti hai
Kisi k sang
Beetey un ginat lamhon ki yaadein
Achanak zehan mein jhilmilati hein
Nafs k taar mein
Sannate yak dm cheekh uth tey hein
Hawaein aa k sargoshi si krti hein
mohabbat ka tumhein idraak ab to ho gya ho ga
Ye jo b zakhm deti hai
Kabhi bhrne nahi deti
Mohabbat ruth jaye to...
Kabhi Jeene nahi deti ~!!
Tu Mila Hai To Yeh Ahesaas Hua Hai Mujhko..
Ye Meri Umra Muhabbat Ke Liye Thodi Hai...
Ek Zara Sa, Zindagi Ka Bhi Haq Hai Jis Par,
Maine Woh Saans Bhi Tere Liye Rakh Chhodi Hai
Tu Mila Hai To Yeh Ahesaas Hua Hai Mujhko..
Ye Meri Umra Muhabbat Ke Liye Thodi Hai...
Ek Zara Sa, Zindagi Ka Bhi Haq Hai Jis Par,
Maine Woh Saans Bhi Tere Liye Rakh Chhodi Hai...
_________________
agar sarko to yu sarko, kalam karke mere sar ko,
para rehne do kadmo mei, na thukrao mere sar ko,
maza ulfat ka tab aaye,na hum sarke na tum sarko.
_________________
mai to hairaan hu, mai tumhein kya kahoon
yeh to mumkin na tha, aur yeh ho bhi gaya
tum mere khwaab mein rehte the barso se
tum mere saamne aaye to kis tarhaa
tumko maine taraashaa tha, alfaazon mein
maine tumko bunaa, apni aawaazon mein
jinmein shaamil hai sargam wafaa kii tarhaa
maine tumko sunaa un sabhi saazon mein
ek tasveer sii thi khayaalon mein jo
tum us se nikal aaye to kis tarhaa
maine jis roop mein jab bhi dekhaa tumhein
apni palkon mein mehfooz rakkhaa tumein
apne hothhon pe rakh ke tumhein geet saa
bas mai aise hi mehsoos kartaa tumhein
khwaab se tan mein jo dhhal gaye ho tum
mujhse har roz milna sadaa ki tarhaa
Dard phail jaye to aik waqat ata hai
Dil dharakta rehta hai
Arzo gazeedon ke hoslay nahi chaltay
Dasht e be yaqeeni main aasray nahi chaltay
Rahrawoon ki ankhon main
Munzilain na jab tak hon ,qaflay nahi chaltay
Ik zara tawajo se dekhiye to khulta hai
Log un per chaltay hain ‘rastay nahi chaltay
Sochnay samjhne se ,sath sath chalnay se
Dooriyan samitti hain faslay nahi chaltay
Khawab khawab ankhon main rut jage nahi chaltay
Durguzer ke halqay main maslay nahi chaltay
Do dilon ki qurbat main teesra nahi hota
Wastay nahi chaltay
Bukht sath chalta hai tala’y azmaaon ke
Waqat raam kerne main tajzion ke daow kia
Tajurbay nahi chaltay
Ishq ke ilaqay main hokum e yaar chalta hai
Zabtay nahi chaltay
Hussn ki adalat main aajzi to chalti hai
Murtabay nahi chaltya
Dosti ke rishton ki perwarish zarori hai
Silsalay taluq ke khud se ban to jatay hain
Lakin in shagofon ko tootne bikerne se
Rokna bhi perta hai
Chahton ki mitti ko ,aarzo ke poday se
Seenchna bhi perta hai
Ranjishon ki baton ko bhoolna bhi perta hai
Teri yadoon ki mehak,
sath liye akser hum ,
door khuwaboo k jazeeray main uter jatey hain,
kyun k main janti hon,
hum aur tum
sirf khuwaboo main he mil saktey hain,
mainay socha hai is baar tumharay humraah,
aik aisi jaga utroongi,
aur tumhain apnay paas bitha ker,
aankho main aakhain daal ker,
bari himmat ker k tum say keh dongi,
tumsay keh dongi k tum meray ho
tum jo chahho to,
meri yakterfa muhabbat ko sahara dey do,
zindagi yun to bohut thori hai muhabbat k liye
tum jitna bhi piyaar mujhay dey sako sara dey do,
kuch to bolo,
kuch to bolo
kahin aisa na ho k sehar hotey he hum wapis us dunya mian lout jain
bus yehi chund khiyalaat liye
teri yadoon ki mehak sath liye
akser hum door khuwaboo k jazeray main uter jatey hian
kyun k hum aur tum sirf khuwaboo main he mil saktey hain
_________________
Haan yeh aasan nahi
k main
khud ko tujh se juda karlon
per itna bhi mushkil nahi
tujh ko alwida kehna
aansoo jo huey teri amanat
lauta donga
woh yaadein
wohi haseen yaadein
haan main sab bhula donga
agar main chahon.......
safar jo zindagi ka
tera haath thaam kar guzara
main ne....
in kadmoo ka
aik aik naksh mita donga
haan main woh sab jhutla donga......
main janta hon
mere rooh main basi
hay teri khushboo
mere ragao main hay dorta
teri chahato ka laho
main na chahon bhi tau
tujhe hi pukarta hon
per main apne lafz see longa
khud pe khamooshi ka khol
charha longa
teri har umeed bhuja donga
har woh raasta jo teri jaanib jaata hay
badal don ga..........
woh aashiyana
jo hum tum ne
aik dojay k liye banaya tha
main usse aag laga donga
main teri nazro se ohjal hojaon ga
teri duniya
se door chla jaonga
agar na kar saka aesa
khud pe bhes charha k
ajnabi ho jaon ga...........
agar na kar saka
aisa.......
khamooshi se
apne daaman main tera aks sametay
zindagi se munh phir ke
andhero main kho jaon ga
per kasam hay
na kisi ko koi sada donga
na tere paas lauton ga
kabhi tum milnay aao na
tumhain mehsoos kerna hai
tumhain qareeb se takna, tumhain
bahoon main bherna hai
tumhari zaat main khoo ker
tumhara hisa bunana hai
kabhi tum milnay aao na
tumhain mehsoos kerna hai
mujhe veeran aankhon main
tumhari bikhri batoon main
wafa ka rang bharna hai
tumharay phool cheray per
udasi ka jo manzar hai
yahan per apni chahat se
hansi ko naqsh kerna hai
tumharay sath mil ker
zindgi ki jung larna hai
kabhitum milnay aao na
tumhain mehsoos kerna hai ..
_________________
Aah! ye baaraanii raat
Mii.nh, havaa, tuufaan, raqs-e-saayeqaat
Shash-jahat par tiirgii uma.Dii huii
Ek sannaaTe me.n bazm-e-hadasaat
Aur merii khi.Rakii ke niiche
Kaa.Npate pe.Rro.n ke paat
Chaar suu aavaaraa hai.n
Bhuule bisare vaaqayaat
Jhakka.Rro.n ke shor me.n
Jaane kitanii duur se
Sun rahaa huu.N terii baat
Yad nai kya kya dheka tha, sare manzar bhul gaye ,
uske galiyon se jab luate, apna ghar bhi bul gaye,
khub gaye pardes ki apne dewaro dar bhul gaye ,
shish-mahal ne aaysa ghera, mitti ke ghar bhul gaye,
tujkko b apni kasme apne wade yad nai ,
ham bhi apne khuawab teri aankho main rak kar bhul gaye,
mujko jinhone qatal kiya hai koi unhe batlaye "nazir"
mari laash ke pehlu main wo apna khanjar bhul gaye ...........!
Hawa jab teiz chalti hai
Tumhari yaad aati hai
Jab patte sarsaraate haiN
Tumhara zikr hota hai
Kabhi holay se shab ko
Mere dil maiN aa ker key dekho
Hai aik mehfil saji hoti
Tumhara zikr hota hai
TumheN kaise bataooN kitni cahat
MaiN ne ki tum se
Key jab aaNsoo chalakte haiN
Tumhara zikr hota hai
Kabhi chanda ko maiN dekhooN
Kabhi taaray maiN ginti hooN
Jab chaaNdni muskurati hai
Tumhara zikr hota hai
Zamana hai bohat zalim
KaheeN yeh cheen na lay tum ko
MaiN bus khaamosh hoti hooN
Aur
Tumhara zikr hota hai
ye chiragh be'nazar hai ye sitara be'zubaan hai
abhi tujh sey milta julta koi doosra kahan hai
wohi shakhs jis pey apney dil'o'jaan nisaar ker doun
wo ager khafa nahi hai tu zuroor badgumaan hai
kabhi paa ke tujh ko khona kabhi kho ke tujh ko pana
ye janam janam ka rishta terey merey darmiyaan hai
merey saath chalney waley tujhey kia mila safar mein
wohi dukh bhari zameen hai wohi gham ka aasman hai
mein isi gumaan mein barsoon bara mutmai'en raha houn
tera jism be'taghayyur hai mera pyaar jawedaan hai
unhi rastoon ne jin per kabhi tum they saath merey
mujhey rok rok poocha tera humsafar kahan hai
Ek pal main ek sadii ka maza hum se puchiye
Do din ki zindagi ka maza hum se puchiye
Bhoole hain unhein rafta rafta muddato'n main hum
Qisto'n main khud-***hi ka maza hum se puchiye
Aagaz-e-aashiqii ka maza aap jaaniye
Anjam-e-aashiqii ka maza hum se puchiye
Woh jaan hi gaye ke hamein un se pyaar hai
Aankhoun ki mukhbari ka maza hum se puchiye
Hansnay ka shauq hum ko bhi thaa aap ki tarah
Hansiye magar hansii ka maza hum se puchiye
Hum tauba ker ke marr gaye be-maut hi magar
Tauhiin-e-maikashii ka maza hum se puchiye
_________________
kisi ke sath mein aur dil kisi ke sath raha
ajab mazaaq meri zindagi ke sath raha
kamal-e-zabt tha mera woh ya muqadar tha
kinar-e-aab bhi ju tashnagi ke sath raha
woh aik dukh jisay door chor aya tha
tamaam umer meri zindagi ke sath raha
jo dil mein baat thi hontoon se kis tarha
mein in ki bazm mein ik bebasi ke sath raha
abb in mein aa ke darinday bhi ho gaye shamil
abb admi bhi kahan admi ke sath raha
hansa to ankh se ansoo nikal parhay
hamesha ghum koi meri khushi ke sath raha
_________________
Jhuki jhuki si nazar beqarar hai ke nahee
Daba daba sa sahi dil main pya rhai ke nahee
Tu apne dil ki jawan dharkano ko gin k bata
Meri tarah tera dil beqarar hai ke nahee
Woh pal ke jis main mohabbat jawan hoti hai
Us ek pal ka tujhe intizar hai ke nahee
Teri umeed pe thukraa raha houn duniya ko
Tujhe b apne per yeh aitbaar hai ke nahee
Raat ke Khvaab sunaaye.n kis ko raat ke Khvaab suhaane the
Dhu.ndhale dhu.ndhale chehare the par sab jaane pahachaane the
Ziddii vahashii alha.D chanchal miiThe log rasiile log
Ho.nTh un ke Gazalo.n ke misare aa.Nkho.n me.n afsaane the
Ye la.Dakii to in galiyo.n me.n roz hii ghuumaa karatii thii
Is se un ko milanaa thaa to is ke laakh bahaane the
Ham ko saarii raat jagaayaa jalate bujhate taaro.n ne
Ham kyuu.N un ke dar pe utare kitane aur Thikaane the
Vahashat kii unvaan hamaarii in me.n se jo naar banii
Dekhe.nge to log kahe.nge 'Insha' jii diiivaane the
dar-o-deevaar pe shaklein see banaane aayi
fir ye baarish meree tanhaayi churaane aayi
zindagee baap ki maanind sazaa detee hai
raham dil maa'n kee tarah,maut bachaane aayi
aaj-kal fir dil-e-betaab kee baatein hain vahee
ham to samjhe the ke kuchh aql thikaane aayi
dil mein aahat see huee,rooh mein dastak goonjee
kiskee khusboo mujhe, ye mere sirahaane aayi
maine jab pahale-pahal, apnaa vatan chhorhaa thaa
door tak mujh ko ik aavaaz bulaane aayi
teree maanind teree yaad bhee zaalim nikalee
jab bhee aayi hai meraa dil hee dukhaane aayi
Tere pyar main ruswa ho ker jayein kahan deewane log
Jaane kya kya pooch rahe hain yeh jane pehchane log
Jaise tumhein hum ne chaha thaa kaun bhala yun chahe ga
Maana aur buhut aayein gey tum se pyar jatane log
Kaise dukho'n ke mausam aaye kaisi aag lagi yaaro
Ab sehraao'n se laate hain phoolon k nazrane log
Kal maatam be-keemat hoga aaj inki kadar karo
Dekho khoon-e-jiger se kya kya likhte hain afsane log
Jante hain yeh ishq musalsal rog hai aah-o-zaari ka
Phir bhi us k kooche main jaate hain umr gavane log
Kuchh to havaa bhii sard thii kuchh thaa teraa Khayaal bhii
Dil ko Khushii ke saath saath hotaa rahaa malaal bhii
Baat vo aadhii raat kii raat vo puure chaa.Nd kii
Chaa.Nd bhii ain chet kaa us pe teraa jamaal bhii
Sab se nazar bachaa ke vo mujh ko aise dekhate
Ek dafaa to ruk ga_ii gardish-e-maah-o-saal bhii
Dil to chamak sakegaa kyaa phir bhii taraash ke dekh lo
Shiishaagaraan-e-shahar ke haath kaa ye kamaal bhii
Us ko na paa sake the jab dil kaa ajiib haal thaa
Ab jo palaT ke dekhiye baat thii kuchh muhaal bhii
Merii talab thaa ek shaKhs vo jo nahii.n milaa to phir
Haath duaa se yuu.N giraa bhuul gayaa savaal bhii
Shaam kii naasamajh havaa puuchh rahii hai ik pataa
Mauj-e-havaa-e-kuu-e-yaar kuchh to meraa Khayaal bhii
Us ke hii baazuuo.n me.n aur us ko hii sochate rahe
Jism kii Khvaahisho.n pe the ruuh ke aur jaal bhii
_________________
To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?
Kisi gulaab ki khushboo kay bikharnay par bhi
Zara say aab kay aankhon main utarnay par bhi
Kitaab uthatay huay, Geet koyi gaatay huay
Ittar lagatay huay, choorian pehentay huay
Sanwar ke der talak aa-eenay ko taktay huay!
To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?
Subha ko uthtay huay, shaam ko teheltay huay
Neend naa aaye agar karwatain badaltay huay
Kabhi yoonhi kisi makhsoos dhun ko suntay huay
Faarigh oqaat main koyi kitaab parhtay huay!
To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?
Barastay abr main chhat par kabhi kharay hokar
Kisi kay rooth kay jaanay pay chirchiray hokar
Kisi saheli say bus yoonhi baat kartay huay
Kisi khayal main bethay se uth ke chaltay huay
Kisi bhi raat ko uth kar yoonhi tehltay huay!
To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?
Akelay yoonhi kabhi apni dhun main chlatay huay
Kisi ki saalgira par yoonhi beheltay huay
Kisi oonchayi pe tanha sambhal ke chartay huay
Utartay chaand ka mojon main aks partay huay!
To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya?
Kisi gulaab ko tehni se torr kar bhi nahi
Kisi darakht ke saaye main beth kar bhi nahi
Apnay darwazay pe dastak koyi sunkar bhi nahi
Kisi dareecha-e-makaan se jhaank kar bhi nahi?
Apni Kitab main koi naam dekh kar bhi nahi?
Yaad-e-Maazi main kaheen door doob kar bhi nahi
Kisi bhi shakhs ko khamosh dekh kar bhi nahi
Kisi bhi aankh ko num dekh kar bhi nahi
Kahin lafzon main koi A dekh kar bhi nahi
Azaan hotay hi aanchal se sar ko dhaktay huay bhi nahi?
To kiya tumhain main kabhi yaad hi nahi aaya??
Barishon key mosam mein
Mohabt ki kuch batein
Ahuton key kuch guman sey
Dil ki serzameen per
Diyrey bunatey hien
Her kutra jub kabhi
Lupakta hia chah sey zameen ki janib
Hamein yaad atey hein
Teri ankhon key kuch dilnawaz mosam
Phowar ki nermahat
Jub chehra beghoti hai
Humein yaad ati hia
Terey lehjey ki meharban saa,at
Badilon ki ghun guraj jis dum
Roshni beghaerti hai
Hamien yaad ati hai
Burhaumi see liey howey
wo terey chehrey ki naraz tumazat
or ab jub thum gye hia barish
or dhanak see bikher rahi hia
hamein yaad a rahi hia
wo kulfaton key baad
teri ulfaton key sarey mosam!!
Barish or tum jesey !!
Aik sey lugtey ho !
Kuch door hamare saath chalo
Hum dil ki kahani keh dein gey
Samje na jise tum aankhoun se
Woh baat zubani keh dein gey
Jo pyar karein gey jaanein gey
Har baat hamari maanein gey
Jo jale na houn khud ulfat main
Woh aag ko paani keh dein gey
Jab pyas jawan ho jaye gi
Ehsas ki manzil paye gi
Khamosh rahein gey aur tumhein
Hum apni kahani keh dein gey
Is dil main zara tum betho to
Kuch haal hamara poocho to
Hum sada dil hain ashk magar
Har baat puraani keh dein gey
Jab saawan mein tanha bhego **
Jab aangan khaali paao **
Jab saahil se takraati lehron mein
Apni tanhaai mein kho jaao **
Jab raat ke tanha daaman mein
Tum chaand ko aadha paao **
Jab khud se baatein kartey kartey
Tum door kahin kho jaao **
Jab dil ki baat chupaane ko
Hum se nazar tum churaao **
"
Main tum se mohabbat karta hoon"
Harr baar yeh sun_na chaaho **
Inn sab lamhon mein jaan lena ke
"tum, tum nahi "HUM" ban jaao **~!!
Dua mangi thi aashiyane ki...
Chal padi andhiya zamane ki...
mera gam koi na samaj paya...
kyun ki meri aadat thi muskurane ki...
ulfat ka jab kisi ne liya naam ro parhay
apni wafa ka soch ke anjaam ro parhay
har shaam ye sawaal muhabbat se kya mila
har shaam ye jawaab ke har shaam ro parhay
raah-e-wafaa mein hum ko Khushi ki talaash thi
do gaam he chale the ke har gaam ro parhay
rona naseeb mein hai to auron se kya gila
apne he sir liya koi ilzaam ro parhay
Baarishoo ke mausam main
dil bohat machalta hai
Tery sang chalny ko
tujh se baat karny ko
Teri baat sunany ko
dil bohat machalta hai
Dil ko kaisy samjhain
hum ko zindagi bhar ab
Barishoon ke mausam main
bheegna bhi hai tanha
Aur tanha chalna hia
Dil ko kaisy samjhain
Barishoon ke mausam mian
Tujh ko yaad karna hai
yeh barish khoobsoorat hai
ek arsay baad
meri rooh main
sairaab honay ki tamanna jaag uthi hai
magar badal kay rustay main
bohat say pai'r aatay hain
main pal bhar kay liye shadaab hoon
aur apni baki umar
phir sehra main kaatoo'n?
main apni pyaas par raazi rahoon gi
meray aansoo meray dil ki kafalat kay liye kaafi rahain
Us ne kaha sunn ...
Wada nibhaane ki khatir matt aana
Wada nibhaane wale aksar majboori yaa...
Majboori ki thakan se lauta kerte hain
Tum jao aur dariya dariya pyas bujao
Jin aankhoun main doobo
Jis dil main b utaro
Meri talab awaz na degi
Lekin jab meri chahat aur meri khuwahish ki lau
Itni tez aur itni unchi ho jaye
Jab dil ro de
Tab laut aana
hum ko milny bhi woh nahi aaty
jinheen bhlaa bh hum nahi paty
soya kerty thy pehly kantoon pa
soo phoolon pa ab nahi paaty
raha kerty thy mery dil mein jo
munh dikhany bhi ab nahi aaty
*****ien lug jaen jin ko hum jaisi
chain dunya mein woh nahi paaty
tum tu gairoon ki baat kerty ho
hum tu apnoo sy bach nahi paty
bach soh jaty inn gunahoon sy
HAFIZ dunya mein jo nahi aaty
Kahate ho na de.nge ham dil agar pa.Daa paayaa
dil kahaa.N ki gum kiije hamane mudda_aa paayaa
Ishq se tabii_at ne ziist kaa mazaa paayaa
Dard kii davaa paa_ii dard-e-bedavaa paayaa
Dostadaar-e-dushman hai etimaad-e-dil maaluum
Aah be_asar dekhii naalaa naarasaa paayaa
Saadagi-o-pur_kaarii beKhudii-o-hoshiyaarii
Husn ko taGaaful me.n jura_at aazamaa paayaa
Gunchaa phir lagaa khilane aaj ham ne apanaa dil
Khuu.N kiyaa hu_aa dekhaa gum kiyaa hu_aa paayaa
Haal-e-dil nahii.n maaluum lekin is qadar yaanii
Ham ne baarahaa Dhu.NDhaa tum ne baarahaa paayaa
Shor-e-pand-e-naaseh ne zaKhm par namak chhi.Dakaa
Aap se ko_ii puchhe tum ne kyaa mazaa paayaa
Muqaddar ke sitaron per
zamanon ke isharon per
udasi ke kenaron per
kabi veran sharon main
kabi sunsan raston per
kabi heran aankon main
kabi anjaan lahmhon per
mujy tum yaad aty ho~!!
_________________
Aab aaey ho to phir wohi takraar naa karna
Phir zikar e syasat ka gunahgar naa karna
Cigarete na nikalo k fizaoon main hai khushbu
Barbad mairi phooloon ki mahkaar naa karna
Aao zara sarkoon pay tahal lain mairay saathi
Sardi to hai bayshak magar inkar naa karna
Dakho mujhay dar lagta hai gusay say tumharay
Tum mujh say khafa ho bhi to izhaar naa karna
Abb Ke Tajdeed-e-Wafa Ka Nahi Amkan Janna
Yaad Kiya Tujh Ko Dilain Tera Pimaan Janna
Yoonhi Mosam Ki Ada Dekh Kar Yaad Aya Hai
Kis Qadar Jald Badal Jate Hain Insaan Janna
Zindagee Teri Atta Thi So Tere Naam Ki
Hum Ne Jese Bhi Basar Ki Tera Ahsaan Janna
Dil To Yah Kehta Hai Shayad Ho Afsurda Tu Bhi
Dil Ki Kiya Baat Karein Dil To Hai Nadan Janna
Awal Awal Ki Mohabbat Ke Nashe Yaad To Kar
Be Piay Bhi Tera Chera Tha Gulistan Janna
Muddaton Se Yahi Aalam Na Tawoqo Na Umeed
Dil Pukare Hi Chala Jata Hai Janna Janna
Abb Tera Zikar Bhi Shayad Hi Gazal Mein Aay
Aur Se Aur Huay Dard Ke Unwan Janna
Hosh Aya To Sabhi Khoawab Thay Reza Reza
Jese Urte Huay Oraaq Preshan Janna
Har Koi Apni Hee Awaz Say Kaap Uthta Hai
Har Koi Apnay Hee Saiye Say Hirasha Janna
Hum Tu Ruthi Hoiee Ruut Ku Bhee Mana Laytay Hein
Hum Nay Dheekha Hee Naa Thaa Mausam-i-Hijran Janna
Jis Ku Dheekho Wohi Zanjeer Paa Lagta Hain
Shehar Ka Shehar Hoa Dhakil-i-Zindan Janna
kabhi aah lab pe machal gai kabhi ashk ankh se dhal gaye
wo tumhare ghum ke chiraaG hain kabhi bujh gaye kabhi jal gaye
main Khayaal-o-Khwaab ki mahafilein na baqadr-e-shauq saja saka
tumhari ik nazar ke saath he mere sab iraade badal gaye
kabhi rang mein kabhi roop mein kabhi chaaon mein kabhi dhoop mein
kaheen afatab-e-nazar hain wo kaheen mahtaab mein dhal gaye
jo fana huye ghum-e-ishq mein unhein zindagi ka na ghum hua
jo na apni aag mein jal sake wo parayi aag mein jal gaye
yaa unhein bhi meri tarah janooon to phir un mein mujh mein ye farq kya
main giraft-e-ghum se na bach saka wo hudood-e-ghum se nikal gaye
tera Mera Rishtah Kuch Aisa Uljha Hai
Iss Ko Suljhate Suljhate
Apne Dil Ki Porain Zakhmi Kar Betha Hoon
Rishtah Shayad Sulajh Na Paye
Lakin Iss Ko Suljhnae Ki Dhun Main Janan
Sare Khawab Bhula Betha Hoon
Apna Ap Ganwa Betha Hoon
koi pooch ley tou mein kia kahoon
ussey kia bataaoun
yeh roz-o-shab tou janam janam per muheet hai
meray zakhm zakhm dil-o-nazar
mujhey iss janam mein nahin miley
meray rat-jagey meray ham-safar
meray saath aaj nahin chaley
yeh maheeb wehshat-e-fiker joo
meray naqsh nqash ki rooh hai
koi bey-sabaat bayaa'n nahin
yeh aasmaaoun ka aks hai
yeh tou dewtaaoun ka dhiyaan hai
yeh tuu jeeney kaisee
sadi sadi ki aziiyatoun ka bayaan hai
yeh ajeeb meray gham-o-alam
yeh naseeb sang-e-siyaah per
yeh warq warq pey garhey qalam
yeh qaraa hisaar nayaa nahin
mera intizaar qadeem hai
mera uss sey piyaar qadeem hai
yeh ajeeb meri muhabbbatin ...!!
Koi kaanta chuba nahee hota
Dil agar phool sa nahee hota
Kuch to majbooriyan rahee hongi
Yun koi bewafa nahee hota
Guftugu un se roz hoti hai
Muddato'n saamna nahee hota
Jee buhut chahta hai sach bolein
Kya karein hausla nahee hota
Raat ka intizar kaun kare
Aaj kall din main kya nahee hota
Kisi Kamzoor Lamhey Main,
Agar Main Tum Say Ye Keh Doon,
Mujhey Tum Say "MUHABAAT" Hai,
Tum Ye Mat Samaj Lena,
Kay.............!!!!!!!!!
Mein Nay Sach Kaha Ho Ga,
Aisi Dil-Nasheen Baatoon Ko,
Aise dilbar Aadaoon Main Kehna,
Mujhey Bachpan Say Aata Hai,
Meri Aankhein Mera Chehra,
Mera Ye Bey Sakhtaa Lehja,
Ye Sab Kuch Jhoot Kehta Hai Mager,
Iss Jhoot MainBhi Ek Sach Bhi Hai,
Kay.................!!!!!!!!!!!!!!,
Mujhey Tum Say "MUHABBAT" Hai
Pehele Haq Tha Teri Chahat Ke Chaman Par Mera
Pehele Haq Tha Teri Khushbu-e-badan Par Mera
Ab Mera Pyaar Tere Pyaar Ka Haqdar Nahi
Main Tere Gesu-o-rukhsar Ka Haqdar Nahi
Ab Kisi Aur Ke Shano Pe Hai Tera Aanchal
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal.......
Main Tere Pyaar Se Ghar Apna Basaun Kaise
Main Teri Maang Sitaron Se Sajaun Kaise
Meri Kismat Men Nahi Pyaar Ki Khushboo Shayad
Mere Haathon Ki Lakeeron Men Nahi Tu Shayad
Apni Taqdeer Bana Mera Muqaddar Na Badal
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal......
Mujhse Kehtin Hain Ye Khamosh Nigahen Teri
Meri Parvaaz Se Oonchi Hain Panahen Teri
Aur Gairat-e-ehsaas Pe Sharminda Hun
Ab Kisi Aur Ki Bahon Men Hain Bahen Teri
Ab Kahan Mera Thikana Hai Kahan Tera Mahal
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal......
Kabhi waqt milay tu a jao
ham jheel kinaray ja baithein
tum apnay sukh ki baat karo .
ham apnay dukh ki baat karein
aur un lamhon ki baat karaen
ju sang tumhary beet gaey
aur ehd e khizan ki nazar huway
ham shehr e khuwab k basi
tum chand sitaron ki malka
kabi waqt milay tu a jao
ham jheel kinaray ja beithein
in sabz ruton k daman mein
ham p yar ki khusbo mehka'en
in bikhray sabz nazaron ko
ham ankhon mein tasveer karein
pathar pei girtay pani ko
ham khuwabon sai tabeer karein
iss waqt k dobtay soraj ko
ham chahat ki jageer karein
pher apnay pyar k jado sai
ham lamhon ko zanjeer karein
kabi waqt miley tu a jao~!!
Ankhoon Main Raha Dil Main Utar Kar Nahin Dekha...
Kashti Ke Musafir Nay Samandar Nahin Dekha...
Bay Waqt Agar Jaoonga Sab Chonk Pare Ge...
Ek Umar Huyee Din Main Kabhi Ghar Nahin Dekha
Jis Din Se Chala Hoon Meri Manzil Par Nazar Hai...
Ankhoon Ne Kabhi Mail Ka Patther Nahin Dekha...
Ye Phool Mujhe Koi Virasaat Main Mile Hain...
Tumne Mera Kantoon Bhara Bister Nahin Dekha...
Yaaroon Ki Mohabbat Ka Yakin Karliya Maine...
Pholoon Main Chupaya Hua Khanjar Nahin Dekha...
Mehboob Ka Ghar Ho Ya Buzurgoon Ki Zaminay...
Jo Choor Dia Phir Use Moor Kar Nahin Dekha...
Khat Asa Likha Hai Ke Nagine Se Jare Hain...
In Hatoon Ne Lakin Koi Zevar Nahin Dekha...
Patther Mujhay Kehtey Hain Mere Chahne Wale...
Main Moum Hoon Unhone Mujhe Choh Kar Nahin Dekha...
Wo Mere Masayeel Ko Samajh Hi Nahin Sakte...
Jis Ne Meri Ankhoon Main Samandar Nahin Dekha
Ajj bhi woh yadain yaad aati hai
guzar jane wali baten yaad aati hai
ajj bhi mere dil k aik kone main
jo rehta tha sath mere khialoon main
uss ki yaadain yaad ati hain
jane kesi yaden hai yaad aati chali jati hain
guum rehti hoon din raat main khialoon main
uss ki *** main us k gumaan main
us ka woh dekhna nighaen utha k
uss ki woh nigahen yaad aati hain
ajj bhi woh yaaden yaad aati hai
guzar jane wali baten yaad aati hai
bahaar-e-jaanfazaan jaakar chaman se fir bhee aatee hai
ghataa kaalee baraskar ik dafaa fir bhee to chhaatee hai
sitaare din ko bujh jaate hain fir shab ko chamakte hain
falaq par raat bhar shokhee se hans-hans kar damakte hain
shafaq kee jheel mein khursheed shab ko doob jaataa hai
dar-e-qasar-e- ufuk se jhaank kar fir bhee muskaraate hain
agar murjhaa gaye hain phool aour gunchche to kya parvaah
parinde hain agar maghamoom gulshan ke to kyaa parvaah
khizaan ke baad yah phool aour gunchche fir bhee mahkeinge
bahaar aate heee taayar daaliyon pai fir bhee chahkeinge
agar taareek raat aatee hai ai ham-dam ! to aane de
agar jangal kee nadee khushk hotee hai to ho jaaye
kabhee to chaandanee raat aake yah zulmat mitaayegee
yah naddee fir sureele aour sheereen geet gaayegee
nishaan guzree huee gharheeyon ka lekin fir naheen miltaa
kanval murjhaa ke dil kaa ik dafaa fir se naheen khiltaa
hum wo bedard hain
khoab ganwa kar bhi
jin ko nend a jati hai
soch soch kar bhi jin k
zehno ko koch nai hota
tot phot kar bhi jin k dil
dharakna yad rakhte hain'
hum wo be daard hain
tot k rone ki koshish me jo
bat be bat muskorate hain
sham se pehle mar jane ki khoahish me
jete hain or
jete chale jate hain.............
Poora dukh aur aadha chand
Hijar ki shab aur aisa chand
Itne ghane badal k peechay
Kitna tanha ho ga chand
Meri karvat pe jaag uthay
Neend ka kitna kacha chand
Sehra sehra bhatak raha hai
Apne ishq main sacha chand
Raat k shayed 1 baje hain
Sota ho ga mera chand
Faasle aise b honge yeh kabi socha na thaa
Samne betha thaa mere aur woh mera na thaa
Woh khushbu ki tarah phela thaa mere chaar su
Main usay mehsoos ker sakta thaa chuu sakta na thaa
Raat bhar us ki hi aahat kaan main aati rahi
Jhaank ker dekha gali main koi b aaya na thaa
Aks to mojood thay per aks tanhai k thay
Aaina to thaa magar us main tera chehra na thaa
Aaj us ne dard b apne alehda ker diye
Aaj main roya to mere saath woh roya na thaa
Yaad ker k usay aur b takleef hoti thee
Bhool jane k siwa ab koi b chaara na thaa
_________________
Gul teraa rang churaa laaye hain gul_zaaron mein
Jal rahaa huuN bharii barasaat kii bauchhaaron mein
Mujh se kataraa ke nikal jaa magar ai jaan-e-hayaa
Dil kii lau dekh rahaa huuN tere ruKhasaaron mein
Husn-e-begaanaa-e-ehasaas-e-jamaal achchhaa hai
Gunche khilate hain to bik jaate hain baazaaron mein
Zikr karate hain teraa mujh se baa_unavaan-e-jafaa
Chaaraagar phuul piro laaye hain talvaaron mein
ZaKhm chhup sakate hain lekin mujhe fan kii saugaundh
Gam kii daulat bhii hai shaamil mere shaahakaaron men
Mujh ko nafarat se nahiin pyaar se masluub karo
Main to shaamil huuN mohabbat ke gunaah_gaaron mein
tum meray saath hoo
is tarah
jesay
kinara dirya k saath
koshboo phool k saath
jesay
dil seenay k saath
badlon k aor say niklta hoa chand
chandni k saath
tum meray saath hoo jis tarah
din aor raat
gam aor khoshi
bheegi hoi palken hon pur nam
esay jesay
saya jisam k saath
aor bhanwara hoo baag main gul k saath
magar main phir bi akeela hoon han akeela hoo
_________________
Chahat Mein Kiya Duniya Dari Ishq Mein Kaisi Majbori
Logo Ka Kiya, Samjha'ne Do In Ki Apni Majbori,
Mein Ney Dil Ki Baat Rakhi Aur Tu Ney Duniya Walon Ki
Meri Garz Bhi Majboori Thee Un Ka Huqam Bhi Majboori,
Rokh Sakho To Pahli Barish Ki Bondo Ko Tum Rokho
Kachi Mitti To Mehkey Ge, Hai Mitti Ki Majboori,
Jab Tak Hunsta Gata Mausam Apna Hai,Sab Apney Hain
Wakht Parey To Yaad Ajati Hai Masnovi Majboori,
Aik Awara Badal Sey Kyun Mein Ney Saya Manga Thaa
Meri Bhi Ye Nadani Thee, Us Ki Bhi Thee Majboori,
Muddat Guzri Aek Wadey Per Ajj Bhi Qayam Hai Mohsin
Hum Ney Sari Omer Nibhaye, Apni Pehli Majboori..
Main khayal houn kisi aur ka, mujhe sochta koi aur hai
Sar-e-aaina mera aks hai, pas-e-aaina koi aur hai
Main kisi k dasht-e-talb main houn
To kisi k harf-e-duaa main houn
Main naseeb houn kisi aur ka, mujhe mangta koi aur hai
Kabi laut aayein to na poochna, sirf dekhna bare ghor se
Jinhein rastay main khabar hui k yeh raasta koi aur hai
Ajab aitbaar aur be-aitbaari k darmiyan hai zindagi
Main kareeb houn kisi aur k, mujhe janta koi aur hai
Wohi munsafoun ki rawayetein, woh faasloun ki ibaartein
Mera jurm to koi aur thaa, meri saza koi aur hai
Teri roshni mere khad-o-khaal se mukhtalif to nahee magar
Tu kareeb aa tujhe dekh loun, tu wohi hai ya koi aur hai
Soochta hoon key bahut saada-o-masoom hai woh
mein abhi us ko shanasa-ye mohabbut na karoon
rooh ko uski aseer-i-gham-i-ulfat na karoon
usko ruswa na karoon ,waqf-i-maseebat na karoon
soochta hoon key abhi ranj sey aazad hai woh
waqif-i-dard nahi,khoogar-i-aahlaam nahi
sehr-i-aaish mein uski asr-i-shaam nahi
zindagi uskey liye zahar bara jam nahi
soochta hoon key mohabbat hai jawani ki khazaan
usney dekha nahi duniya mein baharoon kay siwa
nikhat-o-noor sey labreez nizaroon key sawa
sabza zaroon key sawa aur sitaroon kay sawa
soochta hoonkey gham-i-dil na sinaoon usko
samney kabhi uskey raaz ko uryaan na karoon
khalish-i-dil sey usay dast-o-garay-baan na karoon
uskey jazbaat ko mein shola-badammaan na karoon
soochta hoon key jaladey gi mohabbat usko
woh! mohabbat ki bala taab kahan lai gi
khood to woh aatish-i-jazbaat mein jal jaye gi
aur duniya ko is unjaam pay tarpaye gi
Kitab-e-dil pe likhay thay kitnay hee afsaanay
Kuch qissay naye thay aur kuch berson puranay
Kuch un ka zikr jo kabhi rug-e-jaan se thay qareeb
Kuch wo jo aaj bhi lagtay hain begaanay
Kaash aisi koi rut koi mosam aaye
Khushiyon bhare geet hum lagein gungunanay
Aaj bhi dil mera is aas pe zinda hai
Aik roz tow aayein ** wo hum ko mananay
Safha-e-dil ko koi hamare perh ker dekhay
Khoon-e-jiger se likhay hain sab afsaanay
Guzra hua zamana bhula doo zehen se apnay
Aatay nahi hain kionkeh beetay huay zamanay
_________________
Teri yadoon ki mehak,
Saath liye akser hum ,
Durr khuwaboo k jazeeray main uter jatey hain,
Kyun k main janti hon,
Hum aur tum
Sirf khuwaboo main he mil saktey hain,
Mainay socha hai is baar tumharay humraah,
Aik aisi jaga utroongi,
Aur tumhain apnay paas bitha ker,
Aankhon main aakhain daal ker,
Bari himmat ker k tum say keh dongi,
Tumsay keh dongi k tum meray ho
Tum jo chahho to,
Meri yakterfa muhabbat ko sahara dey do,
Zindagi yun to bohut thori hai muhabbat k liye
Tum jitna bhi piyaar mujhay dey sako sara dey do,
Kuch to bolo,
Kuch to bolo
Kahin aisa na ho k sehar hotey he hum wapis us dunya mian lout jain
Bus yehi chund khiyalaat liye
Teri yadoon ki mehak sath liye
Akser hum door khuwaboo k jazeray main uter jatey hian
Kyun k hum aur tum sirf khuwaboo main he mil saktey hain
Parakhna Mat Parakhnay Main Koi Apna nahi Rehta
Kissi Bhi aeenay main dair Tak Chehra Nahi Rehta
Baray Logon say milnay Main Hameesha fasla Rakhna
Jahan Dariya Samunday Say MIllay Darya nahi Rehta,
Tumhara Sheher Hai Ye To nayee Andazz wala hai
Haray Sheher main Bhi abb koi hum sa nahi Rehta
Muhabbat Aik Khusboo Hai Hameesha Sath Chalti hai
Kabhi Insaan Tanhayee main Bhi Tanha Nahi Rehta
_________________
Bistar ki salvatoon mien
Kisi ki beqarari ki kehani hia..
Her salvat bayaan kerti hia..
Kitna dard tha har kervat mien..
Gawaah hia yeah bistar us bechain raat ka..
Chain ki akhri sans soi thi neend jab espar..
Abi tak tapish baqi hia..
Chhuu kar mehsoos hoti hien wo sard ahien..
Chaadar jasey simti hia…
Maano hazar baar uth ker leta hia koi…
Kis qadar intazar tha….
Kehti hien takiye ki salwatien…
Bistar sey mehak ab bi us key jism ki a rehi hia….
Be-intaha intazar ki gawahi dey rehi hia…
Ke kafan mien lipta hia jism..
Chehara khula ki uski adapt thi muskaraney ki..
Ab bhe dafan honey sey inkaar hia usko…
Ke Usko ab bhee umeed hia unkey aney ki
hamesha dair ker deta hon her kam kerne main
zarori baat kehni ho koi wadah nibhana ho
usey awaz dani ho usey wapas bulana ho
hamesha dair ker deta hon
madad kerni ho uski,yar ki dharas bindhana ho
buhat darena reston per kisi se milne jana ho
hamesha dair ker deta hon
badeltey musamon ki sair main dil ko lagana ho
kisi ko yaad rekhna ho kisi ko bhol jana ho
hamesha dair ker deta hon
kisi ko motse pehley kisi gham se bachana ho
hakeekat aur thi kuch usko ja ker ye batana ho
hamesha dair ker deta hon her kaam kerne main
Suno janan
Bohat hi be sakooni hai
Hamaree zaat k ander
Bohat masroof rehna pad raha hai
Bohat se kaam hain
Jo apne zimme ley rakhe hum ne
Mager sare jhamelon main
Tumharee yaad ka wo ek jugnu'ab bhi chamke tou !!
Ye ankhein bheeg jatee hain
Tumharee yaad k roshan sitare tim timatey hain
Tou dil kuch bujh sa jata hai
Main sab kuch **** k
wo ek jugnu 'ek tara
Hateilee main daba k
Hawa k sang apne sare dukh sukh baant atee hoon
Hawa ko sab pata hai
Mere dil ki khaber hai
Meri palkon k ansoo
Jazb ker k wo num si hotee hai
Suno Janan
Bohat hi besakooni hai
Hamari zaat k ander
Lakin !!!
Tumhey hum yaad kertey hein
Tumhey ab bhi Hum
Bohat
Hi
Pyar
Kertey
Hein
Bohat Hi Yaad Aata Hai Mere Dil Ko Tarpaata Hai
Woh Tera Paas Na Hona Bohat Mujh Ko Rulaata Hai
Woh Mera Teri *Aankhon* Ke Samandar Main Uttar Jaana
Aur Teri Muskurahat Ke Bhanwar Main Doobte Jaana
Teri Awaaz Ke Saher Se Na Nikal Paana
Tujh Ko Dekhna Aur Be-Khudi Se Dekhte Jaana
Bohat Chaha In Guzre Hue Lamhon Ko Na Sochoon
Na Teri Yaad Main Reh Ke Tere Saath Ka Sochoon
Bhoola Doon Saari Yaadon Ko Ke Jin Se Dil Tarapta Hai
Ke Jin Se Tais Utth Ti Hai Ke Jin Se Dard Hota Hai
Magar Jab Raat Aati Hai To Teri Yaad Aati Hai
Tere Hi Khuwaab Hote Hain Teri Hi Baat Hoti Hai
To Tay Paaya Ab Mumkin Nahi Tujh Ko Bhoola Dena
Teri Yaad Main Rehna Tujhe Hi Sochte Rehna
Tujhe Jab Yaad Karte Hain To Dil Apna Tarapta Hai
Woh Tera Paas Na Hona Bohat Mehsoos Hota Hai
Pehle to kisi ko b rulaya nahee kerte
Haan khud se khafa ho to manaya nahee kerte
ek bar gira dein jisay hum nazar se
Us shakhs ko phir hum dil main basaya nahee kerte
Bole jo mohabbat se to socha nahee kerte
Nafrat se magar haath milaya nahee kerte
Rakhte hain unhein hum sada seenay se laga ker
Dukh apna kisi ko b sunaya nahee kerte
raat andhairi thi
ik bay rabt sa sunnata
har tarf chaya hoa tha
magar faza main
kuch aawazon k silsalay thay
mairay ghar ki tareeqian
ab bhi mairi tanhaion pay
awazain kas rahi theen
mairi aankhon say neend
koson door thi
oor mairay aanso bar bar
mairay rukhsaron k sehra say guzar kar
barish k qatron ki tarhan
zameen par baras rahay thay
raat ka ik pehar guzar chuka tha
oor main ab bhi ro raha tha
apnay gehray zakhm
apnay ansoon say dho raha tha
magar ussay kon batay
k yeh raat bhi uss k gam main
pichli kai raton ki tarhan
tanha rotay hoay kat gai hai
uss k intazar ka woh silsala
ab bhi jari hai
ussay kon batay
k yeh shab-e-tanhai
mujay bohat bhari hai
Har taraf pheli thi us ki yaad jungle ki tarah
Main guzar ker aa gya houn urtay badal ki tarah
Ek lamhay ko juda hone de mumkin hi nahee
Dehaan rakhti hai mera woh apne aanchal ki tarah
****i ****i baat per ronay ki aadat hai usay
Aur aankhoun main mujhe rakhti hai kajal ki tarah
Muskura ker dekhti hai jab woh khirki se kabi
Ek khuwahish dil main khil jati hai kompal ki tarah
Jab bhee paani phenkti hai woh shararat se
Jism lagta hai mujhe bheegay hue thall ki tarah
Ishq junoo.n bhi, sanjeedgi bhi hai
Yeh hawas bhi hai, pakeezagi bhi hai
Shokhi bhi hai ishq
Baanki adaao.n pe lutnay ka naam bhi hai
Rooh-e-irtaqa-e-dil-o-dimaagh bhi hai
Zindagi ko samajhnay ka naam bhi hai
Ishq masrufiat bhi, fursat bhi hai
Ishq qurbat bhi aur furqat bhi hai
Ishq riff'at bhi aur wuss'at bhi hai
Aur ishq kabhi faqt chahat bhi hai
Yeh maasoomyat bhi, rakhshandgi bhi hai
Bosa hai to kabhi bandgi bhi hai
Zamee.n bhi hai aur aasmaa.n bhi hai
Magar ufaq ka iss main nishaa.n bhi hai
Kabhi bistar ki salwato.n sa
To kabhi mandir ki moorto.n sa
Kabhi uryaaniyo.n ka shai'da
To kabhi meera-o-mariam ki moorto.n sa
Ishq rog bhi hai magar madaawa bhi hai
Ishq parstish bhi, magar da'awa bhi hai
Rishto.n say sadaa judaa hai ishq
Sach To Yeah Hai, Wafa Hai Ishq
Lagi Jo Dil Ki Bujhao Zara Sakoon Milay
Mujhay Galay Say Lagao Zara Sakoon Milay
Taras Rahi Hai Nazar Teri Deed Ko Kab Say
Naqaab Apna Uthao Zara Sakoon Milay
Humeesha Khaar Beechai Thay Tu Nay Rah Main
Kabhi Tu Phool Saajaao Zara Sakoon Milay
Utar K Dekhon Samanadar Ki Aaj Gehrai
Nazar Nazar Say Milao Zara Sakoon Milay
Bari Uddas Si Lagti Hai Mohsin Aaj Ki Raat
Koi Ghazal Hi Sunao Zara Sakoon Milay
kuch bhi tu kaam na aa sakee.n, ye riyazatain, na wazahatain
usey jana tha so chala gaya, wo bhula k meri mohabbatain
main tu dhun main apni magan rahi, wo aay aa k chalay **
mujhey kuch khaber hi na ho saki, gaee.n raigaa.n wo musafatain
waha.n wo khafa, yahan main barhum, hain dono mubtalay-e ranj-o ghum
ajab dastaa.n shab-o roz ki, humain raas aaeen na chahatai.n
agar kuch diya tu hijr diya, bina chahey hum ko juda kiya
merey Rub ki chah ajeeb hay, ajab us ki saari nawazishai.n
merey dost saarey ajeeb hain, ab un ki babat kahoo.n tu kiya?
wo tu gaaee.n naghmain wafaoo.n k, rakhain dill main laakh kadoratain
meri neend sey tu bani nahi, hamesha us sey thani rahi
mujhe raat khwaab na aa sakey, tu hain neend ki ye bhi saazishain
na-janey us nay kaha tha kiya, barey piyaar sey merey kaan main
bas usi lamhey sey hain mehv-e raqs meri dill ki ley pe sama'atain
barey shouq sey karo per qalam k main aik harf na karoo,n raqam
per meri fikar ki uraan per kiya laga sakoo k rukawatain
Shagufta tum na samajh sako gi, haa.n kabhi mizaaj-e hayaat ko
yaa.n qadam qadam pe kadoratain hain, adawatain hain baghawatain
------------------
Tumhe hamari yaad kabhi to aati hogi
dil ki dhadkan bhi shayed bhar jati hogi
kitna chaha tha humne ke saath saath rahe
yeh soch kar tumhari bhi aankh bhar aati hogi
beete din ab wapas to nahi aa sakte
kho diya hai jo use to nahi pa sakte
dhool si hi rah gayi hai baki hawa mein
kash tumhe zindgi me phir se bhoola sakte
zindgi ****i hai magar itni ****i bhi nahi
Aankhen sookh gayi hai aur ab roti bhi nahi
zara zara si baton pe agar hum na jhagarte
to shayed yeh zindgi tumse juda hoti bhi nahi
Chehre pe mere zulf ko bikhrao kisi din
Kya roz garajtay ho baras jao kisi din
Raazoun ki tarah utro mere dil main kisi shab
Dastak pe mere haath ki khul jao kisi din
peroun ki tarah husn ki baarish main naha loun
Badal ki tarah jhoom k ghir aao kisi din
Khushbu ki tarah guzro mere dil ki gali se
Phoolon ki tarah mujh pe bikhar jao kisi din
Guzrein mere ghar se to rukk jayein sitaaray
Is tarah meri raat ko mehkao kisi din
Hum ne Dil se Kahin apni Majbooriyan,
Dil ko lekin ye sare bahaney lagey,
unko ek pal mein kaise bhool jaein,
jineh pane mein kayee zamane lagein
ajeeb rastay hain zindagi ke
wo jo bahar ki abroo tha
hazaar rangoon ki justuju tha
zamanay bhar mein aziz kah kar
mohabbaton ka amin kah kar
wo jis ko ponam ka chand kah kar pukartay thay
wo khud farebi mein kho kar apni tamam simton ko khud he bhoola
abh us ke chahray pe ajnabiyat hai
us ki baaton mein dosti ke azeem bandhan ke tootnay ki ajab khabar hai
ajeeb rastay hain zindagi ke
ke humne jo bhi khayal dil mien sajaye rakhay
wo khuwab ban kar bikher gaye hain
sawal jism aur jaan ke jo bachay rakkhay
jawab ke abh bhi muntazir hain
shikayaton ka hisaab hoga
hum apnay khoon se likhien ge abh ek aesa naghma
ke jis ka unwaan sarab hoga
jo zahen o dil ke sabhi saharoon ke tootnay ki tikab hoga
wafa mien haray hoye becharo
ajeeb rastay hain zindagi ke
kabhi daleel bahar hain ye
kabhi ye sadiyon ki justuju ko
bus ek sa_at mien khaat o khoo mein dubo ke
hum se sawal poochien ke kon ho tum?
kahan se aye ho?
ajnabi ho?
ye kin khayaloon ke hogaye ho?
ye kin sawaloon mein kho gaye ho?????
"Rishta ye keaa hai naata ye kesaa hai
Pahachaan jis se nahin thi kabhi
Apana bana hai wahi ajanabi
Tumhein dekhte hi rahoon main
Mere saamane yun hi baithe raho tum
Karon dil ki baatein main Khaamoshiyon se
Aur apane labon se na kuchh bhi kaho tum
Tere tan ki Khushbu bhi lagati hai apani
Ye kesi lagan hai ye kesa milan hai
Tere dil ki dharhkan bhi lagati hai apani
Tumhein paake mahasos hota hai aise
Ke jaise kabhii ham juda hi nahin the
Ye maana ke jismon ke ghar to naye hain
Magar hai puraane ye bandhan dilon ke
dafn seene meN rakheN wasl ke armaaN kab tak
aatish e hijr jalayegi miri jaan kab tak
tangi e zeest ka ho jaye use kaash ahsaas
ghaflat e yaar kahaN tak shab e hijraaN kab tak
aaeenah bandi e dil kaGHzi gul se kijaaye
aik seHraa meN tamanna e gulistaaN kab tak
aoj per aaj he tuGHyani e beHr e jazbaat
aik kooze meN daba rakkhenge toofaaN kab tak
her ghaRi dil pay diye jaate heN dastak aalaam
bin bulaye chale aayenge yeh mehmaaN kab tak
ab woh KHamosh he , tha shab meN shareek e maatam
saath deta mira aaKHir dil e naalaaN kab tak
daafa e naar e shikam Arq e badan he jiska
pet per bandhega patthar wahi dehqaaN kab tak
le liya qatl ka ilzaam hameeN ne sar per
husn ko dekhte ab aur paraishaaN kab tak
jo nah milti hameN GHurbat meN husaini manzil
koo ba koo phirte younhi be sar o saamaaN kab tak
Bhool jian tu aaj behtar hai
Silsilay qurb k judai k
Bujh chuki khawishoon ki qandeelain
Lut chukay shehar aashnaiee k
Raigaan sa'atoon say kia laina
Zakham huon,phool houn,sitaray houn
Mousam ka hisab kia rakhna
Jisnay jaisay bhi din guzaray houn
Zindagi say shikayatain kaisi
Bhool jian k jo hwa so hwa
Bhool jian k hum milay thay kabhi
Aksar auqat chahnay pay bhi kabhi
Fasloon main kami nahi hoti
Baaz auqat janay waloon ki wapsi say khushi nahi hote....!!
Hum say Main tak k safar main
Teray naam ka
Koi paimaan meray sang na tha
Meray naam ka koi aansoo teray pass na tha
Sirf kuch wahm-a-Gumaan
Meray zehan ki faseelon main muqeed thay
Kuch adhooray khawab
Wisal ki chah main
Dil k aasman par
Mandla rahay thay
Kuch dolti umeedain
Saharay ki taalash main
Tumhari dahleez par
Sir basahjood theen
Kuch pichli rutoon ki manajaatain
Tumharay naam ki takhti liea
Khudaye Barg-o-gul tak pohachti theen
Aur kuch nahi tha
Is safar main sirf rastay aik thay
Kuch phooloon ki sangat thay
Na ghum hum nay bantay thay
Na khushiyan tasqeen ki theen
Phir bhi na janay kyun
Aaj apni apni manzil ki janib murtay hoye
Main Tanha Rah Gaya Hoon...!!
Tumhien zid hia key mien keh doon..
Mujhey zid hia key tum keh do..
Mujhey tum sey muhabbat hia..
Keho mujh sey muhabbat hia..
Nieh yeah jantey donoo..
Muhabbat kab bhala muhtaj hia kafzoon ki baton ki..
Muhabbat to humarey darkhoon key saaz mien shamal..
Sureelay geet ki maned…
Muhabbat yaad ki davi..
Jo tanha raat ko aksar uter ati hia ankhoon mien..
Muhabbat muskharat hia haseen nazak sey hontoon mien..
Muhabbat sandli hatoon ki nazak larzashoon mien hia..
Muhabbat Soch Ki gehraioon sey phothi hia..
Hamesha sath rehti hia..
Muhabbat ankh mien palta wo pur asrar jazba hia..
Jisey ab tak nieh koye samjh paya..
Na e ski koyee surat hia..
Na es ka koyee pey-mana..
Dakhey alfaz mien eska boht ezhar hota hia..
Kuch asey hi key jasey ab..
Ta-e-dil sey to hum donoon boht akrar kertey hien..
Mager pher bhe na janey kyon.??
Tumhien zid hia key mien keh doon..
Mujhey zid hia key tum keh doo.
Mujhey tum sey muhabbat hia..
Keho mujh sey muhabbat hia..
Boht Udas hoon Yeah Baat Us sey keh dena..
Ajal Key Pass hoon Yeah Baat us Sey Keh dena..
Qadam qadam pey hoia tha guman manzel ka..
faqit qayas hoon yeah baat us sey keh dena..
becher key mujh sey tu dil ka sukoon khoye ga..
wafa ko raas hoon, yeah baat us sey keh dena
F@IrY
09-22-2007, 06:37 PM
:lagayraho;;egyptian
baat chalee teree aankhon se jaa pahunchee paimaane tak
kheench rahee hai teree ulfat aaj mujhe maikhaane tak
ishq kee baatein, gam kee baatein, duniyaa vaale karate hain
kis ne shammaa kaa dukh dekhaa kaun gayaa paravaane tak
ishq naheen hai tum ko mujhase sirf bahaane karatee ho
yoon hee bahaane qaayam rakhanaa tum mere mar jaane tak
itanaa hee kahanaa hai tum se mumkin ho to aajaanaa
aa hee gaye to ruknaa hogaa aankhon ke patharaane tak
main ne gulshan ko bahroon mai he jalte dekha
kaakh main har kali aur phool ko milte dekha
main to samjha tha ke gham waqat se bhar jaayega
ye muqadar bhi kisi haal sanwar jaayega
main ne socha bhi na tha gham ki koi hud he nahi
rooz he gham ko naya roop badalte dekha
aaik muddat si hue hai mujhe tanhaai main
khud ka dikhta nahi ab aks bhi parchaai main
ab to main hoon mera gham hai mere werane hain
dashat he charon tarhaft raah main chalte dekha
Ab teri khushbu saba rooz mujhey laati hai
tere aanchal ki mehak chu ke guzar jaati hai
kuch nahi paas mere tere tasswar ke siwa
bebasi main younheen har raat ko dhalte dekha
kesi barsaat hui aaas ke baadal bhi na thay
aankh bhar aai kisi zakham se ghayal bhi na thay
haal main bhi mere us maazi ki parchaiya_n hain
jis ko main ne har umeed kuchalte dekha
murdh ke dekhoon to kayee mordh nazar aate hain
yaad ke phool khayaloon main bikhar jaate hain
raat bhar dard ki taarikiya_n si rehti hain
chand ko gham ki ghataon main machalte dekha
bhool sakta nahi maazi ki kahani koi
har ghardi saamne aati hai nishani koi
chuut sakta nahi umeed ka daaman uss se
jis ne hasrat ka janazah na nikalte dekha
Koi gila, koi shikwa na rahe aapse,
yeh aarzoo hai k silsila rahe aapse,
bas is baat ki badi umeed hai aapse,
khafa na hona agar hum khafa rehein aapse
_________________
Ye dil dhadakta hai kyon kisi ke liye
Hum to jeete hain bass aashiqi ke liye
Jaruuri hota hai Ey yaar es jahaan me
Kisi gam ka hona bhi zindagi ke liye
Aansu kitne bahane padte hain hamko
Bas ek ****i si kisi khushi ke liye
Hamne socha tha na ho koi adu humara
Par yahaan aadmi dushman hai aadmi ke liye
Teri to kismet me hi likha hai'SAGAR'
Gulshan me tarashna kisi kali ke liye.
vBulletin® v3.8.4, Copyright ©2000-2013, Jelsoft Enterprises Ltd.